Deewana Banana Hai to Deewana Bana De

Embed Size (px)

DESCRIPTION

deewa

Citation preview

Deewana banana hai to deewana bana deVarna kahin taqdeer tamasha na bana de

Ai dekhne waalon mujhe has has ke na dekhoTumko bhi kahin mohabbat mujh sa na bana de(Main dhoond raha hoon jisko meri vo shamma kahan haiJo bajzm ki har cheez ko parwaana bana de

Akhir koi soorat to ho khana-e-dil kiKaba nahi banta to butkhana bana de

Behzad har ek gaam pe ek sajda-e-mastiHar zarre ko sang-e-dar-e-jana na bana de

ae jazba-e-dil gar mai chaahoon, har cheez muqabil aa jaayemanzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaayeai dil ki khalish chal yun hi sahi, chalta to hoon unki mehfil meinus waqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mehfil aa jaayekhalish painai rahbar-e-kaamil chalne ko taiyyaar to hoon, par yaad raheus waqt mujhe bhatka dena, jab saamne manzil aa jaaye..rahbar-e-kaamil a perfect guideab kyun dhoondoon wo chashm-e-karam, hone de sitam ba-laaye sitammai chaahta hoon ai jazba-e-gham, mushkil pase-mushkil aa jaaye..chashme-e-karam kind eyes; sitam ba-laaye sitam: distress after distress; mushkil pase mushkil problem after problemhaan yaad mujhe tum kar lena, aavaaz mujhe tum de lenais raah-e-mohabbat mein koi, dar-pesh jo mushkil aa jaayedar-pesh present, confronting.ae jazba-e-dil gar mai chaahoon, har cheez muqabil aa jayemanzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye