View
294
Download
16
Category
Preview:
Citation preview
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 1
©Arun Bansal
Year 2012
Version 1.0
Arun Bansal, #3110 GF, LIG Flats
Sector 52 Chandigarh
09855443849
www.merikavita.info
kmrarun@yahoo.com
Published By
Saahb Informatics
www.saahbinformatics.com
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 2
Mere milne se aakhir takleef kya hai aapko ‘saahb’
Aap na kijiye humse, humein to mohabbat karne dein
Bheja hi kyon tha gair ko paigaam dekar
Yeh baatein batayo kya yun ki jaati hein
Har baat per le aate ho zamaane ki baatein ‘saahb’
Mujhe kam tumne zamaana zyaada dekha hai
Humse nahin rakhi jaati ek baat bhi dil mein Log na jaane kaise kissi ko dil mein rakh lete hein
Mera udaas hona ‘saahb’ kissi bhi tarah manzoor nahin hai unko Woh nahin aa paate jab, phul khushbu bahaar yaad bhejte hein
Woh dil kya sahaara dega kissi aur ko
Zara si baat pe jo sahaate dhundhta hai
Uske lotne tak main nahin tha ‘saahb’
Woh mujhe yun hi bewafa samjha
Gumaan hai tumko apne husn o jawani per Aaeene ke siwa tumhe koee dekhta tak nahin
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 3
Safeena toofaano se takra gaya kar raat phir se
Mere khaabon ko usne phir se zariya bana liya
Raahtein mil bhi sakti thi magar
Tumhe hi yeh dard manzoor tha
Kaante chun liye usne khud hi yeh keh ke
Phulon ka kya hai, wo chun dega mere liye
Zid pe aa gayee jo baat, ana ban gayee Mohabbat ka rang usi din feeka pad gaya
Jaane waale ka pata ab kya karna
Ek baar mar chuke, ab kya marna
Bewafa kaun hai phir se sochiye 'saahb'
Mare to aap bhi nahin, juda hokar
Udhaar ki hai zindgi unki, jo mohabbat karte hein
Jism kahin aur hai dil kahin aur hai jaan kahin aur hai
Usne tyaar ho ke tyaari utaar di jab suna Bach bhi sakta hai aapke aane se 'saahb'
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 4
Marta kaun hai apni khushi se yahaan
Kisi ko umar maar deti hai kisi ko mohabbat
Ja bacha hai woh bhi le lo 'saahb'
Dhamka rahe ho abhi aur maar daaloge
Utar rahi hai dheere dheere raat ki chadhi huyee
Farma rahe hein tumne kal zor se dekh liya tha mujhko
Doobne ko chulu bhi bahut hai gar doobna chahe Saahil pe baith kar woh dhakate rahe, doob jaunga
Par katar ke kehte hein udo 'saahb' Maza lete hein bebas ki bebasi ka
Rukhsaar pe unke gaisu uljhe jaate hein
Kabhi nazar badhata hoon kabhi haath
Shayad kissi tarah suljha sakoon ‘saahb’
Woh khud bhi talabgaar mohabbat ke nikle
Main madad maang raha tha bachayo mujhko
Kitni buri shai hai yeh intezaar bhi Reh reh ke dil sau bure khyaal hein
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 5
Bacha sako jaan to kissi tarah bacha lo
Ishaq ki pehli nazar hai, koee upay karwa lo
Neend udi udi, aankhein bhari bhari ‘saahb’ Arey mohabbat nahin gas hai, lo dawayee kha lo
Ud jaate hein kafas ke qaidi 'saahb' Par katar ke tum khudkashi nahin rok sakte
Kiske liye yeh ashak o maathey pe bal
Kooee kho gaya hai bina lautne ka waada kiye
Pardes jaane waale des bhul gaye deswaale bhul gaye
Bijli ki roshani mein ‘saahb’ dhup ke ujaale bhul gaye
Gumon ki shab kissi tarah kaat lo 'saahb' Bach gaye to umeedon ki sehar zarur hogi
Aankhon ka kya jab kaho baras padengi Zabat ki baat hai to dil hi ko karna padega
Dil per na rakhiye koee baat 'saahb'
Naazuk cheez hai bojha seh na sakegi
Kissi taraf to lagayiye dil ko 'saahb', kaam laga rahe
Khaali rahega to kisi na kisi baat per bhara raehga
Dil ki kashmkash ko kuchh to sabar mile Aisa bhi kya har waqt ki jaan fasi hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 6
Dil ki dil mein reh jaaye baat koyee
Zubaan per le aao shayri banakar ise
Dil ke masle aur bhi naazuk nikle
Daleel ko zehan ki bagawat samjhe
Zehan o dil mein ek jung jaari hai
Teri gali jaun na jaun, mudda hai
Dil ki kitaab per darj hai dastaan adhuri ‘saahb’ Na padhne ka waqt ab na aur likhne ka silsila
Main hairaan hota hoon mar ke ji sakunga kya Woh keh rahe hein dil meri yaad mita dena
Dil se nikaal fenko khyaal bhi mera tum
Is inkaar ke baad
Meri kissi cheez per tumhaara haq nahin
Dil ki mehfil mein yaadon ke sher padhe jaate hein
Yahaan na koee gair hai na apna, dard ke naam nahin hote
Dil kissi tarah us khraash ko nahin bhula Sarlta se tumne keh diya tha, bhul jao
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 7
Tujhe bhul jaane ki baat kya uthayee dil ke saath
bagawat kardi usne, dhadkana fauran band kar diya
Hadtaal per hai dil mera 'saahb' uski yaad mein
Dhadkanein nahin ab ghadiyaan ginta, aur kitni der tak
Nahin dil sa koee aur besharam mila mujhko
Hazaar baatein sunkar bhi ‘saahb’ dhadkta raha
Mere dil ne saha hai na jaane kya kya
Main jhaankne ki koshish karta hoon ander Darwaaze se ghabhra ke laut aata hoon
Dil bachon ki tarah masoom hi tha mera Teri hasrat mein isne duniyadaari seekh li
Dil pather to nahin tha mera yun pehle
Tere jaane ke baad isne shayad aadat badal li
Dil o nazar mein rishta samjhiye to
Bhar ke laata hai ek, duja gira deta hai
Haal e dil kis tarah chhupayein duniya se Samjha rahe hein nazar ko rona band kare
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 8
Dil tamaam shab yahi sawal puchhta raha
Kyon? tum aakhir chale kyon gaye??
Dil ko zyaada sar na chadhaya kijiye 'saahb'
Suniye ek dil ki hazaar baatein bana lega
Dil aa jata hai ‘saahb’ baaton mein aksar phir se
Har baar kasam khaata hai ab aur aitbaar nahin
Dil se badhkar koee dukaan nahin dekhi 'saahb' Tumho bata do aur kahaan khaab bikte hein
Hasrat o armaan bhare pade hein is godaam mein Dil ko sirf dil na samjho, badi dukaan hai yeh
Dil ki nazar badi kamnazar hua karti hai
Siwaye ek ke use dusra nazar nahin aata
Zehan ne dil ki na maani aur faisla kar liya ‘saahb’
Ab safayiaan de raha hai, bus yun hi baat bigad gayee
Na aata jo dil tum per to kya hota juda 'saahb' Meri to yun bhi jaan jaani thi, yun bhi chali gayee
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 9
Khud pe guzri to chup sa hai dil mera
Logon ko mashwara dene mein awal hua karta tha
Ab nahin aate kyon mashware e dil bata
Tujh per jo guzar rahi hai, kaisi guzar rahi hai
Chiraag e dil lekar main kahaan kahaan nahin gaya
Tumhaari si surat magar 'saahb' phir se na mili
Bazaar e dil mein hasrton ka sauda ho raha hai Aao khareed lo chain o sakoon ki keemat per
Badi unchi keemat padi kal mere dil ki 'saahb' Unki boli hai ki ek per ek nazar aur denge
Dil ki maan jaata agar us waqt per main
Shayad jo dosti bachi hai woh bhi na rehti
Sharartan dil badal gaya, unke saamne
Mujhe uksa ke le gaya tha, baat karunga
Uksaya bahut dil ne mere bewafayee ko Mera hi zarf tha ki wafa per kayam reh gaye
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 10
Dil se mere na gayee wafa ki aadat
Bewafa ko takeed ki, khud se wafa karna
Dil gairat kha gaya zara si baat per
Tumne gair ke liye uthne ko hi to kaha tha
Mehfil se utha laya mujhko dil mera
Tere saath gair ki baatein dekhi na gayee
Maut ka daraawa dil ko na dijiye
Dhamkaata yeh humein hai ulta Hadtaal kar dunga jo aisi baat ki
Dil humaari kamzori ban gaya hai 'saahb' Nahin suntan iski to jaan jaati hai kasam se
Aap sahi keemat nahin chuka sake 'saahb'
Afwahein uda rahe hein dil bikte nahin hein
Koee chukaye daam har aarzoo o hasrat ke
Phir dekhiye ‘saahb’ dil kaise bikta nahin hai
Khareedi ja sakti hai dil ki har hasrat ‘Saahb’ keemat sabki juda juda hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 11
Dil ko jalaane ki jaldi na kar 'saahb'
Yeh andhere to uska khyaal bhi mita dega
Dil ko kissi aur kaam ke liye bacha ke rakh
Mohabbat hi ek baat nahin reh gayee duniya mein
Ek baar daga dega dil kissi aise mod per
Uth na sakoge khud, 'saahb' uthaye jaoge
Badal raha hai dil unka khyaal is baare mein Woh keh rahe hein ruko, thoda aur soch loon
Na dil se laga ‘saahb’ uske khyaal ko Woh badal jayega khyaal badal jayega
Aur bhi bahaane they ‘saahb’ dil dukhaane ke
Phir kyon tumko yeh mohabbat hi pasand aayee
Yeh masle hein mere apne hi dil ke khade kiye huye
Tera husn o jawani to bahaana hai, garoor na kar
Besabab bikhar jaati hai kabhi kabhi chaandni Zaruri nahin hai ki har baar koee intezaar kare
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 12
‘Saahb’ kaun nikaal sakta hai usko mehfil se..
Woh roshni bhi hai .. aur teergi ka baees bhi
Us per uth rahi thi awaazein magar woh kaise chala jaata
Ek nazar baandhe thi dil jaan jigan nazar aur paanv uske
Mehfil mein jinka zor chalta hai, wohi chhed rahe hein
Achha yeh zid hai apko chala jaun, theek hai nahin jaata
Kooe wajah to ho mere jaane ki 'saahb'
Tum chhed rahe ho chhid raha hoon main
Tamaasha dekh rahe hein woh mere surat e haal ka
Main bhi dekhta hoon ki dekhenge mujhe yun kab tak Aise kaise chhod dein haath unka 'saahb'
Hum jaante hein haath chhutne ka dard kya hota hai
Mehfil mein sabhi se keh do ki zara intezaar karein
Uth nahin sakta main, abhi chaar kandhon ka intezaam nahin hai
Bulaya tha jiz naaz se utne hi naaz se kaho jao mujhe
Ghar tumhaara hai chhat tumhaari hai pakde hum jayenge
Khata na samjho ise meri jo gustaakh ho raha hoon
Ek dost ka ek dost ke liye jazba kaaboo se baahar hai
Khada to hona hi padega apne rakeeb ke saath Mere jaate hi mere hisse ki pi na jaye kahin
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 13
Dil ke saamne nahin chalti kissi ki 'saahb'
Dhamka rahe hein jisko aap mujhse aashna hai
Dekhiye ki sitam karne waala aur mazloom dono aashna hein
Meri gawahi yeh hai ki kaqat hua hai magar jaana se nahin maara
Jaane waale per humaara kya haq magar 'saahb'
Ek umeed hai ek zindgi hai ek bharosa hai
Use rok bhi lete to kya kar lete 'saahb' Jo ek baar dil mein aa gayee, mit ti nahin
Mehfil mein aur bhi jalwanasheen hein magar Woh chiraag jo bujh gaya, dil bujh gaya
Dil ki yeh tammana thi ki tammana thi ki tum roko Isi janoon mein uth te uth te main mehfil se nikal gaya
Maar hi daalegi mujhko yeh teri ana Ab bhi waqt hai, 'saahb' mana le mujhe
Tarak nahin karte kissi tarah woh gussa
samjha karo khafa hona aapka nahin unka haq hai
Nahin chahat kissi aur ki mujhe, bus woh de de E khuda tere dar pe koee aisa fariyaadi nahin aaya hoga
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 14
Sabar ki inethaan dekh li usne mere Rakeeb ke saath mazaar pe khade hein
Main sakoon se leta hoon uth ta nahin
Zid pe aa gaye ho yun hi bina baat ke
‘Saahb’ ki zindgi per jo haq rakhte ho
Aaj na samjhayo mujhe aur koee naseehat na karo
Dil yun bhi bhar aata hai kabhi kabhi bina baat ke
Baat kissi tarah badhti nahin aage unki zid ke Misaal diye ja rahe hein dil ki baat hai dil nehin dete
Tu uski zubaan na dekh nazar ko padh Inkaar ke uper iqraar hi iqraar hai
Baat mazakan hi mazakan sanjeeda ho gayee
Baki bachi unki mazaar pe guzri meri mazaar mein
Kya hota hai kya nahin dastoor kya dekhiye
Yeh mohabbat ki baatein hein, rasam nahin jaanti
Chaalak banti hein apne aap mein nazarein unki Zakham ko dekh kar andekha karti hein, dard nahin puchhti
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 15
Chiraag e mehfil hai apne anzaam per aane ko
Aakhiri baar tez hokar meri jaan fadfada rahi hai
Sahaaron per nazar rakhna hi theek hai 'saahb'
Kha jaati hai kabhi kabhi baad hi khet ko
Zamaane ki aad mein bewafa ho gaya woh
Mere kirdaar per dagabaazi ka ilzaam aaya
Majbooriyon ke saaye mein mohabbat nahin hua karti Yeh woh shajar hai ‘saahb’ jisko khuli dhup chahiye
Bister per bhi so jaate hein chhoti badi umar ke log Jawani mein bina aagosh ke sona zara sa mushkil hota hai
Woh har waqt raha karte they burke ke saaye mein
Jo haq paya ki dekh sake, phir burka na utarne diya
Marte dum tak nibah ki humne mohabbat
Log puchhtey hi reh gaye, woh kaun tha
Nahin banawa sake mera mazaar milkar bhi yaar mere Mutton Chiken kha gaye, yun chanda hua bahut tha
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 16
Badnaam kar ke rakh diya hai chaand o raat ko
Shayron ko muft mein kya mil gaye 'saahb'
Ruswa hone per paabandi lagwa do ‘saahb’ pehle to
Muft ki mashooriyaan log pa jaate hein mohabbat mein
Uske rone o hanse se ab kya farak mujhko ‘saahb’
Fursat bekhudi se mile to kuchh aur khyaal karoon
Aankhon mein uski woh dekha 'saahb' Meri tasweer thi gardan tak doobi huyee
Na dekhte woh aankhein hum to shayad mohabbat na hoti Mamla dab jaata jo burka uda na deti saba chalte chalte
Yeh aakhein ko rehguzar nahin hein 'saahb'
Yeh safar mehfooz hai kissi khaas ke liye
Har aata jaata jhaanje hai nazar mein meri
Husn ka paya aankhein rehguzar ho gayee
Baarishon ka mausam baahar bhi aur bheetar bhi Bhaari hai yeh boondein asmaan per bhi, aankhon per bhi
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 17
Do chaar palon ki baat thi aur kissa kya tha
Zindgi gayee yun kehne ko bus aankh ladi hai
Aankhein bhi girvi rakh di usne meri khaatir
Vaid g kehne lage aapki nazar ne maara hai
Aankhon ne kissi hazaar keh diye, zubaan hilaaye bagair
Dil dil ka shor sunte they, waqt e guftgu goonga ho gaya
Gayee hein meri hi talaash mein aankhein kahin Beenayee bhi kho baitha main to kho hi chuka tha
Nahin aayee nazar mujhko phir woh aankhein Wada karke mukar gayee, ab milayee nahin jaati
Aankhein to bus aankhein hein 'saahb'
Umar ke mod inhe kabhi shokh
To kabhi peer bana dete hein
Aakhein taras gayee thi tere bagair
Tum puchh rahe ho 'saahb' kaise rahe
Aakhein bhi alfaaz ban jaya karti hein 'saahb' Dil ki guftgu ko zubaan ki zarurat nahin hoti
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 18
Dekhna hi hai agar kabhi dard ka lamha
Kissi budhi maan ki aankhein dekhna
Aakhein dekh kar hi dhokha kha gaye they
Seerat ki surat aakheon se nahin dikhti
Zamaane bhar mein badnaam hein unki aankhein
Jisko dekh leti hein umar bhar ‘saahb’ tarsata hai
Maana ki koee chhod gaya hai, dard ki baat hai Barso se barsana magar, ankhein vaid ko dikha lo
Kiski aankh ro sakti shab e furkat ke baad Samandar bhi sukh jayega 'saahb' hashar ke roz
Dhundhlayee si duniya hai tere jaane ke baad
Saaf karta hoon ankhein ab saaf nahin hoti
Aable ban ban ke aansso nikal rahe hein
Yeh meri aankhein kya tujhe isi kaabil lagi
Meri aankh se dekh to sahi duniya ‘saahb’ Tumhaari aankhein? unhein hum dekhenge!
