17
Agar dil mein ishqe Muhammad nahi hai To Ka’abe ko jaane ki koshish na karna Dare Mustafa se ta’alluq nahi hai To naseeb aazmaane ki koshish na karna Namaaze muhabbat niyaaze khuda hai Who sajda hi kiya sar jo jhuk kar utha hai Agar tujh mein jazba Husaini nahi hai To sar ko jukhaane ki koshish na karna Maza tab hai peene mein itna asar ho Uthe jaam to do jahaan ki khabar na ho Agar main kashi ka saliqa nahi hai To peene pilaane ki koshish na karna Muhammad ka gham do jahaan ki khushi hai Yahi zindagi aur yahi bandagi hai Ghame Mustafa se agar be khabar hai Ghame dil sunaane ki koshish na karna Khudawand ki justujoo karne waale Bawaqte tahajjud wuzu karne wale Agar door tu hai Muhammad ke dar se Khuda ko manaane ki koshish na karna Ek nazar aasmaan pe daal, Marhaba! Marhaba! Chamka maahe noor ka hilaal, Marhaba! Marhaba! Jhande lagaa-o, galiyaan sajaa-o Karlo charaagha, ghar jagmagaa-o Raazi hoga Rabbe Zuljalaal, Marhaba! Mehfil sajaa-o, na’ate sunaa-o Aaqa ki aamad ki dhoome machaa-o Rozo shab yahi ho apna haal, Marhaba! Laarayb Nabiyon ke sardaar aa-e Aa-e do a’alam ke ghamkhwaar aa-e Shaah kaare Rabbe Zuljalaal, Marhaba! Aashiq ke dil jagmagaane lage hain Dekho zara muskuraane lage hain Deednee hai unke khado khaal, Marhaba! Sadqa wilaadat ka jalwa dekhaado Dil ki lagi ab to Aaqa bujhaado Dekhlaado apna ab jamaal, Marhaba! Joodo sakhaawat hai a’adat tumhaari Phaylaa-e daaman khare hain bhikhaari Kardo karam Aamina ke laal, Marhaba! Jaame shahaadat piya jinho ne Ahle sunan ko jilaadi unho ne Yaad aa-enge woh har saal, Marhaba! Shaadi ke naghme sunaate rahenge Jashne wilaadat manaate rahenge Waar denge tum pe jaan-o-maal, Marhaba! Parhne laga jab Ubaid unki na’ate Hone lagi chaarsu us ki baate Faiz-e Raza ka hai sab kamala, Marhaba! Na’ate Sarkaar ki parhta hoon main Bas isi baat se ghar mein meri rahmat hogi Ek tera naam waseela hai mera Ranj-o-gham mein bas isi naam se raahat hogi Ye sunaa hai ke bahot raat andheri hogi Qabr ka khauf na rakhna ai dil Wahaan Sarkaar ke chehre ki ziyaarat hogi Hashr ka din bhi ajab dekhne waala hoga Zulf lehraa ke woh jab aa-enge Phir qayaamat mein bhi ek aur qayaamat hogi Do jahaan mein phir use kon panahwe lega Hoga ruswa jo sare hashr jise Fathima Zahra ke bachchon se adaawat hogi Kahin Yaaseen, kahin Taahaa, kahi Wash shams aaya Jis ki qasme mera Rab yaad kare Ketni dilkash mere Mahboob ki soorat hogi Apna daaman to gunaaho se bhara hai altaaf Ek sahaara hai ke main unka hoon Bas isi nisbat se sare hashr shafa’at hogi

Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Agar dil mein ishqe Muhammad nahi hai

To Ka’abe ko jaane ki koshish na karna

Dare Mustafa se ta’alluq nahi hai

To naseeb aazmaane ki koshish na karna Namaaze muhabbat niyaaze khuda hai Who sajda hi kiya sar jo jhuk kar utha hai Agar tujh mein jazba Husaini nahi hai To sar ko jukhaane ki koshish na karna Maza tab hai peene mein itna asar ho Uthe jaam to do jahaan ki khabar na ho Agar main kashi ka saliqa nahi hai To peene pilaane ki koshish na karna

Muhammad ka gham do jahaan ki khushi hai

Yahi zindagi aur yahi bandagi hai

Ghame Mustafa se agar be khabar hai

Ghame dil sunaane ki koshish na karna Khudawand ki justujoo karne waale Bawaqte tahajjud wuzu karne wale

Agar door tu hai Muhammad ke dar se

Khuda ko manaane ki koshish na karna

Ek nazar aasmaan pe daal, Marhaba! Marhaba! Chamka maahe noor ka hilaal, Marhaba! Marhaba! Jhande lagaa-o, galiyaan sajaa-o Karlo charaagha, ghar jagmagaa-o Raazi hoga Rabbe Zuljalaal, Marhaba! Mehfil sajaa-o, na’ate sunaa-o

Aaqa ki aamad ki dhoome machaa-o

Rozo shab yahi ho apna haal, Marhaba! Laarayb Nabiyon ke sardaar aa-e Aa-e do a’alam ke ghamkhwaar aa-e Shaah kaare Rabbe Zuljalaal, Marhaba! Aashiq ke dil jagmagaane lage hain Dekho zara muskuraane lage hain Deednee hai unke khado khaal, Marhaba! Sadqa wilaadat ka jalwa dekhaado

Dil ki lagi ab to Aaqa bujhaado

Dekhlaado apna ab jamaal, Marhaba!

Joodo sakhaawat hai a’adat tumhaari Phaylaa-e daaman khare hain bhikhaari Kardo karam Aamina ke laal, Marhaba! Jaame shahaadat piya jinho ne Ahle sunan ko jilaadi unho ne Yaad aa-enge woh har saal, Marhaba! Shaadi ke naghme sunaate rahenge Jashne wilaadat manaate rahenge Waar denge tum pe jaan-o-maal, Marhaba! Parhne laga jab Ubaid unki na’ate Hone lagi chaarsu us ki baate Faiz-e Raza ka hai sab kamala, Marhaba!

Na’ate Sarkaar ki parhta hoon main

Bas isi baat se ghar mein meri rahmat hogi Ek tera naam waseela hai mera Ranj-o-gham mein bas isi naam se raahat hogi Ye sunaa hai ke bahot raat andheri hogi Qabr ka khauf na rakhna ai dil

Wahaan Sarkaar ke chehre ki ziyaarat hogi

Hashr ka din bhi ajab dekhne waala hoga Zulf lehraa ke woh jab aa-enge Phir qayaamat mein bhi ek aur qayaamat hogi Do jahaan mein phir use kon panahwe lega Hoga ruswa jo sare hashr jise Fathima Zahra ke bachchon se adaawat hogi Kahin Yaaseen, kahin Taahaa, kahi Wash shams aaya Jis ki qasme mera Rab yaad kare

Ketni dilkash mere Mahboob ki soorat hogi

Apna daaman to gunaaho se bhara hai altaaf Ek sahaara hai ke main unka hoon Bas isi nisbat se sare hashr shafa’at hogi

Page 2: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Noori mehfil pe chaadar tani noor ki Noor phayla huwa aaj ki raat hai Chaandni mein hai doobe huwe do jahaan Kon jawa numa aaj ki raat hai Arsh par dhoom hai, farsh par dhoom hai Hai woh bad bakht jo aaj mahroom hai Phir ye aa-egi shab kis ko ma’aloom hai Ham pe lutfe Khuda aaj ki raat hai Mo’mino aaj ganje sakha loot lo Loot lo ai mareezo shifa loot lo

Aasiyon rahmate Mustafa loot lo

Baabe rahmat khula aaj ki raat hai Abr rahmat hai mehfil pe chaa-en huwe Aasmaan se malaa-ik hain aa-e huwe

Khud Muhammad hai tashreef laa-en huwe

Kis qdar jaa fiza aaj ki raat hai Maanglo, maanglo, chashme tar maanglo Darde dil aur husne nazar maanglo Kamli waale ki nagri mein ghar maanglo Maangne ka maza aaj ki raat hai

Waqt laa-e Khuda sab Madine chale Lootne rahmato ke khazeene chale Sab ki manzil ki jaanib safine chale Meri saa-im dua aaj ki raat hai

Qadam, qadam pe khuda ki madad pahunchti hai Durood se mere dil ko rasad pahunchti hai Ye aasmaan bhi wahaan tak nahi pahunch saktaa Jahaan tak aap ke qadmon ki had pahunchti hai Sar apna paa-e risaalat ma’aab rakhdoon To aasmaan pe bulandi ye qad pahunchti hai

Juloose ishqe Nabi ka ho jis taraf se guzar

Mere junoon ko bhi le kar khirad pahunchti hai Durood ka diya jaata hai jab sawaab mujhe Bahisht tak meri do gaz lahad pahunchti hai Salaam-o-na’at Muzaffar yahaan main parhtaa hoon Qubooliyat ki haram se sanad pahunchti hai

Zahe muqaddar Huzoore haq se

Salaam aaya payaam aaya Jhukaa-o nazre bichaa-o palke Adab ka a’ala maqaam aaya Ye kon sar se kafan lapete Chala hai ulfat ke raaste par Firishte hayrat se tak rahe hain Ye kon si ihtiraam aaya Fazaan mein Labbayk ki sadaa-en Za-farsh taa arsh goonchti hai Har ek qurbaan ho rahaa hai Zabaan pe ye kis ka naam aaya Ye raahe haq hai sambhal ke chalna Yahaan hain manzil qadam, qadam par

Pahunchna dar par to kehna Aaqa

Salaam leejiye ghulaam aaya

Ye kehna Aaqa bahot se aashiq

Tarapte use chor aaya hoon main Bulaawe ke muntazir hain lekin Na subh aayi na shaam aaya

Page 3: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Chalo diyaare Nabi ki jaanib Durood lab par saja, saja kar Bahaare lootenge ham karam ki Dilo ko daaman bana, bana kar Na unke jaysa sakhi hai ko-ee Na unke jaysa ghani hai ko-ee Who benawaa-on ko har jagah se Nawaazte hai bula, bula kar Hai unko ummat se piyaar kitna Karam hai rahmat shi’aar kitna Hamaare jurmo ko dho rahe hain

Huzoor aasoon baha, baha kar Main who nikamma hoon jis ki jholi Mein ko-ee husne amal nahi hai Magar who ehsaan kar rahe hain Khataa-en meri chupa, chupa kar Yahi asaa se amal hai meri Isi bigri bani hai meri Samet ta hoon karam Khuda ka

Nabi ki na’ate suna, suna kar

Agar muqaddar ne aawari ki Agar Madine gaya main Khaalid Qadam, qadam khaak us gali ki Main choom loonga utha, utha kar

Arshe ula ser a’ala mere Nabi ka Roza

Hai har makaan se baala mere Nabi ka Roza

Kaisa hai piyaara, piyaara ye sabz, sabz gumbad

Kitna hai meetha, meetha mere Nabi ka Roza

Firdous ki bulandi bhi choo sake na usko

Khulde bareen se ooncha mere Nabi ka Roza

Makke se isliye bhi afzal huwa Madinah

Hisse mein is ke aaya mere Nabi ka Roza

Ka’abe ki azmato ka munkir nahi hoon, lekin

Ka’abe ka bhi hai ka’aba mere Nabi ka Roza

Hogi shafa’at uski jisne Madine aa kar

Khaak ek nazar bhi dekha mere Nabi ka Roza

Paris pe marne waale Paris ko bhool jaata

Tu bhi jo dekh leta mere Nabi ka Roza

Baadal ghire huwe hain bearish baras rahi hai

Lagta hai kiya suhaana mere Nabi ka Roza

Jis waqt rooh tan se Attar ki juda ho

Ho saamne Khudaaya mere Nabi ka Roza

Page 4: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Har ek saa’at-o-lamha hai qeemti is ka

Bas ek raat se barh kar mila ise rutba Isi liye to ye shab behtareen kehlayee Khuda ka shukr karo aur parho durood un par Ke aaj laa-e hai tashreef haadi-o-rahbar Zamaane bhar mein hai mash-hoor jin ki yaktaa-ee Chate hain baadale gham khushiyaan saath laa-ee hai Har ek chehre pe ab muskuraahat aa-ee hai Har ek dil mein khushi ki baji hai shaydaa-ee Jahaan sabz parchamo ki bahaar aa-ee hai Aur aashiqo ne makaan har gali sajaa-ee hai

Hai shaad, shaad Nabi ka har ek tamannaa-ee

Jahaan goonj utha marhaba ke na’aron se Khushi hai kaisee na poocho ye gham ke maaro se Yahi woh raat hai jo kaif ka samaa laa-ee Unhi ke dar se hi daryaa-e jood behte hain Who aa-e jo nahi saa-il ko nahi kehte hain Sakhaawat aisi ata Rab ne unko farmaa-ee

Shabe wilaadate Sarkaar ka hai ye sadqa

Ke milgaya hai sanaakhwaa Ubaid ko jazba Musaafir is ki ye mehnat jabhi to rang laa-ee

Main jashne aamade Sarkaar yoon mana-oonga

Ke jhoom, Jhoom ke na’ate Nabi sunaa-oonga

Vilaadate shahe deen ka mahina aaya hai Gali, makaan, dokaan aaj sab sajaa-oonga Khuda ke fazl se phir baarween ki raat aa-ee Dile hazeeme khusi ke diye jalaa-oonga Juloose jashna vilaadat mein ihtiraam ke saath Qadam, qadam pe duroodon ke gul khilaa-oonga

Utha haath mein parcham Nabi ki azmat ka

Main marhaba ki sadaa-en lagaa-e jaa-oonga

Urooj mujhko mila na’ate Mustafa ke tufail

Karam se unke bulandi pe aur jaa-oonga Hai sar pe taaj mere nisbat-e-Raza ka Ubaid Raza ke naam ka sadqa hamesha khaa-oonga

Allah humma salle ala sayyidina Muhammadin!

Salle ala pukaaro Sarkaar aarahe hain

Uth-tho ai besahaaro Sarkaar aarahe hain Moulood ki ghari hai chalo Aamina ke ghar par

Ai khuld ki bahaaro Sarkaar aarahe hain

Jo maangna hai mango jo lena hai so lelo

Dunya ke taajdaaro Sarkaar aarahe hain

Purnoor hain zamaana subhe shabe vilaadat Parda utha hai kis ka subhe shabe vilaadat Piyaare Rabi-ul-auwwal teri jhalak ke sadqe Chamkaadiya naseeba subhe shabe vilaadat Nisaar teri chehel pehel par hazaaro Eid-e-Rabi-ul-

aww awwal Siwaa-e iblees ke jahaan mein sabhi khushiyaan

vvvvvmana rahe hain Mo’mino waqte adab hai aamade Mahboobe Rab hai Jaa-en aadaa who tarab hai aamade shaahe Arab hai

Page 5: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Aamina bibi ka jayaa Baarween taareekh aaya Subhe saadiq ne sunaaya salawatullahi alayk

Mahboob ke dar par jaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Taqdeer apni chamkaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Jab peshe nazar ho mere Meenaaro gumbad tere Main ghash khaa kar gir jaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Phir tere gumbade khazra Ro, ro kar dast bastaan Sab haal main tujh ko sunaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Dil ko apne samjhaa kar Deedaar ki aas dila kar Ro, ro kar main so jaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Woh khwaab mein jalwa dekha-en Ai kaash karam farmaa-en Main qadmon mein gir jaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e Hai dil ka Ubaid ye armaan Phir ban kar unka mehmaan Darbaar mein na’at sunaa-oon Woh waqte mubaarak aa-e

Pahunchoon dare Sarkaar pe chaaha to yahi hai

Aage meri taqdeer, tamanna to yahi hai Ek khaas mahak aane lagi mauje hawa mein Aasaar batate hain Madinah to yahi hai Hai gumbade khazra ke siwaa aur bhi jalwe Aankho keliye khaas nazaara to yahi hai Ye unki riza hai mujhe bheje mujhe roke Waapas main nahi aa-oonga soncha to yahi hai Yaad un ki rahe dil mein jamaal un ka nazar mein Naam unka zabaan par rahe ach-cha to yahi hai Har saas se aati ho sada salle ala ki Ham laakh jiye asl mein jeena to yahi hai Izhaar ghame hijr ki kiya shakl nikaaloon Rone ki bhi taaqat nahi rona to yahi hai Tayba mein ho sab kuch mere daaman mein hai

;LKLLIaasee Dunya ka karam kiya meri dunya to yahi hai

Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka

Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina

Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka

Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein

Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka

Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en

Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi ka Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat

Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka

Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main Siddeeq ka, Umarka, Usmaan ka, Ali ka

Page 6: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya

Mangta hoon main tu mangta Sarkaar ki gali ka

Meezaan pe sab khare hain a’amaal tul rahe hain Rakhlo bharam Khudaara Attaare qaadri ka

Hubbe Ahmad azal hi se seene mein hai

Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Itr jannat mein bhi aisi khushbu nahi

Jaisi khushbu Nabi ke pasine mein hai

Besahaara na samjhe zamaana mujhe

Mere Aaqa ka maskan Madine mein hai

Phool to phool kaanton mein bhi husn hai Lutf jannat se barh kar Madine mein hai Kiya Muqaddar hai Bu-Bakr-o-Faarooq ka Unka ghar rahmato ke khazeene mein hai

Sab se auwla woh a’ala hamaara Nabi

Sab se baala woh waala hamaara Nabi

Apne Mauwla ka piyaara hamaara Nabi

Dono a’alam ka dulha hamaara Nabi

Jin ke talwon ka dhowan hai aabe hayaat

Hai woh jaane maseehah hamaara Nabi

Khalq se Auwliya, Auwliya se Rusul

Aur Rasoolon se a’ala hamaara Nabi

Kaun deta hai dene ko moonh chaahiye

Dene waala hai sach-cha hamaara Nabi

Jis ki do boondh hai kauwsar-o-salsabeel

Hai woh rahmat ka darya hamaara Nabi

Jis ne murdah dilon ko dee umre abad

Hai who jaane maseehah hamaara Nabi

Kiya khabar kitne tare khile chup ga-e

Par na doobe na dooba hamaara Nabi

Saare ach-chon mein ach-cha samajhiye jise

Hai us ach-chon se ach-cha hamaara Nabi

Saare oonchon mein ooncha samajhiye jise

Hai us oonchon se ooncha hamaara Nabi

Jis ko shaaya hai arshe Khuda par juloos

Hai woh sultaan waala hamaara Nabi

Ghamzadon ko Raza muzhdah dijiye ke hai

Be-kason ka sahaara hamaara Nabi

Page 7: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Tu shamma’e risaalat hai aalam tera parwaana

