19
The Way of salafiyyah.com Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

  • Upload
    others

  • View
    9

  • Download
    0

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

The Way of salafiyyah.com

Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Page 2: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Doston Aajkal Baaz Nawajawàn ka Dawah hai ke ALLAH ne Hame

MUSALMAN kahkar NAAM diya hai tho fir yeh AHLUL HADITH ya

ASHAB UL HADEETH ya etc..kahkar ham doosre Jamate kyun banaye..aur

kahne ki koshish b karte hai ham Ahlul Hadith wale Musalman naam ka inkaar

karte hai i.e Quran ki Ayat ka Inkaar.

Ab isse bada afsos ka makaam kya hosakta hai. Khair..

Aise kuch b nahi hai.

Pahli baat ke Ahle hadith Musalman naam ki Mukhalifat me nahi hotha hai.

Aur ALLAH ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ke daur me koi jamat nahi thi

koi firqa nahi tha, wo log KO zaroori nahi huwa

Us waqt me kisi aur NAAM ki zarurat bhi nahi thi ALAG karne k liye, lekin

baadme jab Alhul RAYY aur AHLUL KALAAM aaye jinhone ALLAH ki sifaat

me aur ALLAH taala ki Shariat me apne AQL se aur qyaas araaiyonke zariyese

naye naye masail ghadna shuru kiya.

Alle KALAM ne ALLAH ki sifat me ghadna shuru kiya aur AHlul Rayy ne FIQH

ke sil sileme baht saari qyaasi baten ghadna shuru kiya aur uske mutabik fatwe

dena shuru kiye.

Tho inke BIL MUKAABIL ek jamat thi JINHONE KAHA KE HAM AHLUL

RAYY NAHI HAI AUR NAAHI HAM AHLUL KALAAM HAI, tho fir kaun

hai, ham AHLUL HADITH hai.

Ham jidaal ki buniyaad par AQIDAH nahi lete, aur HAM shariat ke sil

sileme QYAAS ki buniyat par FATWE nahi dete, IJTIHAAD karte hai lekin

uski HUDUD me.

Ham Hadith hi se DEEN lete hai, RAYY nahi.

Aur yahi Wajah hai ke..

Imaam Bukhaari

Imaam Muslim

Imaam Shaafi’ee

Page 3: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Imaam Ahmad ibn Hanbal

Imaam Yahyaa ibn Sa’eed al-Qattaan

Imaam Tirmidhee

Imaam Abu Dawood

Imaam Nasaa’ee

Imaam Ibn Khuzaimah

Imaam Ibn Hibbaan

Imaam Abu Awaanah

Imaam Ahmad bin Abdullah bin Saaleh al-Ejlee

Imaam Abu Abdullah al-Haakim an-Neesabooree [ Rahimahullah ]imam ibne

taymiyyah…etc….

Aise 1400 saal se saare Bade Bade Muhaddithone apne apko AHLUL

HADITH or ahle sunnat kehte aaye hy. Aaj A Aqal parast nawajwan khade

hoke kehte hey nahi nahi hum Ahle haees nahi na hi Ahle sunnat hum sirf

Muslim hey

Mera sawal wo log se hai jo apne apko sirf MUSALAN kahte firte hai.

Jaise sab log jaante hai ke hadith me kai saare kisme hai, aur usko banana ki

wajah muhaddithone clear kardiya tha ke ‘ is fitnonke daur me agar hadith

ko hadith ki tarah chod diya jaayega tho fir UMMAT aagey jaakr Gumrah

hosakti hai, agar farq na bataya tho log NABI par ghadi gayi jhooti baat ko

bhi Sahih mankar usko DEEN banakar uspar Aml karenge. Tho Jaise us daur

yani nabi Sallallahu Alai Wasallam ke daur me sirf QURAN aur Nabi

sallallahu Alai Wasallam ka farman hi tha, tho aaj hadith me kai saare kisme

aagaye hai jaise..

SAHIH HADITH.

DAEEF HADITH..

