73

Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan
Page 2: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 1

©Arun Bansal

Year 2012

Version 1.0

Arun Bansal, #3110 GF, LIG Flats

Sector 52 Chandigarh

09855443849

www.merikavita.info

[email protected]

Published By

Saahb Informatics

www.saahbinformatics.com

Page 3: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 2

Mere milne se aakhir takleef kya hai aapko ‘saahb’

Aap na kijiye humse, humein to mohabbat karne dein

Bheja hi kyon tha gair ko paigaam dekar

Yeh baatein batayo kya yun ki jaati hein

Har baat per le aate ho zamaane ki baatein ‘saahb’

Mujhe kam tumne zamaana zyaada dekha hai

Humse nahin rakhi jaati ek baat bhi dil mein Log na jaane kaise kissi ko dil mein rakh lete hein

Mera udaas hona ‘saahb’ kissi bhi tarah manzoor nahin hai unko Woh nahin aa paate jab, phul khushbu bahaar yaad bhejte hein

Woh dil kya sahaara dega kissi aur ko

Zara si baat pe jo sahaate dhundhta hai

Uske lotne tak main nahin tha ‘saahb’

Woh mujhe yun hi bewafa samjha

Gumaan hai tumko apne husn o jawani per Aaeene ke siwa tumhe koee dekhta tak nahin

Page 4: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 3

Safeena toofaano se takra gaya kar raat phir se

Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya

Raahtein mil bhi sakti thi magar

Tumhe hi yeh dard manzoor tha

Kaante chun liye usne khud hi yeh keh ke

Phulon ka kya hai, wo chun dega mere liye

Zid pe aa gayee jo baat, ana ban gayee Mohabbat ka rang usi din feeka pad gaya

Jaane waale ka pata ab kya karna

Ek baar mar chuke, ab kya marna

Bewafa kaun hai phir se sochiye 'saahb'

Mare to aap bhi nahin, juda hokar

Udhaar ki hai zindgi unki, jo mohabbat karte hein

Jism kahin aur hai dil kahin aur hai jaan kahin aur hai

Usne tyaar ho ke tyaari utaar di jab suna Bach bhi sakta hai aapke aane se 'saahb'

Page 5: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 4

Marta kaun hai apni khushi se yahaan

Kisi ko umar maar deti hai kisi ko mohabbat

Ja bacha hai woh bhi le lo 'saahb'

Dhamka rahe ho abhi aur maar daaloge

Utar rahi hai dheere dheere raat ki chadhi huyee

Farma rahe hein tumne kal zor se dekh liya tha mujhko

Doobne ko chulu bhi bahut hai gar doobna chahe Saahil pe baith kar woh dhakate rahe, doob jaunga

Par katar ke kehte hein udo 'saahb' Maza lete hein bebas ki bebasi ka

Rukhsaar pe unke gaisu uljhe jaate hein

Kabhi nazar badhata hoon kabhi haath

Shayad kissi tarah suljha sakoon ‘saahb’

Woh khud bhi talabgaar mohabbat ke nikle

Main madad maang raha tha bachayo mujhko

Kitni buri shai hai yeh intezaar bhi Reh reh ke dil sau bure khyaal hein

Page 6: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 5

Bacha sako jaan to kissi tarah bacha lo

Ishaq ki pehli nazar hai, koee upay karwa lo

Neend udi udi, aankhein bhari bhari ‘saahb’ Arey mohabbat nahin gas hai, lo dawayee kha lo

Ud jaate hein kafas ke qaidi 'saahb' Par katar ke tum khudkashi nahin rok sakte

Kiske liye yeh ashak o maathey pe bal

Kooee kho gaya hai bina lautne ka waada kiye

Pardes jaane waale des bhul gaye deswaale bhul gaye

Bijli ki roshani mein ‘saahb’ dhup ke ujaale bhul gaye

Gumon ki shab kissi tarah kaat lo 'saahb' Bach gaye to umeedon ki sehar zarur hogi

Aankhon ka kya jab kaho baras padengi Zabat ki baat hai to dil hi ko karna padega

Dil per na rakhiye koee baat 'saahb'

Naazuk cheez hai bojha seh na sakegi

Kissi taraf to lagayiye dil ko 'saahb', kaam laga rahe

Khaali rahega to kisi na kisi baat per bhara raehga

Dil ki kashmkash ko kuchh to sabar mile Aisa bhi kya har waqt ki jaan fasi hai

Page 7: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 6

Dil ki dil mein reh jaaye baat koyee

Zubaan per le aao shayri banakar ise

Dil ke masle aur bhi naazuk nikle

Daleel ko zehan ki bagawat samjhe

Zehan o dil mein ek jung jaari hai

Teri gali jaun na jaun, mudda hai

Dil ki kitaab per darj hai dastaan adhuri ‘saahb’ Na padhne ka waqt ab na aur likhne ka silsila

Main hairaan hota hoon mar ke ji sakunga kya Woh keh rahe hein dil meri yaad mita dena

Dil se nikaal fenko khyaal bhi mera tum

Is inkaar ke baad

Meri kissi cheez per tumhaara haq nahin

Dil ki mehfil mein yaadon ke sher padhe jaate hein

Yahaan na koee gair hai na apna, dard ke naam nahin hote

Dil kissi tarah us khraash ko nahin bhula Sarlta se tumne keh diya tha, bhul jao

Page 8: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 7

Tujhe bhul jaane ki baat kya uthayee dil ke saath

bagawat kardi usne, dhadkana fauran band kar diya

Hadtaal per hai dil mera 'saahb' uski yaad mein

Dhadkanein nahin ab ghadiyaan ginta, aur kitni der tak

Nahin dil sa koee aur besharam mila mujhko

Hazaar baatein sunkar bhi ‘saahb’ dhadkta raha

Mere dil ne saha hai na jaane kya kya

Main jhaankne ki koshish karta hoon ander Darwaaze se ghabhra ke laut aata hoon

Dil bachon ki tarah masoom hi tha mera Teri hasrat mein isne duniyadaari seekh li

Dil pather to nahin tha mera yun pehle

Tere jaane ke baad isne shayad aadat badal li

Dil o nazar mein rishta samjhiye to

Bhar ke laata hai ek, duja gira deta hai

Haal e dil kis tarah chhupayein duniya se Samjha rahe hein nazar ko rona band kare

Page 9: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 8

Dil tamaam shab yahi sawal puchhta raha

Kyon? tum aakhir chale kyon gaye??

Dil ko zyaada sar na chadhaya kijiye 'saahb'

Suniye ek dil ki hazaar baatein bana lega

Dil aa jata hai ‘saahb’ baaton mein aksar phir se

Har baar kasam khaata hai ab aur aitbaar nahin

Dil se badhkar koee dukaan nahin dekhi 'saahb' Tumho bata do aur kahaan khaab bikte hein

Hasrat o armaan bhare pade hein is godaam mein Dil ko sirf dil na samjho, badi dukaan hai yeh

Dil ki nazar badi kamnazar hua karti hai

Siwaye ek ke use dusra nazar nahin aata

Zehan ne dil ki na maani aur faisla kar liya ‘saahb’

Ab safayiaan de raha hai, bus yun hi baat bigad gayee

Na aata jo dil tum per to kya hota juda 'saahb' Meri to yun bhi jaan jaani thi, yun bhi chali gayee

Page 10: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 9

Khud pe guzri to chup sa hai dil mera

Logon ko mashwara dene mein awal hua karta tha

Ab nahin aate kyon mashware e dil bata

Tujh per jo guzar rahi hai, kaisi guzar rahi hai

Chiraag e dil lekar main kahaan kahaan nahin gaya

Tumhaari si surat magar 'saahb' phir se na mili

Bazaar e dil mein hasrton ka sauda ho raha hai Aao khareed lo chain o sakoon ki keemat per

Badi unchi keemat padi kal mere dil ki 'saahb' Unki boli hai ki ek per ek nazar aur denge

Dil ki maan jaata agar us waqt per main

Shayad jo dosti bachi hai woh bhi na rehti

Sharartan dil badal gaya, unke saamne

Mujhe uksa ke le gaya tha, baat karunga

Uksaya bahut dil ne mere bewafayee ko Mera hi zarf tha ki wafa per kayam reh gaye

Page 11: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 10

Dil se mere na gayee wafa ki aadat

Bewafa ko takeed ki, khud se wafa karna

Dil gairat kha gaya zara si baat per

Tumne gair ke liye uthne ko hi to kaha tha

Mehfil se utha laya mujhko dil mera

Tere saath gair ki baatein dekhi na gayee

Maut ka daraawa dil ko na dijiye

Dhamkaata yeh humein hai ulta Hadtaal kar dunga jo aisi baat ki

Dil humaari kamzori ban gaya hai 'saahb' Nahin suntan iski to jaan jaati hai kasam se

Aap sahi keemat nahin chuka sake 'saahb'

Afwahein uda rahe hein dil bikte nahin hein

Koee chukaye daam har aarzoo o hasrat ke

Phir dekhiye ‘saahb’ dil kaise bikta nahin hai

Khareedi ja sakti hai dil ki har hasrat ‘Saahb’ keemat sabki juda juda hai

Page 12: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 11

Dil ko jalaane ki jaldi na kar 'saahb'

Yeh andhere to uska khyaal bhi mita dega

Dil ko kissi aur kaam ke liye bacha ke rakh

Mohabbat hi ek baat nahin reh gayee duniya mein

Ek baar daga dega dil kissi aise mod per

Uth na sakoge khud, 'saahb' uthaye jaoge

Badal raha hai dil unka khyaal is baare mein Woh keh rahe hein ruko, thoda aur soch loon

Na dil se laga ‘saahb’ uske khyaal ko Woh badal jayega khyaal badal jayega

Aur bhi bahaane they ‘saahb’ dil dukhaane ke

Phir kyon tumko yeh mohabbat hi pasand aayee

Yeh masle hein mere apne hi dil ke khade kiye huye

Tera husn o jawani to bahaana hai, garoor na kar

Besabab bikhar jaati hai kabhi kabhi chaandni Zaruri nahin hai ki har baar koee intezaar kare

Page 13: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 12

‘Saahb’ kaun nikaal sakta hai usko mehfil se..

Woh roshni bhi hai .. aur teergi ka baees bhi

Us per uth rahi thi awaazein magar woh kaise chala jaata

Ek nazar baandhe thi dil jaan jigan nazar aur paanv uske

Mehfil mein jinka zor chalta hai, wohi chhed rahe hein

Achha yeh zid hai apko chala jaun, theek hai nahin jaata

Kooe wajah to ho mere jaane ki 'saahb'

Tum chhed rahe ho chhid raha hoon main

Tamaasha dekh rahe hein woh mere surat e haal ka

Main bhi dekhta hoon ki dekhenge mujhe yun kab tak Aise kaise chhod dein haath unka 'saahb'

Hum jaante hein haath chhutne ka dard kya hota hai

Mehfil mein sabhi se keh do ki zara intezaar karein

Uth nahin sakta main, abhi chaar kandhon ka intezaam nahin hai

Bulaya tha jiz naaz se utne hi naaz se kaho jao mujhe

Ghar tumhaara hai chhat tumhaari hai pakde hum jayenge

Khata na samjho ise meri jo gustaakh ho raha hoon

Ek dost ka ek dost ke liye jazba kaaboo se baahar hai

Khada to hona hi padega apne rakeeb ke saath Mere jaate hi mere hisse ki pi na jaye kahin

Page 14: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 13

Dil ke saamne nahin chalti kissi ki 'saahb'

Dhamka rahe hein jisko aap mujhse aashna hai

Dekhiye ki sitam karne waala aur mazloom dono aashna hein

Meri gawahi yeh hai ki kaqat hua hai magar jaana se nahin maara

Jaane waale per humaara kya haq magar 'saahb'

Ek umeed hai ek zindgi hai ek bharosa hai

Use rok bhi lete to kya kar lete 'saahb' Jo ek baar dil mein aa gayee, mit ti nahin

Mehfil mein aur bhi jalwanasheen hein magar Woh chiraag jo bujh gaya, dil bujh gaya

Dil ki yeh tammana thi ki tammana thi ki tum roko Isi janoon mein uth te uth te main mehfil se nikal gaya

Maar hi daalegi mujhko yeh teri ana Ab bhi waqt hai, 'saahb' mana le mujhe

Tarak nahin karte kissi tarah woh gussa

samjha karo khafa hona aapka nahin unka haq hai

Nahin chahat kissi aur ki mujhe, bus woh de de E khuda tere dar pe koee aisa fariyaadi nahin aaya hoga

Page 15: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 14

Sabar ki inethaan dekh li usne mere Rakeeb ke saath mazaar pe khade hein

Main sakoon se leta hoon uth ta nahin

Zid pe aa gaye ho yun hi bina baat ke

‘Saahb’ ki zindgi per jo haq rakhte ho

Aaj na samjhayo mujhe aur koee naseehat na karo

Dil yun bhi bhar aata hai kabhi kabhi bina baat ke

Baat kissi tarah badhti nahin aage unki zid ke Misaal diye ja rahe hein dil ki baat hai dil nehin dete

Tu uski zubaan na dekh nazar ko padh Inkaar ke uper iqraar hi iqraar hai

Baat mazakan hi mazakan sanjeeda ho gayee

Baki bachi unki mazaar pe guzri meri mazaar mein

Kya hota hai kya nahin dastoor kya dekhiye

Yeh mohabbat ki baatein hein, rasam nahin jaanti

Chaalak banti hein apne aap mein nazarein unki Zakham ko dekh kar andekha karti hein, dard nahin puchhti

Page 16: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 15

Chiraag e mehfil hai apne anzaam per aane ko

Aakhiri baar tez hokar meri jaan fadfada rahi hai

Sahaaron per nazar rakhna hi theek hai 'saahb'

Kha jaati hai kabhi kabhi baad hi khet ko

Zamaane ki aad mein bewafa ho gaya woh

Mere kirdaar per dagabaazi ka ilzaam aaya

Majbooriyon ke saaye mein mohabbat nahin hua karti Yeh woh shajar hai ‘saahb’ jisko khuli dhup chahiye

Bister per bhi so jaate hein chhoti badi umar ke log Jawani mein bina aagosh ke sona zara sa mushkil hota hai

Woh har waqt raha karte they burke ke saaye mein

Jo haq paya ki dekh sake, phir burka na utarne diya

Marte dum tak nibah ki humne mohabbat

Log puchhtey hi reh gaye, woh kaun tha

Nahin banawa sake mera mazaar milkar bhi yaar mere Mutton Chiken kha gaye, yun chanda hua bahut tha

Page 17: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 16

Badnaam kar ke rakh diya hai chaand o raat ko

Shayron ko muft mein kya mil gaye 'saahb'

Ruswa hone per paabandi lagwa do ‘saahb’ pehle to

Muft ki mashooriyaan log pa jaate hein mohabbat mein

Uske rone o hanse se ab kya farak mujhko ‘saahb’

Fursat bekhudi se mile to kuchh aur khyaal karoon

Aankhon mein uski woh dekha 'saahb' Meri tasweer thi gardan tak doobi huyee

Na dekhte woh aankhein hum to shayad mohabbat na hoti Mamla dab jaata jo burka uda na deti saba chalte chalte

Yeh aakhein ko rehguzar nahin hein 'saahb'

Yeh safar mehfooz hai kissi khaas ke liye

Har aata jaata jhaanje hai nazar mein meri

Husn ka paya aankhein rehguzar ho gayee

Baarishon ka mausam baahar bhi aur bheetar bhi Bhaari hai yeh boondein asmaan per bhi, aankhon per bhi

Page 18: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 17

Do chaar palon ki baat thi aur kissa kya tha

Zindgi gayee yun kehne ko bus aankh ladi hai

Aankhein bhi girvi rakh di usne meri khaatir

Vaid g kehne lage aapki nazar ne maara hai

Aankhon ne kissi hazaar keh diye, zubaan hilaaye bagair

Dil dil ka shor sunte they, waqt e guftgu goonga ho gaya

Gayee hein meri hi talaash mein aankhein kahin Beenayee bhi kho baitha main to kho hi chuka tha

Nahin aayee nazar mujhko phir woh aankhein Wada karke mukar gayee, ab milayee nahin jaati

Aankhein to bus aankhein hein 'saahb'

Umar ke mod inhe kabhi shokh

To kabhi peer bana dete hein

Aakhein taras gayee thi tere bagair

Tum puchh rahe ho 'saahb' kaise rahe

Aakhein bhi alfaaz ban jaya karti hein 'saahb' Dil ki guftgu ko zubaan ki zarurat nahin hoti

Page 19: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 18

Dekhna hi hai agar kabhi dard ka lamha

Kissi budhi maan ki aankhein dekhna

Aakhein dekh kar hi dhokha kha gaye they

Seerat ki surat aakheon se nahin dikhti

Zamaane bhar mein badnaam hein unki aankhein

Jisko dekh leti hein umar bhar ‘saahb’ tarsata hai

Maana ki koee chhod gaya hai, dard ki baat hai Barso se barsana magar, ankhein vaid ko dikha lo

Kiski aankh ro sakti shab e furkat ke baad Samandar bhi sukh jayega 'saahb' hashar ke roz

Dhundhlayee si duniya hai tere jaane ke baad

Saaf karta hoon ankhein ab saaf nahin hoti

Aable ban ban ke aansso nikal rahe hein

Yeh meri aankhein kya tujhe isi kaabil lagi

Meri aankh se dekh to sahi duniya ‘saahb’ Tumhaari aankhein? unhein hum dekhenge!

Page 20: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 19

Aakhon ko zara parde mein rakha karo

Badtameez ho chali hein, ro padti hein

Aankhein jhuki jaati hein ‘saahb’ unke adab mein

Woh magroor to nahin, husn ki keemat jaanta hai

Chalaak nazaron se keh do aankhon mein hi rahe

Hum woh hunar jaante hein ki lautne nahin denge

Meri aankhon ne dekha hai aapko sanwarte huye Yeh nazara tauba khuda kya kahoon kya kahoon

Aankhon ka bada ajeeb sa riwaj hai 'saahb' Kholiye to woh saamne, band kijiye to dil mein

Aankhon ko der tak yeh kaam na dijiye

Tirsha dekh kar thak jayengi araam dijiye

Hathyaar mere katal ka baramad hota kaise

Woh nazar samet ke apni aankhon mein le gaye

Kaise aati tafteesh ko police unke ghar per Daroga ko qatal se pehle ek nazar pila di thi

Page 21: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 20

Ghar chahye chhota hi sahi magar aaraamdayak hai

Yeh aankhein 'saahb' tujhe umar bhar sambhaal sakti hein

Aankhon se keh do ki shehar mein danga ho jayega

Jhuk kar chala kare, 'saahb' had mein raha karein

Aakhein to dhundh hi leti hein pata koee na koee

Nazar ke waar se jawan dil aksar fisal jaate hein

Akhaan hi aakhaan wich oh waar kar gaye

Saadi maut da wadhiya hal tyaar kar gaye Main puchhiya ki koee sewa daso 'saahb' ji

Oh kehan lage maro, te bus aasin mar gaye

Aankhein yaar ki peete aur kitni der tak Saaki tujhse kiya waada bhi nibhaana tha

Masjid mein ghum rahi hein shekh ki nigaahein

Aakhein puchh rahi hein woh nahin aaye woh nahin aaye

Aankhon ko sabar ki patti bhi padhaya kijiye

Har waqt sajishein qatal ki achhi baat nahin hai

Aakhein imtihaan ki maari hein meri Azmayishein teri jaan le ke chhodengi

Page 22: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 21

Qatal ki wajah aapki aankhein kaise likhein

Uljhan mein daroga hai, aapka naam kaise likhein

Aakhon se musalsal jhadiyaan baarish ki 'saahb'

Tum kehte ho tumhe dekhoon tumhaara khyaal dekhoon

Aankhon ki wajah se huyee hein na jaane kitni jung

Talwaar bhi banti hein, yun dua ke liye banayee thi

Sakoon e dil aur mohabbat ki baatein Kis zamaane ki baat le baithey ho ‘saahb’

Sakoon e dil kho gaya hai, wohi dhundhte hein 'saahb' Mohabbat mein nahin mohabbat ki baaton mein maza hai

Dehiye to aankhein band karke yahi kahin honge

Jo nazar nahin aate 'saahb' aksar dil mein hote hein

Wajahat to waqt paida kar deta hai mere dost

Bewafayee kissi ki tabyat mein nahin hoti

Sarai nahin hai dil mera jo rehne aa gaye Is ghar mein koee aur hai, koee aur ghar dekhiye

Page 23: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 22

Maashre se keh do ki charcha na kare unka

Ruswa hota hai woh, badnaam hum hote hein

Dil ko nikalte hein aur bhi raaste 'saahb'

Aankhein to yun bhi mohabbat band kar deti hai

Dard ko bhi bech daala unhone sher bana ke Mohabbat bhi ki hai 'saahb' ne karobaar ki tarah

Band kar do is dil ki sun na aaj abhi se 'Saahb' Itni si cheez hai dar badar liye phirti hai

Ro hi to raha hai mara to nahin

Band karo yeh cheekh o puaakar Woh bechain hote hein ‘saahb’

Koee hum karein yeh sheeshe o pather ka tajurba phir se Keh do ja ke 'saahb' mohabbat baar baar nahin hua karti

Aaj bhi zinda rakhe hein kissi ki yaad ko

Ehsaan chuka rahe hein zinda chhodne ka

Faakakashi hai fakeeron ke paas

Yeh gum ki rotiyaan kisko baante

Ankhon mein bhi tabasum hua karti hai Log muskura dete hein use dekhkar

Page 24: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 23

Milne ki khushi aur bichhadne ka gum

Yahi khubiyaan 'saahb' tumhe insaan karti hein

Aankhon se chhupa lena woh raaz 'saahb'

Inhe dard chhupana nahin aata, ro padengi

Mera wajood hi hila ke chala gaya woh

Mujhe aankhein dikha ke chala gaya woh

Aankhon bina baat ke achanak rone lagi Dil ki to aapse dushmani thehri

Khuli botlein hein shehar mein ghum rahi Aankhon mein maikada hai jawan haseeno ke

Aankhein badal gaye apne hi shehar ke log

Ilzaam hai udhaar mujh per, chukayein kaise

Aankhein na pher mujhse yun nazar mila

Mohabbat ko gunah na samjh kareeb aa Guftgu to auron ke liye rakhi hai humne

Tadap rahe hein hum bhi seene se laga

Kamzarf nikle kabil e bardashat nahin

E bhai chal uth zara hosh mein aa

Aanekhin nahin yeh bala hein koee

Jisko lag jaati hai bus lag jaati hein

Page 25: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 24

Sailaab guzar jaate hein bastiyaan ujaad kar ‘saahb’

Yahaan ek jheel hai aankhein khud ujad rahi hein

Ab main samjhi ki kyon jheel kaha karta tha

woh meri aankhon ko

Kaayee si jam gayee hein,

paani si thehar gayee hein,

khud hi mein doob gayee hein

Saroor e nazar abhi tak nahin utra 'saahb' Usne aakhein samet li, palkon mein baandh kar

Aankhein to aankhein hein kissi ki bhi hon

Yeh mujasma kudrat ko kaabil e shukar banata hai

Aankhein nahin rootha karti 'saahb'

Yeh ana ki baaton se mehroom hoti hein

Aankhon ne sikhaya hai adab poori duniya ko Inhone bachpane se bazurgi ka safar kiya hai

Ro dena to ab shauq bana liya hai aapne

Hummaari aakhein ab aapke dard se nam nahin hoti

Aankhein tadap gayee tere jalwe dekhkar

Jawani bhi kya kya gunaah karwa deti hai

Page 26: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 25

Aankhin nahin kehti kissi se ek baat bhi

Inhi pe shayron ne deewan per deewan keh diye

Aankhon se kahin guftgu ki koshish na karna

Seene se lagaane ki baat kuchh aur hai 'saahb'

Aankhein badi nemat hein, bacha ke rakhiye

Yeh woh hathyaar hai jo khudi ko maar daale

Aankhon ne meri kya kya dekhe hein manzar Isi zameen per sarhadein khinchtey dekha hai

Aankhon ne khaaye hein na jaane kitne dhokhe Waade kar ke chale jaate hein log is masoom se

Fareb hote hein aajkal shehar mein bade bade

Aankhon ke bhes mein chor ghum rahe hein

Aankh bhar aayee hai meri tere khyaal se

Nahin nahin tum nahin tum chain se so jayo

Pareshaani dil ki aankh mein utar aayee hai Ghar ke bhedi ne raaz khol diye, kya karoon

Page 27: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 26

Sehar huyee to aankhein gustaakh ho gayee

Tumhe uthna hai to utho, humein aur sona hai

Mera wohi sawal teri wohi nahin nahin

Humaare siwa yeh duniya badal gayee

Woh aaye is tarah ki koee baat khaas puchhni thi Hum bhi utawale huye magar woh phir khamosh hi reh gaya

Wajah kya hai unke kalaam ki na puchhiye Dard ki baat mat chhediye, dara ka maza lijiye

Duniya mein kuchh bhi besabas nahin hota

Meri mohabbat ki bhi wajah hai, tum!

Saahil per nazar rakhi aur safeena tufaan mein

Humne yun zindgi ki hai koee bhi rashak karega

Saahil per nazar rakhi aur safeena tufaan mein

Humne yun zindgi ki hai 'saahb' koee bhi jal mare

Page 28: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 27

Jinke alfaazon ki muntzir yeh kaynaat hai

Woh puchh rahe hein kya ab kuchh kahoon?

Chiraag e mohabbat hai bujhne ko, tez roshan hai

Keh bhi do kuchh mere haal per, ek aakhiri baar

Thokarein to ek sharat thi mohabbat ki sharton mein

Yeh karaarnaama shayad theek se padha nahin aapne

Thokar se ghabra ke mohabbat tarak nahin karte Maut bhi aa jaye 'saahb' deewana aah nahin karte

Aahein bharna woh bhi ek thokar pe Abhi seekh raho, adab mohabbat ke

Thokar ne aapko thokar di magar yeh bhi to socho

Na jaane kiska khuda thukra diya hai tumne 'saahb'

Yahi pather dair o haram mein rakha jayega khuda keh ke

Kya kaha kuchh guzra tha kabhi, ‘saahb’ pata nahin

Maine to bus azal se tumhi ko dekha hai, aur kuchh nahi

Zindgi aazmaati hi reh jayegi unko

Jinke haunsle buland hote hein

Imithaan ko imtihaan nahin samjhate

Page 29: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 28

Chahte hum jo kuchh bhi aur tumhaare siwa

Sach maaniye ‘saahb’ ki kab ke mar gaye hote

Daulat zamaane bhar ki laga do ek taraf

Dekh lena mohabbat phir bhi jeet jayegi

Daulat e ishaq kama li hai humne do hi palon mein

Ek jab tumne aankh uthayee, duja jab jhuka li thi

Mehsoos nahin hota ki gum bhi ab to kissi ke jaane ka

Yeh kaisa pather kar gaye ho mere masoom dil ko

Woh humin se puchh rahe hein tareef ke alfaaz bhi

Main jhuka jaata hoon sharm se kehdo kuchh khaas nahin

Maan lijiye ki meri jagah hote aap, aapki jagah main Oho ab kya kahoon, kya kahoon main, ab yeh maan kar

Waqt ka na puchhiye kya haal hai in dino

Uske saath tez chalta hai uske bina dheere

Meri tarah goya yeh bhi deewana ho gaya hai

Jiske liye jaan nikal gayee deewane ki

Haath jhaad ke chal diye, Tafteesh mein bhi naam na aa jaye kahin

Kis rishte per aitbaar karein ab 'saahb'

Tumhaari ana ne humaara dil khatta kar diya

Yeh gintiyaan kar lijiye jitni karni hai 'saahb'

Sehar hone se pehle farishtey aapko le jayenge

Page 30: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 29

Tamasha khud ka banaya na kijiye you sar e mehfil

// Ek baar deewane ki cheekh pukaar se pehle muskura do

Woh puchhtey hein bahaana koee maut ka batayiye

Maine kaha mohababt se badhkar koee baat nahin

Mere bus mein nahin hai yeh rishton ki rasmein

Sirf jodna aata hai 'saahb' ko todna seekha nahin

Hanso na yun deewane ki deewangi pe Yeh rog yun hi fael jaata hai 'saahb'

Aur sikha do unko gunaah ki baatein Kisi muslmaan ko mulmaan na rehne dena

Unko manzoor nahin kuchh khilaaf keh doon unke

Woh tunak jaate hein jo rakeeb ko rakeeb bhi keh doon

Kisse yun hi nahin ban jaya karte charcha ka mudda

Kuchh to wajah hoti hai mohabbat ki dastaan mein

Milkar bhi nahin milte hein kuchh log yahaan Haath mila lete hein nazar chura lete hein

Page 31: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 30

Mohabbat ko jazab nahin kar saka zamaana jab

Ibaadat ki cheez ko kufar ka darja de baitha

Sard raaton mein badi ajeeb si thundak thi

Meri aahon mein maano saari kaynaat doob gayee

Sulag uthi hein saanse meri unke khyaal per

Woh kahin khud aa jayein to jal marein hum

Hansi mein uda diya usne har khyaal mera Main mohabbat ki aad mein maara gaya

Misaal ban gaye hein kuchh kisse Log kissi ki maut ka maza lete hein

Wajah ban gayee maut ki 'saahb'

Mohabbat ko abhi paak kehte ho?

Yeh teergi dil se na jaygi kissi tarah

Tere jaane ke baad yeh chiraag bujh gaya hai

Taaza dum ho lein zara chain ki saans lein Jis se ajaad hokar mohabbat se chhoot gaya hoon

Page 32: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 31

Kis ki taraf hai aaj yeh reham o karam

Sanwar bhi rahe ho gunguna bhi rahe ho

Aaeene dekh kar sanwarna ada hai unki

Unki bala se koee aankh pyaasi mar jaye

Churaa ke mera dil woh kitne ameer ho gaye honge

Dekh rahe hein humko naak unchi nazar neechi kar ke

Jhaankta kaun haiin dareechon se dhup ke tarah Garmahat utarti hai rooh mein ek nazar se unki

Woh khyaal hai ya khushbu

Khud ko reza reza kar diya

Nahin mila nahin nikla

Mujhe Nahin maloom ki woh mera kya hai magar

Dil sa zehan sa saanson sa zindgi sa zaruri hai

Mere haal per usne ek sher likha hai, sunayun Allah hafiz, alvida, nek rooh ko taskeen ho

Maar daala uski aazmayish ne humein

Mazak hi mazak mein jaan chali gayee

Mita do mere shauq ki har shai duniya se

Unse shuru karo, mere dil se nikaal do

Page 33: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 32

Badnaam kar ke rakh diya dair o haram ko

Mohabbat ne nakoos o ajaan ko deewana kiya

Hum nahin ek akele tere sitam ke shikaar

Mujhse pehle bhi kissi se milta raha hai tu

Zabardasti mohabbat nahin karwa sakte kissi se

Yeh dil ki baat hai, kushti ka akhaada nahin hai

Nahin aarzoo ki har pal tu hi tu ho magar Tamaam umar ho aur ek pal to ho ki tu ho

Mujhe kya duniya tujhi ko pakdegi

Humaari chhat hai keh denge So rahe they hum

Mere hosh o hawas bhi le gaye woh saath

Jaate jaate udhaar bhi waapis na kiya

Maar daalo haan haan maar daalo mere deewane ko

Phir mujhe bhi maar daalna, tumhaara khuda khush hoga

Qatal hua hai laash maujood hai aur kaatil bhi Gawah nahin gawahi nahin, waardaat jhuthi pad gayee

Page 34: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 33

Woh unke nishaan e qadam dhundh rahe hein

Maine marte marte khud yeh saboot mita diya

Zakham per zakham aur dawa per dawa Usne mujh per tajurbe jaari rakhe

Phulon se keh do bahaar ka mausam ab nahin

Jiske liye khila karte they, woh chale gaye

Mere paas ab bacha hi kya hai jo ginu

Ek teri tasweer chand aansoo hein

Mujhe abhi ke abhi maar daalo jo ho sake to Mareez e mohabbat hoon beemaari sa fael jaunga

Sojish e dil badh gayee hai had ke paar Seena phat jayega jo aaj raat jaan na nikli

Shayad mere dil ko manzoor nahin tha jhukna

Usne iqraar ki sharat rakhi maine inqaar kar diya

Daur e ishaq chala der tak mehfil mein 'saahb'

Ek ne mohabbat kaha, sau afsaane yaad aa gaye

Mohabbat ki baat per yun roya nahin jaata Yahi kam nahin hai ki deewana maan liya gaya hai

Page 35: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 34

Aakhir hua hi kya hai tumhaare sath, sirf ek dhokha

Inti si baat pe ab kya asmaan sar pe utha loge

Badla lene nikal pade hein woh ghar se Kissi ne keh diya hai unse

Maine khud ko deewana ghoshit kar diya

Khuda kasam maine nahin bataya kissi ko Tujhe hi dekh liya hoga

Meri qabar per aate jaate kissi ne

Jo kaam jeete ji na hua mar ke ho gaya Woh milne aayein hein dekhiye meri laash se

Khuda ke naam per hi sahi itna karam kar de Haath nahin dil nahin saans nahin nazar to mila

Yeh nahin thi meri kismat ki tu hota

Khyaal o tasavur aah o intezaar hein

Hoti hai zindgi mein yeh khata bhi ek baar

Jaise bhi ho badi haseen galti hoti hai

Bik jaati hein dil ki hasrtein ek khaab ki tabeer mein In aankhon ko kya pata kya keemar chukaate hein hum khaab ki

Page 36: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 35

Usne khareed liya saara shehar 'saahb'

Laga kya, uski ek nazar bhi nahin

Kiske raaste mein phul bichha rahe ho 'saahb'

Chaandni khud bichhtai hai hawa ke per lage hein

Kiske raaste mein phul bichha rahe ho 'saahb'

Unke liye zameen khud hawa ban jaati hai

Nahin dekhte woh hisaab waqt ka aate huye Baithte baithtey keh dete hein jaldi hai jaana hai

Khuda kisko yaad rehta hai us waqt mere dost Mere aangan mein bachpan jab khul ke hansta hai

Kisse wafayon ke sab bhul jayiye ab to 'saahb'

Nayee rasamon ko wafa gunaah hai kufar hai

Sitam zindgi ke aur kab tak sahein

Koee pakda de haath ya jaan pakad le

Unhe kya zarurat ki lafz khud ke zaya karein Jinki tareef mein saari mehfil kalaam padhti hai

Page 37: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 36

Usne apni nazar ko hathyaar bana liya hai

Jab chahein jis se chahein tareef pa lete hein

Zikar e mohabbat hai haawi hota mehfil per

Aahein bhar bhar ke deewano ke ek aag laga di hai

Tammana e gunaah lekar aayein hein sabhi zindgi mein Yeh kufar yeh gunaah e mohabbat sabhi karte hein

Rakhe hai intezaar mein 'saahb' woh shaam o sehar ko Kabhi kabhi barsaat bhi bandh leta hai bheege gaisuyon mein

Utaar fenkiye saaye dhup o chaanv ke is safar mein Yeh chaandni raatein hein yahaan saaye se bhi daro

Yeh chaandni raate hein saaye saath kar dengi

Milte waqt usko zara raazdaari ka khyaal rakhna

Lagti hai jab to ek sa dard hota hai

Chot ameer gareeb ka farak nahin dekhti

Jala do yeh deewaan saare aur mehfilein band karo Koee samjhayo unke mera haq mere hawale karo

Baat bigad na jaye kahin to khyaal rahe Dil ki zubaan per bharosa karne se pehle

Zehan se bhi zara mashwara kar lena

Yeh mausam e baarish aur sardi ke din

Kya yun hi kharch ho jayenge yeh haseen pal

Mujhe teri tarah aata gar baatein banana

Tujhse zyaada log mere talabgaar hote

Page 38: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 37

Haadsa samjh ke hi sahi bhul ja Main samjha raha hoon dil ko

Kaafile chalte hi gaye jaanibe manzil

Kissi ne yeh nahin dekha

Chala kaun tha saath kaun hai pahunchega kaun

Woh dil o jaan dene ko tyaar baithey they 'Saahb' ne maangi to bus ek nazar maangi

Tere chehre per yeh raunk kaisi aa rahi hai

Zikar e mohababt se shekh tujhe kya waasta

Dil ki har hasrat sogwaar hai jaane kyon

Badla to tu hai phir mujhe hua kya hai

Meri har iltiza usne yeh keh ke thukra di

Jo nazar ko pasand nahin dil ko pasand nahin

Mere hote na hote 'saahb' kissi ke to hote Hum isi mein khush hote jo tum hi khush hote

Fikar e dil mujhe behka raha hai 'saahb'

Hadtaal hai iski, dhadkano ko firauti chahiye

Yun to aur bhi bade haseen dekhe hein humne magar

Jo dil ko teri nazar se hua hai, pehle hua nahin

Page 39: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 38

Dil ki pareshaaniyaa yeh nahin ki tu bewafa hai 'saahb'

Kasak yeh ki haal puchhtey hein log ab afsos karte hein

Samjhaane aaye logon se humne kaha

Keh rahe hein aap sach hai magar

Jo usko bewafa bata rahe hein 'saahb' achhi baat nahin

Tameer e khaab raat bhar hoti rahi neend mein

Sehar ki saba se ret ke mahal bikhar gaye

Maan kar unko main pachhtaya bahut 'Saahb' Ek nazar ki baaton mein dagabaazi zer thi

Der kyon lag rahi hai unko, pata karo, keh do unse

Wafa ki kasam maine khaayee hai saanson ne nahin

Ek alag hi tajurba rahi hai mohabbat bhi

Kehte kuchh hein sunte kuchh hein hoti kuchh hai

Salaahein dene waale mile humko sau do sau

Ek bhi dil dene ki baat karta jaan bach jaati

Wada nahin tera yeh ki lautega tu, woh bhi mere liye

Mujhe bhi wafa ki umeed fizool hogi, hum abhi marte hein

Dono hi bewafa ho gaye apni apni majboori ko Weham reh gaya mohabbat kabhi bhulti nahin hai

Page 40: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 39

Mile barson baad dono to mile bewafa hokar

Yaad aa to gaya magar muskura ke waada bhul gaye

Kitne ajeeb se they woh pal 'saahb' Main jaanta tha ki bana raha hai mujhe

Aur har waade per main sar hilaata gaya

Wajah meri zindgi ki yeh ban gayee hein

Teri yaadein ab saanson se kam nahin hein

Unko soya dekha aapne yeh kya gunaah kiya Mohabbat se hi mohabbat ki chori tauba tauba

Ghar se makaan reh gaya, shehar shamshaan reh gaya

Tere jaane ke baad itna sa badlaaw aaya hai

Rooh nikal gayee, jism veeraan reh gaya

Is veerane ko ab teri bhi zarurat nahin

Dil pather ho gaya ab gunjayish nahin

Nazar ke gunaah ko naam mohabbat de diya

Yeh ijaad kissi diljale ki rahi hogi

Dair o haram se bach ke 'saahb'

Paigaam mohabbat hai kaam qatal inka

Meri nazar chali gayee tere intezaar mein

Ab mujhe kya libaas pehno nahin pehno tum

Woh mujhe dekhkar hi raasta badal lete hein

Jaan bhul gaye hein' pehchaan nahin bhule

Page 41: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 40

'Saahb' ne jabse ishaq ka naam ratna shuru kiya hai

Log samjha samjha ke thak gaye hein, yeh sabak nahin/2

Tamashayee ban ke reh gayee mehfil unki 'saahb'

Kissi ne roka nahin unki nazar ko, bijli ban ke giri

Marne se dar unhi ko lagta hai 'saahb'

Jo mohabbat ki baat karte hein, dagabaaz hokar

Baatein aur unse tauba kijiye 'saahb' Khuda ki ibaadat mein yaraana nahin hota

Mere dil mein kya nahin hota 'saahb' Ismein tum bhi mere ho gaye ho

Patheron ki baatein beech mein kyon le aaye

Nazuk sa zikar tha mohabbat ka seham gaya hai

Zindgi ka kya bharosa kab chhut jaye

Kaise tumhe zindgi keh doon 'saahb'

Abhi tak halka halka sa ehsaas hai Ek muddat ho gayee tumhe mera hath chhode

Page 42: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 41

Mere dil ko saraye bana rakha hai usne

Gum o ashak o yaadein mehmaan bitha rakhe hein

Zindgi ek musafir ki aur kya hogi

Raaste hi raaste hein raaston per 'saahb'

Bik gaye woh bhi aaj humaare liye

Mere armaano ne qurbaani de di

Aag kyon kehte ho unko, ‘saahb’ unke husn ko Shabnam ki boondein hai, phulon ki khushbu hai

Sada de ke rok le use, woh ja raha hai ‘saahb’ Oh ho kya karoon ab yeh dil meri nahin sunta

Khudkashi ka ek tareeka mohabbat bhi hai

Khud na mare 'saahb' to duniya maar deti hai

Kahaan rehte ho aajkal nazar nahin aate

Aur kab tak is mazaar mein chhupe rahoge

Nahin tumko pasand to na sahi 'saahb' Mohabbat mein ishaq ko jhukna hi padta hai

Page 43: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 42

Jalaye jaate hein yahaan dafnaye jaate hein

Dil mein isi tarah armaan basaye jaate hein

Woh kahega kabhi baat dil ki aapko bhul jao Kabhi aapse yeh himmat hogi 'saahb' bhul jao

Chhup chhup ke gunaah hote hein mohabbat nahin

Dil ki baatein nazar ke zor per khuleaam hoti hai

Maut tak wafa?

Mohabbat ne shayad Akal ko maar daala

Wafa ki baatein aur is waqt mein Jaago 'saahb' yeh woh daur nahin hai

Zid hai bachon si aur kya hai mohbbat

Woh maang rahe ho jo mil nahin sakta

Sahaare kiske waaste maang rahe ho mohabbat se

Yeh khud use dhundh rahi hai jo sahaara de sake

Jeet kar bhi woh mayus se lagte hein Mera dil unhein bhi udaas kar gaya hai

Page 44: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 43

Chahat se mehroom hi rahi meri hayat'saahb'

Dua mohabbat ki maangi thi, dil se bhi gaye

Shuru nahin hoti ‘saahb’ kissi tarah kahaani meri

Kirdaar bhi hein mohbbat bhi bus tum haan kardo

Dikhawe ki nahin jeena chahta main 'saahb'

Tere raaz ko maine, yeh mukhota odha liya hai

Shaam gehraane lagi hai shab se mil rahi hai Mujhe kya 'saahb' jo tum nahin to mujhe kya

Shehar e mohabbat mein kaun wafadaar hua hai EK gunaah ke baad duja gunaah zaruri samjha gaya

Chehra kitna dushwaar hai uska padhne mein

Naam dhundhta hoon apna kahin milta hi nahin

Itna sanwra kar usne is kadar aaeena dekha

Rakeeb humko humaara woh khud hi lagne laga

Dil ko yun na chhediye 'saahb' badtameez hai Mujhe deewana kehta hai aapko paagal kahega

Page 45: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 44

E samjhaane waale teri har baat sahi hai

Siway iske ki unhe bewafa jo keh raha hai

Har waqt ki ek muskurahat hontho per rehne lagi hai

Yaar puchhne lage hein, kaun hai woh kahaan rehti hai

Pehli mohabbat ka ehsaas gehra raha mujh per

Log puchh rahe hein koee khushi ki baat hai!!

Dil ki sabhi baatein jhuth nikli 'saahb' Wafa mohabbat aarzoo tammana aur tum

Ghabra ke dil ne kaha bus itna hi waqt tha 'saahb' ka Ab intezaar na kijiye, zinda hai? chhodiye dafan kijiye

Waqt e mohabbat guzar chuka hai 'saahb' maan bhi lo

Pukaar rahe ho jise woh lautega magar nayee pehchaan mein

Nahin mere haunsle ke woh mukaam aaye abhi

Teri gali tak aa jaate hein, ghar bhi aayenge kabhi

Yeh ashak nahin moti hein sambhaal ke rakha karo Daualt hai dil ki, yun fizoolkharchi theek nahin

Page 46: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 45

Awaara ho gayee hai teri talaash mein nazar meri Dekh rahi hai kissi ki zulf kissi ka shaana,

Kissi ki surat tera bahaana karke

Sardiyon ke din achhe hein aur raatein bhi

Woh haath pakad lete hein garmaane ko

Suljhaate nahin hein masle woh pyaar ke mohabbat se

Jab dekhiye shikwa hai shikayat hai talkhiyaan hein

Zaruratein mohabbat ki hein thoda muskura ke boliye Har waqt ka ruthna ‘saahb’ kahin tajurba talkh na ban jaye

Labhdi nahin oh 'saahb' jisnu dil labh reha

Labh jawe taan labhiye dil nahin labh reha

Roohon ka khel hai mohabbat, apne bus ki baat nahin

Yeh woh raaz jisko ya khuda samjhe, ya koee samjhe nahin

Baahon mein lekar kab tak zindgi guzregi

Mohabbat ki ek zarurat rozgaar bhi hai

Jaane do jaane waale ko roko mat 'saahb'

Zabardasti se mohabbat ka rishta nahin banta

Khud ko samjh ek bhi baat nahin aayee unki 'saahb'

Yun samjha rahe hein kabhi dil kabhi nazar ko hum

Behkaawe mein aa gaye hein woh jaane kiske

Mujhi se puchh rahe hein bewfa hone ko ji karta hai

Page 47: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 46

Khamosh kyon hein woh kuchh kehte kyon nahin

Vaid g mujhe chhodiye pehle unko dawa dijiye

Awal aana door paas bhi nahin hote

Bade mushkil ishaq ke imtihaan hein

Qareeb aane ko usne bahaana bana liya

Ek kaanta apne haath mein daba liya

Kehlwaa do kissi ke zariye unse haal e dil Mere haalaat ab yeh nahin ki khud ja sakoon

Furkat ke lamhe kaate nahin kat te Yeh mohababt badi jaanlewa nikla

Surkh lab uske mujhe behkaane lage

Main khudkashi na karta to khata kar baithta

Khud ko maaf nahin kiya maine us khata ke liye

Teri mohabbat ki saza humne umar bhar kaati

Pather ki kismat badal gayee, dair o haram mein Thokar mein rehna waala, yahaan aa ke khuda ho gaya

Page 48: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 47

Kasam khaayee hai hawaon ne meri barbaadi ki

Kabhi unka naqab udaati hai kabhi zulf kabhi libaas

Shehar bhar mein woh samjhaane niklein hein haath jod ke

Chunaaw ke mausam mein gidh se kabootar ban jaate hein

Woh dil le gaye they mera chheen kar nazar se

Vaid g marz puchh rahe hein waardaat huyee hai

Usne kaynaat ko apni taraf kar liya hai 'saahb' Phulon ko chhod ke bhanwre unke chakkar mein pad gaye

Mera hawala de ke log tera charcha karte hein Kis kadar dabdaba hai tera, kis kada lor darte hein

Mohabbat ko bhi hathyaar bana lete hein kuchh log

Yeh paakiza cheez hai, 'saahb' badnaam hoti hai

Error aa jaata jo program likhta hoon mohabbat ka

Teri control statement per yeh loop nahin lagta

Rakhoon kaise is mohabbat ke program ko error free Mere pointer toot jaate hein teri nazar dekh kar

Page 49: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 48

Filein mohabbat ki usne delete ki so ki

Jaane kya sochkar mera dil format kar diya

Meri hard disk crash yun nahin hoti 'saahb'

Teri mohababt ka virus bada tez nikla

Woh samjha rahe hein dil bikta nahin Main kehta hoon tumhe,

haar baat mein kaarobaar nazar aata hai

Woh samjhata nahin yeh baatein batayee nahin jaati 'Saahb' Vaid g mujhse mera marz puchh rahe hein

Jab se suna majboori ke naam per jayaz hai

'Saahb' Saara shehar majboor ho gaya Itna badha kufar mohabbat mein mere dost

Khuda khud saja ko majboor ho gaya

Jo fitratan dagabaaz hote hein 'saahb' Un per naseehton ka asar nahin hota

Taameer e khaab ki raat bhar, ki taabeer hogi Haif ki sehar to huyee humein na huyee 'saahb'

Jee se gaye jaan se gaye 'saahb'

Ek mohbbat ne toofan macha diya

Mareez ki haalat bigad rahi hai din b din Hawa mein likhta hai kuchh phir mita deta hai

Page 50: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 49

Sikha do taur unko mohabbat ke Aahein sard rakhiye,

Zakham chahe garam kitna ho

Sambhalo khud ko is ajaab se pehle

Mohabbat ki nazar na lag jaye kahin

Lafzon ka khel hai, shayron ka, mohabbat

Jo samjhiye to siway janoon kuchh nahin

Rakas karti hawayein jo unhe chhoo gayee Woh aur bhi nikhar gaye, mohabbat ka lamha paakr

Parda kar ke jawani ke din yun hi guzaar diye Jo shai dikhaane ki thi, chhupa ke barbaad ki

Zubaan e dil ban gayee nazar

Main darta tha jis baat se

Kehne ki zarurat nahin padi

Chand sikke meri jeb se gir gaye kal achanak

Do bache lad pade, mujhko main gunahgaar sa laga

Rahi chaaron taraf uski hi khushbu Mausam e khizaan bhi aa ke chali gayee

Page 51: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 50

Puraani baaton ka hawala ab na do 'saahb' bhul jao

Woh waqt janoon ka tha mohabbat ka tha jawani ka tha

Samjho fikar zara meri bhi yun jhunjhlaate kyon ho

Tumko der ho rahi hai 'saahb', humaari to jaan jaati hai

Na jaane kya aaya unke dil mein 'saahb'

Bole thoda rutho tum, hum mana ke dekhenge

Shab o sehar guzar gaye intezaar mein Goya mujhko yahi haasil e mohabbat hai

Jurm nazar ka saza dil ki mohabbat Karta koee hai guzrati kissi aur per hai

Chehra unka kissi mareez ki zard nazar sa tha Aur nazar usi mareez ki dabti nabaz ‘saahb’

Sirf mohabbat hi zindgi ka baees nahin hai Is masoom si jaan ko aur bhi marz hua karte hein

Shayron ne jawano ko aashik to keh diya magar

Watan o maan baap ko bhi kuchh farz hua karte hein Yun na behkayiye mere watan ke naujawano ko

Mohabbat ke ilaawa bhi kuchh dard hua karte hein

Mohabbat ki baat chali to nazarein chamak uthi

Woh aahein chhod kar hungaara bharne lage

Page 52: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 51

Teri nazar se badhkar mujhko kya hoga Marte ko zindgi hai ‘saahb’ bhukhe ko khaana

Aaj bhi wafa hua karti hai yakeen karo

Kuchh log aaj bhi khudkashi kiya karte hein

Jhuth kis baat per bolna pada mujhko?

Tafteesh mein mujhe tera naam puchha gaya!!

Jo bhul jaate hein mohabbat nahin karte

Mohabbat karne waale shikwa nahin karte

Yeh mohabbat ke nagmein yeh husn ki gazlein gaane waalo Kya siwaye mohabbat yeh jawani kissi kaam nahin aa sakti ??

Utar jaane do mohabbat ka nasha zara jawani guzar jaye, phir puchhenge Naaye nayee hai pehli pehli hai, zara puraani ho jaye, phir puchhenge

Badal jaate hein lamhein lamhon mein

Waada umar bhar ka tum kaise kar lete ho

Waqt e jawani dhal raha hai 'saahb'

Woh muskuraane lage hein, muskurahat ke jawab mein

Simat ke reh gayee kaynaat apni hi baahon mein Aapko jakad na saki to aapka saya jakad liya

Page 53: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 52

Kaynaat se puchhiye ki uski raza kya hai

Woh daawe se keh dete hein, mujhse badhkar nahin

Nahin kaynaat per zor unke siwa kissi ka

Mausam badal dete hein woh jooda khol ke

Kaynaat bhi unki hi sawali hai 'saahb' Mausam badlta hai jab woh

Jeene waale ji gaye zindgi apni marzi se Kuchh log kismat ko koste hi reh gaye

Yeh maana ki unko kuchh bhi kehna fizool hai Dil phir bhi dil hai naseehat se baaz nahin

Yaad tabhi tak rehte hein jaane waale

Unki jagah jab tak zarurtein nahin le leti

Waqt se badhkar koee marhum nahin dekhi

Unki yaad bhi ab nahin aati Jinke bina lagat tha ji nahin sakenge

Kis tarah kissi ko dil dijiye 'saahb'

Itni si cheez ke liye kya bharosa kijiye

Sab kehte hein ki dil dijiye jaan dijiye

Main samjhta hoon ho sake to rishton ko Sabse pehle 'saahb' thoda sa waqt dijiye

Dil o jaan ke bina bhi shayad mohabbat reh jayegi

Page 54: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 53

Jo rishton ko waqt na mila, shikwa o shikayat hai

Tere bina zindgi ki hasrat kya karein

Bina dhadkan dil ka waali kaun hoga

Khuda ka shukar kijiye insaan huye

Aashik ki jaat hai shaitaan ki jaat

Beete huye lamhon ki kasak bani rehti hai Waqt marhum karta hai, bhula nahin karta

Marhum waqt ki bhi mita na saki Yun jalan dil ki, ab dab si gayee hai

Zindgi unke hawale kar di maine yeh sochkar

Zyaada se zyaada jaan lenge,

Kya khabar thi 'saahb' yun jeena padega

Dil ki sunkar zehan ko takleef na de

Thoda thehar yeh khud badal jayega

Zindgi jeete ji itni haseen na thi mere dost Woh roye hein aaj itna, ki maza aa gaya

Page 55: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 54

Sawera hota nahin ab to yun lagta hai Shab ke baad shab hai, hijar se bhari

Dil ke behkaawe mein aa ke bigad gaye

'Saahb' jawan hona maano gunaah ho gaya

Sehar ki roshni ab naseeb kahaan humko

Ishaq ka safar shab se shab tak hota hai

Mohabbat ko ruswayee na samjh, zindgi hai yeh

Yeh rehmatein kismat waalon ko milti hein

Jo na khaab dekhti aankhein to kya hota Shayad aaj bhi pathron ka yug hua hota

Pakeeza kaun hai yahaan ek naam keh do Kaun hai jiska naam zubaan per sheerin ban jaye

Mil gaye hein kaise hum ek dusre ko 'saahb'

Na main is dil ko samjha paata hoon, na yeh mujhe

Nazaakat se unko yeh bhi nahin kar hota

Haath pakdta hoon, aah keh ke chhuda lete hein

Tarkeebein nikal hi aati hein 'saahb' guftgu se Jo rutha reh jaye koee to mana lena chahiye

Page 56: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 55

Button ki aad mein khuda ki hi to ibaadat hai 'saahb'

Khuda se kya hogi mohabbat jo khuda ki nawazish se nahin

Intezaar mein 'saahb' kya kya rang badle mere dil

Umeed gussa nafrat bewafayee mohabbat ikraar maafi

Jo jannat ka dil se weham nikal jaata

Shekh ji aap bhi khuda ke bande ban gaye hote

Ajaab e jeesat hai mohabbat ka naam Jo maut ke pehle maut hai yahi hai

Teri zulf ke saaye mein zindgi bahut haseen guzri Is chaanv ke baad ab hijar ki dhup aur kadi lagti hai

Teri seerat bhi dekhte gar mauka milta

Surat dikha ke tune hosh chheen liye they

Chand sikke aur zara si der ki keemti zarurtein

Usne ishaq bech diya, sahuliyat khareed li

Saath rehkar bhi bewafa ho jaate hein log Zarurtein zindgi ki mohabbat per bhari pad jaati hein

Page 57: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 56

Tareefan uski kuchh keh na dijiyega

Bigad jaata hai, nazar bhi lagane se

Yaad se badhkar koe marhum nahin mili mujhko Rona aa raha tha jee bhar ke,

Yaad aa gayee to khudi pe hansi bhi aa gayee

Deewaarein mazhum o kufar ki jahaan milti hein

Us sehar ka naam mohabbat hai, baashinde aashiq

Kuchh nahin badla tere jaane ke baad

Wohi bhaag daud hai wohi raftaar hai Kissi ko farak nahin pada 'saahb'

Tu chala gaya, main nahin raha

Raftaar e zindgi kayam hai apni jagah Is gaadi se tum utar gaye, aur chadh gaye

Mohabbat ki baat per dillagi kiya karte they

Woh din hawa huye jab hawa kiya karte they

Mohabbat ki baat per hum dillagi kiya karte they

Aur ashikon ko hans ke paagal keh diya karte they Jabse humne yeh shauq e ajaab e jeesat paala hai

Dekhiye to sahi yeh thokar mein kya lag raha hai Tukde tukde hein tasweer o sheeshe sa dil to nahin

Page 58: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 57

Aankhein meri barsi to khub, toofan na ban saki

Waqt guzrta gaya, dil badalta gaya, hansi laut aayee

Saza ke taur per usne mujhe zinda chhod diya

Theek bhi hai mohabbat koee chhota gunaah nahin hoti

Zid per aa gaya ishaq mera, inkaar kar baithey

Woh mohabbat per nahin, darja e deewane per raazi they

Is shajar ke saaye mein na baitha kijiye Mohabbat naam hai iska, raaste bhula deta hai

Kuchh bhi puchhiye na puchhiye ki zinda kaise bache

Woh shab aur shab ki veeraniya, phir se sahi na jayengi

Woh mera kitna khyaal rakhta tha, yeh ab jaana maine

Aksar jhagad ke unse 'karte hi kya ho' keh dete they

Majbooriyon ne bewafa kar diya ya

Bewafayee ne majboor kar diya

Asal baat yeh hai ki mohabbat mein Majboori bhi hai bewafayee bhi

Koee majboori se bewfa hua 'saahb'

Koee tabyat se majboor ho gaya

Neend e nazar ko kya majboori hai aakhir Tere jaane ke baad yeh bhi idhar nahin aati

Page 59: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 58

Galiyon mein teri itna raha aana jaana Shinakhat ke waqt sabhi samjhe, koee apna mar gaya

Jab kissi tarah na loot saka mujhko woh to uksaane laga

Baant ke dekh daulat gareebon, barkat hai aur barkat hogi

Lakeerein haath ki hon ya maathe ki, lakeerein hein

Tadbeerein karne se manzil hogi, lakeer peetne se gard

Bheeter se hi kuchh bewfa sa hai woh

Waadon mein uske wafa ki khushbu nahin aati

Utar aayee hein shikast ke dar ke saaye wajood mein Ab himmat ki baat nahin karte, taras karo fariyaad hai

Pardadaari ko aankhein jhuka lo, lab see lo Mushkil ho jayega nahin to sawalon ka jawab tumhe

Puchh lo zara yeh kissa kissi aur se bhi 'saahb'

Kabhi tumhaare hi saath to nahin hua, jo bhi hua

Shor o gul mehfil mein macha to khub magar

Faisla yeh ho saka, kissi per bardashat se zyaada guzri hai

Neendein kissi kaam nahin aati aashik ke

Khaab ki shab mein bhi khushi jagaye rakhti hai

Qaasid ke haath bhej diya paigaam e mohabbat

Gazab kiya 'saahb' ek rakeeb aur khada kiya

Page 60: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 59

Mar ke kya kaam aaye kissi ke 'saahb'

Ek but ke liye khuda ki cheez thukra di

Nazuk mizaj hein woh, haal kehna magar araam se Maatam pursi ki khabar dena magar yeh bhi keh dena

Deewana soya hai mazaar mein, chinta ki baat nahin

Zara gaur kijiye aankh mein kuchh gir gaya hoga

Jo ro rahi hai nazar, zaruri nahin mohabbat ho

Ragon mein mohabbat daudti hai lahoo nahin Meri jaan bachaani hai to tasweer o tasavur lao unka

Kya pata kal tum raho ya woh rahein Wasal ki baat mein hijar ki charcha kyon

Kaabil e gaur baat hai mohabbat ki bazam mein

Woh rulaana chahte hein, ro pado, khush honge

Raunak e mehfil ke saamne tareef kissi aur ki

Chiraag ko aftaab kehna 'saahb' kufar hai

Zindgi ke maze khub liye sohbat mein 'saahb' ne Jab mushkil waqt pada to kehne lage, jaana hai

Page 61: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 60

Utha liya jo kalam ko haath mein humne

Kaagaz per jaane kitne haadse bikhar gaye

Humse bura haal kaagaz ka hua 'saahb'

Jis per humne mohabbat ki dastaan likh di

Chiraag ki maanid jal utha woh wark

Tera naam likh ke kaagaz pe bhul ki

Mausam ko badnaam kar diya meri hasrton ne Chahtein dil ki thi ilzaam mausamon pe hai

Chhupta bhi raha woh dikhta bhi raha 'saahb' Dareechon se jhankta raha, kiwaad band karke

Chaand ko palkon mein band kar ke usne aankhein chura li

Kehta hai maine apne dushman ko asmaan se mita diya

Uski ek jhalak per fida hein yeh aankhein meri

Main kehta kuchh dikhta nahin, puchhti hein, zarurat kya hai

Zara nazar ke taur badal lo apne 'saahb' Wafa milegi zarur, gar tum wafa karoge

Page 62: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 61

Dikhta hai wohi jo hum dekhna chahte hein Jo wafa chahiye to pehle wafa karna sikhiye

Aankhon ko meri yeh kya ho gaya hai 'saahb'

Ek bewafa ko dekh kar shehar bewafa lagta hai

Teri taraf se mujhe koee ishara nahin 'saahb'

Apna nahin to na sahi, gair bhi nahin kaha tumne

Zikar e mohabbat jab jab bhi chala hai 'saahb' Mera zikar na ho to maza poora nahin hota

Badi der tak woh sar apna deewar per maarte rahe

Maine bus itna hi puchha tha, tumko mohabbat hai?

Lamhein yun hi sadiyon ka dard ban jaate hai Nazar pehli jo dil ko qatal karde 'saahb'

Samay per baat na kar sake unse, yahi khalish rahi Un palon ki bebsi ne mujhe, umar bhar naatwaan rakha

Lagayo na dil ko yun kissi se ki, Kahin aur na lage

Yeh woh jagah hai yahaan har hasrat ka apna mukaam hai

Na qatal kar hasrton ka ek kaatil ke liye

Woh sitamgar sahi, tu to mohabbat waala hai

Reja reja har hasrat hai meri 'saahb' Badi tez talwaar unki nazar chali hai

Page 63: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 62

Usne apni aakhon se woh kar dikhaya

Jo hum aah o naale bharkar bhi na kar sake

Logon ki puchhtaash se mohabbat ko kam na kar

Yun deewana ho ja ki log deewane ho jayein

Kaam nahin kuchh aur to tafteesh hi sahi

Yeh kufar nahin logon ki aadat hai 'saahb'

Nikaal fenko use dil se abhi ke abhi Khyaal aaya hai bichhad gaye to kya hoga

Is tarah ke khyaal kyon aate hein nahin maaloom Woh aagosh mein hota hai, dil sehar ko kosta hai

Mohabbat? ek sawal mehfil mein Khamoshi! ek jawab mehil mein

Deewana pan..