Tu maahe nabuwwat hai ai jalwa-e-jaanaanaa

Jo Saaqiye Kauwsar ke chehre se naqaab uth-the

Har dil bane mai-khaana har aankh ho paimaanaa Dil apna chamak uth-the Imaan ki tal-at se Kar aankhe nooraanee ai jalwa-e-jaanaanaa Sarshaar mujhe karde ek jaame labaa lab se Ta hashr rahe saaqee aabaad ye mai-khaanaa Us dar ki huzooree hi isyaan ki dawaa tehree Hai zahre ma’aasee ka Tayba hi shifaa khaanaa Har phool mein boo teri har shamma’a mein zauw

MNMteri Bul-bul hai tera bul-bul parwaana hai parwaana Peete hai tere dar ka khaate hai tere dar ka Paani hai tera paani daana hai tera daana Sange dare jaana par kartaa hoon jabhi saa-ee Sajda na samajh najdi sar deta hoon nazraana

Gir par ke yahaan pahuncha mar, mar ke ise paayaa Choote na Ilaahi ab sange dare jaanaanaa Woh kahte na kahte kuch, woh karte na karte kuch Ai kaash woh sun lete mujh se mera afsaanaa

Sarkaar ke jalwon se rauwshan hai dile Noori

Ta hashr rahe rauwshan Noori ka ye kaashaana

Nemate baant-ta jis simt woh zeeshaan gaya

Saath hi munshiye rahmat ka qalamdaan gaya Le khabar jald ke ghayron ki taraf dhiyaan gaya

Mere Mauwla mere Aaqa tere qurbaan gaya

Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’amoor rahe Sar hai woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya Unhe jaanaa unhe maanaa na rakhaa ghair se kaam Lillahil hamd! Main dunya se Musalmaan gaya Aaj le un ki panaah aaj madad maang un se Phir na maanenge qayaamat mein agar maan gaya Jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to Madine pahunche Tum nahi chalet Raza saaraa to saamaan gaya

Arshe haq hai masnade rif-at Rasoolullah ki

Dekhni hai hashr mein izzat Rasoolullah ki

Laa-wa-Rabbil arhs jis ko jo milaa un se milaa

Bat-ti hai kaunain Nemat Rasoolullah ki

Sooraj ulte paa-oon palte chaand ishaare se ho chaak

Andhe najdi dekhle qudrat Rasoolullah ki

Woh jahannam mein gaya jo un se mustaghni huwa

Hai Khaleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Tujh se auwr Jannat se kiya matlab wahaabi door ho

Ham Rasoolullah ke Jannat Rasoolullah ki

Ham bhikaari woh kareem unka Khuda un se fazoon

Auwr na kehna nahi aadat Rasoolullah ki

Toot jaa-enge gunahgaaron ke fauwran-qaido-band

Hashr mein khul jaa-egi taaqat Rasoolullah ki

Ai Raza khud saahibe Qur’an hai maddaahe Huzoor

Tum se kab mumkin hai phir mid-hat Rasoolullah ki

Page 8: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Ajab rang par hai bahaare Madina Ki sab Jannate hai nisaare Madina Mubaarak ho ai andaleebo tum-he Hame gul se behtar hai khaare Madina Meri khaak Ya Rab na barbaad jaa-e Pase marg karde ghubaare Madina Rage gul ki jab naaz-ki dekhta hoon Mujhe yaad aati hai khaare Madina Rahen un ke jalwe base un ke jalwe Mera dil bane yaadgaare Madina Bana aasmaan manzile Ibn-Maryam Ga-e laamakaan Taajdaare Madina

Shabe Me’raaj ajab noor hai,

Patta patta shajre toor hai,

Ek qadam farsh pe hai, ek qadam arsh pe hai Un ko nazdeek hai jo door hai,

Ghaib kiya cheez hai? Dekh aa-en hain woh ghaibul IIIIIIIIghaib

Ya’ni woh zaat hai jo mash-hoor hai,

Dekh aa-en hain woh aayaate Khudaa-e bartar Yahee Qur’an mein mastoor hai,

Marhaba kehta hai ko-ee to ko-ee Salle-ala Naghma-e sanjee mein labe hoor hai,

Rabbe habli pe kaha Rab ne ke aa-e mere Habeeb

Tum ko manzoor to manzoor hai,

Ai shafaa-at ke dhani teri shafaa-at sun kar Shaadmaan har dile ranjoor hai,

Paaliya un ko to kauwnain ko paaya Sayyad Ya’ni jholi meri bharpoor hai,

Ye khuld ka rasta hai ya arsh ka zeena hai In aankho mein Ka’aba hai auwr dil mein Madinah hai

Sarkaar ki yaan-don mein aansoon jo nikal jaa-e

Jam jaa-e to moti hai chamke to nagina hai Har shakhs lagaate hai aankho mein aqeedat se Surmaah hai Bareily ka ya khaake Madinah Sarkare do aalam ka daaman na khabhi choote Mo’min tere haathon mein anmol nagina hai Raaten bhi mahak ti hai raste bhi mahak te hai

Sarkaar ki aamad hai rahmat ka mahinah hai

Nazdeek aaraha hai Ramazaan ka mahinah Saahil se haajiyon ka phir aalaga safeena

Aaqa na toot jaa-en ye dil aabginah

Ab ki baras bhi Mauwla rah jaa-oon main kaheen na Dil ro raha jin ka aansoon jhalak rahen hain Un aashiko ka sadqa bulwaa-iye Madinah Betaab ho raha hai Taybaah ki haazri ko Aashiq tarap raha hai auwr phat raha hai seenah Bas aarzoo yahi hai qadmon mein maut aa-e

Piyaare Nabi hamaara madfan bane Madinah

Attar ki huzoori ki aarzoo ho poori Ho jaa-en door doori ai waaliye Madinah

Page 9: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Subha Taybaah mein huwee bat ta hai baara noor ka

Sadqa lene noor ka aaya hai taarah noor ka Baaghe Taybaah mein suhaanah phool phoola noor ka Mast bu hai bul-bule parhti hai kalma noor ka Baarweenh ke chaand ka mujra hai sajda noor ka Baarah burjon se jhuka ik ik sitaarah noor ka Tere hi maathe raha ai jaane sehra noor ka Bakht jaaga noor ka chamka sitaarah noor ka Main gadaan tu baadshah bharde piyaala noor ka Noor din doona tera de daal sadqa noor ka Taaj waaale dekh kar tera imaama noor ka Sar jhukate hai Ilaahi bol baala noor ka

Teri nasle paak mein hain bach-cha bach-cha noor ka Tu hai aine noor tera sab gharana noor ka Chaand jhuk jaata jhidhar ungli uthaate mahad mein Kiya hi chalta tha ishaaron par khilauwna noor ka

Ai Raza ye Ahmade noori ka faize noor ka Ho ga-ee meri ghazal barh kar qaseeda noor ka Naariyon ka dauwr tha dil jal raha tha noor ka Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka

Aankhon ka taarah naame

Dil ka ujaala naame

Rabbul Ula ne

Har shai pe likh-khaa naame

Hain yoon to kasrat se naam lekin

Sab se hai piyaarah naame

Nooh-o-Khaleel-o-Musa-o-Isa

Sab ka hai Aaqa naame

Parhti duroode dauwrengi hooren

Laasha jo lega naame

Rakh-kho lahad mein jis dam azeezon

Mujh ko sunaana naame

Bera tabaahi pe aagaya hai

Dede sahaara naame

Apne Raza ke qurbaan jaa-oon

Jis ne sikhaaya naame

Apne jameele razawi ke dil mein

Aaja samaaja naame

Page 10: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Madine ke waali do a’alam ke daata Meri bhi nazar soowe Taybaah lagi hai Main mohtaaj hoon ek nigaahe karam ka

Aaqa tumhaare karam par meri zindagi hai

Hai waadiye aiman se khaaliq ki rahmat Auwr musallam hai Bait-ul-muqaddas ki azmat Magar qalbe muztar ko hai kis ki haajat Who sultaame Taybaah tumhaari gali hai Tumhaare hi tukron pe mera guzaaraan Tumhaare hi darbaar ka hoon main mangta Jo tum se na maangoon to phir kis se maangoon Tumhaarah to saara gharaana sakhee hai Yahaan rah ke jeena hai marne se bad-tar Wahaan jaa ke marna hai jeene se beh-tar Mayassar jo ho un ke qadmon mein rah kar Wahi zindagi asl mein zindagi hai Hazaaron hi mai-khaar Taybaah mein aa kar Shab-o-roz peete hain irfaan ke saaghar Nahi ko-ee jaataa hai tishnaa sikandar Ye saaqiye kauwsar ki darya dili hai

Kiyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki

Jannat mein le ke jaa-egi chaahat Rasool ki

Bigri bhi bana-enge dar par bhi bulaa-enge

Ghabraa-o na deewaano Sarkaar bulaa-enge

Chalta hoon main bhi qaafile waalon ruko zara

Mil ne do bas mujhe bhi ijaazat Rasool ki

Kia sabz, sabz gumbad kia khoob hai nazaarah Hai kis qadar suhaana kaisa hai piyaarah, piyaarah Sarkaar ne bulaake Madina dekhaadiya

Hogi hame naseeb shafa’at Rasool ki

In aankho ka warna ko-ee masraf hi nahi hai

Sarkaar tumhaarah rukhe zenba nazar aa-e

Ya Rab! Dekhaade aaj ki shab jalwa-e Habeeb

Ik baar to ataa ho ziyaarat Rasool ki

Qabr mein Sarkaar aa-e to main qadmon mein

KIIIIII giroon Gar farishte bhi uthaa-en to main un se yoon kahoon

Ab to paa-e naaz se main ai farishton kiyoon uthoon Mar ke pahuncha hoon yahaan is dil ruba ke waste Tarpa ke un ke qadmon mein mujhko giraade shauwq

Jis waqt ho lahad mein ziyaarat Rasool ki

Hashr mein ik, ik ka munh takte phirte hain adoon Aafaton mein pas ga-e un ka sahaara chor kar Daaman mein un ke lelo panaah aaj najdiyon

Menhgi paregi warna adaawat Rasool ki

Tu hai ghulaam un ka Ubaide Raza tere

Mehshar mein hogi saa’at himaayat Rasool ki

Ye arzu samaan bane hai isi noor ke tufail Taare chamak rahe hain isi noor ke tufail Gulshan hare bhare hain isi noor ke tufail Dono jahaan saje hain isi noor ke tufail Is noor ka azal se abad tak hai silsila Ye noor woh hai jis ka tarafdaar hai Khuda Aaya hai raah raah dekhaane ke waste Bando ko un ke Rab se milaane ke waste Bunyaad butkadon ki giraane ke waste Rasmon rawaaj kufr mtaane ke waste Insaan ko bandage ka saleeqa sikhaa-ega Ye noor zulmato ko ujaale banaa-ega Laaya hai apne saath masaawaat ka nizaam Is ki nazar mein ek hai aaqa ho ya ghulaam Shohrat hai us ka lutf muhabbat hai is ka kaam Badle ga zulmon zor ke andaaz ye tamaam Logon ke dil se zange kadoorat churaa-ega Dukh par khushi ki rasm jahaan se mitaa-ega Guftaar laa-jawaab hain kirdaar be naseeb Haamee sitamzadon ka yateemon ka dastageer Halqaab badosh is ke hain kiya shaah kiya faqeer Insaan na rah sakega na insaan ka wasee

Page 11: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Bhooka rahega khud woh jahaan ko khilaa-ega Ye apne dushmano ko gale se lagaa-ega Payghaam-e-haq ye saare jahaan ko sunaa-ega Weeraankado ko rashk gulistaan banaa-ega Har kaam rahmaton ke khazaane lutaa-ega Insaan ko ye dar se ukhuwwat sikhaa-ega Dega kuch is ada se ye payghaam-e-dosti Zehno se door karde ga sadiyon ki dushmani