MURSAL HADITH…HASAN HADITH wagairah…

tho isko yeh log kyun mante hai ??

1. Aapke Usool ke mutabic Jaise Ahlul Hadith or ahle sunnat Allah aur rasool

ne nahi kaha waisa Allah aur rasool aur sahaba ne sahii hadees ko maano

Page 4: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

hasan hadees ko maano zeif hadees ko choddo , mursal hadees ko choddo

shaaz hadees ko chodo, Mauzu hadees ko chodo a Sab usoole A hadees Allah

aur rasool aur sahaba Ne nahi kaha phir Aap kyun mante ho…??????????

WAAH KYA DUGLI POLICY HY A NAWAJAWAN KA.

2. Waise hi Hadith ke Kitabome Sahih al bukhari , Sahih Muslim wagairah

me ek ek chapter alag karke Hadithe likhi gayi hai tho fir yeh b kyn mante ho

?

Wo jo log AHLUL HADITH kahna pasand nahi karte magar Hadith me farke

karna pasand karte hai.

Bas OLNY Muslim..

3. Tho wahi Muslim SHIYA ke ghar se rishta kyun nahi jodta ?

Halanke Shia bhi Muslim bolkar claim karte hai ?

Aise jagah kyun FARQ karte firte hai jo apne apko Musalman kahne wale ?

4.Qadiyani ke Masjid me jamat ke saath Namaz kyun nahi padte ?

halanke Qadiyani bhi apne apko Muslim claim karte hai ??

Yaha par bhi Farq kyun mahsoos karte hai jo apne apko ONLY MUSLIM kahne

waaale ??

5. Sirf Only Muslim Bolne Wale Aapka Beta agar koyi Naya city ko bejneke

baad kaho Sirf Muslim bolne walonke pass ILM Hasil karo. .. to wo Jayega

Kisi Shia ya Berelwion ke pass…??? Astagfirullah.

Tho yad rakhiye Nabi ke daur me HADITH, bas HADITH thi yani koi milawat ki

zarurat nahi thi badme FItnonke darse hadithome farq karna pada, usi tarah usi

hadith me farq karne walone khud IJTEHAD kiya ke Muslim hi kaafi nahi hai,

Muslim me kai saare Fitne firqe hogaye hai lihaza unse alag karke batana laazim

hai.

Page 5: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Ahle sunnatul Wal Jamah, SALAFI, Ahlul Hadith, Ashabul Hadith yeh sab

ek hi jamat hai jo Baatil firqonse alag karke batane k liye istemal kiya gaya.

Quran :

” Aut tum me ek Jamat aise honi chahiye jo Neki taraf bulaaye aur ache kaam

karne ka Hukm de aur bure kaam se manakare, Yahi log hai jo Kaamiyab hai, Aur

Un logonki Tarah na hojaana jo Mutafarriq hogaye aur saaaf ahkaam aane ke baad

ek doosre se ikhtilaaf karne lage, yeh wo log hai jinko khayamat ke din bada azaab

hoga, Jisdin bahot se muh bahot se Safed honge aur bahot se Siyah,

Tho jinlogonke Muh Siya honge, Unse ALLAH subhanwatala farmaayega, KYA

TUM IMAAN LAAKAR KAAFIR HOGAYE THE ? so ab Kufr ke badle azaab ke

maze chako. ”

Surah Al imran # 105 & 106.

Muhaddithone Isi Ayat ke ziman me HAQ ko pahchaan k liye doosre baatil

firqonse apne apko Alag kiya.

Aur

Ab Dekte Salaf e saliheen ke aasar se pachas (50) hawale peshe khidmat hain jinse

ye sabit hota hai ke AHLE HADEES ka laqab aur sifati naam bilkul sahi hai aur

ispar ijma hai.