Deewaaron pe sar patakte aashik.. Mohabbat ki dastaan!!! mehil mein

Aji shukar kijiue ki chhod gaye mehngaayee mein

Abhi to sirg quaan hai, nahin to girte khayee mein Riwayat ke mutabik, do aap aur do aapke bhi hote

Ab akeli jaan hai, kaise sote chaar ek rajayee mein

Shehar bhar mein yahi baat aam ho chali hai

Teri taraf se guzarne waale

Aksar laut kar nahi aate

Kitaabi ishaq padhkar woh ashik ho gaye Jab imtihaan pada, khuda tauba bol pade

Page 64: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 63

Mar jayiye jo marne ka shauq chadha hai

Ilzaam kissi haseen per? kufar hai kufar hai

Surat se nahin seerat se samjhiye unko

Jannat se badhkar mohabbat maza degi

Saath nahin chalte woh 'saahb' jab waqt padta hai

Daawe mohabbat ke kar jaate hein jab waqt milta hai

Jaise tum mile waise woh mile Haath done ke mile, dil na mile

Chor bhi kaha use bewafa sitamgar bhi aapne Main hairaan hota hoon tum wafa ke daawe karte ho

Maut ka dar kisse dikha rahe ho 'saahb'

Usi din mar gaye they, jis din woh gaya tha

Fakeer e mohabbat ko yeh dar na dikha 'saahb'

Maut nahin aati kareeb, kahin use maar na daalun

Nahin chaand ki taraf dekha to paya kya gazab Pehlu mein bhi asmaan pe bhi, mohabbat kamaal hai

Page 65: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 64

Unke aane se aur bhi haseen ho gayee mehfil

Yun yaaron ne koee kasar na utha rakhi thi

Woh aaye hein mujhe samjhaane magar

Siway salaahein kuchh nahin de rahe

Na dawa dete hein na dua mujhko

Vaid g hairaani se dekhe ja rahe hein

Koee to band kare unka khul moohn Mere haal per salaah bhi nahin niklati

Rog kehte ho mohabbat ko 'saahb' Kufar hai kufar hai kaafir ho

Tabeeb ko bulaya tha ki kuchh masla hal hoga

Hai ri kismat! dekhiye woh khud masla ban baithey

Rog e dil ko yun na kijiye badnaam duniya mein

Yeh niyamat hai sache dil ko sachi dua se milti hai

Halaat theek ho rahe hein dheere dheere beemar ke Aisa! haan haan aise, pyaar se dekho thoda aur mujhe

Page 66: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 65

E mere dost ab aur intezaar na kar, kandha de de

Woh aa gaye to farishtey kahin neyat na badal jayein

Mareez e mohabbat ki dawa laye ho charagar?

Kya kaha?? tum unki tasweer nahin la sake???

Kaisa vaid pakad ke laaye 'saahb' ke liye

Puchh raha hai mujse, yeh rog ise hi de do

Arey mangwayo koee ek chaarpayee aur Vaid g ki tabyat mujhe theek nahin lagti

Mohabbat ka dum nikal jaata jo tum na aate Kya kaha? jaldi karoon, tumhe aaj bhi jaldi hai

Aa gayee neend deewane ko do pal ke liye Yaaron ne kandha de diya, rakeeb kam hoga

Nahin aayee raas koee dawa vaid ki Mohabbat ko rog samjh ke ilaaz kya hota

Samjho to sahi mere dost ki wajah kya hai

Rang zard pad gaya hai deewane ka, kyon juda hokar

Siway mohabbat unko kuchh baat nahin kar aati Vaid g kehte hein bukhaar sar ko chala gaya hai

Page 67: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 66

Zard hota hai siaah padta hai rang e aashiq

Tum bewafa ho ke bhi aur nikhre jaate ho

Nazar e mohabbat se marhum ho bhi sakti thi

Woh saaf mukar gaye, vaid nahin hein 'saahb'

Maar daalo jo shafa nahin kar sakte

Deewane ki maut bhi ab ilaaz samjho

Meri jaan ko ajaab kam nahin hein 'saahb' Woh pehli nazar pehli mulakaat pehli mohabbat

Furkat e shab ko ajab tamasha hua

Main deewangi mein chaak girbaan Nange paanv ghar se nikal gaya

Tang zubaani meri mujhe is mod per le aayee

Khud per kabhi tanahyee per baras raha hoon main

Sulga lo ek naya alaaw aur 'saahb'

Aisa karo dafnyo mat mujhe jala do

Nahin Teri taraf se kuchh bhi umeed mujhko Yaar hein mere ki dilaasa diye ja rahe hein

Page 68: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 67

Shehar bhar mein yahi baat chal rahi hai

Mohabbat ki dastaan nayee pal rahi hai

Tyaar ho jayo phir se ek tamaashe ke liye

Sakoon bhai fizan cheekh mein badal rahi hai

Main hoon mujhe dekho magar, apni nazar se nahin

Pehle yeh mohabbat o zarurat ka chashma utaar lo

Ek aur waada laut aane ka, ek aur dhokha

Nahin 'saahb' ab ki uske aane se pehle Main chala jaunga!!!

Mohbbat ke naam per yeh kya ho raha hai 'saahb' Dair o haram ke baad ke charcha maikade aa pahunchi hai

Naam e mohabbat badnaam kar diya aapne

Kal sar e aam rokar, unhe bewfa kehkar

Saahilon ki baatein samander kya samjhe

Deewane per naseehat asar nahin karti

Jala bhi doge jo naama unka to kya hoga

Jo yaad aayegi to bachna kaise hai, fesla karo

Woh puchhte hein haal kya kahoon

Muskura rahe hein, achha ho raha hoon

Samjhota nahin kar sakte kissi tarah se hum Dono hi chunaav hein, haan karo ya marta hoon abhi

Page 69: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 68

Vaid g ne kaha do pal aur hein

Uski nazar ne 'saahb' ko rok liya

Muskura diya main dard mein bhi unki tafteesh per

Woh puchh rahe hein kahaan aur kitni jaan baaki hai

Simat unki dekhte hein sabhi na jaane kyon

Main? main to yun hi bus ... g deewana hoon

Keh do musafir se raasta badal le Mohaabat mein bahut mod aate hein

Rahe woh yun mere saath humesha Zindgi se nikal kar, zehan mein aa gaye

Humse puchh rahe hein, kya khubi humaari

Abhi nazar utha dein to uth jaoge jahaan se

Woh nazar na dekh mujhe ki deewana ho jaun

Mujhse zyaada 'saahb' tumhe pareshaani hogi

Aur bhi honge bahut se mere tumhaar jaise Lekin har kissi se 'saahb' mohabbat nahin hoti

Page 70: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 69

Woh alvida keh rahe hein muskura ke

Jaate dekh unko main kya ishaawa karoon

Sawali ban gaye hein teri mohabbat ke hum Khairyat mein 'saahb' ek nazar daal de

Waqt e rukhsati dil dono ka bhar aaya magar

Ek duje ke liye dono muskura diye

Nahin aaya raas kissi ko jawab mera

Woh chahte they khuda kahoon

Meri zubaan se tera naam jaata nahin

Kissi ne nazar padhi kissi ne chehra 'saahb'

Koee ilm ke liye wark dar wark palt ta reh gaya

Sunte hein deewana koee aur bhi mehfil mein tha

Woh jisko manaate rahe jurm, 'saahb' bekasoor tha

Jism uska dekhiye ki dekhiye dil ki aadtein Mohabbat hoti jawani mein hai magar peeri ke liye

Ameeri gareebi per zor e mohabbat aazmayo mat

Dastoor e duniya hai, mohabbat se juda 'saahb'

Alvida keh ke hum pachhatay bahut

Umar bhar taana woh deta raha

Tumhaari hi marzi se hum gaye they

Chaand ki tafteesh se pareshaan hein woh aajkal Jab milo to yahi puchhta hai, woh tumhaare saath kaun tha

Page 71: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 70

Mere saaye per bhi shaq hai mehtaab ko Tafeesh mein puchhta hai, saath chalta kaun tha

Bulaye per woh bhaw kha jaate hein

Yun aag lagi hai us taraf bhi barabar

Unki is sharat per mujhe badi kofat hoti hai

Woh gair se baat karenge to main chup rahunga

Sehal nahin hai unki sharart ko samjhana Dekhte kissi ko hein, muskurate kissi ke liye hein

Mod de dil mera tere kissi kaam ka nahin Jo barson mein mera nahin hua, tera kya hoga

Ajaab e dil hai tere ishaq ki yeh dastaan

Yaad bhi aati hai to saansein ruk jaati hein

Tera aana to phir tera aana hai

Teri yaad bhi aa jaye to jaan nikal jaati hai

Kyon na dekhe mud mud ke unko 'saahb' Bewafa hone se woh badsurat nahin hua

Page 72: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 71

Mud mud ke dekhna hi pada mujhe usko

Farishtey le chale mera moohn mod ke jo

Ilzaam hai 'saahb' ilzaam hai

Kaam dil ka, nazar per ilzaam hai

Aankhein kissi ko kehti hi kya hein 'saahb'

Zyaada se zyaada tar hein, aur kuchh nahin

EK fakeer se aur kya mangegi duniya EK dua hai 'saahb' diye jaate hein

Kya kahoon shukriya ke ilaawa unko 'saahb' Woh bata rahe hein aah per jaan nikal jaati hai

Sabar e dil ka imtihaan leti hai nazar unki

Dekhti hai mujhko magar yun ki gair ko dekhti hein

Dil kasak se bhara hai teri mohabbat ke kaante hein

Teri raahon mein phul bichaane ke liye dil se chhante hein

Teri zarurat ka sab saaman laaya hoon mein Mera dil chain o sakoon, jo chahe tod do

Page 73: Shabnam: Tum Kahaan Ho - Meri Kavitamerikavita.info/shabnam tum kahaan ho.pdf · Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya ... bus yun hi baat bigad gayee ... Shabnam: Tum Kahaan

Shabnam: Tum Kahaan Ho

‘ S A A H B ’

Page 72

Baaees e mohabbat hai unki nazar 'saahb'

Saara shehar girftaar hai unke intezaar mein

Manaya kije shukar khuda ka zinda bache ho

Yeh shab e furkat bade badon ko maar daalti hai

Bekaar ki baatein na kijiye 'saahb' mohabbat ki mehfil mein

Yeh zakham nahin dikhayiye humein, aahein na bhariye

Hasrat e dil meri mujhe kis mukaam per le aayee hai Mazaar khud ka khud bana raha hoon, teri aamad hogi

Umeed e wafa aur unse 'saahb', badi umeed hai Ya mohabbat se sar pher diya hai, ya gaafil ho