Is noor ke nisaar Muhammad hai is ka naam

Is ka payaam Khaaliqe Akbar ka hai payaam Sardaar-e kaa-enaat hain Nabiyon ke hain imaam Ta’areef se buland hai is noor ka maqaam Aaya hai aur na aa-ega is shaan ka Nabi Dunya mein bhi anees hai Uqba mein hai balee Aaya hai muflison ki himaayat liye huwe Mazloom-o-bekaso ki muhabbat liye huwe Ahle gunaah ka haq ke shafa’at liye huwe Saare jahaan keliye rahmat liye huwe Hoga isi ke zaat pe Qur’aan ka nuzool Woh aakhri kitaab hai ye aakhri Rasool

Noor waala aaya hai noor le kar aaya hai Saare a’alam mein ye dekho kaisa noor chaaya hai Jab talakye chaand taare jhilmilaate jaa-enge Tab talak jashne vilaadat ham manaate jaa-enge

Naat-e-Mahboob-e-Khuda sunte sunaate jaa-enge

Ya Rasoolallah ka na’araa lagaate jaa-enge

Chaar jaanib ham diye ghee ke jalaate jaa-enge Ghar to ghar saare muhalle ko sajaate jaa-enge

Eid-e-meelad-un-Nabi ki shab charaagha kar ke ham

Qabr noor-e-Mustafa se jagmagaate jaa-enge

Peshe haq muzhda shafaa’at ka sunaate jaa-enge Aap rote jaa-enge ham ko hasaante jaa-enge Hashr tak daalenge ham paydaa-ishe Mauwla ki dhoom Misle faaris najd ke qil-e giraate jaa-enge Hashr mein tere liwaa-e hamd ai azkaar ham

Naat-e-Sultaan-e-Madina gun gunaate jaa-enge

Ham ko bulaana Ya Rasoolallah

Khabhi to sabz gumbad ka ujaalah ham bhi dekhenge

Hame bulwaa-enge Aaqa Madinah ham bhi

iiiiiiiiiidekhenge Dharak uth-the ga ye dil ya dharak na bhool jaa-ega Dile bismil ka ka us dar par tamasha ham bhi

iiiiiiiiiidekhenge Adab se haath baandhe un ke roze par khare honge Sunehri jaaliyon ka yoon nazaarah ham bhi dekhenge Dare dauwlat se lauwtaya nahi jaata ko-ee khalee Wahaan khairaat ka batna Khudaya ham bhi

iiiiiiiiiidekhenge Barasti gumbade khazra se takraati huwi boonde Wahaan par shaan se baarish barasna ham bhi dekhenge

Guzaare raat din apne isi um-meed par ham ne Kisi din to jamaale ruwe zenba ham bhi dekhenge Dame rukhsat qadam man barhke hain mehsoos kar ten hain Kise hai jaake lauwtaane ka yaara ham bhi dekhenge

Pahunch jaa-enge jis din ai Ujaagar un ke qadmon iiiiiiiiimein

Kise kehte hain Jannat ka nazaara ham bhi dekhenge

Page 12: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Bolte hain sangreze aap ke ishaare se Dekhen hain shajar chalte aap ke ishaare se Arz ki sahaaba ne aab khaari, khaari hai Beer ho ga-e meethe aap ke ishaare se Aap ko Khuda ne di arsh-o-farsh ki kunji Faiz sab ko milta hai aap ke ishaare se Mojzate shahki hai door, door tak shohrat Chaand ho gaya tukre aap ke ishaare se Tishnagee mitaane ko narm, narm haathon se Jaari ho ga-e chashme aap ke ishaare se Bha-ee, bhaa-ee kar daalaa dushmane lahoo jo the Inqilaab hota hai aap ke ishaare se Al-madad kaha jab bhi maine mauwje toonfaan mein Mil gayaa kinaare se aap ke ishaare se Aap ki jo mansha hai woh hi Rab ki mansha hai Sab nizaam chalte hain aap ke ishaare se Suwe khuld jaa-ega dekhna Ujaagar bhi Aap ki shafa’at se aap ke ishaare se

Salla alayka Ya Rasoolallah , wasallam alayka ya Habiballah

Ahlauw-wa-sahlan marhaba, Ya Rasoolallah !

Chaaron taraf noor chaayaa, Aaqa ka meelad aaya! Khushiyon ka payghaam laayaa, Aaqa ka meelaad

iiiiiiiiiaayaa! Shams-o-qamar auwr taare, kiyun na ho khush aaj

iiiiiiiisaare? Un se hi to noor paaya, Aaqa ka meelaad aaya! Khushiyaan manaate hain wahi, dhoome machaate

iiiiiiiiihain wahi … Jin par huwa un ka saaya, Aaqa ka meelaad aaya! Ghar ko sajaate hain wahi, jhande lehraate hain wahi… Jin par huwa un ka saaya, Aaqa ka meelaad aaya! Ghauwsul wara auwr Daata ne, mere Raza auwr

iiiiiiiiiKhwaaja ne … Sab ne hi din ye manaaya, Aaqa ka meelaad aaya! Jis ko shajar jaante hain, kehna hajar maante hain! Aisa Nabi ham ne paaya, Aaqa ka meelaad aaya! Hai shaad har ek musalmaan, karta hai ghar, ghar

iiiiiiiiicharaaghaa! Galiyon ko bhi jagmagaaya, Aaqa ka meelaad aaya!

Na’ate Nabi gun gunaa-o, ishqe Nabi ko

iiiiiiiiiiibarhaa-o …

Ham ko Raza ne sikhaaya, Aaqa ka meelaad aaya!

Jo aaj mehfil mein aa-e, man ki muraande woh paa-e!

Sab par karam ho Khudaaya, Aaqa ka meelaad

iiiiiiiiiiaaya! Dil jagmagaane lage hain, sab muskuraane lage hain…

Ek kayfasa aaj chaaya, Aaqa ka meelaad aaya!

Mere Nabi piyaare Nabi hai martaba baala tera

Jis jaan ko-ee pahuncha nahi pahuncha wahaan talwa iiiiiiiiitera

Ya Saraware dunya-o-deen tujh sa Nabi ko-ee nahi

Ba’ad az Khuda Maahe Mubeen saani nahi wallah

iiiiiiiiitera

Tera saraapa Ya Nabi tafseer hai Qur’aan ki

Wallayl-o-Taahaa jabeen Wash-shams hai chehra tera Sar kash jo the maa-il huwe dushman jo the qaa-il

iiiiiiiiihuwe

Mash-hoor kun tha kis qadar Ya Mustafa lehja tera

Rahmat thi pure josh par main bhi na tha kuch be-

iiiiiiiiikhabar Tujh ko tujhi se maang kar ach-cha raha mangta tera

Khairaat deta hai Khuda har waqt tere naam ki Jis ko mila, jo kuch mila, jitna mila sadqa tera Jaa-en kahaan ye be-nawaan dar chor kar tera shahaa Dar, dar pe woh jaata nahi jis ne bhi dar dekha tera

Page 13: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Naseeb chamke hain farshiyon ke Ke arsh ke chaand aa rahen hain Jhalak se jin ki falk hai rauwshan Woh shams tashreef laa rahen hain Hai wajd mein aaj daaliyaan kiyun Ye raqs patton ko kiyun hai shaayad Bahaar aa-ee ye muzhda laa-ee Ke haq ke Mahboob aa-rahen hain Nisaar teri chehel pehel par Hazaar Eiden Rabi-ul-Auwwal Siwaa-e iblees ke jahaan mein Sabhi to khushiyaan mana rahen hain Habib-e-haq hain Khuda ki ne’mat Bi ne’mati Rabbika fahaddis Khuda ke farmaan par amal hai Jo bazm mauwlid sajaa rahen hain Main tere sadqe zameen-e-bat-ha Fida na kiyun tujh pe ho zamaana Ke jin ki khaatir bana zamaana Woh tujh mein aaraam paa rahen hain

Jo qabr mein apni un ko paa-o Pakar ke daaman machal hi jaa-o Jo dil mein rah kar chupe the mujh se Woh aaj jalwaa dekhaa rahen hain

Aaminah ka laal aaya, Aaminah ka laal aaya, …

Aa gaya woh noor waalaa jis ki oonchi shaan hai Jis ki mid-hat mein utaara Rab ne ye Qur’aan hai Ho bayaan kaise fazeelat Aaminah ke chaand ki Us ki to har har adaa par bolta Qur’aan hai Aaminah tujh ko mubaarak tere ghar jalwah figar Aaj woh maahe Risaalat Nabiyon ka sultaan hai

Sang reze bol uthe jab hukm ho Sarkaar ka

Dekh najdi un ki to path-thar ko bhi peh-chaan hai Jis ki haybat se pahaaron par ho taari zal-zale

Seena-e Mahboob par utra yahi Qur’aan hai

Jo kaha mere Nabi ne woh hamesha sach huwa

Hu bahu saabit ye karta aaj saa-ins-daan hain

Huzoore shaahe waalaa ki inaayat kam nahi ho ti Woh bakh-shish karte rahte inaayat kam nahi ho ti Jo kachra daalte un par gar beemaar ho jaa-en Ayaadat phir bhi karte hain ayaadat kam nahi ho ti Ali bistar pe lete hain agar che jaan khatre mein Amaanat ka khayaal aisa hifaazat kam nahi ho ti Safe mehshar mein bakhshe jaate hain mujrim

iiiiiiiiishafaa’at se Shafaa’at ho ti rahti hai shafaa’at kam nahi ho ti Sare meezaan halki tole woh bhaari karaate hain Gunahgaaron tumhe muzhda himaayat kam nahi ho ti Ujaala dil mein rahta hai teri yaadon ke deepak se Woh khalwat bhi to kaisi hai ke jalwat kam nahi ho ti Simat jaa-en lipat jaa-en zameen jitni ye duree hai Ujaagar haa-e Taybaah se musaafat kam nahi ho ti

Page 14: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Ya saahibal jamaal wa ya sayyidal basher

Meunw waj-hikal muneerina qadmon mein ran qamar Woh noor jalwagar huwa jab Aamina Zulmat jahaan se ho-ga-ee kaaboor sar ba sar Be-misl-o-be-misaal hai be-shak tumhaari zaat Khatmur Rusul Habeebe Khuda Sayyidul bashar Dunya taras rahee thi tumhe rahmate Khuda Aane ko warna aa-ega zaaro payaam par Un ka jamaal dekhne ko haq ata kar Salmaan ka zauwq Hazrate Siddique ki nazar Har ek ka tum ne daamane ummeed bhardiyaa Ai Rahmate Khuda meri jaanib bhi ek nazar Har zarrah kaa-inaat ka hai taab naak shams Laarayb aagaya hai ko-ee ghairate qamar

Ya Ilaahi har jagah teri ata ka saath ho Jab pare mushkil shahe mushkil kusha ka saath ho Ya Ilaahi bhool jaa-oon naz’a ki takleef ko

Shaadiye deedaar husne Mustafa ka saath ho

Ya Ilaahi gor-e-teerah ki jab aa-e sakht raat Un ke piyaare moonh ke sub-he jaan fiza ka saath ho Ya Ilaahi jab pare mahshar mein shor-e-daar-o-geer Amn dene waale piyaare peshwaa ka saath ho Ya Ilaahi jab zabaane baahar aa-en piyaas se Saahibe kauwsar shahe jood-o-ata ka saath ho Ya Ilaahi garmiye mahshar se jab bharken badan

Daamane Mahboob ki thandi hawa ka saath ho

Ya Ilaahi naama-e a’amaal jab khulne lagen Aib poshe khalq sattaare khataa ka saath ho Ya Ilaahi jab bahen aankhen hisaabe jurm mein Un tabassum rez honton ki du’a ka saath ho

Ya Ilaahi jab chaloon taareek raahe pulsiraat Aaftaabe haashmi noorul huda ka saath ho Ya Ilaahi jab sare shamsheer par chalna pare Rabbe sallim kehne waale ghamzuda ka saath ho Ya Ilaahi jo du’a-en neyk main tujh se karoon Qudsiyon ke lab se aamin Rabbana ka saath ho Ya Ilaahi jab Raza khwaabe giraan se sar uthaa-e

