33
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Allah ka Darwaza Ghaib Haqeeqi Allah Tala ke paas hai . pas Tu Allah Tala se qurb haasil kar. Taake Tu un Cheezo ko dekh le jo iske paas hai . Apne Aihl o maal apne shehar aur apne biwi bacho se alehda ho ja aur unko apne Dil se nikaal de sab ko chor de aur Allah Tala ke darwaza par pohanch ja iske Ghulaamo aur Saltanat aur Mulk ki taraf mashgool na ho agar woh tere saamney tabaaq paish kare to us se na kha. Agar woh tujhe kisi hujre me tehraaye to is me na tehar . agar woh tera nikah karna chaye to na kar in me se Tu kisi cheez ko qabool na kar. Jab tak Tu apne safar ke kapro aur jootio aur ghubaar safar aur bhikre hue baalo ke saath Allah Tala se mulaqaat na kar le kisi ki taraf tawwaja na kar. Pas is halat par Allah Tala teri haalat badalne wala , tujhe khushi dene wala , teri thakaan ko rahat se badalne wala aur tere khof ko aman se badalne wala hojaaye ga . is ka qurb tere liye ghana aur uska deedar tera khana peena aur tera libaas ban jaaye ga. Makhloooq se dosti rakhne ke kiya maani hai in se darna , in se umeede rakhna , inki taraf jhukna aur in par bharosa karna hai Makhlooq se dosti rakhne ka yehi matlab hai ke jis se mumanat ka hukum diya gaya hai .

Irshadaat aulia ikram

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Allah ka Darwaza

Ghaib Haqeeqi Allah Tala ke paas hai . pas Tu Allah Tala se qurb haasil kar. Taake Tu un Cheezo ko dekh le jo iske paas hai . Apne Aihl o maal apne shehar aur apne biwi bacho se alehda ho ja aur unko apne Dil se nikaal de sab ko chor de aur Allah Tala ke darwaza par pohanch ja iske Ghulaamo aur Saltanat aur Mulk ki taraf mashgool na ho agar woh tere saamney tabaaq paish kare to us se na kha. Agar woh tujhe kisi hujre me tehraaye to is me na tehar . agar woh tera nikah karna chaye to na kar in me se Tu kisi cheez ko qabool na kar. Jab tak Tu apne safar ke kapro aur jootio aur ghubaar safar aur bhikre hue baalo ke saath Allah Tala se mulaqaat na kar le kisi ki taraf tawwaja na kar. Pas is halat par Allah Tala teri haalat badalne wala , tujhe khushi dene wala , teri thakaan ko rahat se badalne wala aur tere khof ko aman se badalne wala hojaaye ga . is ka qurb tere liye ghana aur uska deedar tera khana peena aur tera libaas ban jaaye ga. Makhloooq se dosti rakhne ke kiya maani hai in se darna , in se umeede rakhna , inki taraf jhukna aur in par bharosa karna hai Makhlooq se dosti rakhne ka yehi matlab hai ke jis se mumanat ka hukum diya gaya hai .

Page 2: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Talib ka Ikhlaas

Auliah Karam ne Duniya aur Akhrat aur Makhlooq ke relation ko baatil kardiya aur Allah Tala ki Zaat Paak se relation peda karliya . Tum apne khotey Darham pesh na karo kionke parakhne wala bara hoshiyaar hai who bagher kasoti par parkhey tum se na le ga . Jo khot tumhaare paas hai tum is ko phenk do aur usko koi cheez bhi na samjho . Tum se wohi maal liya jaaye ga jo bhatti me daakhil ho kar mail kuchail se saaf hojaaye ga. Pas tum yeh khayaal na karo ke mamla asaan hai . Tum me se aksar ikhlaas ka dawa karte hai magar hotey munaafiq hai . Agar imtihaan ka mamla na hota to boht Log daawe daar ban jaatey . Jo Shaksh burdbaari ka muddayi hoga ham ghussa dila kar uska imtihaan lenge aur jo Shaksh sakhawat ka muddayi hoga ham maang maang kar uska imtihaan lenge aur har who shakhs jo kisi cheez ka dawa kare me uska iski zidd se imtihaan leta hoo. Tum apne hawwis ko chor do aur apni tamam haalto me taqwa akhtiyaar karo . Rab Tala ki Zaat inhi ke liye hai jo taqwa akhtiyaar kartey hai .

Page 3: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Shirk:

“Tu Zahir o Batin se Shirk ko chor de aur Parhez gaaro me se hoja . Buto ki pooja Zaahiri Shirk hai aur makhlooq par aitimaad karna unko nafa aur nuqsaan ka maalik samjhna baatni shirk hai. Shaazo o Naadir hi duniya me who Log bhi hai ke jin ke haath duniya hoti hai aur woh is se mohabbat nahi karte who duniya ke maalik hotey hai aur duniya inki maalik nahi hoti . Duniya in se mohabbat karti hai lekin woh Duniya se mohabbat nahi karte . Duniya inke peechey dorti hai aur who duniya ke peechye nehai dortey . who Duniya ko khaadim bana dete hai . Duniya inko khidmat gaar nahi banati . Woh duniya se judaayi karte hai lekin duniya in se juda nahi hoti , unho ne apne dilo ko Allah Tala ke liye durust kar liya hai aur duniya inke fasaad karne par qudrat nahi rakhti. woh Duniya me tassarruf kartey hai aur duniya in me tassaruf nahi karti . Tum Duniya ko sirf makhlooq ko nafa pohnchaney ke liye apne haatho me aur isko apne dil se nikaal do phir woh yaqeenaan tumhe koi nuqsaan na pohncha sake gi aur na iski naimat aur zeenat tumhe dhoka de sake gi . Pas anqareeb tum bhi duniya se chale jaaoge aur who bhi tumhaare baad fana ho jaaye gi.”

Page 4: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Nafs ki Islah :

Ae Allah ke bande ! apne Imaan ki kamzori ke waqt sirf apne Nafs ki islah me mashghool reh Dusro ki fikar na kar. Tere zimma tere aihl aur parosi aur tere shehar aur tere mulk waalo ki islah ka haq nahi. Haa albata jab tera Imaan qawi hojaye tab apne Aihl o Ayaal ki islah ki taraf tawwaja kar. Iske baad aam makhlooq ki taraf nikal . makhlooq ki taraf is waqt tawwaja ho jabke taqwa ki zareh pehn le aur apne Dil ke sar par emaan ka kood aur apne Haatho me Toheed ki Talwaar aur apne Tarkash me qabooliat dua ke teer le le aur Tofiq ke tez raftaar Ghorey par sawaar ho jaye aur bhaag dor aur talwar zani aur Teer andaazi seekh le iske baad Allah Tala ke dushmano par hamla kar . Pas is waqt Nusrat aur madad Khudawandi tere 6 jaanibo se aayi gi aur tu Makhlooq ko Shaitaan Laeen ke haatho se churaa le ga aur unko Astaana e Khudawandi tak pohnchaa de ga aur unko jannat ke amaal ki targheeb de ga aur Aihl e Dozakh ke amaal se daraaey ga aur aisa kioo na ho ke tu Jannat o Jahannum ko pehchaan chuka hai aur in dono ke amaal se agaah ho chuka hai . jo Shaksh is maqaam par pohanch jata hai is ki dil ki Aankho se parde door kardiye jataey hai . yeh 6 jaanibo me jidhar tawajja karta hai apni nazar ko is ke paar pohncha deta hai aur koi Cheez is se hijaab me nahi rehti aur apne dil ke sar ko utha kar Arsh o Asmaan sab dekh leta hai aur sar ko neechey jhukata hai to tamam Zameen ke Tabqaat aur inke rehne waalo ko dekh leta hai . in sab amoor ka sabab Imaan aur Marfat e Khudawandi hai. Jis ke saath Ilam o Hikmat dono ho . jab tu is maqaam par pohanch jaaye ga pas us waqt Makhlooq ko Astaaana e Khudawandi ki taraf dawat de is se pehle tujh se kuch na hoga . jab tu makhlooq ko dawat de ga aur bulaaye ga aur khud Darwaza e Khudawandi par na hoga to yeh tera dawat dena aur bulana ulta tujh par wabaal hoga jab tu harkat kare ga gir jaaye ga , jab tu bulandi chaye ga past hoga . tujhey Salaheen ke halaat ki kuch khabar nahi hai tu mehaz zabaan daraaz aur Qalb ke khayaali zabaan hai . tu bagher baatin ke zaahir aur bagher khalwat ke jalwat aur bagher quwwat ke bahdur bana hua hai . Teri Talwaar Lakri ki hai aur tera Teer Gandhak ka hai tu bagher

Page 5: Irshadaat aulia ikram

shujaat ke bara Bahdur bana hua hai halka sa teer tujhe qatal karde ga aur aik chota sa macchhar tujh par Qaymat qaaim karde ga.

Page 6: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Faqeer ka martaba:

Har Sukhan Faqeer ka man janib Hazoor aur har Tawwaja Faqeer ki sara sar Noor aur Wajood Faqeer ka Maghfoor aur Qalb uska Bait ul Mamoor aur Rooh Faqeer ki ba farhat shoq o masroor hoti hai. Batin Faqeer ka daaim qaaim dawaam e hayat aur uska martaba Fana fi ALLAH Zaat hai. is kisam ka martaba Faqeer ko ba rafaqat HAZRAT SARWARE KAINAAT ( p.b.u.h ) hasil hota hai. yeh hai baatni mairaaj aur martaba e mairaaj Quran se haasil hota hai . jis shaksh ko bagher Talawat e Quran urooj aur mairaaj haasil ho woh na mairaaj hai balke istidraaj hai. Aqal Bedar

Page 7: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Inssani Wajood

"Ae Adam A.s ke bete sun ! ke Insaani Wajood Napaak aur paleed kapre ki taarh Aloodah hai aur Ism Allah Paani ki mannind hai aur Daimi Zikar Fikar Sabun ki tarah aur Murshid Dhone wale aur rang karne wale ki tarah. jab Talib par ism Allah Zaat ki taseer hoti hai aur Marifat ke rang se uski yak rangi Badaraja kamal pohanch jati hai aur Dooyi uske wajood se uth jati hai , to Muraqiba ke waqt jab woh sar se kadam tak Dil ki taraf Nigah karta hai, to Chashme Dil se dekhta hai ke uske tamam wajood me har har baal tale ism Allah Zaat Naqsh hai. uswaqt uske badan ka har aik baal , Gosht Post , Ragey , Hadiya , maghaz o Dil sab kuch ba manzila hojata hai, aur daro deewar , Shaher aur bazaar aur jo kuch Darakhto ke darmiyan Meve waghera hai , gharzeeka jis cheez ki taraf dekhta hai , use Ism Allah hi Zahir nazar ata hai. jidhar dekhta hai , jo kuch sunta hai ya kehta hai, Ism Allah hi Dekhta h, sunta , aur kehta hai. Kasrat e Shoq se sab daro deewar Aina ho gaye

Page 8: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Ism ALLAH Zaat ki kun:

Jo Faqeer Kamil Ism Allah Zaat ki kun ko janta hai. woh tassawur ki madad se Talib Allah ko aik lamhe me Bargah e Khudawandi me pohncha deta hai aur woh hamesha Gharq fi Toheed, anwwar e dawaaim aur Deedar Ellahi se Musharraf rehta hai. Jo Murshid Kaamil Jis kisi ko Tassawur Ism Allah Zaat Ki Talqeen se nawazta hai , Woh apne wajood ko Talib ke wajood se Fana Fi Shaikh karke Naim ul Badal ke tor par use apne martabe ke barabar kardeta hai.

Page 9: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Nigah e Mard e Momin:

Murshid Ki Nigah se Toheed haasil karna "Kaamil Qadri Murshid jab Taalib par aik nigah dalta hai to use Noor e Toheed mei gum kardeta hai aur iski dastgeeri karke ise majlis e Muhammadi me pohnacha deta hai "

Page 10: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A) Murshid Teen Tarah ke hotey hai:

MURSHID teen tarah ke hote hai . aik MURSHID adna kaamil, dom Mutawasit Mukammil, som ALA O AKMAL. MURSHID ADNA KAMIL mutwatir aik hafte Talib ko apni tawwaju me rakhta hai aur har roz new tawwaju se musharraf karke satwe roz talib ko manzil e maqsood par pohancha deta hai.yani musharraf deedar parwardigar aur hazoori Bazam AHMED MUKHTAR P.B.U.H bana deta hai. lekin murshid mutawasit aik shabanA roz yani ath 8 pehar mei talib ke kaam se farigh hojata hai. aur ise wasil BIALLAH aur dakhil Majlis Nabvi p.b.u.h banadeta hai. aur Murshid ALA AKMAL aik dam aur aik hi nigah se talib ko us mqam muntah tak pohancha deta hai. is ki misal yu samjhni chaye ke Murshid Talib ke reham e dil ke ander apna lateef noori nutfa dal deta hai jis se talib ka batni hamal tehar jata hai. so is norie batni hamal ke tehrane mei ALA MURSHID ko aik dam , Mutawasit ko ath 8 pehar aur adna ko aik hafta yani saath roz darkaar hote hai. bad woh lateef noorie Tifal manwi apne Muqarara waqt kam az kam aik saal ya bara 12 saal ya tees 30 saal ke arse me batan e batin se bahar ata hai. aur phir apne waqt par baaligh ho kar maqaam e talqeen o irshad par pohanchta hai. "Maqam Ishq mei sabit kadam wohi rehta hai jo Sahib e Istiqamat ho.

Page 11: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A) Fana fi Shaikh:

wazeh rahey ke Talib aur mureed me yeh saat cheezey hoti hai . 1.Aitiqaad 2.Yaqeen 3.Ikhlaas 4.Sidq 5.Aitibar 6.Talb 7.Mohabbat yeh saat cheeze Taalib ki koshish se haasil nahi hoti balke Murshid ki tawwaja aur kashish se is me peda hoti hai. jab Peer o Murshid ki ata se yeh saat cheeze Taalib ke wajood me jama hojati hai to uske wajood me Yaqeen ke sabab aik noorani soorat ajaati hai. jis ke waseele Peero o Mureed Taalib o Murshid ke darmiaan arz o marooz aur hukum aihkaam ka silsila shuru hojata hai. agar Taalib fana fi shaikh aur aur fana fil peer na hota . to Zahir o baatin me koi shakhs matlab o maqsad haasil na karsakta .

Page 12: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A) Toheed Fana fi ALLAH baqa bi ALLAH: Jo koi ism Allah Zaat me gum hojata hai uska Nafs Murda aur qalb zinda hojata hai aur uski Rooh is Nafsaani wajood ke bajaaye Qalbi Noorani wajood ko bator jisam ya Libaas akhtiyaar kar leti hai jis se baqa bi ALLAH ka mqaam aur daaimi hayaat naseeb hojati hai. Allah Tala ka irshad hai "aur ham ne in ke Quloob me (Noor) Emaan sabt kardiya hai aur isko ROOH se madad de di hai" (almajadla 22)

(Sulook e Sufia)

Page 13: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Shaitani Ilam: Shaitan ke paas aik makhsoos shaitnai ilam hai jis ke zaree is ne tamam jehan ko jakra aur Qed rakha hai . Hazaro mei se koi aik aadh Talib Shaitan ke panje se bach nikalta hai. Shaitan Jumla Asmaani Kutub Maslan Toreet, Injeel, Zaboor aur Quran Majeed ke uloom aur khaas kar ilam e hidayat se be behra aur be naseeb hai. Siwae Ulma Amleen aur Fuqra kamleen ya aihl e Allah Ghos o Qutub waghera Aihl e Takveen ke jumla Farzandan e Adam par Ghalib aur Qawi hai . Chunacha baaz Oliah Allah ko bhi Qurb e Hazoori se moo Mor kar apni Qed me le ata hai . woh shaitani Ilam kiya hai . woh Ilam Tama aur Hirs hai. Shaitan Insaan ke seene me Hirs aur Tama ki aag bharka kar is ke nafs ko nafarman aur be deen bana deta hai. so maloom hua ke Tama uar Hirs duniya ki Zaib o Zeenat aur Lazzat duniya Jumla Shaitnai Maal o mata hai . jo Shaksh Shaitan ke Maal o mata ko haath lagata hai Goya Shaitan ke haath par Qaol kawi aur aihd mosaq bandhta hai. Talib jab duniya se be niaz aur mustahgni hokar iska khayal dil se nikal dalta hai aisa Talib waqai Sidq e Dil se apne Mola ka Sacha Talb hojata hai aur dono Jehan se Ghani hokar Nafs Shaitan aur hawa par ghalib hojata hai Fuqra Ilm Tassarruf me aamil aur ilm Tassawwur me kaamil hai aur nez tamam jehan ko faiz bakhshne wale aur jumla Alam ke dastagir hai aur unki nazar me Duniya Faani, dolat napaidaar aur iska samaan haqeer hai.

Page 14: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Allah ka Talib: Aey Talib Jaan Lay Keh "Talib e Duniya Mukhannas(Heejra) Hay.Talib e Ukhraa Maanind e Aurat Hay.Mard Wohi Hay Jo Allah Say Allah Ko Talab Karta Hay....

Page 15: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Marfat ka Ghussal: "Talib murshid ke haath me aisa hota hai jese nehlane wale ke haath me Murda hota hai" "Ae Talib agar tu talib Saadiq hai to khud ko mere hiwale karde Murda ki tarah ban ja aur dam na maar Taake mai tujhe Marfat ka Ghussal de kar tamam Alaaisho se alag kardoo"

Page 16: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Chan Sultan (R.A)

Akwal e Zareen

1) ALLAH TALA ki yaad ke siwa jo kuch hai sab barbad aur faani hai.

2) Jis ke Dil me hawwis hoti hai usko kabhi araam naseeb nahi hota.

3) Buro se neko ko faiz pohanchey , yeh na mumkin hai.

4) Faqeer me tama , hirs , hawwis aur takkabbur nahi hotey.

5) Faqeer , Sarwar e Kainaat (p.b.u.h) ki ijazat aur hukum ke bagher koi kaam nahi karta .

6) Taalib e Mola ke liye farz ain hai ke Murshid kaamil se abdi Rah e Haq ki talaash kare.

7) Maal o Jins aur Ghar baar Rah e Khuda me de de. 8) Allah Tala ka qurb haasil karne ke liye qareeb

tareen raasta Logo ki dildaari karna hai. 9) Murshid Kaamil , Taalib ko aik nazar ke saath

manzil e maqsood tak pohancha deta hai. 10) Ae Taalib tu subah o shaam Murshid ke darwaza par jaa taake tery Deen o Duniya ke tamam mataalib haasil ho.

Page 17: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A) Yaqeen aur Talqeen: Yaqeen aur Talqeen Saalik ke liye har do laazim o malzoom hai . Yaqeen Saalik ke liye Ba manzila Noor e basarat aur aankho ki mannind hai aur talkeen Roshni ki tarah hai . Roshni ke bagher aankhe bekaar hai . aur andhe be basar ke liye Roz e Roshan bhi Shab (raat) hai . jis shakhsh ke ander Allah Tala ne Roz e azal se Noor e Yaqeen aur Tofiq hidayat bator wadiat nahi rakhi aise logo ke liye Auliah Allah ki talqeen to kiya peghambro ke moajze bhi kargar aur moassar sabit nahi hue. jesa ke Aboo Jehal aur Aboo Lehab waghera tamam umer Makka Mukarama me rahye . Quraan sunte rahey aur moajjze o ayaat dekhte rahey lekin choonke Noor e Yaqeen se mehroom aur azali andhey they . is liye dawat e Nabvi ke noor aur roshni se unhe kuch faida nahi hua. lekin baraks uske jin logo me Roz e azal se basarat yaqeen aur istidad hidayat mojood ho lekin peghambaro ki noor e dawat talekeen aur tawwaja na ho to inki woh istidad aur kabliat is tarh zaia ho jatai hai jis tarah takhum aur beech bagher paani zaia hojata hai. maslan arab ke ilake par agar aftaab e risalat na chamakta to yeh mumkin na tha ke arab ke jahil aur sarkash log Sahaba karam R.Z ban kar Asmaan e kamal aur oaj e Tarraqi par Darikhshinda sitaro ki tarah chamakte.

Page 18: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A) Ilam e Ludni Hazrat Faqeer Noor Muhammad R.A farmatey hai. Ilam Ludani aur ilam ghaib ki misaal Quraan Kareem ki Surah Kehaf ke ander Khizer A.S aur Moosa A.S ke wakey me mazkoor hai ke Moosa A.S ne Khizer A.s ki sohabat me rehne aur un se baatni Ilam Ludani seekhne ki istida ki . jo is shart par manzoor ki gayi ke Moosa A.s Khizer A.s ke kisi feal par aitriaz nahi karenge. Rafaqt me jab Hazrat Khizer A.s ne kishti me soraakh karke use mayoob kardiya . aur aik masoom bachey ko katal kar dala aur aik tooti hui deewar ko dubara bana dala .yeh teeno kaam bazahir Moosa A.S ko na makool aur namunasib nazar aye. woh aitriaz karte rahey . jis par khizer A.S ne in teeno kaam ki batni muslahete samjha kar inhe apni sohabat aur rafaqat se alehda kar diya. so Khizer A.s ko in kaamo ke anjaam aur ghaibi nateejye apne Khudadad Ilam Ludani aur Ghaibi ilam se maloom they. aur yeh uloom aaj tak Duniya me Allah Tala apne khaas khaas bando ko ata karta rehta hai. yeh silsila qayamt tak seena ba seena chalt rahega . Awaam Zahir been logo ka is ilam ke wajood par aitriaaz lazmi amar hai . kionke woh is ilam se bilkul be khabar aur na wakif hai. ham yah Khizer A.s ke teeno kaam ki batni taweel bayan karte hai. 1) awwal Murshid kaamil baaz talibo ko is tarah Allah Tala ki taraf latey hai ke uske tan ki kashti ko is tarah mayoob kar detet hai ke woh duniya ke kaam ka nahi rehta aur har sakhs use duniyawi karobaar me na aihl samjh kar apne kaam me shareek nahi karna chata is

Page 19: Irshadaat aulia ikram

liye woh chaar o nachaar duniyawi Sultan yani Shaitan ki begaar se choot jata hai . 2). Shaikh Kaamil Talib ke tifal Maanwi yani Nafs ko taigh e tawaaja Ism Allah Zaat se katal kar dalta hai . taake kalb aur arwah ko jo ke tifal(baccha) nafs ke liye ba manzila walden(parents) ke hotey hai Nafs ke akhlaq e zamema se aziat aur takleef na pohanchey 3)Shaikh Talib Mubtadi ke ganj Kashf o karamat ko chupaney ke liye is par ainda salook ki aik mazboot deewar kahari kardeta hai . taaake jis waqt Talib kaamil salik hokar Batin me Had baloghat aur inthiyae maksood ko pohanch jaye . aur ganj kashf o karamat ko sanbhalne ke kaabil ban jaye to us waqt woh use haasil karle warna kamaal e salook se pehle agar Talib ka batni Khazana Makshoof hojaye to woh kashf o karmat ki waja se Rujooat e Khalq mei griftaar ho jata hai aur us ka batni khazana Lut jata hai.

Page 20: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)

Ilam Zaahiri: Ilm Zahiri se Nafs e Ammara har giz maghloob nahi hota aur na hi marta hai balke ziada sarkash aur maghroor aur mota taza hojata hai. jab tak Rah e Salook me Salik Nafs se khalasi aur nijaat haasil na kare Allah Tala se har giz wasil nahi hosakta kionke khuda aur khudi akhatte nahi hosakte. Hazrat Bayazeed Bustami R.A ne Allah Tala se sawal kiya ke "tere wasal ka ko konsa rasta hai?" jawab aya ke "ke nafs ko chor kar aa ja wasil hojayega." Khudi ke mitane me Khuda milta hai. isi waste Kalma Tayyab me pehle nafi yaani LA ILAHA ILLALLAH hai jis se tamam Afaaq aur anfaas ke ghair maboodo aur maqsoodo ki nafi aur fana matloob hai. anfaas me sab se bara sanam e akbar insaan ka apna nafs aur uski hawa(khwaish) hai. jesa ke Allah Tala Farmatey hai " aya tu ne nahi dekha us shakhs ko jis ne apni khwaish e nafsani ko apna mabood banaya" jo shash Allah Tala ki Rah me apne aapko mita deta hai Allah Tala use apne Noor se abadi Zindagi aur daimi baqa bakhsh deta hai " jo shaksh Allah Tala ki rah me koi cheez talaf aur zaia kardeta hai Allah Tala par uska awez aur haq Laazim ajata hai aur woh zaroor iska mawaza ata farmata hai"

Page 21: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)

Shaitan ka chakkar : Jis waqt saalik zikar o fikar ataat ya ibadat ya tassawur Ism Allah Zaat ki riazat shuru karta hai . aur iske zaree manazil salook aur darajaat tey karta hai to shaitan baatin me Arsh o kursi aur behshat o hoor o kasoor tayyar karke saalik ke samney lata hai aur saalik ghalti se inhe asali maqamaat samajh kar is se khush waqt ho jata hai . to shaitaan use kehta hai ke bas ab tera inthiyai makam aur manzil maksood yehi hai aur tu martaba yaqeen ko pohanch gaya aur Allah Tala ka farman hai ke " tu apne Rab ki ibadat kar yah tak ke tu martaba yaqeen ko pohanch jaye" aur shaitaan kheta hai ab tujh par zahiri ibadat namaaz Roza waghera sab takkaluffat sharaee maaf hai. gharz jab woh aihkaam sharaee se rogardan hojata hai to shaitaan ki qed me ajata hai. shaitaan use khwaab ya muraqbe me apne shaitaani makamaat ki ter ser kara kar khush rakhta hai aur jab kabhi koi sharaee aihkaam maslan namaaz Roza ki taraf rujoo karta hai to woh tere ser shaitaani band honey lagte hai . lehaza woh bilkul sharaee aihkaam ka tarik hojata hai aur usi ko faqeeri aur buzurugi samjh kar us par moat tak kaaim rehta hai . aisa Faqeer apne gumrah cheele chanto ko bhi isi tarah istidraaj ki talkeen aur irshaad karta hai . hatta ke aik achi khaasi shaitani dukaan kaaim hojati hai . is faqeer ne is tarah ke kai gumrah faqeer aur un ke baatil firqe dekhe hai aur un ke istdiraaj maloom kiye hai. agar Talib is shaitaani ter sair ke waqt baatin me Durood Shareef ya kalma Tamjeed aur kalma Lahol Parhey to yeh shaitaani mamla aur Nazara foran darham bharam ho jata hai . lekin baaz kamozr saalik awwal to kalma tayyab Durood Shareef aur kalma Tamjeed nahi parh sakte agar parhne ki koshish kare to gala band hojata hai. us waqt zaban e dil se agar yeh kalamat tayyabat nikle to shaitaan baazi haar kar bhaag jata hai warna gardan par swaar rehta hai.

Page 22: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT FAQEER NOOR MUHAMMAD (R.A)

Taqdeer ka masla: "Buzargan e Deen likhtey hai ke taqdeer do kisam ki hai , aik Taqdeer Mutaliq jo kisi tarah nahi badalti . Taqdeer Mutaliq ke liye Zahir o Batin me koi soorat yah koi sabab tabdeel ke imkaan ka nahi chora jata. dusri Taqdeer Muallaq jo agarcha amar e Ellahi ho chuka hota hai aur Lohe Mehfooz par ijra ke liye sabt ho jata hai lekin Ilam ki Ghaalib aur Qahir Qudrat iske mitane par parda e Ghaib me mamoor hoti hai. kionke ilam se amar badal jata hai . lekin ilam amar se nahi badalta . jesa ke paani dhalwan ki taraf behta hai lekin ilam e fawaare aur pump (motor) use ooper ki jaanib le jata hai . Buzurgaan e Deen ne is ki yun tamseel likhi hai ke tarjuma "jo kuch duniya me honey wala tha qalam ne loohe mehfooz par likh dala aur woh likhaai se faarigh ho kar khushk ho gayi hai" yeh apni jaga sahi hai lekin qalam ne jab Looh e mehfooz par jumla muqaddarat e aalim tehreer kar diye to is qalm par kuch sihaai baaqi reh gai thi . ALLAH TALA ne woh baqaya sihaayi Anbia aur Auliah Allah ki zaban par mal di . aur is tarah qalam ko khushk kar diya gaya. is liye aya hai! tarjuma "Fuqra ki zaban ALLAH TALA ki qudrat ki talwaar hai " is liye Anbia aur Auliah Allah ka farma ALLAH TALA ke farman kun ki shaan se numaya hota hai. isrshad e BARI TALA hai "mera Nabi apni hawa aur khwaish se nahi bolta balke iska kalam sara sar wahi aur ilqa e Elahi hota hai " jesa ke Hakoomat waktan wa fawaktan zaroorat ke liye apne Qanoon ke barkhilaaf ordinance jaari karti hai is tarah ANBIA aur AULIAH ALLAH me se baaz Taqdeer muallaq ko badalne ke mujaaz hotey hai .

Page 23: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Allah ki Zaat par nazool e Taqdeer ke waqt aitiraaz karna Deen ki moat hai: Allah ki Zaat par bande ka aitiraaz karna jo ke Izaat o Jalal wala hai Nazool Taqdeer ke waqt Deen aur Toheed ki moat hai aur tawwakal o ikhlaas ki moat hai aur Yaqeen aur Rooh ki moat hai . Momin banda Choo Chara ko nahi janta balke woh sirf haa kehta hai aur sar ko jhukata hai woh nafs se jehad karta hai. yah tak ke nafs ka shar khatam hojaaaey nafs to bilkul shar hi shar hai . jab isko mujahida aur mushaqqat me dala jaaye ga aur uski mukhalfat ki jaaye gi to Mutmain ban jaayega aur khair hi khair wala ho jaayega aur tamam ibadato ke baja laane aur tamam gunaaho ko chor dene me mawafqat karne lagta hai pas is waqt kah jata hai ke. "Ae itminaan waali jaan ' apne Rab ki taraf wapis ho" (Surah fajar)

Page 24: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Wilayat aur Azmaaish: Bagher Azmaaish ke koi chara nahi khusoosan daawa karne walo ke liye agar azmaaish ka mamla na hota to Makhlooq me boht se Log wilayat ke muddayi hotey is liye ke Aik Buzrug (R.A) ne farmaya ke: "Wilayat par bala aur azmaaish ko mussallat kiya gaya hai taake har shaksh wilyaat ka dawa na kare aur mujmila Wali ki alamaat me se aik ilamaat yeh bhi hai ke makhlooq ki aziat par sabar akhtiyaar kare aur in se darguzar kare." Auliah Karam Makhlooq me jo kuch halaat dekhtey hai is se andhey aur jo kuch in se suntey hai is se behre ban jaatey hai. Auliah karaam ne apni aabroow ko inke liye habba kar rakha hai . misal mashoor hai ke tera kisi cheez ko mehboob rakhna andha aur behra bana diya karta hai. Auliah Karam ne Allah Tala ko hi apna mehboob bana liya hai pas woh log Ghair Allah se Andhey aur behre ho gaye hai. Woh Makhlooq se khush ikhlaaqi aur narmi o madarat ke saath miltyey hai aur kabhi Allah Tala ki gherat ke sabab gahzab e Elahi ki mawfqat me makhlooq par ghussa bhi karte hai. Aulia karam Roohaani tabib hai unho ne har marz ki dawa ko pehchaan liya hai. aik Buzrug (r.a) se manqool hai ke " Tu makhlooq ke mutaliq Allah Tala ki mawafqat karo aur Allah Tala ke muttaliq makhlooq ki mawafqat na kar. Toot jaaye jise tootna hai aur jura rahey jise jura rehna hai Tu kisi ki parwa na kar." Tera Shaitan aur teri Khwaasih aur teri tabiat aur tere bure ham nasheen tamam ke tamam tere dushman hai tu in se bacha reh taake tujhe hilakat me na daal de. Tu ilam ko haasil kar taake Tu in se dushmani aur bachaao ka tareeqa seekh le iske baad tu yeh maloom kar sake ke Allah Tala ki ibadat kis tarah kartey hai aur tujhe kese Allah Tala ki ibadat karni chaaye . Jaahil Shaksh ki ibadat bargaah e Khudawandi me qabool nahi hoti.

Page 25: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Taqdeer ki mawafqat:

Ae Sahibzade! meri Taqdeer ke parnaale ke neechey sabar ka takkiya rakh kar mawafqat ka haar daal kar panah mangta hua kushadgi o rahat ke intizaar me so ja . Jab teri yeh halat ho jaye gi to Maalik e taqdeer tujh par apne fazal o aihsanaat ki aisi baarish barsaaye ga ke jis ki talab aur tammana tu achey tareeqe se na karsakta. Ae Meri Qaom ! Taqdeer ki mawafqat karo Allah Tala ki raza par raazi raho . aur Syed Abdul Qadir ki baat maano jo ke Taqdeer ki mawafqat me kosha hai. meri mawafqat hi mujh ko Malik Haqeeqi ki taraf aagey barha rahi hai. Ae Meri Qaom! Aao barho aur ham sab Allah Tala aur iski Taqdeer o feal ki taraf jhuke . aur Zahir aur Batin aur saro ko is ki tarf jhuka de. aur Taqdeer ki mawafqat kare aur is ke ham rakaab ban kar chale. kionke woh Badshah ki taraf se Qaasid hai pas taqdeer ki izzat o buzurgi iske bhejne wale ki taraf se hai. jab ham is ke saath aisa bartaao karenge to woh hame apne hamrah Badshah Haqeeqi tak le jaaye gi . is jaga haqeeqi wilyat o saltatnt Allah hi ke liye hai. Tu is ke daraye ilam se seraab ho. aur iske khwaan fazal se khana aur iski sohbat se uns haasil karna aur iski rehmat me chup jana Mubarak aur khushgawar hoga aur yeh martaba o makaam Khandano aur Qabeelo ke laakho insaano me kisi kisi ko hi naseeb hota hai.

Page 26: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Dil Ki zindagi : Allah Tala ke aihkaam par amal karna aur uski mana karda baato se baaz rehna Balao par sabar karna qaza o qadar ke saamney sar jhuka dena dil ki zindagi hai. Muqaddar : Jo teri kismat me likha hua hai aur jo nahi likha hua isko talab karna chor de . is liye jo tera muqaddar ho usko talab karna aur musshaqqat me parna bekaar hai aur jo tera muqaddar nahi iski talab azaab aur ruswaai hai is liye ke Nabi Kareem (p.b.u.h) ne farmaya . “bande ka asii cheez talab karna jo iski kismat me nahi liki gayi yeh bhi Allah ka azaab hai.”

Page 27: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Allah Makhlooqat ka tadbeer karne wala hai: Allah ke bande Tu Allah Tala se apne Nafs apne Aih o maal o Zamana ke baarey me jhagra na kar.Kiya Tujhe Sharam nahi aati ke Tu Allah Tala par hukum chalata hai ke iski halat ko badal de. kiya Tu is se bara Haakim aur ziada ilam wala aur ziada rehmat wala hai. Tu khud bhi aur tamam makhlooq uske bande hai aur Allah Tala tera aur tamam makhlooqat ka tadbeer karne wala hai. agar Tu Duniya aur Akhrat me iske saath rehna chata hai to chup hoja , khamosh aur goonga ban ja. Auliah Karam iske saamney adab karne wale hai aur na woh koi iske saamney kisi kisam ki harkat kartey hai aur na hi koi iqdaam uthatey hai. aur jab tak inke dilo ko Allah Tala ki taraf se ijzat na mile woh kisi mubah cheez ko na khatey hai aur na koi cheez peetey hai. aur na hi nikah kartey hai aur na apne asbab me kisi cheez ke ander tassarruf karte hai aur jab tak inke dilo ko Allah Tala ki taraf se sareeh ijazat nahi milti to woh qaaim hai aur Allah ke hazoor kharey rehtey hai jo ke dilo aur aankho ka lot pot karne wala hai aur inko Allah Tala ki Zaat ke bagher Qarar hi nahi ata aur Duniya me apne Dilo se Allah Tala se mulaqat kartey hai aur akhrat me apne ijsaam ke saath mulaqaat karenge. Dua. Tarjuma "Ae Allah hame Duniya aur Akhrat me apni Mulaqaat Naseeb farma aur apne Qurb aur Deedar Paak se lazzat ata farma. aur un Logo se farmade jo tere ma siwa chor kar tujh se raazi hotey hai aur hame Duniya me bhi bhalaayi de aur hame akhrat me bhalaayi de aur hame dozakh ke azaab se bacha."

Page 28: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Makhlooq Ya Khaliq ka Banda: Ae Allah ke bande ! Yah Makhlooq aur Khaliq ke siwa aur koi nahi. Agar Tu Khaliq ke saath rah to uska banda hai. Agar Tu Makhlooq ke saath rah to bas Tu makhlooq ka banda hai, aur tere kalam ka koi faida nahi ke jab tak tu apne Dil ke aitibaar se medaano aur janglo ko qata na kare aur ba hesiat baatin har cheez ko na chor de is waqt tak tu qaabil aitibaar aur qabool nahi. Kiya tu nahi janta ke Allah Tala ka talib iski rafaqat akhtiyaar karta hai aur har chez ko turk kar deta hai . aur yeh yaqeeni baat hai ke Makhlooqat me se har cheez iske aur Allah Tala ke darmiyan aik parda hai aur who jis cheez ke saath bhi thehre ga who iske liye Allah Tala se hijaab ka baasi hogi.

Page 29: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Hijab e be Niaz: Bande aur Parwardigaar ke darmiyan niaz ka parda hai. Aur is aihwal aur wardaat se agar koi ana chaye to iske liye darwaza khula aur agar koi na aaye to Allah Tala is se be niaz hai.”

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Wasil aur Aarif: Poore Yaqeen ke saath yeh jaan lena chaye ke Rab Kareem har haal me be misal aur be misaal hai. aur who Rab ul Qudrat fil inaam “al hayyu al qayyum” aur Ahad hai. woh gher makhlooq heyyat(shakal) aur soorat me hai lekin Allah ki who surat khwaab ya muraqbe ki kefiat aur haalat me Rooyat me aati hai who Rooyat mehboob ke dekhne se hai. agar banda jaagta hai to hoshiyaar ho aur Noor Toheed se iske wajood me aisi garmi aur hiddat peda ho kar mar jaaye. Lekin is haalat me bhi iski zabaan par mehar khaamoshi hi rahe aur phir agar din raat sar ba sajood rahe shariat ka libaas zeb e tan rakhe aur jehad aur koshish me rahy aur be misaal soorat me qaaim rehne se dastbardaar ho to ise phir mushaida hazoori ki is qadar naimat milti hai ke is ka had o shumaar mushkil hota hai wohi asal me waasil aur aarif hota hai yeh maratib aur azmatey ism Zaati haazraat aur kalma ki barkat o rehmat ke aijaaz aur kirishmat hai aur kalma tayyab ka asar aijaaz barkat aur tareeqa sab tehqeeq ke darja par hai.

Page 30: Irshadaat aulia ikram

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Marfat e Elahi: Marfat e Ellahi aur maqam fana fi Allah yeh hai ke jo aik baal barabar bhi marfat e Elahi ko dekh leta hai iski sarshaari me woh is qadar makhmoor hota hai ke who kisi se iska bayan bhi nahi karta. Jahilo ke saamney who goonga aur behra ho jata hai. is sarshaari me woh josh o kharosh me nahi ata aur laaf zani se kabhi kaam nahi leta. Aise Sahib e Dil Logo ka shewa yeh ho jata hai ke “who jah tak mumkin hota hai apne aapko apni bisaat bhar koshish chupaaye hi rehte hai . Yeh Arif aur marfat ke maqaam par mutmakin Log Namood o Numaaish aur izhaar o charcha ko kab pasand karte hai.

Page 31: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Sultan Ul Arfeen Sultan Bahu (R.A)

Majlis e Muhammadi (p.b.u.h) Majlis e Muhammadi (p.b.u.h) me Hazoori paane wale hama waqt ism e Zaat par nazar rakhtey hai . Hazoori ke Bais aise Logo ke liye kuch bhi amar muhaal nahi rehta . koi Mushkil Sadd e rah nahi banti balke har mushkil mehaz khayaal karne se hi khatam ho jaati hai. har tarah ka zaahir aur baatin in par ashkaar ho rah hai. Khayal me ajanaey wala amar bhi unke saamne ho kar rehta hai. Aihl e Hazoor ka dil sada Noor ke fikar me gharq rehta hai. yehi is ki pehchaan hai. Baatin wala Arif Bi Allah Hazoori hi me har waqt kefiat e istighraaq me hota hai . is par Allah ka zikar jaari rehta hai . Is ka Shoq e farwa ise hamesha khushi aur mussarrat se hamkinaar rakhta hai . iska ibtidaayi martaba Momin hota hai kionke Momnieen ka har martaba Momin hi hai.

Page 32: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A Zaahiri aur Batni Fiqqa: Ae Allah ke bande ! kiya tu ne nahi suna ke Fiqqa Haasil kar phir iske baad gosha nasheen ho ja. pehle zahiri Fiqqa hasil kar phir baatni Fiqqa ki taraf muttawaja ho ja. pehle zahir Fiqqa par amal kar yah tak ke yeh tujh ko Ilam e Batin ki taraf se jis se tu waqif nahi hai pohncha de. yeh Zaahiri ilam Zaahir ki Roshni hai . aur baatni Ilam Batin ki roshni hai. To yeh terey aur terey khaaliq ke darmiyaan aik noor hai. aur woh darwaza jo tere aur Rab Tala ke darmiyan hai isko wasee kar. aur is darwaze ke baazoo buland kar jo tujhe khaas banade.

Page 33: Irshadaat aulia ikram

Hazrat Sultan Ul Arfeen Sultan Bahu (R.A)

Zulumaat

Tassawuf ki Duniya me yah par zulumaat se murad Azal , Abad , aur Duniya aur Aqba(akhrat) hai . agarcha is zulumaat me aaab e hayaat bhi hai lekin Zaat e Haq ki marfat is se wara(door) hai . Arif to woh hota hai jo zulumat ke jhamelo aur lazaaiz ko turk karke marfat e Elaahi ki lazzat ka haamil ho jaaye.aur phir gharq e Toheed ho kar waasil rahey. Yeh maqam o martaba khwas ka hai jo marfat e Elahi ke noor ki roshni tak pohanch jaatey hai is maqam par in khwaas ke liye is se barh kar na koi lazzat hai aur na koi behtar cheez . who sarapa Allah Tala ki shinwaai ke saamney apna chehra liye hue haazir rehtey hai . aur who apne har tarah ke deeni aur duniyavi kaam aur amoor Allah hi ke supusrd kar detey hai . goya banda kehta hai (aur me apne tamam amoor Allah Tala hi ke supurd karta hoo . be shak Allah Kareem bando par behtreen muhafiz aur negehbaan hai.)