28
1

Aazmaish aur jamaat

Embed Size (px)

DESCRIPTION

"Ham zaroor tūmhāri āzmāish kareińge yahāń tak’ke ham ye ma’loom kar’leiń ke kaun mūjā’hid aur kaun sābit qadam rahne vāle haiń aur ham tūmhāre hālāt kā imtehān zaroor lete raheińge. (Muhammad: 31)"

Citation preview

Page 1: Aazmaish aur jamaat

1

Page 2: Aazmaish aur jamaat

2

Farmān-e-Ilāhi hai:- Ham zaroor tūmhāri āzmāish kareińge yahāń tak’ke ham ye ma’loom kar’leiń ke kaun mūjā’hid aur kaun sābit qadam rahne vāle haiń aur ham tūmhāre hālāt kā imtehān zaroor lete raheińge. (Muhammad: 31)

Wa lanab’luwan’nakum hattaa na’lamal mujahideena minkum was saabireen wa nablu wa akhbaarakum (Muhammed:31)

Ai imān vāloń Allah ta’ā’lā hameiń mūkhtalif hālāt meń mūb'tilā kar ke zaroor āz’māye’ga. Phir us āzmāish meń jin logoń ne kāmiyāb ho’ne ki jiddo-jihad (struggle) ki aur apne īmān par sābit qadam the vahi log dūnyā va ākhirat meń kām-yāb hońge. Jin chīzoń se Allah ta’ālā īmān vāloń ko āzmāyega un meń se ek ke muta’alūq farmān-e-Ilāhi hai:- Ham tūm logoń ko khair va shar ke fit’nah

Wa nabluu kum bishsharri wal khairi fitnatan wa

Page 3: Aazmaish aur jamaat

3

(temptation, mischief) meń mubtila kar ke tumhāri āzmāish karte rahte haiń. (anbiyaa:35)

ilainaa turja’uun (Anbiya:35)

Mūńda’raja-e-bā’lā ā’yat Mūbā’rak meń Rab-e-kā’ināt ne īmān vāloń ko āzmāne ke liye lafz “fitnatan” istemāl farmāyā hai aur lū’ghat (dictionary) meń fun ke ma’nī hai sone ko āg meń tapā kar kharā khotā jānch’nā. Ai īmān vāloń sochne ka mūqām hai ke sonā kitnā qīmti aur mahboob chīz hai le’kin jab us qīmti aur mahboob chīz ke kha’rā kho’tā (genuine or spurious) jānch’ne ka vaqt ātā hai to u’se fau’ran āg me dāl diyā jātā hai phir us vaqt ko’ī bhi shakhs ye na’hīń kehta ke it’ni qīmti aur mahboob chīz ko āg meń kyooń dāl rahe ho. Kyooń ke ūn’heiń ma’loom hota hai ke u’se āg me dāle jāne kā maqsad kyā hai is liye us sone kā mālik sone ko āg meń dālte vaqt kisi qism kā vāvilā na’hīń karta balke khāmōshi se bade sabr ke sāth us manzar ko apne āń’khoń se dekhtā rehtā hai. Balke u’sī tarah īmān vāle insān bhi Allah ta’ā’lā ko bahot mehboob hai is’ī liye apne un mahboob insānoń ko īmān meń kha’rā kho’tā jānch’ne ke liye muqtalif tarīqon se āzmāish meń mūb’tilā kar ke kha’rā kho’tā jānchtā rehta hai aur jis shakhs se Allah ta’ā’lā ki jitni ziyāda mūhab’bat hoti hai us ko

Page 4: Aazmaish aur jamaat

4

utni hi ziyāda āzmāish meń mūbtila kar ke jānchtā hai. Kyooń ke Allah ta’ā’lā ko insānoń meń sab se ziyāda mahboob nabi hote hai is liye sab se pehle Allah ta’ā’lā ne nabiyoń ko āzmāyā aur phir nabiyoń ke ba’ad jis shakhs se Allah ta’ā’lā ki jitni mūhab’bat thi Allah ta’ā’lā ne u’si qadar us ko āzmāish meń mūbtilā kiyā. Isi liye Rab kā’ināt ne:- 1. Hazrat Ādam (as) ko pehle jan’nat dekar

phir jan’nat se nikāl kar āzmāyā. 2. Hazrat Nooh (as) ko apni ānkhoń ke

sāmne un ka beta pāni meń dūbo kar āzmāyā.

3. Hazrat Ibrahim (as) ko dehakti huī āg meń

dalvā kar āzmāyā. 4. Hazrat Ismail (as) ko churi ke niche de kar

āzmāyā. 5. Hazrat Sārah (as) ko zālim badsha ke mahal

meń bhijvākar āzmāyā. 6. Hazrat Hājirah (as) ko sher khār bete ke

sāth tan tanhā jangal meń chod kar āzmāya.

Page 5: Aazmaish aur jamaat

5

7. Hazrat Yaqoob (as) ko un se un ka pyārā beta judā kar ke āzmāyā.

8. Hazrat Yousuf (as) ko vazir Misr ki bī’vī ke

sāth band kamre meń mūlāqāt karvākar āzmāyā.

9. Qaum (nation) Samud ko oońt’ni ke zariye

āzmāyā. 10. Hazrat Ay’yub (as) ko shaitān se sakht taklīf

dilvākar atthārah (18) sāl tak sakht bimāri meń mūb’tilākar ke āzmāyā.

11. Hazrat Dawood (as) ko un ke bête Sūlaimān

(as) se un ke faisle ke khilāf faisle karvāke āzmāyā.

12, Hazrat Sūlaimān (as) ko dunyā ki har chīz ko

un ke tābe’ kar ke āzmāyā. 13. Hazrat Yoonus (as) ko machali ke pet meń

bhej kar āzmāyā. 14. Hazrat Zakaria (as) ko būdhape meń beta de

kar āzmāyā. 15. Hazrat Mariam (as) ko baghair shau’har ke

beta de kar āzmāyā.

Page 6: Aazmaish aur jamaat

6

16. Hazrat Moosa (as) ko Fir’aun (Pharoah) ke darbār meń bhej kar āzmāyā.

17. Qaum Moosa (as) ko darya meń kūd jāne ka

hūkm dekar āzmāyā. 18. Hazrat Āsiya (as) ko Fir’aun ki bī’vī banā kar

āzmāyā. 19. Ashābe Kahaf ko tavēl umr tak ghār meń

sulākar āzmāyā. 20. Zūl-qarnaiń ko mashriq se maghrib tak

hūkmrāniī de kar āzmāyā. 21. Teen shakhsoń Ba’ras-zadah, (leucoderma)

Ganjā, Nabīnā ko māl va daulat aur sehat de kar āzmāyā.

22. Tāloot’ (Saul) ke lashkar ko pānī pīne se

manā’ kar ke āzmāyā. 23. Ek shakhs se ek sav (100) logoń ko qatal

karvā ke āzmāyā. 24. Hazrat Isā (as) ko bina bāp ke paida kar ke

āzmāyā.

Page 7: Aazmaish aur jamaat

7

25. Imām-ul-ambiya va khātemūn Nabi (sas) ko Taif ke maidān meń lahu lahān karva ke āzmāyā.

26. Sahaba krām (ra) ko Bad’r ke muqām par us

vaqt ki super tāqat dushmanān Islam ke sāmne lā khadā kar ke āzmāyā.

Ai īmān vāloń : Rab-e-kā’ināt āinda bhi qayāmat tak āne vāle īmān vāloń ko kha’rā kho’tā jānchne ke liye mūkhtalif qism ki āzmāishoń meń mūbtila karta rahega aur un āne vālī āzmāishoń ki ta’dād it’ni kasīr hogi ke ūs ki kasrat ka zikr karte hūye Rasōlullah (sas) ne irshād farmāyā:- Ūsāma Bin Ziad farmāte haiń ke (ek roz) Nabi (sas) Madina ke ek būland makān par chadhe (aur sahaba (ra) ko mūkhātib kar ke) farmāyā tum us chīz ko dekhte ho jis ko main dekh rahā hoń sahaba (ra) ne ‘arz kiyā na’hīń (ai Allah ke Rasool (sas) jo kuch āp dekh rahe hain voh hameń nazar na’hīń ārahā) to Rasoolullah (sas) ne farmāyā main fit’noń ko dekh rahā hoń jo tūmhare gharoń par is tarah baras rahe haiń jis tarah barsāth barasti hai. (sahīh mūslim wa sahīh bukhaari) Ai īmān vāloń mūńda’raja-e-bā’lā Allah ta’ā’lā aur Allah ke Rasool (sas) ke irshādāt se ma’loom hūvā ke Allah ta’ā’lā hamań āzmā ne ke liye ham par

