Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

  • Upload
    irshad

  • View
    286

  • Download
    0

Embed Size (px)

Citation preview

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    1/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 1/13

    Wajid Malik

    VIDEO

    Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib

    AUGUST 28, 2015 | MUHAMMED WAJID MALIK | LEAVE A COMMENT

     

    I

    1 VOTE

    FAZAIL O MANAKIB E Aliyul Murtaza Karmallahu Wajjah Virtues of Maula Ali RadiAllaho Anho Hazrat E HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه ka Mukhtasar Tarruf Aur Aap ki Wiladat

    Ka BayanHazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه ki Wiladat Ailaan e Nabuwat k 10 Saal Kabl yaani Jab HuzoorNabi E REHMAT  صلى هللا عليه وآله ki Umr Mubarak 30 Baras thi Tab Huwi.13 Rajjabul Muraj jab Baroz E Juma Ko Huw i.  

    Aap Ki Wiladat Khana E Kaaba Me Huwi.Reference :(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 04, Pg : 611, Hadees : 6018)

    Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه k Walidain Hazrat Abu Talib aur Walida Hazrat Fatima bint E Asad

    Rad i Allaho Anha hai.Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه ka Naam “HAIDAR” unki walida ne Apne Walid Yaani Hazrat Alik naam pe Haidar Rakha.Hazrat Abu Talib ne aapka Naam “ALI” rakha.Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه k Dusre Naam jaise“ASADULLAH – ALLAH KA SHER” ,“KARRAR – PALAT PALAT K HAMLA KARNE WAALA ” “MURTAZA – CHUNA HUWA (SELECTED)” 

    “MAULA MUSHKIL KUSHA” ye aapke mashoor alkabat hai.

    (Miratul Manajih Shara E Mishqat Al Masabih, Vol :8, Pg :412)“ABU TURAB” aur “ABUL HASAN” ye aapki kunniyat hai. Hazrat Usman Zunoorain  رضي هللا تعالی عنه k Shahadat k baad Aapهنع یلاعت هللا يضر  khilafat kmansab pe kayam huwe aur 04 saal 09 mahina 08 din aap Masnad e Khilafat Par Rahe aur 17

       رضي هللا تعالی عنه

    https://sunnihanfisunni.wordpress.com/2015/08/28/fazail-o-manakib-e-hazrat-ali-ibn-abu-talib/https://sunnihanfisunni.wordpress.com/author/muhammedwajidmalik93/http://-/?-https://sunnihanfisunni.wordpress.com/category/video/video-video/https://sunnihanfisunni.wordpress.com/http://-/?-https://sunnihanfisunni.wordpress.com/author/muhammedwajidmalik93/https://sunnihanfisunni.wordpress.com/2015/08/28/fazail-o-manakib-e-hazrat-ali-ibn-abu-talib/https://sunnihanfisunni.wordpress.com/category/video/video-video/https://sunnihanfisunni.wordpress.com/

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    2/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 2/13

    ya 19 Ramzanul Mubarak ko Ibn Mulzim Kharji k haatho Aap  رضي هللا تعالی عنه jakhmi huweaur 21 Ramzan Sharif ko Aap  رضي هللا تعالی عنه ki sahadat Huwi. References :(Imam Ibn Aseer Asadul Gaba Fi Marifat E Sahaba, Vol : 04, Pg : 128,132) (Imam Jalaludin Suyuti At Tarikhul Khulfa, Pg : 132) (Shah Waliullah Muhadis Dahelvi , Al Izalatul Khafa’n Khilafatul Khulafa, Vol : 04, Pg :405) 

    (Marifat E Sahaba, Vol : 01, Pg : 100)  HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه ka Aankh Kholna Sabse Pahle Deedar E Mustafaهلآو هيلع هللا ىلص

    Karna Aur Maula E Kainat Ki PEHLI GIZA Hazrat Fatima bint E Asad Radi Allaho Anhafarmati hai Jab Hazrat Ali Ki Paida Huwe To Huzoor ne Hazrat Ali ko Apni Jaban eMubarak Chusne Ki Hazrat Ali ne Chusa Aur Neend Me Chale gaye phir Agla Din AayaHumne Doodh Pilane K Liye ek Dai Ko Bulaya Aap Ne Dudh Na Piya Jab Ye Baat Nabi ERehmat Ko Pata Chali Aap ne Dobara Aapne Waisa Hi Kiya Hazrat Ali Phir Neend me ChaleGaye Ye Maamla Chalta Raha Jab Tak ALLAH Taala Ne Chaha (Seerat E Halbiya Vol : 01, Pg : 382)

    HAZRAT ALIعنه

     تعالی

     هللا

     رضي

      ki Kunniyat Aur Alkabat Honourable NameABUL HASAN KUNNIYAT : Nabi E KARIM  صلى هللا عليه وآله ki Sabse Chaheti Beti Hazrat Fatima Radi Allaho Anha, HazratMaula E Kainat Aliyul Murtaza

     رضي هللا تعالی عنه k Saath Farmaya Aur Aapke Bade Bete Imam Hasan bin Ali ki Nisbat Se Aap

    Ko ‘ABUL HASAN’ Kaha Jaata Tha. 

    (Imam Jalaludin Suyuti Tareekul Khulfa, Pg : 132)ABU TORAB KUNNIYAT :

    Hadees :Hazrat Sahl Bin Saad  رضي هللا تعالی عنه Se Rivayat Hai“Ek Din Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه Hazrat Sayyada Kaynaat Radi Allaho Anha K Pass GayeAur Phir Masjid E Nabvi me Aake Let Gaye.

    ab Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Pahuche To Sayyada Kainat Se Pucha Ali Kaha Hai ?Farmaya Masjid Gaye Hai. Nabi E Rehmat  صلى هللا عليه وآله Masjid E Nabvi Pahuche AurDekha To Hazrat Ali Wahi Lete The Aapki Chadar Hat Gayi Thi Jis Se Peet Mi㜳hi SeAaluda Hogayi. 

    Nabi E Karim Apne Hath Mubarak Se Unki Mitthi Jhadne Lage Aur 02 Baar Farmaya

    تراب

     با

     قم

     تراب

     با

     قم

     ‘AYE ABU TORAB utho ! AYE ABU TORAB Utho’ Reference : (Sahi Bukhari, Vol : 01, Pg : 161, Kitab No 08, Kitabus Salat, Baab : Masjid Me Mard K SoneKa Bayan, Hadees : 441 “English ‑Book No :08, Hadees : 90”) 

    ab Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله ne Maula E KAYNAAT ko ye Lakab se Pukara Uske baad seHazrat Ali Ko Sabse Pasandida Naam Yehi hogaya.Hazrat Aliyul Murtaza ko Sabse Pasand Naam ABU TORAB Hogaya Hadees :

    ”Hazrat Sahl Bin Saad  رضي هللا تعالی عنه farmate Hai Hazrat Aliهنع یلاعت هللا يضر  Ko SabsePasandida Naam ABU TORAB Tha Jab Bhi Hum Unhe ABU TORAB Kehke Bulate WoKhush Hojate” Reference : (Sahi Bukhari, Vol : , Pg : , Kitab No 78, Kitabul Adab, Hadees : 6204 “English – Book No :

     

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    3/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 3/13

    78, Hadees : 228”)(Sahi Bukhari Hadees :6280, “English No : Book No 79, Hadees : 54”)(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad, Vol : 01 Pg : 440, Hadees : 852)Isi trah se Aapka Ye Naam Abu Torab Mashoor huwa chunki Ye Naam Huzoor صلى هللا عليه وآلهne ata kiya tha isliye ab iske maane ko dekhe to iska matlab Hai “Mi㜳hi k Baap – Father ofSoil” to ab koi jaahil iska direct meaning le aur kahe k dekho dekho ALI Mithhi k baap hai

    abki ALLAH taala Ne to ASHRAFUL MAKHLOOKAT banaya hai to yakinan kaha jayga ye

    pagal insaan hai.Ussi tarah bataur e Aazizi Ulma Fukaha Khud ko SAG kahte hai iska matlab ye nhi hota k

    wo hakikat k SAG hogye balki ye bataur e Aazizi aur inkesari hai k SAG ki wafadariAULIA se kitni azeem hai iska ek jhalak dekhna ho to bas yaha waha ki Kitab nhi warnakahenge k ye kisse kahani le aaye QURAN SURAH KAHAF 10 baar ek ek aayat gor sepadhle samajh aajaye to kayamat tak kabhi SAG kehne pe aitraaz nahi karnge badmazhab.IN SHA ALAH TAA’LA HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه Aur QURAN E KARIM Hazrat Ali K Manakib o Fazail Me Allah Taala Ne Bahot Si Aayat E Quran e Karim meNuzool ki hai aur sab yaha likh paana Mumkin hi nahi hai mai is talluk se kuch aayat e

    Karima Aur Hadees e Nabvi Alahimusalam bayan karunga. Hadees :Quran Ali K Saath Aur Ali Quran K Saath,Is tarah ek aur hadees e paak me aaya

    “Ali Aur Quran Hauz e Kausar Tak Ek Dusre Se Juda Nahi Honge Balki Saath Rahenge”  

    (Al Mustadrak lil Hakim, Vol : 04, Pg : 120, Hadees : 4604)(Imam Tabrani ne ye hadees Hazrat Umme Salma Radi Allaho Anha Se nakl kiya) (Imam Haythami As Sawaike Muharika, Pg : 421) (Imam Suyuti Ne Jam Ul Jawame)Quran :01) Hazrat Abdullah Ibn Abbas Farmate Hai Quran E Karim Me Jis Jagah

    آمنوا

     اَّذين

     يُّها

     يا

     Hai Waha Samajh lena Chahye ki Hazrat Ali Unke Ameer Wa Sharif Hai. Allah Taala Ne

    aha bhi Ali Ka zikr farmaya Khair K Saath Farmaya Hai.(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 258)

    02) ذن واعية كم تذكرة وتعيها  ها  نجع  

    “Ki Usse Tumhare Liye Yaadgaar Kare Aur Usse Mehfooz Rakhe Woh Kaan Ki SunkarMehfooz Rakhta Ho” (Surah No 69 Surah Haqqah Ayat 12)Ye Aayat Jab Nazil Huwi To Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله ne farmaya “Maine Apne Rab Se

    Ali K Liye Sawal Kiya Ki Yaa Allah Ali Ko Naa Bhulne waali yaad dhast ata farma chunacheHazrat Ali Farmate k Dua K baad Maine Jo Kuch bhi Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله se SunaWo yaad raha Phir kabhi naa bhula.References : (Imam Fakrudin Razi At Tafseer Ul Kabeer, Pg : 107 Is Aayat k tahet) (Tafseer E HussainiVol : 02, Pg : 566) 

    03)  هاد كل قو  و نت منذر  نَّما 

    “Tum To Dar Sunane Waale Ho Aur Har Kaum K Haadi” (Surah No 13 Surah Radd Ayat 07)

    Hazrat Abdullah ibn Abbas Farmate Hai jab Yeh Aayat e Karima Nazil Huwi To Nabi EKarim  صلى هللا عليه وآله ne Apna Daste E Aqdas Apne Sine Mubarak me rakhkar farmaya AyeAli Tu Haadi Hai Aur Mere Baad Raah Paane Waale Tujhse Raah Paynge Wilayat k SilsilaTujhse Jaari Honge Aur Ummat k Aulia Ulema Aur Gaus Aur Aftab Tujhse Faiz Paaynge”  (Tafseer E Kabeer Misri Al Zujuttase Ashar Pg : 14)  

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    4/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 4/13

    04)Is Tarah aur bhi Bahot si ayat hai Surah Baqrah Ayat 274,يهم وال هم يحزنون جرهم عند ربهم وال خوف ع هم  ا وعالنية ف رس  هم بالَّيل والنَّها موا ُنفقون  ي  اَّذين “Wo Jo Apne Maal Khairat Karte Hai Raat Me Aur Din Me Chupe Aur Jaahir Unke LiyeUnka Inaam Hai Unko Naa Kuch Andesha Ho Na Kuch Gam”(Surah Baqraah Ayat 274) Is aayat ki tashreeh Sakhawat E Ali k bayan me aaygi In Sha AllahTaala.

    ILM O HIKMAT KA DARWAJA HAZRAT ALIعنه

     تعالی

     هللا

     رضي

     HAI

    Hadees :Hazrat Ali se rivayat hai Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Irshad Farmayaأنا مدينة العلم وعلی بابها

    “MAI ILM KA SHAHER HOON AUR ALI USKA DARWAJA ” Reference : (Imam Hakim AL Mustadrak, Vol : 04, Pg : 96, Hadees : 4613) 

    (Tabrani Aur Al Bazzaz ne Is Rivayat ko Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho SeRivayat ki) 

    Imam Jalaludin Suyuti AlaihiRehma Likhte Hai

    YEH HADEES HASAN HAI jinhone Isko MAUZU kaha Unhone Galti Ki Hai.(Tarikhul Khulfa Pg : 257)

    Hadees :Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Irshad Farmaya بابها

    ٌّ

    ي حكمة وع َار ا د نا   “MAI HIKMAT KA GHAR HOON AUR ALI USKA DARWAJA”Reference : (Jamai Tirmizi, Vol : 05,Pg : 402, Kitab No : 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4089, “English No :3723)

    Hadees :Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Irshad Farmaya k MAI ILM KA SHAHER HOON Abu Baqruski Bunyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Cha㜳h(Roof) Aur ALI USKA DARWAJA 

    (Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Pg :43, Hadees: 108)

    ILM E HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه QURAN K JAAHIR AUR BAATIN KA ILMAaj Aise Jaahil fitne mullah mauzood hai jo Wahabiat k thekedar bhi hai magar afsos dawahai hum Ahle Hadees Hai magar aata kuch nahi wo Ilm E Baatin maante nahi kehte hai aisakoi ilm nahi hota ye tum Sufiyo ki gadi baatein hai Nauzubillah Ilm E Baatin us ilm kokaha jaata hai jo aam awaam samajh nahi paati aur aksar galat maane leleti hai jaisa k aksardekha jaata hai TAASAWUF ki kitabe wahabi dikhate hai samajhte nahi bas un kitabo koshirk shirk chillate hai tumko samajh aata nahi to Shirk hogya. ALLAH Taala Akal de inkoaaye dekheIlm E Baatin Hadees E BukhariHadees :

    “Hazrat Abu Hurraira  رضي هللا تعالی عنه Farmate hai Maine Nabi E KARIMهلآو هيلع هللا ىلص  se IlmK 02 Katore ya pyale (Bowl) Haasil Kiye Ek Ilm Maine Tumko Bayan Kar Diya Aur Dusra

     

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    5/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 5/13

    Tumhe Batadu To Tum Usko Samajh Bhi Naa Pao Aur Meri Gardan (Neck) Talwar SeMaardo” 

    Reference : (Sahi Bukhari, Vol :01, Pg : 124, Kitab Ilm, Baab No 42 Hifzul Ilm,Hadees : 120)

    Ye konsa ilm tha jo digar Sahaba Tabain ko to Abu Hurraira Radi Allaho Anho ne bayan kardiya aur dusra ilm jaahir naa kiya aur kaha samajh nahi paaoge meri gardan mardoge yewohi ilm e baatin hai jo wahabdo ko samajhta nahi SHIRK ki Talwar chalate hai phir.  

    Hadees :Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه Tadees e Naemat k taur pe Farmate Hai “ALLAH ki Kasam MaiQuran Ki Har Aayat Har Aayat K Baare Me Jaanta Hoon Ki Wo Kab Aur Kaha Naazil HuwiAur Beshak Mere Rab Ne Mujhe Samajhne Waala Dil Aur Suwal Karne waali Jaban AtaFarmayi” Reference :(Imam Abu Noem Al Hilyatul Aulia Vol :01 , Pg : 108)

    Hadees :Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه khud Farmate Hai “Agar Mai Chahu TO SURAH FATIHA kiTafseer ko 70 Oont (Camel Se Bhar) Du” References :(Imam Muhammad Abu Talib Al Makki ‘386 Hizri Al Mutwaffa’ ne Apni Kitab Qut AlQuloob Vol : 01, Pg : 92)Matlab k agar tafseer sirf aur sirf Surah Fatiha ki likhu to 70 Oont k pusht par kitab laadhdu ye ilm hai MAULA E KAYNAAT ka.

    “Hazrat Abdullah bin Masood  رضي هللا تعالی عنه Farmate Hai Beshak QURAN E MAZID 7Huroof (yaani LUGATO) Par utra Hai aur Inme Se Har Hurf Ka Jahir Bhi Hai Aur Baatin BhiHai Aur 

    Hazrat Aliyul Murtaza Aise Aalim Hai JInhe ALLAH ne ILM E ZAJIH AUR BAATINDONO ATA KIYA” 

    (Ibn Asakir Tarikh E Damishq Vol : 24, Pg :400)

    SURAJ PALAT AAYA ALI  رضي هللا تعالی عنه KI KHATIRYe Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ka Azeem Mozeza Hai Makam E Khaybar k KaribEk Jagah Hai “Manzile Sahbaa” waha ye mozeza wakay huwa

    “Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai Khaybar k Karib Manzil ESahbaa Me Huzoor Nabi E Rehmat Namaz E Asr Padh Kar Hazrat Ali Ki Godh Me Jaake

    Sar Rakh Sogaye Aur Aap Par Nuzool E Wahi Hone lagi. Hazrat Ali Aaka k Sar E Aqdas koYuheen Liye Bethe Rahe.

    Yaha Tak K Suraj Guroob Hogaya Aur Aap Nabi E Karim Ko ye baat Maloom Huwi k HazratAli  رضي هللا تعالی عنه Ki Namaz E Asr Kaza Hogayi.

    To Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Ye Duwa Farmayi ‘Aye ALLAH Taa’la , Ali TereAur Tere Rasool  صلى هللا عليه وآله Ki Itaat Me Tha Lihaja Uske Liye Suraj Ko Palta De Taaki AliNamaz E Asr Dobara Padh Le.

    Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Maine Apni Aankho Se Dekha kSuraj Palat Aaya Yaha Tak k Pahado Ki Chotiyoo’n Par Aur Jameen k Har Taraf Dhoop Fael(spread) Gayi”

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    6/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 6/13

    Reference

    (Imam Abdul Bakir Zarkani, Vol : 04, Pg : 113)

    (Shah Abdul Haq Muhadis Dahelvi, Al Madarijun Nabuwat, Vol : 02, Pg : 252)

    (Huzzatullah Alal Alameen, Pg : 368)

    Subahat : Ab Is Hadees K baare me Kuch hazrat jisme Imam Jauzi Hai unhone isko Mauzukaha lekin ye hadees Sahi Hai aur baaj Muhadiseen ne isko SAHI Isnaad se Likha hai aursabne Imam Jauzi Ka raddh kiya hai.

    Ek Wo grp jo Tassubi jiska ilmi level 02 kitab tak ka nahi jaise aajke wahabi hai wo binatehkeek lakeer k fakeer ye kehdenge k Ye hadees mauzu hai kyu awaal to tassub aur Shan E

    Nabi nahi hazam hoti dusra Imam Bukhari Ne Isko Bukhari me nahi likha isliye nahimanege.

    awabat : Ab yaha mai ispe zyada bahes nahi karta warna sirf is hadees peALHAMDULLILAH itna ilmi zakheera hai k ye fakir khud 50 se zyada page likh sakta hai.

    Ek Ilmi Jawab – Imam Bukhari Ka kisi hadees ko bukhari sharif me naa likhna ye saabitnahi hota k wo hadees hi nahi Imam bukhari ko 4 lakh se zyada hadees yaad thi jinme EKLakh to SAHI Isnaad yaad thi baaki 3 LAKH jo hai usme bhi sab jaef ya mauzu nahi balkihadees ki inke elawa bhi dusre darje hai jo acceptable hai wo bhi shamil hai.

    Ab wo 1 LAKH me se jisme se sirf 7500 se thoda zyada Bukhari me jama ki usme agar Singlekarde to puri bukhari me sirf approximately 2300 hadees hai to baaki wo 97,500 hadees kaha

    hai ?

    Kya sirf 2500 hadees padhke koi Muhadis hojayga ?

    Un hadees ko dusre Muhadiseen ne apni kitabo me nakl kiya hai. Dusra ye kehna k Aisamozeza mumkin nahi hosakta ye jahalat aur gumrahi hai ALLAH Taala ki shan e shan uskequdrat me hai k usne Ambiya Alaihumsalam ko wo mozeze diye hai jaise Hazrat SulemanAlaihi salam ko Hawa pe Pani pe hukumat di k unke isharo se Hawa chalti. Kya badmazhabALLAH k diye Mozeze ko nahi maante hai ?

    HAZRAT ALI NE SOKE DIKHLAYA RASOOL ALLAHوسلم

     آله

     و

     عليه

     هللا

     صلى

      K BISTAR PARYe Wakya Bahot Famous bhi hai aur bil i㜳efak izma hai jispe kisi ka inkaar nahi iske haq

    hone me chahe khwarijeen ho munafikeen ho Ahle Tasheeh Shia ho ya AHLE SUNNATMASLAK E HAQ Ho Nabi E Karim  صلى هللا عليه و آله وسلم ko jab Hukm E Hizrat Huwa Aapىلص هللا عليه و آله وسلم ne Apne Karabatdar ahle khaana aur deegar Sahaba ko Madeena E MunawaraBhej diya aur aakhir me Aap Ko SIDDIK E AKBAR k saath jaana tha Huzoor Nabi EKARIM  صلى هللا عليه و آله وسلم k pass kuffaro ki kuch amanat thi ye bhi kabil e gaur baat hai kwo Kuffar, Huzoor  صلى هللا عليه و آله وسلم par jab tak imaan nahi laaye par uske baad bhi apniamanat Huzoor Rehmat E AALAM  صلى هللا عليه و آله وسلم k pass rakh dete the.

    ab Kuffaro ko ye pata chala k Hizrat horhi hai aur Sab Musalmaan MADINA EMUNAWARA jaa pahuche waha MADINA E MUNAWARA K ANSAR se bhi samjhautahogaya to Musalmano ko nayi riyasat aur power mil jayga lihaja unhone mansooba banaya

       صلى هللا عليه و آله وسلم

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    7/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 7/13

    k kisi tarah HUZOOR REHMAT E AALAM  صلى هللا عليه و آله وسلم ko Shaheed kiya jaaye jiskesazis kisne rachi kya masla tha ye sab padhe jarur padhe kyuki yaha kuch chehre bhi jaahirhojaynge.

    KUFFARO BAATIL KI CONFERENCE :“Kuffaro ki bahot badi conference DARUN NADWA me munakkid huwi aur ye aisa

    mansooba tha jisme kuffar e makkah k tamam danishmand aur ba asar (powerful) shaks

    mauzood the bilkhusus Abu Sufyan, Abu Jahel, Utba, Shaiba, Jabeer bin Mutain, Nazar binHaaris, Abul Bukhtari,Juma bin Aswad,Hakim Bin Hizam, Ummaya bin Khalaf aur bhideegar rasookdar kuffar e Makkah mauzood Sardaraane Kuraish Mauzood The.Isi conference me SHAITAN E MALOON BHI KAMBHAL (Blanket) Oodhe EK BUZURGshaks ki SURAT Me Aaya jab logo ne pucha Kon ho ? To KAHA SHAIKH E NAZD HOONtumhare maamle me Apni Rai Pesh karne aaya Hoon taaki tumhare maamlaat me apni rairakhne aaya hoon. Ye Sun Kuffaro ne usko bhi apni mazlis me shamil kiya aur guftguplanning shuru ki.

    Kuffaro ne apne mashware shuru kiye lihaja Abul Bukhari ne kaha k Inko Kaid karlo kisi

    khotri me band kardo haath pair baandh do aur ek surakh se bas khana peena diya karo.Is par Shaitan Mardood ne kaha nahi KHUDA KI KASAM agar aisa karoge to unke jaanisar

    kisi bhi tarah unhe dhund lenge aur unke liye apni jaan pe khel k unko qaid se nikal lenge.Abul Aswad Rabi ibn Amr Aamiri ne mashwara diya k inko MAKKAH se nikal do is sehume Inki QURAN aur ISLAM Ki TABLEEG se rahat mil jaygi.  Is mashware se SHAITAN uspe baras padha aur bola agar tumne aisa kiya to HAZRATMUHAMMAD  صلى هللا عليه و آله وسلم k kalam me itni mithas hai k wo pure arab ko suna suna kMusalman apna haami bana denge aur tum par phir ek aisa lashkar hamla karega jiske aagetum bach nahi paaoge tum Gulam banke reh jaoge isliye Watan se Nikalne ki baat hi naa

    karo.Is tarah ek k baad ek mashware log dete gaye aur sabke mashware ko naa kabool kiya gayabil aakhir Abu Jahel bola k mera ek mashwara hai log ab uske mashware ko sun ne lage.  Abu Jahel ne kaha HAR KABILE (Tribes) Se Ek Bahadur talwar leke uthe aur Sab Ek Saath

    Hamla Karde AUR HAZRAT MUHAMMAD KO KATL KARDE.IS SE HOGA YE K KISI EK KABILE PE ILZAAM NAHI AAYGA NAAM SABKA AAYGAAUR BANU HASHIM ME ITNI KUWWAT NAHI K AKELE TAMAM KABILE SE LADE.ABU JAHEL ki ye tazweez sun SHAITAN khusi se Jhoom utha aur kaha is se acchamashwara koi ho hee nahi sakta. 

    Aur Is Tazweez pe unki Conference khatm hogayi aur ye Shaitani mansooba leke wo apneapne ghar chale gaye.Reference :(Seerat E Nabuwat Lil Ibn Hissham, Baab : Hizrat E RASOOL Vol : 01, Pg : 191 – 193)  aur bhi seerat k tamam kutoob me tarikh me ye wakya bil iktelaf mauzood hai.

    Is Conference ka zikr ALLAH TAALA NE QURAN E KARIM ME BHI FARMAYA. خير الماكرين َّ⁶او  َّ⁶ا ركميو نوركميو  كوج يُخ و  و يقتلوك  ُثبتوك  ي ذ يمكر بك اَّذين كفروا  و

    “Aur Aye MEHBOOB ! Yaad Kijiye Jis Wakt Kuffar Aapke Baare Me Khufiya Tadbeer Kar

    Rahe The ki Aapko Kaid Karde Ya Shaheed Karde Yaa Saher Badr karde Ye Log KhufiyaTadbeer Kar Rahe The Aur ALLAH khufiya Tadbeer Kar Raha Tha Aur ALLAH ki PoshidaTadbeer Sabse Behtar Hai”(Surah 08 Surah Anfal Ayat 30)

     

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    8/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 8/13

    ALLAH TAA’LA Ki KHUFIYA TADBEER KYA THI ?Kuffar e Makkah Agarche Huzoor  صلى هللا عليه و آله وسلم K Bade Dushman the lekin uske baadbhi uhone apni amanat Huzoor Nabi E Karimملسو هلآ و هيلع هللا ىلص  k pass Rakhe the “Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Se farmaya k Tum Meri Sabz RangKi Chadar Oodh k Mere Bistar Pe So Raho Aur Mere Chale Jaane K Baad Tum Ye Amanat

    Unke Maliko Ko Saunp ke Madina Chale Aana.Hazrat Ali Jaante The k Kuffar Ne Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه و آله وسلم k Katl ki sazis

    rachi hai aur apne Mansoobe pe wo amal karnge lekin chunki HUZOOR E AKRAMهللا

     صلى

     عليه و آله وسلم ne ye farmaya k MERE JAANE K BAAD TUM MADINA AAJANA lihaja mujheYakeen tha k Mai Zinda Rahunga Aur Madina Jaunga.Hazrat Ali ne aisi aaram ki neend aayi k wo sote rahe aur phir khud ek sher padha wo yehai. “MAINE APNI JAAN KO KHATRE ME DAAL KE US JAAT E GIRAMI KI HIFAZAT KI JO

    AMEEN PAR CHALNE WAALE AUR KHANE E KAABA HATEEM E KAABA K TAWAAFKARNE WAALO ME SABSE BULAND MARTABA HAI” ALLAH TAALA NE IN KHUFIYA TADBEER SE BACHA LIYA.  

    Reference :(Imam Abdul Bakir Zarqani Shara E Al Muwahibul Laduniya Lil Zarqani Vol : 01, Pg : 322)  (Madarijun Nabuwat Vol : 02, Pg : 80) (Seerat E Nabuwat Lil Hissham Vol :01 Pg :196 Baab : Hizrat E Rasool)  Aur bhi bahot si kutoob e seerat me ye rivayat hai yaha jo baat kabile gaur hai jo yeHazrat Ali Ko Huzoor  صلى هللا عليه و آله وسلم Ne Farmaya TUM MADINA CHALE AANA AURHAZRAT ALI ka ye kahna Mujhe Yakeen tha mai jaunga ye kya hai ALLAH k Bande yehi toGAIB KA ILM HAI jo ALLAH k Nabi  صلى هللا عليه و آله وسلم ne HAZRAT ALI Ki ZINDAGI ki

    amanat leli warna aise bistar pe sona jaha Maut ka tasawur bilkul karib hai. To Hazrat Ali ka bhi akeeda yehi tha k Huzoor  صلى هللا عليه و آله وسلم ko Gaib ka Ilm ALLAH

    Taala Ki Ata se Hai.

    HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه KO HUZOOR NABI E AKRAMملسو هلآ و هيلع هللا ىلص  KA AZEEM

    TABARRUKYe Wakya Hai Jung E Khaibar k kabl ka Jab Jung Fateh nahi horhi thi us wakt Maula EKaynaat k Aankho Me Bahot Takleef ThiHadees :Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool E Karim  صلى هللا عليه و آله وسلم Ne Khaybar k DinIrshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Taala Fateh

    Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOLوسلم

     آله

     و

     عليه

     هللا

     صلى

      se Muhabbat Rakhta Hai aurALLAH AUR USKA RASOOL  صلى هللا عليه و آله وسلم US Se Mohabbat Karte HaiAgle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha K Jhanda Us Se Diya Jayga.Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai ?

    Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH  صلى هللا عليه و آله وسلم unki Aankhe Dukhti Hai.Unhe Bulaya gaya HUZOOR NABI E KARIM ne APNA LUAAB E MUBARAK Nikala AurHazrat Ali Ki aankho Me Lagaya wo aise theek hogaye Jaise pahle dard tha hi nahi aur

    handa unhe de diya gaya.Maula E Kaynaat ne Pucha YAA RASOOL ALLAH kya Mai unse us wakt tak ladu jab tak

    Musalmaan na hojaye ?

    Farmaya Narmi Ekteyar Kar Jab Tak K Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir UnheIslaam Ki Dawat Do Aur ALLAH k Jo Hukook Unpe Hai wo unhe BataoAllah Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye.  

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    9/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 9/13

    Ye Tumhare Liye Is baat se Accha Hai k Tumhare Paas Surkh Oont Ho”References : (Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : دَيه رجل ى ي م ع س باب فضل من Hadees : 3009) (Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210) (Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala AlaihimAzmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees : 53)

    Is Topic Jung E Khaybar ki tareekh k liye deegar kutoob e Seerat aur bhi bahot si kitabpadhe to kaafi maloomat hogiAb Is Hadees E Paak Ko Padhe To Kaafi Cheez Isme Jaahir Hoti Hai– Jung E Khaybar ek Azeem Marka tha Kaum e Yahud k khilaf jinhone gaddari ki aur baarbaar muhaida toda In Sha ALLAH Taala wakt raha to Jung e Khaybar ka pura pasmanjar aurispe Western Authors k objection ka mukammal jawab likhungaNabi e Karim Ne Sahaba k Lashkar ko bheja par jung fateh naa hoparhi hai thi lihaja aakhirme farmaya K Kal Uske Haath me Jhanda dunga jo jung Fateh kar dega ye gaib ki khabrethi isliye to bata diya k jo jhanda lega wo fateh kar dega koi ek sahabi ne ye nahi kaha k Ya

    Rasool ALLAH ye to aane waale future ki khabre hai Gaib ki baat hai AAP kaise bata rahehai AAPKo to gaib ka ilm nahi hai balki Saare sahaba ka akeeda yehi tha jo ab Rehmat eAALAM ne kah diya to FATEH hona hai aur wohi shaks karega jiske haath Jhanda hoga yegaib ki khabre thi jo Huzoor Nabi E Karim bayan kar rahe hai magar kuch aise badimag haik unka ilaaz hi nahi hai wo kaum ko aaj ki khabar nahi kal ki khabar nahi me hi ladte rehtehai.

    HAZRAT ALI KA KHAYBAAR FATEH KARNA Kuwwat E Haidari Ki Ek Jhalak Hazrat Ali ka wo makam hai k Aap Ko ASADULLAH bhi kaha jaata hai yaani ALLAH KASHER – LION OF ALLAH ab jahir si baat hai jo ALLAH ka SHER Hai uski kuwwat ka

    andaza koi laga hi nahi saktaAkele PURA KHAYBAR UKHAD DAALA“Ghazwa E khaybar me Ek Yahudi Ne Aap Pe Waar Kiya Aur Aapki Dhaal Gir Gayi. ToAap Aage Badhke Kile K Darwaje Tak Pahuch gaye Aur Apne Haatho Se Kile Ka Fatak

    Ukhad Diya Aur Darwaje Ko Dhal Bana Liya Wo Darwaja Aap K Haath Me Barabar RahaAur Aap Ladte Rahe Yaha Tak K Allah Ne AAP Ke Haatho Khaybar Fateh kar diya .  Ye Darwaja Itna Wajan Tha k jung K baad 40 Aadmiyon ne Milke Uthana Chaha To NaaUtha Paaye” (Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol :04, Pg : 212) 

    Aala Hazrat Farmate HaiSHER E SHAMSHIR JAN SHAHE KHAYBAR SHIKANPAR TAWE DAST E QUDRAT PE LAAKHO SALAM

    Luab (Thook Mubaraka) Aur Dua e Mustafa Ki Barkat”Hazrat Ali Farmate Hai Nabi E Karim  صلى هللا عليه و آله وسلم Ka Luaab e Dahen Lagne K BaadMeri Aankhe Kabhi Naa Dukhi” (Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg :151, Musnad E Ali ibn Abu Talib, Hadees :571)

    “Hazrat Abdur Rehman Ibn Abi Laila Se rivayat hai k wo Hazrat Ali K Hamraah The To

    unhone Hazrat Ali Ko Dekha Wo Garmi Me garm kapde aur Sardi Me Sard Kapde pahenteThe Unhone Iska Sabab Pucha To Hazrat Ali Ne farmaya k jab Nabi E Karim ne APNALuaab E Dahen Meri Aankho Me Lagaya To saath Me Ye Bhi Dua Farmayi AYE ALLAH ALISE SARDI AUR GARMI KO DUR FARMADE. Us Din Se Mujhe Na garmi Lagti Aur Naa Hi

     

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    10/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 10/13

    Sardi” (Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 83, Kitabal Mukaddama, Hadees : 121, English No Hadees :117)

    HAZRAT ALI KA KABR WAALO SE KALAM KARNAHazrat Ali Ki Shan ka Ek Azeem Pahlu Ye Bhi Hai k Aap ko ALLAH Taala Ne Wo KuwwatAta Ki Thi k Aap Jameen Me hote huwe kabr Waalo Se Kalam Karte The.

    Mujadid Imam Abdul Rehman Jalaludin Suyuti AlaihiRehma nakl karte hai“Hazrat Saeed Ibn Mussayab Farmate hai hum Ameerul Momineen Hazrat Ali k HamraahThe Hamara Guzar Kabristan k pass se huwa.

    Hazrat Ali ne Kabr Waalo Ko Salam Kiya Farmaya AYE KABR WAALO TUM PARSALAMTI HO AUR ALLAH KI REHMAT.Aur Farmaya AYE KABR WAALO TUM APNI KHABAR Bataoge Ya Hum Tumhe Bataye.

    Hazrat Saeed bin Mussayab Farmate Hai Humne Kabr Se Salam ka Jawab Suna aur KoiKahne Waala Kah raha Tha K Aye Ameerul Momineen Aap Hi Bata Dijiye Hamare Marne KBaad Kya Huwa.

    Hazrat Ali Ne Farmaya SUN LO tumhara MAAL Takseem hogya Tumhari biwiyo ne dusreNikah Kar liye, tumhari aulaad yateemo me shamil hogayi,Jo ghar tumne bahot MazbootBanaya Tha Usme Tumhare Dushman Aabad Hogaye. Ab Tum Apna Haal Sunao !Phir Kabr Se Awaaj aayi Aye Ameerul Momineen Hamare Kafan Fat K taar taar hogaye,hamari aankhe Bah kar rukhsaro pe aagayi, hamare baal jhad kar muntshir hogaye khal

    (skin) tukde tukde hogayi, 

    Hamari Naak Se Peep bah rahi hai aur hamne jo kuch kiya wo paaya aur jo piche chodausme nuksaan hai” 

    (Imam Ibn Asakir Al Tarikh E Damishq Vol :27, Pg :310)(Imam Suyuti Ash Sharaus Sudoor, Pg : 201) Isme Kuch chize pata chalti hai Hazrat Ali KiKuwwat e Samayi Sun Ne Ki Kuwwat aur Murdo k barzakhi halaat kaise hai aur hamareliye bhi bahot ibraat hai.

    AGA JEE LAGANE KI DUNYA NAHI HAIYE IBRAT KI JAA HAI TAMASHA NAHI HAI

    Huzoor E Akram  صلى هللا عليه وآله Ka FARMAAN ALI MERE BHAI HAIHadees :”Hazrat Abdullah Ibn Umar  رضي هللا تعالی عنه se rivyata Hai Jab Nabi E Karimهلآو هيلع هللا ىلص  Ne

    Madina Munawara me Muhajireen Aur Ansar k darmiyan Bhai chara kayam farmaya.To Hazrat Ali  رضي هللا تعالی عنه is haal me Nabi E Karimهلآو هيلع هللا ىلص  kay pass tashrif laaye kAapke aankho se aansu jaari the Aapne Farmya YA RASOOL ALLAH aapne Sahaba kKayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi ne Mujhe Bhai Naa Banaya.Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Farmayaخي في الدُّنيا واآلخرة نت   Yaani Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho”References :(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 401, Kitab No 49 kitabul Manakib, Hadees : 4086 “English Book

    No : 46, Hadees : 3720)

     

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    11/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 11/13

    Is Hadees ki Shara Me Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi RahimullahLikhte Hai“Yaani Tum Rishte Me Bhi Mere CHACHA JAAD BHAI ho Aur Ab is Akde Muaakhat MeBhi Yani bhai chara Kayam karne me bhi Mere Bhai Ho.Magar Khayal Rahe Kabhi Hazrat Ali Ne Huzoor Nabi E Karim Ko APNA BHAI KEH KARNA PUKARA Jab Bhi Pukara Hai YA RASOOL ALLAH keh ke hi pukara Hai, To phir kisiAire gaire Ko bhai kahke Pukarne Ka Haq Kaisa Hoga ? ”

    References :(Miratul Manajih Shara E Mishkat Ul Masabih, Vol : 08, Pg : 418)

    HASAN HUSSAIN JANNATI NAWJAWANO K SARDAR HAI AUR ALI UNSE AFZALHAI

    Hadees :

       صلى هللا عليه وسلم َّ⁶ا لوسر لاق لاق  عَن ابن عمر

     . ” ُوهما خير منهما ب جنَّة و هل ا دَا شباب  حسين سي حسن وا  ا “

    Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya “Hasan Aur Hussainannati Nawjawano k Sardar Hai Aur Unke walid Unse Afzal Hai”

    (Sunan Ibn Majah Vol :01, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama Hadees : 123)

    HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه KO DEKHNA IBADAT HAIHadees :

    “Hazrat Abdullah Ibn Masoodعنه

     تعالی

     هللا

     رضي

      se rivyata Hai Nabi E Karimوآله

     عليه

     هللا

     صلى

      NeIrshad Farmaya ALI KO DEKHNA IBADAT HAI”References :(IMAM AL MUSTADRAK, Vol : 04, Pg : 118, Hadees : 4737)

    HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه Ba Misl Hazrat Haroon

    Hazrat Saad  رضي هللا تعالی عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allahهلآو هيلع هللا ىلص  Ne Hazrat Aliهللا يضر تعالی عنه Se Farmaya Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Aliهنع یلاعت هللا يضر

    Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Aliعنه

     تعالی

     هللا

     رضي

      Ne FarmayaKya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ?Huzoor Nabi E Karim  صلى هللا عليه وآله Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere

    Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye MeTha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi” References :(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees :4416) (Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib,

    Hadees : 2404)

    Aur Bukhari Muslim ki Dusri rivayat Me“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa K Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye KMere Baad Koi Nabi Nahi” 

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    12/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    https://sunni hanfi sunni .wor dpr ess.com /2015/08/28/fazai l- o- manaki b- e- hazr at- al i- ibn- abu- tal ib/ 12/13

    Reference :(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib,Hadees : 2404) (Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Ali Ibn AbuTalib, Hadees : 3706)

    HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه Hazrat Isaa Ki Munasabat

    Nabi E Karimوآله

     عليه

     هللا

     صلى

      Ne Hazrat Aliعنه

     تعالی

     هللا

     رضي

      Ko Mukhatib Karke Farmaya “TumMe Hazrat Isaa Ki Misaal Hai Jinse Yahood Bugz Rakha Ha㜳a K Unki Walida Mazida KoTohmat Lagayi Aur Unse Isayo Ne Muhabbat Ki To Unhe Us Darje Me” Pahaucha Diya JoUnka Naa Tha. Phir Hazrat Ali Ne Farmaya“Meri Muhabbat Me 02 Kism K Log Halaak Honge Meri Muhabbat Me Ifraat Karne Waale

    Mujhe Un Sifaat Se Badhaynge Jo Mujh Me Nahi Aur Bugz Rakhne Waalo Ka Bugz UnheIspar Ubharenge Mujhe Bohtaan Lagaynge” References :(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 336, Hadees : 1376) (Musnad E Abu Yaala, Musnad E Ali bin Abu Talib, Vol : 01,Pg :247 Hadees : 530)

    Hadees e Paak me Huzoor Nabi E Karim ne Gaib ki baatein bayan ki  isme Hazrat Ali ko Misl E Isaa Bayan huwa lihaja ye hona hi tha

    Hazrat Isaa ko Maan ne waale kul 03 group haii) Yahudi – inlogo ne itni adawat ki k unki walida par bohtan bandh diya.ii) Isai – Ye logone Hazrat Isaa se muhabbat aur unpe Imaan laane ka dawa kiya hai parmuhabbat ko aisa follow kiya k Khuda Ka Beta hi maan liya.  iii) Musalmaan – Ummat E Muslima ne Hazrat Isaa ko unke makam aur maratib par maana

    yaani jo Sahi Maan ne ka haq hai.is Tarah Hazrat Isaa k talluk se ye dono tabka halaak huwa usi tarah ab aaye Maula Ali ki

    taraf dekhe

    Hazrat Ali k talluk se bhi So called Kalma Go Musalman me bhi giroh bane aur halak huwe i) SHIA RAFZI – inlogo ne bhi itna dawa e Muhabbat kiya k Hazrat Ali ko utna maana johaq naa tha aur unki Muhabbat me dusre Sahaba par tabbara karte yaha tak aqaid rakhe kQURAN utarna Nauzubillah Ali pe tha utar gaya MaazALLAH Huzoor E Karim pe.Astagfirullah. ii) KHWARIJEEN – Munafik : ye adawat e ALI me itna gire k hosh tak naa raha k kiskoKafir bolte aaye Hazrat Ali ko mazboor kamzor samajhna unko Kaafir bolna goya unse

    adaawat me dub gaye ye dono tabka halaak huwa. 

    iii) YE MASLKA AHLE SUNNAH ka Tabka Haq hai jisne Maula E Kaynat ko unke mansabaur makam pe maana jo ALHAMDULLILAH Hum Ahle Sunnat Hai.  ye hai us hadees ka thoda sa khulasa ab ye hadees bhi wohi maanega jiska Aqeeda Imaan oK AAP HUZOOR ko ilme Gaib tha. HAZRAT ALI  رضي هللا تعالی عنه Ki Muhabbat Ka Takaza Baaj Aise bhi hai jo rafzi hai shia hai

    inka daawa hai Hazrat Ali se muhabbat ka par unka haal kya kahe Hadees : “Hazrat Ali رضي

    عنه

     تعالی

     هللا

      farmate Hai Nabi E KARIMملسو هيلع هللا ىلص

      k baad Sabse behtar Hazrat Abu Baqr Aur HazratUmar Radi Allaho Anhuma Azmain Hai Aur aage Farmaya MERI MUHABBAT AURSHAIKHEN KARIMAIN (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin k Dil Me Jama NahiHosakta” 

  • 8/17/2019 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib _ Wajid Malik

    13/13

    1/13/2016 Fazail O Manakib E Hazrat Ali Ibn Abu Talib | Wajid Malik

    Reference : (Imam Tabrani Al Maj’mau Ausat Vol : 03, Pg : 79, Hadees : 3920) Goya Hazrat

    Ali Ne Khud Farma Diya k Mujhse Muhabbat Dawa jhuta hai jab tak Shaiken Ki MuhabbatNa Ho. In Sha ALLAH Taala Next Post Is se related hogi

    isme Hazrat ALI KO MAULA KAHNA MUSHKIL KUSHA KAHNA Kaisa

    10/01/2016

    Fly to New Delhi

    View now

    FROM

    Rs.3,768

    https://wordpress.com/about-these-ads/https://info.criteo.com/privacy/informations?infonorm=3&partner=14295&campaignid=68506&zoneid=285337&bannerid=3387770&displayid=7ba2eaf301&uaCap=0https://cat.jp.as.criteo.com/delivery/ck.php?cppv=1&cpp=UD2G0XxtOXg0RWNBSkUwWWRZOFk3aXFoWnRYVTI0SVQ3MEpodUQwVHAzWkpyR2pUaERNZlVEbDJWbXdTUGJ1Q1ZEUG5ldDkvZzdKWGR4VmdRUzErQVpiWTV4UTV6SXMxdm1jd0x0SkNoWk80Q0oyeW5TeVNaZ0E5aVkwV1o2Z2k2blVRc1hieFR5bm1PVFd1bkNuZmlySUJGcEk4VVJWRlFVcUxyUzEwL3lWOG40ZU13UkxiVlZ2U3RWVGliNEQzNHYvVDViZ0llWTdmOVlRTVR6bGxvUmNIVjBXS2VPM0NFY3VIQTR4K0VBd21zZkZYRWVnRmwyTkp0enJYbHQ1T3piK1ZZblRlL1NHZDZkYWwwaU4zcm1CalNPNVBEL1FGYW5UTG51UDdYaUhNRVlkVjBQR0FkcldXS0N6ejlkT0xCcGN3MHw%3D&maxdest=http%3A%2F%2Fflights.makemytrip.com%2Fmakemytrip%2Fsearch%2FO%2FO%2FE%2F1%2F0%2F0%2FS%2FV0%2FBOM_DEL_10-01-2016%3Fcmp%3Ddisp_crit_rt_DF_300X250https://cat.jp.as.criteo.com/delivery/ck.php?cppv=1&cpp=7ldOVnxtOXg0RWNBSkUwWWRZOFk3aXFoWnRYVTI0SVQ3MEpodUQwVHAzWkpyR2pUaERNZlVEbDJWbXdTUGJ1Q1ZEUG5ldDkvZzdKWGR4VmdRUzErQVpiWTV4UTV6SXMxdm1jd0x0SkNoWk80Q0oyeW5TeVNaZ0E5aVkwV1o2Z2k2blVRc1hieFR5bm1PVFd1bkNuZmlySUJGcEpMdm1zaVZ3aElMOVFDWXlwNjVHZVhGb3lEYkluV2FMTFNFSS8yS2c2bUg5akpEck5Hc1Y4LytsVTZ0YTczaFUxZ3NYQmhBNUxXWnUxWStKUktuTzhDRjlGUjZSNU9iUWtEbXVFYXgzNXd0TUJYSEtHMElWZUhpbmppeWZmazJLdz09fA%3D%3D&maxdest=http%3A%2F%2Fwww.makemytrip.com%2Fflights%2F%3Fcmp%3Ddisp_crit_rt_DF_300X250