Dauwlate be-daar ishqe Mustafa ka saath

Bandah milne ko qareebe Hazrate Qaadir gayaa

Lam’a-e baatin mein gumne jalwa-e zaahir gayaa Teri marzi paagaya sooraj phira ulte qadam Teri ungli uth ga-ee mahka kaleja chir gayaa

Teri rahmat se Safiyullah ka bera paar thaa

Tere sadqe se Najiyullah ka bajra tir gayaa

Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka Teri haybat thi ke har but thar-tharaa kar gir gayaa Mo’min un ka kiya huwa Allah us ka ho gayaa Kaafir un se kiya phiraa Allah hi se phir gayaa Main tere haathon ke sadqe kaysi kankariyaan thi woh Jin se itne kaafiron ka daf-atan munh phir gayaa

Kiyun janaabe Bu-Huraira kaisa thaa woh

jaame sheer Jis se sattar saahibon ka doodh se munh phir gayaa

Qaafilah to ai Raza auwwal gayaa aakhir gayaa

Page 15: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

The one who is permitted to permutation

Has arrived today with ultimate perfection None can describe his eternal distinction ‘Cause his excellence is beyond imagination The one whose exterior defeated elucidation Was revealed to each and every invention What then will be of his interior decoration Which Allah Himself made to endure depredation He who guided his raging opposition In the worst imaginable spiritual habitation To the path of definite and the only salvation By Allah was he presented in the best presentation He whose attributes defeated coalition Dominated the creation in the brightest condition If this was enough for his followers proliferation What then will be of his manifest illumination? He can be declared as the greatest benediction Sent to the creation as the greatest compassion Why then must we not partake in his commemoration? It is he who marked the creation’s inception

He whose eternal sweet scented perspiration Encompassed the universe in the minutest duration Emerged in a city of spiritual habitation Which marked the greatest spiritual inclination Even in this period of rapid modernization His flawless life is used for one’s facilitation ‘Cause it is the only life in Allah’s commendation This is why there are myriads in his prosecution Prior to his mundane accommodation Islam was thought to be a falsification As soon as his presence marked the greatest Sanctification We received the treatment of irradiation The phase of the spiritual mammoth inversion Was in fact the phase of Islamic fertilization His elegantly perfect life was its irrigation Which acknowledged Islam’s predomination Anybody who thought of his pulverization Became a shareholder of his propitiation And always respected his purification This is why he is our greatest reception

Afsos to rukhsat huwa maahe mubaarak, alwada! Ro, ro ke dil ne yoon kaha, maahe mubaarak alwada! Muddat se the ham muntazir shukr Khuda ayaa to

iiiiiiiiiiiphir Parhayf jaldi chaldiya, maahe mubaarak alwada! Tujh mein shabe qadr ek thi sada mahinon se bhali Salle ‘ala, salle ‘ala, maahe mubaarak alwada! Jannat ke darwaaze khule dozakh ke darwaaze band

iiiiiiiiiiihuwe Khaaliq ki thi kiya, kiya ata, maahe mubaarak alwada! Qur’aan bhi naazil huwa ham ko sharf haasil huwa Ai waa-e main ghaafil raha, maahe mubaarak alwada! Jo farz ada tujh mein Karen ujar us ko sattar ka mile Tha yamno rahmat se bhara maahe mubaarak

iiiiiiiiiiialwada! Aasi rozahdaar par pahunchengi jab naare saqar Ban kar sipar legi bacha maahe mubaarak alwada

Ta’areef kiya ko-ee kahe khaali nahi tha fazl se Roz-o-shab-o-subh-o-masa, maahe mubaarak alwada! Mamdooh Rabbul A’alameen mausoof khatmul mursaleen Ai shaafi’e roze jaza, maahe mubaarak alwada! Ab kooch hai peshe nazar aankhon mein ashk aaten

hain bhar Karta hai dil aah-o-bakaa, maahe mubaarak alwada! Tu maahe istighfaar ka auwr taa’at ghaffaar ka Kuch bhi na ham se ho saka, maahe mubaarak alwada! Gar zeest hai phir paa-enge warna bahoth

pastaa-enge Tu ab to rukhsat ho chala, maahe mubaarak alwada!

Page 16: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai

Sar suwe roza jhuka phir tujh ko kiya? Dil tha saajid najdiya phir tujh ko kya? Baith-te uth-te madad ke waaste

kahaa phir tujh ko kiya?

Be khudi mein sajdah darya tawaaf Jo kiya ach-cha kiya phir tujh ko kiya? Ya ibaadi keh ke un ko shaah ne Apna banda kar liya phir tujh ko kiya? Dev ke bandon se kab hai ye khitaab! Tu na unka hai na tha phir tujh ko kiya? Najdi marta hai ke kiyun ta'azeem ki? Ye hamaara deen tha phir tujh ko kiya? Dev tujh se khush hai phir ham kiya Karen? Ham se raazi hai Khuda phir tujh ko kiya? Dev ke bandon se ham ko kiya gharaz?

Ham hai abul Mustafa phir tujh ko kiya?

Teri dozakh se to kuch cheena nahi! Khuld mein pahuncha Raza phir tujh ko kiya?

Wahi Rab hai jis ne tujh ko hamatan karam banayaa Hame bheek maangne ko tera aasta batayaa Tujhe hamd hai kudayaa! Tum-hi haakima baraayaa, tum-hi qaasime ataayaa Tum-hi daafi'e balaayaa, tum-hi shaafi'e ataayaa Ko-ee tum sa kon aayaa!

Woh kunwaari paak Maryam woh nafakht

iiiiiiiiiiifeeh ka Adam

Hai ajab nishaane aazam magar Aamina ka

iiiiiiiiiiijaaya Wahi sab se afzal aayaa! Yahi bole sidra waale chamane jahaan ke thaale Sabhi main ne chaan daale tere paayeh ka na paayaa Tujhe Yak ne yak banaaya! Are ai Khuda ke bando ko-ee mere dil ko dhoondo Mere paas tha abhi to abhi kiya huwa Khudayaa Na ko-ee gayaa na aayaa! Hame ai Raza tere dil ka pata chala ba mushkil Dare roze ke muqaabil woh hame nazar to aayaa Ye na pooch kaisa paayaa!

Page 17: Agar Dil Mein Ishqe Muhammad Nahi Hai