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 19
Aakhon ko zara parde mein rakha karo
Badtameez ho chali hein, ro padti hein
Aankhein jhuki jaati hein ‘saahb’ unke adab mein
Woh magroor to nahin, husn ki keemat jaanta hai
Chalaak nazaron se keh do aankhon mein hi rahe
Hum woh hunar jaante hein ki lautne nahin denge
Meri aankhon ne dekha hai aapko sanwarte huye Yeh nazara tauba khuda kya kahoon kya kahoon
Aankhon ka bada ajeeb sa riwaj hai 'saahb' Kholiye to woh saamne, band kijiye to dil mein
Aankhon ko der tak yeh kaam na dijiye
Tirsha dekh kar thak jayengi araam dijiye
Hathyaar mere katal ka baramad hota kaise
Woh nazar samet ke apni aankhon mein le gaye
Kaise aati tafteesh ko police unke ghar per Daroga ko qatal se pehle ek nazar pila di thi
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 20
Ghar chahye chhota hi sahi magar aaraamdayak hai
Yeh aankhein 'saahb' tujhe umar bhar sambhaal sakti hein
Aankhon se keh do ki shehar mein danga ho jayega
Jhuk kar chala kare, 'saahb' had mein raha karein
Aakhein to dhundh hi leti hein pata koee na koee
Nazar ke waar se jawan dil aksar fisal jaate hein
Akhaan hi aakhaan wich oh waar kar gaye
Saadi maut da wadhiya hal tyaar kar gaye Main puchhiya ki koee sewa daso 'saahb' ji
Oh kehan lage maro, te bus aasin mar gaye
Aankhein yaar ki peete aur kitni der tak Saaki tujhse kiya waada bhi nibhaana tha
Masjid mein ghum rahi hein shekh ki nigaahein
Aakhein puchh rahi hein woh nahin aaye woh nahin aaye
Aankhon ko sabar ki patti bhi padhaya kijiye
Har waqt sajishein qatal ki achhi baat nahin hai
Aakhein imtihaan ki maari hein meri Azmayishein teri jaan le ke chhodengi
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 21
Qatal ki wajah aapki aankhein kaise likhein
Uljhan mein daroga hai, aapka naam kaise likhein
Aakhon se musalsal jhadiyaan baarish ki 'saahb'
Tum kehte ho tumhe dekhoon tumhaara khyaal dekhoon
Aankhon ki wajah se huyee hein na jaane kitni jung
Talwaar bhi banti hein, yun dua ke liye banayee thi
Sakoon e dil aur mohabbat ki baatein Kis zamaane ki baat le baithey ho ‘saahb’
Sakoon e dil kho gaya hai, wohi dhundhte hein 'saahb' Mohabbat mein nahin mohabbat ki baaton mein maza hai
Dehiye to aankhein band karke yahi kahin honge
Jo nazar nahin aate 'saahb' aksar dil mein hote hein
Wajahat to waqt paida kar deta hai mere dost
Bewafayee kissi ki tabyat mein nahin hoti
Sarai nahin hai dil mera jo rehne aa gaye Is ghar mein koee aur hai, koee aur ghar dekhiye
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 22
Maashre se keh do ki charcha na kare unka
Ruswa hota hai woh, badnaam hum hote hein
Dil ko nikalte hein aur bhi raaste 'saahb'
Aankhein to yun bhi mohabbat band kar deti hai
Dard ko bhi bech daala unhone sher bana ke Mohabbat bhi ki hai 'saahb' ne karobaar ki tarah
Band kar do is dil ki sun na aaj abhi se 'Saahb' Itni si cheez hai dar badar liye phirti hai
Ro hi to raha hai mara to nahin
Band karo yeh cheekh o puaakar Woh bechain hote hein ‘saahb’
Koee hum karein yeh sheeshe o pather ka tajurba phir se Keh do ja ke 'saahb' mohabbat baar baar nahin hua karti
Aaj bhi zinda rakhe hein kissi ki yaad ko
Ehsaan chuka rahe hein zinda chhodne ka
Faakakashi hai fakeeron ke paas
Yeh gum ki rotiyaan kisko baante
Ankhon mein bhi tabasum hua karti hai Log muskura dete hein use dekhkar
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 23
Milne ki khushi aur bichhadne ka gum
Yahi khubiyaan 'saahb' tumhe insaan karti hein
Aankhon se chhupa lena woh raaz 'saahb'
Inhe dard chhupana nahin aata, ro padengi
Mera wajood hi hila ke chala gaya woh
Mujhe aankhein dikha ke chala gaya woh
Aankhon bina baat ke achanak rone lagi Dil ki to aapse dushmani thehri
Khuli botlein hein shehar mein ghum rahi Aankhon mein maikada hai jawan haseeno ke
Aankhein badal gaye apne hi shehar ke log
Ilzaam hai udhaar mujh per, chukayein kaise
Aankhein na pher mujhse yun nazar mila
Mohabbat ko gunah na samjh kareeb aa Guftgu to auron ke liye rakhi hai humne
Tadap rahe hein hum bhi seene se laga
Kamzarf nikle kabil e bardashat nahin
E bhai chal uth zara hosh mein aa
Aanekhin nahin yeh bala hein koee
Jisko lag jaati hai bus lag jaati hein
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 24
Sailaab guzar jaate hein bastiyaan ujaad kar ‘saahb’
Yahaan ek jheel hai aankhein khud ujad rahi hein
Ab main samjhi ki kyon jheel kaha karta tha
woh meri aankhon ko
Kaayee si jam gayee hein,
paani si thehar gayee hein,
khud hi mein doob gayee hein
Saroor e nazar abhi tak nahin utra 'saahb' Usne aakhein samet li, palkon mein baandh kar
Aankhein to aankhein hein kissi ki bhi hon
Yeh mujasma kudrat ko kaabil e shukar banata hai
Aankhein nahin rootha karti 'saahb'
Yeh ana ki baaton se mehroom hoti hein
Aankhon ne sikhaya hai adab poori duniya ko Inhone bachpane se bazurgi ka safar kiya hai
Ro dena to ab shauq bana liya hai aapne
Hummaari aakhein ab aapke dard se nam nahin hoti
Aankhein tadap gayee tere jalwe dekhkar
Jawani bhi kya kya gunaah karwa deti hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 25
Aankhin nahin kehti kissi se ek baat bhi
Inhi pe shayron ne deewan per deewan keh diye
Aankhon se kahin guftgu ki koshish na karna
Seene se lagaane ki baat kuchh aur hai 'saahb'
Aankhein badi nemat hein, bacha ke rakhiye
Yeh woh hathyaar hai jo khudi ko maar daale
Aankhon ne meri kya kya dekhe hein manzar Isi zameen per sarhadein khinchtey dekha hai
Aankhon ne khaaye hein na jaane kitne dhokhe Waade kar ke chale jaate hein log is masoom se
Fareb hote hein aajkal shehar mein bade bade
Aankhon ke bhes mein chor ghum rahe hein
Aankh bhar aayee hai meri tere khyaal se
Nahin nahin tum nahin tum chain se so jayo
Pareshaani dil ki aankh mein utar aayee hai Ghar ke bhedi ne raaz khol diye, kya karoon
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 26
Sehar huyee to aankhein gustaakh ho gayee
Tumhe uthna hai to utho, humein aur sona hai
Mera wohi sawal teri wohi nahin nahin
Humaare siwa yeh duniya badal gayee
Woh aaye is tarah ki koee baat khaas puchhni thi Hum bhi utawale huye magar woh phir khamosh hi reh gaya
Wajah kya hai unke kalaam ki na puchhiye Dard ki baat mat chhediye, dara ka maza lijiye
Duniya mein kuchh bhi besabas nahin hota
Meri mohabbat ki bhi wajah hai, tum!
Saahil per nazar rakhi aur safeena tufaan mein
Humne yun zindgi ki hai koee bhi rashak karega
Saahil per nazar rakhi aur safeena tufaan mein
Humne yun zindgi ki hai 'saahb' koee bhi jal mare
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 27
Jinke alfaazon ki muntzir yeh kaynaat hai
Woh puchh rahe hein kya ab kuchh kahoon?
Chiraag e mohabbat hai bujhne ko, tez roshan hai
Keh bhi do kuchh mere haal per, ek aakhiri baar
Thokarein to ek sharat thi mohabbat ki sharton mein
Yeh karaarnaama shayad theek se padha nahin aapne
Thokar se ghabra ke mohabbat tarak nahin karte Maut bhi aa jaye 'saahb' deewana aah nahin karte
Aahein bharna woh bhi ek thokar pe Abhi seekh raho, adab mohabbat ke
Thokar ne aapko thokar di magar yeh bhi to socho
Na jaane kiska khuda thukra diya hai tumne 'saahb'
Yahi pather dair o haram mein rakha jayega khuda keh ke
Kya kaha kuchh guzra tha kabhi, ‘saahb’ pata nahin
Maine to bus azal se tumhi ko dekha hai, aur kuchh nahi
Zindgi aazmaati hi reh jayegi unko
Jinke haunsle buland hote hein
Imithaan ko imtihaan nahin samjhate
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 28
Chahte hum jo kuchh bhi aur tumhaare siwa
Sach maaniye ‘saahb’ ki kab ke mar gaye hote
Daulat zamaane bhar ki laga do ek taraf
Dekh lena mohabbat phir bhi jeet jayegi
Daulat e ishaq kama li hai humne do hi palon mein
Ek jab tumne aankh uthayee, duja jab jhuka li thi
Mehsoos nahin hota ki gum bhi ab to kissi ke jaane ka
Yeh kaisa pather kar gaye ho mere masoom dil ko
Woh humin se puchh rahe hein tareef ke alfaaz bhi
Main jhuka jaata hoon sharm se kehdo kuchh khaas nahin
Maan lijiye ki meri jagah hote aap, aapki jagah main Oho ab kya kahoon, kya kahoon main, ab yeh maan kar
Waqt ka na puchhiye kya haal hai in dino
Uske saath tez chalta hai uske bina dheere
Meri tarah goya yeh bhi deewana ho gaya hai
Jiske liye jaan nikal gayee deewane ki
Haath jhaad ke chal diye, Tafteesh mein bhi naam na aa jaye kahin
Kis rishte per aitbaar karein ab 'saahb'
Tumhaari ana ne humaara dil khatta kar diya
Yeh gintiyaan kar lijiye jitni karni hai 'saahb'
Sehar hone se pehle farishtey aapko le jayenge
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 29
Tamasha khud ka banaya na kijiye you sar e mehfil
// Ek baar deewane ki cheekh pukaar se pehle muskura do
Woh puchhtey hein bahaana koee maut ka batayiye
Maine kaha mohababt se badhkar koee baat nahin
Mere bus mein nahin hai yeh rishton ki rasmein
Sirf jodna aata hai 'saahb' ko todna seekha nahin
Hanso na yun deewane ki deewangi pe Yeh rog yun hi fael jaata hai 'saahb'
Aur sikha do unko gunaah ki baatein Kisi muslmaan ko mulmaan na rehne dena
Unko manzoor nahin kuchh khilaaf keh doon unke
Woh tunak jaate hein jo rakeeb ko rakeeb bhi keh doon
Kisse yun hi nahin ban jaya karte charcha ka mudda
Kuchh to wajah hoti hai mohabbat ki dastaan mein
Milkar bhi nahin milte hein kuchh log yahaan Haath mila lete hein nazar chura lete hein
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 30
Mohabbat ko jazab nahin kar saka zamaana jab
Ibaadat ki cheez ko kufar ka darja de baitha
Sard raaton mein badi ajeeb si thundak thi
Meri aahon mein maano saari kaynaat doob gayee
Sulag uthi hein saanse meri unke khyaal per
Woh kahin khud aa jayein to jal marein hum
Hansi mein uda diya usne har khyaal mera Main mohabbat ki aad mein maara gaya
Misaal ban gaye hein kuchh kisse Log kissi ki maut ka maza lete hein
Wajah ban gayee maut ki 'saahb'
Mohabbat ko abhi paak kehte ho?