Page 8: Aazmaish aur jamaat

8

barsāt ki tarah fitne barsā’yega aur āzmāish ki bārish meń Allah ta’ā’lā jin chīzon meń se hamāri āzmāish kare gā ūn meń se chańd chīzoń ka zikr karte hūye Allah ta’ā’lā ne khūd farmāyā ke: Aur ai īmān vāloń (ham zaroor kisi qadar khauf aur bhook se aur kisi qadar māl, jān aur phaloń ke nūqsān se tumhāri āzmāish kareińge (aur ai Rasool (sas)) āp sab’r karne vāloń ko khush’khabri sūnā deiń. Yā’ni in logoń ko ke jab ūnhaiń ko’ī mūsibat pohnchti hai to voh is tarah kahte hai ke ham Allah hi ke haiń aur ham ū’si ki taraf laut kar jāne vāle haiń. Yahī voh log hai ke in par in ke Rab ki taraf se rehmat (ki bārish hoti) hai aur yahi voh log haiń jo hidāyat yāb haiń. (baqara:155-157)

In’nallazina tawallau minkum yaumal taqaljam’aani innamaa astazal-la humusha-shaitaanu biba’zi maa kasabuu wa laqad ‘afaa Allahu ‘anhum, innAllaha ghafooron haleem. Yaa ayyuhal-lazina aamanuu laa takuunuu kal-lazeena kafaruu wa qaaluu li’ikhwanihim iza zarabuu filarzi aw kaanu ghur-rallaw kaanu ‘indanaa maa maa tuu wa maa qutiluu liyaj’ala Allah zaalika hasratan fi quluubihim, wa Allahu yuhee wayumeetu wa Allahu bimaa ta’maluuna baseer. Wa lain qutiltum fi sabeeli Allahi aw muttum lamaghfiratum-minallahi

Page 9: Aazmaish aur jamaat

9

wa rahmatunn khairum-mimmaa yajma’uun. (baqara:155-157)

Ai īmān vāloń ūs ke alāvā Allah ta’ā’lā hamāri āzmāish ke liye kāfiroń ko bhi dhēl deta rehta hai aur us ke bāre meń bhi Allah ta’ā’lā ne khūd farmādiyā hai ke:- Agar Allah chāhtā to kāfiroń se (kisi aur tarah) intekhām le letā lakin voh to yeh chāhtā hai ke tūm meń se bāz ki āzmāish bāz ke zaria’ kare. (Muhammad:4)

Wa lau yashaa u Allahu lantasara minhum wa laakil-liyabluwa ba’zakum biba’zinn wal-lazeena qutiluu fisabeeli Allahi falay-yuzilla a’maalahum (Muhammad:4)

Ai īmān vāloń Allah ta’ā’lā ahl-e-kitāb aur mūshrikēn ko bhi hamāre liye zaria’ āzmāish banātā hai. Is ke bāre meń bhi farmān Ilāhi hai ke:- Ai īmān vāloń tūmhāre māloń meń aur tūmhāri jānoń meń zaroor tūmhāri āzmāish hogi aur tūmheiń ahl-e-kitāb aur mūshrikīn se bahot kasīr tadād meń dil-āzār (heart breaking) bāteiń

Latublawunna fi amwa likum wa anfusikum wa latasma’unna minal-lazina uutulkitaaba min qablikum wa minal-lazina ashrakuu azann kasirann wa in tasbiruu wa tattaqu fainna zaalika min ‘azmil umuur

Page 10: Aazmaish aur jamaat

10

sūni hońgi aur agar tum ne sab’r kiyā (sabit qadam rahe) aur taq’va (fear of Allah) ikhtiyār kiyā to badi him’mat ke kām hai. (āl-imrān:186)

(aal-imran:186)

Mūńda’raja-e-bālā irshādāt ki roshni meń ai īmān vāloń Allah ta’ālā hameiń māl dekar āzmāye yā ham se māl chīn kar āzmāye ya hameiń logoń se ai’sī bāteiń sun’na padeiń jin se hameiń zehni pareshāni ho yā hameiń logoń ki dil-āzār batoń se āzmāyā jāye yā hameiń jismāni taklēfoń meń mūbtila kar ke āzmāyā jāye to har qism ki āzmāish se Allah ki panāh māngte raheiń aur sab’r se kām leiń haq par sābit qadam raheiń aur āzmāishoń se bachne ke liye Allah ta’ā’lā kī ibādat par zor deiń aur ibādat meń jaldi kareiń. Ai īmān vāloń fitnoń ya’ni āzmāishoń se hi darāte hūye Rasoolūllah (sas) ne farmāyā thā:- Abū Hūrairah (ra) kehte haiń ke Rasoolūllah (sas) ne farmāyā amal (sāleh) meń jaldi karo in fitnoń ke pesh āne se pehle jo tarīk rāt ke andheroń ki mānińd hońge (ke us vaqt) ādmi sūbah ko īmān ki hālat meń ūteh gā aur shām ko kāfir ho jāyega aur shām ko mo’min hogā aur subah ko kāfir hojāyega. (aur aise fitnoń kā daur bhi āyega ke

Page 11: Aazmaish aur jamaat

11

ādmi) apne Dīn ko dūnya ki thodi si mūtā’ (stock, merchandise) par bech dālega. (sahih mūslim) Ai īmān vāloń fitnoń se bacheiń kaheiń dunya ki lālūch meń agar apne Dīn ka nūqsān na kar baithnā agar aisā vaqt ābhi jāye to Allah se madad mangte hūye dūnya ko āzmāish samajh kar thūk’rādeiń aur apne qīmti Dīn aur īmān ko bachā kar ūs āzmāish meń kāmiyāb hojāyeiń. Ai īmān vālo mazid fitnoń se darāte hūye Rasoolūllah (sas) ne farmāyā thā:- Hūzaifa (ra) kehte haiń ke maiń ne Rasoolūllah (sas) ko ye farmāte hūye sūna ke logoń ke diloń par is tarah fitne dāleiń jāeinge jis tarha chtāyi ke tinke hote haiń (ya’ni) barābar aur ziyāda ta’dād meń) pas jo dil ūn fitnoń ko qūbōl karega ūske (dil) par ek siyāh nishān dāl diyā jāye ga. Aur jo dil ūn fitnoń se mūtāsir na hoga ūs par ek safaid nishān dāl diyā jāyega gharz (ye ke) do qism ke dil hońge ek to sūfaid mis’l (like) san’g-mar’mar ke jin par ūs vaqt tak jab tak āsmān va zamīn qāem haiń kisi qism kā ko’ī bhi fitna a’sar-andāz (influential, effective) nahoga. Aur doosra dil siyāh rāq ki mānind jaise ūlta bartan jis meń kūch bhi bāqi na rahe, ye dil na to amarbil’marōf (nek kāmoń se agāh hoga aur na būre kāmoń ko būra jāne ga magar sirf us chīz se vāqif hoga jo ūs ke dil meń pevast hogayi hai. (sahih mūslim)

Page 12: Aazmaish aur jamaat

12

Ai īmān vālo jab bhi fitne āyeiń ūnheiń dil meń jaga na deiń balke ūn ki taraf ānkh ūthākar bhi na dekheiń is tarah amal kar ke apne dil ko ūlte bartan ki tarah siyā hone se bachā leiń aur apne diloń ko sūfaid san’g-mar’mar ki tarah banayeiń fitnoń ya’ni āzmāish ka zikr karte huye hi ek aur mūqām par Rasoolūllah (sas) ne farmāyā:- Ādmi hasbe ma’mōl soyega aur amānat (īmān) ūs ke dil se nikālli jāyegi aur īmān ka dhūndla sa asar (ūs ke dil meń bāqi rah jāyega phir jab voh dobārah soyega to ūs ke dil se amānat (īmān) ka baqiy’yah (remainder) asar bhi nikāl liya jāyega aur dil meń ek āblah jaisā nishān bāqi rah jāyega jaise tavāk ki chingāri ko apne pā’on par dale aur us se ab’lah (blister) pad jāye jo bāhar phūla aur ūtha hūva hoga. Lekin an’dar se khali honga (phir aisa hone ke bād) jab log sūb’ha ko ūthen’ge to āpas meń has’b-e-ma’mōl (as usual) kharēd-o-firokh’t (sale) kareńge aur ūn meń se ek shakhs bhi aisa na hoga jo amānat ko adā kare (ya’ni huqōq-e-sharia ko adā kare) Yahāń tak ke ye kahā jāyega (ya’ni amā’nat (entrusted thing) bāqi na rehne ke sabab)) ke falań qabile meń ek amīn va diyānatdār shakhs hai aur ūs zamāne meń ek shakhs ko (jis ko dun’ya-dāri (worldliness) meń kamāl hasil hoga) kaha jāyega ke kis qadar aqalmand aur kis qadar hoshiyār haiń aur kis qadar qūbsōrat hai aur kis qadar

Page 13: Aazmaish aur jamaat

13

chalāk hai hānlānke us ke dil meń rai barābar bhi īmān na hoga. (sahih mūslim) Ai īmān vāloń mūńda’raja-e-bālā in farmān Rasōlullah (sas) ki raūsh’ni meń kyā us vaqt logoń ki ye hālat to na’hīń hai ke mahaz daū’lat-mand yā dūnyāvi asro-rūsooq ki būniyad par logoń ko ek a’la (top most) mūqām diyā jātā ho. Aur Dīn-dār logoń ko sirf gharib hone ki vaj’h se kisi qism ki ko’ī ahammiy’yat (importance) na di jāti ho. Ai īmān vāloń ka’hiń ai’sā to na’hīń hai? Ke bajāye us ke ke Dīn-dār ko aur Dīn ka ‘ilm rakhne vāloń ko us ka mūqām diyā jāye aur ūn ki ‘iz’zat aur martaba badhayā jāye us ke mūqābile meń be-samajh aur kam ‘ilm-e-Dīn rakhne vāloń ko sirf daulat mand yā dun’yā-dāri meń badā hone ki sūrat meń Dīn-dār aur Dīn ka ‘ilm ziadah rakhne vāloń par iz’zat va martaba aur ‘ilmi mūqām meń fauqiy’yat (supremacy) di jāti ho?

Ai īmān vāloń ye bhi Allah ki taraf se ek āzmāish hai ke kon hai ke jo imān’dār va Dīn’dār aur ‘ālim-e- Dīn ko ūs ki ‘iz’zat (respect, honour) ūs ka martaba ūs ka mūqām de kar us āzmāish meń kāmiyāb hotā hai aur kon hai joke sirf dūn’yavi ki vaj’h (reason) se ya daulatmand hone ki vaj’h se ū’se īmān-dār va Dīn’dār aur ‘alim Dīn par fauqiy’yat de kar āzmāish meń nakām hoto hai.

Page 14: Aazmaish aur jamaat

14

Dīn’dār aur ‘ilm-e-Dīn logoń ke qa’dar dāni karte hūye Syed Masood Ahmed (rh) apni tas’nif (compilation) tafsīr Qur’ān-e-Aziz jild av’val ke saf’hah nam’bar 202 par tahrīr’ farmāte haiń ke (algharaz ‘ilm hi ki badaulat iz’zat va sarfarazi milti hai jis meń ‘ilm na’hīń us ko hūkoomat karne ka bhi haq ‘ilm ka darja ziyāda hai aur be ‘ilm ‘abid darje meń kamtar haiń. Ai īmān vāloń fitnoń ya’ni āz’māish ka zikr karte huye ek aur mūqām par Rasoolūllah (sas) farmā’te haiń ke:- Aap (sas) ne farmāyā ke meri mil’lat 73 his’soń meń taq’sim ho jāyegi (jin meń se) 72 firqe do’zakh meń jāyeinge aur ek jamā’at hogi jo jan’nat meń jāyegi. (abū dawōd) Ai īmān vāloń is farmān Rasoolūllah (sas) se ma’lōm hūvā ke Allah ta’ālā is mil’lat ko 73 his’soń meń taq’sim kar ke bhi āz’māyega ke kon hai jo 72 dozakh meń jāne vāle firqoń se apne āp ko bachā kar ek jan’nat meń jāne vāli jamā’at meń shāmil karyega aur shāmil ho kar apne āp ko ūs jamā’at meń hameińsha ke liye shāmil rakhega. Ai īmān vāloń isī firqevāriat ke daur ke mūta’al’liq Hūzaifa (ra) ke savāl karne par Rasoolūllah (sas) ne khair va shar ka zikar karte hūye farmāyā thā ke aise khatarnāk fitne hońge ke:

Page 15: Aazmaish aur jamaat

15

(Rasoolūllah (sas) ne farmāyā) aise log hońge jo dozakh ke darvāzoń par khade ho kar logoń ko būlāyeinge jo shakhs ūn ki bāt ko qūbool karega vo ūs ko jah’nam meń dhakel deińge. (sahih mūslim va sahih būkhāri) Ai īmān vāloń Hūzaifa (rz) ne jab Rasoolūllah (sas) se poochā ūn jah’nam ki taraf būlāne vāloń ki ko’ī nishāni hameiń batāveiń (tā ke voh nishāni dekh’kar ham apne āp’ko ūn fitne-bāz logoń se bachā sakeiń) ūs ke javāb meń Rasoolūllah (sas) ne irshād farmāyā: Voh (fitne-bāz jah’nam ki taraf būlāne vāle log) ham meń se hi hoń’ge aur hamāri hi zū’bān meń (ya’ni Dīn Islam ki hi) bāteiń kareińge. (sahih mūslim va sahih būukhāri) Ai īmān vāloń Rasoolūllah (sas) ka ye farmān mūbārak goya ke mūńda’raja bālā aur Abū Dawood vāli hadēs ki tashrīh (explanation) hai jis meń āp (sas) ne farmāyā ke 72 firqe jahan’nūm meń jā’yeinge aur ek jamā’at jan’nat meń jāyegi. Aur is se ye bāt bhi ma’loom hū’ī hai ke Hūzaifa (ra) sahabi ne Rasoolūllah (sas) se in 72 firqe dozakh meń jāne vāle aur ek jan’nat meń jāne vāli jamā’at ke mūta’al’liq taf’sīl ma’lōmāt (information) aur ūs ma’lōmāt ke dauran jab Rasoolūllah (sas) ne farmāyā ke in 72 dorakh meń jāne vāloń ki zāhari ko’ī bhi nishāni na’hīń hogi to Hūzaifa (ra) sahābi ne fauran āp (sas) se savāl kiya ke:-

Page 16: Aazmaish aur jamaat

16

Page 17: Aazmaish aur jamaat

17

Page 18: Aazmaish aur jamaat

18

Page 19: Aazmaish aur jamaat

19

Page 20: Aazmaish aur jamaat

20

Page 21: Aazmaish aur jamaat

21

yu vaswisu fi sudoorin’nās”

Page 22: Aazmaish aur jamaat

22

Page 23: Aazmaish aur jamaat

23

Page 24: Aazmaish aur jamaat

24

Page 25: Aazmaish aur jamaat

25

Page 26: Aazmaish aur jamaat

26

Page 27: Aazmaish aur jamaat

27

Page 28: Aazmaish aur jamaat

28

Cell: 92463 43643 / 93471 39685 /

92463 43676

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA]

Flat #204, Saleem Masood Complex,

Nizam Colony, Toli chowki,

Hyderabad – 500 008 (A.P.)

Cell: 9246343676 / 7396620946