WO 50 MUHADDISEEN E KIRAAM RAHMATULLAH AJAM’EEN KE

NAAM DARJ E ZAYL HAI :

1. Imaam Bukhaari 2. Imaam Muslim 3. Imaam Shaafi’ee 4. Imaam Ahmad ibn

Hanbal 5. Imaam Yahyaa ibn Sa’eed al-Qattaan 6. Imaam Tirmizee 7. Imaam Abu

Dawood 8. Imaam Nasaa’ee 9. Imaam Ibn Khuzaimah 10. Imaam Ibn Hibbaan 11.

Imaam Abu Awaanah 12. Imaam Ahmad bin Abdullah bin Saaleh al-Ejlee 13.

Imaam Abu Abdullah al-Haakim an-Neesabooree 14. Imaam Abu Ahmad Haakim

al-Kabeer 15. Imaam Muhammad bin Yoosuf al-Faryaabee 16. Imaam Ja’afar bin

Page 6: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Muhammad al-Faryaabee 17. Imaam Abu Haatim ar-Raazee 18. Imaam Abu Ubaid

al-Qaasim bin Salaam 19. Imaam Abu Bakr bin Abee Dawood 20. Imaam Ahmad

bin Amr bin Dhihaak bin Mukhlad Ibn Abee Aasim 21. Haafidh Abu Hafs Umar

Ibn Shaheen 22. Abu Ishaaq Ibraheem bin Yaqoob al-Juzjaanee 23. Imaam Ahmad

bin Sinaan al-Wasitee 24. Imaam Alee bin Abdullah al-Madeenee 25. Imaam

Qutaibah Ibn Saeed 26. Imaam Qutaibah ad-Deenawari 27. Imaam Ahmad bin al-

Hussain al-Baihaqi 28. Imaam Abu Bakr Ahmad bin Ibraheem al-Isma’eelee 29.

Imaam Khateeb al-Baghdaadee 30. Imaam Abu Na’eem Asbahaanee 31. Haafidh

Muhammad bin Ibraheem bin al-Mundhir an-Neesabooree 32. Imaam Abu Bakr

Muhammad bin al-Hussain al-A’ajurree 33. Haafidh Yoosuf bin Abdullah bin

Muhammad Ibn Abdul Barr 34. Haafidh Ibn Taymiyyah al-Harranee 35. Shaikh

Ibn Rasheed al-Fehree 36. Haafidh Ibn al-Qayyim 37. Haafidh Ismaa’eel Ibn

Katheer ad-Dimashqi 38. Imaam Ibn al-Munaadee al-Baghdaadee 39. Imaam

Shairawiyyah bin Shehrdaar ad-Dailaamee 40. Imaam Abu Abdullah Muhammad

bin Alee bin Abdullah bin Muhammad as-Sooree 41. Imaam Jalaal ud deen

Suyootee 42. Imaam Ismaaeel bin Muhammad bin Fadhal al-Asbaahanee 43. Qaazi

Hasan bin Abdur Rahmaan bin Khalaad Raamehrmuzee 44. Hafs bin Ghiyas 45.

Abul Fath Nasr bin Ibraaheem al-Maqdisee 46. Abu Abdullah Muhammad bin

Muflih al-Maqdisee 47. Muhammad bin Ismaa’eel al-Ameer al-Yamaanee 48.

Haafidh Ibn as-Salaah 49. Abu Ismaa’eel Abdur Rahmaan bin Ismaa’eel as-

Saboonee 50. Abu Mansoor Abdul Qaahir bin Taahir bin Muhammad Al

Baghdaadee

TAFSEEL’AAT :

1) Imaam Bukhari Rahmatullah Alai [ Mutawaffa 256 H ] ne Ta’eefa Mansoora

ke baareme farmaya ke : “ Yaani Isse Muraad AHLE HADEES hai “ { Masalah al-

Ihtijaaj Baa ash- Shaafi’ee Lil-Khateeb (Safa # 47), Sanad Saheeh, Al-Hujjah Fee

Bayaan al-Muhajjah (1/246) } Imaam bukhari ne Yahyaa ibn Sa’eed al-Qattaan se

ek riwayat ke bareme naqal kiya ke : “ Wo AHLE HADEES me se nahi tha “

(Ahlul Hadeeth) At-Taarekh al-Kabeer (6/429), Az-zua’faa as-Sagheer # 281)

Page 7: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

2) Imaam Muslim Rahmatullah Alai [ Mutawaffa 261 H ] ne Majhrooh

Raviyonke baareme farmate hai ke : “ Wo AHLE HADEES ke nazdeek matham

hai (jis per tohmat lagae gae ho) “ { Saheeh Muslim, al-Muqaddimah (Safa #6) }

Imaam muslim ne mazeed farmaya : Hum ne hadees aur ahle hadees ke mazhab ki

tashreeh ki. (Saheeh Muslim, al-Muqaddimah (Safa # 6) Imaam muslim ne Ayoob

as-Sakhtiyaanee, Ibn A’un, Maalik ibn Anas, Shu’bah bin al-Hajjaaj, Yahyaa ibn

Sa’eed al- Qattaan, Abdur-Rahman ibn Mahdee aur un ke bad aane walon ko

AHLE HADEES me se qaraar diya. { Saheeh Muslim, al-Muqaddimah, Safa # 22

}

3) Imaam Shaafi’ee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 204 H) ek Za’eef Rivayat ke

baareme farmate hai ke : “ Is Jaisi Rivayat ko AHLE HADEES saabit nahi samajte

“ { As-Sunan al-Kubraa Al Baihaqee (1/260), Wa Sanad Saheeh } Imaam

Shaafi’ee Rahmatullah Alai ne farmaya : “ Jab main ASH’HABUL HADEES me

se dekhta hun to main NABI sallallahu Alaihi wa sallam ko zinda dekhta hun” {

Sharf Ashaabul Hadeeth lil Khateeb # 85 – Wa Sanad Saheeh }

4) Imaam Ahmad ibn Hanbal Rahmatullah Alai (Mutawaffa 241 H) ne TA'EFA

MANSOORA ke bare me pucha gaya tho Unhone farmaya : “ Agar ye Taayfah

ASHAAB AL HADEES nahi hai tho mai nahi jaanta ke yeh kaun log hai “.

[Ma’rifat Uloom ul-Hadees Lil al-Haakim: Safa #2 H. 2, Sanad Hasan; Aur Haafiz

Ibn Hajr ne farmaya : “ Haakim ne isey Ahmad se Saheeh sanad se Uloom

ulHadeeth me rivayat kiya hai ke : Agar yeh Taayfah Ashaab al hadees nahi hai tho

mai nahi jaanta wo kaun log hai. { Fath ul-Baari: 13/293 ; H. 7311) }

5) Imaam Yahyaa ibn Sa’eed al-Qattaan Rahmatullah Alai (Mutawaffa 198 H)

ne Suliemaan bin Tarkhaan at-Taymee ke baareme farmaya ke : “ Taymee hamare

nazdeek AHLE HADEES hai ” { Musnad Alee bin Ja’ad (1/594) hadees # 1354 -

Sanad Saheeh , Doosra Nuska # 1314; Al-Jarh Wat-Ta’deel lil Ibn Abee Haatim

(4/125) Sanad Saheeh } Ek Ravi Imraan bin Qudaamah al-Ummee ke bareme

Yahya Ibn Sa’eed ne farmaya ke : “ Lekin wo AHLE HADEES me se nahi tha ” {

Al-Jarh Wat-Ta’deel (6/303) - Sanad Saheeh }

Page 8: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

6) Imaam Tirmizi Rahmatullah Alai (Mutawaffa 279 H) ne Ravi Abu Zaid ke

bareme farmaya ke : “ Aur AHLE HADEES ke nazdeek Abu Zaid Majhool Ravi

hai “ { Sunan Tirmizi # 88 }

7) Imaam Abu Dawood Rahmatullah Alai (Mutawaffa 275 H ) ne farmaya : “

Aam AHLE HADEES ke Nazdeek..” { Risaalah Abee Dawood Ilaa Makkah Fee

Wasaf as-Sunnah (Safa # 30) }

8) Imaam Nasaa’ee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 303 H) ne farmaya : “ Ahle

Islam ke liye nafa hai aur AHLE HADEES Ilm wa Fiqa aur Qur'an walon mese. “

{ Sunan Nasaa’ee (7/135 No, 4147), At-Ta’aleeqaat as-Salafiyyah # 4152) }

9) Imaam Ibn Khuzaimah Rahmatullah Alai (Mutawaffa 311 H ) ne ek hadees

ke baareme farmaya : “ Hum ne ulama AHLE HADEES ke darmiyan koi ikhtelaaf

nahi dekha ke ye hadees riwayat ke lihaz se sahi hai. “ { Saheeh Ibn Khuzaimah

(1/21 # 31) }

10) Imaam Ibn Hibbaan Rahmatullah Alai (Mutawaffa 54 H) : Haafidh

Muhammad bin Hibbaan al-Bustee ne ek hadees ke tahat baab baanda hai : “ Is

hadees ka zikr jis ke zariye se baaz mutala firqe wale AHLE HADEES par tanqeed

karte hain kyunke ye (mutala) is ke sahih mani ki taufeeq se mahroom hain. “

(Saheeh Ibn Hibbaan, al-Ehsaan # 566), Doosre Edition me # 565) Ek doosre

maqam par Hafiz Ibn hibban ne AHLE HADEES ki ye sifat bayan ki hai ke : “ Wo

hadeeson per amal karte hain,unka difa karte hain aur unke mukhalifeen ka qala'a

qama (todh phod) karte hain. { Saheeh Ibn Hibbaan, al-Ehsaan (no.6129), Doosra

(no.6162) Dekhiye (1/140 hadees # 61 ke Khabl }

11) Imaam Abu Awaanah Rahmatullah Alai [ Mutawaffa 316 H ] ne ek masle

ke bareme Imaam muzanee ko batate hain : “ Isme AHLE HADEES ke darmiyan

ikhtelaf hai. “ { Musnad Abee Awaanah 1/49 }

12) Imaam Ahmad bin Abdullah bin Saaleh al-Ejlee Rahmatullah Alai (

Mutawaffa 261 H) ne Imaam Sufyaan Ibn Uyainah ke baareme farmaya : “ Aur

baaz AHLE HADEES kehte the ke wo Zahri ki hadees me sab se jiyada Siqa hain

“ { Ma’rifatuth-Siqaat 1/417, # 631 aur doosra Nuskha # 577 }

Page 9: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

13) Imaam Abu Abdullah al-Haakim an-Neesabooree Rahmatullah Alai

(Mutawaffa 405 H ) ne Imaam Yahya Ibn Maeen Rahmatullah Alai ke bareme

farmaya : “ Wo AHLE HADEES ke Imaam hai ” { Al-Mustadrak 1/198, # 710 }

14) Imaam Abu Ahmad Haakim al-Kabeer Rahmatullah Alai (Mutawaffa 378

H) ne Ek Kitaab likhi hai : “Shi’aar AHLE HADEES”. Ye kitab Raqim Al Hurf ki

Tahqeeq aur tarjume se chap chuki hai. { Dekhiye Mahnama Al hadees 9, Safa 4

Ta. 28 }

15) Imaam Muhammad bin Yoosuf al-Faryaabee (Mutawaffa 212 H) ne

farmaya : “ Hum ne Sufiyan Sauri ko kufa me dekha aur hum AHLE HADEES ki

ek jamaat the “ { Al-Jarh wat-Tadeel 1/60, Wa Sanad Saheeh }

16) Imaam Ja’afar bin Muhammad al-Faryaabee Rahmatullah Alai

(Mutawaffa 301 H) ne Ibraheem bin Moosaa al-Wasdoolee ke baareme farmaya ke