Yeh teergi dil se na jaygi kissi tarah
Tere jaane ke baad yeh chiraag bujh gaya hai
Taaza dum ho lein zara chain ki saans lein Jis se ajaad hokar mohabbat se chhoot gaya hoon
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 31
Kis ki taraf hai aaj yeh reham o karam
Sanwar bhi rahe ho gunguna bhi rahe ho
Aaeene dekh kar sanwarna ada hai unki
Unki bala se koee aankh pyaasi mar jaye
Churaa ke mera dil woh kitne ameer ho gaye honge
Dekh rahe hein humko naak unchi nazar neechi kar ke
Jhaankta kaun haiin dareechon se dhup ke tarah Garmahat utarti hai rooh mein ek nazar se unki
Woh khyaal hai ya khushbu
Khud ko reza reza kar diya
Nahin mila nahin nikla
Mujhe Nahin maloom ki woh mera kya hai magar
Dil sa zehan sa saanson sa zindgi sa zaruri hai
Mere haal per usne ek sher likha hai, sunayun Allah hafiz, alvida, nek rooh ko taskeen ho
Maar daala uski aazmayish ne humein
Mazak hi mazak mein jaan chali gayee
Mita do mere shauq ki har shai duniya se
Unse shuru karo, mere dil se nikaal do
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 32
Badnaam kar ke rakh diya dair o haram ko
Mohabbat ne nakoos o ajaan ko deewana kiya
Hum nahin ek akele tere sitam ke shikaar
Mujhse pehle bhi kissi se milta raha hai tu
Zabardasti mohabbat nahin karwa sakte kissi se
Yeh dil ki baat hai, kushti ka akhaada nahin hai
Nahin aarzoo ki har pal tu hi tu ho magar Tamaam umar ho aur ek pal to ho ki tu ho
Mujhe kya duniya tujhi ko pakdegi
Humaari chhat hai keh denge So rahe they hum
Mere hosh o hawas bhi le gaye woh saath
Jaate jaate udhaar bhi waapis na kiya
Maar daalo haan haan maar daalo mere deewane ko
Phir mujhe bhi maar daalna, tumhaara khuda khush hoga
Qatal hua hai laash maujood hai aur kaatil bhi Gawah nahin gawahi nahin, waardaat jhuthi pad gayee
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 33
Woh unke nishaan e qadam dhundh rahe hein
Maine marte marte khud yeh saboot mita diya
Zakham per zakham aur dawa per dawa Usne mujh per tajurbe jaari rakhe
Phulon se keh do bahaar ka mausam ab nahin
Jiske liye khila karte they, woh chale gaye
Mere paas ab bacha hi kya hai jo ginu
Ek teri tasweer chand aansoo hein
Mujhe abhi ke abhi maar daalo jo ho sake to Mareez e mohabbat hoon beemaari sa fael jaunga
Sojish e dil badh gayee hai had ke paar Seena phat jayega jo aaj raat jaan na nikli
Shayad mere dil ko manzoor nahin tha jhukna
Usne iqraar ki sharat rakhi maine inqaar kar diya
Daur e ishaq chala der tak mehfil mein 'saahb'
Ek ne mohabbat kaha, sau afsaane yaad aa gaye
Mohabbat ki baat per yun roya nahin jaata Yahi kam nahin hai ki deewana maan liya gaya hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 34
Aakhir hua hi kya hai tumhaare sath, sirf ek dhokha
Inti si baat pe ab kya asmaan sar pe utha loge
Badla lene nikal pade hein woh ghar se Kissi ne keh diya hai unse
Maine khud ko deewana ghoshit kar diya
Khuda kasam maine nahin bataya kissi ko Tujhe hi dekh liya hoga
Meri qabar per aate jaate kissi ne
Jo kaam jeete ji na hua mar ke ho gaya Woh milne aayein hein dekhiye meri laash se
Khuda ke naam per hi sahi itna karam kar de Haath nahin dil nahin saans nahin nazar to mila
Yeh nahin thi meri kismat ki tu hota
Khyaal o tasavur aah o intezaar hein
Hoti hai zindgi mein yeh khata bhi ek baar
Jaise bhi ho badi haseen galti hoti hai
Bik jaati hein dil ki hasrtein ek khaab ki tabeer mein In aankhon ko kya pata kya keemar chukaate hein hum khaab ki
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 35
Usne khareed liya saara shehar 'saahb'
Laga kya, uski ek nazar bhi nahin
Kiske raaste mein phul bichha rahe ho 'saahb'
Chaandni khud bichhtai hai hawa ke per lage hein
Kiske raaste mein phul bichha rahe ho 'saahb'
Unke liye zameen khud hawa ban jaati hai
Nahin dekhte woh hisaab waqt ka aate huye Baithte baithtey keh dete hein jaldi hai jaana hai
Khuda kisko yaad rehta hai us waqt mere dost Mere aangan mein bachpan jab khul ke hansta hai
Kisse wafayon ke sab bhul jayiye ab to 'saahb'
Nayee rasamon ko wafa gunaah hai kufar hai
Sitam zindgi ke aur kab tak sahein
Koee pakda de haath ya jaan pakad le
Unhe kya zarurat ki lafz khud ke zaya karein Jinki tareef mein saari mehfil kalaam padhti hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 36
Usne apni nazar ko hathyaar bana liya hai
Jab chahein jis se chahein tareef pa lete hein
Zikar e mohabbat hai haawi hota mehfil per
Aahein bhar bhar ke deewano ke ek aag laga di hai
Tammana e gunaah lekar aayein hein sabhi zindgi mein Yeh kufar yeh gunaah e mohabbat sabhi karte hein
Rakhe hai intezaar mein 'saahb' woh shaam o sehar ko Kabhi kabhi barsaat bhi bandh leta hai bheege gaisuyon mein
Utaar fenkiye saaye dhup o chaanv ke is safar mein Yeh chaandni raatein hein yahaan saaye se bhi daro
Yeh chaandni raate hein saaye saath kar dengi
Milte waqt usko zara raazdaari ka khyaal rakhna
Lagti hai jab to ek sa dard hota hai
Chot ameer gareeb ka farak nahin dekhti
Jala do yeh deewaan saare aur mehfilein band karo Koee samjhayo unke mera haq mere hawale karo
Baat bigad na jaye kahin to khyaal rahe Dil ki zubaan per bharosa karne se pehle
Zehan se bhi zara mashwara kar lena
Yeh mausam e baarish aur sardi ke din
Kya yun hi kharch ho jayenge yeh haseen pal
Mujhe teri tarah aata gar baatein banana
Tujhse zyaada log mere talabgaar hote
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 37
Haadsa samjh ke hi sahi bhul ja Main samjha raha hoon dil ko
Kaafile chalte hi gaye jaanibe manzil
Kissi ne yeh nahin dekha
Chala kaun tha saath kaun hai pahunchega kaun
Woh dil o jaan dene ko tyaar baithey they 'Saahb' ne maangi to bus ek nazar maangi
Tere chehre per yeh raunk kaisi aa rahi hai
Zikar e mohababt se shekh tujhe kya waasta
Dil ki har hasrat sogwaar hai jaane kyon
Badla to tu hai phir mujhe hua kya hai
Meri har iltiza usne yeh keh ke thukra di
Jo nazar ko pasand nahin dil ko pasand nahin
Mere hote na hote 'saahb' kissi ke to hote Hum isi mein khush hote jo tum hi khush hote
Fikar e dil mujhe behka raha hai 'saahb'
Hadtaal hai iski, dhadkano ko firauti chahiye
Yun to aur bhi bade haseen dekhe hein humne magar
Jo dil ko teri nazar se hua hai, pehle hua nahin
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 38
Dil ki pareshaaniyaa yeh nahin ki tu bewafa hai 'saahb'
Kasak yeh ki haal puchhtey hein log ab afsos karte hein
Samjhaane aaye logon se humne kaha
Keh rahe hein aap sach hai magar
Jo usko bewafa bata rahe hein 'saahb' achhi baat nahin
Tameer e khaab raat bhar hoti rahi neend mein
Sehar ki saba se ret ke mahal bikhar gaye
Maan kar unko main pachhtaya bahut 'Saahb' Ek nazar ki baaton mein dagabaazi zer thi
Der kyon lag rahi hai unko, pata karo, keh do unse
Wafa ki kasam maine khaayee hai saanson ne nahin
Ek alag hi tajurba rahi hai mohabbat bhi
Kehte kuchh hein sunte kuchh hein hoti kuchh hai
Salaahein dene waale mile humko sau do sau
Ek bhi dil dene ki baat karta jaan bach jaati
Wada nahin tera yeh ki lautega tu, woh bhi mere liye
Mujhe bhi wafa ki umeed fizool hogi, hum abhi marte hein
Dono hi bewafa ho gaye apni apni majboori ko Weham reh gaya mohabbat kabhi bhulti nahin hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 39
Mile barson baad dono to mile bewafa hokar
Yaad aa to gaya magar muskura ke waada bhul gaye
Kitne ajeeb se they woh pal 'saahb' Main jaanta tha ki bana raha hai mujhe
Aur har waade per main sar hilaata gaya
Wajah meri zindgi ki yeh ban gayee hein
Teri yaadein ab saanson se kam nahin hein
Unko soya dekha aapne yeh kya gunaah kiya Mohabbat se hi mohabbat ki chori tauba tauba
Ghar se makaan reh gaya, shehar shamshaan reh gaya
Tere jaane ke baad itna sa badlaaw aaya hai
Rooh nikal gayee, jism veeraan reh gaya
Is veerane ko ab teri bhi zarurat nahin
Dil pather ho gaya ab gunjayish nahin
Nazar ke gunaah ko naam mohabbat de diya
Yeh ijaad kissi diljale ki rahi hogi
Dair o haram se bach ke 'saahb'
Paigaam mohabbat hai kaam qatal inka
Meri nazar chali gayee tere intezaar mein
Ab mujhe kya libaas pehno nahin pehno tum
Woh mujhe dekhkar hi raasta badal lete hein
Jaan bhul gaye hein' pehchaan nahin bhule
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 40
'Saahb' ne jabse ishaq ka naam ratna shuru kiya hai
Log samjha samjha ke thak gaye hein, yeh sabak nahin/2
Tamashayee ban ke reh gayee mehfil unki 'saahb'
Kissi ne roka nahin unki nazar ko, bijli ban ke giri
Marne se dar unhi ko lagta hai 'saahb'
Jo mohabbat ki baat karte hein, dagabaaz hokar
Baatein aur unse tauba kijiye 'saahb' Khuda ki ibaadat mein yaraana nahin hota
Mere dil mein kya nahin hota 'saahb' Ismein tum bhi mere ho gaye ho
Patheron ki baatein beech mein kyon le aaye
Nazuk sa zikar tha mohabbat ka seham gaya hai
Zindgi ka kya bharosa kab chhut jaye
Kaise tumhe zindgi keh doon 'saahb'
Abhi tak halka halka sa ehsaas hai Ek muddat ho gayee tumhe mera hath chhode
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 41
Mere dil ko saraye bana rakha hai usne
Gum o ashak o yaadein mehmaan bitha rakhe hein
Zindgi ek musafir ki aur kya hogi
Raaste hi raaste hein raaston per 'saahb'
Bik gaye woh bhi aaj humaare liye
Mere armaano ne qurbaani de di
Aag kyon kehte ho unko, ‘saahb’ unke husn ko Shabnam ki boondein hai, phulon ki khushbu hai
Sada de ke rok le use, woh ja raha hai ‘saahb’ Oh ho kya karoon ab yeh dil meri nahin sunta
Khudkashi ka ek tareeka mohabbat bhi hai
Khud na mare 'saahb' to duniya maar deti hai
Kahaan rehte ho aajkal nazar nahin aate
Aur kab tak is mazaar mein chhupe rahoge
Nahin tumko pasand to na sahi 'saahb' Mohabbat mein ishaq ko jhukna hi padta hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 42
Jalaye jaate hein yahaan dafnaye jaate hein
Dil mein isi tarah armaan basaye jaate hein
Woh kahega kabhi baat dil ki aapko bhul jao Kabhi aapse yeh himmat hogi 'saahb' bhul jao
Chhup chhup ke gunaah hote hein mohabbat nahin
Dil ki baatein nazar ke zor per khuleaam hoti hai
Maut tak wafa?
Mohabbat ne shayad Akal ko maar daala
Wafa ki baatein aur is waqt mein Jaago 'saahb' yeh woh daur nahin hai
Zid hai bachon si aur kya hai mohbbat
Woh maang rahe ho jo mil nahin sakta
Sahaare kiske waaste maang rahe ho mohabbat se
Yeh khud use dhundh rahi hai jo sahaara de sake
Jeet kar bhi woh mayus se lagte hein Mera dil unhein bhi udaas kar gaya hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 43
Chahat se mehroom hi rahi meri hayat'saahb'
Dua mohabbat ki maangi thi, dil se bhi gaye
Shuru nahin hoti ‘saahb’ kissi tarah kahaani meri
Kirdaar bhi hein mohbbat bhi bus tum haan kardo
Dikhawe ki nahin jeena chahta main 'saahb'
Tere raaz ko maine, yeh mukhota odha liya hai
Shaam gehraane lagi hai shab se mil rahi hai Mujhe kya 'saahb' jo tum nahin to mujhe kya
Shehar e mohabbat mein kaun wafadaar hua hai EK gunaah ke baad duja gunaah zaruri samjha gaya
Chehra kitna dushwaar hai uska padhne mein
Naam dhundhta hoon apna kahin milta hi nahin
Itna sanwra kar usne is kadar aaeena dekha
Rakeeb humko humaara woh khud hi lagne laga
Dil ko yun na chhediye 'saahb' badtameez hai Mujhe deewana kehta hai aapko paagal kahega
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 44
E samjhaane waale teri har baat sahi hai
Siway iske ki unhe bewafa jo keh raha hai
Har waqt ki ek muskurahat hontho per rehne lagi hai
Yaar puchhne lage hein, kaun hai woh kahaan rehti hai
Pehli mohabbat ka ehsaas gehra raha mujh per
Log puchh rahe hein koee khushi ki baat hai!!
Dil ki sabhi baatein jhuth nikli 'saahb' Wafa mohabbat aarzoo tammana aur tum
Ghabra ke dil ne kaha bus itna hi waqt tha 'saahb' ka Ab intezaar na kijiye, zinda hai? chhodiye dafan kijiye
Waqt e mohabbat guzar chuka hai 'saahb' maan bhi lo
Pukaar rahe ho jise woh lautega magar nayee pehchaan mein
Nahin mere haunsle ke woh mukaam aaye abhi
Teri gali tak aa jaate hein, ghar bhi aayenge kabhi
Yeh ashak nahin moti hein sambhaal ke rakha karo Daualt hai dil ki, yun fizoolkharchi theek nahin
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 45
Awaara ho gayee hai teri talaash mein nazar meri Dekh rahi hai kissi ki zulf kissi ka shaana,
Kissi ki surat tera bahaana karke
Sardiyon ke din achhe hein aur raatein bhi
Woh haath pakad lete hein garmaane ko
Suljhaate nahin hein masle woh pyaar ke mohabbat se
Jab dekhiye shikwa hai shikayat hai talkhiyaan hein
Zaruratein mohabbat ki hein thoda muskura ke boliye Har waqt ka ruthna ‘saahb’ kahin tajurba talkh na ban jaye
Labhdi nahin oh 'saahb' jisnu dil labh reha
Labh jawe taan labhiye dil nahin labh reha
Roohon ka khel hai mohabbat, apne bus ki baat nahin
Yeh woh raaz jisko ya khuda samjhe, ya koee samjhe nahin
Baahon mein lekar kab tak zindgi guzregi
Mohabbat ki ek zarurat rozgaar bhi hai
Jaane do jaane waale ko roko mat 'saahb'
Zabardasti se mohabbat ka rishta nahin banta
Khud ko samjh ek bhi baat nahin aayee unki 'saahb'
Yun samjha rahe hein kabhi dil kabhi nazar ko hum
Behkaawe mein aa gaye hein woh jaane kiske
Mujhi se puchh rahe hein bewfa hone ko ji karta hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 46
Khamosh kyon hein woh kuchh kehte kyon nahin
Vaid g mujhe chhodiye pehle unko dawa dijiye
Awal aana door paas bhi nahin hote
Bade mushkil ishaq ke imtihaan hein
Qareeb aane ko usne bahaana bana liya
Ek kaanta apne haath mein daba liya
Kehlwaa do kissi ke zariye unse haal e dil Mere haalaat ab yeh nahin ki khud ja sakoon
Furkat ke lamhe kaate nahin kat te Yeh mohababt badi jaanlewa nikla
Surkh lab uske mujhe behkaane lage
Main khudkashi na karta to khata kar baithta
Khud ko maaf nahin kiya maine us khata ke liye
Teri mohabbat ki saza humne umar bhar kaati
Pather ki kismat badal gayee, dair o haram mein Thokar mein rehna waala, yahaan aa ke khuda ho gaya
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 47
Kasam khaayee hai hawaon ne meri barbaadi ki
Kabhi unka naqab udaati hai kabhi zulf kabhi libaas
Shehar bhar mein woh samjhaane niklein hein haath jod ke
Chunaaw ke mausam mein gidh se kabootar ban jaate hein
Woh dil le gaye they mera chheen kar nazar se
Vaid g marz puchh rahe hein waardaat huyee hai
Usne kaynaat ko apni taraf kar liya hai 'saahb' Phulon ko chhod ke bhanwre unke chakkar mein pad gaye
Mera hawala de ke log tera charcha karte hein Kis kadar dabdaba hai tera, kis kada lor darte hein
Mohabbat ko bhi hathyaar bana lete hein kuchh log
Yeh paakiza cheez hai, 'saahb' badnaam hoti hai
Error aa jaata jo program likhta hoon mohabbat ka
Teri control statement per yeh loop nahin lagta
Rakhoon kaise is mohabbat ke program ko error free Mere pointer toot jaate hein teri nazar dekh kar
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 48
Filein mohabbat ki usne delete ki so ki
Jaane kya sochkar mera dil format kar diya
Meri hard disk crash yun nahin hoti 'saahb'
Teri mohababt ka virus bada tez nikla
Woh samjha rahe hein dil bikta nahin Main kehta hoon tumhe,
haar baat mein kaarobaar nazar aata hai
Woh samjhata nahin yeh baatein batayee nahin jaati 'Saahb' Vaid g mujhse mera marz puchh rahe hein
Jab se suna majboori ke naam per jayaz hai
'Saahb' Saara shehar majboor ho gaya Itna badha kufar mohabbat mein mere dost
Khuda khud saja ko majboor ho gaya
Jo fitratan dagabaaz hote hein 'saahb' Un per naseehton ka asar nahin hota
Taameer e khaab ki raat bhar, ki taabeer hogi Haif ki sehar to huyee humein na huyee 'saahb'
Jee se gaye jaan se gaye 'saahb'
Ek mohbbat ne toofan macha diya
Mareez ki haalat bigad rahi hai din b din Hawa mein likhta hai kuchh phir mita deta hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 49
Sikha do taur unko mohabbat ke Aahein sard rakhiye,
Zakham chahe garam kitna ho
Sambhalo khud ko is ajaab se pehle
Mohabbat ki nazar na lag jaye kahin
Lafzon ka khel hai, shayron ka, mohabbat
Jo samjhiye to siway janoon kuchh nahin
Rakas karti hawayein jo unhe chhoo gayee Woh aur bhi nikhar gaye, mohabbat ka lamha paakr
Parda kar ke jawani ke din yun hi guzaar diye Jo shai dikhaane ki thi, chhupa ke barbaad ki
Zubaan e dil ban gayee nazar
Main darta tha jis baat se
Kehne ki zarurat nahin padi
Chand sikke meri jeb se gir gaye kal achanak
Do bache lad pade, mujhko main gunahgaar sa laga
Rahi chaaron taraf uski hi khushbu Mausam e khizaan bhi aa ke chali gayee
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 50
Puraani baaton ka hawala ab na do 'saahb' bhul jao
Woh waqt janoon ka tha mohabbat ka tha jawani ka tha
Samjho fikar zara meri bhi yun jhunjhlaate kyon ho
Tumko der ho rahi hai 'saahb', humaari to jaan jaati hai
Na jaane kya aaya unke dil mein 'saahb'
Bole thoda rutho tum, hum mana ke dekhenge
Shab o sehar guzar gaye intezaar mein Goya mujhko yahi haasil e mohabbat hai
Jurm nazar ka saza dil ki mohabbat Karta koee hai guzrati kissi aur per hai
Chehra unka kissi mareez ki zard nazar sa tha Aur nazar usi mareez ki dabti nabaz ‘saahb’
Sirf mohabbat hi zindgi ka baees nahin hai Is masoom si jaan ko aur bhi marz hua karte hein
Shayron ne jawano ko aashik to keh diya magar
Watan o maan baap ko bhi kuchh farz hua karte hein Yun na behkayiye mere watan ke naujawano ko
Mohabbat ke ilaawa bhi kuchh dard hua karte hein
Mohabbat ki baat chali to nazarein chamak uthi
Woh aahein chhod kar hungaara bharne lage
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 51
Teri nazar se badhkar mujhko kya hoga Marte ko zindgi hai ‘saahb’ bhukhe ko khaana
Aaj bhi wafa hua karti hai yakeen karo
Kuchh log aaj bhi khudkashi kiya karte hein
Jhuth kis baat per bolna pada mujhko?
Tafteesh mein mujhe tera naam puchha gaya!!
Jo bhul jaate hein mohabbat nahin karte
Mohabbat karne waale shikwa nahin karte
Yeh mohabbat ke nagmein yeh husn ki gazlein gaane waalo Kya siwaye mohabbat yeh jawani kissi kaam nahin aa sakti ??
Utar jaane do mohabbat ka nasha zara jawani guzar jaye, phir puchhenge Naaye nayee hai pehli pehli hai, zara puraani ho jaye, phir puchhenge
Badal jaate hein lamhein lamhon mein
Waada umar bhar ka tum kaise kar lete ho
Waqt e jawani dhal raha hai 'saahb'
Woh muskuraane lage hein, muskurahat ke jawab mein
Simat ke reh gayee kaynaat apni hi baahon mein Aapko jakad na saki to aapka saya jakad liya
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 52
Kaynaat se puchhiye ki uski raza kya hai
Woh daawe se keh dete hein, mujhse badhkar nahin
Nahin kaynaat per zor unke siwa kissi ka
Mausam badal dete hein woh jooda khol ke
Kaynaat bhi unki hi sawali hai 'saahb' Mausam badlta hai jab woh
Jeene waale ji gaye zindgi apni marzi se Kuchh log kismat ko koste hi reh gaye
Yeh maana ki unko kuchh bhi kehna fizool hai Dil phir bhi dil hai naseehat se baaz nahin
Yaad tabhi tak rehte hein jaane waale
Unki jagah jab tak zarurtein nahin le leti
Waqt se badhkar koee marhum nahin dekhi
Unki yaad bhi ab nahin aati Jinke bina lagat tha ji nahin sakenge
Kis tarah kissi ko dil dijiye 'saahb'
Itni si cheez ke liye kya bharosa kijiye
Sab kehte hein ki dil dijiye jaan dijiye
Main samjhta hoon ho sake to rishton ko Sabse pehle 'saahb' thoda sa waqt dijiye
Dil o jaan ke bina bhi shayad mohabbat reh jayegi
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 53
Jo rishton ko waqt na mila, shikwa o shikayat hai
Tere bina zindgi ki hasrat kya karein
Bina dhadkan dil ka waali kaun hoga
Khuda ka shukar kijiye insaan huye
Aashik ki jaat hai shaitaan ki jaat
Beete huye lamhon ki kasak bani rehti hai Waqt marhum karta hai, bhula nahin karta
Marhum waqt ki bhi mita na saki Yun jalan dil ki, ab dab si gayee hai
Zindgi unke hawale kar di maine yeh sochkar
Zyaada se zyaada jaan lenge,
Kya khabar thi 'saahb' yun jeena padega
Dil ki sunkar zehan ko takleef na de
Thoda thehar yeh khud badal jayega
Zindgi jeete ji itni haseen na thi mere dost Woh roye hein aaj itna, ki maza aa gaya
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 54
Sawera hota nahin ab to yun lagta hai Shab ke baad shab hai, hijar se bhari
Dil ke behkaawe mein aa ke bigad gaye
'Saahb' jawan hona maano gunaah ho gaya
Sehar ki roshni ab naseeb kahaan humko
Ishaq ka safar shab se shab tak hota hai
Mohabbat ko ruswayee na samjh, zindgi hai yeh
Yeh rehmatein kismat waalon ko milti hein
Jo na khaab dekhti aankhein to kya hota Shayad aaj bhi pathron ka yug hua hota
Pakeeza kaun hai yahaan ek naam keh do Kaun hai jiska naam zubaan per sheerin ban jaye
Mil gaye hein kaise hum ek dusre ko 'saahb'
Na main is dil ko samjha paata hoon, na yeh mujhe
Nazaakat se unko yeh bhi nahin kar hota
Haath pakdta hoon, aah keh ke chhuda lete hein
Tarkeebein nikal hi aati hein 'saahb' guftgu se Jo rutha reh jaye koee to mana lena chahiye
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 55
Button ki aad mein khuda ki hi to ibaadat hai 'saahb'
Khuda se kya hogi mohabbat jo khuda ki nawazish se nahin
Intezaar mein 'saahb' kya kya rang badle mere dil
Umeed gussa nafrat bewafayee mohabbat ikraar maafi
Jo jannat ka dil se weham nikal jaata
Shekh ji aap bhi khuda ke bande ban gaye hote
Ajaab e jeesat hai mohabbat ka naam Jo maut ke pehle maut hai yahi hai
Teri zulf ke saaye mein zindgi bahut haseen guzri Is chaanv ke baad ab hijar ki dhup aur kadi lagti hai
Teri seerat bhi dekhte gar mauka milta
Surat dikha ke tune hosh chheen liye they
Chand sikke aur zara si der ki keemti zarurtein
Usne ishaq bech diya, sahuliyat khareed li
Saath rehkar bhi bewafa ho jaate hein log Zarurtein zindgi ki mohabbat per bhari pad jaati hein
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 56
Tareefan uski kuchh keh na dijiyega
Bigad jaata hai, nazar bhi lagane se
Yaad se badhkar koe marhum nahin mili mujhko Rona aa raha tha jee bhar ke,
Yaad aa gayee to khudi pe hansi bhi aa gayee
Deewaarein mazhum o kufar ki jahaan milti hein
Us sehar ka naam mohabbat hai, baashinde aashiq
Kuchh nahin badla tere jaane ke baad
Wohi bhaag daud hai wohi raftaar hai Kissi ko farak nahin pada 'saahb'
Tu chala gaya, main nahin raha
Raftaar e zindgi kayam hai apni jagah Is gaadi se tum utar gaye, aur chadh gaye
Mohabbat ki baat per dillagi kiya karte they
Woh din hawa huye jab hawa kiya karte they
Mohabbat ki baat per hum dillagi kiya karte they
Aur ashikon ko hans ke paagal keh diya karte they Jabse humne yeh shauq e ajaab e jeesat paala hai
Dekhiye to sahi yeh thokar mein kya lag raha hai Tukde tukde hein tasweer o sheeshe sa dil to nahin
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 57
Aankhein meri barsi to khub, toofan na ban saki
Waqt guzrta gaya, dil badalta gaya, hansi laut aayee
Saza ke taur per usne mujhe zinda chhod diya
Theek bhi hai mohabbat koee chhota gunaah nahin hoti
Zid per aa gaya ishaq mera, inkaar kar baithey
Woh mohabbat per nahin, darja e deewane per raazi they
Is shajar ke saaye mein na baitha kijiye Mohabbat naam hai iska, raaste bhula deta hai
Kuchh bhi puchhiye na puchhiye ki zinda kaise bache
Woh shab aur shab ki veeraniya, phir se sahi na jayengi
Woh mera kitna khyaal rakhta tha, yeh ab jaana maine
Aksar jhagad ke unse 'karte hi kya ho' keh dete they
Majbooriyon ne bewafa kar diya ya
Bewafayee ne majboor kar diya
Asal baat yeh hai ki mohabbat mein Majboori bhi hai bewafayee bhi
Koee majboori se bewfa hua 'saahb'
Koee tabyat se majboor ho gaya
Neend e nazar ko kya majboori hai aakhir Tere jaane ke baad yeh bhi idhar nahin aati
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 58
Galiyon mein teri itna raha aana jaana Shinakhat ke waqt sabhi samjhe, koee apna mar gaya
Jab kissi tarah na loot saka mujhko woh to uksaane laga
Baant ke dekh daulat gareebon, barkat hai aur barkat hogi
Lakeerein haath ki hon ya maathe ki, lakeerein hein
Tadbeerein karne se manzil hogi, lakeer peetne se gard
Bheeter se hi kuchh bewfa sa hai woh
Waadon mein uske wafa ki khushbu nahin aati
Utar aayee hein shikast ke dar ke saaye wajood mein Ab himmat ki baat nahin karte, taras karo fariyaad hai
Pardadaari ko aankhein jhuka lo, lab see lo Mushkil ho jayega nahin to sawalon ka jawab tumhe
Puchh lo zara yeh kissa kissi aur se bhi 'saahb'
Kabhi tumhaare hi saath to nahin hua, jo bhi hua
Shor o gul mehfil mein macha to khub magar
Faisla yeh ho saka, kissi per bardashat se zyaada guzri hai
Neendein kissi kaam nahin aati aashik ke
Khaab ki shab mein bhi khushi jagaye rakhti hai
Qaasid ke haath bhej diya paigaam e mohabbat
Gazab kiya 'saahb' ek rakeeb aur khada kiya
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 59
Mar ke kya kaam aaye kissi ke 'saahb'
Ek but ke liye khuda ki cheez thukra di
Nazuk mizaj hein woh, haal kehna magar araam se Maatam pursi ki khabar dena magar yeh bhi keh dena
Deewana soya hai mazaar mein, chinta ki baat nahin
Zara gaur kijiye aankh mein kuchh gir gaya hoga
Jo ro rahi hai nazar, zaruri nahin mohabbat ho
Ragon mein mohabbat daudti hai lahoo nahin Meri jaan bachaani hai to tasweer o tasavur lao unka
Kya pata kal tum raho ya woh rahein Wasal ki baat mein hijar ki charcha kyon
Kaabil e gaur baat hai mohabbat ki bazam mein
Woh rulaana chahte hein, ro pado, khush honge
Raunak e mehfil ke saamne tareef kissi aur ki
Chiraag ko aftaab kehna 'saahb' kufar hai
Zindgi ke maze khub liye sohbat mein 'saahb' ne Jab mushkil waqt pada to kehne lage, jaana hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 60
Utha liya jo kalam ko haath mein humne
Kaagaz per jaane kitne haadse bikhar gaye
Humse bura haal kaagaz ka hua 'saahb'
Jis per humne mohabbat ki dastaan likh di
Chiraag ki maanid jal utha woh wark
Tera naam likh ke kaagaz pe bhul ki
Mausam ko badnaam kar diya meri hasrton ne Chahtein dil ki thi ilzaam mausamon pe hai
Chhupta bhi raha woh dikhta bhi raha 'saahb' Dareechon se jhankta raha, kiwaad band karke
Chaand ko palkon mein band kar ke usne aankhein chura li
Kehta hai maine apne dushman ko asmaan se mita diya
Uski ek jhalak per fida hein yeh aankhein meri
Main kehta kuchh dikhta nahin, puchhti hein, zarurat kya hai
Zara nazar ke taur badal lo apne 'saahb' Wafa milegi zarur, gar tum wafa karoge
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 61
Dikhta hai wohi jo hum dekhna chahte hein Jo wafa chahiye to pehle wafa karna sikhiye
Aankhon ko meri yeh kya ho gaya hai 'saahb'
Ek bewafa ko dekh kar shehar bewafa lagta hai
Teri taraf se mujhe koee ishara nahin 'saahb'
Apna nahin to na sahi, gair bhi nahin kaha tumne
Zikar e mohabbat jab jab bhi chala hai 'saahb' Mera zikar na ho to maza poora nahin hota
Badi der tak woh sar apna deewar per maarte rahe
Maine bus itna hi puchha tha, tumko mohabbat hai?
Lamhein yun hi sadiyon ka dard ban jaate hai Nazar pehli jo dil ko qatal karde 'saahb'
Samay per baat na kar sake unse, yahi khalish rahi Un palon ki bebsi ne mujhe, umar bhar naatwaan rakha
Lagayo na dil ko yun kissi se ki, Kahin aur na lage
Yeh woh jagah hai yahaan har hasrat ka apna mukaam hai
Na qatal kar hasrton ka ek kaatil ke liye
Woh sitamgar sahi, tu to mohabbat waala hai
Reja reja har hasrat hai meri 'saahb' Badi tez talwaar unki nazar chali hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 62
Usne apni aakhon se woh kar dikhaya
Jo hum aah o naale bharkar bhi na kar sake
Logon ki puchhtaash se mohabbat ko kam na kar
Yun deewana ho ja ki log deewane ho jayein
Kaam nahin kuchh aur to tafteesh hi sahi
Yeh kufar nahin logon ki aadat hai 'saahb'
Nikaal fenko use dil se abhi ke abhi Khyaal aaya hai bichhad gaye to kya hoga
Is tarah ke khyaal kyon aate hein nahin maaloom Woh aagosh mein hota hai, dil sehar ko kosta hai
Mohabbat? ek sawal mehfil mein Khamoshi! ek jawab mehil mein
Deewana pan..
Deewaaron pe sar patakte aashik.. Mohabbat ki dastaan!!! mehil mein
Aji shukar kijiue ki chhod gaye mehngaayee mein
Abhi to sirg quaan hai, nahin to girte khayee mein Riwayat ke mutabik, do aap aur do aapke bhi hote
Ab akeli jaan hai, kaise sote chaar ek rajayee mein
Shehar bhar mein yahi baat aam ho chali hai
Teri taraf se guzarne waale
Aksar laut kar nahi aate
Kitaabi ishaq padhkar woh ashik ho gaye Jab imtihaan pada, khuda tauba bol pade
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 63
Mar jayiye jo marne ka shauq chadha hai
Ilzaam kissi haseen per? kufar hai kufar hai
Surat se nahin seerat se samjhiye unko
Jannat se badhkar mohabbat maza degi
Saath nahin chalte woh 'saahb' jab waqt padta hai
Daawe mohabbat ke kar jaate hein jab waqt milta hai
Jaise tum mile waise woh mile Haath done ke mile, dil na mile
Chor bhi kaha use bewafa sitamgar bhi aapne Main hairaan hota hoon tum wafa ke daawe karte ho
Maut ka dar kisse dikha rahe ho 'saahb'
Usi din mar gaye they, jis din woh gaya tha
Fakeer e mohabbat ko yeh dar na dikha 'saahb'
Maut nahin aati kareeb, kahin use maar na daalun
Nahin chaand ki taraf dekha to paya kya gazab Pehlu mein bhi asmaan pe bhi, mohabbat kamaal hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 64
Unke aane se aur bhi haseen ho gayee mehfil
Yun yaaron ne koee kasar na utha rakhi thi
Woh aaye hein mujhe samjhaane magar
Siway salaahein kuchh nahin de rahe
Na dawa dete hein na dua mujhko
Vaid g hairaani se dekhe ja rahe hein
Koee to band kare unka khul moohn Mere haal per salaah bhi nahin niklati
Rog kehte ho mohabbat ko 'saahb' Kufar hai kufar hai kaafir ho
Tabeeb ko bulaya tha ki kuchh masla hal hoga
Hai ri kismat! dekhiye woh khud masla ban baithey
Rog e dil ko yun na kijiye badnaam duniya mein
Yeh niyamat hai sache dil ko sachi dua se milti hai
Halaat theek ho rahe hein dheere dheere beemar ke Aisa! haan haan aise, pyaar se dekho thoda aur mujhe
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 65
E mere dost ab aur intezaar na kar, kandha de de
Woh aa gaye to farishtey kahin neyat na badal jayein
Mareez e mohabbat ki dawa laye ho charagar?
Kya kaha?? tum unki tasweer nahin la sake???
Kaisa vaid pakad ke laaye 'saahb' ke liye
Puchh raha hai mujse, yeh rog ise hi de do
Arey mangwayo koee ek chaarpayee aur Vaid g ki tabyat mujhe theek nahin lagti
Mohabbat ka dum nikal jaata jo tum na aate Kya kaha? jaldi karoon, tumhe aaj bhi jaldi hai
Aa gayee neend deewane ko do pal ke liye Yaaron ne kandha de diya, rakeeb kam hoga
Nahin aayee raas koee dawa vaid ki Mohabbat ko rog samjh ke ilaaz kya hota
Samjho to sahi mere dost ki wajah kya hai
Rang zard pad gaya hai deewane ka, kyon juda hokar
Siway mohabbat unko kuchh baat nahin kar aati Vaid g kehte hein bukhaar sar ko chala gaya hai
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 66
Zard hota hai siaah padta hai rang e aashiq
Tum bewafa ho ke bhi aur nikhre jaate ho
Nazar e mohabbat se marhum ho bhi sakti thi
Woh saaf mukar gaye, vaid nahin hein 'saahb'
Maar daalo jo shafa nahin kar sakte
Deewane ki maut bhi ab ilaaz samjho
Meri jaan ko ajaab kam nahin hein 'saahb' Woh pehli nazar pehli mulakaat pehli mohabbat
Furkat e shab ko ajab tamasha hua
Main deewangi mein chaak girbaan Nange paanv ghar se nikal gaya
Tang zubaani meri mujhe is mod per le aayee
Khud per kabhi tanahyee per baras raha hoon main
Sulga lo ek naya alaaw aur 'saahb'
Aisa karo dafnyo mat mujhe jala do
Nahin Teri taraf se kuchh bhi umeed mujhko Yaar hein mere ki dilaasa diye ja rahe hein
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 67
Shehar bhar mein yahi baat chal rahi hai
Mohabbat ki dastaan nayee pal rahi hai
Tyaar ho jayo phir se ek tamaashe ke liye
Sakoon bhai fizan cheekh mein badal rahi hai
Main hoon mujhe dekho magar, apni nazar se nahin
Pehle yeh mohabbat o zarurat ka chashma utaar lo
Ek aur waada laut aane ka, ek aur dhokha
Nahin 'saahb' ab ki uske aane se pehle Main chala jaunga!!!
Mohbbat ke naam per yeh kya ho raha hai 'saahb' Dair o haram ke baad ke charcha maikade aa pahunchi hai
Naam e mohabbat badnaam kar diya aapne
Kal sar e aam rokar, unhe bewfa kehkar
Saahilon ki baatein samander kya samjhe
Deewane per naseehat asar nahin karti
Jala bhi doge jo naama unka to kya hoga
Jo yaad aayegi to bachna kaise hai, fesla karo
Woh puchhte hein haal kya kahoon
Muskura rahe hein, achha ho raha hoon
Samjhota nahin kar sakte kissi tarah se hum Dono hi chunaav hein, haan karo ya marta hoon abhi
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 68
Vaid g ne kaha do pal aur hein
Uski nazar ne 'saahb' ko rok liya
Muskura diya main dard mein bhi unki tafteesh per
Woh puchh rahe hein kahaan aur kitni jaan baaki hai
Simat unki dekhte hein sabhi na jaane kyon
Main? main to yun hi bus ... g deewana hoon
Keh do musafir se raasta badal le Mohaabat mein bahut mod aate hein
Rahe woh yun mere saath humesha Zindgi se nikal kar, zehan mein aa gaye
Humse puchh rahe hein, kya khubi humaari
Abhi nazar utha dein to uth jaoge jahaan se
Woh nazar na dekh mujhe ki deewana ho jaun
Mujhse zyaada 'saahb' tumhe pareshaani hogi
Aur bhi honge bahut se mere tumhaar jaise Lekin har kissi se 'saahb' mohabbat nahin hoti
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 69
Woh alvida keh rahe hein muskura ke
Jaate dekh unko main kya ishaawa karoon
Sawali ban gaye hein teri mohabbat ke hum Khairyat mein 'saahb' ek nazar daal de
Waqt e rukhsati dil dono ka bhar aaya magar
Ek duje ke liye dono muskura diye
Nahin aaya raas kissi ko jawab mera
Woh chahte they khuda kahoon
Meri zubaan se tera naam jaata nahin
Kissi ne nazar padhi kissi ne chehra 'saahb'
Koee ilm ke liye wark dar wark palt ta reh gaya
Sunte hein deewana koee aur bhi mehfil mein tha
Woh jisko manaate rahe jurm, 'saahb' bekasoor tha
Jism uska dekhiye ki dekhiye dil ki aadtein Mohabbat hoti jawani mein hai magar peeri ke liye
Ameeri gareebi per zor e mohabbat aazmayo mat
Dastoor e duniya hai, mohabbat se juda 'saahb'
Alvida keh ke hum pachhatay bahut
Umar bhar taana woh deta raha
Tumhaari hi marzi se hum gaye they
Chaand ki tafteesh se pareshaan hein woh aajkal Jab milo to yahi puchhta hai, woh tumhaare saath kaun tha
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 70
Mere saaye per bhi shaq hai mehtaab ko Tafeesh mein puchhta hai, saath chalta kaun tha
Bulaye per woh bhaw kha jaate hein
Yun aag lagi hai us taraf bhi barabar
Unki is sharat per mujhe badi kofat hoti hai
Woh gair se baat karenge to main chup rahunga
Sehal nahin hai unki sharart ko samjhana Dekhte kissi ko hein, muskurate kissi ke liye hein
Mod de dil mera tere kissi kaam ka nahin Jo barson mein mera nahin hua, tera kya hoga
Ajaab e dil hai tere ishaq ki yeh dastaan
Yaad bhi aati hai to saansein ruk jaati hein
Tera aana to phir tera aana hai
Teri yaad bhi aa jaye to jaan nikal jaati hai
Kyon na dekhe mud mud ke unko 'saahb' Bewafa hone se woh badsurat nahin hua
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 71
Mud mud ke dekhna hi pada mujhe usko
Farishtey le chale mera moohn mod ke jo
Ilzaam hai 'saahb' ilzaam hai
Kaam dil ka, nazar per ilzaam hai
Aankhein kissi ko kehti hi kya hein 'saahb'
Zyaada se zyaada tar hein, aur kuchh nahin
EK fakeer se aur kya mangegi duniya EK dua hai 'saahb' diye jaate hein
Kya kahoon shukriya ke ilaawa unko 'saahb' Woh bata rahe hein aah per jaan nikal jaati hai
Sabar e dil ka imtihaan leti hai nazar unki
Dekhti hai mujhko magar yun ki gair ko dekhti hein
Dil kasak se bhara hai teri mohabbat ke kaante hein
Teri raahon mein phul bichaane ke liye dil se chhante hein
Teri zarurat ka sab saaman laaya hoon mein Mera dil chain o sakoon, jo chahe tod do
Shabnam: Tum Kahaan Ho
‘ S A A H B ’
Page 72
Baaees e mohabbat hai unki nazar 'saahb'
Saara shehar girftaar hai unke intezaar mein
Manaya kije shukar khuda ka zinda bache ho
Yeh shab e furkat bade badon ko maar daalti hai
Bekaar ki baatein na kijiye 'saahb' mohabbat ki mehfil mein
Yeh zakham nahin dikhayiye humein, aahein na bhariye
Hasrat e dil meri mujhe kis mukaam per le aayee hai Mazaar khud ka khud bana raha hoon, teri aamad hogi
Umeed e wafa aur unse 'saahb', badi umeed hai Ya mohabbat se sar pher diya hai, ya gaafil ho
Recommended