19

Fighter Toads (Trendy Baba Series)

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Stories on Fighter Toads team of Indian characters (comedy) by Mohit Sharma (Trendster/Trendy Baba).

Citation preview

  • Timeline: 2007-2008

    Series: Fighter Toads (Raj Comics)

    [with Nagraj in story # 4: Tantra Games]

    Writer: Mohit Sharma (Trendy Baba / Trendster)

    Genres: Comedy, Action, Adventure.

    Total Stories 5 (Vigyapan War, Aids Peedit Vampire, Multi-Toading, Tanta Games and

    Common Sense)

  • 1. Vigyapan War

    *) - 2 - . .

    *) - - rival .

  • .

    *) - . .

    *) - Corporate Cold War . " " .

    *) - Over Confident - deflate - request - .... .

    *) - C Grade Products , , , , .

  • *) - . , , 1 - .

    *) - Bankrupt . .

    *) - , .... .

    *) - requests . .

    The End.

  • 2. Aids Peedit Vampire

    Fighter Toads ki mulaqat ek chor ka Hospital mey peecha karne kay

    dauran Tauki ji se hoti hai. Toads chor ko jail pahunchate hai aur Tauki

    ji se milte hai. Tauki ji bahut udaas thi.

    .....jab Toads unki udaasi ki wajah poochte hai to Tauki ji batati hai ki

    unke Hospital mey bane AIDS patients kay ward mey dawaiyon aur

    counseling kay sahare apni zindagi ko kuch badha rahe H.I.V. positive

    mareezo mey bahut nirasha faili hai....unhe lagta hai ki wo log samaj kay liye abhishaap hai aur kabhi samaj kay kaam nahi aa sakte. Tauki ji unhe

    samjhane ki har sambhav kosish karke haar chuki thi....unme se ek teen age ladka Rahul ab kuch dino ka mehmaan tha jis wajah se ward mey

    aur bhi dukh aur nirasha pasar gayi.

    Tab Fighter Toads un zindagi se nirash patients ki duniya mey khushi

    bharne ki thaante hai...Toads apni harkaton se sabko hasatey....un Aids

    patients kay saamne ladte.....sabko har baat par sabse zyada chidhne waale Cutterr ko tease karna bahut achchha lagta tha. Fighter Toads kay

    crime fighting kay kisse sun kar sab has has kar lot-pot ho jaate. Uss

    Hospital khaaskar AIDS ward ka mahaul hi badal jaata hai.

  • Tabhi shehar mey Dracula ka ek rishteydaar Vampire Rajapur mey

    aatank machane lagta hai. Toads us Vampire dwara kaate gaye Vampires ko ek jagah kaid kar lete hai par uss takatvar Vampire ko kaid nahi kar

    paate. Toads Vampire kay aas-paas kay elakon ko khaali karva dete

    hai...Toads uss se door se ladne ki bharpoor kosish karte hai par wo Vampire khatm nahi hota....ab sabko lag raha tha ki ye Vampire Rajapur

    kay rehaishi elakon mey ghus jaayega...tab wo AIDS peedit ladka Rahul

    Vampire kay saamne aa jaata hai....Vampire Rahul ko apna shikar bana leta hai par Rahul ka H.I.V. positive khoon peene se Vampire ko bhi

    AIDS ho jaata hai...Rahul ussi waqt infection ki adhikta se marr jaata hai

    jabki Vampire mey AIDS kay lakshan dikhne lagte hai jaise uske bahar kay 2 nukeeley daant toot jaana....wo dobara chamgadad kay roop mey

    nahi aa paa raha tha....uski aankhon kay neeche aur zyada bade 'dark

    circles' ban gaye thay...etc. Wo Vampire jald hi marr gaya. Issi tarah uss Vampire ka shikaar hokar Vampire bane kuch logo ko bhi Fighter Toads

    nay uss Hospital kay AIDS ward kay patients kay khoon se

    bhari 'tranquilizing' darts maari jis se unme bhi AIDS kay lakshan dikhne lage aur aakhirkaar wo sabhi AIDS peedit Vampires maare gaye.

    Toads aur Tauki ji nay AIDS patients ko bataya ki aaj unki wajah se

    manavta par aaya bahut bada khatra tal gaya...yaani aaj wo bhi sachche nagrikon ki tarah samaj kay kaam aaye...

    The End.

    ------------------------------------------------------------------------------------------------------

    I originally wrote this story and then wrote Aids Peedit Vampire for Fighter Toads.

    * ) - AIDS Sufferer...Vampire (Category - Other)

    Place : A Private Hospital, India. "Doctor, Haaaaaaaaaa!" Doctor engrossed in a report "Sore throat, Cough and Cold...second floor, room number 19."

  • But this was a special case. "Doctor....haaaaaaaa!" At last, Doctor looked at the visitor "Jeeeeeez..Yuck...wak...what a Buggy..go to the next building?" "What for?" Doctor - "That building is Theater and Movie Studio and you were going there but probably in confusion and hurry bumped in here." "No...haaaaaa!" Doctor - "Okay, so you are nervous before your performance or screen test. You wanna rehearse and were practicing here...O Come on, 'Pee-Pee Man' this is a Hospital." "I am Desi Vampire...somebody 'killed' me few decades ago and buried my body near the sewer, today some freaky stuff (ya..even for me) along with bumper-decomposed gases leaked at my place from that gutter and I guess that's enough inspiration...err.. irritation for me to rise again and rule the world." Doctor - "I am a Doctor, not a kid and you are a normal person trying to imitate some cheap TV program's weak Vampire?" Desi Vampire - "Okay, then! Call your Peon." Doctor - "Shambhoo!" Shambhu - "Haaaaaaaaaaaa!"

  • Doctor - "Oh! Shambhoo looks like an sucked elastic Bamboo! Okay-Okay! you win...you are a Vampire....I mean Wow you are so great, the ultimate Yo Man...I love you. So, now what? Are you going to suck my...." Desi Vampire - "Haaaaaa!" Doctor - "..I mean drink my Blood, easy my Lord....but why are you telling me all this...Is this your Modus Operandi? Narrate your story to all your victims...he he...What the fuc....awesome!" Desi Vampire - "I was on my way to 'suck' people and soon I came to this Hospital...I bit a patient (who laughed instantly when I went there) and drank few liters of blood but after that I feel like....sick...my hairline receded, my vision needs a Bifocal with a Telescope and a Microscope...since then I am tolerating a voice "peeeeeeeeeeeeee" in my ears....even I went to Toilet couple of times but still this "Peeeee" is on....what's worst is that one of my 'showpeice' fangs broked right outside your office when I was 'busy' with your peon Shambhoo. That's why I told you all this...Please help me." Doctor - "You are feeling weak and sick?" Desi Vampire - "Yes, like somebody sucked me. No energy left." Doctor - "That first victim of yours in this Hospital was in which ward?" Desi Vampire - "Ground Floor, Right section. I don't remember the name of that ward." Doctor - Oh My God! That's the ward for AIDS patients.

  • Desi Vampire - And what's that? Doctor - AIDS stands for Acquired Immuno Deficiency Syndrome. It's a new disease invented...I mean discovered in later half of 20th Century. I guess you were buried for more than 5-6 decades. I am sorry you sucked an AIDS patient....so now you are H.I.V. Positive. Your immune system is getting weaker with every passing second because you consumed quite a lot from that patient. It's too late now. Desi Vampire -Naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhh!!! Doctor - Don't worry you can still become an integrated part of this society. Our Hospital provides free medical and counseling facilities to AIDS patients. The End!

  • 3. Multi-Toading

    Fighter Toads kay shehar mey aatanki gatividhiyaan badh rahi thi.

    Fighter Toads badi taadad mey hathiyaar bandh aatankiyon ka saamna dhang se to kar rahe thay aur aaye din aam janta ko bahut nuksaan

    pahunch raha tha. Upar se kisi insaan ki jaan naa lene ki Fighter Toads

    ki kasam bhi unke kaam mey aade aa rahi thi. Iss kaaran Rajapur ab aatankvaadiyon ka gadh banta jaa raha tha. Inn sab ghatnaao se

    pareshaan hokar Fighter Toads nay Toad dev se guhaar lagai ki unko

    paanchve toad ki zarurat hai jo unn charo se takatvar ho aur aise aatankiyon se ladne kay liye achche hathiyaar rakhta ho taaki apradh ki

    bhaavna rakhne waale logo kay dilo mey darr baith jaaye.

    Toads nay ek maang aur thi ki agar desh ki suraksha ko khatra ho to

    usspaanchve toad ko aise apradhiyon ki hatya karne ka bhi adhikaar ho.Toad Dev unki baat par vichaar karke apna nirnay lene ki baat

    kehkarantardhyaan ho jaate hai. Idhar apne shehar se aatankvaadiyon ka

    peechakarte huey Inspector Steel Rajapur pahunchta hai. Waha wo

  • kaiaatankiyon ko giraftaar karke Rajapur kay Jail mey daal deta hai.

    Parab tak Rajapur aatankiyon se bhar chuka tha jo usse gher kar uske sarpey vaar karte hai aur Inspector Steel nishkriya ho jaata hai.Usse

    marahua samajh kar aatankvaadi usse gutter mey faink dete hain.

    InspectorSteel ka bhaari shareer Toad Nivas ko thoda shatigrast kar deta hai aurToads, Inspector Steel ki iss "sewer todd" entry aur uske deel

    dool kodekh kar samajhte hai ki Toad Dev nay unka paanchva saathi

    bhej diyahai.Computerr, Inspector Steel kay shareer ko analyse karta hai aur uskikamiya door karta hai par phir bhi wo nishkriye rehta hai kyoki

    uskibatteries nasht ho gayi thi. Tab Computerr Uski battery kay vikalp

    kaytaur par gobar aur sever gas ka isteymaal karta hai.

    Ab Inspector Steelko charge karne kay liye "Power Chair" ki jagah

    "Sewer Chair" parbaithaya jaata aur usse energy milti hai sewer mey aane waale"padhartho" se iss alternative energy se wo pehle se bhi

    zyadataakatvar ho jaata hai.Halaki,Computerr nay Inspector Steel ki

    saari machini gadbadiyaan the ekkar di thi par uske insaani mastiksh par lage aaghaat kay kaaranInspector Steel ki yaddasht chali gayi thi aur wo

    Toads ki kahi baatonkay anusaar khud ko unka paanchva saathi maan

    ney laga aur unhi kitarah hasya aur anadi jeevanshaili jeene laga. Fighter Toads nay apnenaye, sabse bade aur takatvar saathi ka naam uske roop

    kay anusaar"Babbarr" rakha. Ab Rajapur kay apradhiyon ka safaya

    Babbarr banaInspector Steel kar raha tha. Idhar Inspector Steel kay laapata hojaane se uska dost Anees pareshaan tha jo Inspector Steel kay

    Rajapurmey dekhe jaane ki khabar ko sunkar waha pahunch chuka tha.

    Toad Devpaanchva shaktishaali aur hathiyaaro se less Toad ko Rajapur bhejte haijiske bholepan ka faayda utthakar Rajapur kay aatanki usse

    Toads takpahunchne se pehle hi apne saath mila lete hai. Ab takraav hota haiBabbarr (Inspector Steel) ka aur aatankvaadiyon dwara gumraah

    hueypaanche toad ka jiska naam unhone rakha tha "Aatankkarr".

    Jisme FighterToads ki madad se Babbarr (Inspector Steel) jeet jaata hai

    parAatankkarr faraar ho jaata hai. Inspector Steel ki yaaddast

    aakhirkaarAnees kay prayaaso se waapas aa jaati hai aur Aatankkarr ko bhi ToadDev uski galati aur uss se huey nuksaan ko batate hai.

  • Aatankkarr koapni galati ka ehsaas hota hai aur wo Fighter Toads kay

    saath mil jaatahai. Ab Charo Toads, Inspector Steel, Aatankkarr, ye sabhi 6 Rajapur seaatank ka samool naash karne kay liye nikalte hain.

    Apne inn prayaasomey Aatankkar apne hathiyaaro aur kaushal ki madad

    se aatankiyo kaymukhya thhikane ko khatm karne mey mahatvapoorna bhumika nibhata haipar iss beech aatanki Rajapur kay ek residential area

    par missile kahamla karte hai jisse Aatankkarr khud hawa mey kai

    kilometers ki jumplaga kay aakash mey hi nasht kar deta hai. (Note - Aatankkarr ki powersdoosre toads se kaafi zyada hai.) Inspector Steel

    Rajapur mey apnemission (aatankvaad ka Rajapur se khatma) ki samapti

    par Toads kodhayavaad dekar Anees kay saath unse vida leta hai aur Toads apnesaathi kikurbaani ko yaad karke usse prerna lete hai aur uski

    tarah desh ki sevakarne ka apna prann dohrate hai.Toad Dev unke

    saamne phir se paanchva taod banane ka vikalp emergencymey hamesha khula rakhne ki baat kar antardhyaan ho jaate hai.

    The End.

  • 4. Tantra Games

    Ek dusht khanabadosh tantrik, jiska naam tha, Tantree, jo Bharat mey

    jagah jagah ghoom kar logo ko thaggta tha. Halaki, wo khanabadosh

    nahi tha par wo jis bhi shehar mey jaata wahan kay Superheroes se apne kaamo kay liye bahut maar khata. Uski poori zindagi maar khaate huey

    aur Bharat bhar mey beizzati sehte huey beet gayi thi.

    Uska 1 beta tha jiska naam tha, Tantroo, jisne apne pita kay saath rehte

    huey tantra seekha tha. Lekin wo swabhaav ka achchha tha aur apne pita kay dabaav kay bawajood bhi wo apne tantra ka isteymaal doosro ki

    bhalaai kay liye hi karta tha. Apne jeevan kay aakhri dino mey

    Tantreeapne isht dev Shaitaanraj ki ghor tapasya karta hai jiss se ussebahut si tantra shaktiyan aur seedhiyan prapt ho jaati hai par uski

    umr uska saath nahi de rahi thi aur wo inn arjit ki hui shaktiyon ka

    isteymaal karne ki sthiti mey nahi tha. wo kabhi bhi marr sakta tha. Ab

  • tak itna apmaan seh chuke Tantree kay mann mey Superheroes kay parti

    nafrat bhari thi. Isliye usne apne putra Tantroo ko apni saari arjit ki hui shaktiyan di aur uske saamne apni aakhri ichchha rakhi ki wo inn tantra

    shaktiyon se kisi ek superhero kay shareer se aatma nikal karapne pita

    ko sukoon pahunchaye. Par Tantroo mana kar detahai........tab Tantree usse kehta hai ki agar usne apne pita ki aakhri ichchha poori nahi ki to

    phir uski arjit ki hui shaktiyan apne aapTantroo kay shareer se nikal kar

    tabahi machahne lagnegi.Saaf dil ka Tantroo apne pita kay iss vachan se asmanjas mey padd jaata hai kyoki wo jaanta tha ki kisi superhero kay

    shareer se aatma nikalne par wo ek shehar ko anath kar dega. Par wo

    jaanta tha ki agar usne apne pita kakaha vachan poora nahi kiya to uske andar samayi uske pita ki arjit kihui shaktiyan bahut utpat machayengi.

    Phir usse pata chalta hai ki Rajapur mey Fighter Toads kay roop mey 4

    apradh vinashak hai jinme seek ki aatma nikal jaane par bhi baaki 3

    Rajapur kay apradh se ladd sakte hai.

    Tantroo apni samasya Fighter Toads kay saamne rakhta hai. Charo Toads apni kurbani dene kay liye aur apne baaki 3 saathiyon kobachane

    kay liye behas karne lagte hai aur ye behas jald hi haathapaaimey badal

    jaati hai.Idhar apne bete kay haatho desh kay sabse badesuperhero Nagraj ki aatma nikalvane kay liye Tantree Mahanagar mey tantra ka

    utpat macha kar apne bete Tantroo kay paas Rajapur mey sharanleta hai.

    (Tantree ka Mahanagar mey apradh karne ka kaaran ye bhi thaki Nagraj nay uski sabse zyada aur har baar badi buri tarah pitaai aurbeizzati ki

    thi.). Kyoki uske apradh thaggi, chori, etc, kay hotay thayisliye usse

    superheroes aur kanoon se sangeen saza nahi milti thi.

    Surago ko jaanchta hua Nagraj Tantree kay peeche Rajapur tak aa jaatahai. Nagraj Tantree aur usse bachane kay liye beech mey aaye

    Tantroo kopakad leta hai par saath hi usse Fighter Toads ka bhayankar yuddh dikhta hai jiss se Rajapur ki public places par kohram macha hua

    tha.Nagraj charo toads ko samjhane ki kosish karta hai par wo ussi se

    bhiddjaate hai tab Nagraj thode bal prayog kay baad sabhi Toads par kaabupaa leta hai. Phir usse samasya ka pata chalta hai. Dimaag par

  • thoda zordaalkar Nagraj iss samasya ka hall nikal leta hai. Wo batata hai

    kiuske shareer mey uski aatma kay alawa kai sukhshma sarpo ki anginataatmaayein bhi hai aur Tantroo ka vachan poora karne kay liye

    usse basapne ek sukshma sarp ki kurbani deni padegi jiski aatma se uska

    vachan poora ho jaayega. Aisa hota dekhkar ashakt aur buddha Tantree sadme semaara jaata hai. Tantroo khud ko mili tantra shaktiyon ka

    isteymaalsamaj ki bhalaai mey lagane lagta hai. Fighter Toads ka

    dharmsankat bhi tall jaata hai.

