160
HAZRAT JI MAULANA MUHAMMADILYAAS SAHAB MURATTIB: MAULANA MUHAMMAD MANZOOR NOMANI SAHAB MUTARJIM: ABDUL WARIS JAMEA ISLAMIA, LABASA, FIJI. DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

  • Upload
    others

  • View
    33

  • Download
    0

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

HAZRAT JI MAULANA MUHAMMADILYAAS SAHAB

MURATTIB: MAULANA MUHAMMAD MANZOOR

NOMANI SAHAB

MUTARJIM: ABDUL WARIS

JAMEA ISLAMIA, LABASA, FIJI.

DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

Page 2: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

NAME KITAAB:MALFUZAAT

HAZRAT JI MAULANA MUHAMMAD

ILYAAS SAHAB

MURATTIB: MAULANA MUHAMMAD

MANZOOR NOMANI SAHAB

MUTAIJIM: ABDUL WARIS

JAMEA ISLAMIA,

LABASA, FIJI.

SAFHAAT:160

QEEMAT:

NASHIR:

DARUL IFTA

JAMEA ISLAMIA

Page 3: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

3 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Malfuzaat

Arze Mutarjim

و ودحى الأرض بمشيتو وخلق الخلائق تالحمد لله الذى رفع السماء بقدر ليس لو بديل ولامثيل ولاشريك ولامشارك بإرادتو واستوى على العرش بقوتو

ونشهد ألا الو الله وحده لاشريك لو ونشهد أن سيدنا ومولانا محمد والو وأصحابو أجمعين إلى يوم الدين أما بعد

Allah rabul izzat ka be intiha fazal wakaram wa ehsaane

azeem hai jis ne dunya ke sab se pahele insaan hazrat

Aadam alaihis salam se le kar qiyamat tak aane wale

tamaam insano ko paeda kiya aur phir ek mukhtasar se

imtihan ke liye is dunya me bhej diya aur us ki hidayat ke

liye bahot sare ambiya ko mab’oos farmaya jinho aakar

insaniyat ko jihalat wa kufur ke andhero se nikaal kar Allah

Tala ki zaate ‘aali aur aakhirat ki nemato ki taraf dawat

dekar chale gaye aur phir sab se aakhir me hamare aaqa

Hazrat Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ko

mab’oos farmaya. Aur yaad rahe ke Aap sallallahu alaihi wa

sallam par nabuwat ka darwazah band ho gaya is liye

Ummat-e-Muhammadiyah faraiz-e-nabuwat me se da’wat-

e-khair aur amar bil-maruf aur nahi anil munkar me nabi ki

jaan-nasheen hai. Is liye Rasul-e-kareem alaihis salaatu wat-

tasleem ko kaar–e-nabuwat ke jo faraiz ata huwe hai,

tilawat-e-ayat ke zariya dawat, tazkiyah aur talim-e-kitab wa

hikmat, yeh aamaal ummat-e-muslimah ke bhi zimmah

aagae.

Page 4: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

4 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Chunanche Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne apni

ummat ko dawat, taleem wa ta-allum, zikar-o-ibadat par

jaan wa maal kharch karne wala banaya. In aamaal ko

doosre ashgaal par tarjeeh di gai aur har haal me un aamaal

ki mashq karai gai. In aamaal me inhimak ke sath takaalif

aur shadaid par sabar sikhaya gaya. Doosro ko nafa

pahuchane ke liye apna jaan wa maal lagane wala banaya

gaya aur

وَجَاىِدُوْا فِي الِله حَقَّ جِهَادِهِ

aur Allah tala ke deen ke liye mehnat aur koshish kiya karo

jaisa mahnat karne ka haq hai, ki tameel me nabiyo wale

mizaj par riyazat–o-mujahidah aur qurbani wa esaar ke wo

naqshe tai-yaar huwe jin me ummat ka aalaa tarin majmuah

wujud me aaya. Jis daor me Nabi Karim sallallahu alaihi wa

sallam wale yeh aamaal majmuee taor par umoom-e-ummat

me zindah rahe us daor ke liye khair-ul-quroon ki shahadat

di gai.

Phir qarnan bad-e-qarn khawas ne yani akabir-e-ummat ne

in nabawi faraaiz ki adaigi me puri tawaj-ju aur koshish

mabzool farmai aur unhi ki mujahidat ka noor hai jis se

kashana islaam me roshni hai.

Is daor me Allah jalla shanuhu ne Hazrat Maulana

Muhammad Ilyaas rahmatullah alaih ke dil me deen ke

mitne par soch wa fikar wa be chaini aur ummat ke liye

dard, kurhan aur gam us darje me bhar diya tha jo un ke

Page 5: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

5 MALFUZAAT -----------------------------------------------

waqt ke akabir ki nazar me apni misaal aap tha. Wo har

waqt Nabi Karim sallallahu alaihi wa صلى الله عليه وسلمجَميع ما جاء بو النبي

sallam jo tariqe allah rabbul izzat ki taraf se laae hai, un sab

ko saare aalam me zinda karne ke liye muztarib rahte the

aur wo is baat ke pure jazam ke saath daee the ke ihya-e-

deen ke liye jid-do-jahad usi waqt maqbul aur muas-sir ho

gai jabke jid-do-jahad me Rasullullah sallallahu alaihi wa

sallam ka tariqa zinda ho. Aise da’ee taiyaar ho jo apne ilm

wa amal, fikr-o-nazar tariqe dawat aur zaoq-o-haal me

ambiyaa alaihimus salaam aur khususan Muhammad

sallallahu alaihi wa sallam se khaas munasibat rakhte ho.

To hazrat maulana Manzoor jo ke hazrat maulana

Ilyaas sahab ki sohbat se faezyaab hone walo me se

hai the unho ne hazrat ki beesh qimti malfuzaat ko

apne hattal wasa’ koshish aur Allah ki tawfeeq se

ummat ke liye jama kiya tha jis ka mutala’a is waqt me

har muballigeen ke liye nafa se khali nahi. Kiyuke

hazrat maulana ilyaas is ummat ko صلى الله عليه وسلمجَميع ما جاء بو النبي

par lane ke liye har waqt gamgeen rahete the jis ki tufael se

aaj Allah rabbul izzat ne mujh jaese nachez ko bhi aaj ke is

daor me imaan ki hararat me baqi rakkha hai warna is waqt

wo kaon se gunah nahi ho raha hai ke jis ki bina par pichle

ummato ko halaak kar diya gaya tha, aur jaha tak mujhe is

baat ka ‘ilm hai ke muballigeen hazrat is waqt jo bhi is sar

zameen par naqal wa harkat me lage hai wo sab hazrat ki

qurbaniyo se waqifiyat rakhte hai aur zaroor ba zaroor un ke

Page 6: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

6 MALFUZAAT -----------------------------------------------

dilo se to hazrat ke liye dua’ee nikalti hogi kiyuke hazrat ne

nabi wala mehnat ke metne ka gam ko apna gam aur usko

zinda karne ki fikar ko apna fikar banaya tha,

Aur hamare Fiji ke log aksar wa beeshtar urdu bolte aur

samajhte to hai masha Allah lekin kuch aese hazraat bhi hai

jin ko fikre Nabi صلى الله عليه وسلم ki mashguli ne bachpan hi se is tarah

ghera huwa hai jo urdu bolte aur samajhte to hai lekin urdu

alfaaz likhna aur pardhna nahi jaante, aur ho sakta hai is me

Allah rabbul izzat ki koi bari hikmat hai.jaese ke irshaade

‘azza wajal ‘’ ومن ايتو خلق السموت والارض واختلاف السنتكم se maloom

hota hai to bhar haal un hazraat ki khidmat me jo aksar

English ko isti’maal me laate hai urdu lafz ko English

alphabet me muntaqil karte huwe Hazrat maulana

Mohammad Ilyaas ki malfuzaat ko roman English me

tarjuma karna munasib samajhta hu taake har ek tabqa ke

log is se istifada kar sake

To aakhir iske liye yani urdu alfaaz ko English alphabet

me tabeer karte huwe mae ne apne ustaad mohtaram Hazrat

Maulana Mufti Rafiq Amjad qasimi Sahib damat

barakatuhum ke hukum ki tameel ki aur Allah rabbul izzat

ki zaat se ummeed hai ke is risala ko har ek nazireen ke liye

mufeed banaye aur ahqar ke is haqeer kawash ko apni yaha

qabuliyat ki tawfeeq bakhshe aur mere walidain ko bhi sabit

qadam rakkhe jin ka ehsaan ahqar kabhi bhi nahi chuka

sakta aameen.

Page 7: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

7 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ABDUL WARIS, NADI.

MUTA’ALLIM JAMIA ISLAMIA

LABASA FIJI

Dibacha

Malfuzaat ka murattib saheb malfuzaat ki khidmat me..

Maulana ka naam to mai ne apne talibe ’ilmi ki zamana

hi se suna tha lekin aakho se dekhne ka ittifaaq jaha tak

parta hai paheli dafa shayad Ramzaan .san tereppan hijri

me huwa.is ke baad chaar ya paanch saal tak bagaer qasd wa

talab ke mahaz ittifaqi taor par galiban kai dafa ziyarat wa

mulaqaat ki nawbat aayi. Lekin un ka sarsari aur ittifaqi me

mai is se ziyada kuch nahi samajh saka ke maulana ek

mukhlis ’aalime deen hai, purane tarz ke sidhe aur naye

buzrugo ka namuna hai, aur zamane ke taqazo aur aham

waqti deeni zarurato se waqif na hone ke bawajood

musalmaano ki deeni islaah ka sadiq jazba aur sacchi tarap

apne andar rakhte hai.

Bahar haal un mulaqato me na mai maulana ki shakhsiyat se

muta-assir huwa aur na mai ne un ki deeni da’wat wa

tahreek ki koi khaas ahmiyat samjhi. Yaha tak ke galiban

san atthawan hijri me deeni waqti taqazo ko khoob

samajhne wale ek bare rawshan dimaag aur sahabe qalam

Page 8: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

8 MALFUZAAT -----------------------------------------------

’aalime deen ne khud maulana se mulaqaat kar ke aur un ki

da’wat wa tahreek ke khaas halqaye ’amal mewaat ja kar

tahreek ki ’amli surat aur us ke asaraat wa nataij ko dekh ke

apni raye aur apni ta-assuraat ek mazmoon me likkhi.---jaha

tak yaad parta hai kam az kam raqime sutoor ki nazar me is

tahreek ki ahmiyat sab se pahele isi mazmoon se paeda

huwi.

Is ke kuch dino baad(ziqa’da san atthawan hijri me)Maulana

ki ziyarat aur unki tableeghi jaddu jihaad se barahe raast aur

tafseeli waqifiyat hasil karne hi ki niyat se delhi ka ek safar

rafeeqe muhtaram saiyad abul hasan ali nadawi aur ek deeni

doost molowi abdul wahid sahab M A ki ma’eyat me kiya---

lekin ittifaaq ki baat ke delhi pahonchne hi me mere makaan

se fawri talabi taar mila, aur mai un dono rafiqo ko chor kar

maulana se mile bagaer hi wapas ho gaya.mere dono rafiqo

ne isi safar me maulana se pahele tafsili mulaqaat bhi ki aur

mewaat ja kar un ke tablighi kaam ke tarz aur us ke asaraat

wa nataaij ka bhi mutala’a kiya.

Maulana Saiyad abul hasan ali apni fitri sa’adat aur deeni

shaksiyato se khaas tab’ee munasibat ki wajha se is paheli

hi mulaqaat me maulana ki shaksiyat aur un ke tablighi

kaam se bahot ziyada muta-assir hokar wapas huwe, aur

apne khutoot ke zari’a mujhe bhi muta-assir aur maulana ki

taraf mutawajjha karne ki unho ne koshish ki.lekin chuke

mai maulana ko kai baar dekh chuka tha aur muta’adddid

mulaqato me un ki bate bhi sun chuka tha aur apni hi kam

nigahi ki wajha se kuch ziyada muta-assir na hosaka tha is

liye maulana ali ke in khutoot ka bhi mujh par koi khaas

asar nahi par saka. Ha itna zaroor huwa ke maulana ke deeni

Page 9: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

9 MALFUZAAT -----------------------------------------------

da’wat se tafsili waqifiyat hasil karne ka jo da’eya aur

ishtiyaaq pahele paeda ho chuka tha maulana ali ke un

khutoot se is me kuch izafa ho gaya.

Kuch dino baad mewaat ke elaqa me ek bahot bare tablighi

ijtima ki tajweez huwi, mujhe bhi talab farmaya gaya.aur

mai apni zati shaoq se shareek huwa mujhe ’etaraaf hai ke is

safar ki mukhtalif sohbato me maulana ki bate sunne aur

mewaati qaom me wase ’paemane par gaere ma’muli deeni

tagaiyur ke asaraat apni aankho se dekhne ki wajha se

maulana ki shakhsiyat aur un ki tablighi tahrek ko mai

pahele se ziyada waqe’ samajhne laga, lekin phir bhi mai

etna muta-assir nahi huwa ke apne ko is kaam se muta’alliq

karne ka faesla kar leta.

Aage ki sar guzasht sunane se pahele apna ek khaas haal

suna dena yaha zaruri samajhta hu. Waqi’a ye hai ke hazrat

mujaddide alfe sani , hazrat shah waliyullah, hazrat saiyad

ahmad shaheed, hazrat shah ismaeel shaheed, hazrat

maulana rasheed ahmad gangohi, jaese mashaikh aur a-

immaye sulook wa tasawwuf se agarche mujhe bari gaheri

’aqidat thi aur islami hind ki ye chand shakhsiyate mere dil

wa dimaag par chaai huwi thi lekin nafse tasawwuf ki taraf

se mujhe itminaan na tha, balke tabi’at ko is se ek darja

tawahhush tha aur zahen me is ka kuch ’ilmi ishkalaat bhi

the-----san baasath hijri ke awaakhir ya baasath hijri ke

awaail me qaza wa qadar ke ek faesle ne mere liye ek aesi

surat paeda kardi ke ek sahabe irshaad buzrug (jin ko mai

khasane khuda aur ahle yaqeen wa ikhlaas me se samajhta

hu) ki khidmat me qariban ek hafta mujhe qiyaam karna

Page 10: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

10 MALFUZAAT -----------------------------------------------

para---mawqa ko ganimat jaan kar ek din mai ne tasawwuf

aur us ke khaas ’amaal wa ishtigaal ke muta’alliq apne

khiyalaat ’arz kiye, apni tasalli ya tashaffi ke liye nahi balke

baza’me khud goya ke un buzrug ke haal aur khiyaal ki

islaah ke liye, lekin Allah us bande ne ’ajeeb tareeqe ’elaaj

ikhtiyaar kiya, tafseel to bahot lambi hai aur us ka zikar ka

ye mauqa bhi nahi , bas ijmalan sirf natija sun li jiye ke do

teen din me wo sari ishkalaat khatam hogaye aur maloom

huwa ke ye sare wasaais aur ’eterazaat khud hi galat

fahmiyo ka natije the.

Ye chand roz jo in buzrug ki khidmat me guzre meri zindagi

me ek moor ki haisiyat rakhti hai—phir mai jab un buzrug

se rukhsat hone laga to unho ne bari shafqat aur mohobbat

ke saath mujhe takeed farmai ke’’ hazrat dehlawi ‘’ke yaha

tum ziyada jaya karo aur un se milte raha karo ----ye buzrug

hazrat maulana Muhammad ilyaas ko’’hazrat dehlawi’’ hi

ke naam se yaad karte hai----mai ne ’arz kiya ke mai unki

khidmat me kai baar hazir huwa hu aur mere dil me un ka

pura ihtiraam hai lekin mai un se ziyada muta-assir na ho

saka hu---meri zubaan se ye sun kar un buzrug ne hazrat

maulana ke muta’alliq bahot buland kalimaat farmaye jink a

hasil galiban ye tha ke Allah ka khaas ta’alluq ba ek waqt

bahot se bando se bhi hota hai lekin khaassul khaas ta’alluq

bas kisi kisi ke saath hota hai. Aur mere khiyaal me is waqt

hazrat dehlawi ke saath Allah ka ta’alluq khaasul khaas

qisam ka hai.

Mai chuke un buzrug se bahot ziyada kuch muta-assir ho

chuka tha is liye hazrat maulana ilyas ke muta’alliq un ki

Page 11: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

11 MALFUZAAT -----------------------------------------------

zubaan se ye kalimaat sun kar mai ne irada kar liya ke yaha

se ab insha Allah delhi ho ke aur maulana ki ziyarat kar ke

makaan wapas jaaonga. Chunanche mai waha se siddha

delhi gaya. Hazrat maulana un dino sakht bimar the, kai

dino se giza bhi nahi huwi thi. Zuf ka ye ’alam tha ke zara

khare hote to taange larazne lagte. Mai jab hazire khidmat

huwa aur salaam ke baad musafaha ke liye haath barhaya to

bajaye musafaha farmane ke bistar se uth kar mere dono

haath pakar ke hazrat khare hogaye. Mai ne ba israar ’arz

kiya ke aap aaraam farmaiye aap ki tabi’at nasaz hai ----

farmaya.

‘’ kuch nahi hai, bas tum hi logo ka bimaar dala huwa hu,

tumhara hi sataya huwa hu, tum aajao, deen ka kaam karne

lago, insha Allah accha ho jaonga’’.

Qissa mukhtasar, maulana ne mere haath us waqt chore jab

mai ne wada kar liya ke insha Allah aaonga aur waqt donga.

Jaha tak yaad hai ke is dafa me galiban sirf ek shab wa roz

maulana ki khidmat me raha, aesi sakht bimari aur is darja

ki kamzori me maulana par deen ki fikar ka mai ne jaesa

galba dekha aur deen ke saath un ke jis ta’alluq ka andaza

huwa us ne mujhe bahot muta-assir kiya aur mai ye tay kar

ke wapas aaya ke maulan ko Allah ta-ala is marz se sehhat

de to mai un ke kaam me shareek ho kar kuch waqt un ki

khidmat me guzarunga.

Is marz se sehhat ke baad jamadil ukhra san baasath hijri me

mewaat me ek tablighi ijtima tay huwa. Ittila’a milne par ye

Page 12: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

12 MALFUZAAT -----------------------------------------------

’aajiz bhi delhi pahonch gaya, rafeeq mohtaram maulana ali

bhi aa gaye.

Allah ta-ala maulana Ehtishaamul Hasan ko jazaye khaer

de, galiban unho ne hi tajweez kiya ke ham dono maulana

ke sath ek car me jaye, maulana ke nihayat mukhlis muhib

shafe’ sahab quraeshi ki ye car thi aur bahot choti qisam ki

thi. Is me hazrat maulana aur ham dono ke siwa sirf ek

quraeshi sahab hi aur the aur wahi car chalane wale the.

Car nizaamuddeen se rawana huwi aur hazrat maulana ke

irshadaat wa ifadat ka silsila shuru huwa.thori hi deer mu

mujhe ye khayaal huwa ke maulana ki ye baate khud yaad

rakhne aur doosro tak pahonchane ke laaiq hai lihaza inhe

likh lena chahiye. Chunanche car hi me jeeb se pensil kagaz

nikala aur khaas khaas bato ko note karna shuru kar diya.

Manzile maqsood par pahonchne tak ye silsila barabar jari

raha.

Maulana ki malfuzaat ki ye paheli qist thi jo mai ne is safar

me qalam band ki. Is ka ek hissa rajab san baasath hijri ke

alfurqaan me maulana ki hayaat balke tandrusti hi me un ki

ijazat se sha’ee huwa. Is majmu’a ki paheli aur doosri qist is

hi malfuzaat par mushtamil hai.

Mewaat ke is safar se qariban ek mahina baad lakhnao aur

kaanpur ke tablighi daore me bhi ek hafta hazrat maulana ki

hamrai naseeb rahi. Is safar me bhi baaz irshadaat note kiye

aur is majmu’a ki teesri qist hi malfuzaat par mushtamil hai.

Page 13: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

13 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Is ke kuch ’arsa baad maulana mareez hokar sahibe firaash

ho gaye aur rajab san taresath hijri me wafaat par us ki marz

ki intiha huwi.

رحمة الله جعالي رحمة الابرار الصالحين

Wisaal se qariban chaar mahine pahele rabi’ul awwal ya

rabe’ussani me marz ki shiddat aur nazakat ki ittila’a pa kar

hazire khidmat huwa. Husne ittifaaq se un dino mere wo

makhdoom aur muhsin buzrug bhi maulana ki ’iyadat ke

liye tashreef laye huwe the jinho ne mujhe maulana ki

khidmat me hazire ki takeed farmai thi. Jab wo tashref le

jane lage to mujhe alag bula kar farmaya:.

‘’molwi sahab! Aur kaam to umar bhar karo ge, is waqt

jetna ho sake un ke paas pare raho, aaj kal ye bare miya

hazaro meel roz ki raftaar se ja rahe hai’’.

Un ke is irshaad par mai ne tay kar liya ke ab maulana ki

bimari me insha Allah yahi rahunga aur hafta ’ashara ke

baad risala aur daftar ki zaruriyaat ki dekh bhaal ke liye do

chaar din ke waaste bareli ,us zamana me mera qiyaam

barelwi me tha aur risala alfur qaan wahi nikalta tha. chala

jaya karunga. Chunanche yahi mamool raha, aur majmu’e

taor par galiban do mahine se kuch ziyada maulana ke

marzul wafaat me mera qiyaam raha. Jamadil ukhra san

baasath hijri ke safre mewaat aur rajab san baasath hijri ke

safre lakhnao wa kaanpur ke malfuzaat ke siwa is majmu’a

ke tamaam malfuzaat hazrat ke marzul wafaat hi ke hai------

albatta chawthi qist ke tamaam malfuzaat maulana zafar

sahab thanwi ke murattab kiye huwe hai.maulana mawsoof

hazrat maulana ke aakhri marz me pura ek mahina

Page 14: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

14 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nizaamuddeen me maulana ke paas muqeem rahe the

ihtimaam se hazrat ke malfuzaat qalam band farmate the.

Maulana ki is bimari me un ke jin ahwaal wa kaifiyaat ka

mushahida huwa ye waqi’a hai ke un se salf ke un bahot se

waqi’aat ka yaqeen ho gaya jin ko tazkiro ki kitabo me

pardha tha lekin un ki sehhat par itminaan na hota

Bahot si bate jin ka mujh jaesa zaheni bagi qaael na ho sakta

tha, maulana me un bato ko apni aankho se dekh ke qaail ho

jana para. Us waqt ke apne ta-assuraat ka hasil apne maqala

‘’ meri zindagi ke tajurbe ‘’ me likh chuka hu.agarche

shakhsiyat aur khususiyat aese shakhsiyat ke qaaim maqaam

koi cheez bhi nahi ho sakti, lekin ummeed hai ke rafiq

muhtaram saiyad abul hasan ali ki murattab ki huwi hazrat

ki sawaneh aur malfuzaat ke is mukhtasar se majmu’e ke

mutala’a se nazireen ko maulana marhoom ki ma’rifat kisi

darja me insha Allah hasil ho sake gi.

Qabil lihaaz chand bate.

(1) maulana Jab guftagu farmate the to ye ’aajiz us waqt

mukhtasar irshadaat me note kar liya karta tha, baad

me kisi fursat ke waqt alfaaz wa ’ibarat apni

yadaasht se likhta tha is liye lafzo me bahot kuch

farq ka imkaan hai, balke bahot se maqamaat par

nazireen ko samjhane ke khiyaal se daansta bhi

alfaaz me kuch tagaiyur kiya gaya hai, kiyuke

maulana marhoom ki ílmi zubaan aur makhsoos

Page 15: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

15 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tarze ada ko basa awqaat qareeb rahene wale

khawaas hi samajh sakte the’

(2) aksar aesa hota tha ke maulana ka silsilaye kalaam

jaari hota tha, lekin mai us waqt likhne ki taraf

tawajjha karna munasib nahi samajhta tha, aur ye

khiyaal kar leta tha ke insha Allah baad me hafiza se

likkhunga, lekin yaad nahi aata tha ke phir kabhi us

ki nawbat aayi ho, is liye ye waqi’a hai ke is ’aajiz

ne yaad rakhne aur likhne ke qabil hazrat ke jo

irshadaat sune ye malfuzaat jo is choti si kitaab me

murattab kar ke peesh kiye ja rahe hai ye shayad un

ka daswa hissa bhi nahi hai.

(3) Hazrat maulana ne musalmaano me deeni zindagi

aur imaani roh paeda karne ki jo koshish ek khaas

tarz par shuru ki thi aur jis me aap ne bil aakhir apni

jaan khapadi, maulana ka asli kaarnama wahi deeni

da’wat hai. Aur Alhamdulillah ke maulana marhoom

ke baad bhi wo silsila kam az kam miqdaar aur

kammiyat me daso gune izafa aur taraqqi ke saath

jaari hai, albatta da’wat ke usool aur us ki ruh

(imaan wa ehtesaab) ke tahaffuz ke taraf is tahreek

se khaas ta’alluq rakhne walo ko ziyada se ziyada

tawajjha ki zarurat hai aur is silsile me bahot kuch

rahenumai aur nishaandahi is majmu’e malfuzaat se

bhi ham hasil kar sakte hai aur dar asal yahi is ki

isha’at ka khaas maqsad hai.

Page 16: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

16 MALFUZAAT -----------------------------------------------

والله يقول الحق وىو يهدى السبيل والحمد لله أولا وأخرا

Muhammad Manzoor Nomani

Irshadaate hazrat Maulana Muhammad Muhammad

Ilyaas

Qist nambar ek

(Ye qist hazrat ki hayaat me balke marzul wafaat shuru

hone se bhi sha’e ho chuki hai)

1

Farmaya_ Ambiya ki ummato ki ‘aam halat ye rahi ke ju ju

zamanae nabuwat se un ko bu’d hota tha, deeni

umoor(‘ibadaat wagaera) apni roh aur haqeqat se khali

hokar un ke yahaa mahaz ‘’rusoom’’ ki haisiyat ikhtiyaar

kar lete the aur un ki adaegi bas ek pari huwi rasm ke taor

par hoti thi. Is gumrahi aur be rahe rawi ki islaah ke liye

phir doosre paegambar mab’oos hote the jo us rasmi

haisiyat ko mita kar ummato ko’’umoore deen’’ ki asli

haqiqato aur haqiqi ruhe shari’at se aashna karte the---sab se

aakhir me jab rasool صلى الله عليه وسلم mab’oos huwe to us waqt ki jin

qawmo ka ta’allaq kisi samawi deen se tha un ki halat bhi

yahi thi ke un ke paegambaro ki laai huwi shari’at ka jo

hissa un ke paas baqi bhi tha to us ki haisiyat bhi bas chand

be ruhe rusoom ke majmu’a ki thi un hi rusoom ko asal den

Page 17: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

17 MALFUZAAT -----------------------------------------------

wa shari’at samajhte the. Rasool صلى الله عليه وسلم ne un ‘’rusoom’’ ko

mitaya aur asal deeni haqaaiq aur ahkaam ki ta’leem di.

Ummate Muhammadi bhi ab is bimari me mubtala ho chuki

hai. Is ki ‘ibadat tak me rasmiyat aa chuki hai hatta ke deen

ki ta’leem bhi jo is qisam ki saari kharabiyo ki islaah ka

zari’a honi chahiye thi wo bhi bahot si jagha ek’’rasm’ si hi

ban gai hai—lekin chuke silsilay nabuwat ab khatam ho

chuka hai aur is qisam ki zimmadari ummat ke ‘ulama’’ par

rakh di gai hai jo naibine nabi hai, to un hi ka ye farz hai ke

wo is dalaal aur fasaade haal ki islaah ki taraf khaas taor se

mutawajjah ho aur us ka zari’a hai tashihe niyat, kiyuke

‘aamaal me rasmiyat’’ jab hi aati hai jabke un me lillahiyat

aur shaane ‘abdiyat nahi rahiti aur niyat ki tashih se ‘amaal

ka rukh sahih hokar Allah hi ki taraf phir jata hai. Aur

‘’rasmiyat’’ ke bajaye un me ‘’haqiqat’’ paeda ho jati hai

aur har kaam ‘abdiyat aur khuda parasti ke jazbe se hota

hai----algarz logo ko tashihe niyat ki taraf mutawajjah karke

un ke ‘aamaal me lillahiyat aur haqiqat paeda karne ki

koshish karna ‘ulamaye ummat aur haamilane deen ka is

waqt ek khaas fariza hai.

2

Farmaya-Qur-aan wa hadith me bari ahmiyat ke saath is

haqiqat ka ‘elaan kiya gaya hai ke deen ‘’yusr’’ hai, yani wo

sarasar sahulat aur aasani hai lihaza jo cheez deen me jis

darja zaruri hogi wo usi darja me sahal aur aasaan honi

chahiye. Pas tashihe niyat aur ikhlaas lillah chuke deen

Page 18: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

18 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nihayat zaruri hai balke wahi saare umoore deen ki ruh hai

is liye wo behad sahl hai. Aur yahi ‘’ikhlaase lillah’’ chuke

saare’’sulook’’aur’’tareeq’’ hasil hai is liye ma’loom huwa

ke sulook bhi bahot aasaan cheez hai. Magar yaad rahena

chahiye ke har cheez apne usool aur apne tariqa se sahal

hoti hai.galat tareeqa se to aasaan se aasaan kaam bhi

dushwaar ho jata hai. Ab logo ki galti ye hai ke wo usool ki

pabandi hi ko mushkil samajhte hai aur us se guraez karte

hai. Halaake dunya me koi ma’muli se ma’muli kaam bhi

usool ki pabandi aur munasib tariqe kaar ikhtiyaar kiye

bagaer anjaam nahi pata. Jahaz , kishti,rail, motor sab usool

hi se chalte hai hatta ke handiya roti tak bhi usool hi se pakti

hai.

3

Farmaya_ tariqat ki khaas gayat hai Allah ta-ala ke ahkaam

wa awaamir ka margube tab’ee aur nawahi ka makruhe

tab’ee ho jana(yani aesi kaifiyat paeda ho jana ke ahkaam

wa awaamire elaahi ke baja lane me lazzat wa farhat hasil

ho aur nawahi yani mamnu’aat ke paas jaane se aziyat aur

karahat hone lage) ye to hai tariqat ki gayat baqi jo kuch

hai(yani khaas azkaar wa ishtigaal aur makhsoos qisam ki

riyazaat wagaera) saw wo us tahseel ke zara’e hai lekin ab

bahot se log un zara’e hi ko asal tareeq samajhne lage

halaake baaz to un me se bid’at hai—bahar haal chuke un

chezo ki haisiyat sirf zara’e ki hai aur ye bazaate khud

maqsood nahi hai is liye ahwaal wa muqtazayaat ke

Page 19: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

19 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ikhtilaaf ke saath un par nazre sani aur hasbe maslihat wa

tabdeel zaruri hai albatta jo cheez shair’at me mansoos hai

wo har zamane me yaksa taor par wajibul ‘amal rahegi.

4

Farmaya- faraiz ka maqaam nawafil se bahot buland tar hai.

Balke samajhna chahiye ke nawafil se maqsood faraaiz ki

takmeel ya un ki kotahiyo ki talafi hoti hai. Garz faraiz asal

me aur nawafil un ke tawabe aur foru hai magar baaz logo

ka haal ye hai ke wo faraaiz se to gaflat baratte hai aur

nawaafil me mashgool rahene ka us se badarja ziyada

ehtemaam karte hai. Maslan aap sab hazraat jaante hai ke

da’wat ilal khaer amar bil ma’roof aur nahi anil munkar

garz tableegh deen ke ya tamaam shobe aham faraaiz me se

hai magar kitne hai jo in faraaiz ko ada karte hai lekin

azkaare nafliya me ishtigaal wa inhimaak rakhne walo ki

etne kami nahi.

5

Farmaya_ baaz ahle deen aur ashaabe ‘ilmi ko istigna ke

baab me bara sakht mugalata hai. Wo samajhte hai ke

istigna ka muqtaza ye hai ke agniyaa aur ahle sarawwat se

mutlaqan mila hi na jaye aur un ke ikhtilaat se kulli parheez

kiya jaye –halaake istigna ka mansha sirf ye hai ke ham un

ki dawlat ke hajat mand ban kar un ke paas na jaye aur

taalib jaa wa maal ke liye un se na mile lekin un ki islaah

ke liye aur deeni maqaasid ke liye un se milna aur ikhtilaat

Page 20: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

20 MALFUZAAT -----------------------------------------------

rakhna hargiz istigna ke munafi nahi balke ye to apni darja

me zaruri hai. Haa us cheez se bahot hooshyaar rahena

chahiye ke un ke is ikhtilaat se hamari andar hubbe maal

wa jaa dawlat ki hirs paeda na hojaye.

6

Farmaya_jab koi Allah ka banda kisi amre khaer ki taraf

qadam barhana chahta hai to shaitaan tarah tarah se us ki

mazahimat karta hai aur us ki raah me mushkilaat aur

rokawate daalta hai lekin agar us ki ye mazahimate aur

rokawate na kam rahete hai aur wo bandaye khuda un sab

ko uboor kar ke us kare khaer ko shuru kar hi deta hai to

phir shaitaan ki doosri koshish ye hoti hai wo us ke ikhlaas

aur us ki niyat me kharabi daal ke ya doosri tareqo se us

kaare khaer me jo hissa daar banna chahta hai, yani kabhi us

me riya wa sum’aa (dikhawe aur shorat ki khawaaish) ko

shamil karne ki koshish karta hai aur kabhi doosre agraaz ki

ameezish aur milawat se us ki lillahiyat ko barbaad karna

chahta hai aur us me wo basa awqaat kaamyaab ho jata hai.

Is liye deeni kaam karne walo ko chahiye ke wo us khatra se

har waqt chokanne rahe aur us qisam ke shaitaani wasawis

se har waqt apne dil ki hifazat karte rahe aur apni niyato ke

barabar jaeza lete rahe kiyuke jis kaam me rizaye ilahi ke

‘elawa koi doosre garz kisi waqt bhi shamil ho jaye gi phir

wo Allah ke yaha qabool nahi.

Page 21: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

21 MALFUZAAT -----------------------------------------------

7

Farmaya_ aksar deeni madaaris me ye bari gaflat aur kotahi

hoti hai ke talaba ko pardha to diya jata hai lekin us ke koi

khaas koshish nahi ki jati ke us pardhne pardhane ka jo asal

maqsad (yani khidmate deen aur da’wate ilallah) wo

pardhne ke baad usi me lage—us gaflat ka natija ye hota hai

ke un madraso ke bahot ne honiyaar fazil faragat ke baad

mahaz tahseel ko apna matmahe nazar bana kar ya to tibb

pardhne me lag jaate hai aur ya sarkaari university ke

imtihaan dekar angrezi schoolo teachari ka peesha ikhtiyaar

kar lete hai aur un ke deeni ta’leem par jo waqt aur rupiya

kharch huwa tha aur jo mahnat ki gai thi wo natija ke lihaaz

se us tarah sab gaarat ho jate hai balke basa awqaat wo

dushmanane deen ke kaam aati hai lihaza pardhane se

ziyada ham ko is ki fikar aur koshish karni chahiye ke jo

talaba pardh kar faarig ho wo deen ki khidmat hi me lage

aur ‘ilme deen ke huqooq ada kare apni kheeti me kuch

paeda na ho to ye bhi khasara hai lekin agar paeda hokar

hamari dushmano ke kaam aaye to ye aur ziyada khasare ki

baat hai.

8

Farmaya_sarkaari universityo ke jo imtihanaat molwi fazil

wagaera diye jaate hai ham logo ko un ki qabahat aur un ke

zarare deeni ka pura andaaza aur ehsaas nahi. Ye

imtihanaat amooman isi liye to diye jaate hai ke angrezi

schoolo me nawkri mil sake. Goya hukomate kaafira ne

Page 22: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

22 MALFUZAAT -----------------------------------------------

apne masaleh jo nizaami ta’leem raahij kiya hai aur us se us

ke jo maqasid me un imtihanaat(molowi fazil wagaera) ke

dene se goya maqsad ye hota hai ke un maqasid ki takmeel

ke liye us kafirana nizaam ke mu’aawin balke us ke ujrati

aalaye kaar banne ka istihqaaq paeda kiya ja sake. Gaor

farmaya jaye ;ilme deen par is se bara ilzaam aur us ka is se

galat istimaal kiya hoga ke ‘aadaay deen ke ta’lime nizaam

ki khidmat ka kaam is se liya jaye---goya samajhye ke un

imtihanaat ke zari’a ‘ilme deen ki nisbat Allah wa rasool ke

bajaye kaafiro aur hukoomate kaafira ki taraf ki jaati hai is

liye bare khatarnaak cheez hai.

9

farmaya_ ‘ilm ka sab se pahela aur aham taqaza ye hai ke

aadmi apni zindagi ka ehtesaab kare apne faraaiz aur apne

kotahiyo ko samjhe aur un ki adayegi ki fikar karne lage

lekin agar us ke bajaye wo apne ‘ilm se doosro hi ke ‘ilm ka

ehtesaab aur un ke kotahiyo ke shumaar ka kaam leta hai to

phir ‘ilme kibr wa guroor hai aur jo ahle ‘ilm ke liye bara

muhlika hai.

‘’’kaare khud kun kare begana makeen’’

10

is sawaal par kalaam karte huwe ke musalmaano ko

hukomat wa iqtidaar kiyu nahi bakhsha jata ? farmaya-

Allah ke ahkaam aur awaamir wa nawahi ki hifazat wa

ri’aayat jab ke tum apne zaat aur apne manzile zindagi me

Page 23: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

23 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nahi kar rahe(jis par tumhe ikhtiyaar hasil hai aur koi

majbori nahi hai)to dunya ka nizaam wa nasaq kaesi

tumhari hawala kar diya jaye

Imaan walo ko hukomate arzi dene se to manshaye ilahi

yahi hota hai ke wo Allah ki marziyaat aur us ke ahkaam ko

dunya me nifaaz kare to tum jab apne hudood ikhtiyaar me

aaj nahi kar rahe to hukomat tumhari sapurd kar ke kal ke

liye tum se uski kiya ummeed ki ja sakti hai?

11

Farmaya_ jo log gorvenment ke wafadar aur hami samjhe

jate hai dar haqiqat wo kisi ke bhi wafadaar aur hami nahi

hai balke sirf apne agraaz ke wafadaar hai albatta aaj chuke

un ki wo deeni agraaz maujooda gornamant se puri hoti hai

is liye wo un ke hami aur wafadaar bane huwe hai lekin

agar kal hi ko un ki agraaz gornamant ke dushmano se puri

hone lage to wo usi darja me un ke bhi haami aur wafadaar

ho jayenge warna haqiqi taor par to aesi garz parast log

apni baap ke bhi wafadaar nahi hote hai. To un logo ki

islaah ka tareeqa ye nahi hai ke un ko bura bhala kaha jaye

ya bas gornamant ki mukhalifat par un ko aamaada kiya

jaye un ki asli bimari garz parasti hai aur jab tak ye un me

maujood rahe gi agar gornamant ki himayat unho ne chora

bhi di to apni agraaz ke liye wo kisi aur aesi taqat ke aese hi

wafadaar banenge .is liye karne ka kaam ye hai ke un me

garz parasti ke bajaye khuda parasti paeda ki jaye aur Allah

Page 24: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

24 MALFUZAAT -----------------------------------------------

aur us ke deen ka unhe saccha wafadaar banane ki koshish

ki jaye us ke bagaer un ki bimari ka ‘elaaj nahi ho sakta .

12

Farmaya_ ye qaeda kulliya hai ke har aadmi ko chaen us

cheez ke husool se milta hai jis ki use ragbat aur chahat ho.

Maslan ek shakhs ko amerana zindagi besh qimat khano aur

kapro se hi ragbat hai to us ko un cheezo ke bagaer chaen

wa aaraam naseeb nahi ho sakta lekin jis ko chatai par

baethna bori par sona sada libaas aur sada khana ziyada

margoob ho go zahir hai ke us ko isi me ziyada chaen aur

sukh mahsoos hoga pas jin logo ko rasoolصلى الله عليه وسلمke ittiba me

sada ma’ashrat margoob ho jaye aur un ko isi me lazzat aur

chaen milne lage un par Allah ta-ala ka bara in’aam hai ke

un ka chaen aesi cheezo se wabasta farma diya jo be had

sasti me aur jin ka husool har gareeb wa faqeer ke liye bahot

aasaan hai agar bilfarz hamari gurbat un besh qimat cheezo

me rakh di jati jo dawlat mando hi ko mayassar uaasakti hai

to shayad umar bhar ham be chaen hi rahete.

13

Farmaya_ ham ko hukom hai ke jo maal tum ko is dunya

me diya jaye us ko mat rook yani bukhul mat karo balke

kharch karte raho lekin is shart ki pabandi ke saath ke ye

kharch be jagha bhi na ho aur be salika bhi na ho yani ye

Page 25: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

25 MALFUZAAT -----------------------------------------------

sirf sahih mahal wa masraf me ho aur Allah ke batlaye huwe

tareeqa par aur us ke muqarrar ki huwi hudood ke andar ho.

14

Ek waqt aesa huwa ke shayad barish wagaera ki wajha se

maulana ke yahaa gosht nahi aasaka aur us din mehmaano

me mere ek mohtaram buzrug (jo hazrat maulana ke khaas

azeez bhi ) wo bhi the gosht se jin ki ragbat hazrat maulana

ko ma’loom thi ye aajiz bhi hazir tha mai ne dekha ke

maulana par is ka bahot asar hai ke aaj dastarkhaan par

gosht nahi hai--- mujhe us par ek gaonaye ta’ajjub huwa ke

ye kaon se ta-assur ki baat hai?

Thori deer ke baad usi par qalk wa afsoos karte huwe

farmaya hadith shareef me hai

من كان يؤمن بالله واليوم الأخر فليكرم ضيفو

(jo shakhs Allah aur yaume aakhirat par imaan rakhta ho us

ko chahiye ke wo mahemaan ka ikraam kare) aur ikrame

zaif me se ye bhi hai ke us ki ragbat ki cheez agar muhaiya

ho sakti ho to muhaiya ki jaye.---us ke baad ek khaas dard

ke saath farmaya

أضياف الله وأضياف رسولوفكيف ب

(jis ka matalib ye hai ke jab kisi ke yaha aesi mahemaan

aaye jo sirf Allah wa Rasool صلى الله عليه وسلم ki wajha se aur unhi ke

Page 26: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

26 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ta’alluq aur unhi ke kaam se aati hai to un ka haqq to aur bhi

ziyada ho jata hai)

15

Farmaya_jannat huqooq ka badla hai yani apne huqooq,

apna chaen aur apna aaraam Allah ke liye mitaya jaye aur

apne par takleef bardaasht kar ke doosre ke huqooq ada kiye

jaye(jin me huqooqullah bhi shamil hai)to isi ka badla

jannat hai(isi silsile me farmaya )hadith me irshaad huwa

hai;

حموا من في الأرض يرحمكم من في السماءار

tum zameen walo par raham khao rabbus sama tum par

rahmat farmaye ga

Hadith me do aorato ke do waqi’e bayaan kiye hai jo aam

taor se ma’loom aur mashoor hai .ek ye hai ke kisi badkaar

aur fahisha aorat ne kutte ki khabar giri ki aur us ki piyaas

par taras kha kar kuwe se pani nikaal ke us ko pilaya to

Allah ta-ala ne us ke is fe’l ke ‘ewaz us ke liye jannat ka

faesla farma diya aur ek doosri aorat ne jo badkaar nahi thi

ek billi ko bhuka rakh kar tarpa tarpa kar maar dala to wo

jahannam me daaldi gai.

16

Farmaya_rasoolullahصلى الله عليه وسلمmakka mu’azzama me(qable hijrat)

jo kaam karte the yani chal phir kar logo ko da’wate haqq

Page 27: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

27 MALFUZAAT -----------------------------------------------

dena aur is maqsad ke liye khud un ke paas jana, bazahir

madina taiyiba pahonch kar ye kaam aap ka nahi raha balke

waha aap apna ek mustaqir bana kar baethe, lekin ye aap ne

us waqt kiya jabke makki da’wat ko sambhalne walo aur us

kaam ko ba khubi ke saath anjaam dene walo ki ek khaas

jama’at aap ne taiyaar kardi. Aur phir is kaam hi ka taqaza

huwa ke aap ek markaz me baeth ke is kaam ko nazm ke

saath chalaye aur kaar kuno se kaam le. ‘ala haza hazrat

umar ko madina taiyiba hi ke markaz me muqeem rahena us

waqt durust huwa jabke iraan wa rome ke ‘elaqo me Allah

ke kalima ko sar buland karne ke liye jihaad karne wale

Allah ke hazaaro bande paeda ho chuke the aur zarurat thi

ke hazrat umar markaz hi me rah kar is da’wate haqq aur

jihaad fi sabilillah ke nizaam ko istihkaam ke saath chalaye

17

Farmaya_hadith me hai ke rasoolullah ne hazrat siddiqe

akbar ko ta’leem di ke wo namaaz ke aakhir me Allah ta-ala

se yu ‘arz kiya kare:.

اللهم انى ظلمت نفسي ظلما كثيرا ولايغفر الذنوب الا انت فاغفرلي مغفرة من الغفور الحيمعندك وارحمني إنك انت

yani ae Allah ta-ala mai ne apne par bara zulm kiya hai, aur

tere siwa koi gunaho aur khataho ko bakshne wala nahi, pas

tu mahaz apne fazal wa karam se(jis me goya mere

istihqaaq ko koi dakhal nahi hai) mujhe baksh de aur mujh

Page 28: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

28 MALFUZAAT -----------------------------------------------

par raham farma, bakshne wala aur raham karne wala

yaqinan tu hi hai.

Zara sochiye huzoorصلى الله عليه وسلمne ye dua hazrat abu bakar siddeeq

ko talqeen farmai hai jo is saari ummat me akmal aur afzal

hai aur bil khusoos un ki namaaz khud rasoolullahصلى الله عليه وسلم ke

nazdeek aesi kamil hoti thi ke aap ne un ko khud imam

banaya, ba wajood is ke un ko bhi ye ta’leem farmaya ke

namaaz ke aakhir me Allah ta-ala ke huzoor apni kotahi aur

‘ibadat ka haqq ada naho sakne ka ;eteraaf is tarah kiya

karo, aur is tarah mahaz us ke fazal wa karam se maghfirat

wa rahmat ki darkhaast kiya karo!------phir?

18

Farmaya_ insaan ka qiyaam zameen ke upar bahot kam

hai(yani ziyada se ziyada umare tab’ee ki miqdaar) aur

zameen niche us ko is se bahot ziyada qiyaam karna hai. Ya

yu samjho ke dunya me to tumhara qiyaam hai bahot

mukhtasar, aur is ke baad jin jin maqamaat par taherna hai

maslan marne baad nafkhaye ula tak qabar me, is ke baad

nafkhaye sani tak, us halat me jis ko Allah hi jaanta hai(aur

ye muddat bhi hazaarha baras ki hogi)aur phir hazaarha

baras hi ‘arsaye mahshar me, is ke baad aakhirat me jis

thikane ka faesla ho---------garz dunya se guzarne ke baad

har manzil aur maqaam ka qiyaam dunya se saekaro hi

gunaho ziyada hota hai---phir insaan ki kaisi gaflat hai ke

dunya ke chand rozae qiyaam ke liye wo jetna kuch karta

hai un ko doosre maqamaat ke liye etna bhi nahi karta.

Page 29: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

29 MALFUZAAT -----------------------------------------------

19

Farmaya_ haiqiqi zikrullah ye hai ke aadmi jis mauqa par

aur jis haal aur jis mashgala me ho aur us ke muta’alliq

Allah ke jo ahkaam wa awaamir ho un ki nighedaasht

rakkhe aur mai apne doosto ko isi ‘’zikr’’ ki ziyada takeed

karta hu.

20

Farmaya_insaan ko apne ma siwa par jo imtiyaaz wa

tafawwuq hasil hai us me zubaan ko khaas dakhal hai. Ab

agar zubaan se aadmi acchi hi bate karta hai aur khaer hi me

us ko isti’maal karta hai to ye imtiyaaz aur tafawwuq us

khaer me hasil hoga, aur agar zubaan ko us ne aalaye shar

bana rakkha hai, maslan buri baate bakta hai aur na haqq

logo ko eza deta hai to phir isi zubaan ki badawlat wo shar

me mumtaaz aur bala tar hoga, hatta ke kabhi kabhi yahi

zubaan aadmi ko kutte aur khinzeer se bhi badtar kardegi.

Hadith shareef me hai:

على مناخرىم الا حصائد السنتهم في النار وىل يكب الناس (yani aadmiyo ko jahannam me undhe muh un ki bakwaas

hi dale gi).

اللهم احفطنا

Page 30: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

30 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Qist nambar do

21

Ek din subh ki namaaz ke baad khidmate deen aur nusrate

deen ki targeeb dete huwe silsilaye kalaam is tarah shuru

farmaya

Dekho sab jaante hai aur maante hai ke khuda gaaib nahi

balke shahid hai aur har aan shahid hai,to us ke hazir wa

nazir hote huwe bando ka us me na lagna aur us ko gaero

me laga rahena yani us se ‘eraaz aur us ke ma siwa me

ishtigaal wa inhamaak socho ke kaesi be naseebi aur ketni

bari mahrumi hai.aur qiyaas karo ke ye cheez khuda ko kis

qadar gazab naak karne wali hogi?—aur khuda ke deen ki

kaam se gafil rahena aur us ke awamir wa ahkaam ka lihaaz

na rakhte huwe dunya me laga rahena hi us se ‘eraaz aur

uske ma siwa me ishtigaal wa inhimaak hai. Aur us ke

bar’aks Allah me laga rahena ye hai ke us ki deen ki nusrat

me laga rahe aur us ke ahkaam ki farma bardaari karta rahe

magar us ka lihaaz rakhna pare ga ke jo baat jetni ziyada

aham aur jetni ziyada zaruri hai us ki taraf usi qadar

tawajjhu di jaye. Aur ye cheez ma’loom hogi rasoolullah ke

uswaye hasana se aur ma’loom hai ke aap ne jis kaam ke

liye sab se ziyada mahnat ki aur sab se ziyada taklife

bardaasht kiye wo kaam tha kalima ka phaelana, yani bando

ko khuda ki bandagi ke liye taiyaar karna aur us ki rah par

Page 31: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

31 MALFUZAAT -----------------------------------------------

lagana, to yahi kaam sab se ziyada aham rahe ga aur is kaam

me lagna aa’la darja ka khuda me lagna hai.

22

Ek suhbat me farmaya—logo ne Allah ta-ala ki ‘abdiyat aur

bandagi ko insaano ki gulami aur naukri se bhi kam darja de

rakkha hai.gulaamo aur naukro ka ‘aam haal ye hota hai ke

wo hama waqt apne aaqa ke kaam me laga rahena hi apna

mansab samajhte hai aur un ke beech me daurte bhaagte jo

kuch haath lag jata kha pi lete hai. Lekin Allah paak ke

saath bando ka ye ma’amla rah gaya hai ke mustaqil taor se

to wo apne aur bilkul apne kaamo aur apne margubaat wa

lazaaiz me apne hi liye lage rahete hai aur kabhi kabhi apne

us zaati mashaagil wa margubaat se nikaal kar khuda ka koi

kaam bhi kar lete hai. Maslan namaaz pardh lete hai ya

khaer ke kaamo me chanda de dete hai aur samajhte hai ke

bas khuda aur deen ka mutalaba ham se ada hogaya.

Halaake haqqe bandagi ye hai ke isalatan aur mustaqilan to

ho deen ka kaam aur khana pina is ke liye samaan karna ho

zimnan aur tab’an (is ka matlab ye nahi ke sab log apne

apne zaraye ma’aash aur karobaar choor de nahi balke

matlab ye hai ke jo kuch ho us ke bandagi ke tahat ho aur us

ke deen ki khidmat aur nusrat sab me malhooz ho, aur

khane pine wagaera ki haisiyat sirf zimani ho jis tarah ek

gulaam ki apne aaqa ke karobaar me hoti hai).

Page 32: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

32 MALFUZAAT -----------------------------------------------

23

Ek din kisi waqt ki namaaz ek sahab ne pardhai, bade

namaaz ye dua bhi ki (jo hazrat maulana bhi kasrat se kiya

karte the)

صلى الله عليه وسلمواخذل من خذل دين محمد صلى الله عليه وسلماللهم انصر من نصر دين محمد

(ay Allah Muhammadصلى الله عليه وسلمke deen ki jo log madad kare to un

ki madad farma aur jo us ki deen ki madad na kare un ki tu

bhi koi madad na farma)

Hazrat maulana ne is par teen baar ba awaaze buland ek

khaas darad ke saath farmaya

,اللهم لاتجعلنا منهم اللهم لاتجعلنا منهم اللهم لاتجعلنا منهم

phir hazireen ko mukhatab karte huwe farmaya:

Bhaiyo! Is dua par gaor karo aur is ka wazan samjho ye wo

dua hai aur baddua hai jis ko qareban har zamana me Allah

ke khaas bande karte chale aaye hai. Ye bari bhari dua hai,

is me deen ki madad karne walo aur is rah me jaddo jihad

karne walo ke liye to rahmat aur nusrat ki dua hai lekin deen

ki madad na karne walo ke haqq me bari sangeen dua hai ke

khuda un ko apni rahmat wa nusrat se mahroom karde-ab

har shakhs is dua ko apni upar muntabiq kar ke dekhe ke wo

is ki acchi dua ka misdaaq hai ya baddua ka nishana. Ye bhi

khiyaal rahe ke apni apni namaaze pardhna, roze rakhna,

agarche aa’la darja ki ‘ibadat hai lekin ye deen ki nusrat ke

kaam nahi hai, deen ki nusrat to wahi hai jis ko qur-aan

Page 33: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

33 MALFUZAAT -----------------------------------------------

paak aur rasoolullah ne ‘’nusrat’’ batlaya hai aur us ka asli

aur maqbool tareen tariqa bhi wahi hai jis ko aa hazratصلى الله عليه وسلمne

riwaaj diya---is waqt is tareeqa aur is riwaaj ko taza karne

ke liye aur phir se us ko jari karne ki sa’ee karna hi deen ki

sab se bari nusrat hai. Allah paak ham sab ko us ki tawfeeq

de.

Qist nambar teen

Is qist ke tamaam malfuzaat is deeni tahreek wa da’wat hi se

muta’alliq jis me hazrat maulana fana the is da’wat ke

kaarkuno ko bahot gaor se in malfuzaat ko pardhna chahiye.

24

Ek sohbat me farmaya_hamari is tahreek ka asal maqsad hai

ke musalmaano ko ‘

صلى الله عليه وسلمجميع ما جاء بو النبي ’ sikhana (yani islaam ke pure ‘ilmi wa ‘amli nizaam se

ummat ko wabasta kar dena) ye to hai hamara asal maqsad

rahi qafilo ki ye chalat phirat aur tableeghi gasht, so ye us

maqsad ke liye ibtidayi zari’a hai, aur kalima wa namaaz ki

talqeen goya hamare pure nisaab ki ‘’alif, be, te’’ hai. Ye

bhi zahir hai ke hamare qafile pure kaam nahi kar sakte, un

se to bas etna hi ho sakta hai ke har jagha pahonch kar apni

jaddo jihad se ek harkat paeda karde aur gaafilo ko

Page 34: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

34 MALFUZAAT -----------------------------------------------

mutawajjah karke waha ke muqami ahle deen se wabasta

karne ki aur us jagha ke deen ki fikar rakhne walo(‘ulama

wa sulaha ko bechare ‘awaam ki islaah par laga dene ki

koshish kare, har jagha par asli kaam to wahi ke kaar kun

kar sakenge, aur ‘awaam ko ziyada faeda apni jagha ke ahle

deen se istifada karne me hoga. Albatta is ka tariqa hamare

un aadmiyo se sikha jaye jo ek arsa se efada wa istifada aur

ta’leem wa ta’allum ke is tariqa par ‘aamil hai aur is par bari

had tak qabo pa chuke hai.

25

Ek sohbat me farmaya_hamare kaarkun is baat ko mazbuti

se yaad rakkhe ke agar un ki da’wat wa tableegh kahi

qabool na ki jawe aur ulta unko bura bhala kaha jaye

ilzamaat lagaya jaye to wo mayoos aur malool na ho aur

aese mauqa par ye yaad karle ke ye ambiya aur bil

khusoos saiyidul ambiya صلى الله عليه وسلم

ki khaas sunnat aur warasat hai, raahe khuda me zaleel hona

har ek ko kaha naseeb hota hai aur jaha un ka istiqbaal ezaaz

wa ikraam se kiya jaye un ki da’wat wa tableegh ki qadar ki

jaye aur talab ke saath saath un ki baate suni jaye to us ko

Allah paak ka faqat in’aam samjhe aur hargiz uski naqadri

na kare,un talibo ki khidmat aur ta-leem ko Allah ke is

ehsaan ka khaas shukriya samjhe agarche ye chote se chote

tabqe ke log ho, qur-aan paak ki aayaat

عبس وتولي أن جاءه الأعمىme ham ko yahi sabaq diya gaya hai. Ha is surat me apne

nafs ke fareeb se bhi darta rahe, nafs us qaboliyat wa

matlubiyat ko apna na samjhne lage, nez us me’’peer parasti

Page 35: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

35 MALFUZAAT -----------------------------------------------

’’ ke fitne ka bhi sakht andesha hai lihaza us se khaas taor

se khabar daar rahe .

26

Ek sohbat me farmaya_ sab kaarkuno ko samjhado ke is rah

me bala aur taklifo ko khuda se maange to har giz

nahi(banda ko Allah ta-ala se hamesha ‘aafiyat hi maangni

chahiye) lekin agar Allah paak agar is rah me ye musibate

bhej de to phir un ko khuda ki rahmat aur zari’aye kaffaraye

saiyiaat wa raf’ate darjaat samjha jaye. Rahe khuda me is

qisam ki musibate to ambiya aur siddiqeen wa muqarrabeen

ki khaas gizaye hai.

27

Ek sohbat me farmaya_ tableegh wa da’wat ke waqt bil

khusoos apne batin ka rukh Allah paak hi ki taraf rakhna

chahiye na ke mukhatibeen ki taraf,goya us waqt hamara

dhiyaan ye hona chahiye ke ham apni kisi kaam apni zaati

raye se nahi balke Allah ke hukom se aur us ke kaam ke liye

nikle hai, mukhatibeen ki tawfeeq bhi usi ke qabze me hai.

Jab us waqt ye dhiyaan hoga to insha Allah mukhatibeen ke

galat bartao se na to gussa aye ga aur na himmat tute gi.

28

Farmaya_ kaesa galat riwaaj ho gaya hai, doosre log hamari

baat maan le to ham usko apni kaamyabi samajhte hai aur

na mane to us ko hamari nakaami samjha jata hai halaake is

Page 36: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

36 MALFUZAAT -----------------------------------------------

rah me ye khayaal karna bilkul hi galat hai. Doosro ka

manna ya na maanna to un ka fe’l hai, un ke kisi fe’l se ham

kaamyaab aur nakaam kiyu kiye jaye, hamari kaamyaabi

yahi hai ke ham apna kaam pura karde ab agar doosro ne na

mana to ye unki nakaami hai,ham un ke na maanne se na

kaamyaab kiyu hogaye,wo manwadene ko(jo darhaqiqat

khuda ka kaam hai)apna kaam aur apna zimmadaari

samajhne lage, halake hamari zimmadaari sirf batariqe

hasan koshish laga dena hai, manwane ka kaam to

paegambaro ke sapurd bhi nahi kiya gaya.

Haa na maanne se ye sabaq lena chahiye ke shayad hamari

koshish me kami rahi aur ham se haqq ada na ho saka jis ki

wajha se Allah paak ne ye natija hame dikhlaya. Aur us ke

baad apni koshish ki miqdaar ko barha dene aur dua wa

tawfiqe talabi me bhi kamman wa kaifan ezafa karne ka

azam kar lena chahiye.

29

Farmaya-hamare ‘aam kaarkun jaha bhi jaye waha ke

haqqani ‘ulama wa sulaha ki khidmat me haziri ki koshish

kare. Lekin ye haziri sirf istifada ki niyat se ho aur un

hazraat ko baraheraast is kaam ki da’wat na de. Wo hazraat

jin deeni mashagil me lage huwe hai un ko to wo khoob

jaante hai aur un ke manafe ka wo tajurba rakhte hai aur

tum un ko apni ye baat acchi tarah samjha na sako ge; yani

tum unko apni baato se yaqeen nahi dila sako ge ke ye kaam

un ke doosre mashagil se ziyada deen ke liye mufeed aur

ziyada manfa’at bakhsh hai. Natija ye hoga ke wo tumhari

Page 37: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

37 MALFUZAAT -----------------------------------------------

baato ko manenge nahi, aur jab ek dafa unke taraf se ‘’na’’

hojaye gi to phir us ‘’na’’ ka kabhi bhi ‘’ha’’ se badalna

mushkil ho jaye ga. Phir is ka ek bura natija ye ho sakta hai

ke un ki ‘aqidatmand ‘awaam bhi phir tumhari baat na sune,

aur ye bhi mumkin hai ke khud tumhare andar tazabzab

paeda ho jaye. Is liye un ki khidmat me bas istifada ke kiye

hi jaya jaye.lekin unke mahool me nihayat mahenat se kaam

kiya jaye aur usoolo ki ziyada se ziyada ri’aayat ki koshish

jaye. Is tarah ummeed hai ke tumhare kaam aur us ki nataaij

ki itttila’ee khud bakhud unko pahonche gi aur wo unke liye

daa’e aur tawajjah ki jalib ho jayengi. Phir agar us ke baad

wo khud tumhari taraf aur tumhare kaam ki taraf

mutawajjah ho to un se sarparasti aur khabar giri ki

darkhaast ki jaye aur un ke deeni adab wa ehteraam ko

malhooz rakhte huwe apni baat un se ki jaye.

30

Farmaya-agar kahi dekha jaye ke waha ke ‘ulama aur sulaha

is kaam ki taraf hamdardana taor se mutawajjah nahi hote to

unki taraf se badgumaniyo ko dil me jagha na di jaye, balke

ye samajh liya jaye ke in hazraat par is kaam ki puri haqiqat

khuli nahi, nez ye samajh liya jay eke chunke ye deen ke

khaas khadim hai is liye shaitaan in ka ham se ziyada

gahera dushman hai(chor maya hi par to aata hai) ‘elawa

uske ye bhi samjhne ki baat hai ke dunya jo haqeer wa

zaleel cheez hai jab uske giriftaar apne deeni mashagil par is

kaam ko tarjeeh nahi de sakte aur apne mashagil wa

Page 38: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

38 MALFUZAAT -----------------------------------------------

inhimaak ko chor kar is kaam me nahi lag sakte to ahle deen

apne ‘aala deeni mashagil ko is kaam ke liye kaese aasani se

chor sakte hai. ‘urafaa ne kaha hai ke’’ hijabaate noraani

hijabaate zulmani se badarjaha ziyada shadeed hoti hai’’.

31

Ek sohbat me farmaya_ tableegh ke usoolo me se ek ye bhi

hai ke ‘umoomi khitaab me puri sakhti ho aur khusoosi

khitaab me narmi, balke hattal wasa khusoosi islaah ke liye

bhi ‘umoomi khitaab hi kiya jaye. Aa hazrat صلى الله عليه وسلم khaas

afraad ka bhi koi jurum ma’loom hota to bhi aksar aap ‘ يب ببل

.kah kar khitaab wa ‘etaab farmate’أقىاو

32

Ek sohbat me farmaya-baato se khush ho lena hamari ‘aadat

ho gai hai. Aur acche kaam ki bate kar lene ko ham asal

kaam ke qaim maqaam samajh lete hai. Is ‘aadat ko choro!

Kaam karo kaam.

33

Ek sohbat me farmaya-waqt chalti huwi ek rail hai, ghante

minute aur lamhe goya us ke dabbe hai, aur hamare

mashagil usme baithne wali sawariya hai. Ab hamari

dunyawi aur maaddi zaleel mashagil ne hamari zindagi ki

rail ke un dibbo par aesa qabza kar liya hai ke wo shareef

ukhrawi mashagil ko aane nahi dete. Hamara kaam ye hai

ke ‘azimat se kaam le ke un zaleel aur dunyawi mashagil ki

Page 39: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

39 MALFUZAAT -----------------------------------------------

jagha un shareef aur ‘aala mashagil ko qabiz karde jo khuda

ko razi karne wale aur hamari aakhirat ko banana wale hai.

34

Ek sohbat me farmaya-jetna bhi acche se accha kaam karne

ki Allah tawfeeq de hamesha us ka khatima istigfaar par hi

kiya jaye. Garz hamare har kaam ka juze aakhir istigfaar

ho.yani ye samajh kar ke mujh se yaqinan is ki adaigi me

kotahi huwi hai, un kotahiyo ke liye Allah ta-ala se mafi

maangi jaye.rasoolullah صلى الله عليه وسلم namaaz ke khatam par Allah

ta-ala se istigfaar kiya karte the. Lihaza tableegh ka kaam

bhi hamesha istigfaar hi par khatam kiya jaye. Banda se kisi

tarah bhi Allah ke kaam ka haqq ada nahi ho sakta, nez ek

kaam me mashguliyat bahot se doosre kaamo ke na ho

sakne ka ba’is ban jati hai, to is qisam ki chezo ki talafi ke

liye bhi har acche kaam ke khatam par istigfaar karna

chahiye.

35

Ek din bade namaaze fajar is tahreek me ‘amli hissa lene

walo ka nizamuddeen ki masjid me bara majma tha aur

hazrat maulana ki tabi’at is qadar kamzoor thi ke bistar par

lete lete bhi do chaar lafz ba awaaz nahi farma sakte the to

ihtimaam se ek khaas khadim ko talab farmaya aur us ke

waaste se us puri jama’at ko khahelwaya ke------aap logo ki

ye saari chalat phirat aur saari jaddu jihad bekaar hogi agar

is ke saath ‘ilme deen aur zikrullah ka pura ihtimaam aap ne

Page 40: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

40 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nahi kiya(goya ‘ilm wa zikar do bazu hai jin ke bagaer is

fiza me parwaaz nahi ki ja sakti)balke sakht khatra aur qawi

andeesha hai ke agar in do cheezo ki taraf se tagaful barta

gaya to ye jaddu jihad mubada fitna aur zalalat ka ek khaas

naya darwaza ban jaye. Deen ka agar ‘ilm hi naho to islaam

wa imaan mahaz rasmi aur ismi hai, aur Allah ke zikar ke

bagaer agar ‘ilm ho bhi to wo sarasar zulmat hai aur ‘ala

haza agar deen ke bagaer zikarullah ki kasrat bhi ho to is me

bhi bara khatra hai. Algarz ‘ilm me noor zikar se aata hai

aur bagaer ‘ilm ke zikar ke haqiqi barkaat wa samaraat hasil

nahi hote, balke basa awqaat aese jahil sufiyo ko shaitaan

apna aalae kaar banaleta hai. Lihaza ‘ilm aur zikar ki

ahmiyat ko is silsile me kabhi faramoosh na kiya jaye aur is

ka hamesha khaas ihtimaam rakkha jaye, warna ap ki ye

tablighi tahreek bhi bas ek aawara gardi hokar rah jaye gi,

aur khuda na karda aap log sakht khasara me rahenge.

(hazrat maulana ka matlab is hidayat se ye tha ke is rah me

kaam karne wale tableegh wa da’wat ke silsile ke mahnat

wa mashaqqat, safar wa hijrat aur esaar wa qurbani hi ko

asal kaam na samjhe, jaesa ke aaj kal ki ‘aam hawa hai

balke deen ko apna aham fariza samjhe, ba alfaaze digar un

ko sirf’’sipahi’’ aur ‘’walnetar’ banna nahi hai balke talib

‘ilme deen aur Allah ka yaad karne wala banda’’ bhi banna

hai).

Page 41: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

41 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Qist nambar chaar

Is qist ke tamaam malfuzaat hazrat maulana zafar ahmad

sahab thanwi ke murattab farmaye huwe hai.

36

Aakhri dafa jab mai waaste june me hazir huwa to dekhte hi

farmaya.

Mujh par etna asar huwa ke aab deda hogaya. Phir farmaya

ke wada bhi yaad hai? (mai ne wada kiya tha ke kuch din

tableegh me dunga) ‘arz kiya yaad hai lekin is waqt to dehli

me garami bahot hai ramzaan me tateel hogi to bade

ramzaan ke waqt dunga. Farmaya

‘’tum ramzaan ki bate karte ho yaha sha’baan ki bhi

ummeed nahi’’Chunanche sha’baan aane me abhi ek ’ashra

baqi tha ke ekkees rajab tera saw taresath san hijri ki subh

ko rafeeqe ‘’ala se ja mile.

Mai ne arz kiya ‘’bahot accha ab mai taher gaya, aap dil

bura na kare, mai abhi tableegh me waqt dunga’’.ye sunkar

chahera khushi se chamak utha, mere gale me bahe daal

diye aur peshani ko bosa diya aur deer tak sina se laptaye

rakkha aur bahot duaye di. Phir farmaya----tum ne meri

taraf rukh to kiya hai, bahot se ‘ulama to door door hi se

mere maqsad samajhna chahte hai. Phir ek bare ‘aalim ka

naam liya jo ke aaj tableegh me bahot hissa le rahe hai

magar mujh se pucho to ab tak bhi wo mere mansha ko nahi

Page 42: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

42 MALFUZAAT -----------------------------------------------

samjhe kiyuke mujh se aaj tak bila waasta guftagu nahi ki,

wasait se guftagu ki, ab mai wasait se apne mansha ko

kiyukar samjhadu, khususan jabke wasaait bhi naqis ho, is

liye mai chahta hu ke tum kuch dino mere paas raho to meri

mansha ko samjho ge door rah kar nahi samajh sakte, ye

mai jaanta hu ke tum tableegh me hissa lete ho, jalso me

taqreer karte ho, tumhari taqreer se nafa bhi hota hai, magar

ye tableegh wo nahi jo mai chahta hu.

حمة الله تعالي رحمة الابرار الصالحينر 37

Ek sohbat me farmaya---hadith me hai

الدنيا سجن المؤمن وجنة الكافرis ka matlab ye hai ke ham dunya me nafs ki himayat aurc

nafsani khahishaat ke mutabiq chalne ke liye nahi bheje

gaye, jis se ye dunya aadmi ke liye jannat banjati hai balke

ham nafs ki mukhalifat aur ahkaame ilahi ki ita’at ke liye

bheje gaye hai jis se ye dunya’’momin’’ ke liye ‘’sijn’’(jail

khana) ban jati hai, pas agar ham bhi kuffar ki tarah nafs ki

himayat wa muwafiqat karke dunya ko apne liye jannat

banayenge to jannate kuffaar ke gasib honge aur is surat me

nusrate haqq gasib ke saath na hogi. Farmaya is me acchi

tarah gaor karo.

38

Farmaya—log mere tableegh ki barakaat dekhkar ye

samajhte hai ke kaam ho raha hai, halake kaam aur cheez

Page 43: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

43 MALFUZAAT -----------------------------------------------

hai aur barakaat aur cheez hai, dekho rasoolullah ki wiladat

shareef hi se barakaat ka to zuhoor hone laga tha magar

kaam bahot baad me shuru huwa, isi tarah yaha samjho. Mai

sach kaheta hu ke abhi tak asli kaam shuru nahi huwa, jis

din kaam shuru ho jaye ga to musalmaan saat saw baras

pahele ki halat ki taraf laot jayenge, aur agar kaam shuru na

huwa balke isi halat par raha jo ab tak hai aur logo ne is ko

minjumla tahrikaat ke ek tahreek samajh liya aur kaam

karne wale is rah me bichal gaye to jo fitne sadyo me aata

hai wo mahino me aajayenge, is liye is ko samajhne ki

zarurat hai.

39

Ek juma ko masjid assembly me qabal namaaze juma mera

bayaan huwa maulana hi ki tajweez thi ke waha bayaan

hona chahiye. Namaaz ke baad mai usi din nizamuddeen

wapas na huwa, apne a’izza ke paas raat ko rah gaya, agle

din nizamuddeen pahuncha aur mazirat ki ke a’izza ke israar

ki wajha se raat ko dehli rah gay tha. Farmaya are maulana

is ma’zirat ki zarurat nahi, kaam me lagne walo ko aese

‘aazaar peeesh aya hi karte hai, is ki parwa nahi, accha ye

batlao masjide assembly me waz huwa tha? Arz ki ji ha

huwa tha. Bahot khushi huwe aur farmaya dekho ye log

khud apni talab se hamko nahi bulate. Un ko dunya hi se

fursat nahi, un ke paas hamko bila talab khud ja kar

tableegh karna chahiye.

Page 44: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

44 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Phir daryaaft farmaya kiya bayaan huwa tha? Arz kiya ke

aayat

إن في خلق السموات والأرض واختلاف الليل والنهار لايات لأولى الألباب ين يذكرون الله قياما وقعودا وعلي جنوبهمالذ

Se sabit karke ke ‘uqala wo hai jo nizame ‘aalam me gaor

karke us ke khaliq ko pahechante aur har waqt us ki yaad

me rahete hai na wo jo zameen aaftaab ki gardish hi ke

chakkar me rah jaye aur khaliqe tak na pahonche. Zikrullah

ki zarurat aur us ki haqiqat waze ki, phir tableegh ki zarurat

par zor diya tha. Farmaya ye mazmoon bahot uncha tha us

majma ke munasib na tha, us mazmoon ke ahal yaha par

jama hai, us ko yaha kisi waqt bayaan karna chahiye. Us

majma ke munasib doosri aayat thi’

والذين اجتنبوا الطاعوت ان يعبدوىا وانابوا إلي الله لهم البشرى فبشر عبادى الذين يستمعون القول فيتبعون أحسنو اولئك الذين ىداىم الله و اولئك ىم

اولوا الألباب farmaya ye tabqa niche ke darje ka hai jis par lafz ‘ ىداىم daal hai. Arz kiya sach hai, phir phir mauqa huwa to’الله

waha isi ko bayaan karunga.

40

Ek sohbat me farmaya----hamari tableegh ka asal maqsad

tagoot se hatna aur Allah ki taraf ruju karna hai. Aur ye

bedone qurbani ke nahi ho sakta. Deen me jaan ki bhi

qurbani hai aur maal ki bhi. So tableegh me jaan ki qurbani

ye hai ke Allah ke waaste apne watan ko chore aur Allah ke

Page 45: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

45 MALFUZAAT -----------------------------------------------

kalima ko phaylaye. Deen me isha’at kare. Maal ki qurbani

ye hai ke safre tableegh ka kharch khud bardaasht kare aur

jo kisi majburi ki wajha se kisi zamana me khud na nikal

sake wo khususiyat se is zamana me doosro ko tableegh me

nikalne ki targeeb de, auro ko bhejne ki koshish kare. Is

tarah

الدال علي الخير كفاعلوki bina par jetno ko ye bheje ga un sab ki koshisho ka

sawaab is ko bhi mile ga.aur agar nikalne walo ki imdaade

mali bhi kare ga to mali qurbani ka bhi us ko sawaab

milega. Phir in jane walo ko apna muhsin samajhna chahiye

ke jo kaam hamare karne ka tha magar ham kisi uzar ki

wajha se is waqt nahi kar sake to ye hazraat hamare farz ko

ada kar rahe hai. Deen yahi hai ke qa’ideen wa ma’zureen,

mujahideen ko apna muhsin samjhe.

41

Ek baar farmaya, maulana hamari tableegh me ‘ilm wa zikar

ki bari ahmiyat hai. Bidone ‘ilm ke na ‘amal ho sake na

‘amal ki ma’rifat, aur bidone zikar ke ‘ilm zulmat hi zulmat

hai isme noor nahi hosakta, magar hamare kaam karne walo

me is ki kami hai. Mai ne ‘arz kiya ke tableegh khud bahot

aham fariza hai is ki wajha se zikar me kami hona waesa hi

hai jaesa hazrat saiyad sahab barelwi qaddasa sirruhu ne jis

waqt jihaad ki taiyari ke liye apne khuddam ko bajaye zikar

Page 46: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

46 MALFUZAAT -----------------------------------------------

wa shugal ke nishana bazi aur ghoro ki sawari me mashgool

kar diya to baz ne ye shikayat ki ke is waqt pahele jaese

anwaar nahi hai. To hazrat saiyad sahab ne farmaya ke ha

zikar ke anwaar nahi hai, jihaad ke anwaar hai aur is waqt

isi ki zarurat hai, farmaya, magar mujhe ‘ilm wa zikar ki

kami ka qaql hai aur ye kami is waaste hai ke ab tak ahle

‘ilm aur ahle zikar is me nahi lage hai. Agar ye hazraat apne

haath me kaam le le to ye kami bhi puri ho jaye magar

‘ulama aur ahle zikar to abhi is me bahot kam aaye hai.

(tashreeh) ab tak jo jama’ate tableegh ke liye rawana ki jati

hai un me ahle ‘ilm aur ahle nisbat ki kami hai jis ka hazrat

ko qalq tha, kaash ahle ‘ilm aur ahle nisbat bhi in jama’ato

me shamil hokar kaam kare to ye kami puri ho jaye.

Alhamdulillah markaze tableegh me ahle ‘ilm aur ahle

nisbat maujood hai magar wo chand ginti ke aadmi hai, agar

wo har jama’at ke saath jaya kare to markaz ka kaam kaun

saranjaam de.

42

Ek khat me maulana saiyad abul hasan ala nadwi ka ye

faqra tha ke musalmaan do hi qisam ke ho sakte hai, tesri

koi qisam nahi, ya Allah ke raaste me khud nikalne wale ho

ya nikalne walo ki madad karne wale ho. Farmaya bahot

khoob samjhe hai, phir farmaya ke nikalne walo ki madad

me bhi dakhil hai ke logo ko nikalne par aamada kare, aur

unko batlaye ke tumhare nikalne se fala ‘aalim ki darse

bukhari ya darse qur-aan ka haraj na hoga to tum ko bhi us

Page 47: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

47 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ke dars ka sawaab mile ga. Is qisam niyato se logo ko aagah

karna chahiye aur sawaab ke raaste batlane chahiye.

43

Ek baar farmaya_maulana hamari tableegh ka hasil ye hai

ke ‘aam deen daar musalmaan apne upar walo se deen ko le

aur apne niche walo ko de.magar niche walo ko apna

muhsin samjhe, kiyuke jetna ham kalima ko pahonchayenge

phaylayenge is se khud hamara kalima bhi kamil aur

munawwar hoga aur jetno ko ham namazi banayenge is se

khud hamari namaaz bhi kamil hogi(tableegh ka ye bara gur

hai ke is se muballig ko apni takmeel maqsood ho, doosro

ke liye apne ko hadi na samjhe kiyuke hadi Allah ta-ala ke

siwa koi nahi)

44

Ek baar farmaya_hadith me hai’

من لم يرحم لايرحم ارحموا من في الأرض يرحمكم من في السماء’magar afsoos’! logo ne is hadith ko bhook aur faqe walo

par raham ke saath maklhsoos kar liya hai is liye un ko un

shakhs par to raham aata hai jo bhoka ho, piyasa ho, nanga

ho, magar musalmaano ki deen se mahrumi par raham nahi

aata, goya dunya ke nuqsaan ko nuqsaan samjha jata, phir

ham par aasmaan wala kiyu raham kare, jab hame

musalmaano ki deeni haalat ke abtar hone par raham nahi.

Farmaya_hamari is tableegh ki bunyaad isi raham par hai, is

liye ye kaam shafqat aur raham hi ke saath hona chahiye.

Page 48: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

48 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Agar muballig is liye tableegh kar raha hai ke us ko apne

bhaiyo ki deeni haalat ke abtar hone ka sadma hai to

yaqinan wo raham aur shafqat ke saath apne fariza ko

anjaam dega,lekin agar ye mansha nahi kuch aur mansha hai

to phir takabbur aur ‘ujub me mubtala hoga, jis se nafa ki

ummeed nahi, nez jo shakhs is hadith ko peeshe nazar rakh

kar tableegh kare ga us me khuloos bhi hoga, us ki nazar

apne uyoob par bhi hogi aur doosro ke ‘uyoob par nazar ke

saath un ki islami khubiyo par bhi nazar hogi to ye shakhs

apne nafa ka haami na hoga balke shaki hoga.aur is tableegh

ka gur yahi hai ke himayate nafs se alag hokar shikayate

nafs ka sabaq hamesha peeshe nazar rahe.

45

Ek baar farmaya_maulana ahkaame ilahiya ka tafaqqud

lazim hai, barabar tafaqqud me laga rahena chahiye, maslan

kisi kaam me mashgool hone se pahele sochna chahiye ke

ishtigaal do cheezo ko hota hai. Ek us kaam par tawajjha ko

jis me mashgool hona chahta hai, doosre aur kaamo se us

waqt gaflat ko, to ab sochna chahiye ke jin kaamo se us

waqt gaflat hogai un me koi is kaam se to aham nahi jis me

ishtigaal hoga, aur ye bedone tafaqqud ke nahi ho sakta.

46

Ek baar farmaya-namaaz se pahele kuch deer namaaz ka

muraqaba karna chahiye jo namaaz bila intizaar ho wo phus

phusi hai, to namaaz se pahele namaaz ko sochna chahiye.

Page 49: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

49 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Faida- shari’at ne isi waaste faraiz se pahele sunan wa

nawafil wa iqamat wagaera mashru’ kiye hai taake namaaz

ka muraqaba acchi tarah ho jaye phir faraiz ada kiya jaye.

Magar ham to sunan wa nawafil aur iqamat wagaera ke in

fawaid aur masaleh ko samajhte hai aur na is se faeda hasil

karte hai is liye hamari faraiz bhi naqis ada hote hai.

اللهم إني أسئلك تمام الوضوء وتمام الصلاة وتمام رضوانك امين47

Ek baar farmaya- tableegh me kaam karne walo ko apne

qalb me was’at paeda karna chahiye, jo Allah ki was’ate

rahmat par nazar kar ke paeda hogi, is liye ba’de tarbiyat ka

ihtimaam karna chahiye.

48

Ek bar farmaya_saiyidana rasoolullah ibtidai islaam ke صلى الله عليه وسلم

zamana me(jab deen za’eef tha aur dunya qawi thi) be talab

logo ke paas ja ja kar un ki majaalis me bila talab pahonch

kar da’wat dete the, talab ke muntazir nahi rahe,baaz

maqamaat par hazraate sahaba ko khud se bheja hai, ke fala

jagha tableegh karo. Is waqt wahi zuf fi haalat hai ab to ham

ko bhi be talab logo ke paas khud jana chahiye,mulhado,

fasiqo ke majme me pahonchana chahiye aur kalimaye haqq

buland karna chahiye(phir khushki gaib hogai aur baat na

kar sake to farmaya) maulana mere paas bahot deer me

pahonche, ab mai tafseel se kuch nahi kahe sakta, bas jo

kuch kahediya usi me gaor karte rahiye.

Page 50: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

50 MALFUZAAT -----------------------------------------------

49

Ek baar farmaya_mai ibtida me is tarah zikar ki taleem deta

hu har namaaz ke baad tasbeeh Fatima aur teesra kalima

( سبحان الله والحمد لله ولا الو الا الله والله اكبر ولاحول ولا قوة الا بالله )aur subh wa sham saw saw baar darood shareef wa istigfaar

wa tilawate qur-aan ma’a tashihe qiraat aur nawafil me

tahajjud ki takeed aur ahle zikar ke paas jana. ’ilm bedone

zikar ke zulmat hai aur zikar bedone ‘ilm ke bahot se fitno

ka darwaza hai.

50

Ek baar farmaya_khaab nabuwat ka chayaleeswa hissa hai

baaz logo ko khaab me aesi taraqqi hoti hai ke riyazaat wa

mujahida se nahi hoti, kiyuke unko khaab me ‘uloome

sahiha ilqa hote hai jo nabuwat ka hissa hai, phir taraqqi

kiyu na hogi,(‘ilm se ma’rifat barhti hai aur ma’rifat se qurb

barhta hai)isi liye irshaad farmaya.

Phir farmaya_aaj kal khaab me mujh par ‘uloome sahiha ka

ilqa hota hai, is liye koshish karo ke mujhe neend ziyada

aaye(khushki ki wajha se neend kam hone lagi thi to mai ne

hakim sahab aur daaktar ke mashware se sar me tel ki

malish karai jis se neend me taraqqi hogai) aap ne farmaya

ke is tableegh ka tariqa bhi mujh par khaab me munkashif

huwa. Allah ta-ala ka irshaad;

كنتم خير اخرجت للناس تأمرون بالمعروف وتنهون عن المنكر وتؤمنون بالله أمة

Page 51: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

51 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Ki tafseer me ilqa huwi ke tum (yani ummate muslima)

misle ambiya ke logo ke waaste zahir kiye gaye ho(aur is

matlab ko اخزجتse ta’beer karne me is tarf bhi ishara hai k

eek jagha jam kar kaam na ho ga balke darbadar nikalne ki

zarurat hogi)timhara kaam amar bil ma’roof aur nahi anil

munkar hai. Is liye ke baade ‘

تؤمنون بالله’farma kar ye batlaya gaya hai ke amar bil ma’roof se khud

tumhara imaan me taraqqi hogi(warna nafse imaan ka

husool to’ كنتى خيز أيت ’hi se ma’loom ho chuka hai) pas

doosro ki hidayat ka qasd na karo, apne nafa ki niyat karo.

Aur’اخزجت نهنبص’ me اننبص se muraad arab nahi hai, kiyuke

arab ke muta’alliq to ‘

لست عليهم بمصيطروما انت عليهم بوكيل’ farma kar batla diya gaya tha ke unke muta’alliq hidayat

ka irada ho chuka hai aap un ki ziyada fikar na kare. Haa

se muraad ’اننبص’ke khitaab ahle arab hai. Aur ’كنتى خيز أيت ‘

doosre log hai jo arab nahi, chunanche is ke baad farmaya’

ولو امن اىل الكتب لكان خير لهم’ is par qarina hai , aur yaha ‘نكبٌ خيز نهى’farmaya ‘ نكبٌ خيز

nahi farmaya, kiyuke muballig ko to tableegh hi se imaan’نكى

ki takmeel ka faeda hasil ho jata hai kha mukhatab kare ya

na kare. Agar mukhatab tableegh ka asar qabool kar le

Page 52: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

52 MALFUZAAT -----------------------------------------------

imaan le aaye to us ka apne bhi faeda hoga, muballig ka

faeda is par mauqoof nahi.

51

Ek baar farmaya__zakaat ka darja hadya se kamtar hai. Yahi

wajha hai ke rasoolullah صلى الله عليه وسلمpar sadqa haram tha, hadya

haraam na tha. Aur agarche zakat farz hai aur hadya

mustahab hai magar baaz dafa mustahab ka ajar farz se barh

jata jata hai jaese ibtida-an salaam karna sunnat hai aur

jawaab dena farz hai, magar ibtidaye salaam jawaab se

bahetar hai. Isi tarah zakat go farz hai magar is ka samra

tathire maal hai aur hadya go mustahab hai ,magar is ka

samra tatyibe qalbe muslim hai. To samra ke lihaaz se ye

afzal hai kiyuke tathire maal se tatyibe qalbe muslim ka

darja bara huwa hai, aur zakat se bhi agarche musalmaan

hajatmand ki tatyibe qalb ho jati hai magar maqsood nahi

balke tab’an hasil ho jati hai, aur hadya se asal maqsood hi

tatyibe qalbe muslim hai, phir farmaya ke zakat dene walo

par tafaqqude masraf lazim hai, jaese namaaz pardhne wale

par paak pani ka talaash karna lazim hai, aur sahih masrafe

zakat wo hai jis me zakat ka rupiya lene se tam’e maal

paeda naho. shari’at ka zakat farz karne se ye hargiz

maqsood nahi ke arab musalmaano me maal ki hirs wa

tam’a paeda ho jaye ke logo ki khairaat wa zakat ke

muntazir raha kare. Pas jo shakhs Allah par bharosa kar ke

sabar ikhtiyaar karta hai jis qadar wo sabar wa tawakkal

Page 53: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

53 MALFUZAAT -----------------------------------------------

karega usi qadar ahle amwaal par baqadr us ke sabar ke us

ki imdaad lazim hoti hai. Chunanche irshaad farmaya’

لايستطيعون ضربا في الأرض يحسبهم للفقراء الذين احصروا فى سبيل الله الجاىل أغنياء من التعفف

To sahih masrafe zakat wo log hai jo Allah ke kaam me lage

huwe hai aur sabar se Allah par bharosa kiye huwe hai, kisi

se sawaal nahi karte na kisi se tam’a rakhte hai. Magar aaj

kal ke ahle amwaal pasha wa rasaailo ko zakat dekar samajh

lete hai ke zakat ada ho gai, halaake wo to pahili zakat ko

bhi kho deti hai. Yahi wajha hai kea j kal zakat ada karne ke

baad bhi amwaal me barkat nahi, halaake qat’ee wada hai ke

zakat se maal me barkat hoti hai. Pas jo log zakat ke baad

apne maal me barkat ka mushahida na kare un ko samajh

lena chahiye ke zakat masraf me nahi di gai aur unho ne

masraf ka tafaqqud nahi kiya.

52

Ek baar farmaya ke_ musalmaano ko ‘ulama ki khidmat

chaar niyato se karna chahiye.

(1) Islaam ki jihat se. chunanche mahaz islaam ki wajha

se koi musalmaan kisi musalmaan ki ziyarat ko jaye

yani mahaz hasbatan lillah mulaqaat kare to sattar

hazaar farishte us ke pao tale apne par aur bazu

bicha dete hai to jab mutlaqan musalmaan ki ziyarat

me ye fazilat hai to ‘ulama ki ziyarat me bhi ye

fazilat zaruri hai.

Page 54: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

54 MALFUZAAT -----------------------------------------------

(2) Ye ke un ke quloob wa ajsaam hamile ‘uloome

nabuwat hai, is jihat se bhi wo qabile tazeem aur

laaiqe khidmat hai.

(3) Ye ke wo hamare deeni kaamo ki nigrani karne wale

hai.

(4) Un ki zaruriyaat ke tafaqqud ke liye. Kiyuke agar

doosre musalmaan un ki dunyawi zarurato ka

tafaqqud kar ke un zarurato ko pura karde jin ko ahle

amwaal pura kar sakte hai to ‘ulama apni zarurato

me waqt sarf karne se bach jayenge aur wo waqt bhi

khidmate ‘ilm wa deen me kharch karenge to ahle

amwaal ko un ke in ‘aamaal ka sawaab mile ga.

53

Farmaya-musalmaan dua se bahot gafil hai. Aur jo karte bhi

hai un ko dua ki haqiqat ma’loom nahi. Musalmaano ke

saamne dua ki haqiqat ko wazeh karna chahiye.

‘’dua ki haqiqat hai apni hajato ko buland baargha me peesh

karna, pas jetni buland wo baargha hai otna hi duao ke waqt

dil ko mutawajjha karna aur alfaaze dua ko tazarru wazari se

ada karna chahiye aur yaqeen wa az’aan ke saath dua karna

chahiye ke zaroor qabool hogi, kiyuke jis se maanga ja raha

hai wo bahot sakhi aur kareem hai, apne bando par raheem

hai. Zameen wa aasmaan ke khazane sab usi ke qabzae

qudrat me hai’’.

Page 55: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

55 MALFUZAAT -----------------------------------------------

54

Ek baar farmaya ke__jo wofood Saharanpur, deoband

wagaera tableegh ke liye ja rahe hai un ke hamraah tujjaare

delhi ke khutoot kar diye jaye jin me niyaaz mandaana lehja

me hazraate ‘ulama se arz kiya jaye ke ye wofood awaam

me tableegh ke liye hazir ho rahe hai aap hazraat ke awqaat

bahot qimti hai agar un me se khuch waqt is qafila ki

sarparasti me de sake jis me aap ka aur tulaba ka harj na ho

to is ki sarparasti farmaye, aur tulaba ko is kaam me apni

nigrani me saath le. Tulaba ko khud se bedone asaatiza ki

nigrani ke is kaam me hissa na lena chahiye, aur qafila walo

ko yani wofoode tableegh ko nasihat ki jaye ke agar

hazraate ‘ulama tawajjha me kami kare to un ke dilo me

‘ulama par ‘eeteraaz na aane paye balke ye samajh le ke

‘ulama ham se ziyada aham kaam me mashgool hai, wo

raato ko bhi khidmat ‘ilm me mashgool rahete hai jabke

doosre aaraam ki neend sote hai, aur unki ‘adme tawajjha ko

apni kotahi par mahmool kare ke ham ne un ke paas

aamdraft kam ki hai is liye wo ham se ziyada un logo par

mutawajjha hai jo saal hasaal ke liye unke paas aapare hai.

Phir farmaya ke:.

Ek ‘aami musalmaan ki taraf se bhi bila wajha badgumani

halakat me daalne waali hai, aur ‘ulama par ‘eeteraaz to

bahot sakht cheez hai.

Phir farmaya_hamare tariqaye tableegh me ‘izzate muslim

aur ehteraame ‘ulama bunyadi cheez hai, har musalmaan ki

Page 56: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

56 MALFUZAAT -----------------------------------------------

bawajha islaam ke ‘izzat karna chahiye, aur ‘ulama ka

bawajha ‘ilme deen ke bahot ehteraam karna chahiye.phir

farmaya ke:.

‘ilm aur zikar ka kaam abhi tak hamare muballigeen ke

qabze me nahi aaya is ki mujhe bari fikar hai, aur is ka

tariqa yahi hai ke un logo ko ahle ‘ilm aur ahle zikar ke paas

bheja jaye ke un ki sarparasti me tableegh bhi kare aur un ke

‘ilm wa sohbat se bhi mustafeed ho.

55

Ek din mai aane wale mahemano se guftagu me ziyada

mashgool raha, maulana ki khidmat me ziyada na baetha,

zuhar ke baad haazire khidmat huwa to farmaya;.

‘’tum ko ziyada mere paas rahena chahiye’’.

Arz kiya ke aaj aane walo ka ziyada hujoom tha, mai ne un

ko apne paas rakkha aur tableegh par un se bate karta raha

take aap ke paas ziyada hujoom naho aur aap ko ziyada

bolna na pare.farmaya

‘’is ki bhi yahi surat thi ke tum mere paas rahete, mai tum se

dil ki baat karta raheta , tum doosro ko pahoncha dete, is

tarah mere dil ka kaanta to nikal jata. Tum mere paas raho,

meri baato ko sunte raho aur doosro ko pahonchao take

mujhe kisi se khitaab na karna pare. Baaz log mujh se

kahete hai ke ham tujh ko bolne na denge, magar jab tak

Page 57: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

57 MALFUZAAT -----------------------------------------------

mere dil ka kaanta na nikal jaye mai kaese chup ho jao, mai

hargiz chup na honga, chahe marjao’’.

56

Ek baar farmaya___hazrat maulana thanwi ne bahot bara

kaam kiya hai, bas mera dil chahta hai ke taleem to un ki ho

aur tariqae tableegh mera ho ke is tarah un ki taleem ‘aam

ho jayegi, farmaya

Waaz me ahkaame shari’a ki masaleh wa ‘elal bayaan na

karo,bas teen chezo ko madde nazar rakhne ki logo ko

taleem ki jaye. Ek ye ke har ‘amal me razai haqq ka qasd

kare. Aur aakhirat ka yaqeen rakkhe. Jo ‘amal bhi razai

haqq ke liye aur yaqine aakhirat ke saath ho ke ye aakhirat

me mufeed hoga. Waha is se sawaab mile ga ya azaab dafa

hoga. Us ke saath kisi aese nafa ka qasd na ho jo maot se

pahele dunya hi me hasil hone wala hai. Wo to rawangi ke

taor par khud hi hasil ho jate hai, go un ka hosool yaqini hai

aur us ka yaqeen rakhna bhi lazim hai magar ‘amal se un ka

qasd na kiya jaye. Phir farmaya ha jis jagha us ki zarurat ho

asraar wa masaleh ke bayaan ka bhi mazaiqa nahi magar har

jagha bayaan na kiya jaye.

57

Ek baar farmaya_hazrat maulana thanwike logo ki

mujhe bahot qadar hai kiyuke wo qareebul ‘ahad hai, isi

wajha se tum meri bate jaldi samajh jate ho ke maulana ki

bate sun chuke ho aur taza suni huwi hai. Phir farmaya

Page 58: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

58 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tumhari wajha se mere kaam me bahot barkat huwi, mera

bahot ji khush huwa. Phir bahot duaae diye aur farmaya tum

khud bhi ro ro kar is ni’mat ka shukur karo.

اللهم ما أصبحت بى أو أمست بى من نعمة أو بأحد من خلقك فمنك وحدك لاشريك لك لك الحمد ولك الشكر

58

Farmaya_tableegh ke kaam ke liye sadaat ko ziyada koshish

ke saath uthaya jaye aur aage barha jaye. Hadith’’ تزكت فيكى

ka yahi muqtaza hai. Un buzurgo se pahele bhi bahot’أيزيٍ

deen ka kaam huwa hai aur aainda bhi unhi se ummeed hai.

59

Ek din farmaya_kisi musalmaan ko kisi se Allah ke liye

mohobbat ho ya us se kisi musalmaan ko Allah ke liye

sacchi mohobbat ho to ye mohobbat aur husne zan hi

aakhirat ke liye zakhira hai. Musalmaano ko jo mujh se

mohobbat hai us se kuch ummeed hoti hai ke insha Allah

waha bhi parda poshi ho jaye gi.

Phir farmaya_apni tahi dasti ka yaqeen hi kaamyabi hai, koi

bhi apne ‘amal se kaamyaab na hoga. Mahaz Allah ke fazal

se kaamyaab hoga. Rasoolullah farmate the;.

قال ولا انا صلى الله عليه وسلملن يدخل الجنة أحد بعملو قالوا ولا انت يا رسول الله إلا ان يتغمدنى الله برحمتو

Ye hadith pardh kar maulana khud bhi roe aur doosro ko bhi

rulaya.

Page 59: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

59 MALFUZAAT -----------------------------------------------

60

Ek baar farmaya_ maulana! ‘ulama is taraf nahi aate, mai

kiya karu? Haaye Allah mai kiya karu? Arz kiya sab

aajayenge aap dua kare. Farmaya mai to dua bhi nahi kar

sakta, tum hi dua karo, phir ye ash’aar pardhe;.

لقد نسبت بو نسلا لذى عقم استغفر الله من قول بلا عمل ظلمت سنة من احى الظلام الى إن اشتكيت قدماه الضر من ودرم

Is ke baad aabdida hogaye aur farmaya qasidaye bar wo

hamare yaha nisaabe ‘ulama me dakhil hai magar adabiyat

ke lihaaz se nahi balke riqqate qalb aur ziyadate mohobbate

nabawiya ke liye dakhil kiya gaya hai.

61

Farmaya_islaam me ek to was’at ka darja hai, ye was’at to

etni hai ke musalmaan ke ghar paeda ho jana dare islaam me

paeda hona, khaer abwain ka tabe hona bhi musalmaan

shumaar kiye jane ke liye kaafi hai. Aur is was’at ke saath

makhlooq ko is me dakhil karne ke baad phir hattal wasa

usko nikalne bhi nahi dete ke agar kisi ke kalaam me

ninanawwe wojohe kufur maujood ho aur ek wajha islaam

ki ho to us ko musalmaan hi kaha jaye ga.magar ye haqiqiq

islaam nahi balke rasmi hai. Haqiqi islaam ye hai ke

musalmaan me

لاالو الا الله ki haqiqat pai jaye. Aur us ki haqiqat ye hai ke is ka

‘eteqaad karne ke baad Allah ta-ala ki bandgi ka azam wa

Page 60: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

60 MALFUZAAT -----------------------------------------------

irada dil me paeda ho, ma’bood ke razi karne ki fikar dil ko

lag jaye, har waqt ye dhun rahe ke haaye wo mujh se razi

hai ya nahi?

62

Farmaya_do cheezo ka mujhe bara fikar hai un ka ihtimaam

kiya jaye, ek zikar ka ke apni jama’at me is ki kami paraha

hu un ko zikar batlaya jaye, doosre ahle amwaal ko masrafe

zakat samjha jaye.unki zakat aksar barbaad ja rahi hai,

masraf me kharch nahi hote. Mai ne aese chalees aadmiyo

ke naam likhwaye hai jo tame aur hares nahi, agar un ko

zakat di jaye to unme hirs wa tam’a paeda na hogi aur wo

tawakkalan ‘alallah tableegh ke kaam me lage huwe hai, un

ki imdaad bahot zaruri hai. Ahle amwaal ko aese logo ka

tafaqqud karna chahiye ke kis ko ketni zarurit hai. Ye jo

pesha war saailo ko aur ‘aam chanda maangne walo ko

zakaat dete hai basa awqaat is se un ki zakaate masraf par

nahi huwa karte.

63

Farmaya_’ilm se ‘amal paeda hona chahiye, aur ‘amal se

zikar paeda hona chahiye, jabhi ‘ilm ‘ilm hai aur ‘amal

‘amal hai. Agar ‘ilm se ‘amal paeda naho to sarasar zulmat

hai. Aur ‘amal se Allah ki yaad dil me na paeda huwi to

phus phusa hai aur zikar bila ‘ilm bhi fitna hai.

64

Farmaya---logo ko hadya, sadqa aur qarz ke fazail wa

waqi’aate sahaba se batlana chahiye. Sahaba mazduri karke

sadqa karte the. Un me sirf agniya hi sadqa nahi karte the,

Page 61: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

61 MALFUZAAT -----------------------------------------------

gareeb bhi mazduri karke kuch na kuch sadqa kiya karte the

kiyuke sadqe ke fazail un ki nazar me the, aur jab sadqa ka

ye darja hai to hadya to is se bhi afzal hai. Isi tarah qarz

dene ke bahot se fazail hai, maslan jis waqt qarz ki muddat

puri ho jaye us ke baad tang dast maqrooz ko agar muhlat di

gai, taqaza na kiya gaya to har din sadqe ka sawaab milta

hai.

65

Farmaya_mujhe apne upar istidraaj ka khaof hai. Mai ne arz

kiya ke ye khof ‘aayne imaan hai(imam hasan basri ka

irshaad hai ke apne upar nifaaq ka khaof momin hi ko hota

hai)magar jawani me khaof ka galba accha hai. Farmaya, ha

sahih hai.

Qist nambar paanch

Hazrat maulana ne wisaal se theek ek saal pahele rajab san

terasaw baasath hijri me lakhnao aur kaanpur ka ek tablighi

safar farmaya tha, ye ‘aajiz us safar me ham rikaab tha. Qist

haza ke malfuzaat usi safar ke hai.

66

Farmaya-hamari tablighi kaam me hissa lene walo ko

chahiye ke qur-aan wa hadith me deen ki da’wat wa

tableegh par ajar wa sawaab ke jo wade kiye gaye hai aur jin

in,aamaat ki basharat sunai gai hai un par kamil yaqeen

karte huwe un hi ki tam’a wa ummeed me is kaam me

Page 62: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

62 MALFUZAAT -----------------------------------------------

lage—aur is ka bhi dhiyaan kiya kare ke hamari in haqeer

koshisho ke zari’a Allah pak jitno ko deen par lagadenge

aur phir is silsile se jo log qiyamat tak deen par parenge aur

wo jo bhi nek ‘amal karenge to un ke ‘aamale hasana ka

jetna sawaab un ko mile ga insha Allah ta-ala un tamaam

sawaabo ke majmu’a ki barabar Allah paak apne wada ke

mutabiq ham ko bhi ata farmayenge, bashart ye ke hamari

niyat khalis aur hamara kaam qabile qabool ho.

67

Farmaya_logo ko jab is tablighi kaam ke liye aamada karna

ho to wazahat ke saath is kaam me lagne ke mafaad aur is

ka ukhrawi ajar wa sawaab bhi khoob tafseel se un ko

batlao(aur is tarah bayaan karne ki koshish karo ke thori

deer ke liye to jannat ka kuch samaa un ke aankho ke

saamne aajaye, jaesa ke qur-aane majeed ka tariqa hai)is ke

baad insha Allah un ke liye ye aasaan hoga ke is kaam me

mashguli ki wajha se thore bahot dunyawi kaamo ke harj

aur nuqsaan ka jo andesha unhe hoga wo is ko nazre andaaz

kar sakenge.

68

Farmaya_tablighi gasht ke waqt me aur khaas taor se kisi

mukhataba ke waqt bhi zikar wa fikar me mashguli ke liye

jama’at ko jo takeed ki jati hai to us ka khaas mansha ye hai

ke jis waqt ek haqiqat kisi ko samjhane aur manwane ki

koshish ki jaye to bahot se dilo me us waqt us ki haqiqat aur

Page 63: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

63 MALFUZAAT -----------------------------------------------

us ka yaqeen wa az’aan ho, is ka asar doosre ke qalb par

pardhta hai. Allah ta-ala ne insaani quloob me bari taaqate

rakkhi hai log un se waqif nahi hai.

69

Farmaya_zikrullah sharre shayateen se bachne ke liye qil’aa

aur ‘’ hisne haseen’’ hai . lihaza jis qadar galat aur bure

mahool me tableegh ke liye jaya jata hai, shayateene jin wa

ins ke bure asraat se apni hifazat ke liye usi qadar ziyada

zikrullah ka ihtimaam kiya jaye.

70

Ek deeni madrasa ke talaba ki ek jama’at se khitaab ka

aagaaz is sawaal se kiya;.

‘’batlao tum kaon ho?’’(phir khud hi farmaya)

‘’tum mahemaane khuda wa rasool ho, mahemaan agar

mezbaan ko eza pahonchaye to us ki eza doosro ki eza se

bahot ziyada takleef deh hoti hai, pas agar tum ‘’talibe

‘ilm’’ hokar khuda aur rasool ki riza ke kaam na karo aur

galat raho par chalo to samajh lo ke tum Allah wa rasool ke

satane wale un ke mahemaan ho’’.

71

Unhi talaba se khitaab karte huwe farmaya:

Page 64: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

64 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’dekho shaitaan bara chalaak aur ‘aiyaar hai, wo taak kar

maya par girta hai aap log ‘ilme deen sikhne ke liye gharo

se nikal pare to shaitaan is se to mayoos ho gaya ke aap nire

jahil rahe. Is liye us ne jahil rakhne ki koshish chor ke ab ye

tay kar liya ke un ko pardhne do magar kaam me apne

lagane ki koshish karo—meri ye tahreek shaitaan ki ke

muqaabla me ‘’jarre saqeel’’ hai jis ka mansha ye hai ke

khuda ke bando ko shaitaan ki raah se utha kar Allah ki rah

par daal du, aur Allah ke kaam me laga du, batao kiya

faesala hai?.

72

Isi khitaab ke silsile me farmaya;.

‘’jin logo ke huqooqe khidmat tum par hai aur jin ki ita’at

karna tumhare liye zaruri hai un ki khidmat wa rahat ka

intizaam kar ke aur un ko mutmain kar ke is kaam me niklo

aur apna ruwaiya aesa rakkho ke tumhare ‘ilm wa silaah ke

zaoq me taraqqi dekh kar tumhare sarparast is mashgala me

tumhare lagne se na sirf ye ke mutmain ho balke khahaa aur

raagib ho jaye.

73

Farmaya-deen ke kaamo me asal matloob aur maqsood to

hona chahiye sirf razaye ilahi aur ajre ukhrawi. Aur dunya

me jin in’aamaat wa barakaat ka wada kiya gaya hai,

maslan chaen ki aur izzat ki zindagi, ya maslan istikhlaaf

aur tamkeen fil-ard, so ye matloob nahi balke mao’ood hai,

Page 65: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

65 MALFUZAAT -----------------------------------------------

yani ham ko jo kuch karna hai wo to chahiye sirf rizayr ilahi

aur falahe ukhrawi ke liye, magar yaqeen rakhna chahiye

Allah ke un mawa’eed par bhi(balke un ke liye duaye bhi

karni chahiye, magar unko apni ebadat wa eta’at ka asal

maqsood nahi banana chahiye)

Mao’ood aur matloob ke is farq ko aap log is misaal se

shayad acchi tarah samajh sakenge ke nikah wa shadi se

maqsood to biwi ka hosool aur us se tamatta’ hota hai magar

us ke saath aata hai jaheez wagaera bhi jo goya urfan

mao,ood hota hai, lekin basa awqaat bewaqoof dunya me

shayad hi koi ho jo shadi hi sirf jaheez hasil karne ke liye

kare---aur agar bil farz koi aesa kare aur biwi ko ma’loom

ho jaye ke is ne shadi mere liye nahi ki balke mere saath

aane wale jaheez ke liye ki to socho ke biwi ke dil me us ke

liye ketni jagha rahe gi.

74

Farmaya-insaan ka imtiyaaz apne ma siwa doosre

makhlooqat se zubaan ki wajha se hai. Hona to chahiye ye

imtiyaaz khaer hi me lekin hota hai ye shar me bhi yani jis

tarah insaan zubaan ke sahih iste’maal aur us se Allah ka

aur deen ka kaam lene ki wajha se khaer wa sa’aadat me

farishto se bhi barh jata hai isi tarah is zubaan ko beja

istimaal karne se khinzeer aur kutte jaese jaanwaro se bhi

battar ho jata hai

على مناخرىم الا حصائد السنتهم في النار وىل يكب الناس

Page 66: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

66 MALFUZAAT -----------------------------------------------

75

Chand roz pahele hakimul ummat hazrat maulana thanwi ka

wisaal huwa tha. Hazrat mamdoh se ta’alluqe bae’at rakhne

wale ek sahab ziyarat ke liye tashreef laaye.aur raaqime

sutoor ne unka ta’aruf karaya. Us par hazrat ne farmaya.

‘’ jin hazraat ka halqaye mohobbat wa ta’alluq etna wasee’

ho jetna ke hamare hazrat thanwi ka tha , chahiye ke

unki ta’ziyate ‘aammah ka fikar kiya jaye, mera je chahta

hai ke is waqt hazrat ke tamaam ta’alluq rakhne walo ki

ta’ziyat ki jaye aur khaas taor se ye mazmoon aaj kal

phayelaya jaye, ke hazrat se ta’alluq barhane, hazrat ki

barkaat se istifada karne aur saath hi hazrat ke taraqqiye

darajaat ki koshisho me hissa lene aur hazrat ki ruh ki

masarrato ko barhane ka sab se ‘aala aur muhkam zariya ye

hai ke hazrat ki talimaate haqqa aur hidayaat par istiqamat

ki jaye aur unko ziyada se ziyada phayelane ki koshish ki

jaye. Jetna jetna hazrat ki hidayat par koi chale ga otna hi

baqaeda’

حسنة فلو أجرىا وأجر من عمل بهامن دعى الي ’hazrat ke sarmaya hasanaat aur darajaate ‘aaliya me

taraqqi hogi’’.

Phir farmaya ke;.

‘’esaale sawaab ka ‘aala tariqa hai’’.

76

Farmaya_agar koi shakhs apne ko tableegh ka ahal nahi

samajhta hai to us ko baetha rahena hargiz nahi chahiye,

Page 67: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

67 MALFUZAAT -----------------------------------------------

balke us ko to kaam me lagne aur doosro ko uthane ki aur

ziyada koshish karna chahiye. Baaz dafa aesa hota hai ke

koi bara khaer , chand na ahlo ke silsile se kisi ahal tak

pahonch jata hai aur phir wo phalta phulta hai aur phir us ka

ajar baqaeda

من دعى الي حسنة فلو أجرىا وأجر من عمل بها ومن سن في الإسلام سنة حسنة فلو أجرىا وأجر من عمل بها

Un na ahlo ko bhi pura pahonch jata hai jo is kaam ke us

ahal tak pahonchne ka zari’a bane. Pas jo na ahal ho usko to

is kaam me aur ziyada zor se lagna zaruri hai----mai bhi

apne ko chuke na ahal samajhta hu is liye is me munhamik

hu ke shayad Allah meri is koshish se kaam ko is ke kisi

ahal tak pahoncha de aur phir jo ‘aala ajar Allah paak ke

yaha ho wo bhi mujhe ata farma diya jaye.

77

Farmaya-hazrat abu saeed khudri ki mashoor hadith

من رأى منكم منكرا فليغيره بيده فإن لم يستطع فبلسانو فإن لم يستطع فبقلبوke aakhiri juz ‘فبقهبه’ka ek darja aur is ki ek surat ye bhi hai

ke izalaye munkar ke liye ashaabe quloob apni qalbi quwato

ko istimaal kare, yani himmat wa tawajjha ko kaam me

laye.

Phir isi zel me farmaya___imaam abdul wahaab sherani ne

maqaame qutbiyat hasil karne ki ek tadbeer likkhi hai, jis ka

Page 68: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

68 MALFUZAAT -----------------------------------------------

hasil ye hai ke Allah ki zameen me jaha jaha jo jo marufaat

mite huwe hai aur wo murda ho gaye hai un ka tasawwor

kare phir dil me un ke mitne ka ek dard mahsoos kare aur

pure ilhaah aur tazarru ke saath un ke zinda aur raaij karne

ke liye Allah ta-ala se dua kare aur apni qalbi quwat ko bhi

un ke ahyaa ke liye bhi istimaal kare—isi tarah jaha jo

munkaratt phayle huwe hai unka bhi dhiyaan kare aur phir

unke furoog ki wajha se apne andar ek sozish aur dukh

mahsoos kare phir pure tazarru ke saath Allah ta-ala se unko

mita dene ke liye dua kare aur apni himmat wa tawajjha ko

bhi unke istisaal ke liye istimaal kare.

Imaam abdul wahhaab sherani ne likkha hai ke’’ jo shakhs

aesa karta rahe ga insha Allah wo qutube asar hoga.’

78

Farmaya—har maoqa ka asli aur ‘aala zikar khaas us mauqe

ke muta’alliq ahkaame khudawandi ki ri’aayat hai ‘

كم عن ذكر اللهلاتلهكم أموالكم ولا أولاد ’pas jo shakhs awlaad ke saath bartao me aur khareed wa

farookht me jaese ma’aamlaat me ahkaame khudawandi ki

ita’at aur hudoodullah ki ri’aayat karta hai wo is mashagil

me mashgool hote huwe bhi Allah ka zakir hai.

79

Farmaya_jannat mutawazi’een hi ke liye hai. Insaan me

agar kibar ka koi hissa hai to pahele usko jahannam me daal

kar phunka jaye ga. Jab khalis tawazo rah jaye ga tab wo

Page 69: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

69 MALFUZAAT -----------------------------------------------

jannat me bheja jaye ga. Bahar haal kibar ke saath koi

aadmi jannat me nahi jaye ga.

80

Farmaya-Hamare buzurgo ne gaere salikeen ko sufiya ki

kitabo ke mutale’ se mana kiya hai. Haa jo salik kisi

muhqqiq shaekh ke zere tarbiyat ho wo mutala’ kare to

mazaiqa nahi.

81

Maulana marhoom ne is lakhnao ke safar me ek mashoor

aalime deen ko bhi jama’at ke saath lakhnao tashreef laani

ki da’wat dilwai thi. Wo sahab tashreef le aaye .maulana ne

un se ek mauqa par farmaya.

‘’hazrat! Mai ne aap ko waz kahelwane ke liye takleef nahi

di hai.hamare is kaam me waaz wa taqreer to mahaz ek

zimani cheez hai.aap hazraat ko safar ki takleef mai sirf is

liye deta hu ke apni jagha par aur apne mashagil me rahete

huwe to mere is kaam ko samajhne aur is par gaor karne ke

liye aap hazraat ko muhlat nahi milti lekin jab safar ki wajha

se aap apne mashagil aur apne mahool se alag kar liye jate

hai to phir itminaan se meri sun bhi sakte hai aur jama’at ke

kaam ko bhi ba chashme khud dekh sakte hai aur is ke bare

me gaor wa fikar bhi kar sakte hai.

82

Farmaya—logo ko targeeb do ke wo deen sikhne sikhane

aur deen ko phaylane ke waaste apne kharch par gharo se

Page 70: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

70 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nikle. Agar unme is ki bilkul istita’at na ho ya wo etne esaar

par aamada na ho to phir hattal wasa un hi ke mahool se is

ka intizaam karo. Aur agar ye bhi na ho sake to phir doosri

jagha se hi intizaam kardo, lekin ye bahar haal malhooz rahe

ke un ke ashraafe nafs paeda na ho jaye. Ye cheez(yani apni

hajaat me bajaye Allah ke bando par nazar hona jis ka naam

ashraaf hai)imaan ki jaro ko khokla kardene wali hai.

Nez un nikalne walo ko ye bhi acchi tarah samjha diya jaye

ke is rah ki taklifo, bhook piyaas wagaera ko bhi Allah ki

rahmat samjhe, is raasta me ye takaleef to ambiya aur

siddiqeen aur muqarrabeen ki gizaye hai.

83

Farmaya-doosto!abhi kaam ka waqt baqi hai. Anqareeb

deen ke liye do zabardast khatre peesh aayenge. Ek tahreek

shudhi ki tarah kufr ki tableeghi koshish, jo jahil ‘awaam

me hogi. Aur doosra khatra hai ilhaad wa dahriyat ka jo

magribi hukomat wa siyasat ke saath saath aa raha hai. Ye

dono gumrahiya saylaab ki tarah aayengi, jo kuch karna hai

un ke aane se pahele pahele karlo.

84

Farmaya-deen ki ‘umoomi taleem wa tarbiyat ka jo tariqa

ham apni is tahreek ke zari’a raaij karna chahte hai sirf wahi

tariqa huzoor ke zamane me raaij tha aur isi tarz se waha

aam taor par deen sikha aur sikhaya jata tha baad me jo aur

tariqe is silsile me ejaad huwe maslan tasneef wa taleef aur

Page 71: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

71 MALFUZAAT -----------------------------------------------

kitabi taleem wagaera, so un ko zarurate hadisa ne paeda

kiya, magar ab logo ne sirf usi ko asal samajh liya hai aur

huzoor ke zamana ke tariqa ko bilkul bhula diya gaya hai,

halaake asal wahi hai aur umoomi paemana par taleem wa

tarbiyat sirf isi tariqa se di ja sakti hai.’

85

Farmaya-mujhe jab bhi mewaat jana hota hai to hamesha

ahle khaer aur zikar ke saath jata hu, phir bhi umoomi

ikhtilaat se qalb ke halat is qadar mutagaiyur ho jati hai ke

jab tak ‘etekaaf ke zari’a us ko gusul na du ya chand roz ke

liye ‘’saharanpur’’ ya ‘’rayepur’’’ ke khaas majma aur

khaas mahool me jakar na rahu qalb apni halat par nahi aata.

Doosro se bhi kabhi kabhi farmaya karte the ke—deen ke

kaam karne walo ko chahiye ke gasht aur chalat phirat ke

tab’ee asraat ko khalwato ke zikar wa fikar ke zari’e dhoya

kare.

86

Farmaya—hamari tableegh me kaam karne walo ko teen

tabqo me teen hi maqasid se khususiyat ke liye jana

chahiye.

(1) ‘ulama aur sulaha ki khidmat me deen sikhne aur

deen ke acche asaraat lene ke liye.

Page 72: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

72 MALFUZAAT -----------------------------------------------

(2) Apne se kam darja ke logo me deeni baat phaylane

ke zari’a apni takmeel aur apne deen me rusookh

hasil karne ke liye.

(3) Mukhtalif giruhu me un ki mutafarriq khubiya jazb

karne ke liye

87

Ek din dua karte huwe farmaya’.

Ay Allah, kafiro par tere bande hone ki haisiyat se jo

shafqat aur jo tarahhum hona chahiye aur is ki wajha se un

ke jo huqooq ham par ‘aaid hote ho unki adaygi ki tawfeeq

ke saath un ke kufr se hamare qalb me puri puri nafrat aur

karahat paeda kar.

88

Farmaya---ahle deen(‘ulama wa sulaha) ko is kaam (tablighi

wa islaahi) jaddu jihad me shareek karne aur un ko razi wa

mutmain karne ki fikar ziyada se ziyada karni chahiye aur

jaha un ka ikhtilaaf aur na gawari maloom ho waha un ko

mazoor qaraar dene ke liye un ke haqq me acchi taweel

karni chahiye aur un ki khidmato me deeni istifada aur

husoole barakaat ki niyat se hazir hote rahena chahiye.

89

Farmaya_nafse islaam ki bhi Allah ta-ala ke yahaa qadar wa

qimat hai agarche wo fisq wa fujoor ke saath mila huwa ho,

Page 73: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

73 MALFUZAAT -----------------------------------------------

isi waaste fasiq wa fajir momin bhi ek na ek waqt bakhsh

diya jaye ga, pas hame chahiye ke jis me islaam adna darja

me bhi maujood ho us ki bhi nisbate islaam ki qadar kare

aur us ko apna deeni bhai samjhe aur usi haisiyat se us se

ma’aamla kare aur us ke andar jo fisq wa ‘asya maujood ho

us ke liye apne aap ko bhi zimmadaar gardaane ke hamari

gaflat ka bhi us me dakhal hai aur deen ki koshish na karne

hi ka ye natija hai.

90

Farmaya_hamara kaam deen ka bunyadi kaam hai aur

hamari tahreek dar haqiqat imaani tahreek hai.aaj kal ‘aam

taor se jo ijtima’ee kaam hote hai un ke karne wale imaan ki

bunyaad ko qaaim farz kare ke ummat ki upar ki ta’meer

karte hai aur upar ke darje ki zaruriyaat ki fikar karte hai.

Aur hamare nazdeek ummat ki awwal zarurat yahi hai ke un

ke quloob me pahele sahih imaan ki rawshni pahonch jaye.

91

Farmaya_hamare nazdeek is waqt ummat ki asal bimari

deen ki talab wa qadar se un ke dilo ka khali hona hai.agar

deen ki fikar wa talab un ke andar paeda hojaye aur deen ki

ahmiyat ka shu’oor wa ehsaas un ke andar zinda hojaye to

un ki islamiyat dekhte dekhte sar sabz hojaye.hamari is

tahreek ka asal maqsad is waqt bas deen ki talab wa qadar

paeda karne ki koshish karna hai na ke sirf namaaz wagaera

ki tashih wa talqeen.

Page 74: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

74 MALFUZAAT -----------------------------------------------

92

Farmaya_hamare tariqaye kaar me deen ke waaste jama-ato

ki shakal me gharo se door nikalne ki bahot ziyada ahmiyat

hai. Is ka khaas faeda ye hai ke aadmi is ke zari’a apni

daymi aur jamid mahool se nikal ek nay salih aur

mutaharrik mahool me aajata hai jis me us ke deeni jazbaat

ke nushunama ka bahot kuch samaan hota hai. Nez is safar

wa hijrat ki wajha se jo tarah tarah ki taklifee mashaqqate

peesh aati hai aur dar badar phirne me jo lazzate Allah ke

liye bardaasht karni hoti hai un ki wajha se Allah ki rahmat

khaas taor se mutawajjha ho jati hai.

(والذين جاىدوا فينا لنهدينهم سبلنا )Isi waaste is safar wa hijrat ka zamana jis qadar taweel hoga

usi qadar mufeed hoga..

93

Farmaya_ye safar gazwaat hi ke safar ke khasaais apne

andar rakhta hai aur is liye ummeed bhi waese hi ajar ki

hai.ye agarche qitaal nahi hai magar jihaad hi ka ek fard

zaroor hai, jo baaz haisiyat se agarche qitaal se kamtar hai

lekin baaz haisiyaat se us se bhi ‘aala hai. Maslan qitaal me

shifaye gaiz atfaaye shu’laye gazab ki surat bhi hai aur yaha

Allah ke liye sirf gaiz hai aur us ke deen ke liye logo ke

qadmo me parke aur un ki minnate khushaamde kar ke bas

zaleel hona hai.

94

Farmaya_ye tahreek dar haqiqat apne bahot bare darje ki

riyazat hai. Afsoos! Log is ki haqiqat ko samajhte nahi.

Page 75: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

75 MALFUZAAT -----------------------------------------------

95

Farmaya_jo log hamari is tableegh ka kaam aur tariqa

sikhne ke liye nizaamuddeen aana chahe un ko chand baate

zaroor pahele hi se acchi tarah zahen nasheen kara di jaye

(1) ziyada se ziyada waqt nikaal kar aaye.

(2) Ek do hi dafa ki aamad ko kafi na samjhe balke aate

raha kare.

(3) Ye irada kar ke aaye ke ‘’nizaamuddeen’’ me para

rahena nahi hoga balke hidayat ke mutabiq ja bajaa

phirna hoga, ha is asna me kabhi kabhi

nizaamuddeen rahena hoga.

(4) Ye bhi acchi tarah un ke zahen nasheen kara diya

jaye ke jis waqt un ke kuch rufaqa waapsi aur un ki

dekha dekhi un ke dilo me bhi waapsi ki khahish

paeda hone lage to aese waqt me apni khahish par na

chale aur himmat wa ‘azimat ke saath kaam me lage

rahene ka ajar be had wa hisaab hai aur un wapas na

hone wale ashaabe ‘azimat ki misaal un mujahideen

fi sabilillah ki si hai jo aese waqt me maidaane

jihaad me date rahe jabke un ke daaye baaye ke log

bhaag khare huwe ho.

(5) Ye bhi bata diya jaye ke is rah me bahot se makara

(takaleef wa masaaib aur khilafe mizaaj umoor)

peesh aayenge aur aakhirat me ajar us makara hi ki

nisbat se milega.

Page 76: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

76 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Qist nambar che

96

Farmaya_ kabhi kabhi baeth kar ye sochna chahiye ke

hamara asar wa rusookh kaha kaha hai? Aur kaha kaha

hamari deeni koshishe natija khaez ho sakti hai?phir gaor

karna chahiye ke waha is deeni da’wat ke phayelane ki

tadabeer kiya hai?aur kiya raasta hame ikhtiyaar karna

chahiye aur waha hamara nizame ‘amal kiya hona chahiye?

Phir usi soche huwe naqshe ke mutabiq mutawakkalan

‘alallah kaam shuru kar dena chahiye.

97

Farmaya_jin jin hazraat ke muta’alliq ye andaza ho ke ham

us ko is deeni kaam ki taraf bagaer us ke mutawajjha nahi

kar sakte ke pahele ek ‘arsa tak un ki khidmat kar ke un ke

mizaaj se qurb aur munasibat paeda kare, to phir pahele

unki khidmat hi karna chahiye lekin is khidmat me bhi

Allah ke kaam me un ko lagane hi ki niyat rakhna chahiye

aur ummeed ke saath Allah se duaye bhi karte rahena

chahiye.

98

Farmaya_baaz hazraat ko hamare is da’wate imaan ki

gaherai ma’loom na hone ki wajha se is se lagao nahi hai

aur is ke bajaye deen ke baaz un ahkaam wa masaail ki

Page 77: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

77 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tarweej ki koshish ko ziyada aham samajhte hai jin me

musalmaano se kotahiya ho rahi hai. Maslan …….sahab aur

un ke ahle khana ke nazar me khaas taor se shari’at ke fala

fala ahkaam ki tarweej aur rusoome bad ki islaah bahot

ziyada ahmiyat rakhti hai to aese hazraat ke saath tariqaye

‘amal ye hona chahiye ke mewaat me un ke ahkaam wa

masaail ki koshish aur islaahe rusoom ki sa’ee ke waaste hi

un ko uthaya jaye.abhi tak mewaat me tarka taqseem karne

ka riwaaj bahot kam ho saka hai, aesi hi aur bhi bahot si

buri rasme abhi raaij hai maslan abhi tak gooth me shadi

karne ka riwaaj nahi huwa hai.

To……sahab aur un ke muttabi’een ko mewaat me hi

ahkaam ke phayelane ke waaste uthaya jaye aur un ko ye

batlaya jaye ke ye mewati log is tableeghi da’wat se ek darja

manoos ho chuke hai aur kisi darja me is ko apna chuke hai,

pas agar aap un ke is tablighi kaam ki thori si bhi sar parasti

farmayenge to phir insha Allah aap ke un makhsoos islahi

maqasid aur islahi rusoom ke kaam me in se aap ko bahot

madad milegi aur in ke zari’a aap mewaat me un ahkaam wa

masaail ki tarweej aur rusoomaate jahiliyat ki islaah ka

kaam aasaani se kar sakenge.

Is tarah un hazraat ko tumhari tablighi muhim ki gaheraiyo

aur was’ato ko samajhne aur us ke asraat wa nataaij ka

mushahida karne ka bhi mauqa mil jaye ga aur phir insha

Allah un ko is taraf bhi tawajjha ho jayegi.

Page 78: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

78 MALFUZAAT -----------------------------------------------

99

Farmaya_mai agar kisi tabeeb ko bhi elaaj ke liye bulata hu

to dar asal tablighi kaam ko peeshe nazar rakh ke bulata hu

aur us ko apna ‘elaaj karane ko us ko Allah ke kaam me

lagane ka bahana banana chahta hu, jin se is deeni da’wat ke

silsile me koi tawaqqa aur gunjaaish ho.

100

Farmaya_mai apni sehhat aur baqaye ke liye khare hokar

namaaz pardhne ke bajaye baeth kar namaaz pardhna to

jaaiz samajhta hu lekin is deeni kaam ke qiyaam wa baqa

par zindagi ke khiyaal ko muqaddam nahi samajhta.

101

Farmaya_hamari is da’wat tableegh ka ek aham usool ye hai

ke khitaabe ‘aam me to sakhti barti jaye lekin khitaabe

khaas me intihai narmi, balke jaha tak ho sake logo ki islaah

ke liye khitaabe ‘aam hi kiya jaye, hatta ke agar apne kisi

khaas saathi ki koi galti dekhi jaye to hattal wasa us ki

islaah ki koshish bhi khitaabe ‘aam hi ki ziman me ki jaye,

yahi huzoor ka ‘aam tariqa tha ke khaas logo ki galtiyo par

tambeeh bhi aap ‘’ يب ببل أقىاو ‘’ ke ‘umoomi ‘unwaan se

farmate the-----aur khitaabe khaas hi ki zarurat samjhi jawe

to elawa mohobbat aur narmi ke is baat ka bhi lihaaz rah

eke fawran us ko na toka jaye, phir doosre munasib waqt me

khuloos wa mohobbat ke saath us ki galti par us ko

mutanabbe kiya jaye.

Page 79: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

79 MALFUZAAT -----------------------------------------------

102

Farmaya_apni is tahreek ke zari’a ham har jagha ke ‘ulama

aur ahle deen aur dunya daaro me mel milaap aur sulah wa

aashiti bhi karana chahte hai, nez khud ‘ulama aur ahle deen

ke mukhtalif halqo me ulfat wa mohobbat aur ta’aawun

wegaangat ka paeda karna is silsile me hamare peeshe

nazar, balke hamara aham maqsad hai aur ye deeni da’wat

hi insha Allah is ka zari’a wa wasila banegi. Afraad aur

jama’ato me ikhtilafaate agraaz hi ke ikhtilafaat se to paeda

hote aur taraqqi karte hai. Ham musalmaano ke giruho ko

deen ke kaam me lagane aur khidmate deen ko un ka sab se

‘aala maqsood banane ki is tarah koshish karna chahte hai

ke un ke jazbaat aur tariqaye ‘amal me muwafiqat ho jaye.

Sirf yahi cheez nafrato ko mohobbato se badal sakti hai---do

shakhso me sulah karane ka zara socho ke ketna bara ajar

hai. Phir ummat ke mukhtalif tabqo aur giruho me masalihat

ki koshish ka jo ajar hoga us ka koi kiya andaza kar sakta

hai.

103

Farmaya_hamare is kaam ko samajhne aur sikhne ke liye

sahih tarteeb ye hai ke pahele yahaa aakar chand roz qiyaam

kiya jaye aur yahaa ke rahene walo (tableegh ke purane

kaarkuno) se baate ki jaye aur sirf meri mulaqaat aur mujh

se hi baate karne ke dar pe na huwa jaye. Haa jis waqt mai

khud kuch kahu sun liya jaye, aur yahaa ke ird gird kaam

karne ke liye bhi nikla jaye, yani roze marra ki gasht me

Page 80: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

80 MALFUZAAT -----------------------------------------------

shirkat ki jaye, phir kuch dino ke liye mewaat ja kar kaam ki

mashq ki jaye. Is ke baad apni jagha par ja kar kaam kiya

jaye.