: “ Iska beta AHLE HADEES me se hai, ise is'haaq kehte hain “ {Al-Kaamil lil Ibn

Adiyy 1/271, Doosra nuska 1/440, Wa Sanad Saheeh}

17) Imaam Abu Haatim ar-Raazee Rahmatullah Alai (d.277H) : Asma Ur

Rijaal ke Mashoor Imaam, Abu Haatim Ar-Raazi ne Farmaya ke : “ Aur kisi cheez

per AHLE HADEES ka ittefaq hota hujjat hota hai “ { Kitaab al-Maraaseel, Safa #

192, no. 703 }

18) Imaam Abu Ubaid al-Qaasim bin Salaam Rahmatullah Alai ( Mutawaffa

224 H) ne ek asar ke bareme farmate hain ke : “ Baaz AHLE HADEES usey lete

hain “ { Kitaab at-Tahoor Safa # 173 Abee Ubaid, Al-Awsth lil Ibn al- Mundhir

1/265 }

19) Imaam Abu Bakr bin Abee Dawood Rahmatullah Alai (Mutawaffa 316 H) :

Sunan Abu Dawood ke Musannif, Imaam Abu Dawud ke bete Suduq al Jumhoor

Imaam Abu Bakr bin Abee Dawood farmate hai ke : “Aur tu us qaum me se na

hojana jo apne deen se khelte hain (warna) tu AHLE HADEES par taa'an wa jarrah

kar baithega. “

Page 10: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

{ Imaam Muhammad bin al-Hussain al-Aajurree ki Kitaab ash-Shareeah (Safa #

975), Sanad Saheeh }

20) Imaam Ahmad bin Amr bin Zihaak bin Mukhlad Ibn Abee Aasim

Rahmatullah Alai (Mutawaffa 287 H) ek Ravi ke bareme farmate hai ke : “AHLE

HADEES me se wo ek Siqah Ravi hai “ { Al-Ahaad Wal-Mathaanee 1/428, # 604

}

21) Haafiz Abu Hafs Umar Ibn Shaheen Rahmatullah Alai (Mutawaffa 385 H)

Ne Imraan al-U’ama ke baareme Imaam Yahyaa al-Qattaan ka Qaul nakl kiya hai :

“ Lekin wo AHLE HADEES me se nahi tha ” { Taarekh Asmaa As-Siqaat # 1084

}

22) Abu Ishaaq Ibraheem bin Yaqoob al-Juzjaanee Rahmatullah Alai

(Mutawaffa 259 H) ne faramaya : “ Phir AHLE HADEES me se Mash’hoor hai “

{Ahwaal ar-Rijaal Safa # 43 no.10 aur Safa # 214 }

23) Imaam Ahmad bin Sinaan al-Wasitee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 259

H) Ne farmaya : : ا ا ف ل ا قا ا ا ق اي« ا فق س د ا ف ي ف ب ا ا ف فسف

: ا ا ق ي سب ق ا ف ا فسا و ا ف ل ي اسا ماسا : ا ق ق ا قف ب ا ف س ي اسا

ق ل ق يا قف ف ق ا م ق ق ا ا ف ل ا اسا ق ب فسف سف ق ق ا ا ف ا فسا ق ي ا ب فسف

ا ف و ال ق ل ف ق ا ق ا ا وي ا ا ا ل ف ا ا ا ق ا ق فسف ا اسا ق ا ق ي فسف

ا ق ل ف سب Duniya me koi aisa bid’ati nahi hai jo AHLE HADEES “ م»ل ا قسا

se bugz nahi Rakhta “ { Ma’arifah Uloom al-Hadeeth lil Haakim, Safa # 4, No.6 –

Sanad Saheeh } Maloom hua ke jo shaks ahle hadees se bugz rakhta hai ya Ahle

hadees ko bura kehta hai toh wo shaks pakka biddati hai.