    The End.

    Notes

    1 ) - Tantree kay introduction kay shuruati frames mey usse har frame mey har hero aur kuch pramukh side characters se pit ta hua dikhayen.2)

    - Fighter Toads ki serious ladaai. 3)- Fighter Toads ki Nagraj par paar

    paane kay liye cheating.....peeche se pole vault maarna, etc.4)- Tantroo ko uksaane kay liye beech beech mey Tantree kay dialogs.

  • 5. Common Sense

    Ek baar Fighter Toads Rajapur kay pehle Mall mey ghoomne mey

    jaate hai. Wahan Cutterr aur Shooterr har nayi cheez ko dekh kar

    Computerr se sawal kar rahe thay. Tanng aakar Computerr kehta

    hai ki "Itney saalo se insaano kay beech reh rahe ho tum dono, khud

    samajh lo.....common sense nahi hai kya?"

    Cutterr aur Shooterr chup ho jaate hai par common sense kya cheez

    hoti hai ye unhe pata nahi tha aur naa hi wo Computerr se poochna

    chahte thay. Isliye Cutterr nay gutter mey akeley teheltey Masterr

    se poocha.

    Cutterr - Ye common sense hoti kya cheez hai?

    Masterr - Ha ha ha, tuney Computerr ki baat dil par le li. Chhod

    jaane de.

  • Cutterr - Nahi chhodunga, mujhe bata common sense kya hoti hai?

    Masterr - Duniya aur samaj se juddi sadharan cheezon aur baaton

    ko samajhne ki shamta ko common sense kehte hai.

    Cutterr - Kya..kya...kya? Doordarshan waali aunty ki tarah nahi

    dhang se bata.

    Masterr - Dekh mai tujhe practically samjhata hun. Ye maine apna

    haath rakha gutter ki deewar par.......ab tu ispar zor se mukka

    maar.

    Cutterr - Nahi, talwar....talwar.

    Masterr - Jo keh raha hun wo kar.

    Cutterr mukka maarta hai aur Masterr deewar se apna haath hata

    leta hai. Cutterr kay haath mey halki chot lag jaati hai.

    Masterr - Dekha.....ye hoti hai common sense. Tuney mukka maara

    aur maine haath hata liya jiss se mere haath par chot nahi lagi.

    Cutterr - Haan yaar, mujhe thodi chot to lagi par samajh mey aa

    gaya ki common sense kya hoti hai.

    Thodi dair baad Cutterr jaan boojh kar 'Toad Nivas' kay bahar,

    andar baithey Computerr ko sunane aur dikhane kay liye zor zor se

    bol raha tha.

    Cutterr - Shooterr......mere bhai....koi samajhta hai ki akal sirf ussi

    kay paas hai....thoda bhaav kya de diya to Bollywoodi nakhre karne

    laga. Sun!!!!

    Shooterr - Sun to raha hun, magar tu chilla kyu raha hai?

  • Cutterr - Ab mujhe bhi common sense ka matlab pata chal chuka

    hai. Mai tujhe wahi samjhane aaya hun.

    Shooterr - Achchha!!! Kya hoti hai?

    Ab tak Masterr aur Computerr bhi bahar aa gaye thay.

    Cutterr - Ye maine haath rakha apne mooh par.........

    Masterr - Lekin Cutterr......

    Cutterr - Nahi mere bhai aaj mujhe mat rook. Haan to Shooterr, ye

    maine haath rakha apne mooh par Shooterr maar ek mukka....nahi

    nahi....apna ek ghunsa baand.

    Shooterr - Cutterr.......mai.

    Cutterr - Haan tu.....maar apna sabse tagda ghunsa baand.

    Computerr - Cutterr, suno to.....

    Cutterr - Chup kar, nonsense. Maar Shooterr maar.

    Shooterr apna ghunsa baand chala deta hai aur Cutterr apne

    chehre se apna haath hata leta hai. Ghunsa baand zor se Cutterr

    kay mooh par padta hai.

    Cutterr - Dekha Computerr....isse kehte hai Common Sense.

    ......aur Cutterr behosh ho jaata hai.

    The End.