104

Ek zarurat ye hai ke tableegh se ta’alluq rakhne walo ka

yaha aesa makhloot majma rahe jis me har tabqa aur har

tarah ke kog ho.’ulama bhi ho, ahle zikar bhi ho, angrezi

taleem yaafta bhi ho, tajir bhi ho, gareeb ‘awaam bhi ho,is

se hamare tariqaye kaar ke samajhne aur ‘amalan us par

qabu pane me bari madad milegi aur ham jo mukhtalif

tabqaat ka baaham ikhtilaat aur ta’aawun chahte hai us ki

bunyaad bhi insha Allah is se par jaye gi.

105

Hamari is tahreek me tashihe niyat ke ihtimaam ki bari

ahmiyat hai. Hamare kaam karne walo ke peeshe nazar bas

Allah ke hukom ki ita’at aur us ki raza joi honi chahiye. Jis

qadar ye pahelu khalis aur qawi hoga usi qadar ajar ziyada

mile ga. Isi liye ye ‘aam kanoon hai ke jab deen ke liye

qurbaniya karne ke masaleh aur munafe’ khul kar aankho ke

saamne aajaye to ajar ghat jata hai kiyuke phir qudrati taor

par wo masaleh bhi fil jumla maqsood ho jate hai. Dekho

fatah makka se pahele jaani aur maali qurbaniyo ka ajar tha

baad me wo nahi raha, kiyuke fatah makka ho jaane ke baad

galba aur hukumat ki surat nazro ke saamne aagai.

Page 81: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

81 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ن لايستوى من أنفق من قبل الفتح وقاتل اولئك أعظم درجة من الذين امنوام بعد وقاتلوا وكلا وعد الله الحسى

106

Da’wate tableegh ke silsile me shuru tahreek se kaam karne

wale do mukhlis mewatiyo ki taraf ishra karte huwe ek din

farmaya;

Is tablighi kaam ki nisbat bawajha da’wat meri taraf hogai

hai, warna dar asal is ke karne wale ye log hai, mai chahta

hu ke jo log is kaam hi ki wajha se mujh se mohobbat rakhte

hai wo un logo ki taraf apni mohobbat ka rukh kare agarche

is ke waaste unhe apne dilo par jabar pare, in se mohobbat

aur in ki khidmat qaboliyat ka zari’a hai.

107

Isi silsile me farmaya_ un logo ko mujh par bare huqooq

hai, mai in ke huqooq ada nahi kar saka hu, mere ahle

mohobbat in ke huqooq ko pahechane.

108

Farmaya_ deen ki jaddu jihad me mukhliseen aur saadiqeen

ka hissa bas Allah wa rasool aur un ki raza ka husool hota

hai. Aur futuhaat aur maal wa dawlat jab haath aaye us me

zu’afa aur mu-allifatul quloob ka pahele khiyaal kiya jata

hai.isi usool par mai kaheta hu ke jin logo ne hamare kaam

ki haqiqat ko abhi nahi samjha hai aur is liye unhe is se

Page 82: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

82 MALFUZAAT -----------------------------------------------

lagao paeda nahi huwa hai.unnko bulaya jaye aur un ke

kiraya ki bhi fikar ki jaye aur un ki khidmat aur madaraat ka

bhi apne imkaan phar ihtimaam kiya jaye.aur jo mukhliseen

kaam ki haqiqat ko samajh kar is me lag gaye hai un ke liye

in cheezo ki fikar na uthai jaye.

109

Farmaya_aaj kal deen ke ahbaab me galat fahmi ‘aam ho gai

hai ke mubadi ko gayaat ka aur zaraye ko maqaasid ka darja

diya jata hai. Agar gaor karo ge to ma’loom hoga ke deen ke

tamaam shobo me ye galti ghus gai aur hazaro kharabiyo ki

ye jar hai.

110

Farmaya’’

إن للسائل عليك حقا وإن جاء فرساYe ek hadith hai, is ka tarjuma ye hai ke ‘’saail ka tum par

haqq hai agarche wo ghore par sawaar hokar aaye.

ka matlab samajhne me ‘aam taor se ek mugalata hota hai.

Samjha jata hai ke saail kha kaesa hi aur kisi haal ka ho us

ka mas-ool (yani jo wo maange dena hi chahiye)halake ye

galat hai. Balke hadith ka mafaad sirf ye hai ke us ka tum

par haqq hai ke us ke saath munasibat aur khaer khahaana

wa hamdardaana mu’aamla karo, takabbur aur tahqeer ke

saath peesh na aao

ا السائل فلا تنهرأم

Page 83: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

83 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Ab ye khaer khahi kabhi is tarah hogi ke us ki maang puri

kar di jaye aur kabhi khaer aandeshi wa hamdardi ka taqaza

ye hoga ke us ko sawaal ki zillat se bachne ki nasihat ki jaye

aur ma’eeshat ki kisi munasib tadbeer ki taraf us ki

rahnumai ki jaye. Aur is me hasbe mauqa us ko sahulat

pahonchai jaye. Jaesa ke rasoolullah ne baaz saailo ke saath

kiya ke un ke khane ka piyala tak nilaam karke us ki qimat

se kulhari kharidwa di aur farmaya ke ‘’ jangal se lakriya

kaat kar laao aur becho aur apna guzara karo’’.

Pas agar sail ma’zoor wa majboor nahi hai balke aesa hai jo

apne guzare ke liye kuch kar dhar sakta hai to us ka haqq

yahi hai ke hikmat ke saath us ko sawaal se bachaya jaye

aur kisi kaam se lagane ki koshish ki jaye.

Isi silsile me farmaya—nusoos ke mana agar huzoor ke

tariqe ‘amal ki rawshni me samajhne ki koshish ki jaye to

kabhi insha Allah galat fahemi naho.

Qist nambar saat

111

Farmaya_ambiya bawajood ye ke ma’soom aur mahfooz hai

aur ‘uloom wa hidayat barahe raast Allah ta-ala se hasil

karte hai, lekin jab in talimaat wa hidaayaat ki tableegh me

har tarah ke logo se milna julna aur un ke paas aana jaana

hota hai to un ke Mubarak aur munawwar quloob par bhi un

‘awamunnaas kadurto ka asar parta hai Maulana ke is

khiyaal ki ta-eed is hadith se bhi hoti hai ke ek din

Page 84: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

84 MALFUZAAT -----------------------------------------------

rasoolullah صلى الله عليه وسلم ko subh ki namaaz me mutashaba laga to

baade faraage namaaz aap ne farmaya’’ muqtadiyo me kuch

wo log hai jo wazo wa taharat acchi tarah nahi karte hai,

unhi ke asar se hamari qir-aat me garbar parti hai..

. Aur phir tanhai ke zikar wa ebadat ke zari’a wo us gard wa

gubaar ko dhote hai.

Farmaya—sura muzzammil me huzoorصلى الله عليه وسلم

ko qiyaame lail (tahajjud) ka hokum dete huwe farmaya

gaya hai ke ‘إن لك في النهار سبحا طويلا ( ay rasool! Din me tum ko bahot chalna phirna raheta hai )

to us me is taraf bhi ishara hai ke saiyidul ambiya ko bhi din

ki daor dhoop aur chalat phirat ki wajha se raat ki andheri

aur tanhai me yaksoi ke saath ibadat ki zarurat thi.phir is

aayat se agli aayat me jo muttasilan farmaya gaya ‘’

واذكر اسم ربك وتبتل اليو تبتيلا’(aur apne rabb ke naam ki yaad kar aur yaksoi se hamatan

us ki taraf mutawajjha ho) to us se bhi is mazmoon ki

mazeed ta-eed hoti hai ke tableeghi daor dhoop karne walo

ko zikar wa fikar aur yaksoi ke saath Allah ki ebadat ki

khusiyat se zarurat hoti hai.pas ham ko bhi is ke mutabiq

‘amal karna chahiye---balke ham us ke bahot ziyada

muhtaaj hai, kiyuke awwalan to ham khud kacche aur

zulmato se bhare huwe hai phir apne jin baro se ham fuyooz

aur hidayaat hasil karte hai wo bhi hamari hi tarah gaer

Page 85: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

85 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ma’soom hai, aur jin me tableegh ke liye jate hai wo ‘aam

insaan hi hai. Garz ham me khud bhi kadurte hai, jin ka ham

par asar parna laazmi hai ke raat ki andheriyo aur tanhaiyo

me Allah ke zikar wa ebadat ka ihtimaam aur iltizaam kare.

Qalb par pare huwe bure asraat ka yahi elaaj hai.

Isi silsile me farmaya_ye bhi zaruri hai ke apne jin baro se

ham deeni fuyooz akhaz kare un se apna ta’alluq sirf Allah

ki janib ka rakkhe aur sirf isi lain ke un aqwaal wa af’aal aur

ahwaal se sarokaar rakkhe, baqi doosri laaino ki un ki zati

aur khangi bato se be ta’alluq balke be khabar rahene ki

koshish kare, kiyuke ye un ka apna bashri hissa hai. La

mahala us me kuch kadurte ho gi. Aur jab aadmi apni

tawajjha un ki taraf ko chalawe ga to wo us ke andar bhi

aayengi. Nez basa awqaat eteraaz paeda hoga jo bud aur

mahrumi ka baa’is ho jayega isi liye mashaikh ki kitabo me

salik ko shaekh ke khaangi ahwaal par nazar na karne ki

takeed ki gai hai.

112

Farmaya_ ahle ‘ilm aur ahle asar hazraat ek silsila ye shuru

kare ke har juma ke liye pahele se soch kar tay kar liya kare

ke ham ye jumu’a fala mahalla ki masjid me pardhenge aur

is intikhaab me gareeb pasmaanda aur jahal zada aabaadiyo

ka lihaaz rakkhe.maslan jin halqo me dhobi, saqqe, taanga

gari chalane wale, quli aur sabzi faroosh jaese log baste ho

(jin me deen se jahalat aur gaflat agarche bahot ziyada hai

lekin tamarrud aur inkaar ki kaifiyat paeda nahi huwi hai)to

aese logo ki kisi aabaadi ki masjid pahele se tajweez karle

Page 86: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

86 MALFUZAAT -----------------------------------------------

aur apne ahle ta’alluq aur milne julne wale logo ko bhi is ki

ittila de de, aur saath chalne ki bhi unhe targeeb de.phir

waha pahonch kar namaaze jumu’a se pahele mahalla me

tablighi gasht karke logo ko namaaz ke liye aamaada kar ke

masjid me laye. Phir thori deer ke liye un ko rok kar deen ki

ahmiyat aur us ke sikhne ki zarurat un ko samjha kar deen

sikhne ke waaste tablighi jama’ato me nikalne ki da’wat de

aur un ko samjhaye ke is tariqa par chand wo roz me deen

ka zaruri ‘ilm wa ‘amal sikh sakte hai. Phir is da’wat par

agar thore se thore aadmi bhi taiyaar ho jaye to kisi munasib

jama’at ke saath un ko bhejne ka bandobast kare.

113

Isi silsile me farmaya_____________agar kisi jagha ke

kuch guraba tablighi jama’at ke saath nikalne par aamaada

ho jaye aur kharch se laachaar ho to koshish kar ke hattal

wasa unhi ke mahool se kuch umara ko bhi un ke saath

uthaya jaye aur unhe bhi ye bataya jaye ke Allah ki raah me

nikalne wale guraba aur zu’afa ki imdaad ka Allah ke yaha

kiya darja hai. Lekin saath hi puri ahmiyat se ye baat bhi un

ke zahen nasheen ki jaye ke agar wo apne kisi gareeb saathi

ki madad karna chahe to us ke usool aur us ka tariqa is raah

ke purane tajurba kaar kuno se zaroor ma’loom kare. Aur

un ke mashware se hi ye kaam kare. Khilafe usool aur galat

tariqa par kisi ki madad karne se basa awqaat bahot si

kharabiya paeda ho jati hai.

Page 87: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

87 MALFUZAAT -----------------------------------------------

(phir is infaaq yani deen ke liye nikalne wale gareeb aur

gaer mustati’ logo par kharch karne ke mindarja zel chand

usool hazrat maulana ne bayaan farmaye aur galiban is

‘aajiz se ye bhi irshaad farmaya ke in ko likh lo)

(1) Gaere mustati’ ko is tarah hikmat se diya jaye ke wo

is ko koi mustaqil silsila na samjhne lage aur un me

ishraaf paeda na hone paye.

(2) Dena’’talif’’ ke liye ho (yani deen se munasibat aur

uns paeda karne ke waaste ho) lihaza sirf baqadre

zarurat talif hi ho, phir jaese jaese un me deen ki

qadar wa talab aur is kaam se uns wa munasibat

barhti jaye usi qadar maali imdaad se haath

khenchna jaye, aur sohbat wa guftaguwo wagaera ke

zari’a ye jazba un me paeda kiya jaye ke wo mahnat

aur mazdoori kar kar ke ye kaam kare, ya jis tarah

apni aur zarurato ke liye qarz lete hai, us ko bhi ek

aham zarurat samjhte huwe hasbe mawqa is ke liye

qarz le.is raah me gaer ka mamnoon na hona

‘’’azeemat’’ hai. Hijrat ke waqt siddeqe akbar jaese

fidayi ne rasoolullah ko ootni peesh ki thi to huzoor

ne qimat taye kar ke qarz li.

Lekin jab tak ragbat ka ye darja aur ye jazba wa zaiqa

paeda naho us waqt tak baqadre munasib un ki mada ki

jati rahe.

(3) Maali imdaad ke aadaab me se ek ye bhi hai ke

nihayat makhfi taor par aur ‘izzat wa ehteraam ke

saath diya jaye aur dene wale umaraye khidmate

Page 88: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

88 MALFUZAAT -----------------------------------------------

deen me mashgool guraba ke qabool kar lene ko un

ka ehsaan samhje aur un ko apne se afzal samjhe ke

bawajood gurbat wa ‘asrat ke wo deen ke liye ghar

se nikle hai.deen ke liye ghar se nikalna sifate hijrat

hai, aur un ki madad karna sifate nusrat hai. Aur

‘’ansaar’’ kabhi ‘’muhajireen’’ ke barabar nahi ho

sakte.

(4) Is raah me kaam karne walo ki madad zakaat wa

sadqaat se ziyada hadya ki surat me ki jaye. Zakaat

wa sadqaat ki missal haandi ki mael ki si hai ke us

ko nikaalna zaruri hai warna saari handiya kharaab

rahe gi. Aur hadya ki misaal aese samjho jaese ke

taiyaar khane me khushbo daali jaye, aur us par

chaandi sone ke warq laga diye jaye.

(5) Deen ke liye ghar se nikalne walo ki madad ki ek

‘aala surat ye bhi hai ke un ke ghar walo ke paas

jaakar un ke sawda sulf aur un ki zarurato ki fikar

kare.aur un ko aaraam pahochane ki koshish kare aur

unhe bataye ke tumhare ghar ke log kaese

azeemushaan kaam ke liye nikle huwe hai, aur wo

kis qadar khush naseeb hai, garz ye ke khidmat aur

targeeb se un ko etna mutma-in kare ke wo khud

apne ghar ke nikle huwe logo ko likkhe’’ham log

yaha har tarah aaraam se hai’’tum itminaan ke saath

deen ke kaam me lage raho’’.

(6) Maali madad ke silsile me tafaqqude ahwaal ki bhi

zarurat hai(yani deen ke kaam me lage rahene walo

ke halaat par gaor kare, aur bala bala toh lagaye ke

Page 89: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

89 MALFUZAAT -----------------------------------------------

un ki kiya zaruriyat hai, aur un ki guzar basar kaisi

hai).

(7) Tafaqqude ahwaal ki ek surat jis ko khaas taor se

riwaaaj dena chahiye ye hai ke bare log apni

masturaat ko deen ke waaste nikalne wale guraba ke

ghar me bheja kare. Is se un guraba ke ahle khana ki

dildari aur hausla afzaai bhi hogi aur ke androni

halaat ka bhi kuch ‘ilm hoga.

114

Isi silsile me farmaya-infaaq fi sabilillah (rahe khuda me

kharch kare) par nusoos me dunyawi barkaat ka jo wada

kiya gaya hai wo is ka‘’ajar’’ nahi hai. Nikiyo ke asal ajar to

Aalam tahammul hi nahi kar sakta. Waha ki khusoosi

nemato ki bardaasht yaha kaha? Is dunya me to pahaar jaesi

sakht makhlooq hazrat musa jaese jalilul qadar paegambar

bhi ek tajalli ki taab na laa sake.

فلما تجلى ربو للجبل جعلو دكا وخر موسى صعقاFarmaya_jannat ki nemate agar yaha bhej di jaye to khushi

se maot waqe ho jaye. yahi haal waha ke azaab ka hai. Agar

dozakh ka ek bicchu is dunya ki taraf rukh kare to sari

dunya us ke zahar ki teezi se sokht ho jaye.

115

Isi silsile me farmaya__rahe khuda me kharch karne walo ki

misaal qur-aane paak me jo is shakhs se di gai hai jis ne ek

dana boya aur us se saat saw dane paeda huwe

Page 90: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

90 MALFUZAAT -----------------------------------------------

مثل الذين ينفقون أموالهم في سبيل الله كمثل حبة أنبتت سبع سنابل في كل سنبلة مائة حبة والله يضاعف لمن يشاء والله واسع عليم

to ye tamseel dunyawi barkaat hi ki hai.aakhirat me is

infaaq ka jo ajar mile ga wo to bahot hi wara-ul wara hoga,

aur is ki taraf ishara is ki agli aayat me hai

الذين ينفقون أموالهم في سبيل الله ثم لايتبعون ما أنفقوا منا ولا أذى لهم أجرىم عند ربهم ولاخوف عليهم ولاىم يحزنون

is me لهم أجرىم عند ربهم ka ishara usi asli ajar ki taraf hai jo

maot ke baad ‘aalame aakhirat me milne wala hai.

116

Isi silsile me farmaya_asal to yahi hai ke rizaye ilahi aur

ajre ukhrawi hi ke liye deeni kaam kiya jaye, lekin targeeb

me hasbe maoqa dunyawi barkaat ka bhi zikar karna

chahiye. Baz aadmi aese hote hai ke ibtida-an dunyawi

barkaat hi ki ummeed par kaam me lagte hai,aur phir isi

kaam ki barkaat se Allah ta-ala unhe haqiqi ikhlaas bhi ‘ata

farma deta hai.

Farmaya_dunyawi barkaat hamare liye mao’ood hai, un ko

maqsood aur matloob nahi banana chahiye, lekin un ke liye

du’aaye khoob karna chahiye Allah ki taraf se aane wali har

ne’mat ka banda bahot ziyada muhtaaj hai.

رب إني لما أنزلت إلي من خير فقير117

Farmaya_Allah ta-ala ne jo wa’de farmaye hai bila shuba

wo bilkul yaqeeni hai, aur aadmi apni samajh bhooj aur

Page 91: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

91 MALFUZAAT -----------------------------------------------

apne tajarrubaat ki rawshni me jo kuch soochta hai aur jo

mansube qaaim karta hai wo mahaz zanni aur wahami baate

hai magar aaj ka ‘aam haal ye hai ke apne mansubo aur apne

tajweez kiye huwe wasaail wa asbaab aur apni soochi huwi

tadabeer par yaqeen wa ‘etemaad karke log unke mutabiq

jetni mahnate aur koshishe karte hai Allah ta-ala ke wado ki

sharte puri karke unka mustahiq banne ke liye utna nahi

karte, jis se ma’loom hota hai ke apne khiyali asbaab par

unko jetna ‘etemaad hai utna Allah ke wado par nahi hai,

aur ye haal sirf hamare ‘awaam ka hi nahi hai balke sab

‘awaam wa khawaas

إلا من شاء اللهilahi wado wale yaqeen aur rawshan raasta ko choor kar

apni zanni aur wahami tadbiro hi me uljhe huwe hai, pas

hamari is tahreek ka khaas maqsad ye hai ke musalmaano ki

zindagi se is usooli aur bunyadi kharabi ko nikaalne ki

koshish ki jaye aur un ki zindagiyo aur sargarmiyo ko

zunoon wa awhaam ki lain ke bajaye ilahi wado ke yaqini

raasta par dala jaye. Ambiya ka yahi tariqa hai aur unho

ne apni ummatiyo ko yahi da’wat di hai ke wo Allah ke

wado par yaqeen karke aur bharosa karke unki sharto ko

pura karne me apni saari koshishe sarf karke unke mustahiq

bane. Allah ta-ala ke wado ke bare me jaesa tumhara yaqeen

hoga waesa hi tumhare saath Allah ka mu’aamla

hoga.hadithe qudsi hai

انا عند ظن عبدى بي

Page 92: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

92 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Hazrat maulana ka ye malfooz mukhtasar alfaaz me tha.

’aam nazireen ko is ka samajhna mushkil hota nacheez

murattib ne kisi qadar wazahat wa tashreeh ke saath ’ebarat

me hazrat ke matlab ko ada kiya hai, goya is malfooz ke

alfaaz wa ’ebarat ki zimmadari khususiyat se is ’aajiz par

agarche doosre malfuzaat me bhi tawzeeh wa tashsel ke liye

ta’beer aur tarze ada me kuch juzwi raddo badal kiya gaya

hai.

118

Farmaya_is rah me kaam karne ki sahih tarteeb yu hai ke

jab koi qadam uthana ho, maslan khud tableegh ke liye jana

ho ya tableeghi qafila kahi bhejna ho, ya shukook wa

shobhaat rakhne wale kisi shakhs ko mutmain karne ke liye

us se mukhatib hone ka irada ho to sab se pahele apni na

ahliyat aur be basi aur sail wa asbaab se apni tahi dasti ka

tasawwur kar ke Allah ko hazir wa nazir aur qadire mutlaq

yaqeen karte huwe pure ilhaah wa zaari ke saath us se arz

kare ke khuda wanda! Tu ne baar ha bagaer asbaab ke bhi

mahaz apni qudrate kaamila se bare bare kaam kar diye hai.

Ilahi bani Israel ke liye tu ne mahaz apni qudrat hi se

samandar me khushk raasta paeda kar diya tha.hazrat

Ibrahim ke liye tu ne apni rahmat aur qudrat hi se aag ko

gulegulzaar bana diya tha aur ay Allah tu ne apne haqeer

haqeer makhluqaat se bhi bare bare kaam liye hai. Ababeel

se tu ne abraha ke haathiyo wale lashkar ko shikast dilwai

aur apne ghar ki hifazat karayi. Arab ke oont charane wale

Page 93: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

93 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ummiyo se tu ne deen ko saari dunya me chamkaya aur

qaesar wa kisra ki saltanato ko tukre tukre kara diya.pas ay

Allah! Apni usi sunnate qadima ke mutabiq mujh nikamme,

nakara aur ‘aajiz wa bebas banda se bhi kaam lele. Aur mai

tere deen ke jis kaam ka irada kar raha hu us ke liye jo

tariqe tere nazdeek sahih hai mujhe us ki taraf rahnumai

farma, aur jin asbaab ki zarurat ho wo mahaz apni qudrat se

muhaiya farmade.

Bas Allah se ye dua maang kar phir kaam me lag jaye, jo

asbaab Allah ki taraf se milte rahe un se kaam leta rahe aur

sirf Allah hi ki qudrat wa nusrat par kamil bharosa rakhte

huwe apni koshish bhi pura karta rahe aur ro ro kar us se

nusrat aur ‘’ anjaaze wada

Wada qur-aani كان حقا علينا نصر المؤمنين ki taraf ishara hai .’ ki

iltijaye bhi karta rahe balke Allah ki madad hi ko asal

samjhe aur apni koshish ko is ke liye shart aur parda

samjhe.

119

Farmaya_khud kaam karne se bhi ziyada tawajjha aur

mafenat doosro ko is kaam me lagane aur unhe kaam

sikhane ke liye karni chahiye, shaitaan jab kisi ke muta’alliq

ye samajh leta hai ke ye to kaam ke liye khara ho hi gaya

aur ab mere baethaye baethne wala nahi to phir us ki

koshish ye hoti hai ke ye khud to laga rahe magar doosro ko

lagane ki koshish na kare , aur is liye wo us par razi ho jata

hai ke ye shakhs is kaare khaer me hamatan is qadar

Page 94: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

94 MALFUZAAT -----------------------------------------------

inhimaak se lag jaye ke doosro ko da’wat dene aur lagane

ka is ko koshish hi na ho. pas shaitaan ko shikast yu di ja

sakti hai ke doosro ko uthane aur unhe kaam par lagane aur

kaam sikhane ki taraf ziyada se ziyada tawajjha di jaye aur

da’wat ilal khaer aur dalalat ‘alal khaer ke kaam par ajar wa

sawaab ke jo wade qur-aan wa hadith me farmaye gaye hai

un ka tasawwur aur dhiyaan karte huwe aur usi ko apni

taraqqi aur taqarrub ka ‘ala zari’a samajhte huwe us ke liye

koshish ki jaye.

120

Farmaya_deen me thaerao nahi. Ya to aadmi deen me

taraqqi kar raha hota hai aur ya to niche girne lagta hai. Is ki

misaal yu samjho ke baag ko jab pani aur hawa muwafiq ho

to wo sar sabzi aur shadaabi me taraqqi hi karta raheta hai

aur jab mawsam na muwafiq ho ya pani na mile to aesa nahi

hota ke wo sarsabzi aur shadabi apni jagha par thaeri rahe

balke us me inhitaat shuru ho jata hai. Yahi halat aadmi ke

deen ki hoti hai.

121

Farmaya_logo ko deen ki taraf lane aur deen ke kaam me

lagane ki tadabeer socha karo(jaese dunya wale apne

maqasid ke liye tadbeere soochte hai) aur jis ko jis tarah se

mutawajjha kar sakte ho us ke saath usi raasta se koshish

karo

وأتوا البيوت من أبوابها

Page 95: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

95 MALFUZAAT -----------------------------------------------

122

Farmaya_tabi’at mayusi ki taraf ziyada chalti hai, kiyuke

mayoos ho jane ke baad aadmi apne ko ‘amal ka zimmadaar

nahi samajhta aur phir use kuch karna nahi parta.khoob

samajh lo ye nafs aur shaitaan ka bara kaid hai.

123

Farmaya_asbaab ki kami par nazar daal kar mayoos ho jana

is baat ki nishani hai ke tum asbaab parast ho aur Allah ke

wado aur us ke gaebi taqato par tumhara yaqeen bahot kam

hai, Allah par ‘etemaad karke aur himmat karke utho to

Allah ta-ala hi asbaab muhaiya kar deta hai, warna aadmi

khud kiya kar sakta hai. Magar himmat aur istita’at bhar

jhud shart hai.

Qist nambar aath

124

Jo log zindagi ke infiradi ma’aamlaat ya ijtima’e umoor me

Europe ki maseeh aqwaam ki taor tariqo ki taqleed kar rahe

hai aur usi ko is zamana me sahih tariqa kaar samajhte hai

un ki ruwaiya par ranj wa afsoos karte huwe ek sohbat me

farmaya:.

Zara soocho to! Jis qaom ke asmaani ‘uloom (yani Hazrat

maseeh ke laye huwe ‘uloom) ka chiraag, ‘uloome

Page 96: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

96 MALFUZAAT -----------------------------------------------

muhammadi (qur-aan wa sunnat) ke saamne gul ho gaya

balke min janibillah mansookh qaraar de diya gaya aur

barahe raast us se rawshni hasil karne ki saaf mumani’at

farma di gai, usi qaom ki ahwaah wa amaani (yani un

europion maseeh aqwaam ke apne khud saakhta nazriyo) ko

is hamile qur-aan wa sunnate muhammadiya ka ikhtiyaar

kar lena aur is ko sahih tariqa kaar samajhna Allah ta-ala ke

nazdeek ketna qabeeh aur kis qadar maujibe gazab hoga?aur

aqlan bhi ye baat kerni galat hai ke muhammadi wahi ke

mahfooz hote huwe (jis me zindagi ke tamaam infiradi aur

ijtima’e sho’bo ke muta-alliq kamil hidayat maujood

hai)’eesai qaomo ke taor wa tariqo ki paerwi ki jaye, kiya ye

‘uloom muhammadi ki sakht na qadri nahi hai?

125

Farmaya_ham jis deeni kaam ki da’wat dete hai bazahir to

ye bara sada sa kaam hai. Lekin fil haqiqat bara nazuk hai.

Kiyuke yaha maqsood sirf karna karana nahi hai balke apni

sa’e karke apni ‘aajzi ka yaqeen aur Allah ta-ala ki qudrat

wa nusrat par ‘etemaad karna hai. Sunnatullah yahi hai ke

agar Allah ta-ala ki madad ke bharosa par apni koshish ham

kare to Allah ta-ala hamari koshish aur harkat hi me apni

madad ko shamil kar dete hai.qur-aane majeed ki aayat’

ويزدكم قوة إلى قوتكم’me isi taraf ishara hai apne ko bilkul bekaar samajh kar

baethe rahena to ‘’ jabriyat’’ hai aur apni hi quwat par

‘etemaad karna ‘’qadriyat ‘’ hai(aur ye dono gumrahiya

Page 97: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

97 MALFUZAAT -----------------------------------------------

hai.aur sahih islaam in dono ke darmiyaan hai. Yani Allah

ta-ala ne jaddo jihad aur koshish ki jo haqeer si quwat aur

salahiyat ham ko bakhsh rakkhi hai, Allah ke hukom ki

ta’meel me to us ko pura pura laga de aur is me koi kasar na

utha rakkhe. Lekin nataij ko paeda karne me apne ko bilkul

‘aajiz aur be bas yaqeen kare aur sirf Allah ta-ala ki madad

hi par ‘etemaad kare aur sirf usi ko kaar farma samjhe.

Farmaya_uswaye nabawi se us ki puri tafseel ma’loom ki ja

sakti hai musalmaano ko hamari da’wat bas yahi hai.

126

Farmaya_mai chahta hu ke ab mewaat me faraaiz(yani

taqsime miraas ki shar’ee tareeq) ko zinda karne aur riwaaj

dene ki taraf khaas tawajjha ki jaye aur ab jo tableeghi

wufood waha jaye wo faraaiz ke baad ke wado aur wa’eedo

ko khoob yaad karke jaye.

127

Isi silsilaye kalaam me farmaya:.

‘amal ki kotahi par khulod finnaar nahi hai balke khulood

hai ‘adame yaqeen aur takzeeb par’’.

128

Farmaya_har ‘amal ka juzwe aakhir ‘eteraafe taqseer aur

khashiyaye ,Yani ’amal ke qabool na hone ka khatra .

Page 98: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

98 MALFUZAAT -----------------------------------------------

radd hona chahiye (yani har nek ‘amal ko apni fitrat se

bahetar se bahetar ada karne ki koshish kare lekin phir uske

khatima par ye ehsaas hona chahiye ke jaesa Allah ta-ala ka

haqq tha, aur jaesa karna chahiye tha waesa nahi ho saka aur

is ki bina par dil me ye khof aur khatra hona chahiye ke kahi

hamara ye ‘amal naqis aur kharaab hone ki wajha se

mardood qaraar dekar qiyamat me hamare muh par na maar

diya jaye aur phir isi ehsaas aur isi khof wa khatar ki bina

par Allah ta-ala ke saamne roya jaye aur baar baar istigfaar

kiya jaye.

129

Farmaya_’eteqadaat ke bare me bhi usool ye hai ke apni

taraf se to ‘eteqaad ko wasiq aur mazboot rakhne ki puri

koshish kare aur us ke khilaaf wasaawis ko bhi na aane de,

lekin phir bhi darta rahe ke kama haqqahu yaqeen mujhe

hasil hai ya nahi.

Farmaya_sahih bukhari shareef me jo ibne abi mulaika ka jo

irshaad naqal kiya gaya hai ke

كلهم يخشى علي نفسو النفاق أو كما صلى الله عليه وسلملقيت ثلثين من أصحاب النبي قال

(tarjuma) Ibne abi Mulaika tabi’ee farmate hai ke mai ne

tes sahabiyo se mulaqaat ki mai ne un me se har ek ko apne

nafs ke bare me nifaaq se darta huwa paya.

to us ki haqiqat yahi hai.

Farmaya_ ‘eteqaad aur yaqeen ki zarurat is liye bhi hai ke

Allah wa rasool ne jo kuch farmaya hai dil ki taraf se haibat

Page 99: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

99 MALFUZAAT -----------------------------------------------

aur tawqeer aur ezaaz ke saath us ka istiqbaal ho, is surat me

‘amal bhi hoga aur ‘amal me jaan bhi hogi.

130

Ek deeni madrasa ke ek mashoor ustaad ka zikar karte huwe

farmaya:.

‘’mai ne un se kaha ke aap logo ke, Allah ki nazar se girne

aur phir isi natije me dunya ki nazro se bhi gir jane ki ek

khaas wajha ye hai Allah wa rasool ke rishte se jo

ta’alluqaat hai un ki tawqeer aap logo me nahi rahi. Aur

dunyawi aur maaddi ta’alluqaat ke dabao ko aap ziyada

qabool karne lage. Dekho! Mera tumhara ta’alluq sirf Allah

wa rasool ke waaste hai. Mai ne tumhe bulaya tum nahi

aaye lekin ……..ke ek khat ne tumhe bula liya (halaake un

me hayi baat to ziyada hai ke wo dawlat mand hai aur un se

aur un ke asar se chanda milta hai) to hamari bunyadi bimari

hai_Allah wa rasool ke waaste se aur un ki taraf se kahene

walo ki na sunna aur na manna’’.

Isi silsile me farmaya:.

‘’ mai ab mewaat me ye baat paeda karna chahta hu ke wo

apne naza’at ka faesla Allah wa rasool se ta’alluq rakkhne

walo se aur shari’at ke mutabiq karaye aur un ka jazba ye ho

ke Allah wa rasool se ta’alluq rakkhne walo ke faesla se

agar aadha bhi mile to wo sarasar rahmat aur barkat hai. Aur

khilafe shari’at faesla karne wale sara bhi dilwaye to wo

sarasar wabaal aur be barkat hai.’’.

Page 100: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

100 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Farmaya-

م فلاوربك لايؤمنون حتى يحكموك فيما شجر بينهم ثم لايجدوا في أنفسه حرجا مما قضيت ويسلموا تسليما

’ka mudda’a yahi hai lekin ye baat ek dam paeda nahi ho

sakti, balke us ki surat ye hai ke pahele unme Allah wa

rasool ki ita’at aur ahkaame shari’at ki paerwi ka shaoq

paeda kiya jaye aur is cheez ko unki tabi’ato par galib kiya

jaye aur phir hikmat aur tadreej ke saath ye baat unme paeda

ki jaye ke Allah wa rasool ki ita’at ki ‘amli surat yahi hai ke

Allah wa rasool se sahih ta’alluq rakhne wale deen ki jo

baate bataye un ko ‘azmat wa tawqeer se mana jaye, aur

zaoq wa shaoq se un par ‘amal kiya jaye. Yahi tariqa

zindagiyo ke rukh ko palatne ka hai.

131

Farmaya_mere nazdeek haqiqi deen ye hai ke is ‘aalam ke

asbaab ko Allah ta-ala ke amre takwini ka parda samajhne

lage, aur ye yaqeen karne lage ke is parde me karne wala

koi aur hai aur is ka fe’l wa hukom haqiqi sabab hai. Goya

bajaye zahiri asbaab ke Alah ta-ala ke gaebi hukom hi ko

haqiqi samajhne lage (aur zahiri asbaab me koshish karne se

bhi ziyada koshish is ki kare ke Allah ta-ala mujh se razi

hokar mera kaam pura karde).

Farmaya_ qur-aan majeed ki aayat

ومن يتق الله يجعلو مخرجا ويرزقو من حيث لايحتسبme gaor karo.

Page 101: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

101 MALFUZAAT -----------------------------------------------

132

Panjaab ka ek deen daar musalmaan ka zikar karte huwe

farmaya:.

‘’wo jab paheli dafa yaha aaye to ittifaq se mai us waqt ibne

maja shareef ka sabaq pardha raha tha, unho ne salaam kiya,

mai ne hadith ke dars me mashguliyat ki wajha se jawaab

nahi diya.phir wo wahi baeth gaye aur thori deer ke baad

(sabaq hi ke dawraan me) unho ne kaha mai fala jagha se

aaya hu.mai ne us ka bhi koi jawaab nahi diya. Kuch deer

ke baad wo uth kar chalne lage. Ab mai ne un se pucha ke

aap kiyu aaye the? Unho ne kaha’’ ziyarat ke liye’’. Mai ne

kaha jis ‘’ziyarat ‘’ ki haditho me targeeb aur fazilat aayi hai

wo ye nahi hai ke kisi ki sirf surat dekh li jaye to ye aesa hi

hai jaese ke kisi ki tasweer dekh li----shar’ee ziyarat ye hai

ke us ki baat puchi jaye .aur aap ne to na apni kuch kahi aur

na meri kuch suni----unho ne kaha kiya mai thaeru?----mai

ne kaha zaroor---chunanche wo thaer gaye aur phir jab unho

ne meri baat ko suna aur samjha aur yaha ke kaam ko dekha

to apne bare bhai…….ko bulaya---agar mai us waqt isi taor

par mukhtasar baat un se kar leta to jo kuch baad me huwa

kuch bhi na hota aur wo bas’’ ziyarat’’ hi karke chale jate.

Farmaya_zamana ke badalne se deeni istilahaat ke ma’na

bhi badal gaye aur unki ruhe nikal gai. Deen me muslim ki

muslim se mulaqaat’’ ki fazilat is liye hai ke us me deen ki

baate ho jis mulaqaat me deen ka koi zikar wa fikar na ho

wo be ruh hai.

Page 102: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

102 MALFUZAAT -----------------------------------------------

133

Farmaya_ hamare nazdeek islaah ki tarteeb yu hai ke(kalima

taiyiba ke zari’a emaani mu’aahida ki tajdeed ke baad)sab

se pahele namaazo ki durusti aur takmeel ki fikar ki jaye,

namaaz ki barkaat baqi puri zindagi ko sudhare gi. Namaaz

ki durusti hi saari zindagi par salahiyat aur kamaal ka

fayzaan hota hai Is ijmaal ki kuch tafseer khaaksare

murattib ne malfuzaat ke risala namaaz ki fazilat se

ma’loom ho sakti hai jo chap kar sha’e ho chuka hai.

. 134

Farmaya_ hamari is deeni da’wat me kaam karne wale sab

logo ko ye baat acchi tarah samjha deni chahiye ke

tableeghi jama’ato ke nikalne ka maqsad sirf doosro ko

pahochana aur batana hi nahi hai balke is zari’a se apni

islaah aur apni ta’leem wa tarbiyat bhi maqsood hai, lihaza

nikalne ke zamana me ‘ilm aur zikar me mashguliyat ka

bahot ziyada ihtimaam kiya jaye. ‘ilme deen aur zikrullah

ke ihtimaam ke bagaer nikalna kuch bhi nahi hai—phir ye

bhi zaruri hai ke ‘ilm wa zikar me mashguliyat is rah ke

apne baro se wabastagi rakhte huwe aur un ke zere hidayat

wa nigrani ho. Ambiya ka ‘ilm wa zikar Allah ta-ala ke zere

hidayat tha aur sahaba kiraam huzoor se ‘ilm wa zikar lete

the aur huzoor unko puri puri nigrani farmate the. Isi tarah

har zamana ke logo ne apne baro se ‘ilm wa zikar liya aur

un ki nigrani aur rahenumai me takmeel ki. Aese hi aaj bhi

Page 103: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

103 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ham apne baro ki nigrani ke muhtaaj hai, warna shaitaan ke

jaal me phans jane ka bara andesha hai.

Qist nambar no

135

Farmaya_hamari ye tableeghi tahreek , deeni ta’leem wa

tarbiyat phaelane aur deeni zindagi ko ‘aam karne ki tahreek

hai. Aur is ke jo usool hai bas unhi ki ri’ayat aur

nighadaasht me is ki kaamyabi ka raaz muzmar hai. Un

usoolo me se ek aham usool ye hai ke musalmaano ke jis

tabqa ka jo haqq Allah ta-ala ne rakkha hai us ko ada karte

huwe us ki da’wat ko us ke saamne peesh kiya jaye.

Musalmaano ke teen tabqe hai:.

1) Pasmaanda (gurabaa)

2) Ahle waqaar

3) ‘Ulamaaye deen

In sab ke saath jo ma’amla hona chahiye us ko ye hadith

jame’ hai:.

من لم يرحم صغيرنا و لم يؤقر كبيرنا ولم يبجل علمائنا فليس مناPas qaom me jo chote ho un ka haqq (raham wa khidmat)

aur jo ashaabe waqaar aur ahle jaahat ho un ka haqq

(tawqeer) aur ‘ulamaaye deen ka haqq (ta’zeem) ada kar ke

un ko ye da’wat di jaye’’

وأتوا البيوت من أبوابها

Page 104: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

104 MALFUZAAT -----------------------------------------------

136

Delhi ke ek tajir ek tableeghi jama’at ke saath kaam kar ke

Sindh se wapas aaye the, waha ke kaam ki report un se kar

hazrat ne farmaya:.

‘’ doosto! Hamara ye kaam (islaahi wa tableeghi jaddu

jihad) ek tarah ka ‘amle taskheer hai (yani jo koi is kaam me

lage ga aur us ko apni dhun bana lega Allah ta-ala us ke

kaam banata rahe ga)

ن الله لوامن كان لله ك agar tum Allah ke kaam me lago ge to zameen wa aasmaan

aur fiza ki hawaye tumhare kaam anjaam dengi------tum

Allah ke kaam me ghar aur karobaar chor kar nikalte the, ab

aankho se dekh lena ke tumhare karobaar me ketni barkat

hoti hai-------Allah ki nusrat karke jo uski nusrat wa rahmat

ki ummeed na rakkhe wo fasiq aur be naseeb hai.’’murattib

‘arz karta hai ke aakhri fiqra aap ne aese andaaz aur etne

josh se kaha ke hazireene majlis ke dil hil gaye.

137

Farmaya_hamare is kaam ki sahih tarteeb to yahi hai ke

pahele qareeb qareeb jaya jaye aur apne mahool me kaam

karte huwe aage barha jaye. Maslan yaha se jama’ate pahele

karnaal, pani patt wagaera jaye, phir waha se panjaab aur

riyasat Bahawalpur ke ‘elaqo me kaam karti huwi Sindh

jaye----lekin kabhi kabhi kaarkuno me ‘azam aur pukhtagi

Page 105: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

105 MALFUZAAT -----------------------------------------------

paeda karne ke liye door door bhejh diya jata hai---is waqt

Sindh , Mumbai wagaera jama’ate bhejne se yahi maqsad

hai. Un taweel safro se ‘azam aur kaam ka ‘eshq paeda

hoga.

138

Farmaya_hamare is kaam me phaelao se ziyada rusookh

aham hai lekin is kaam ka tariqa aesa hai ke rusookh ke

saath hi phaelao bhi hota jayega kiyuke rusookh bagaer is

ke paeda hi nahi hoga ke is da’wat ko le kar shahero

shahero aur mulko mulko phira jaye.

139

Ek niyaaz mand se (jin ko maulana ke tableeghi kaam se bhi

ta’alluq tha aur us ke ‘elawa tahreer wa tasnef un ka khaas

mashgala tha) ek din farmaya:.

‘’mai ab tak is ko pasand nahi karta tha ke is tableeghi kaam

ke silsile me kuch ziyada likkha pardha jaye aur tahrer ke

zari’a is ki da’wat de jaye, balke mai is ko mana karta raha--

---lekin ab mai kaheta hu ke likkha jaye aur tum bhi khoob

likkho. Magar yaha ke fala fala kaam karne walo ko meri ye

baat pahocha kar un ki raye bhi le lo(chunanche un naam

zad hazraat ko hazrat maulana ki ye baat pahoncha kar

mashwara talab kiya gaya, un sahibaan ne apni ye raay zahir

ki ke is bare me ab tak jo tarze ‘amal raha hai wahi ab bhi

rahe, hamare nazdeek yahi bahetar hai)----hazrat maulana

ko jab un hazraat ki ye raay pahonchai gai to farmaya ke

Page 106: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

106 MALFUZAAT -----------------------------------------------

pahele ham bilkul kis maprasi ki halat me the, koi hamari

baat sunta nahi tha aur kisi ki samajh me hamari baat aati

nahi thi, us waqt yahi zaruri tha ke ham khud hi chal phir

kar logo me talab paeda kare aur ‘amal se apni baat

samjhaye. Us waqt agar tahreer ke zari’a ‘aam da’wat di jati

to log kuch ka kuch samjhte aur samajhne ke mutabiq hi

raye qaaim karte, aur agar baat kuch dil ko lagti to apni

samajh ke mutabiq kuch sidhi kuch ulti is ki ‘amli tashkeel

karte aur phir nataaij galat nikalte to hamari iskeem ko naqis

kahete. Is liye ham ye bahetar nahi samajhte the ke logo ke

paas tahreer ke zari’a hamari da’wat pahonche----------lekin

Alllah ta’ala ke fazal wa karam aur us ki madad se ab halaat

badal chuke hai, hamari bahot si jama’ate mulk ke atraaf me

nikal kar kaam ka tariqa dikhla chuki hai, aur ab log hamare

kaam ke talib ban kar khud hamare paas aate hai, aur Alllah

ta-ala ne ham ko etne aadmi de diye hai ke agar mukhtalif

atraaf me talab paeda ho, aur kaam sikhane ke liye jama’ato

ki zarurat ho to jama’ate bheji ja sakti hai-----to ab halaat

me bhi kis maprasi wale ibtidai zamana hi ke tariqaye kaar

ke har har juz par jame rahena thek nahi hai, is liye mai

kaheta hu ke tahreer ke zari’a bhi da’wat deni chahiye’’…

140

Farmaya_ab ye kahena chor do ke teen din do ya paanch din

do, ya saat din do bas ye kaho ke raasta ye hai, jo jetna kare

ga utna pawe ga. Is ki koi had aur koi sira nahi hai.

Rasoolullah ka kaam sab nabiyo se aage hai. Aur hazrat abu

Page 107: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

107 MALFUZAAT -----------------------------------------------

bakar ki ek din aur ek raat ke kaam ko hazrat umar nahi pa

sake, phir is ki gayat hi kiya hai. Ye to sone chaandi ki kaan

hai, jetna khodo ge utna nikalo ge’’.

141

Maaddi manafe ke liye dushmanane islaam ka aalaye kaar

banne wale musalmaano ka zikar karte huwe farmaya:.

‘’ agar tum un me shikam parasti aur garz parasti ke bajaye

khudaye parasti ka jazba paeda kar sako ge to phir wo peet

aur doosri agraaz ke khatir dushmano ke aalaye kaar kiyu

banenge, jazbaat aur dil ka rukh badle bagaer zindagi ke

ishgaal badalwane ki koshish galat hai, sahih tariqa yahi hai

ke logo ke dilo ko Allah ki taraf pheer do phir unki puri

zindagi Allah ke hukmo ke matahat ho jaye gi

لاالو الا الله ka yahi maqsad hai, aur hamari tahreek ki yahi bunyaad

hai.

142

Ye din hazrat ne galiban ye bayaan farmate huwe ke hamare

is kaam ka bunyaadi usool ye hai ke logo me pahele imaan

yani Allah wa rasool ki bato haqiqi yaqeen aur deen ki

qadar paeda karne ki koshish ki jaye. Is ke bagaer deen ki

tafsili ahkaam peesh karna sahih nahi hai. Balke is se logo

ke andar aur dhatai paeda hogi. Ek talibe ‘ilm ka qissa is

tarah bayaan farmaya:.

Page 108: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

108 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’ kisi talibe ‘ilm ko us ke buzrug ustaad ne ye yaqeen dila

rakkha tha ke dunya me sab se ziyada beesh qimat cheez

‘ilme deen hai aur is ka ek ek masala hazaro laakho rupiya

se ziyada qimti hai.ek din us talibe ‘ilm ko apna tuta huwa

jota ghatwane ki zaruyrat pari, wo chamaar ke paas gaya,

jab mazdoori ki baat cheet huwi to us talibe ‘ilm ne kaha ke

mai tujh ko deen ka ek mas-ala batladunga. Us ne pahele to

mazaaq samjha lekin jab use andaza huwa ke ye mazaaq

nahi kahe raha hai to us ne apni dukaan se utha diya__wo

apne ustaad ke paas aaya aur kaha ke aap to kahete the ke

deen ka ek mas-ala hazaaro laakho se ziyada qimat ka hota

hai aur chamaar to us ke badle juta ghatne par bhi taiyaar na

huwa. Un buzrug ne kaha (jo us shaher ke mashoor shaekh

aur marje’ akhlaaq the) talibe ‘ilm ko ek hira diya aur us se

kaha ke tarkaari bazar me jakar is ki qimat jachwaao wo

phele ek baer wali ke paas gaya aur us se pucha ke ye

patthar tum ketne me legi? Us ne kaha ke ye mere kis kaam

ka hai. Chataank bhar ka bhi to nahi ke chatanki banalu,

khaer agar tu dewe hi hai to paanch baer mai is ke badle me

tujhe dedungi mera baccha is se kheel liya kare ga. Us ke

baad ek doosre baeri wali se unho ne baat ki, us ne bhi yahi

kaha ke ye mere kisi kaam ka nahi hai.

Ye apne ustaad ke paas wapas aaye aur batlaya ke waha to

usko bekaar batlaya gaya aur ek baer wali mushkil se

paanch baero ke badle me taiyaar huwi.

Unho ne kaha ab isko lekar jawhari bazaar jao aur waha

jawhari se qimat jachwao, magar dena kisi ko nahi.

Page 109: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

109 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Ye gaye aur ek jawhari ke dukaan par ja kar unho ne wo

hira dekhaya dukaandaar ne us talibe ‘ilm ki surat dekh kar

pahele to usko choor samjha lekin us ko jab ma’loom huwa

ke fala buzrug ka bheja huwa hai to kaha ke ye hira ham

nahi khareed sakte is ko to koi baadsha hi khareed sakta hai-

--unho ne aakar apne ustaad ko is ki khabar di.

Unho ne kaha jis tarah baeri wali is hire ki qimat ko nahi

jaanti thi aur is liye wo isko ek paese me bhi lene ko taiyaar

nahi thi isi tarah wo chamaar bhi nahi jaanta tha ke deen ki

mas-ala ki kiya qimat hoti hai.galti tumhari hai ke tum ne

naqadardaan ko qadardaan samjh liya’’.

Is ke baad isi silsile me deen ki jaanne wale ek baadsha ka

waqi’a is tarah bayaan farmaya:.

‘’ ek deen daar aur deen ke qadar shanaas baadsha ne apna

larka ek molwi sahab ke hawala kiya ke is ko ‘ilme deen

pardhao. Ittifaaq se wo larka barahi ko deen aur be deen

samajhta tha. Molwi sahab ne baar baar baadsha ko ittila’ di

ke ye pardhne ke qabil nahi hai, lekin baadsha ka hukom

yahi aata raha ke iski bilkul parwa na karo, agar wo apni

kam samjhi ki wajha se akhz nahi kar sakta hai to tum

‘uboor hi kara do, chunanche bas ‘uboor hi hota raha.jab ye

‘uboor pura huwa to baadsha ne bari khushi manai aur larke

se farmaaish ki ke deen ki koi baat karo. Us ne kaha mujhe

to kuch yaad nahi. Baadsha ne kaha jo bhi mas-ala tumhe

yaad hai wahi bayaan karo. Larke us waqt haiz ke

muta’alliq ek mas-ala bayaan kiya. Baadsha ne barsare

majlis se kaha ke agar meri saari saltanat sarf hokar bhi

tumhe yahi ek mas-ala aajata to bhi nafa hi nafa tha.

Page 110: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

110 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Bhaiyo! Logo se deen par ‘amal karane ke liye pahele unme

haqiqi imaan, aakhirat ki fikar aur deen ki qadar paeda karo.

Allah ki dhesh bahot hai magar us ke yaha gaerat bhi hai.

Wo na qadro ko nahi deta---tum bhi apne baro se deen ko

qadar ke saath lo---aur is qadar ka muqtaza ye bhi hai ke

unko apna bahot bara muhsin samjho aur puri tarah unki

ta’zeem wa tawqeer karo. Yahi mansha hai is hadith ka jis

me farmaya gaya hai:.

من لم يشكر الناس لم يشكر الله (Jis ne apne muhsin aadmiyo ka shukar ada na kiya us ne

Allah ka bhi shukar ada nahi kiya)

143

Isi silsile me farmaya_is silsile ka ek usool ye hai ke

azaadrawi aur khud raai na ho, balke apne ko un baro ke

mashwaro ka paband rakkho jin par deen ke bare me un

akaabir marhumeen ne ‘etemaad zahir kiya. Jin ka Allah ke

saath khaas ta’alluq ma’loom wa musallam hai. Rasoolullah

ke baad sahaba kiraam ka ‘aam me’yaar yahi tha ke wo unhi

akaabir par ziyada ‘etemaad karte the jin par huzoor khaas

‘etemaad farmate the. Aur phir baad me wo hazraat ziyada

qabile ‘etemaad samjhe gaye jin hazraat par hazrat abu

bakar aur hazrat ‘umar ne ‘etemaad farmaya tha. Deen me

‘etemaad ke liye bahot tayaqquz ke saath intikhaab zaruri

hai, warna bari gumrahiyo ka bhi khatra hai.

Page 111: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

111 MALFUZAAT -----------------------------------------------

144

Farmaya_Akbar ki gumrahi ka khaas sabab yahi tha ke

ibtida me us ne ‘ulama par bahot ‘etemaad kiya, aur yaha

tak kiya ke apni baag hi majlise ‘ulama ke haath me de di,

aur ‘ulama ki intikhaab wa salahiyat wa qabilyat thi nahi.

Natija ye huwa ke talibane dunya aur mutanafiseen ka

jhamgata ho gaya, jab Akbar ko unki bad niyati aur garz

parasti aur dunya talbi ka tajurba howa to ‘ulama se sakht

mutanaffir ho gaya aur phir yaha tak pahonch gai ke ‘ulama

se us ne kulli ijtinaab ikhtiyaar kar liya aur doosre mazahib

ke peeshwa us par qabu yaafta ho gaye, phir islaam ki jagha

‘’deene ilahi’’ banne laga Imam rabbani hazrat Mujaddide

alfe sani ne bhi apne baaz makatib me bilkul yahi cheez

bayaan farmai hai aur ’ulamaye dunya hi ko is ki zalalat ka

sabab batlaya hai .

145

Farmaya_meri is bimaari aur kamzori ki wajha se ‘ulama

aur tulaba ka mustaqil faesla hai ke mai baat cheet bilkul na

karu, hatta ke salaam wa musafaha bhi na karu. Mai is

muttafiqa faesla ki khilaaf warzi sirf is deeni fariza (islaah

wa tableegh) ke ahyaa ke liye karta hu, jis ke muta’alliq

mujhe ma’loom hai ke agar mai is ko na karu to phir ye

fariza is waqt zinda na ho sake ga. Sura tawba ki is aayat se

mai ne ye samjha hai.

Page 112: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

112 MALFUZAAT -----------------------------------------------

ما كان لأىل المدينة ومن حولهم من الأعراب ان يتخلفوا عن رسول الله عن نفسو ولايرغبوا بأنفسهم

Is aayat se ma’loom hota hai ke agar kisi waqt deen ka

kaam kuch logo par mawqoof ho to phir un ko apni jaan ki

parwa karna jaaiz nahi.

146

Farmaya_’aam taor se kaam karne wale log bare aadmiyo

aur numaya hastiyo ke piche lagte hai, aur Allah ke gareeb

aur khasta haal bande agar khud bhi aa jaye to un ki taraf

mutawajjha nahi hote. Ye maaddiyat hai khoob samajh lo,

jo khud ba khud tumhare paas aagaya wo Allah ka ‘atiya aur

us ka bheja huwa hai, aur jis ke piche lag ke tum use laye

wo tumhari kamaai hai jo Allah ko khalis ‘ata ho us ki qadar

apni kamai se ziyada honi chahiye. Ye shikasta haal gareeeb

mewati jo yaha pare rahete hai unnki qadar karo. Zara socho

to rasoolullah ne dua ki thi:.

اللهم احيني مسكينا وا متني مسكينا واحشرني في زمرة المساكينAy Allah mujhe miskini ki halat me zinda rakh aur miskini

ki halat me mujhe maot de aur baroze qiyamat miskini ki

halat me mujhe utha)

147

Farmaya_hazrat gangohi is daor ke qutbe irshaad aur

mujaddid the, lekin mujaddid ke liye zaruri nahi hai ke sara

Page 113: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

113 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tajdeedi kaam usi ke haat zahir ho, balke uske aadmiyo ke

zari’a jo kaam ho wo sab bhi bilwaasta usi ka hai, jis tarah

khulafaye rashideen bilmakhsoos hazraate shaekhaen ka

kaam fil haqiqat Rasoolullah ka hi kaam hai.

148

Farmaya_deen ki nemat jin wasaait se ham tak pahonchi un

ka shukur wa ‘eteraaf aur un ki mohobbat na karna mahrumi

hai.

من لم يشكر الناس لم يشكر اللهAur isi tarah unhi ko asal ki jagha samajh lena shirk aur

mardudiyat ka sabab hai. Wo tafreet hai aur ye ifraat hai,

aur siraate mustaqeem un dono ke darmiyaan hai.

149

Farmaya_Allah ta-ala ne apni sifaat wa ‘adaat jo qur-aane

paak me bayaan ki hai un par isi tarah imaan rakkhna

chahiye, kisi ka bayaan bhi Allah ke apne bayaan ko nahi

pahonch sakta, khud rasoolullah ka irshaad hai:.

ثناء عليك انت كما اثنيت علي نفسكاللهم لانحصى 150

Hazrat gangohi ke nawase hazrat hafiz Muhammad ya’qoob

sahab gangohi ziyarat wa ‘eyadat ke liye tashreef laye un ke

saath unhi ki gharane ki koi khatoon bhi thi(galiban unki

sahabzadi hi thi) wo bhi hazrat malana ki ‘eyadat ke liye

tashreef layi thi, hazrat ne unko pase parda hujra hi me

bulwa liya. Unko khitaab karte huwe jo kuch hazrat ne us

Page 114: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

114 MALFUZAAT -----------------------------------------------

waqt farmaya tha us ke chand faqre qalam band kar liye

gaye the jo darje zeal hai:.

Farmaya_من لم يشكر الناس لم يشكر الله’’mujhe deen ki nemat

aap ke gharane se mili hai, mai aap ke ghar ka gulaam hu

gulaam ke paas agar koi acchi cheez aa jawe to use chahiye

ke tuhfa me apne aqa ke samne peesh karde. Mujh gulaam

ke paas aap hi ke ghar se hasil kiya huwa ‘’ wirasate

nabuwat’’ ka tuhfa hai, is ke siwa aur is se bahetar mere

paas koi sawgaat nahi hai jo mai peesh kar saku.

Deen kiya hai? Har mauqa par Allah ke awaamir ko talaash

karte huwe aur un ka dhiyaan karte huwe, aur apne nafs ke

taqaze ki aazmaaish se bachte huwe unki ta’meel me lage

rahena aur Allah ke hukmo ki talaash aur dhiyaan ke bagaer

kaamo me lagna hi dunya hai .

Is tariqa se chand roz me wo baat hasil ho sakti hai jo

doosre tariqo se pacchees (25) saal me bhi hasil nahi hoti.

Mai masturaat se kaheta hu ke deeni kaam me apne ghar

walo ki madad gaar ban jao. Unhe itminaan ke saath deen

ke kaam me lagne ka mauqa do, aur gharelu kaamo ka un ka

boojh halka kardo, taake wo befikar hokar deen ka kaam

kare.agar masturaat aesa na karegi to’’habalatush shaittaan’’

Yani shaitaan ke jaal aur phande jin me phans ke wo

aadmiyo ko deen ki raah se rokta hai. Ye mazmon ek hadith

ka hai. ho jaye gi.

Deen ki haqiqat hai ke jazbaat ko Allah ke awaamir ka

paband karna, sirf deeni masaail ke jaanne ka naam deen

nahi hai, ‘ulamaye yahood deen ki baate aur apne shari’at ke

masaail ko bahot jaante the lekin apne jazbaat ko unho ne

Page 115: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

115 MALFUZAAT -----------------------------------------------

awaamire ilahiya ka paband nahi kiya tha, is liye magdoob

aur mardood ho gaye.

Isi guftagu ke asna me kisi khaas mu’aamla ke muta’alliq

hazrat se dua ki darkhaast ki gai to farmaya:..

Jo koi Allah ka taqwa ikhtiyaar kare, yani jazbaat ko

awaamire ilahiya ke tabe’ karde to phir Allah ta-ala us ki

tamaam mushkile pardaye wo gaeb se hal karte hai aur aese

tariqo se us ki madad karte hai ke khud use waham wa

gumaan bhi nahi hota.

حيث لايحتسب ومن يتق الله يجعلو مخرجا ويرزقو من Allah ki khaas madad hasil karne ki yaqini shartiya tadbeer

ye hai ke us ke deen ki madad ki jaye.

إن تنصروا الله ينصركمAgar tum Allah ki deen ki madad karo to halaak karne wali

cheeze tumhare liye zindagi aur rahat ka samaan ban jaye.

Hazrat Ibrahim ne jaan se Allah ke deen ki madad ki to

Allah ne aag ko un ke haqq me gulzaar bana diya. Aese hi

hazrat musa aur un ki qaom ko us darya ne jis ki khasiyat

dubona hai salamati ke saath sahil tak pahoncha diya.

151

Aaj batareekh jamadil ula san tera saw taresat hijri baroze

chaar shomba raat me Darul uloom deoband ke tulaba ki ek

jama’at aayi hai. Raat bawaqte ‘esha hazrat ko ishaal ka ek

dawra ho gaya tha jis se zuf intiha ko pahoncha huwa hai,

baat karne ki taqat nahi hai, baade namaaze fajar khaaksaar

murattib huwa aur irshaad farmaya:.

Page 116: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

116 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’ kaan bilkul mere labo se lagado aur suno! Ye tulaba Allah

ki amanat hai aur us ka ‘atiya hai. Is ki qadar aur is nemat

ka shukriya ye hai ke in ka waqt inki haisiyat ke munasib

pure ihtimaam se kaam me lagaya jaye aur zara sa waqt bhi

zaa’e na jaye, ye bahot kam waqt ke liye aaye hai pahele

meri do teen bate unhe pahoncha do.

1 ) apne tamaam asatiza ki tawqeer aur un sab ka adab wa

ehteraam aap ka khususi aur imtiyazi fariza hai, aap ko unki

aesi tazeem karni chahiye jaesi ki a-immaye deen ki ki jati

hai wo aap logo ke liye ‘ilme nabawi ke husool ka zari’a hai

aur jis ne kisi ko deen ki ek baat bhi batlai wo us ka mawla

ho jata hai.phir ‘ilme deen ka mustaqil asatiza ka jo haqq

hai wo samjha ja sakta hai. Balke agar unke darmiyaan kuch

naza’at bhi ho tab bhi adab wa tazeem ka ta’aluq sab ke

saath yaksa rahena chahiye, kha mohobbat wa ‘aqidat kisi

ke saath kam aur kisi ke saath ziyada ho lekin ‘azmat me

faraq na aana chahiye. Qur-aan majeed ne to har momin ka

haqq bataya hai ke un ki taraf se apne dilo ke saaf rahene ki

Allah ta-ala se dua ki jaya kare, farmaya:.

ولاتجعل في قلوبنا غلا للذين امنوا(aur ana rakh dilo me imaan walo ka kina)

Aur Rasoolullah صلى الله عليه وسلم farmaya karte the:.

اليكم وانا سليم الصدرلايبلغني أحد عن أحد شيئا فإني احب أن أخرج (tum me se koi mujhe ek doosre ki na pahonchaya kare, mai

chahta hu ke mai jab tumhare paas aao to mera sina sab ki

tarf se saaf ho)

Page 117: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

117 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Aur baaz riwayat se ma’loom hota hai ke aap ne apni wafaat

ki dua us waqt maangi jab ke ummat bahot phaelne lagi, aur

aap ko khatra huwa ke kahi na waqifi ki wajha se kisi ke dil

me meri taraf se koi mael na aa jawe aur mubada phir wo

barbaad ho jawe.(isi silsila me farmaya:.)

Un cheezo ka ajar (yani baro, choto ke huqooq ki ri’aayat ka

ajar jis ka wase’naam islaahe zaatul bain hai)

Arkaan se kam nahi hai balke ziyada hi hai. Abu da-ud

sharef kitabul adab me ek sareeh hadith is mazmoon ki

marwi hai ke islaah zatul bain ka darja namaaz, roza

wagaera ’ebadat se ziyada hai. Arkaan ki rukniyat ka matlab

ye hai ke Allah ta-ala ham se jo zindagi chahte hai wo un

arkaan se paeda ho sakti hai nez is islaahe zaatul bain ka

ta’alluq huhooqul ibaad se hai aur Allah ta-ala to apne

bando ke haqq me shafeeq wa kareem hai aur ra-oofur

raheem hai, us ki karam se to ma’afi hi ki ziyada ummeed

hai, lekin bande to aese hi hai jaese khud ho, lihaza un ke

huqooq ki adaygi ka ma’aamla nihayat aham hai, aur phir is

shoba me ‘ilme deen ke asatiza ke huqooq ka mu’aamla aur

bhi ziyada nazuk hai, to un talaba ko mera ek paegaam to ye

pahonchao ke apne zindagi ke is pahelu ke islaah ki ye

khaas taor se fikar kare.

2) aur doosri baat ye hai ke wo hamesha is fikar me lage

rahe aur is fikar ke boojh ke saath zindagi guzare ke jo kuch

pardha hai aur jo pardhenge us ke mutabiq zindagi guzre

‘ilme deen ka ye pahela lazim haqq hai. Deen koi fan aur

falsafa nahi hai balke zindagi guzaarne ka wo tariqa hai jo

ambiya le kar aaye hai. Allah ke rasool ne

Page 118: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

118 MALFUZAAT -----------------------------------------------

علم لا ينفع se (yani is ‘ilm se ‘amal pe na dale) panah maangi hai, aur

is ke ‘elawa bhi ‘aalim be ‘amal ke liye jo sakht wa’eede

qur-aan wa hadith me aayi hai wo aap ke ‘ilm me hai. Ye

bhi samajh lena chahiye ke ‘aalim ki be ‘amli namaaz na

pardhna aur roza na rakhna, sharaab pina ya zina karna nahi

hai, ye to ‘aamiyo ke aam gunah hai, ‘aalim ka gunah ye hai

ke wo ‘ilm par ‘amal na kare aur us ka haqq ada na kare.

Qur-aan majeed me ‘ulama ahle kitaab ke muta’alliq

farmaya gaya hai

فبما نقضهم ميثاقهم لعناىم وجعلنا قلوبهم قاسية (unki ‘ahad shakni ki wajha se ham ne un par la’nat ki aur

unki dilo ko sakht kar diya)

3) teesri baat un talaba se ye kahi jaye ke unka waqt bara

qimti hai aur wo bahot thora waqt lekar aaye hai, lihaza us

ka ek lamha bhi yaha zaa’e na kare, balke yaha ke usoolo ke

mutabiq taleem wa muzakara ke kaamo lage rahe, purano se

baate kare aur un ke saath rahe aur un hi ki ma’eyat me

shaher (delhi) ke ‘arbi madraso me jakar kaam kare…

152

Deoband se talaba ki jo jama’at raat ko aayi hai pahele to us

ko mindarjaye bala paegaam diya.us ke baad jab chaa pine

ke liye mahemaan hazraat hasbe dastoor hazrat ke qareeb

aakar baethe to hazrat ne un talaba se khud banafse nafees

guftagu farmani chahi aur nihayat khafeef aawaaz me

farmaya:.

Page 119: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

119 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’ aap log yaha kiyu aaye? Deoband jaese bare madrase ke

shafeeq asatiza, shandaar ‘imarato wale iqamat khane aur

apna manoos mahol chor ke aap yaha kis waaste aaye hai

(phir khud hi apne is sawaal ka jawaab diya)

‘’ is liye ke Allah ki bato ko furog dene ki koshisho me jaan

dene ke shaoq ko zinda kare aur is ka tariqa sikhe aur is par

Allah ta-ala ki taraf se jo wade hai yaqeen ke saath un se

ummeede lagate huwe aur us ke gaer se bilkul ummeede na

lagate huwe balke gaero se ummeede munqate karte huwe

kaam karna sikhe.

دين من حرججاىدوا في الله حق جهاده ىواجتبكم وما جعل عليكم في ال Phir isi silsile me farmaya:.

Jetni zarurat is ki hai ke Allah hi se ummeed rakkhi jaye,

etni hi zarurat is koshish ki hai ke gaerullah se ummeed na

rakkhi jaye, balke ma siwa Allah se bilkul sarfe nazar kar ke

kaam karne ki mashq ki jaye

أجري إلا علي اللهإن Hadith me hai jo log gaero se kuch ummeede rakh kar acche

kaam karenge, qiyamat me un se kahe diya jaye ga ke jao

unhi se ja kar apna ajar lo.

153

Inhi talaba se khitaab karte huwe farmaya:.إقامة صلاة ‘ iqamate salaat saari zindagi ko durust karne wali cheez

hai. Lekin iqamate salaat ki takmeel hogi in awsaaf ke

paeda karne se jin ka zikar namaaz ke silsile me qur-aane

majeed me mutafarriq taor par kiya gaya hai, maslan

farmaya gaya:.

Page 120: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

120 MALFUZAAT -----------------------------------------------

قد أفلح المؤمنون الذين في صلاتهم خاشعونAur sura baqara ke pahele ruku me ‘

:الذين يؤمنؤن بالغيب ويقيمون الصلاة ’ ke baad farmaya:.

اولئك ىم المفلحونIn dono aayato ko milane se saaf maloom hota hai ke

khushu fis salaat bhi iqamate salaat me dakhil hai, aur

bagaer khushu ke namaaz pardhne wale ‘’

صلاةيقيًيٍ nahi ____aur namaazo me khushu paeda karne

ki tarkeeb wa tadbeer ki taraf doosri aayat me ishara kiya

gaya hai ke Allah ta-ala ke saamne huzoori ke saath yaqeen

ko ziyada se ziyada barhaya jaye.

م وأنهم اليو وإنها لكبيرة إلا علي الخاشعين الذين يظنون أنهم ملقوا ربه راجعون

Farmaya_ يهقىا ربهى ko aakhirat se makhsoos karne ki koi

wajha nahi, Allah ke bando ko namaaz ki jaesi halat me jo

huzoori naseeb hoti hai wo bhi us ki misdaaq hai.

154

Isi silsile me farmaya_ٌقذ أفهح انًؤينى aur ٌاونئك هى انًفهحىme jis

falah aur kaamyabi ka wada hai us ko sirf falahe ukhrawi hi

me munhasir karne ki koi wajha nahi balke dunya me

kaamyabi wa kaamrani bhi is me dakhil hai, aur matlab ye

hai ke jin logo me ye imaani awsaaf ho, hamari gaibi madad

Page 121: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

121 MALFUZAAT -----------------------------------------------

dunya me bhi un ka raasta saaf karne aur falah aur kaamrani

tak un ko pahonchane ki zimma daar hai.

155

Isi silsile me farmaya_ gaebi aur gaebi taqat jis cheez ka

naam hai wo pahele se hawala nahi ki jati, balke ‘aene waqt

par saath kar di jaya karti hai, goya Allah ke khazane me

jama hai aur imaan wa tawakkul ki shart ye hai ke us par

etemaad apne haath ki maksuba (hasil ki huwi) taqat se

ziyada hona chahiye.

156

Isi silsile me farmaya_ٌويًب رسقنهى ينفقى ko sirf maal wa

dawlat se makhsoos karne ki koi wajha nahi, balke Allah ta-

ala ne zahir wa batin ki jo quwate hame di hai maslan fikar

wa raay aur haath paao ye sab bhi Allah ta-ala ka ‘atiya hai

aur Allah ta-ala ke kaamo me aur us ke deen ke liye un

cheezo ka istimaal karna bhi is me shamil hai…

157

In talaba se farmaya_tum apni qadar wa qimat to samjho,

dunya bhar ke khazane bhi tumhare qimat nahi. Allah ta-ala

ke siwa koi bhi tumhari qimat nahi laga sakta, tum ambiya

ke na-ebeen ho jo sari dunya se kahe dete hai’

إن أجري إلا علي الله

Page 122: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

122 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tumhara kaam ye hai ke sab se ummeedo ko munqate karte

huwe aur sirf Allah ke ajar par yaqeen wa ‘etemaad rakhte

huwe tawazu aur tazalzul se momineen ki khidmat karo, isi

se ‘abdiyat ki takmeel wa tazyeen hogi.

158

Ek mashoor deeni jama’at ke mumtaaz kaarkun aur

rahenuma ‘eyadat aur ziyarat ke liye tashreef laye, hazrat ne

un se guftagu karte huwe farmaya:

Hamare yaha hisaab kitaab nahi raheta, deeni kaam karne

walo ko bhi hisaab kitaab ki zarurat is liye hogai hai ke wo

etemaad aur itminaan baqi nahi raha jis ke baad kisi hisaab

kitaab ki zarurat nahi raheti, agar apne tarze ‘amal se wahi

etemaad phir paeda kar liya jaye to hisaab kitaab me jo waqt

sarf hota hai wo khalis deeni kaamo hi ke liye bach rahe.

159

‘’ Hindustaan ki ek mashoor siyasi wa mazhabi majlis ke ek

bare rahenuma (jo hindustaan ke bahot bare aur sahre

bayaan khateeb bhi hai) ‘eyadat aur ziyarat ko tashreef

laye.do din pahele hazrat par nihayat sakht dawra par chuka

tha jis ki wajha se is qadar zuf hogaya tha ke aksar awqaat

labo par kaan rakh ke baat suni ja sakti thi.jab un sahab ki

aamad ki ittila di gai to is nacheez (murattibe malfuzaat) ko

talab farmaya aur irshaad farmaya ke mujhe us se baat karna

Page 123: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

123 MALFUZAAT -----------------------------------------------

zaruri hai, lekin surat ye hogi ke apna kaan mere muh ke

qareeb kar dena aur jo kuch mai kahu wo un se tum kahete

jana. Chunanche wo sahab jab andar tashreef laye to baat

shuru to mere hi zari’a se farmai lekin do teen minute hi

baad Allah ta-ala ne etni quwat ‘ata farmadi ke qariban

aadha ghante tak musalsal taqreer farmate rahe.us majlis ke

jo irshadaat qalamband kiye ja sake the wo zael me darj

kiye jate hai:.

Farmaya_muslim ka muslim se milna bas islaam ke furog

ke liye hai warna muslimo aur gaer muslimo ki mulaqaat

me kiya faraq hai? Aap yaha kuch din rah kar hamare kaam

ka mutala’a kare, is ke bagaer hamari baat ka samajh me

aana aur hamare maqsad ko pana mushkil hai. Asal baat ye

hai ke ta’alluqate muhammadiya murda ho chuke hai un ko

zinda karna hai aur bas isi ki koshisho me mar rahena hai.

Mai ne shuru me madrasa pardhaya (yani madrasa me daras

diya) to tulaba ka hujoom huwa aur acche acche sahibe

istidaad tulaba kasrat se aane lage.mai ne socha ke un ke

saath meri mahnat ka natija is ke siwa aur kiya hoga ke jo

log ‘aalim banne hi ke liye madraso me aate hai, mujh se

pardhne ke baad bhi wo ‘aalim molowi hi ban jayenge aur

phir un ke mashagil bhi wahi honge jo aaj kal ‘aam taor se

ikhtiyaar kiye jate hai. Koi tibb pardh kar matab karega, koi

university ka imtihaan dekar school college me nawkari

karega, is se ziyada aur kuch na hoga. Ye sochkar madrase

me pardhane se mera dil hat gaya. Is ke baad ek waqt aaya

jab mere hazrat ne mujh ko ijazat dedi thi to mai ne talibeen

ko zikar ki talqeen shuru ki, aur idhar meri tawajjha ziyada

Page 124: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

124 MALFUZAAT -----------------------------------------------

huwi Allah ka karna, aane walo par etni jaldi kaifiyaat aur

ahwaal ka wurood shuru huwa aur etni tezi se halaat me

taraqqi huwi ke khud mujhe haerat huwi, aur mai sochne

laga ke ye kiya ho raha hai aur is kaam me lage rahene ka

natija kiya nikle ga? Ziyada se ziyada yahi ke kuch ashabe

ahwaal aur zikar shagil log paeda ho jaye, phir logo me un

ki shorat ho jaye to koi muqaddama jitne ki dua ke liye

aaye, koi awlaad ke liye taweez ki darkhaast kare, koi tijarat

aur karobaar me taraqqi ki dua karaye, aur ziyada se ziyada

ye ke un ke zari’a bhi aage ko chand talibeen me zikar wa

talqeen ka silsila chale, ye soch kar idhar se bhi meri

tawajjha gai aur mai ne ye tay kiya ke Allah ta-ala ne zahir

wa batin ki quwate ata farmai hai un ka sahih masraf ye hai

ke un ko usi kaam me Lagaya jaye jis me huzoor ne apni

quwate sarf farmai aur wo kaam hai Allah ke bando ko aur

khaas kar gafilo aur be talbo ko Allah ki taraf lana aur Allah

ki bato ko furoog dene ke liye jaan ko be qimat karne ka

riwaaj dena. Bas yahi hamari tahreek hai aur yahi ham sab

se kahete hai. Ye kaam agar hone lage to ab se hazaro gune

ziyada madrase aur hazaro gune hi ziyada khankaye qaim

ho jaye, balke har musalmaan madrasa aur khankah ho

jayenge aur huzoor ki layi huwi nemat is ‘umoomi andaaz

se batne lage jo us ki shayaane shaan hai.’

Hazraat! Allah ta-ala ne aap ko ek quwat di hai is se mera

matlab bayaan wa taqreer ki quwat nahi hai balke mera

maqsad ye hai ke aap ek jama’at ke bare aur us ke muta’

hai, hazaro aadmi aap ki baat maante hai, aap un ko

mutawajjha ki jiye hamare aadmiyo ke saath kuch dino rah

Page 125: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

125 MALFUZAAT -----------------------------------------------

kar wo hamare kaam ko samjhe aur sikhe aur phir apne

halqo me ye kaam kare, is se insha Allah wo bahot kaam ke

ban jayenge.

Hazraat!imaan ke do bazu hai, ek Allah wa rasool ke

dushmano par gilzat wa shiddat aur doosre Allah wa rasool

ke maanne walo aur muhibbo par shafqat wa rahmat, aur un

ke muqabla me farotni aur zillat.

أذلة علي المؤمنين أعزة علي الكفرينشداء علي الكفار رحماء بينهمأ

Imaan walo ki taraqqi wa parwaaz ke liye ye dono bazu

zaruri hai, ek bazu se koi jaanwar urh bhi nahi sakta.

Un sahab ne jo hazrat se ’aqidat aur niyaaz mandi ka bhi

ta’alluq rakhte hai, hazrat ke irshadaat sun kar ’arz kiya ke

jawani aur taqat ka sara zamana to doosre kaamo me sarf ho

gaya, us waqt kisi buzrug ne na khencha, ab mai burha ho

gaya aur kisi naye kaam ki himmat wa taqat nahi rahi to

hazrat mujh se apna kaam lena chahte hai, ab mai kisi kaam

ka nahi raha hu.

Hazrat ne irshaad farmaya_agar fil haqiqat aap pahele ye

samajhte the ke aap me kuch taqat wa quwat hai aur aap kar

sakte hai to us waqt aap Allah ke kaam ke qabil na the, aur

agar ab aap ko ye yaqeen ho gaya hai ke aap me koi taqat

wa quwat nahi hai, aur aap kuch bhi nahi kar sakte hai to ab

hi aap Allah ke kaam ke qabil huwe hai. Allah ka kaam

karne aur us ki madad ke mustahiq hone ke sharait me se ye

hai ke aadmi apne aap ko bilkul ’aajiz wa lachar samjhe aur

Page 126: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

126 MALFUZAAT -----------------------------------------------

sirf Allah hi ko kaarsaaz yaqeen kare, us ke bagaer madad

nahi hoti. Hadithe qudsi me hai ke’’ mai unhi ke saath hu jin

ke dil tute huwe hai’’.

Farmaya_mai siyasi kaam karne walo ka bhi mamnoon hu,

unhe ne gorvenment ko apni taraf mutawajjhe kiye rakkha

jis ki wajha se mai itminaan se etne dino apna kaam kar

saka.

Aakhir me rukhsat hote waqt un sahab ne dua ki darkhaast

ki to us par farmaya:.

‘’hazrat!har musalmaan ke liye us ki gaebat me dua karna

dar haqiqat apne liye dua karna hai. Hadith me hai ke jab

koi musalmaan apne kisi musalmaan bhai ke liye khaer wa

falaah ki koi dua karta hai to Allah ta-ala ke farishte kahete

hai

ولك مثل ذلكyani ay Allah ke bande yahi cheez Allah tujhe bhi de. Pas

har musalmaan ke liye kisi bahetari ki dua dar haqiqat

farishto se apne liye dua karane ki ek yaqini tadbeer hai’’.

Qist nambar das

160

Is deeni da’wat ke silsile me har tabqa ke musalmaano se

milna aur un sab ko is ki taraf lane ki sa’ee karna zaruri

hai_mai apna ek waqi’a sunata hu (is ke baad maulana ne ek

mashoor ‘aalime deen ki ke muta’alliq jo is ‘asar ke bare

‘aalim aur shaekhul hind hazrat maulana mahmood sahab ke

mumtaaz shagirdo me se hai bataya)unho ne ek dafa bar

Page 127: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

127 MALFUZAAT -----------------------------------------------

sare ‘aam hazrat maulana_____ke muta’alliq bahot hi

kharaab aur bilkul hi galat baaz baate kahi jis se mera dil

dukha. Aur meri haalat ye ho gai ke mai un ki surat nahi

dekhna chahta tha,…..kuch dino ke baad jab mai is kaam

me laga hu to ek din mere dil me aaya ke un sahab ke

muta’alliq mera ye tarze ‘amal theek nahi hai, aakhir woh

momin wa muslim hai,hazrat shaekhul hind ke fuyooz bhi

un ke andar zaroor honge,qur-aan majeed ke ‘ilmi anwaar

bhi un ke paas hai, jis shakhs me khaer ke etne pahelu ho us

se etni doori ikhtiyaar kar lena khud apna nuqsaan karna

hai, lihaza khud mujhe jaa kar unki ziyarat karni chahiye,

aur un ki un deeni kamalaat ki wajha se mujhe uska ikraam

karna chahiye, aur un ki jis baat se mera dil dukha us me bhi

ye ehtemaal hai ke ye baate un se kisi doosre shakhs ne isi

tarah kahi ho aur un ki galti sirf etni hi ho ke unho ne uu ko

sach samajh ke us ‘aam mauqa par nakal kar diya ho ya isi

tarah ki koi aur ijtihaadi galti is ma’amla me un se huwi ho.

Bahar haal ye galti aesi nahi hai jis ki wajha se un ko is

tarah choor dena mere liye durust ho.

Farmaya_ ye baate mai ne apne nafs ko tanhaiyo me baeth

baeth kar samjhaye aur meri in baato ke jawaab me mere

nafs ne jo hujjate pesh kiye, mai ne un sab ko dalilo se rad

kiya aur’’ziyarate muslim’’aur’’ikraame muslim’’ par jin jin

ajro ki basharate nusoos me warid huwi hai mai ne un ko

yaad dilaya, aur bil aakhir khud unke paas jaane ka irada kar

liya.

Phir mujhe is me taraddud huwa ke mujhe is waqt us ke

paas sirf shar’ee ziyarat hi ki niyat se jana chahiye ya deeni

Page 128: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

128 MALFUZAAT -----------------------------------------------

da’wat peesh karne ka qasd karna chahiye(yani un dono

surato me se kaun si awla aur ahabb ilallah hai )…bil aakhir

mai ne taye kiya ke’’ ziyarat’’ aur ‘’da’wat’’ ki mustaqil

niyat karke mujhe un ki khidmat me haazir hona chahiye. Is

me insha Allah dono cheezo ka sawaab mile ga. Chunanche

mai ne aesa hi kiya, aur ye milaqaat par bahot si barkato aur

bahot se faedo ka zari’a bani.

161

Isi silsile me kalaam farmaya_ hamare baaz khaas hazraat

mere is madwiya se naraaz hai ke mai is deeni kaam ke

silsile me har tarah aur har waza’ ke logo aur musalmaano

ke har giroh ke aadmiyo se milta hu aur milna chahta hu aur

apne logo ko bhi un ke saath milne julne ko kaheta hu,lekin

mai apne hazraat ki is narazi ko sahena aur un ko ma’zoor

qaraar dete huwe un ko bhi isi taraf lane ki puri sa’ee karte

rahena shukre wajib ka ek juz samajhta hu.Un hazraat ka

khiyaal ye hai ke tarze ‘amal hamare hazrat nawwarallahu

marqadahu ke tariqa aur mizaaq ke khilaaf hai, lekin mera

kahena ye hai ke jis cheez ka deen ke liye nafe aur nuhayat

mufeed hona dalaail aur tajurba se ma’loom ho gaya us ko

sirf is liye ikhtiyaar na karna ke hamare shaekh ne ye nahi

kiya, bari galti hai, shaekh shaekh hi to hai, khuda to nahi

hai.

Page 129: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

129 MALFUZAAT -----------------------------------------------

162

Farmaya_ is deeni kaam(tableeghe deen aur islahe ummat ki

‘awaami tahreek ) ki taraf mutawajjah karna Allah ta-ala ki

ek khaas taaid hai, Allah ta-ala ke fazal wa karam se mujhe

kuch aesi khususiyaat hasil the ke jin baaz akaabir ko mere

is kaam ke muta’alliq puri ma’lumaat na hone ki wajha se

kabhi kuch shokook bhi huwe to unho ne bhi meri wajha se

sukoot ikhtiyaar kiya aur apne ikhtilaafe raay ko zahir nahi

farmaya. Meri woh khususiyaat ye hai:.

1) Ek to meri ye niyaaz mandi ka ta’alluq apne zamana

ke sab hi buzurgo se raha aur alham dulillah sab ki

‘enayaat aur sab ka ‘etemaad mujhe hasil raha.

2) Doosre ye ke mere walid maajid ek ‘aali martaba aur

muttafiq ‘alai buzrug the aur baham bahot se

ikhtilafaat rakhne wale ahle deen ke mukhtalif tabqe

un par muttafiq the.

3) Teesre ye ke mera khaandaan ek khaas asar aur

‘izzat wa jahat rakhne wala khaandaan tha.

163

Farmaya_’ulamae haqq ko mera ye paegaam adab wa

ehteraam ke saath pahonchao ke aap logo ko meri is tahreek

ke muta’alliq jo husne zan ya kuch tawajjah huwi hai to

woh un bechaare anpardh mewatiyo ke bayaan karne ya un

me kuch islaahi tagaiyur ke mushahide se huwi hai, jo

pahele gobar tak poojte the aur is liye agle mushriko se bhi

ghatya the,(kiyuke woh to khoob surat murtiyo aur

Page 130: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

130 MALFUZAAT -----------------------------------------------

chamakdaar pattharo hi ko pooja karte the)to aese gire huwe

logo ki khabar rasani ya mushahida se kaam ka sahih

andaza kiyukar ho sakta hai, aap jaese hazraat agar barahe

raast mujh se mil kar is kaam ko samjhe to asal qadr wa

qimat ma’loom ho.

164

Farmaya_hamari is tahreek ka ek khaas maqsad ye hai ke

musalmaano ke saare jazbaat par deen ke jazbe ko galib kar

ke aur is raaste se maqsad ki wahdat paeda kar ke aur’’

ikraame muslim’’ ke usool ko riwaaj de ke puri qaom ko is

hadith ka misdaaq banaaye;.

(المسلمون كجسد واحد)165

Farmaya_hamare is kaam me ikhlaas aur sidqe dile ke saath

ijtima’eyat aur

شوري بينهمki(yani mil jul kar aur baahami mashwara se kaam karne

ki)bari zarurat hai, aur is ke bagaer bara khatra hai.

166

Baaz khuddaam ko mukhatab karte huwe farma:.

‘’hazrate farooqe ‘azam , hazrat abu ‘ubaida aur hazrat

mu’aaz se farmate the ke ‘’mai tumhari nigrani se mustagni

Page 131: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

131 MALFUZAAT -----------------------------------------------

nahi hu’’. Mai bhi aap logo se yahi kaheta hu ke mere

ahwaal par nazar rakkhiye aur jo baat tookne ki ho, us par

toke.

167

Farmaya_hazrat farooqe ‘azam ke ‘aamilo se jab koi qasid

aate to aap un se ‘aamilo ki khaeriyat puchte aur un ke

halaat daryaaft farmate, lekin us ka matlab deeni khaeriyat

aur deeni haal puchna hota tha na ke aaj kal ki murawwajah

mizaaj pursi chunanche ek ‘aamil ke paas se aane waale

qasid se jab aap ne ‘aamil ki khaeriyat puchi to us ne kaha:.

‘’waha khaeriyat kaha hai, mai ne to un ke dastarkhaan par

do do salan jama dekhe’’.

Goya Rasoolullah صلى الله عليه وسلم jis tarze zindagi par sahaba kiraam

ko choor gaye the bas us par qaaim rahena hi un hazraat ke

nazdeek khaeriyat ka me’yaar tha.

168

Farmaya_Allah se us ka fazal aur rizq wagaera maangna to

farz hai aur apni ‘ibadat wa khidmat wagaera ka dunya hi

me mu’aawaza chahna haraam hai.

169

Farmaya_kisi musalmaan ko us ki be rah rawi ki wajha se

qat’ei taor se kafir kahena, aur خهىد في اننبرwali takfeer karna

bara bhari kaam hai. Haa’’كفزدوٌ كفز’ ka usool sahih hai,

Page 132: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

132 MALFUZAAT -----------------------------------------------

tamaam ma’aasi kufur hi ke furu’ aur us ki awlaad hai aur

isi tarah tamaam ma’rufaat imaan ki aal awlaad hai, pas

hamari ye tahreek dar haqiqat tajdide imaan ki tahreek hai.

170

Farmaya_إتخذوا دينهى نهىا ونعبب.deeni kaamo ko be maqsad ya

ita’ate amar wa rizae khuda wandi aur sawabe ukhrawi ke

siwa aur maqasid ke liye karna bhi deen lahu wa la’ab

banana hai.

171

Farmaya_ ببنًؤينيٍ خيزاظنىا aur إٌ حسٍ انظٍ يٍ انعببد‘’ ka hukom

is halat me hai ke jab kisi se koi ma’amla karna naho to us

waqt ke liye ‘’ٍانحشو سىء انظ‘’ka hukom muhamil aur

mawaqe’ ka farq na samajhne se nusoos me bari galat

fahmiya hoti hai.

172

Farmaya_ hamare sab kaam karne walo ko ye baat acchi

tarah zaheen nasheen kar leni chahiye ke tableegh ke liye

bahar jane ke zamane me bilkhusoos ‘ilm aur zikar ki taraf

bahot ziyada tawajjah kare, ‘ilm aur zikar me taraqqi ke

bagaer deeni taraqqi mumkin nahi , nez ilm aur zikar ki

tahseel wa takmeel is rah ke apne baro se wa bastgi rakhte

huwe aur un ke zere hidayat aur un ki nigrani me ho.

Page 133: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

133 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Ambiya ka ‘ilm wa zikar Allah ta-ala ki zeere hidayat aur us

ke hukom ke matahat hota tha, aur hazraate sahaba kiraam

ka ‘ilm wa zikar rasoolullah ki hidayat ke matahat aur aap ki

nigrani me hota tha, phir har zamana ke logo ke liye is qur-

aan ahle ‘ilm aur ahle zikar goya rasoolullah ke khulafa hai,

lihaza ‘ilm wa zikar me apne baro ki nigrani se istigna nahi.

Ye bhi zaruri hai ke khaas kar bahar nikalne ke zamana me

sirf apne khaas mashagil me ishtigaal rahe aur doosre

tamaam mashagil se yaksu raha jaye aur woh khaas

mashaagil ye hai;.

1-tableeghi gasht 2-‘ilm 3-zikar 4-deen ke liye ghar choor

kar nikalne wale apne saathiyo ki khususan aur ‘aam

khalqullah ki ‘umoomi khidmat ki mashq. 5-tashihe niyat

aur ikhlaas aur ihtisaab ka ihtimaam. Aur ittihaame nafs ke

saath baar baar is ikhlaas wa ihtisaab ki tajdeed

Yani is kaam ke liye nikalte waqt bhi ye tasawwor karna aur

asnaye safar me bhi baar baar is tasawwor ko taza karte

rahena ke hamara ye nikalna sirf Allah ke liye aur un

nu’amaaye aakhirat ki tam’a me hai jin ka wada deen ki

nusrat wa khidmat karne aur is rah ki takleef uthane par

farmaya gaya hai, yani baar baar is dhiyaan ko dil me

jamaya jaye ke agar mera ye nikalna khalisan aur mukhlisan

ho gaya aur Allah ta-ala ki taraf se wo ne’mate zaroor mile

gi jin ka wada is kaam par qur-aane paak aur ahadith me

farmaya gaya hai aur wo ye ye hongi.

Bahar haal un ilahi wado par yaqeen aur un ki ummeed ke

dhiyaan ko baar baar taza kiya jaye’ aur apne saare ’amal ko

usi yaqeen aur isi dhiyaan se baandha jaye, bas isi ka naam

Page 134: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

134 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’ imaan wa ehtesaab ‘’ hai aur yahi hamare ’amaal ki ruh

hai.

173

Farmaya_haye, Allah ke wado par yaqeen na raha, Allah ke

wado par yaqeen aur etemaad paeda karo aur phir us yaqeen

wa etemaad hi ki bunyaad par kaam karne ki mashq karo,

aur Allah ke wado ke mana bhi khud na gharo, tumhara ’ilm

wa tajurba bahot mahdood hai, us ki wado ka matlab us ki

shaan ke mutabiq samjho aur us se yu hi maango ke apni

qudrat ke shayaan un wado ko pura farma. Ukhrawi nemato

ki ma’nawiyat aur asal haqiqat ka tum is dunya me kiya

andaza kar sakte ho aur kiyukar wo andaza ho sakta hai

jabke hadithe qudsi me un nemato ki sifat hi bayaan ki gai

hai:.

لاعين رأت ولاأذن سمعت ولاخطر علي قلب بشر(yani jannat me aesi nemate hai jo na to kisi aankho ne

dekhi hai aur na kisi kaan ne un ka haal suna hai aur na kisi

insaan ke dil me kabhi un ka khiyaal aaya hai)

Afsoos ham ne us ki mao’uud nemato ko apne ’ilm wa

faham aur is dunya ke apne mushahada aur tajurba ke

mutabiq samajh kar aur is ki ummeed baandh ke bara ghata

kar liya. لقد حجرجم واسعا ki is ’ata aur is daad wa dhesh to us

ke shayaane shaan hogi.

174

Farmaya_tum ne نس للا ليعددو وماخلقث الجن والإ

Ke muqtaza se jis qadar inhiraaf kiya usi qadar

Page 135: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

135 MALFUZAAT -----------------------------------------------

خلقنالكم ما في السموات والارض

Ka zuhoor kam hogaya .yani jis nisbat se tumhari ’abdiyat

me kami aayi usi nisbat se zameen wa aasmaan ki kaaynaat

se tumhara tamattu’ (nafa hasil karna) kam hogaya.

Kaaynaat ko tumhara khadim isi liye banaya gaya tha ke

tum Allah ta-ala ka kaam karo aur us ki ita’at wa bandage

aur us ki marziyaat se furoog me lage raho.jab tum ne apna

ye fariza choor diya to zameen wa aasmaan bhi tum se phir

gaye.

Qist nambar giyara

175

Farmaya_ jin maqamaat ko Huzoor صلى الله عليه وسلم ne jano ki bazi laga

ke,balke us jaan baazi aur shaoq wa ‘ishq se hasil karna

batlaya tha aur sahaba kiraam ne deen ki rah me apne ko

mita ke jo kuch hasil kiya tha tum log us ko aaraam se lete

lete kitabo se hasil kar lena chahte ho’’.

176

Farmaya_jo ‘in’aamaat aur samraat khoon se wabasta the un

ke liye kam az kam pasina girana to chahiye.

177

Farmaya_waha haal ye tha ke hazrat abu bakar, wa hazrat

umar bhi deen ki rah me apne aap ko fana kar dene ke

Page 136: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

136 MALFUZAAT -----------------------------------------------

bawajood aur huzoor aqdas صلى الله عليه وسلم ki khuli huwi aur yaqeeni

basharato ke bawajood is dunya se rote huwe gaye.

178

Farmaya_pasand ko mubasharat ke qaem mukaam samajhna

bara dhoka hai aur shaitaan yahi karta hai ke aadmi ko

pasand hi par qane’ bana de.

(is irshaad ka matlab ye hai ke kisi acche kaam ko sirf accha

samajh lene se us kaam me shirkat nahi hoti, balke us me

lagne aur us ke karne hi se us ka haq ada hota hai. Lekin

bahot se logo ko shaitaan ye fareeb deta hai ke woh kaam se

muttafiq ho jane ko kaam me lag jana aur shareek hona

samajhne laghte hai, ye shaitaan ka bara dhoka hai)

179

Farmaya_hamari ye tahreek dushman nawaaz dost kush hai,

aa jaye jis ka ji chahe.

180

Farmaya_bhai! Is waqt kufur wa ilhaad bahot taqatwar hai,

aesi halat me muntashir aur infiradi islahi koshisho se kaam

nahi chal sakta lihaza puri quwat ke saath ijtimaa’i jaddo

jihad honi chahiye.(واعتصموابحبل الله حميعا)

181

Page 137: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

137 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Farmaya_ ‘ilm wa zikar ko mazbuti se thaamne ki ziyada se

ziyada zarurat hai, magar ‘ilm wa zikar ki hakikat acchi

tarah samajh leni chahiye.

Zikar ki hakikat ye hai ‘adme gaflat aur faraize deeni ki

adaegi me laga rahena ‘aala darja ka zikar hai. Is liye deen

ki nusrat aur us ke furog ki jaddo jihad me mashgool rahena

zikar ka uncha darja hai bashart ye ke Allah ke awaamir aur

mawa’ed ka khiyaal rakhte huwe ho.

Aur zikare nafli is waaste hai ke aadmi ke jo awqaat faraiz

me mashgool na ho woh la yani me na guzre, shaitaan ye

chahta hai ke faraiz me lagne se jo raushni paeda hoti hai

woh la yani me laga kar use bar baad karde. Pas us ke

hifazat ke liye zikre nafli hai. Algarz faraiz se waqt farig ho

use zikre nafli se ma’moor rakkha jaye taake shaitaan la

yani me mashgool karke hame nuqsaan na pahoncha

sake(neez zikre nafli ka ek khaas aham faeda ye bhi hai ke

is se ‘aam deeni kaamo me zikar ki shaan paeda hoti hai aur

Allah ke awaamir ki ta’meel me aur us ke mawa-ed ke

shaoq me kaam karne ka malika paeda hota hai)

Isi silsila me farmaya_faraiz me lagna hatta ke namaaz

pardhna bhi agarv Allah ke awaamir aur mawa’ed ke

dhiyaan ke saath nah o to asli zikar nahi balke sirf jawareh

ka ziklar hai aur qalb ki gaflat hai, aur hadith me qalb hi

muta’alliq hai

(إذا صلح صلح الجسد كلو وإذا فسد فسد الجسد كلو)

Page 138: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

138 MALFUZAAT -----------------------------------------------

(ke insaan ke wujood me yahi woh markaz hai ke agar woh

theek ho to sab theek hai aur agar wo kharaab ho to phior

sab kharaab hai)

To asli cheez hai bas Allah ke awaamir aur us ke mawa’ed

ke dhiyaan ke saath Allah ke kamo me laga rahena. Yahi

hamare nazdeek zikar ka hasil hai.

Aur ‘ilm se muraad deeni masail aur deeni ‘uloom ka sirf

jaanna nahi hai dekho yahood apne shari’at aur apni

aasmani ‘uloom ke kaese ‘aalim the ke Rasoolullahصلى الله عليه وسلم ke

naaibo ke naaibo tak ke hulye aur naqshe, hatta ke un ke

jismo ke til ke muta’alliq bhi un ko ‘ilm tha ,Baaz riwayat

me hai ke baaz ’ulamaye yahood ne Farooqe ’azam ke

jism ke kisi khaas hissa par til ya til ka koi nishaan dekh kar

unke muta’alliq batla diya tha ke ye shakhs nabi aakhiruz

zamaan ka khalifa hai aur baitul maqdis is ke daor me fatah

hoga. Is qisam ki muta’addid riwayaat ‘’ izalatul khafa ‘’

me hazrat shah wali yullah ne naqal farmai hai..lekin kiya

un baato ke sirf jaanne ne un ko faeda diya?

182

Isi sillisa me farmaya_’ilm ke jo waz’e muhammadi thi(yani

talab aur azmat ke saath sohbat wa ikhtilaat se ‘ilm hasil

karna aur zindagi se zindagi seekhna)us ki khususiyat ye thi

ke us ke zari’a jetna ‘ilm barhta tha usi qadar apni jahal aur

‘ilmi darmaandgi ka ehsaas taraqqi karta tha_aur ‘ilm hasil

karne ka jo tarika ab raaij ho gaya hai us ka natija ye hai ke

‘ilm jetna aata hai za’am us se ziyada hota hai, phir za’am

Page 139: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

139 MALFUZAAT -----------------------------------------------

se kibir paeda hota hai aur kibir jannat me nahi jaye

ga_’elawa aze ‘ilm ke za’am ke baad tahsile ‘ilm ki tarap

nahi raheti jis ki wajha se ‘ilmi taraqqi khatam ho jati hai.

183

Ek sahab jo tableeghi jama’at me jane ke liye apne ko peesh

kar chuke the, unho ne hazrat ki khidmat me saw rupiye bhi

peesh kiye, hazrat ne un ko qabool farma liya aur farmaya ‘’

mera ji chahta hai ke jo log deen ke liye jism wa jaan ka

hissa nahi dete mai un ka maal na lene ki qasam kha lu.

Phir isi silsile me farmaya_ infaaqe maal jo ‘ibadat hai to ye

maqsood bizzaat nahi hai, balke us ki mashru’eyat is waaste

se hai ke maal se dil bastgi na paeda ho.

184

Farmaya_ ‘ahde farooq ummul momineen hazrat Zainab

ke yaha jab maale ganimat me se un ka hissa pahoncha (jo

galiban miqdaar me ziyada hoga aur us se un ko dil bastgi

ka andesha huwa hoga)to bekal hokar dua farmai ke ay

Allah is ghar me ye phir na aaye, chunanche aesa hi

huwa(yani un ki wafaat ho gai)

185

Farmaya_ emaan ye hai ke Allah aur us ke rasool ko jis

cheez se khushi aur rahat ho banda ko bhi us se khushi aur

rahat ho, aur jis cheez se Allah wa rasool ko na gawari aur

takleef ho banda ko bhi us se na gawari aur takleef ho, aur

takleef jis tarah talwaar se hoti usi tarah sui se bhi hoti hai.

Page 140: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

140 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Pas Allah wa rasool ko na gawari aur takleef kufur wa shirk

se bhi hoti hai aur ma’asi se bhi lihaza ham ko bhi ma’asi se

na gawari aur takleef honi chahiye.

186

Ek roz ye ‘aajiz (murattibe malfuzaat) aese waqt hazrat ke

hujre me pahoncha ke baz mewati khuddaam hazrat ko

namaaze zuhar ke liye wazu kara rahe the (marzul wafaat ke

aakhri ayyaam me shiddate zu’f ki wajha se hazrat ko lete

lete wazu karaya jata tha)

Mere pahonchne par hazrat ne irshaad farmaya;.

‘’hazrat ‘abdullah bin ‘abbaas bawajood ye ke ‘ilme deen

me un ka ye darja tha ke hazrat farooqe ‘azam un ko

akaabire sahaba ke saath baethate the aur bawajood ye ke

unho ne khud Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ko wazu karte dekha tha aur

us ke baad muddato hazrat abu bakar aur hazrat ‘umar ka

wazu bhi dekha hoga, phir bhi hazrat ‘ali ko wazu karate the

aur us ka maqsad ta’allum bhi hota tha’’.

187

Jo mewati khuddaam hazrat ko us waqt wazu kara rahe the

un ki taraf eshara karte huwe phir is ‘aajiz se irshaad

farmaya;

‘’mai abhi in logo se ye kahe raha tha ke tum ye samajhte

ho ke meri namaaz acchi hoti hai, lihaza tum mujhe wazu

karate waqt bimaar ki khidmat ki niyat ke ‘elawa ye niyat

Page 141: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

141 MALFUZAAT -----------------------------------------------

bhi kiya karo ke ay Allah ham ye samajhte hai ke tere is

bande ki namaaz ham se acchi hoti hai to ham is ko is liye

wazu wazu karate hai ke is ki namaaz ke sawab me hamara

hissa ho jaye’’.

Phir farmaya_ ye mai un logo ko batlata hu, lekin mai khud

agar ye samajhne lagu ke meri namaaz in logo se acchi hoti

hai to mardood ho jaunga, is liye mai apne Allah se ye dua

karta hu ke ay Allah tere ye sada dil bande mere muta’alliq

ye gumaan rakhte hai ke meri namaaz acchi hoti hai aur isi

liye ye bichare mujhe wazu karate hai tu mahaz apne karam

se in ki gumaan ki laaj rakhle aur meri namaaz ko qabool

farma le aur is ke sawab me apne bando ko bhi hissa de.

Farmaya_

Tum log un ‘ulama ki khidmat karo jo abhi tak tumhari

qaom ko deen sikhane ki taraf mutawajjah nahi huwe hai.

Mera kiya hai, mai to tumhari mulk me jata hi hu, tum na

bulao jab bhi jaonga, jo ‘ulama abhi tumhari taraf muwajjah

nahi hai un ki khidmat karo ge woh bhi tumhari qaom ki

deeni khidmat karne lagenge’’.

188

Farmaya_shaekh ki khidmat is liye aur is niyat aur is irada

se karni chahiye ke us ke zari’a ‘aadat aur mashq ho jaye

Allah ke bando ki khidmat ki.

Phir farmaya_niyat ke saath ‘ebade momineen ki khidmat

sirhi hai ‘abdiyat ki.

Page 142: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

142 MALFUZAAT -----------------------------------------------

189

Mashwara ki takeed karte huwe ek dafa irshaad farmaya;

‘’mashwara bari cheez hai, Allah ka wa’da hai ke tum

mashwara ke liye Allah par ‘eetemaad kar ke jam baetho ge

to uthne se pahele tum ko rushd ki tawfeeq mil jaye gi’’,

Phir farmaya_ ye mazmoon kisi hadith me aaya hai, is waqt

asal hadith yaad nahi.

190

Hazrate Farooqe ‘azam aur isi tarah doosre sahabaye

kiraam ki aamdniya bahot thi aur apne upar kharch karne

me bhi woh bare jazris waqe’ huwe the. Un ka khana pina

bahot hi ma’muli tha aur nihayat sada balke faqirana zindagi

guzaarte the. Us ke bawajood un me bahot se dunya se

maqrooz gaye, kiyuke woh apni saari aamdni deen ki rah

me kharch kar dete the dar asal momin ka rupiya isi liye hai

ke woh Allah ke kaam aaye.

191

Hujre me biche huwe ek palank ki taraf ishara karte huwe is

(murattib) se farmaya:

‘’ye palank meri walida ka dada ka hai aur barabar isti’maal

me raheta hai’’.(baad me hisaab lagaya gaya to ma’loom

huwa ke qareeban assi baras us par guzar chuki hai)

Phir farmaya_barkat yahi hai ke koi cheez ‘aadatan jis waqt

aur jis halat me khatam ho jani chahiye woh us me khatam

naho aur baqi rahe.

Page 143: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

143 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Farmaya_ huzoor ki dua se baaz awqaat khane wagaera me

barkat ke jo waqi’aat huwe hai un ki naw’eyat yahi thi ke

asal cheez khatam nahi hoti thi.

192

Farmaya_(ٌكم يىو هى في شأ) ka matlab ye hai ke jo kuch aur

jaese jaese ‘azeemusshaan aur muhaiyirul ‘uqool kaam

Allah paak pahele kar chuke hai un se hazaara hazaar darje

bare kaam woh har aan kar sakte hai aur un ki qudrate

kaamila barabar apni kaam karti raheti hai.

193

Mumbai ke mashoor urdu roz nama ‘’alhilaal’’ ke malik wa

editor hafiz ‘ali bahadur khan B A hazrat ki marzul wafaat

hi me ek din hazrat ki ziyarat ke liye tashreef laaye, hazrat

ne intihai zo’f aur naatawani ke bawajood qariban aadh

jhanta un se guftagu farmai woh us guftagu se bahot hi

mutaassir huwe aur Mumbai pahonch kar us ne ‘’alhilaal’’

ki chand isha’ato me hazrat ki shaekhiyat aur deeni islaah

wa tableeg ki ‘azmat wa ahmiyat aur us ki sanjidgi ka

‘eteraaf is tarah kiya ke jis ki tawaqqa’ aaj kal ke kisi editor

aur leader se nahi ki ja sakti.

Alhilaal ke woh parche mujhe kisi jagha se mil gaye, hafiz

sahab ke woh mazameen pardh kar mujhe bari kushi huwi

aur mai ne irada kiya ke mai hazrat ko bhi sunaonga,

Page 144: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

144 MALFUZAAT -----------------------------------------------

chunanche woh parche haath me liye kisi munasib waqt me

is ummeed ke saath hazire khidmat huwa ke hazrat haath

me parche deekh kar khud hi daryaaft farmaenge ke haath

me kiya hai, to mujhe kuch ‘arz karne ka un mazameen ke

sunane ka mawqa mil jaye ga.

Lekin meri tawaqqa’ aur aarzo ke khilaaf hazrat ne kuch

pucha hi nahi . deer tak intizaar ke baad mujh se raha na

gaya aur mai ne khud hi arz kiya ke hazrat! Fala din

Mumbai ke hafiz ‘ali bahadur sahab jo tashreef laaye the

woh Alhamdulillah bahot hi mutaassir ho kar gaye aur

unho ne apne akhbaar me hamare kaam ke muta-alliq chand

mazameen likkhe hai jin me kaam ki ‘azmat aur ahmiyat ka

unho ne bahot hi e’teraaf kiya hai aur ma’loom hota hai ke

khoob samjha hai, agar irshaad ho to un me se ek aad

mazmoon sona du?

Farmaya_ molowi sahab jo kaam ho chuka hai us ka kiya

zikar karna hai bas ye dekho ke jo kuch ham ko karna tha us

me se kiya rah gaya,aur jo kuch kiya us me ketni aur kaisi

kaisi kotahiya huwi, ikhlaas me kenti kami rahi, Allah ta’ala

ke amar ki ‘azmat ke dhiyaan me ketna qusoor raha?

Molowi sahab! In umoor ke bagaer pichle kaam ka zikar

muzakara aur us par khush hona bas aesa hai jaesa raasta

chalne wala musafir khara hokar piche ki janib dekhne lage

aur khush hone lage.

Pichle kaam ki sirf kotahiya talaash karo aur un ki talafi ki

fikar karo aur aainda ke liye socho ke kiya karna hai?

Ye mat dekho ke ek shakhs ne hamari baat samajh li aur

‘eteraaf kar liya balke us par gaor karo ke aese ketne laakh

Page 145: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

145 MALFUZAAT -----------------------------------------------

aur ketne karoor baqi hai jin ko ham abhi Allah ki baat

pahoncha bhi nahi sake hai aur ketne hai jo waqifiyat aur

‘eteraaf ke baad bhi hamari koshisho ki kami ki wajha se

‘amal par nahi pare hai.

194

Farmaya_ namaaz ko hadith me ‘’(ٍعًبد انذي)(deen ka

sutoon) farmaya gaya hai.is ka ye matlab hai ke namaaz par

baqi deen mu’allaq hai, aur woh namaaz hi se milta hai,

namaaz me deen ka tafaqqho bhi milta hai aur tawfeqe

‘amal bhi ‘ata hoti hai, phir jaisi kisi ki namaaz hogi waesi

hi uske haqq me ye ‘ata bhi hogi, is liye namaaz ki da’wat

dena aur logo ki namaazo me khushu’ wa khuzu’ paeda

karne ki koshish karna bilwasta puri deen le liye sa’ee karna

hai.

195

Farmaya_jo kaam ‘awaam mukhliseen se liya ja sakta ho

aur us se un mukhliseen ke darja aur ajar me taraqqi ki

tawaqqa’ ho, woh un se na lena aur us ko khud karna, un

mukhliso ke saath hamdardi nahi hai balke un par ek tarah

ka zulm hai aur Allah ki nihayat karimana qanoon

.ki na qadri hai(انذال عهي انخيز كفبعهه)’’

Farmaya_bhai, deen par ‘amal bare tafaqqho ko chahta hai.

196

Farmaya_ ye nihayat aham usool hai ke har tabqa ko da’wat

usi cheez ki di jaye jis ka haqq hona zaruri hona woh khud

Page 146: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

146 MALFUZAAT -----------------------------------------------

bhi manta aur ‘amal me kotahi ko apni kotahi samajhta ho,

jab woh tabqa un chizo par ‘amal karne lage ga to agli

cheezo ka ehsaas insha Allah us me khud ba khud paeda

hoga, aur un ki adaaygi ki iste’daad bhi paeda hogi.

197

Farmaya_ jo jetne ziyada ahle haqq hai un me utni hi ziyada

kaam aur koshish ki zarurat hai. Un ka deen ke waaste uthna

bahot zaruri hai kiyuke wahi asal aur gar ho sakte hai.

198

Farmaya_afsoos! Jo log deen ke liye kuch bhi nahi kar rahe

hai aur deen ke mu’amla me bilkul hi gafil hai aur

pasmaanda hai, ham un ko dekh dekh ke apni zara si sa’ee

wa harkat par qane’ aur mutmain ho jate hai aur samajhne

lagte hai ke ham apna haqq ada kar rahe hai. Halaake

chahiye ye ke Allah ke jin bando ne deen ke liye apne ko

bilkul mitaya tha ham unke namuno ko nazar ke saamne

rakh ke hamesha apne ko muqassar samajhte rahe aur jetna

kar rahe us se ziyada karne ke liye har waqt hares aur

muztarab rahe. Hazrat umar ko hamesha is ki hirs raheti thi

ke kisi tarah deen ki khidmat me woh hazrat abu bakar ka

maqaam pale.

199

Farmaya_ tableegh ke aadaab me se ye hai ke baat bahot

lambi na ho aur shuru me logo se sirf otne ‘amal ka

Page 147: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

147 MALFUZAAT -----------------------------------------------

mutalaba kiya jaye jis ko woh bahot mushkil aur bara bojh

na samjhe kabhi kabhi lambi baat aur lamba mutalaba logo

ke ‘eraaz ka ba’es ban jata hai.

200

Farmaya_bahot se log ye samajhte hai ke bas pahoncha

dena tableegh hai, ye bari galat fahemi hai, tableegh ye hai

ke apni salahiyat aur istita’at ki had tak logo ko deen ki baat

is tarah pahonchai jaye, jis tarah pahonchane se logo ke

maanne ki ummeed ho, ambiya yahi tableegh laaye hai.

201

Farmaya_fazail ka darja masail se pahele hai, fazail se

a’maal ke ajar par yaqeen hota hai jo imaan ka maqaam hai

aur usi se aadmi a’mal ke liye aamada hota hai, masail

ma’loom karni ki zarurat ka ehsaas to tab hi hoga jab woh

‘amal par taiyaar hoga, is liye hamari nazdeek fazail ki

ahmiyat ziyada hai.

202

Farmaya_ tablighi jama’ato ke nisaab ta’leem ka ek aham

juz, tajweed bhi hai, qur-aan shareef acchi tarah pardhna

bahot zaruri hai.

بالقرإن ما إذن الله لشيي ما إذن لنبي يتغني tajweed dar asal wahi taganna bil qur-aan hai jo Rasoolullah

.se manqool hokar ham tak pahonchi hai صلى الله عليه وسلم

Page 148: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

148 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Lekin tajweed ki ta’leem ke liye jetna waqt darkaar hai

jama’at me otna waqt nahi mil sakta. Is liye in ayyaam me

to sirf us ki koshish ki jaye ke logo ko us ki zarurat ka

ehsaas ho jaye aur phir us ko seekhne ke liye wo mustaqil

waqt sarf karne par aamada ho jaye.

203

Farmaya_doosro ko deen ki da’wat aur targeeb dena sirri

e’badat hai, kiyuke aam log isko e’badat nahi samajhte. Aur

is me aa’la darje ka ta’diya ye bhi hai jo jaheri e’badato me

khaer ka khaas pahelu hota hai.

204

Farmaya_buzurgo ki khidmat ka maqsad dar asal ye hota

hai ke un ke jo umoomi aur ma’muli kaam doosre log

anjaam de sakte ho woh un ko apne zimma le taake un ke

awqaat aur un ki quwate un bare kaamo ke liye farig rahe jo

wahi akabir anjaam de sakte hai. Maslan kisi shaekhe waqt

ya aa’lim wa mufti ke wo umoomi kaam apne zimma le le

jo aap ke bas me hai, aur un ko in ki taraf se farig aur be

fikar karde. To who hazraat deen ke jo bare bare kaam karte

hai ,(maslan islaah wa irshaad aur dars wa ifta wagaera)to

woh ziyada itminaan aur yaksui se un ko anjaam de sakenge

aur is tarah ye khuddaam unke un bare kaamo ke ajar me

hissa daar ho jayenge, to dar asal baro ki khidmat un ke bare

kaamo me shareek hone ka ek zari’a hai.

205

Page 149: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

149 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Farmaya_haqiqi mohobbat ka iqtiza ye hota hai ke muhib

aur mahboob ke jazbaat aur khahishaat tak me kamil

ittihaad ho jata hai. Mere bhai maulana yahya sahabka

ye haal tha ke bawajood ye ke woh khanka se door rahete

the lekin baarha aesa hota tha ke achanak unke dil me

khanka jane ka takaza paeda hota aur who fawran chal dete

aur jab darwaza kholte to hazrat Gangohi ko intizaar me

baetha pate.

Farmaya ke Allah ta’ala se jab kisi banda ko sacchi

mohobbat ho jati to phir yahi ma’amla Allah ta’ala ke saath

ho jata hai ke us ki marziyaat bande ki marziyaat ho jati hai

aur jo baate Allah ko na pasand hoti hai banda ko bhi un se

nafrat ho jati hai. Aur us mohobbat ke paeda karne ka tareka

hai uswaye Muhammad صلى الله عليه وسلم ka ittiba

(قل إن كنتم تحبون الله فاتبعوني يحببكم الله) 206

Jo log deen daar aur deen daa hone ke bawajood deen ke

furoog ke liye aur ummat ke islaah ke liye woh jaddo jahad

nahi kar rahe jo rasoolullah ki niyabat ka taqaza hai un

ke bare me ek roz hazrat ki zubaan se nikal gaya’’ un logo

par bara raham aata hai’’ ___us ke ba’d deer tak aur

musalsal istigfaar farmate rahe----phir is aa’jiz se mukhatab

hokar irshaad farmaya:.

Page 150: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

150 MALFUZAAT -----------------------------------------------

‘’mai ne ye istigfaar is par kiya hai ke meri zubaan se ye

da’we ka kalima nikal gaya tha ke’’ mujhe un logo par

raham aata hai.

207

Farmaya_masjide, masjide nabawi ki betiya hai, is liye

unme woh sab kaam honi chahiye jo Huzoor صلى الله عليه وسلم ki masjid

me hote the. Huzoor صلى الله عليه وسلم ki masjid me namaaz ke elawa

ta’leem wa tarbiyat ka kaam bhi hota tha aur deen ki da’wat

ke silsila ke sab kaam bhi masjid hi se hote the. Deen ki

tableegh ya ta’leem ke liye wufood ki rawaangi bhi masjid

hi se hoti thi. Yahaa takke ‘asakir ka nazam bhi masjid hi se

hota tha. Ham chahte hai ke hamari masjido me bhi usi

tarika par ye sab kaam hone lage.

208

Farmaya_sahih tariqe kaar ye hai ke jo kaam nazil darja ke

logo se liya ja sakta ho woh unhi se liya jaye, un se mafooq

ke logo ka us me lagna jabke nazil darja ke kaam karne

wale bhi naseeb ho bari galti hai. Balke ek tarah ka kufrane

ne’mat aur niche darje walo par zulm hai.

209

Farmaya_ deen ki da’wat ka ehtemaam mere nazdeek is

waqt etna zaruri hai ke agar ek shakhs namaaz me mashgool

ho aur ek aadmi aaye aur wapas jane lage aur phir us ki

haath aane ki tawaqqa’ na ho, to mere nazdeek namaaz ko

darmiyaan me toor ke us se deeni baat kar leni chahiye aur

Page 151: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

151 MALFUZAAT -----------------------------------------------

us se baat karke ya us ko rok ke apni namaaz phir se pardhni

chahiye.

210

Isi silsile me farmaya_meri haisiyat ek ‘aam momin se

unchi na samjhi jaye, sirf mere kahene par ‘amal karna bad

deeni hai, mai jo kuch kahu us ko kitaab wa sunnat par

peesh kar ke aur khud gaor wa fikar karke apni zimma daari

par ‘amal karo, mai to bas mashwara deta hu.

Farmaya_hazrat Umar apne saathiyo se kaha karte the

ke’’ tum ne mere sar par bahot bari zimma daari daal di hai,

tum sab mere ‘amaal ki nigrani kiya karo’.

Meri bhi apni doosto se bari israar aur ilhaah se ye

darkhaast hai ke woh meri nigrani kare, jaha galti karu waha

toke aur mere rushd wa sadaad ke liye dua bhi kare.

211

Farmaya_ kisi kaam me ishtigaal us ke elawa bahot si

chizoo se ee’raaz ko mustalzam hota hai, yani jab ishtigaal

fi shai hoga to ishtigaal ‘an ashyaa zaruri hoga, aur phir jis

darja ka ishtigaal fi shai hoga to doosri chizo ke ihtimaam

me usi darja ki kami bhi hogi, shari’at me jo ta’leem di gai

hai ke har acche se acche kaam ke khatam par bhi istigfaar

kiya jaye, mere nazdeek is me ek raaz ye bhi hai ke shayad

is acche kaam me mashguli aur inhimaak ki wajha se kisi

doosre amar ki ta’meel me kotahi ho gai ho, khaas kar jab

kisi kaam ki lagan me dil lag jata hai aur dil wa dimaag par

Page 152: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

152 MALFUZAAT -----------------------------------------------

woh kaam cha jata hai to phir us ke ma siwa doosre kaamo

me basa awqaat taqseer ho jati hai , is liye hamare is kaam

me lagne walo ko khususan kaam ke zamane me aur kaam

ke khatima par istigfaar ki kasrat apne upar lazim kar leni

chahiye.

212

Farmaya_ ‘ulama se kahena ke in tableeghi jama’at ki chalet

phirat aur mahnat wa koshish se ‘awaam me deen ki sirf

talab aur qadar hi paeda ki ja sakti hai aur un ko deen

seekhne par aamada hi kiya ja sakta hai. Aage deen ki

ta’leem wa tarbiyat ka kaam ‘ulama aur sulaha ki tawajja

farmai hi se ho sakta hai. Is liye aap hazraat ki tawajjuhaat

ki bari zarurat hai.

213

Kisi silsile se ‘ahde hazir ke ek mashoor sahibe ‘ilm aur

sahibe qalam khadime deen ka zikar aa gaya , jin ki baaz

amli kamzoriyo ki bina par khaas deen daar halko ko un par

‘eteraaz hai to farmaya ke:.

‘’mai to un ka qadar daan hu, agar un me koi kamzori ho to

mai us ka ‘ilm bhi hasil karna nahi chahta, ye mu’amla

Allah ka hai, shayad un ke paas is koi uzar ho, ham ko

hokum ye hai ke du’aay karo’’(لا تجعل في قلوبنا غلا للذين امنوا)_

Page 153: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

153 MALFUZAAT -----------------------------------------------

214

Panjaab ke ek bare mashoor ’alim aur buzrug (jin se ’aajiz

murattabe malfuzaat ko bhi sharfe niyaaz hasil hai) delhi

tashreef laaye huwe the, ye ’aajiz un ki khidmat me hazir

huwa aur hazrat maulana ki deeni da’wat ka aur us ke usool

aur tariqe kaar ka kuch tafseel se tazkira kiya, aur apne

qadeem niyaaz mandana ta’alluqaat ki bina par un ko

targeeb di, aur istid’aa ki ke wo is deeni da’wat ke

muta’alliq mazeed waqifiyat hasil karne ke liye kuch waqt

is kaam ke markaz nizaamuddeen me guzare da’wat usool

aur tariqe kaar aur kaam ki raftaar ke muta’alliq meri

guzarish sunne ke baad unho ne bare ta-assur ka izhaar kiya

aur farmaya is waqt to mai qiyaam nahi kar sakta sirf teen

chaar din ke liye aaya hu aur hazrat maulana bhi bimaar

hai.lihaza is waqt to mai sirf ziyarat ke liye hazir hunga,

lekin mai ne niyat karli hai ke jab maulana ko sihhat ho

jayegi

aur wo koi aham tableegh dawra farmayenge to mai insha

Allah us me saath rah kar dekhunga

Ye ’aajiz jab delhi shaher se basti nizaamuddeen wapas

aaya aur hazrat ko puri guftagu sunai to irshaad farmaya:.

‘’shaitaan ka ye bahot bara dhoka aur fareeb hai ke wo

mustaqbil me bare kaam ki ummeed bandha kar us chote

khaer ke kaam se rok deta hai jo filhaal mumkin hota hai.

Wo chahta hai ke banda is waqt jo khaer kar sakta hai kisi

Page 154: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

154 MALFUZAAT -----------------------------------------------

hila se us ko is se hata de.aur is dao me wo aksar kaamyaab

ho jata hai.phir mustaqbil me aadmi jis bare kaam ki

ummeed baandhta hai basa awqaat us ka waqt hi nahi aata.

Bare kaamo ki ummeede aksar zaya hi ho jati hai. Aur is ke

barkhilaaf jo khaer fil haal mumkin ho, agarche wo chote se

chota hi ho, us me lagna aksar bare kaam tak pahonchne ka

sabab aur zari’a ban jata hai. Is liye áqalmandi yahi hai ke jo

khaer jis waqt jetna muyassar hosake us ko usi waqt ’amal

kar liya jaye aur fursat se fawri fayeda utha liya jaye.-----un

sahab ko chahiye ke wo phir par na rakkhe is waqt jetna

mumkin ho waqt de de. Aur meri bimari ka bilkul khiyaal

na kare kisi ko kiya khabar is bimari me sehhat se badarjaha

ziyada kaam ho raha hai. Yaha aane ka yahi khaas waqt

hai’’.

Allah ka karna aesa hi huwa ke wo buzrug us waqt qiyaam

na farma sake, aur mustaqbil ke mutabiq unho ne jo irada

kiya tha wo bhi pura na huwa, aur chand hi roz baad hazrat

malana ka wisaal ho gaya.

رحمة الله تعالي رحمة الابرار الصالحين

٭٭٭٭٭٭٭٭٭٭٭

٭٭٭٭٭٭

٭٭٭

٭

Page 155: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

155 MALFUZAAT -----------------------------------------------

MOHTARAM USTAAD HAZRAT MAULANA MUFTI RAFIQ AMJAD SAHAB QASMI KI DIGAR TASNEEFAAT

(1) Hayatus-Salihaat: Jild Awwal Aur Jild Sani Aur Jild Salis (Arbic) (2) Hayatus-Salihaat: (Urdu by: Mufti Muhammad Ansar Maulana Abdus Subhaan Nausori Fiji (3) Hayatus-Salihaat: (English by: Mufti Abdul Kareem Ibn Abdul Jabbar) (4) Hayatus-Salihaat: (Hindi by: Mufti Faiyaz Hussain Ibn Imaam Hussain Labasa Fiji (5) Hayatus-Salihaat: Bangla By: Mufti Farooq Uz Zabaan Qasimi Sahib Bangla-desh) (6) Awa Laisa Fi Sabilil-Lahi Il-La Man Qutil? (Arbic) (7) Awa Laisa Fi Sabilil-Lahi Il-La Man Qutil? (Urdu by:Mufti Muhammad Ansar Maulana Abdus Subhaan Nausori Fiji (8) Kitaabul Arbain Fi Usulud Dawati Wat Tableeg (Arbic) (9) Kitaabul Arbain: (English by: Mufti Abdul Kareem Ibn Abdul Jabbar) (10) Kitaabul Arbain: (Urdu by: Mufti Iftikhaar Alam Qasimi Sahib Bangla-desh) (11) Kitaabul Arbain: (Bangla By: Mutarjim Musannif Ki Ahliya Mohtarama) (12) Kitaabul Arbain: (Hindi by: Muhammad Ifroz Muhammad Firoz Suva (13) Usoolud Dawti Wat-Tableeg Fi Zao’il Ahadith-o-Nabwiyati (Arbic) (14) Usoolud Dawti Wat-Tableeg: (Urdu by: Mufti Iftikhaar Alam Qasimi Sahib Bangla-desh) (15) Usoolud Dawti Wat-Tableeg: (Hindi by: Mufti Faiyaz Hussain Muhammad Ifroz Muhammad Firoz Fiji (16)Usoolud Dawti Wat-Tableeg: (Bangla By: Mutarjim Musannif Ki Ahliya Mohtarama)

Page 156: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

156 MALFUZAAT -----------------------------------------------

(17) Ah-Waalul Mawta Wal Quboor (Arbic) (18)Ah-Waalul Mawta Wal Quboor: (Urdu by: Hafiz Muhammad Bilal Asif Pakistaani (19) Ah-Waalul Mawta Wal Quboor: (English by:Muhammad Moshin,Suva Fiji (20)Ah-Waalul Mawta Wal Quboor: Roman English by: Muhammad Aruf Hanif Saeqaqa, Fiji (21) Ah-Waalul Mawta Wal Quboor: (Bangla By: Mutarjim Musannif Ki Ahliya Mohtarama) (22) Ah-Waalul Mawta Wal Quboor: (Hindi by: Mufti Faiyaz Hussain Ibn Imaam Hussain Labasa Fiji (23) Huququn Nisaa Alal Rijaal: (Arbic) (24) Huququn Nisaa Alal Rijaal: (Urdu by: Mufti Juber Sahib Bangla-deshi (25) Huququn Nisaa Alal Rijaal: (English by: Mufti Muhammad Ansar Maulana Muhammad Subaan Nasori (26) Huququn Nisaa Alal Rijaal: (Bangla by: Mufti Ahsan Habeeb Amjad bangle-deshi (27) Huququn Nisaa Alal Rijaal: Roman English by: Muhammad Aruf Hanif Saeqaqa, Fiji

TAKHREEJ WA TAHQEEQ (28)Fazaailud Dawati Wat Tableeg Lish-Shekh Muhammad Zakriya Al-Kaan-dah-lawi (Arbic)

Page 157: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

157 MALFUZAAT -----------------------------------------------

MOHTARAM USTAAD HAZRAT MAULANA MUFTI RAFIQ AMJAD SAHAB QASMI KI ZER NIGRANI

TASNEEFAAT

(29) MOBILE PHONES IN THE LIGHT OF QURAAN & SUNNAH: ENGLISH (30) RAMADHAN IN THE LIGHT OF QURAAN & SUNNAH: ENGLISH (31) QURBANI IN THE LIGHT OF QURAAN & SUNNAH: ENGLISH (32) MEERATH IN THE LIGHT OF QURAAN & SUNNAH: ENGLISH (33) AHKAM-E-MEERAATH: URDU, HINDI (34) QURAAN WA AHADITH KI ROSHNI ME CHE SIFAAT: URDU, HINDI, ENGLISH, ROMAN ENGLISH

(35) MALFUZAATE HAZRAT JI MAULANA ILYAAS SAHAB

:ROMAN ENGLISH. (36) FITNAE DAJJAL: URDU BY MAULANA ALQAMAH

HUSSAIN, ENGLISH & ROMAN BY ABDUL WARIS.

۩۩۩

Page 158: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

158 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Page 159: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

159 MALFUZAAT -----------------------------------------------

Page 160: DARUL IFTA JAMEA ISLAMIA

160 MALFUZAAT -----------------------------------------------