24) Imaam Alee bin Abdullah al-Madeenee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa

234 H ) Ne Ek Rivayat ki Tashree me farmate hai ke : “ Yaani wo AHLE

HADEES hai “ { Sunan Tirmizi # 2229, A’aridahtul- Ahwazee 9/74 }

25) Imaam Qutaibah Ibn Saeed Rahmatullah Alai (Mutawaffa 240 H) ne

farmaya : “ Agar tum kisi aadmi ko dekhe ke wo AHLE HADEES se mohabbat

karta hai tho samjo ke ye shaks sunnat par chal raha hai. “ { Sharf Ashaabul

Hadees # 143 – Sanad Saheeh }

Page 11: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

26) Imaam Qutaibah ad-Deenawari Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 276 H) ne

ek Kitaab likhi ““Ta’weel Mukhtaliful-Hadees Fee Radd A’daa Ahlul Hadees,

usme unhone AHLE HADEES ke dushmanonko Radd kiya.

27) Imaam Ahmad bin al-Hussain al-Baihaqi Rahmatullah Alai (Mutawaffa

458 H) ne Maalik bin Anas, Awzaa’ee, Sufyaan Sauri, Sufyaan Ibn Uyainah,

Hamaad Ibn Zayd, Hamaad Ibn Salamah, Shaafiee, Ahmad, Ishaaq Ibn

Rahawaihah wagairah anhum ko AHLE HADEES me se likha hai. { Kitaab al-

Eitiqaad wa Bidaayah Ilaa Sabeel ur-Rishaad lil Baihaqi Safa # 180 }

28) Imaam Abu Bakr Ahmad bin Ibraheem al-Isma’eelee Rahmatullah Alai

(d.371H) Ne ek Ravi ke baareme kaha ke : “ Wo AHLE HADEES me se nahi tha “

{ Kitaab al-Mu’ajam 1/469 # 121 }

29)Imaam Khateeb al-Baghdaadee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 463 H) ne

AHLE HADEES ke Fazeelat par ek Kitaab likhi hai, ‘Sharf Ashaabul Hadees’ jo

chapi huwi hai. Aur kitaab Naseehah Ahlul Hadees’ bhi likhi hai. { Taareekh

Baghdaad 1/224, # 51 }

30) Imaam Abu Na’eem Asbahaanee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 430H) ne

farmaya “ Ulama e AHLE HADEES par iska Fasid makhfi nahi hai. “ { Al-

Mustakharj Ala Saheeh Muslim 1/67, # 89 } Aur fir Farmaya : “ Aur Shafa’ee

AHLE HADEES ke mazhab par gamzan the. “ { Hilyatul Auliyaa 9/112 }

31) Haafiz Muhammad bin Ibraheem bin al-Mundhir an-Neesabooree

Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 318 H ) ne apne Saathiyo aur Imaam ash-Shaafiee

ko AHLE HADEES kaha. { Al-Awsth 2/307, # 915 }

32) Imaam Abu Bakr Muhammad bin al-Hussain al-A’ajurree (Mutawaffa

360 H) ne AHLE HADEES ko apna bhai kaha; mere bhaiyonke liye naseehat hai.

Ahle quran , AHLE HADEES aur ahle fiqa me jo tamaam musalmano me se hain.

{ Ash-Sharee’ah Safa # 3 aur # 7 } TAMBI : Munkarine hadees ko Ahle hadees ya

Ahle Fiqa kehna galat hai, Ahle Quran aur AHLE HADEES aur Ahle Fiqa

wagairah alqaab aur sifati naam ek hi jamaat ke naam hain. Wal hammdullialh.

Page 12: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

33) Haafiz Yoosuf bin Abdullah bin Muhammad Ibn Abdul Barr

Rahmatullah Alai (Mutawaffa 463 H) ne farmaya : “AHLE HADEES ke ek

Giroh ne kaha “ { At-Tamheed 1/16 }

34) Haafiz Ibn Taymiyyah al-Harranee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 728 H)

ne ek sawal ke jawab me farmaya ke : “ Bukhari aur Abu Dawood tho Fiqa ke

imaam aur mujtahid (mutlaq) the, Rahe Imaams Muslim, Tirmizi, