7
Faraar November 17th, 2009 Todays nazm: apne maazi ke tasavvur se hiraasaaN houN maiN apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe apni bekar tamannaaoN pe sharminda houN apni besood umeedoN pe nadaamat hai mujhe mere maazi ko andhere meiN dabaa rahne do mera maazi merii zillat ke sivaa kuchh bhi nahiiN merii umeedoN kaa haasil, meri kaavish ka silaa ek benaam azeeyat ke sivaa kuchh bhi nahiiN kitni bekaar umeedoN ka sahaaraa lekar maine aivaan sajaaye the kisii kii Khaatir kitni berabt tamannaaoN ke mubham Khaake apne KhwaaboN meiN basaaye the kisi kii Khaatir mujhse ab meri muhabbat ke fasaane na kaho mujhko kahne do k maiN ne unheiN chaahaa hi nahiiN aur vo mast nigaaheiN jo mujhe bhool gayiiN maiN ne un mast nigaahoN ko saraahaa hi nahiiN mujhko kahne do k maiN aaj bhi jee saktaa houN ishaq nakaam sahii, zindagii nakaam nahiiN unheiN apnaane kii khwaaish, unheiN paane ki talab shauq-e-bekaar sahii, sai-e-Gham-anjaam nahiiN vahii gesoo, vahi nazreiN, vahii aariz, vahii jism maiN jo chaahouN to mujhe aur bhi mil sakte haiN vo kaNval jinko kabhi unke liye khilna thaa unki nazroN se bahut door bhi khil sakte haiN Glossary maazi = past tasavvur = imagination, thoughts hiraasaaN = afraid ayyaam = days besood = useless nadaamat = ashamed, embarrassment zillat = insult kaavish = attempts, tries sila = fruit, (kaavish ka sila = the fruit of my attempts) azeeyat = pain, problems aivaan = palaces berabt = useless, without any connection, any use mubham Khaake = foggy drawings, outlines fasaane = stories talab = will shauq-e-bekaar = useless hobby, useless wish sai-e-Gham-anjaam = a painful trial gesu = hair aariz = cheeks Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/ > Sahir Ludhianvi 12 January 2013 22:50 Unfiled Notes Page 1

Sahir Ludhianvi

Embed Size (px)

DESCRIPTION

URDU SHAYARI IN ROMAN

Citation preview

Page 1: Sahir Ludhianvi

FaraarNovember 17th, 2009

Today’s nazm:apne maazi ke tasavvur se hiraasaaN houN maiN

apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujheapni bekar tamannaaoN pe sharminda houN

apni besood umeedoN pe nadaamat hai mujhemere maazi ko andhere meiN dabaa rahne do

mera maazi merii zillat ke sivaa kuchh bhi nahiiN

merii umeedoN kaa haasil, meri kaavish ka silaaek benaam azeeyat ke sivaa kuchh bhi nahiiN

kitni bekaar umeedoN ka sahaaraa lekarmaine aivaan sajaaye the kisii kii Khaatir

kitni berabt tamannaaoN ke mubham Khaake

apne KhwaaboN meiN basaaye the kisi kii Khaatirmujhse ab meri muhabbat ke fasaane na kaho

mujhko kahne do k maiN ne unheiN chaahaa hi nahiiNaur vo mast nigaaheiN jo mujhe bhool gayiiN

maiN ne un mast nigaahoN ko saraahaa hi nahiiNmujhko kahne do k maiN aaj bhi jee saktaa houN

ishaq nakaam sahii, zindagii nakaam nahiiN

unheiN apnaane kii khwaaish, unheiN paane ki talabshauq-e-bekaar sahii, sa’i-e-Gham-anjaam nahiiN

vahii gesoo, vahi nazreiN, vahii aariz, vahii jismmaiN jo chaahouN to mujhe aur bhi mil sakte haiN

vo kaNval jinko kabhi unke liye khilna thaa

unki nazroN se bahut door bhi khil sakte haiNGlossary

maazi = pasttasavvur = imagination, thoughts

hiraasaaN = afraidayyaam = days

besood = useless

nadaamat = ashamed, embarrassmentzillat = insult

kaavish = attempts, triessila = fruit, (kaavish ka sila = the fruit of my attempts)

azeeyat = pain, problems

aivaan = palacesberabt = useless, without any connection, any use

mubham Khaake = foggy drawings, outlinesfasaane = stories

talab = will

shauq-e-bekaar = useless hobby, useless wish

sa’i-e-Gham-anjaam = a painful trial

gesu = hairaariz = cheeks

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/>

Sahir Ludhianvi12 January 2013

22:50

Unfiled Notes Page 1

Page 2: Sahir Ludhianvi

FaraarNovember 17th, 2009

Today’s nazm:apne maazi ke tasavvur se hiraasaaN houN maiN

apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujheapni bekar tamannaaoN pe sharminda houN

apni besood umeedoN pe nadaamat hai mujhemere maazi ko andhere meiN dabaa rahne do

mera maazi merii zillat ke sivaa kuchh bhi nahiiN

merii umeedoN kaa haasil, meri kaavish ka silaaek benaam azeeyat ke sivaa kuchh bhi nahiiN

kitni bekaar umeedoN ka sahaaraa lekarmaine aivaan sajaaye the kisii kii Khaatir

kitni berabt tamannaaoN ke mubham Khaake

apne KhwaaboN meiN basaaye the kisi kii Khaatirmujhse ab meri muhabbat ke fasaane na kaho

mujhko kahne do k maiN ne unheiN chaahaa hi nahiiNaur vo mast nigaaheiN jo mujhe bhool gayiiN

maiN ne un mast nigaahoN ko saraahaa hi nahiiNmujhko kahne do k maiN aaj bhi jee saktaa houN

ishaq nakaam sahii, zindagii nakaam nahiiN

unheiN apnaane kii khwaaish, unheiN paane ki talabshauq-e-bekaar sahii, sa’i-e-Gham-anjaam nahiiN

vahii gesoo, vahi nazreiN, vahii aariz, vahii jismmaiN jo chaahouN to mujhe aur bhi mil sakte haiN

vo kaNval jinko kabhi unke liye khilna thaa

unki nazroN se bahut door bhi khil sakte haiNGlossary

maazi = pasttasavvur = imagination, thoughts

hiraasaaN = afraidayyaam = days

besood = useless

nadaamat = ashamed, embarrassmentzillat = insult

kaavish = attempts, triessila = fruit, (kaavish ka sila = the fruit of my attempts)

azeeyat = pain, problems

aivaan = palacesberabt = useless, without any connection, any use

mubham Khaake = foggy drawings, outlinesfasaane = stories

talab = will

shauq-e-bekaar = useless hobby, useless wish

sa’i-e-Gham-anjaam = a painful trial

gesu = hairaariz = cheeks

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/>

Sahir Ludhianvi12 January 2013

22:50

Unfiled Notes Page 2

Page 3: Sahir Ludhianvi

ab aayeiN ya na aayeiNNovember 10th, 2009

Today’s Ghazal

ab aayeiN ya na aayeiN idhar puuchhate chalokyaa chaahati hai un ki nazar puuchhate chaloham se agar hai tark-e-ta’alluq to kyaa huaayaaro! koi to un ki Khabar puuchhate chalojo Khud ko kah rahe haiN ki manzil shanaas haiNun ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalokis manzil-e-muraad ki jaanib ravaaN haiN hamai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chaloGlossarytark-e-ta’alluq = breaking of all connections, relationsmanzil-shanaas = someone who knows the destination, goalravaaN = flowingrahravaan-e-Khaak-ba-sar = a traveler whose head is full of dust

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/>

Sahir Ludhianvi12 January 2013

22:54

Unfiled Notes Page 3

Page 4: Sahir Ludhianvi

Intezaar

November 5th, 2009

Today’s nazm entitled “Intezaar”

chaand maddham hai aasmaaN chup hai

neeNd ki god meiN jahaaN chup hai

door vaadi meiN doodhiyaa baadal

jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN

dil meiN naakaam hasrateiN lekar

ham tera intezaar karte haiN

in bahaaroN ke saaye meiN aa jaa

phir muhabbat javaaN rahe na rahe

zindagii tere naamuraadoN par

kal talak meharbaaN rahe na rahe

roz ki tarah aaj bhi taare

subah ki gard meiN na kho jaayeiN

aa tire Gham meiN jaagtii aaNkheiN

kam se kam ek raat so jaayeiN

chaand maddham hai aasmaaN chup hai

neend ki god meiN jahaaN chup hai

Sahir Ludhianvi12 January 2013

23:28

Unfiled Notes Page 4

Page 5: Sahir Ludhianvi

jab kabhi unki tavajjo meiN kamiNovember 3rd, 2009

It’s time for a nice ghazal by Sahir:jab kabhi unki tavajjo meiN kami paayii gayiiaz-sar-e-nau daastaan-e-shauq dohraayii gayii

bik gaye jab tere lab phir tujh ko kyaa shikvah agarzindgaani baadah-o-saaGhar se bahlaaii gayiiai Gham-e-duniyaa tujhe kyaa ‘ilm tere vaastekin bahaanoN se tab’eeyat raah par laayii gayii

ham kareiN tark-e-vafaa, acchhaa chalo yuuN hi sahiiaur agar tark-e-vafaa se bhi na rusvaaii gayii?kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gham se bujh gaye

kaise kaise paikaroN ki shaan-e-zaibaayii gayii

dil kii dhaRkan meiN tawaazun aa chala hai, Khair homerii nazreiN bujhh gayiiN yaa terii raan’aaii gayiiun kaa Gham, un ka tasavvur, un ke shikve ab kahaaN

ab to ye baateiN bhi aie dil ho gayiiN aayii gayiijurrat-e-insaaN pe go taadiib ke pahre rahefitrat-e-insaaN ko kab zanjeer pahnaaii gayiiarsa-e-hastee meiN ab tesha-zanoN kaa daur hai

rasm-e-changezii uThii to qaid-e-durraai gayiiGlossarytavajjo = attention

az-sar-e-nau = from the beginningdaastaan-e-shauq = love storybaadah-o-saaGhar = alcohol (saaGhar = glass of alcohol)‘ilm = knowledge

tark-e-vafaa = breaking promisesrusvaaii = disgracechashm-o-aariz = eyes and cheeks

gard-e-Gham = the dust of sorrow

paikaroN = bodiesshaan-e-zebaaii =the pridetawaazun = Balance, rythme

raanaaii = beautytasavvur = imagination, thoughtsjurrat-e-insaaN = man’s will to carry out actionstaadeeb = discipline, law

fitrat-e-insaaN = man’s nature, thoughtsarsa-e-hastee = period of existencetesha-zanoN = axe-wielders

rasm-e-changezii = the way of Changez (probably referring to Gengis Khan)qaid-e-durraii = the prison of whips (durraa is a scourge made of twisted thongs (with which offenders are

punished

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/>

Sahir Ludhianvi13 January 2013

00:10

Unfiled Notes Page 5

Page 6: Sahir Ludhianvi

tum mujhe bhool bhi jaaoOctober 30th, 2009

A beautiful, yes an extremely beautiful song from movie “Didi” sung expertly by Sudha Malhotra and Mukesh

and composed by Sudha Malhotra as well, this remains one of my favourite Sahir songs. Video attached at the bottom:Sudha:tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko

meri baat aur hai maiN ne to muhabbat ki haimere dil ki mere jazabaat ki qeemat kyaa hai

uljhe uljhe se Khayaalaat ki qeemat kyaa haimaiN ne kyuuN pyaar kiya, tumne na kyuuN pyaar kiya

in pareshaan savaalaat kii qeemat kyaa hai

tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko

meri baat aur hai maiN ne to muhabbat ki hai

tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumkoMukesh:

zindagii sirf muhabbat nahiiN kuchh aur bhi haizulf-o-ruKhsaar ki jannat nahiiN kuchh aur bhi hai

bhookh aur pyaas kii maarii hui is duniyaa meiNishq hi ek haqeeqat nahiiN kuchh aur bhi hai

tum agar aaNkh churaao to ye haq hai tumkomaiN ne tumse hi nahiiN, sab se muhabbat ki hai

Sudha:tumko duniyaa ke Gham-o-dard se fursat na sahi

sabse ulfat sahii, mujhse hi muhabbat na sahi

maiN tumhaari huuN, yahi mere liye kyaa kam hai

tum mere hoke raho, ye merii qismat na sahii

aur bhi dil ko jalaao to ye haq hai tumkomeri baat aur hai, maiN ne to muhabbat ki hai

tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/6/>

Sahir Ludhianvi13 January 2013

00:16

Unfiled Notes Page 6

Page 7: Sahir Ludhianvi

raat sunsaan thi, bojhal thiiN fazaa kii saanseiN

rooh par chhaye the benaam GhamoN ke saayedil ko ye zid thii k tuu aaye tassalli dene

merii koshish thii k kambaKht ko neeNd aa jaayeder tak aaNkhoN meiN chubhtii rahii taaroN ki chamak

der tak zahn sulagtaa rahaa tanhaaii meiN

apne Thukraaye hue dost kii pursish ke liyetu na aayii magar is raat kii pahnaaii meiN

yuuN achaanak tirii aavaaz kahiiN se aayiijaise parbat ka jigar cheer ke jharnaa phooTe

yaa zameenoN kii muhabbat meiN taRap kar naagaah

aasmaanoN se koi shauKh sitaaraa TooTeshahd saa ghul gayaa talKhaabaa-e-tanhaaii meiN

rang saa phail gayaa dil ke siyaah Khaane meiNder tak yuuN tirii mastaanaa sadaayeiN goonjeiN

jis taraH phool chaTakne lageiN veeraane meiNtuu bahut door kisii anjuman-e-naaz meiN thii

phir bhi mahsoos kiyaa maiN ne k tuu aayii hai

aur naGhmoN meiN chhupaa kar mire khoye hue Khwaabmerii rooThii huii neendoN ko manaa laayii hai

raat kii satH par ubhre tire chahre ke naqooshvahii chup chaap sii aaNkheiN vahii saadaa si nazar

vahii Dhalkaa huaa aaNchal vahii raftaar ka Kham

vahii rah rah ke lachaktaa huaa naazuk paikartuu mire paas na thii phir bhi sahar hone tak

teraa har saaNs mire jism ko chhooo kar guzraaqatra qatra tire deedaar kii shabnam Tapkii

lamha lamha tirii Khusbuu se muattar guzraaab yahii hai tujhe manzoor to ai jaan-e-qaraar

maiN tirii raah na dekhouNgaa siyah raatoN meiN

DhooND leiNgi mirii tarsii huii nazreiN tujh konaGhma-o-sh’er kii umRii huii barsaatoN meiN

ab tiraa pyaar sataayegaa to merii hastiitirii mastii bharii aavaaz meiN Dhal jaayegii

aur ye rooH jo tere liye bechain sii hai

geet ban kar tire hoNToN pe machal jaayegiitire naGhmaat tire husn kii ThanDak lekar

mere tapte hue maahaul meiN aa jaayeiNgechand ghaRiyoN ke liye hoN k hamesha ke liye

merii jaagii huii raatoN ko sulaa jaayeiNgeGlossary

pursish = enquiry, asking, questioning

pahnaaii = clothingnaagah = suddenly

talKhaabaa-e-tanhaaii = bitter waters of solitudeanjuman-e-naaz = delicate (comfortable) abode

sataH (satH) = platform, surface, expanse

naqoosh = painting, carving, formKham = curve, bend

paikar = form / bodymuattar = scented

Inserted from <http://www.sahirludhianvi.com/blog/index.php/page/7/>

Sahir Ludhianvi13 January 2013

00:42

Unfiled Notes Page 7