Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

Embed Size (px)

Citation preview

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    1/58

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    2/58

    Yeh Risalah Shaykh-e-Tariqat Ameer-e-Ahl-e-Sunn

    Dawat-e-Islami, Hazrat Allamah Maulana Abu Bilal M

    Ilyas Attar Qadiri Razavi ney tehreer fa

    Majlis-e-Tarajim ney is ko Roman-English main co

    hay. Agar is main koi kami-bayshi payain to Majlis-e-aagah kar key Sawab key haqdar baniye.

    Majlis Tarajim (Dawat-e-Islami)

    Alami Madani Markaz, Faizan-e-Madina, Mahalla

    Purani Sabzi Mandi, Baab-ul-Madina, Karachi, Pakis

    Contact #: +92-21-34921389 to 91

    [email protected]

    KhamoshShahzada

    at bani-e-

    uhammad

    maya hay,

    pose kiya

    arajim ko

    audagran,

    an

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    3/58

    ii

    % &'

    % &'

    KKiittaabb PPaarrhhnnee kkii DDuuaaDini Kitab ya Islami Sabak Parhney sey Pehley Zail mein di hoi

    Dua Parh Lijiye jo Kuch Parhengey yaad rahega.Dua ye hey

    Tarjama:

    Aey Allah hum par Ilm-o-hikmat key darwazey khol dey

    aur hum par apni rehmat nazil farma! Aey azmat aur buzurgi

    waley!(Al-Mustaraf, vol. 1, pp. 40)

    Note: Awwal akhir aik aik bar durood-e-pak parh lain.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    4/58

    iii

    FehristKhamosh Shahzada

    Durood Shareef Ki Fazilat ......................................................................... 1

    Khamoshi Men Aman Hai ........................................................................ 2

    Faltu Gup Shup Kay 4 Larza Khez Nuqsanat ......................................... 4

    Sab Say Zyada Nuqsn Deh Cheez ............................................................ 6

    Bhalai Ki Bat Karo Ya Chup Raho ........................................................... 6

    Agar jannat darkar hey to ..................................................................... 7

    Khamoshi Emaan Ki Alamati Ka Zarea Hai.......................................... 7

    Khamoshi Jahil Ka Parda Hai ................................................................... 8

    Khamoshi Ebadat Ki Chabi Hai .............................................................. 8

    Maal Ki Hifazat Aasan Magar Zaban .................................................. 8

    Bolnay Wala Bar-Ha Pachtata Hai........................................................... 9

    Ghar Aman Ka Gehwar Kesay Banay! .................................................. 11Sas Bahu Ka Jhagra Nimtanay Ki Madani Nuskha .............................. 11

    Zaban Ki Khidmat Mein Darkhast ........................................................ 12

    Achi Bat Karnay ki Fazilat....................................................................... 13

    Aqa Taweel Khamoshi Walay Tha ................................................ 13

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    5/58

    Fehrist

    iv

    Bolnay aur Chup Rehnay ki 2 Qismen .................................................. 14

    Fuhsh Bat ki Taref ................................................................................... 15

    Mounh Say Khon aur Pep Beh Raha Ho Ga ......................................... 16

    Jannat Haram hey..................................................................................... 17

    Saat (7th) Madani Phoolon Ka Farooqi Guldasta .............................. 17

    Aye Kash Aisa Ho Jaye ........................................................................ 18

    Aik Sahabi Kay Jannati Honay Ka Raaz ................................................ 19

    Fuzul Batoon Ki Misalen ......................................................................... 20

    Fuzul go Ka Jhutay Mubalgai sey Bachna Dushwar Hota hey.................... 22

    Kash Bolnay Say Qabl Zara Thahr Kar Tolnay ki Saadat Mil Jaye ....... 23

    Dehshat Gardiyon Kay Fuzul Tazkiray ................................................. 23Siddique-e-Akbar Munh Mein Pathar Rakh Letay..................... 2440 Baras Tak Khamoshi Ki Mashq ......................................................... 25

    Guftgu Likh Kar Muhasaba Karnay Walay Tabie Buzurg ..................... 26

    Bat Cheet Kay Muhasabay Ka Tareqa ................................................... 26

    Umar Bin Abd-ul-Aziz Phot Phot Kar Roey ........................................ 27

    Hikayat Ki Wazahat ................................................................................. 28

    Bat Ko Fuzuliyat Say Pak Karnay Ka Behtren Nuskha ....................... 29

    Be Waqof Be Sochai Bolta Hai ............................................................... 31

    Bolnay Say Pehlay Tolnay Ka Tareqa .................................................... 31

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    6/58

    Khamosh Shahzada

    v

    Chup Rahnay Ka Tareqa ......................................................................... 33

    Achai Andaz Per Pukar Kar Sawab Kamaiye ....................................... 34

    Khamoshi Ki Barakat Ki 3 Madani Baharen ........................................ 36

    Alaqay Mein Madani Mahol Bananay Mein Khamoshi Ka Kirdar ... 37

    Madani Kamon Keliye Madani Hathyar ............................................... 38

    Ghar Mein Madani Mahol Bananay Mein Khamoshi ka Kirdar ......... 39

    Ghar mein Madani Mahol Bananay key 19 Madani Phool .............. 40

    Miswak key 20 Madani Phool ................................................................ 45

    Hazaron Sunnaten Sekhnay keliye Maktab-tul-Madina ki Matbua 2

    Kutub ......................................................................................................... 49

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    7/58

    ' % &'

    % &

    KKhhaammoosshh SShhaahhzzaaddaa*

    Sheytan lakh susuti dilaey magar yeh risla mukammal parh

    lijye agar zaban ki ehtiyat ki adat na hoi to dil khof-e-khuda

    sey zindah honey ki surat mey ap ro parein gey

    Durood Shareef Ki Fazilat

    Rasool-e-Nazeer, Siraj-e-Muneer, Mahbob-e-Rabb-e-Qadeer( , , ka farman-e-dilpazeer hey: Zikr-e-Ilahi ki kasrat

    karna aur mujh par Durood-e-Pak parhna faqr (Tangdasti) ko

    dor karta hey. (Al Qawl-ul-badee, Safha. 273)

    * * / * Shehzadey ney yakayak chup sadh li. Badshah aur wuzara aur

    tamam darbari heran hain key is ko kia ho gaya hey jo bolta

    nahi! Sab ney koshish kar dekhi lekin shezada khamosh tha

    *Ya bayan Ameer-e-Ahl-e-Sunnat ney tableeg Quran-o-Sunnat ki Alamgeer

    gher siyasi tahriq Dawat-e-Islami ky Almi Madani Markaz Fazain-e-Madina key ander haftawar

    sunnaton bharey Ijtima (9 Jamadi-yul-Akhir 1432h/12-5-2011) mey farmya tha. Tarmem-o-Izafey

    key sath tehriran hazir-e-khidmat hey. Majlis Makataba-tul-Madina.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    8/58

    Khamosh Shahzada

    2

    khamosh hi raha. Khamoshi key bawajod shehzadey key

    mamolat mey koi farq nahi aya. Aik din khamosh shezada

    apney sathiyon key hamrah parindon ka shikar khelney chala.

    Kaman par teer charhaey aik ghanney darakht key nichey

    khara us mey parinda talash kar raha tha, itney mey darakht

    key paton key jhund key andar sey kisi parindey key bolney ki

    awaz aae, bas phir kia tha, us ney foran awaz ki samt ter chala

    dia aur dekhtay hi dekhtay aik paranda zakhmi ho kar gira aurtarapnay laga. Khamosh shezada be akhtiar bol utha: Paranda

    jab tak khamosh tha salamat raha magar boltay hi ter ka

    nishana ban gya aur afsos! Is key bolnay key sabab main bhi

    bol para!

    Chup rehnay men sow sukh hen tu tajriba kar lay

    Ay Bhai! Zaban par tu laga qufl e Madina(Wasail-e-Bakhshish Safha. 66)

    * * / *

    Khamoshi Men Aman Hai

    Methay Methay Islam Bhaio! Yeh man gharat hi sahi magar yehnaqabil-e-tarded haqiqat hey key batuni shakhsh dosron ko

    bolnay par majbor kar deta, apna aur deegar afrad ka waqt

    barbad karta, kai bar bol kar pachtata aur barha pareshani

    uthata hey, waqai insaan jab tak khamosh rehta hey bohat sari

    afaton se aman men rehta hey.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    9/58

    Khamosh Shahzada

    3

    Bahram aur ParandaKehtay hen: Bahram kisi darakhat key nechay betha tha, usay

    aik parindey ki awaz sunai di aur us ney usay mar giraya phir

    kenay laga: Zaban ki hifazat insaan aur parindey donu keliye

    mufeed hey agar yeh parinda apni zaban sanbhalta to halak na

    hota. (Mustatraf, jild. 1, Safha. 147)

    Khamoshi ki Fazilat Par Char 4 Faramen-e-Mustafa

    1. yani jo chup raha us ney najat pai.(Tirmizi jild. 4,Safha. 225 Hadis 2509)

    2. khamoshi akhlaq ki sardar hey.(Al-FirdosBi-Masor-il-Khattab jild. 2, Safha. 417 Hadis 3750)

    3. Khamoshi ala darjay ki ebadat hey.(Al-Firdos Bi-Masor-il-Khattab jild. 2, Safha. 417, Hadis 3749)

    4. Admi ka khamoshi par qaim rahna 60 sal ki ebadat sebehtar hey. (Shuab-ul-Emaan jild. 4, Safha. 250, Hadis 4953)

    60 Sal ki Ebadat se behtar ki wazahat

    Mufassir-e-shaher Hakem-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad

    Yar Khan chouthi (4th) hadees-e-pak key tehtfarmatay hen: yani agar koi shakhsh 60 sal ebadat karay magar

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    10/58

    Khamosh Shahzada

    4

    zyada batein bhi karay, achi buri baat men tamez na kray is se

    ye behtar hey key thori der khamosh rahey kyun key khamoshi

    men fikr bhi hoyi, islah-e-nafs bhi, maarif-o-haqaiq men

    istighraq bhi, zikr-e-khafi key samundar men ghota lagana bhi,

    muraqaba bhi. (Miraat-ul-manajih jild. 2, Safha. 361 Mukhtasaran)

    Faltu Gup Shup Kay 4 Larza Khez NuqsanatGup shup karnay waly baat ka batangar bananay walay, balke

    fuzul baat chunkey jaiz hey gunah nahen yeh soch kar ya wesay hi

    jo fuzul batein kertey hen woh fuzul batoon key mutaalliq Hujjat-

    ul-islam Hazrat-e-Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad Bin

    Muhammad Bin Muhammad Ghazali ( key taassuratmulahaza farmain aur apnay ap ko fuzul guftugu key in 4

    nuqsanat se darain.

    Ap ( ney in 4 wujuhat ki bina par fuzul guftugu semuzammat farmai: Fuzul batein kiraman katiben (Aamal

    likhnay walay buzurg firishton) ko likhni parti hen, Lihaza

    admi ko chahiye in se sharam karay aur inhen fuzul batein

    likhnay ki zahmat na day. Allah Para 26 Surah-e-Qaaf

    Ayah 18 men irshad Fermata hey:

    Koi baat woh zaban se nahi nikalta key us key pas aik muhafiz

    tayyar na betha ho.

    (Surah-e-Qaaf, Para 26, Ayat. 18) [Kanz-ul-mn ka Tarjama]

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    11/58

    Khamosh Shahzada

    5

    1. Yeh achi baat nahen key fuzul batoon se bhar por nama-e-Aamal Allah ki bargah men pesh ho.

    2. Allah key darbar men tamam makhloq key samnaybanday ko hukm ho ga key apna aamal nama parh kar

    sunao! Ab qiyamat ki khofnak sakhtyan is key samnay ho

    gi, insaan barhana ho ga, bhok pyas se qamar tot rahi ho

    gi, jannat men janay se rok dia gya ho ga aur har qism ki

    rahat us par band kar di gai ho gi, gor to kijiye aisay taklef

    deh halat men fuzul batoon se bhar por aamal nama parh

    kar sunana kis qadar pareshan kun ho ga! (Hisab lagaiye

    agar rozana sirf 15 minute bhi fuzul batein ki hen to aik

    mahinay key sarhai 7 ghantay hoye aur aik sal key 90

    ghantay, bil-farz agar ksi ney 50 sal tak 15 minute fuzul

    guftugu ki to 187 din 12 ghantay hoye yani 6 mah se zaid,

    to gor farmaye qiyamat ka holnak din jis men surah

    sawwa mel par aag barsa raha ho ga, aisi hosh ruba garmi

    men musalsal bila waqfa 6 mah tak kon aamal nama parh

    kar sunaye ga! Ye to sirf yaumia 15 minute ki fuzul goi ka

    hisab hey. Humaray to basa auqat kai kai ghantay doston

    key sath fuzul gup shup men guzar jatay hen, Gunahon

    bhari batein aur degar buraian mazeed baraan)

    3. Baroz-e-qiyamat banday ko fuzul batoon par malamat kijaye gi aur sharminda kia jaye ga. Banday key pas is ka koi

    jawaab na ho ga aur woh Allah key samnay sharm-o-

    nadamat se pani pani ho jaye ga. (Minhaj-ul-Abiden Safha. 67)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    12/58

    Khamosh Shahzada

    6

    Har lafz ka kis tareh hisab ah! Main don ga

    Allah zaban ka ho atta Qufl-e-Madina

    (Wasail-e-Bakhshish Safha. 66)

    * * / *

    Sab Sey Zyada Nuqsn Deh Cheez

    Hazrat-e-Sayyiduna Sufyan Bin Abdullah 6 farmatayhen 1 bar main ney bar gah-e-risalat men arz ki: Ya Rasol Allah

    ( , ap meray liye sab se zyada khatarnak aurnuqsan deh chez kisay qarar detay hen? To Sarkar-e-Madina

    ( , ney apni zaban-e-mubarak pakar kar irshadfarmaya: isay. (Sunan-e-Tirimizi jild. 4, Safha. 184, Hadis 2418)

    Bhalai Ki Bat Karo Ya Chup Raho

    Kash Bukhari shareef ki yeh Hadees-e-pak humaray zehn-o-

    damagh men rasikh ho jaye, jis men yeh bhi hey:

    Jo Allah aur roz-e-qiyamat par Emaan rakht hey usay chahye key achi baat kahai

    ya khamosh rahey.(Bukhari jild. 4, Safha. 105, Hadis 6018)

    Dawat-e-Islami key ishaati idaray Maktabat-ul-Madina ki

    matboa 217 safhat par mushtamil kitab, Allah Walon Ki

    Batein safha 91 par Ameer-ul-mominen, Hazrat-e-Sayyiduna

    Siddique-e-Akbar 6 farmatay hen: Us baat men koibhalai nahen jis se maqsod Allah ki khushnodi na ho.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    13/58

    Khamosh Shahzada

    7

    (Hilya-tul-aulya jild. 1, Safha. 71) Hazrat-e-Sayyiduna Imam Sufyan

    Sori ( ney farmaya: Ebadat ka awwal khamoshi hotihey, phir elm hasil karna, us key bad usay yad karna, phir us

    par amal karna aur phelana. (Tarekh-e-Baghdad jild. 6, Safha. 6)

    Agar jannat darkar hey to

    Hazrat-e-Sayyiduna Esa Rooh-Ullah , kikhidmat-e-ba azamat men loogon ney arz kia: Koi aisa amal

    bataiye jis se jannat milay. Irshad farmaya: kabhi bolo mat.

    Arz ki: Yeh to nahen ho sakta. Farmaya: achi baat key siwa

    zaban se kuch mat nikalo. (Ihya-ul-ulom jild. 3, Safha. 136)

    Aksar meray honton pe rahey zikr-e-madin

    Allah zaban ka ho ata qufl-e-madina(Wasail-e-bakhshish Safha. 66)

    * * / *

    Khamoshi Emaan Ki Alamati Ka Zarea Hai

    Jis bad naseeb ki zaban ki zaban qainchi ki tarah har kisi kibaat ko katti chali jati ho gi, woh dosray ki baat smajhnay se

    mehroom rahey ga bal key batoni keliye yeh bhi khatra rehta

    hey key bak bak kertey hoye zaban se kufryat nikaljaen. Chunacheh hujjat-ul-islam Hazrat-e-Sayyiduna Imam

    Abu Hamid Muhammad Bin Muhammad Bin Muhammad

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    14/58

    Khamosh Shahzada

    8

    Ghazali ( Ihya-ul-Ulom men baz buzurgon ka qowlnaqal kertey hoye farmatay hen: Khamosh rehnay walay

    shakhs men 2 khobiyan jama ho jati hen.

    1. Us ka den salamat rehta hey aur,2. Dosray ki baat achi trh smjh leta hey. (Ihya-ul-ulom jild. 3, Safha.

    137)

    Khamoshi Jahil Ka Parda Hai

    Hazrat-e-Sayyiduna Sufyan bin Ouyaina ( ney

    farmaya: Khamoshi alim ka waqaraur jahil ka parda hey. (Shuab-ul-Emaan jild. 7, P 76, Hadis 4701)

    Khamoshi Ebadat Ki Chabi Hai

    Hazrat-e-Sayyiduna Imam Sufyan sey marvi hey:Zyada khamoshi ebadat ki chabi hey. (As-Samt ma Mosoaa Ibn-e-

    Abi-id-Dunya jild. 7, Safha. 255, Hadis 436)

    Maal Ki Hifazat Aasan Magar ZabanHazrat-e-Sayyiduna Muhammad Bin Wasea neyHazrat-e-Sayyiduna Malik bin Denar se farmaya:Insaan keliye zaban ki hifazat maal ki hifazat se ziyada dushwar

    hey. (Itthafus-sadah lil-zubaidi jild. 9, Safha. 144)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    15/58

    Khamosh Shahzada

    9

    Afsos key apnay maal ki hifazat key muamlay men umoman

    har aik hoshyar hota hey, halanke maal zae ho bhi gya to sirf

    dunya ka nuqsan hey. Sad karor afsos! Zaban ki hifazat ki soch

    nehayat kam reh gai hey, yaqinan zaban ki hifazat na karnay

    key sabab dunya key sath sath akhrat ki barbadi ki bhi pura

    pura imkan hey.

    Bak bak ki yeh aadat na sar-e-hashr phansa dayAllah zaban ka ho ata qufl-e-madina

    (Wasail-e-Bakhshish Safha. 66)

    * * / * Bolnay Wala Bar-Ha Pachtata Hai

    Methay Methay Islam Bhaio! Yeh na qabil tarded haqiqat hey

    key khamosh rehnay mein nadamat ka imkan bohat kam hey

    jab key mowqa be mowqa bol parnay ki aadat se barha

    SORRY kena parta hey aur muafi mangni parti hey ya phir

    dil hi dil mein pachtawa hota hey key main yahan na bola hota

    to acha tha kyun key meray bolnay par samnay walay ki jhijhak

    ur gie, kharri kharri sun-ni pari, fulan, ka chehr autar gya,fulan ka dil dukha gya.

    Apna waqar bhi majruh hoa waghirah weaghera Hazrat-e-

    Sayyiduna Muhammad Bin Nazr Harisi se marwihey: zyada bolnay se waqar (dabdaba) jata rehta hey. (As-samt li-

    abid-duniyajild. 7, Safha.60, Hadis 25)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    16/58

    Khamosh Shahzada

    10

    Bol Kar Pachtanya Se Na Bol Kar Pachtana Acha

    Sach hey, Bol kar pachtanya se Na bol kar pachtana acha aur

    Ziyada kha kar pachtanay se kam kha kar pachtana acha key

    jo bolta rehta hey woh musibatun mein phansta rehta hey aur

    jo ziyada khanay ka adi hota hey woh apna meda tabah kar

    bethta, aksar motapay ka shikar ho jata hey. Aur tarah tarahki

    bemario n ki zad mein rehta hey agar jawani mein amraz se

    qadare bachat ho bhi gye to jawani dhalnay key bad basa auqat

    sarapa marz ban jata hey. Ziyada khanay key nuqsanat aur

    motapay key elaj waghirah jan-ney keliye Faizan-e-Sunnat jild.

    1 key Bab Pait Ka Qufl-e-Madina ka mutala farmaiye.

    Gonga Faiday Mein Rehta Hai

    Methay Methay Islam Bhaio! Dkha jaye to nabenba faiday meinrehta hey key gair aurtun ko ghurnay, amradun par lazzat bhari

    nigahen dalnay, filnen diramay dekhnay, kisi half pent walay

    key khuay ghutnay aur ranen dekhnay waghirah waghirah bad

    nighahion key gunahon se bacha rehta hey. Ameer-ul-Mominen

    Hazrat-e-Sayyiduna Abu Bakr Siddique 6 farmatayhain: kash main gonga hota magar zikr-ullah ki had tak goyaie

    (yani bolnay ki salahiyat) hasil hoti. (Mirqat-ul-mafateeh jild. 10,Safha. 87, Taht- ul-Hadis 5726)

    Ihya-ul-Ulum mein hey: Hazrat-e-Sayyiduna Abu Darda 6 ney aik zaban daraz aurat dekhi to farmaya: Agar yeh gongi

    hoti to is key haq mein behtar tha. (Ihya-ul-uloom jild. 3, Safha. 142)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    17/58

    Khamosh Shahzada

    11

    Ghar Aman Ka Gehwar Kesay Banay!

    Piyaray Aqa , ) Kay Methay Methay Sahabi keyirshad se khususan humari woh Islami behnen dars hasil karen

    jo har waqr lagie bujhie mein magan rehti hein aur idhar ki

    udhar udhar ki idhar laganay fursat nahen patien. Agar Islam

    behnen saheh manun mein apni par Qufl-e-Madina laga len

    toun ki gharelu pareshanian, rishatay daron se nachaqian aur sasbahu ki laraian waghirah bohut saray masail hal ho jaein aur

    saray ka sara khandan aman ka gehwara ban jaye kyun key

    ziyada tar jhagray zaban ki be ja istemal hi key sabab hotay hen.

    Sas Bahu Ka Jhagra Nimtanay Ki Madani Nuskha

    Sas agar dant dapat karti ho to Bahu ko chahiye key sirf aur sirfsabr karay, apni sas ko jawabn aik lafz bhi na kahai aur apnay

    shohar ko bhi shikayat na karay, apnay mekay mein bhi kuch na

    bataye balke munh bhi na charhaie, naiz apnay bachun ya

    bartanu waghirah par bhi ghussa na nikalay. kamyabi us key qadam chum lay gi. Kaha jata hey aik chup 100

    sukh Isi tarah agar koi bahu apni sas se jhagra karti ho to sas ko

    chahye key bilkul jawabi karwie na karay, sirf khamoshi hiikhtiyar karay ghar key kisi fard hatta key apnay betay ko bhi

    shikayat na karay. is kahawat: aik chup 100 sukhkey mutabiq sukh chain paye gi. Gi han agar sahih manu mein

    Sag-e-Madina key is Madani nuskhai par amal kia gaya to

    jald hi sas bahu ki larai khatam ho jaye gi aur

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    18/58

    Khamosh Shahzada

    12

    ghar aman ka gehwara ban jaye ga. Sas bahu key jhagrun key

    elaj keliye hikmat bharay madani pholun par mushtamil V.C.D

    Ghar Aman Ka Gehwara Kaisay Banay! Maktaba-Tul- Madina se

    hasil kijiye ya Dawat-e-Islami ki website: www.dawateislami.net

    mulahaza farmaiye. is V.C.D ki barkat se kie gharaman ka gehwara ban chukay hain!

    Hai dabdaba khamoshi mein haibat bhi hey pinhanAye! Bhai zabanpar tu laga Qufl-e-Madina

    (Wasail-e-Bakhshish Safha. 66)

    * * / *

    Zaban Ki Khidmat Mein Darkhast

    Methay Methay Islam Bhaio! Jab zaban sedhi rehe gi aur us se

    achi achi batun ka silsila ho ga to us ka faida sara hi jism utahye

    ga aur agar yeh terhi chali kisi ko jhirka, gali di, kisi ki be-izzati

    kar di, ghebat chughli kar di, jhut bola to basa auqat dunya mein

    bhi jism ki pitie ho jati hey.

    Humaray Methay Methay Piyaray Piyaray Aur Achai Aur

    Khush Akhlaq Aqa ( , ka farman-e-ba safa hey:Jab insaan subah karta hey to us key aaza jhuk kar zaban se

    ketay hain: humaray baray mein Allah se dar kyun key

    hum tujh se wabasta hain agar tu sedhi rahi to hum bhi sedhai

    rahen gay aur agar tau terhi ho gye to hum bhi terhay ho jayen

    gay. (Sunan Tarmzi jild. 4, Safha. 183, Hadis 2415)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    19/58

    Khamosh Shahzada

    13

    Ya Rabb na zrorat key siwa kabhi kuch bolon!

    Allah zaban ka ho ata Qufl-e-Madina

    (Wasail-e-Bakhshish Safha. 66)

    * * / *

    Achi Bat Karnay ki Fazilat

    Tajdar-e-Risalat, Malik-e-Kausr-o-Jannt ka Farman-e-Jannat

    Nishan Hai: Jannat mein aisay bala khanay hein jin ka bahar

    andar se aur andar bahar se dekha jata hey. Aik aarabi ney

    kharay ho kar arz ki: Ya Rasool Allah ( , yeh kiskeliye hain? Ap ( , ney irshad farmaya: Yeh us

    keliye hain jo achi guftgu karay, khana khilaye, mutawtir rozayrakhai, rat ko uth kar Allah keliye namaz parhai jab loog so

    rahey hoon. (Sunan Tirmizi, jild. 4, Safha. 237, Hadis 2535)

    Aqa Taweel Khamoshi Walay Tha

    *

    Yani Rasool Allah ( , taweel khamoshi walaythey. (Shara-us-Sunna lil Bagwi jild. 7, Safha. 45, Hadis 3579)

    Mufassir-e-Shaher Hakem-ul-Ummat Hazrat-e-Mufti Ahmad

    Yar Khan is Hadees-e-Pak key thet farmatay hain:Khamoshi se murad hey dunyawi kalam se khamoshi warna

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    20/58

    Khamosh Shahzada

    14

    Huzur-e-Aqdas ( , ki zaban shareef Allah keyzikr mein tar rehti thi, loogon se bila zarorat kalam nahen

    famatay they. Yeh zikr hey jaiz kalam ka, na jaiz kalam to umar

    bhar zaban shareef par aya hi nahen. Jhut, ghebat, chughli,

    waghirah sari umar shareef mein aik bar bhi zaban-e-mubarak

    par na aye. Huzur ( , sarapa-e-haq hain phir ap takbatil ki rasie kaisay ho. (Mirat-ul-Manajih jild. 8, Safha. 81)

    Bolnay aur Chup Rehnay ki 2 Qismen

    Farman-e-Mustafa ( , hey:

    Yani achi baat kena khamoshi se behtar aur kamosh rehna

    buri baat kenay se behtar hey. (Shuab-ul-Iman, Safha. 58, jild. 7,Hadis 4639)

    Hazrat-e-Sayyiduna Ali Bin Usman Hajweri Al-Marof Data

    Gunj Bukhsh ( Kashf-ul-Mahjob mein farmatayhain: Kalam (yani bolna) 2 tarah ka hota hey. Aik kalam-e-haq

    aur dusra batil, isi tarah khamoshi bhi 2 tarah ki hoti hey:

    Ba-maqsad (maslan fikr-e-akhrat ya shari ehkaam par gor-o-khaoz waghirah keliye) khamoshi (yani chup rehna).

    Gahflat bhari (ya ganday taswwurat ya dunayakey be-ja khaialat se bhar pur) khamoshi. Har shaks ko

    sukut (yani khamoshi) ki halat mein khub achi tarah gor

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    21/58

    Khamosh Shahzada

    15

    kar lena chahiye key agar us ka bolna haq hey to bolna us

    ki khamoshi se behtar hey aur agar us ka bolna batil hey to

    us ki khamoshi us key bolnay se behtar hey. Huzur Data

    Gunj Bukhsh ( guftugu key haq ya batil honaykey mutaalliq samjhany key liye aik naqal kertey hoye

    farmatay hain: Aik martaba Hazrat-e-Sayyiduna Abu Bakr

    Shibli Baghdadi Baghdad Shareef key aikMuhalay se ghuzartay hoye aik shakhs ko suna woh key

    raha tha: Yani khamoshi bolnay sebehtar hey. Ap ( ney usay farmaya: Teray bolnayse tera khamosh rehna acha hey aur mera bolna khamosh

    rehnay se behtar hey. (Mashf-ul-Mahjub Safha. 402)

    Fuhsh Bat ki Taref

    Kitnay khush naseeb hain woh Islam Bhai aur Islami behnen! Jo

    sirf achi guftgu key liye hi apni zaban ko harkat mein latay aur

    khub khub Naiki Ki Dawat loogon tak pahunchatay hain. Afsos!

    Aj kal loogon ki bohat kam bethaken aisi hoti hon gi jo fuhsh

    batoon se pak hon hatta key mazhabi waza qata key afrad bhi is

    se bach nahen patay. Shayed inhen yehi nahen pata hota key fuzul

    baat kisay ketay hain! To suniye: Fuhush baat ki taref yeh hey:

    Yani sharmnak umoor(maslan ganday aur buray muamalat) ka khulay alfaz mein

    tazkira karna. (Ihya-ul-Ulum jild. 3, Safha. 151) To woh naojawan jo

    shahwat ki tasken ki khatir khah makhah shadion ki khalwaton

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    22/58

    Khamosh Shahzada

    16

    aur parday mein rakhnay ki batoon key qissay chertay hain, naiz

    fuhsh yani be-hayai ki batein karnay walay balke sirf sun kar dil

    behlanay walay, gandi galiyan zaban par lanay walay, be-

    sharmana isharay karnay walay, in ganday isharon se lutf andoz

    honay walay, aur Gandi Lazzaton key husul ki khatir filmen

    daramen (key in mein umoman be-hayai ki bhar mar hoti hey)

    dekhnay walay aik dil hila denay wali riwayat bar bar parhen aur

    Khof-e-Khuda Wandi se larzen chunacheh.

    Mounh Say Khon aur Pep Beh Raha Ho Ga

    Manqol hey key char (4th) qism key jahannami key jo kholtay

    pani aur aag key ma bain (darmiyan) bhagtay phirtay wail o

    suboor (yani halakat) mangtay hon gay, in mein se aik woh

    shakhs key is key mounh se khon, pep beh raha ho ga,jahannami kahen gay: Is bad bakht ko kia hoa key hamari

    taklef mein izafa kiye deta hey? kaha jaye ga: Yeh bad bakht

    buri aur khabes(yani gandi) baat ki taraf mutawajjeh ho kar us

    se lazzat uthata tha jesa key jima ki batoon se. (Itaf-us-Sdat-liz-

    Zubayd, pp. 187, vol. 9) gair Auraton ya amradon key baray mein

    anay walay ganday waswason par tawajjuh jamanay, jan bojh

    kar buray khaialat mein khud ko gumanay aur , GandiHarakat key tasawwur key zariay lazzat uthanay walon kobayan karda riwayat se ebrat hasil karni chahiye.

    Na waswasay ayen na mujhy ganday khaialat

    Day zehn ka aur dil ka khuda qufl-e-madina

    (Wasail-e-bakhshish Safha. 66)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    23/58

    Khamosh Shahzada

    17

    Kuttay ki Shakal Wala

    Hazrat-e-Syyiduna Ibrahem Bin Maisara ( FarmatayHain: Fuhsh kalami (yani be hayai ki batein) karnay wala

    qayamat key din kuttay ki shakal mein aye ga.(Itaf-us-Sdat-liz-

    Zubayd, Safha. 190, jild. 9)

    Jannat Haram hey

    Huzur Tajdar-e-Madina, Qarar-e-Qalb-o-Sena, Shhib-e-Muattar

    Pasena ( , , ka Farman-e-Baqarena hey: us shakhspar jannat haram hey jo fuhush goi (yani be hayae ki baat) se

    kam leta hey. (Al-Sumth lil ibn-e-Abi-ul-dunya, jild 7, Sufahat 204, Hadis

    325)

    Saat (7th) Madani Phoolon Ka Farooqi Guldasta

    Ameer-ul-Mominen, Imam-ul-Adilen, Mutammim-ul-Arbaen,

    Hazrat-e-Sayyiduna Umar Farooq-e-Aazam 6 farmatayhey:

    Fuzul goi se bachnay walay ko hikmat-o-danaie ata ki jati hey. Fuzul nigahi (yani bila zarorat idhar udhar dekhnay se

    bachnay walay ko khushu-e-qalb (sukon-e-qalbi).

    Fuzul taam (yani dat kar khana ya beghair kisi bhok keysirf lazzat kiliye tarah tarah ki chezen khana) chornay

    walay ko ebadat mein lazzat di jati hey.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    24/58

    Khamosh Shahzada

    18

    Fuzul hansanay walay se bachnay walay ko robj-o-dabdabaenayat hota hey.

    Mazaq maskhari se bachnay walay ko nur-e-Eman naseebhota hey.

    Mazaq maskhari se bachnay walay ko nur-e-Eman naseebhota hey.

    Dunya ki mohabbat se bachnay walay ko aakhrat kimohabbat di jati hey.

    Dosron key aib dhondny se bachnay walay ko apnay aibonki islah ki tofique milti hey. (Makhuz az Al-Munabbit, Safha. 89)

    Aye Kash Aisa Ho Jaye

    Har Islam Bhai aur Behn har Madani maah key pehlay peer

    shareef ko is risalay key mutalay ka mamol bana lay ,apnay qalb mein hairat angaiz tabdeli mehsos farmaien gay.

    Madani inaam numbar 45 and 46 key mutabiq amal zaban ki

    hifazat ka behtreen zarea hey lihaza fuzul goi sey bachnay ki

    adat dalnay keliye zarori guftugu bhi kam sey kam lafazon

    mein nimtaye naiz kuch na kuch baat isharay sey aur likh

    karnay ki koshish kijiye aur fuzul baat munh sey nikal janay ki

    surat mein fauran aik (1th) ya teen (3th) bar Durood shareef

    parhnay ka mamol bana lijiye.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    25/58

    Khamosh Shahzada

    19

    Aik Sahabi Kay Jannati Honay Ka Raaz

    Humaray Methay Methay Aqa, Makki Madani Mustafa

    , ) Allah ki ata sey loogon ko dekh kar hipehchan letay they key jannati hey ya jahannami balke anay

    walay ki pehlay hi sey khabar ho jati key woh jannati hey ya

    dozakhi, chunacheh Allah key Mahbob, Dana-e-Ghuyub

    ( , ney irshad farmaya: jo shakhsh sa sey pehlay isdarwazay sey dakhil ho ga woh jannati ho ga. Itnay mein

    Hazrat-e-Sayyiduna Abdullah Bin Salam 6 darwazaysey dakhil hoye, loogon ney in ko mubarak bad detay hoye

    daryaft kiya key akhir kis amal key sabab ap ko yeh saadat

    mili? Sayyiduna Abd-Ullah Bin Salam 6 ney farmaya:Mera Amal thora hi hey aur jis ki main Allah sey ummed

    rakhta hon woh meray senay ki salamati aur be-maqsadbatoon ko chorna hey. (A-amt ma' Maws'a Ibn Abid-Duny, pp. 86,

    vol. 7, ad 111)

    Is Hadees-e-Pak key alfaz , Yani Sayenay ki Salamatisey murad dil ka laghwiyyat (yani be-huda) aur hasad waghirah

    amraz-e-batiniyya sey pak hona aur Emaan ka mazbot-o-

    mustahkam hona hey.Raftar ka guftar ka kirdar ka day day

    Har uzw ka day mujh ko Khuda Qufl-e-Madina

    (Wasail-e-bakhshish Safha. 66)

    * * / *

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    26/58

    Khamosh Shahzada

    20

    Fuzul Batoon Ki Misalen

    Methay Methay Islam Bhaio Fuzul Batein agar cheh gunah

    nahen ta-ham is mein koi bhalye bhi nahen !Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Salam 6 ko zaban-e-risalat sey dunya hi mein jannat ki basharat enaayat ho gye!

    Ap 6 mein aik khobi yeh bhi thi key kabhi fuzul

    batoon mein nahen partay they, jis kam sey wasita na hota uskam key baray mein puchtay tak nahen they, lekin afsos! Aj

    hamara muamalat sey dur ka bhi taalluq nahen hota phir bhi

    us key mutaalliq be-ja suwalat kertey rehtay hain. Masalan

    Yeh kitnay mein liya? Woh kitnay mein mila? Fulan jaga plot ka kia bhao chal raha hey? Kisi key makan mein gaye ya kisi ney naya makan liya to

    suwal hota hey: kitnay ka liya? Kitnay kamray hain?

    Karaya kitna hey? Malik-e-makan kaisa hey? (yeh suwal

    aksar ghebat-o-tohmat ka darwaza kholnay ka sabab ban

    jata hey. Kyun key is ka jawab umuman bila ijazat-e-shari

    kuch is tarah gunahon sey bhara milta hey: humara makanmalik bohat sakht mizaj/be-raham/ terha/ khochra/ khar

    damagh/ waira/ kanjus hey) waghirah waghirah.

    Kisi key makan mein gaye ya kisi ney naya makan liya tosuwal hota hey: kitnay ka liya? Kitnay kamray hain?

    Karaya kitna hey? Malik-e-makan kaisa hey? (yeh suwal

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    27/58

    Khamosh Shahzada

    21

    aksar ghebat-o-tohmat ka darwaza kholnay ka sabab ban

    jata hey. Kyun key is ka jawab umuman bila ijazat-e-shari

    kuch is tarah gunahon sey bhara milta hey: humara makan

    malik bohat sakht mizaj/be-rahm/ terha/ khochra/ khar

    damagh/ waira/ kanjus hey) waghirah waghirah.

    Isi tarah jab koi naie dukan, kar, ya skoter khareday to bilawaja kharednay walay sey is ka bhao, paidari, naqd, udhar,

    qiston waghirah sey mutaalliq suwalat kiye jatay hain.

    Bechara marez jis sey bola tak nahen jata hey us sey bhiIyadat karnay walay nadan jaisay Doctors key bhi doctor

    na hon yun pura pura hisab letay hain aur sab tafsilaat

    malomat kertey hain yahan tak key x-ray aur laboratoray

    ki karkardgi wusol kertey hain aur agar operation hoa ho

    to bila waja suwalat key zariye tankon ki tadad tak puch

    letay hain, hatta key sharam ki jaga ka mas-ala ho tab bhi

    baz be-sharm uska tafsayeli ehtisab kertey hoye nahen

    sharmatay. Is tarah ki fuzuliat mein bhi aurtein bhi

    mardon sey kisi tarah pechay nahen rehten.

    Garmi ya sardi key mausam mein is ki kami ziyadati keymoqa par bila hajat batein hoti hain maslan garmi key

    mausam mein baz abul-fuzol Uff! Uff kertey hoye kahen

    gay: aik to aj kal sakht garmi hey aur upar sey bijli bhi bar

    bar chali jati hey.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    28/58

    Khamosh Shahzada

    22

    Isi tarah sardion mein adakari key sath dant bajatay hoyekahen gay: aj to bohat karakay ki sardi hey.

    Agar barish ka mausam hey to bila zarorat is par bhitabsira kiya jata hey maslan aj kal to barishen bohat ho rahi

    hain, har taraf pani khara ho gaya hey, intizamiya, kechar

    saf karwanay ka koi khayal nahen karti waghirah

    waghirah.

    Isi tarah mulki aur sayyasi halat par bila niyyat-e-islah be-ja tabsiray, mukhtalif sayyasi partiyon per bila waja tanqeden.

    Kisi shehr ya mulk ka safar kiya hey to wahan key paharonaur sabza zaron ki ghair zarori manzar kushi, makanon aur

    sarkon ki tafsayelat ka bila zarorat bayan waghirah waghirah

    yeh sab fuzul goi nahen to aur kia hey? Albata yeh yad

    rahey key mazkura bala umoor key baray mein hum kisi

    ko batein karta paen to apnay ap ko bad gumani sey

    bachaen kyun key baz auqat zahiri dunyavi batein bhi achi

    niyyat key baes kar-e-sawab ho jati hain ya kam az kam

    fuzuliyat mein nahen rehten.

    Fuzul go Ka Jhutay Mubalgai sey Bachna Dushwar Hota hey

    Yeh zehn mein rahey key fuzul bolna gunah nahen magar fuzul

    bolna sirf us waqt hota hey jab key bila kam-o-kast aur saheh

    saheh bayan karay, agar jhutay mubalaghai kiyay to gunah ki

    khaie mein ja gira! Tashwesh ki baat yeh hey key is tarah ki

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    29/58

    Khamosh Shahzada

    23

    fuzul guftgu ko nap tol kar durust bayan karna key fuzul goi

    ki hadd sey agay na barhay yeh bohat mushkil amar hota hey,

    aksar jhutay mubalaghai ho hi jatay hain, fuzul go bar-ha

    ghebaton, tuhmaton, aib darion aur dil azarion waghirah

    daldal mein bhi ja parta hey, Lihaza afiyat chup rehnay hi

    mein hey key aik chup so (100) sukh.

    Kash Bolnay Say Qabl Zara Thahr Kar Tolnay ki Saadat

    Mil Jaye

    Waqae agar koi insaan bolnay sey pehlay Tolnay yani gor

    karnay ki aadat dalay to usay apni be-shumar fuzul batein

    khud hi mahsos honi shuru ho jaen! Sirf fuzul batein hon to

    agarche gunah nahen magar kai tarah key nuqsanat in meinmaojod hain masalan in batoon mein zaban chalanay ki

    zahmat hoti hey aur qemati waqt barbad hota hey agar utni

    dair Zikr-Ullah deni mutalaa kar liya jaye, ya koi sunnat bayan

    kar di jaye to sawab ka anbar lag jaye.

    Dehshat Gardiyon Kay Fuzul Tazkiray

    Isi tarah agar kahen dehshat gardi ki wardaat ho gye tobas loogon ko fuzul balkay baz suraton mein gunahon bhari

    bahs keliye aik mozue hi hath agaya! Har jaga usi ka tazkira be

    sar-o-pa qiyas ariyan, be tukkay tabsiray, atkal sey kisi bhi parti

    ya leader waghirah par tohmat laga dena waghirah. Aksar yeh

    guftgo fuzul hi nahen, loogon mein khof-o-haras phelanay ka

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    30/58

    Khamosh Shahzada

    24

    baes, afwahen garm honay ka sabab aur hangamay barpahonay ki waja bhi banti hain, dhamakon aur dehshat gardiyon

    ki waridaten sun-ney sunanay mein nafs ko be intiha dilchaspi

    hoti hey, basa auqat lab par duaiya alfaz hotay hain magar qalb

    ki gahraiyon mein sansani khez khabren sun-ney sunanay key

    zariaye hazz (yani maza) uthanay aur lutf andoz honay ka

    jazba chupa hota hey, kash! Nafs ki is shararat ko pehchantay

    hoye hum dehshat gardiyon aur dhamakon key tazkiron meindilchaspi lenay sey baz ajaen. Han mazlomana shahadat panay

    walon, zakhmiyon muta-assira musilmaon ki hamdardiyon,

    khidmaton aur aman ki duaon sey gurez na kiya jaye key ye

    sawab key kam hain bas jab bhi is tarah ki gufgu karnay, sun-

    ney ki surat paida ho to apnay dil par gor kar lena chahiye key

    niyyat kiya hey? Agar achi niyyat paien to umda aur bohat

    umda hey magar aksar is qism ki guftgu ka hasil sansani seylutf andozi hi paya jata hey.

    Siddique-e-Akbar Munh Mein Pathar Rakh Letay

    Yad rakhiye zaban bhi Allah ki azeem nemat hey, is key

    baray mein bhi qayamat key roz suwal hona hey, lihaza is ka

    hargiz be ja istemal na kiya jaye. Sayyiduna siddique-e-akbar

    6 qate jannati honay key ba wujod zaban ki aafatonsey be hadd muhtat raha kertey they chunache Ihya-ul-Ulom

    mein hey: Hazrat-e-Sayyiduna Siddique-e-Akbar 6 apnay munh mein pathar rakh liya kertey they ta key baat

    karnay ka maoqa hi na rahey. (Iy-ul-Ulm, Safha. 137, jild. 3)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    31/58

    Khamosh Shahzada

    25

    Rakh letay they pathar sun Abu Bakr dahan mein

    Aye bhai! Zaban par to laga qufl-e-madina

    (Wasil-e-Bakhshish, Safha. 66)

    * * / *

    40 Baras Tak Khamoshi Ki Mashq

    Methay Methay Islam Bhaio! Agar ap waqae khamoshi ki

    Aadat banana chahtay hain to is par sanjedgi sey gor karna ho

    ga, aur khob mashq karni paray gi warna sarsari koshish sey

    zaban par Qufl-e-Madina lagna dushwar hey. Zaban key be ja

    istemal ki tabah kariyon sey khud ko daratay hoye khamoshi ki

    Aadat bananay ki bhar por sae farmaiye kamyabiap key qadam chomay gi. Magar koshish istiqamat key sath honichahiye.

    Aiye! Aik koshish karnay walay ki istiqamat ki hikayat suntay hain,

    Hazrat-e-Sayyiduna Artah Bin Mundair ) farmatay hain:aik shakhs 40 sal tak khamosh rahnay ki is tarah mashq karta raha

    key apnay munh mein pathar rakhta, yahan tak key khanay ya

    penay ya sonay key elawa woh pathar munh sey na nikalta. (A-amt

    ma' Maws'a Ibn Abid-Duny, Safhat. 256, jlid. 7, Hadis 438)Yad rakhiye!

    Pathar itna chota na ho key halaq sey nechay utar kar kisi bari

    mushkil mein dal day naiz rozay ki halat mein munh mein pathar

    na rakha jaye key is ki mitti waghirah halaq mein ja sakti hey.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    32/58

    Khamosh Shahzada

    26

    Guftgu Likh Kar Muhasaba Karnay Walay Tabie Buzurg

    Hazrat-e-Sayyiduna Rabie Bin Khusaim ney20 sal tak dunayawi baat zazban sey nahen ki, jab subh hoti to

    qalam dwat aur kaghaz letay aur din bhar jo boltay usay likh

    letay aur sham ko us (us likhai hoye key mutabiq) apna

    muhasaba farmatay. (Iy-ul-Ulm, pp. 137, vol. 3)

    Bat Cheet Kay Muhasabay Ka Tareqa

    Apna muhasaba karnay sey yahan murad yeh hey key apni har

    har baat par gor kar key apnay ap sey baz purs karna masalan

    fulan baat kyun ki? Us maqam par bolnay ki kiya hajat thi?

    Fulan guftgu itnay alfaz mein bhi nimtayi ja sakti thi magar us

    mein fulan fulan lafz zaid kyun bolay? Fulan sey jo jumla tum

    ney kaha woh shari na tha bal key dil azar tanz tha, us ka dilbhi dukha ho ga ab chalo toba bhi karo aur us Islam Bhai sey

    muafi bhi mango, us baithak mein kyun gai jab key malom

    bhi tha key wahan fuzul batein bhi hoti hain aur fulan fulan

    baat mein tum ney han mein han kyun milaie thi? Wahan

    tumhen gheebat bhi sunni par gye thi bal key tum ney gheebat

    sunney mein dilchaspi bhi li thi chalo paki toba aur aisi

    baithakon sey dour rehnay ka bhi ahd karo. Is tarah samajhdar admi apni guftgu bal key roz marra key jumla muamalat

    ka muhasaba kar sakta hey. Yon gunah, be ehtiyatiyan, apni

    bohat si kamzoriyan aur khamiyan saminay aa sakti hain aur

    islah ka saman ho sakta hey. Dawat-e-Islam key madani mahol

    mein muhasabay ko Fikr-e-Madina ketay hain aur Dawat-e-

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    33/58

    Khamosh Shahzada

    27

    Islami mein rozana kam az kam 12 minute Fikr-e-Madina

    karnay aur is doran Madani Inamat ka risala pur karnay ka

    zehn diya jata hey.

    Zikr-o-zariya har ghari wird-e-zaban rahey

    Meri fuzul goi ki aadat nikal do

    (Wasil-e-Bakhshish, Safhat. 164)

    Umar Bin Abd-ul-Aziz Phot Phot Kar Roey

    Hazrat-e-Sayyiduna Abu Abdullah ( farmatay hainkey main ney suna key aik alim sahib Hazrat-e-Sayyiduna

    Umar Bin Abdul Aziz 6 key saminay kehnay lagay:Khamosh alim bhi bolnay walay alim hi ki tarah hota hey.

    Farmaya: main samajhta hon key bolnay wala qayamat key dinchup rehnay walay alim sey afzal ho ga is liye key bolnay walay

    ka nafa loogon ko pahunchta hey jab key chup rahnay walay

    ko sirf zati faida milta hey. Woh alim sahib bolay: Ya Ameer-

    Al-Mominen! Kiya ap bolnay key fitnaon sey na waqif hain?

    Hazrat-e-Sayyiduna Umar Bin Abdul Aziz 6 yeh sunkar shadeed phot pot kar roye. (A-amt ma' Maws'a Ibn Abid-

    Duny, Safha. 345, jild. 7, ad 648)

    Allah ki un par rahmat ho aur un key sadaqay hamari be

    hisab maghfirat ho.

    P S / *

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    34/58

    Khamosh Shahzada

    28

    Hikayat Ki Wazahat

    Methay Methay Islam Bhaio! Humaray buzurgon ki ehtiyaten

    aur Jazba-e-Khof-e-Khuda Marhaba! Albatta is baat mein koi

    shak nahen key muhtat ulama-e-deen ka waz-o-nasayehat

    farmana, shari ehkaam batana, muballigheen ka sunnaton

    bhara bayan karna, neki ki dawat dena, khamoshi key

    muqabalay mein afzal taren amal hey. Mager un alim sahib ka

    Sayyiduna Umar Bin Abdul Aziz 6 ki bargah mein bataor-e-tanbeh yeh arz karna key kiya ap bolney key fitnon sey

    na waqif hain? apni jaga durust tha aur Ameer-ul-mominen

    6 ka Khof-e-khuda sey zar-o-qitar rona bhi unalim-e-rabbani key is fiqray ki teh tak tak punch ney ki waja

    tha. Waqae acha bolna agarche makhloq key liye nafae

    bakhsh hey lekin khud bolnay walay key liye is mein keye

    fasadat key khatrat bhi mojod hain masalan agar acha

    muballigh hey to apni fasahat-o-balaghat aur guftgu ki rawani

    per dosron sey milni wali dad-o-tahsayen key sabab ya sirf apni

    salahiyat per ghamand key baes ya apnay ap ko kuch

    samajhnay aur dosron ko haqer janney ya sirf nafsaniyyat ki

    waja sey dosron per dhak bithnay aur apni wah wah karwanay

    ki khatir khoob muhawarat-o-umda fiqrat waghirah ki tarkeb

    kertey rehnay naiz is key liye adaqq yani mushkil ya khoub

    surat alfaz bolnay waghirah waghirah key fitnon mein par

    sakta hey.

    Agar arabi bol chal per ubour hoa to baat-o-byanat mein apni

    arabi dani ka sikka jamanay ki khatir khoub arabi maqoulon

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    35/58

    Khamosh Shahzada

    29

    waghirah key istemal key fitnon mein mubtila ho sakta hey, isi

    tarah jis ki awaz achi ho woh bhi khatron mein ghira rehta hey,

    chon key log aksar aison ki taref kertey hain jis per phool kar

    us key maghror ho janay, achi awaz ko atiyya-e-Khudawandi

    (yani Allah ki ata) samajhnay ki bajaye apna kamal

    samajh bethnay waghirah ghalatiyon ka khadsha rehta hey. To

    un alim-e-rabbani ki bolnay key mutaalliq tanbeh baja hey aurwaqae jo muballigh mazkora mazmom sifat rakhta ho us ka

    bolna us key haqq mein bohat bara fitna aur barbadi-e-akhrat ka

    saman hey agarche makhloq ko us sey nafa pahunchta ho.

    Bat Ko Fuzuliyat Say Pak Karnay Ka Behtren Nuskha

    Apni guftgu mein kami lanay key jo waqae khwaish mand

    hain un keliye apni ba ki tanqeh (yani chan ben) karnay aur

    apni guftgu ko be jay a zarorat se zaid lafzon aur mukhtlif

    khamiyon se pak karnay naiz nuqsan deh bal key fuzuliyat ki

    amezish se bachanay keliye Ihya-ul-Ulom se aik behtren

    nuskha pesh kiya jata hey chuna che Hujjat-ul-Islam Hazrat-e-

    Sayyiduna Imam Muhammad Bin Muhammad Bin Muhammad

    Ghazali ) key farman-e-wala shan ka khulasa hey:

    guftgu ki 4 qismein hain:

    1. Mukammal nuqsan deh baat.2. Mukammal faieday mand baat.3. Aisi baat jo nuqsan deh bhi ho faieda mand bhi. Aur

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    36/58

    Khamosh Shahzada

    30

    4. Aisi baat jis mein na fayeda ho na nuqsan. Pas pehli qismki baat jo mukammal nuqsan deh hey us sey hamesha

    parhez zarori hey. Aur isi tarah tesri qism wali baat key jis

    mein nuqsan fayeda donu hain is sey bhi bachna lazim

    hey. Aur jo chaothi qism hey woh fuzuliyat mein shamil

    hey key us ka na koi faieda hey aur na hi koi nuqsan lihaza

    aisi baat mein waqt zaie karna bhi aik tarah ka nuqsan hi

    hey. Is key bad sirf dosri hi qism ki baat reh jati hey yanibatoon mein sey 3 chothaie yani (yani 75%) to qabil-e-

    istemal nahen aur sirf aik chothaie (yani 25%) baat jo key

    faieday mand hey bas wohi qabil-e-istemal hey magar is

    qabil-e-istemal baat key andar barek qism ki riya kari,

    banawat, ghebat, jhutay mubalaghai main main karnay ki

    aafat yani apni fazelat-o-pakezagi bayan kar bethnay

    waghirah waghirah andshai hain naiz faieda mand guftgukertey kertey fuzul batoon mein ja parnay phir is key

    zariye mazed agay barhatay hoye is mein gunah ka irtikab

    ho janay waghirah waghirah khadshat shamil hain aur

    shamoliyat aisi barek hey jis ka elm nahen hota, lihaza is

    qabil-e-istemal baat key zariay bhi insaan khatrat mein

    ghira rehta hey. (Iy-ul-Ulm, pp. 138, vol. 3)

    Chup rehnay mein 100 sukh hain tu yeh tajriba kar lay

    Aye bhai! Zaban per tu laga qufl-e-madina(Wasil-e-Bakhshish, Safha. 164)

    * * * /

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    37/58

    Khamosh Shahzada

    31

    Be Waqof Be Sochai Bolta Hai

    Methay Methay Islam Bhaio! Aql mand pehlay baat ko tolta

    hey phir munh se bolta hey aur be-waqof jo kuch ji mein mein

    aye bolta jata hey, chahai is ki waja se kitna hi zaleel kyun na

    hona paray. Chunacheh Hazrat-e-Sayyiduna Hasan Basari

    farmatay hain: loogon mein mashhor tha key

    aql mand ki zaban us key dil key pechai hoti hey woh baatkarnay sey pehlay apnay dil sey rujue karta hey yani gor karta

    hey key kahon ya na kahon? Agar mufeed hoti hey to kehta hey

    warna chup rehta hey. Jab key be-waqof ki zaban us key dil key

    aagay hoti hey key idhar yani dil ki taraf rujue karnay ki nobat

    hi nahen ati bas jo kuch zaban par aya keh deta hey. (Mulakhas

    Tanb-ul-Ghfiln, Safha.115)

    Bolnay Say Pehlay Tolnay Ka Tareqa

    Piyaray Islam Bhaio! Yad rakhiye! Humaray Methay Methay

    Aqa Makki Madani Mustafa ( , ney kabhi bhiapni zaban-e-haqq-e-tarjuman sey koi faltu lafz ada nahen

    farmaya aur na hi qehqaha lagaya. Kash! Yeh khamoshi aur zor

    sey na hans ney ki sunnaten aam ho jaien. Aye kash humbolnay sey pehlay tolnay key aadi ban jaien. Tolnay ka

    tareqa yeh hey key is sey pehlay key alfaz zaban sey ada hon

    apnay dil sey suwal kar liya jaye key is bolnay ka maqsad kiya

    hey? Kiya main kisi ko neki ki dawat day raha hon? Kiya yeh

    baat jo mein bolna chahta hon is mein mera ya kisi dosray ka

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    38/58

    Khamosh Shahzada

    32

    bhala hey? Meri baat kahen aisay mubalaghai sey pur to nahen

    jo mujhy key gunah mein mubtala kar day.

    Jhutay mubalaghai ki misal detay hoye Hazrat-e-Sadr-us-

    Sharia, Badr-ut-Tariqa Hazrat-e-Allama Maulana Mufti

    Muhammad Amjad Ali Aazami farmatay hain:Agar aik martaba aya aur yeh key diya key hazar martaba aya

    to jhuta hey. (Bahar-e-sharieat vol 3 p 519)

    Yeh bhi sochai key main kahen main kisi ki jhuti tareef to

    nahen kar raha? Kisi ki ghebat to nahen kar raha? Meri is baat

    sey kisi ka dil to nahen dukh jaye ga? Bol kar nadamat key sabab

    rujue karnay ya SORRY khenay ki nobat to nahen aye gi?

    Thouk kar chatnay yani kahi hoyi baat wapas to nahen leni

    paray gi? Kahen apna ya kisi dosray ka raz to fash nahen kar

    bethon ga? Bolnay sey pehlay baat ko tolnay mein agar yeh baatbhi samnay aie key is baat mein na nafa hey na nuqsan aur na hi

    sawab hey na gunah, tab bhi ye baat bol denay mein aik tarah ka

    nuqsan hi hey kyun key zaban ko is tarah ki fuzul aur be faieda

    guftgu keliye zehmat denay ki bajaye agar keh liya jaye ya zariya shareef parh liya jaye to yaqenan is mein

    faieda hi faieda hey aur yeh apnay anmol waqt ka behtreen

    istemal hey, aisay azem faieday ka zaie hona bhi lazemaannuqsan hi hey.

    Zikr-o-zariya har ghari wird-e-zaban rahey

    Meri fuzul goi ki aadat nikal do

    (Wasil-e-Bakhshish, Safha. 164)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    39/58

    Khamosh Shahzada

    33

    Chup Rahnay Ka Tareqa

    Piyaray Islam Bhaio! Fuzul goi gunah na sahi magar is mein

    mehromiyan aur kafi nuqsanat mujud hain lihaza is sey

    bachna be had zarori hey. Kash! Kash! Aye kash! Khamoshi ki

    aadat dalnay keliye zaban per Qufl-e-Madina laganay ki

    saadat mil jati.

    Hikayat: Hazrat-e-Sayyiduna Muwarriq Ijli farmatay hain key aik aisa muamala jisay main 20 sal tak hasil

    karnay ki koshish karta raha lekin pa na saka magar phir bhi us

    ki talab nahen chori. Pucha gaya: woh aham chez kiya hey?

    Farmaya: khamosh rehna. (Az-Zud-lil-Imm Amad, pp. 310, ad

    1762) Khamoshi key talab gar ko chahiye key zaban sey karnay

    ki bajaye rozana thori bohat batein likh kar ya isharay sey bhi

    kar liya Karay .

    Dawat-e-Islami ki taraf sey naik banney key azem nuskhaye

    Madani Inamat ka aik madani inaam yeh bhi hey: kiya aj ap

    ney zaban ka Qufl-e-Madina lagatay hoye fuzul goi se bachnay

    ki adat dalnay keliye kuch na kuch isharay sey aur kam az kam

    aur 4 bar likh kar guftgu ki? Khamoshi ki aadat banana ki

    koshish key doran aisa bhi ho sakta hey key fuzul goi seybachnay ki koshish mein chand roz kamyabi mili magar phir

    bolnay ki aadat hasb-e-mamol ho jaye, agar aisa ho bhi to

    himat mat hariye, bar bar koshish kijiye jazba sacha hoa to

    kamyabi zaror hasil ho gi.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    40/58

    Khamosh Shahzada

    34

    Khamoshi ki aadat bananay ki mashq karnay key doran apna

    chehra muskrata rakhna munasib hey ta key kisi ko yeh na

    lagay key ap us sey naraz hain jabhi munh phulaya hoa hey.

    Khamoshi ki koshish key dinon mein ghussa barh sakta hey

    lihaza agar koi ap ka ishara na samajh paye to hargiz us pe

    ghussay ka izhar na kijiye key kahen be ja dil azari waghirah ka

    gunah na kar bethen. Isharay waghirah sey guftgu unhien key

    sath munasib rehti hey jin key sath ap ki zehni hum ahangi ho,ajnabi ya na manos adami ho sakta hey key isharay waghirah ki

    guftgu key sabab ap sey Naraz ho jaye, lihaza un key sath

    zaroratan zaban sey baat chet kar lijiye. Bal key kaie suraton

    mein zaban sey bolna wajib bhi ho jata hey. Masalan mulaqati

    key salam ka jawab waghirah. Kisi sey mulaqat key waqt salam

    bhi isharay sey nahen zaban sey karna sunnat hey. Yun hi

    darwazay per dastak day aur andar sey pucha jaye kon hey? Tojawab mein bahir wala, Madina kholo!, Main hon waghirah

    na kahai bal key sunnat yeh hey key apna nam bataye.

    Achai Andaz Per Pukar Kar Sawab Kamaiye

    Honton sey Shish Shi ki awaz nikal kar kisi ko bulana ya

    mutawajah karna acha andaz nahen, nam malom honay kisurat mein Madina! key kar kabhi nahen bal key nam ya

    kunyat sey pukaray key sunnat hey, khususan istinja kahanon

    aur gandi jahghon Madina key kar pukarnay sey bachnay ki

    sakht zarorat hey. Agar nam na malom ho to us maqam key

    urf key mutabiq muhazzab andaz mein pukara jaye, masalan

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    41/58

    Khamosh Shahzada

    35

    humaray muasharay mein umoman naujawan ko Bhai Jan!,

    Bhai Sahib!, Baray Bhai!, aur umar raseda ko: Chachcha Jan!

    Buzurgo! Waghirah keh kar pukertey hain.Bahr hal jab bhi kisi

    ko pukara jaye to momin ka dil khush karnay key sawab ki

    niyyat key sath achai mein acha andaz ho aur nam bhi pura

    liya jaye naiz maoqa ki munasabat sey akhir mein lafz Bhai

    ya Sahib waghirah ka bhi izafa ho, hajj kiya hoa ho to Haji kalafz bhi shamil kar liya jaye. Jis ko pukara gaya woh Labbaik

    (yani main hazir hon) kahai. Dawat-e-Islami keyMadani mahol mein aksar kisi ki pukar par Labbaik kaha jata

    hey jo key sunney mein bohat bhala malom hota hey is sey

    musilman key dil mein khushi dakhil ho sakti hey. Naiz

    Sahaba-e-Karam ka Shahansha-he-Khair-ul-Anam

    , ( key yad farmanay (yani) bulanay per Labbaikkey sath jawab dena ahades mein mazkor hey, is key elawa aikWali-Ullah key fiel sey bhi is ka subut milta hey.

    Chunacheh karoron Hambliyon key azeem peshawa Hazrat-e-

    Sayyiduna Imam Ahmad Bin Hambal sey masalapuchnay key liye unhen jab koi apni taraf mutawajjeh karta to

    aksar Labbaik farmatay (Manqib Imm Amad Bin anbal lil-Jawz,

    Safha. 298) masnon duaon ki mashhor kitab Hisn-e-Hasenmein hey: Jab koi shakhs tujhai bulaye to jawab mein keh:

    Labbaik(Hisn-e-Hasen Safha. 104)

    * * * /

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    42/58

    Khamosh Shahzada

    36

    Khamoshi Ki Barakat Ki 3 Madani Baharen

    Khamoshi Ki Barkat Say Dedar-e-Mustafa Aik Islam Behnein

    ki tehreer ka lubb-e-lubab hey: Dawat-e-Islami key ishaati

    aidaray Maktaba-tul-Madina ki janib sey jari karda khamoshi

    ki ahmiyyat per mabni sunnaton bharay bayan ki cassette sun

    kar main ney zaban key Qufl-e-Madina ki tarkeb shuru ki

    yani khamoshi ki aadat dalnay ka silsila kiya, 3 hi din mein

    mujhy andaza ho gaya key pehlay main kis qadar faltu batein

    kiya karti thi! khamoshi ki barakat sey mujhy achiachi khwab nazar anay lagay, fuzul goi sey bachnay ki koshish

    key tesray din main ney Maktaba-tul-Madina ki jari karda

    sunnaton bharay bayan ki aik mazed audio cassette banam

    itaat kisay ketay hain suni. Jab rat soi to cassette

    mein bayan karda waqia mujhy khwab mein dikhaie denaylaga! jang ka naqsha tha, Sarkar-e-Madina ( , dushman ki jasusi keliye Hazrat-e-Sayyidun Huzaifa 6 ko rawana kertey hain, woh kuffar key khaimon key pas

    pahunchtay hain to unhen kuffar key sardar Hazrat-e-Abu

    Sufyan (jo abhi musilman nahen hoye they) kharay nazar atay

    hain, maoqa ghanemat jantay hoye sayyiduna huzaifa 6

    Kaman per teer charha letay hain key unhen Sarkar-e-DoAalam ( , ka hukm yad ata hey(jis ka mafhomhey: koi cher char mat karna) chunache apnay Madani Ameer

    ki itaat kertey hoye ter chalanay sey baz rahtay hain, phir

    hazir ho kar Tajdar-e-Risalat , ( ki Khidmat-e-Ba

    Barakat mein karkardgi pesh kertey hain. mujhy is

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    43/58

    Khamosh Shahzada

    37

    khwab mein Sarkar-e-Madina ) , Aur 2 Sahaba-e-Kiram 6 ki khoub wazih taor per ziyarat naseeb hoyi,baqi sab manazir dhundlay nazar aa rahey they. Mazed likha

    hey: sirf 3 din ki fuzul goi sey bachnay ki koshishsey mujh per Aqa-e-Do Alam ( , ka bohat barakar am ho gaya, bas meri tamanna hey key kabhi bhi meri zabn

    sey koi faltu lafz na niklay. Ap dua kijiye key main apni iskoshish mein kamyab ho jaon.

    Khasusan Islam behnon ko is khush naseeb Islam behn per

    rashk aa raha ho ga. Kisi Islam bahin ka khamoshi ikhtiyar

    karna waqiei bohat bari baat hey kyun key mardon key

    muqabalay mein umoman aoraten ziyada bolti hain.

    Allah zaban ka ho ata Qufl-e-MadinaMain kash! Zaban per lon laga Qufl-e-Madina

    (Wasil-e-Bakhshish, Safha. 164)

    * * / *

    Alaqay Mein Madani Mahol Bananay Mein Khamoshi

    Ka Kirdar

    Aik Islam Bhai ney sag-e-madina ko jo maktoob bheja uska lubb-e-lubab hey key Dawat-e-Islami key sunnaton bharay

    ijtimae mein khamoshi key mutaalliq sunnaton bhara bayan

    sunney sey pehlay Madani mahol sey wabasta honay key ba

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    44/58

    Khamosh Shahzada

    38

    wajod main bohat fuzul go tha, zariya shareef ki koi khas kasrat

    na thi. Jab sey chup rehnay ki koshish surue ki hey, rozana aik

    hazar bar durood shareef parhana naseb ho raha hey.

    Warna mera anmol waqt idhar udhar ki fuzul behson mein

    barbad ho jata tha. 12 din mein parhai hoye 12 hazar durood

    shareef ka sawab ap ko tohfatan pesh (yani esal-e-sawaba) karta

    hon. Mazed arz hey key meray batoni mizaj key baes honaywali kaj bahsi (yani ulti sedhi batoon) ki nuhosat sey humaray

    zaili halqay mein Dawat-e-Islami key madani kamon ko bhi

    nuqsan pahunch jata tha. Pichlay dinon sey humaray halqay

    mein apas ka ikhtilaf nimtanay keliye Madani mashwara hoa,

    hayrat balaye hayrat key meri khamoshi key sabab

    Sara jhagra ba aasani khatm ho gaya. Humaray nigran-e-pak

    ney khushi ka izhar kertey hoye mujh sey be takallufi mein kuchis tarah farmaya: Mujhy bohat dar lag raha tha key shayed ap

    bahs shuru Karen gay aur baat ka batangar ban jaye ga lekin ap

    key khamoshi apnanay ki neymat ney humein rahat bakhshi.

    Dar asl baat yeh hey key is sey qabl mujh na laiq ki fuzul bahs

    aur bak bak ki aadat key sabab Madani Mashwaray waghirah

    ka mahol kharab ho jaya karta tha.

    Madani Kamon Keliye Madani Hathyar

    Methay Methay Islam Bhaio! Dekha ap ney? Fuzul batoon sey

    bachna madana kamon keliye kis qadar mufeed hey. Lihaza jo

    sunnaton ka muballigh hey usay to har hal mein sanjeda aur

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    45/58

    Khamosh Shahzada

    39

    kam go hona chahiye. Jo barr-bariya, batoni, dosron ki baat

    katnay wala, bar bar bech mein bol parnay wala, baat baat par

    behs-o-takrar karnay aur bal ki khal utarnay wala ho us ki

    waja sey deen key kam ko nuqsan pahunchnay ka sakht

    andesha rehta hey, kyun key khamoshi jo key shaytaan ko mar

    bhaganay ka Madani hathyar hey is sey yeh bad naseeb

    mahrom hey. Hazrat-e-Sayyiduna Abu Zar Ghiffari 6 ko wasiyyat kertey hoye Tajdar-e-Risalat Mustaf Jan-e-Rahmat ( , ney farmaya: Khamoshi ki kasrat ko lazim kar

    lo key is sey shaytan dafa ho ga aur tumhen deen key kamon

    mein madad milay gi. (Shuab-ul-mn, Safha. 242, jild. 4, ad 4942)

    Allah is sey pehlay Emaan pe maot day day

    Nuqsan meray sabab sey ho Sunnat-e-Nabi ka

    (Wasil-e-Bakhshish, Safha. 108)

    * * * /

    Ghar Mein Madani Mahol Bananay Mein Khamoshi ka

    Kirdar

    Methay Methay Islam Bhaio! Be zarorat baat, hansi mazaq,

    aur tu tarak ki aadat nikal denay sey ghar mein bhi ap ka

    waqar buland ho ga aur jab ghar key afrad ap key sanjeda pan

    sey mutaassir hon gay to un per ap ki neki ki dawata bohat

    jald asar karay gi aur ghar mein madani mahol na hoa to

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    46/58

    Khamosh Shahzada

    40

    bananay mein asani ho jaye gi. Chunache Dawat-e-Islami key

    sunnaton bharay ijtimaa mein khamoshi ki ahmiyyat per kiya

    hoa aik sunnaton bhara bayan sun kar aik Islam bhai ney jo

    tahrer di hey us ka khulasa hey: Sunnaton bharay bayan mein di

    gye hidayat key mutabiq mujh batoni shakhsh ney

    khamoshi ki aadat dalni shuru kar di hey ! Is kamujhy be-had faieda pahunch raha hey, meray abul fuzool

    honay ki waja sey ghar key afrad mujh sey bad zann they jagar

    jab sey mein ney chup rehna shuru kiya hey, ghar mein meri

    position ban gye hey aur khususan meri piyari piyari maan jo

    key mujh sey khob be zar raha karti thein ab be-had khush ho

    gye hain, chun key pehlay main bohat baki tha lihaza meri achi

    batein bhi be asar ho jaya karti thein magar ab main ammi jaan

    ko jab koi sunnat waghirah batata hon to woh na sirf dilchaspi

    sey sunti hain bal key amal karnay ki bhi koshish karti hain.

    Barhta hey khamoshi sey waqar aye meray piyaray

    Aye bhai! Zaban per to laga Quflj-e-Madina

    (Wasil-e-Bakhshish, Sufha. 108)

    * * * /

    Ya Rab-e-Karem! Hamein Muttaqi Bana key 19 Huruf

    ki Nisbat sey Ghar mein Madani Mahol Bananay key

    19 Madani Phool1. Ghar mein atay jatay buland awaz sey salam kijiye.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    47/58

    Khamosh Shahzada

    41

    2. Walida ya walaid sahib ko ata dekh kar tazeman kharayho jaiye.

    3. Din mein kam az kam aik bar Islam Bhai walid sahib keyaur Islam bahnen walida key hath aur paon choma karein.

    4. Walidain key samnay awaz dhemi rakhiye, in sey ankheinhargiz na milaiye, nechi nigahen rakh kar hi baat chet kijiye.

    5. In ka sonpa hoa har woh kam jo khilaf-e-shara na hoforan kar daliye.

    6. Sanjedagi apnaiye. Ghar mein tu tukar, abay tabay aurmazaq maskhari karnay, baat baat per ghussay ho janay,

    khanay mein aeb nikalnay, chotay Bhai behnon ko jharnay,

    marnay, ghar key baron sey ulajhnay, behsen kertey rehnay

    ki adaten ho to apna rawayya yaksar tabdel kar dijiye, har

    aik sey muafi talafi kar lijiye.

    7. Ghar mein aur bahar har jaga ap sanjida ho jaen gay to ghar key andar bhi zaror is ki barakaten

    zahir hon gi.

    8. Maa baap bal key bachon ki ammi hoon to usay naiz ghar(aur bahar) key aik din key bachai ko bhi ap key kar hi

    mukhatib hon.

    9. Apnay Muhalay ki masjid mein esha ki jamaat key waqtsey lay kar 2 ghantay key andar andar so jaiye. Kaash!

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    48/58

    Khamosh Shahzada

    42

    Tahajjud mein ankh khul jaye warna kam az kam namaz-

    e-fajr to ba asani (masjid ki pehli saf mein ba jamaat)

    muyassar aye aur phir kam kaj mein bhi susti na ho.

    10. Ghar key afrad mein agar namazon ki susti, be pardagi,filmon daramas, aur ghanay bajon ka silsila ho aur ap agar

    sar parast nahen hain, naiz zann-e-ghalib hey key ap ki

    nahen suni jaye gi to bar bar toka tok key bajaye, sab konarmi key sath Maktaba-tul-Madina sey jari shuda

    sunnaton bharay bayanat ki audio cassette, audio/video cds

    sunaiye dikhaiye, madani channel dikhaiye. madani nataij bar amad hon gay.

    11. Ghar mein kitni hi dant paray bal key mar bhi paray, sabrsabr aur sabr kijiye. Agar ap zaban chalaen gay to Madani

    Mahol banney ki koi ummed nahen bal key mazed bigar

    paida ho sakta hey key be ja sakhti karnay sey basa auqat

    shaitan loogon ko ziddi bana deta hey.

    12. Madani mahol bananay ka aik behtren zariya yeh bhi heykey ghar mein rozana Faizan-e-Sunnat ka dars zaror zaror

    zaror dijiye ya suniye.

    13. Apnay ghar walon ki dunya-o-akhirat ki behtri kiliye dilsozi key sath dua bhi kertey rahiye key Farman-e-Mustafa

    ( , hey: W yani dua momin ka

    hathyar hey. (Al-Mustadrak lil-kim, Safha. 162, jild. 2, ad

    1855)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    49/58

    Khamosh Shahzada

    43

    14. Susral mein rehnay waliyan jahan walidain ka zikr heywahan sas aur susar key sath wohi husn-e-sulok baja

    laiyen jab key koi manie-shara na ho. Han yeh ehtiyat

    zaror kijiye key bahu susar key hath paon na chumay, yun

    hi damad sas key.

    15. Masail-ul-quran page 290 per hey: Har namaz key badyeh dua awwal-o-akhir zariya shareef key sath aik bar

    parh lijiye , bal bachay sunnaton key pabandbanen gay aur ghar mein madani mahol qaim ho ga. (dua

    yeh hey):

    ) X(

    *( X Ayat-e-qurani ka hissa nahen)

    16. Na farman bacha ya bara jab soya hoa ho to 11 ya 21 dintak us key sirhanay kharay ho kar yeh ayat-e-mubaraka

    sirf aik bar itni awaz sey parhiye key us ki ankh na khulay:

    % &' HI HI KL Q

    L STU*

    * Tarajuma Kanz ul EmaanAye humarey Rab humein de humari bibiyon aur aulaad se ankhoon ki

    thandak aur humein perhaizgaaron ka peshwa bana. (Safha 19, Al-furqaan, Ayat 73)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    50/58

    Khamosh Shahzada

    44

    (Awwal, akhir, aik martaba Durood Shareef) yad rahey!

    Bara ho to sotay sotay sirhanay wazifa parhanay mein us

    key jagnay ka andesha hey jab key us ki neend gehri na ho,

    yeh pata chalna mushkil hey key sirf ankhen band hain ya

    so raha hey lihaza jahan fitnay ka khaof ho wahan yeh

    amal na kiya jaye khas kar bivi apnay shohar per yeh amal

    na karay.

    17. Naiz na farman aulad ko farman bardar bananay keliye tahusol-e-murad namaz-e-fajr key bad asman ki taraf rukh

    kar key 21 bar parhiye. (Awwal-o-akhir, aik bardurood shareef)

    18. Madani inamat key mutabiq amal ki aadat banaiye aurghr key jin afrad key andar narm gosha paen un mein aurap agar bap hain to aulad mein narmi aur hikmat-e-amali

    key sath madani inamat ka nifaz kijiye, Allah ki

    rehmat sey ghar mein madani inqilab barpa ho jaye ga.

    19. Pabandi sey har maah kam az kam 3 din key madaniqafilay mein aashiqan-e-rasol key sath sunnaton bhara

    safar kar key ghar walon keliye dua kijiye. Madani qafilay

    mein safar ki barakat sey bhi gharon mein madani mahol

    banney ki Madani Baharen sunney ko milti hain.

    * Tarajuma Kanz ul Emaan: bulkay woh kamala sharf wala quran hail ooh-e-mehfooz (Safha 3, Al-

    Buruj, Ayat 21-22)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    51/58

    Khamosh Shahzada

    45

    Methay Methay Islami Bhaio! Bayan ko ikhtitam ki taraf latay

    hoye sunnat ki fazilat aur chand sunnaten aur adaab bayan

    karnay ki saadat hasil karta hon. Tajdar-e-Risalat, Shehnshah-

    e-Nubuwwat, Mustafa Jan-e-Rehmat, Shame-Bazm-e-Hidayat,

    Naosha-e-Bazm-e-jannat ( , ka farman-e-jannatnishan hey:

    Jis ney meri sunnat sey mohabbat ki us ney mujh sey

    mohabbat ki aur jis ney mujh sey mohabbat ki woh jannat

    mein meray sath ho ga. (Ibn Askir, Safha. 343, jild. 9)Sena teri sunnat ka madina banay aqa

    Jannat mein parosi mujhy tum apna banana

    * * / * Miswak Karna Sunnat-e-Mubaraka hey key 20 Huruf

    ki Nisbat sey Miswak key 20 Madani Phool

    Pehlay 2 faramein-e-Mustafa ( , mulahaza hon:

    1. Do rakat miswak kar key parhan beghair miswak ki 70rakaton sey afzal hey.(Attarghb Wattarb, Safha. 102, jild. 1,Hadis 18)

    2. Miswak ka istemal lazim kar lo kyun key is mein munh kisafaie aur Rabb ki Riza ka sabab hey (Attarghb Wattarb,

    Safha. 102, jild. 1, Hadis 18)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    52/58

    Khamosh Shahzada

    46

    3. Dawat-e-Islam key ishaati aidaray Maktaba-tul-Madina kimatbua bhar-e-shari-at jild awwal page 288 per sadr-us-

    sharia badr-ut-tareqa Hazrat-e-Allama maolana mufti

    Muhammad Amjad Ali Aazami likhtayhain, mashaikh-e-kiram farmatay hain: Jo shakhs miswak

    ka aadi ho martay waqt usay kalima parhna naseb ho ga aur

    jo ufyon khata ho martay waqt usay kalima naseb na ho ga.

    4. Hazrat-e-SayyidunaIbn-e-Abbas 6 sey riwayathey key miswak mein 10 khobiyan hain: Munh saf karti

    hey, masorhaye ko mazbot banati hey, benaie barhati,

    balgham dour karti hey, munh ki bad bu dour karti,

    sunnat key muwafiq hey, firishtay khush hotay hain, Rabb

    razi hota hey, naki barhati aur meda durust karti hey.(Jam-ul-Jawm lis-Suy, Safha. 249, jild. 5, Hadis 14867)

    5. Hazrat-e-Sayyiduna Abd-ul-Wahhab shaarani naql kertey hain: Aik bar Hazrat-e-Sayyiduna Abu Bakr

    Shibli Baghdadi ko wuzu key waqt miswakki zarorat hoyi, talash ki magar na mili, lihaza aik deenar

    (yani aik sonay ki asharfi) mein miswak khared kar

    istemal farmyi. Baz loogon ney kaha: yeh to ap ney bohat

    kharch kar dala! Kahen itni mehngi bhi miswak li jati hey?

    Farmaya: Be shak yeh dunya aur is ki tamam cheezen Allahkey nazdek machar key par key barabar bhi haisiyyat

    nahen rakhten, agar ba roz-e-qayamatAllah ney mujhsey puch liya to kiya jawab don ga key: tu ney meray piyaray

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    53/58

    Khamosh Shahzada

    47

    Habib ki sunnat (miswak) kyun tark ki? Jo mal-o-daolat main

    ney tujhay diya tha us ki haqiqat to (meray nizdek) machar

    key par key barabar bhi nahen thi, to akhir aisi haqeer dolat is

    azem nemat (miswak) ko hasil karnay per kyun kharch

    nahen ki?(Mulakhasan Lawqa-ul-Anwr, Safha. 38)6. Sayyiduna Imam Shafai farmatay hain: 4

    chezen aql barhati hain: Fuzul batoon sey parhez, miswak

    ka istemal, sulaha yani naik loogon ki suhbat aur apnay

    ilm per amal karna.(Iy-ul-Ulm, Safha. 27, jild. 3)7. Miswak pelou ya zaiton ya neem waghirah karwi lakri ki

    ho.8. Miswak ki motaie chungliya yani choti ungli key barabar ho.9. Miswak aik balisht sey ziyada lambi na ho warna us per

    shaytaan baithta hey.10. Is key reshai narm hon key sakht reshai danton aur

    masorhon key darmiyan khala (khala) ka bais bantay

    hain.11. Miswak taza ho to khoub (yani behtar) warna kuch der

    pani key glass mein bhigo kar narm kar lijiye.12. Munasib hey key is key reshai rozana kattay rahiye key

    reshai us waqt tak kar amad rehtay hain jab tak un mein

    talkhi baqi rahey.

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    54/58

    Khamosh Shahzada

    48

    13. Danton ki chaorhayi mein miswak kijiye.14. Jab bhi miswak karni ho kam az kam 3 bar kijiye.15. Har bar dho lijiye.16. Miswak sedhai hath mein is tarah lijiye key chungliya

    choti ungli us key nechay aur bech ki 3 ungliyan uper aur

    angoutha siray per ho.17. Pehlay sedhi taraf key uper key danton per phir ulti taraf

    key ouper key danton per phir sedhi taraf nechay phir ulti

    taraf nechay miswak kijiye.

    18. Muthi bandh kar miswak karnay sey bawaser ho janay kaandesha hey.

    19. Miswak wuzu ki sunnat-e-qabliya hey albata sunnat-e-muakkada usi waqt hey jab key munh mein bad bu ho.(Safhat. 623, jild. 1)

    20. Miswak jab na qabil-e-istemal ho jaye to phaink matdijiye key yeh aala-e-ada-e-sunnat hey, kisi jaga ehtiyat

    sey rakha dijiye ya dafan kar dijiye ya pathar waghirah

    wazan bandh kar samundar mein dabu dijiye.(Tafseli malomat keliye maktaba-tul-madina ki matbua bahar-

    e-shariat vol 1 page 294 ta 295 ka mutalaa farma lijiye)

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    55/58

    Khamosh Shahzada

    49

    Hazaron Sunnaten Sekhnay keliye Maktab-tul-Madina ki

    Matbua do Kutub 312 safhat per mushtamil kitab bahar-e-

    shariat hissa 16 aur, 120 safhat ki kitab sunnaten aur aadab

    hadiyyatan hasil kijiye aur parhiye. Sunnaton ki tarbiyyat ka

    aik behtaren zariea Dawat-e-Islami key madani qafilon mein

    aashiqn-e-Rasol key sath sunnaton bhara safar bhi hey.

    Lotnay rahmaten qafilay mein chalo

    Sekhnay sunnaten qafilay mein chalo

    Hon gi hal mushkilen qafilay mein chalo

    Khatm hon shamaten qafilay mein chalo

    * * * /

    Yeh Risala Parh Kar Dosrey Ko De Dijiye

    Shaadi gami ki takribaat, ijtimaat, aaraas juloos-e-milad waghira mein

    Maktabat-ul-Madina key shae karda rasail aur madani phoolon par

    mushtamil pamphlets taqsim kar key sawab kamaiye, gahakaun ko baniyyate sawab tohfe mein dene key liye apni dukanaun par bhi rasail

    rakhne ka maamul banaiye, akhbar faroshaun ya bachhchon key zariye

    apni mahal-le key ghar ghar mein mahana kam az kam aik adad

    sunntaun bhara risala ya Madani phoolon kapamphletpuhucha kar neki

    ki dawat ki dhoome machaiye aur khoob sawab kamaiye.

    Aek Chup So Sukh

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    56/58

    50

    Makhiz-o-Maraje

    MatbuaKitabMatbuaKitab

    Maktaba-tul-

    Madina,

    Karachi

    Tarjama Kanzul

    EmanMaktaba-tul-

    Madina, KarachiQuran-e-Pak

    Darul Fikar,Beroot

    Sunan-e-TirmiziDarul Kutub-ul-Elmiyyah, BerootSahi Bukhari

    Darul Kutub-

    ul-Elmiyyah,

    Beroot

    Al Sunan-ul-

    KubraDarul Fikar,

    BerootMasnad-e-Emam

    AhmedDarul Kutub-

    ul-Elmiyyah,

    Beroot

    Shubol EmanDarul Muarfa,BerootAl Mustadrak

    Darul Kutub-ul-Elmiyyah,

    Beroot

    Jamul JawameDarul Kutub-ul-Elmiyyah, BerootAl Firdos BimaSorul Khitab

    Darul Kutub-

    ul-Elmiyyah,

    Beroot

    Sharh-u-SunnahAl Maktaba-tul-Asriyyah, Beroot

    Al Samtu Ma

    Mau-suatu Ibne

    Abi DunyaDar-e-Ibne

    Khuldon,

    Beroot

    Manakib Ahmed

    Bin HambalAl Maktaba-tul-

    Asriyyah, BerootHisn-e-Haseen

    Zia-ul-Quran

    Pablication,

    Lahore

    Mira-tul-ManajehDarul Fikar,BerootMirqa-tul-Mafateeh

    Dar-e-Sadir,

    BerootIhya UloomDarul Kutub-ul-

    Elmiyyah, BerootIthaf-u-Sadah

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    57/58

    Khamosh Shahzada

    51

    Muas-

    sasturayyan,

    Beroot

    Al Qaulul BadeeDarul Fikar,

    BerootMustatraf

    Darul Kutub-

    ul-Elmiyyah,

    Beroot

    Minhajul

    AabideenDarul Kutub-ul-

    Arabi, BerootTambihul

    GhafileenDarul Fikar,

    Beroot

    Tareekh-e-

    DimishkDarul Kutub-ul-

    Elmiyyah, BerootTareekh-e-

    BaghdadPeshawarAl MunbahatNawa-e-Waqt

    Printers, LahoreKashaful MahjoobRaza

    Foundation,

    Lahore

    Fatawa RizviyahDar-e-Ahya-e-

    Taras-ul-Arabi,

    BerootLawaqih-ul-

    AnwarMaktaba-tul-

    Madina,

    Karachi

    Wasail-e-

    BakhshishMaktaba-tul-

    Madina, KarachiBahar-e-Shariat

  • 7/30/2019 Khamosh Shehzada, Ruman Urdu

    58/58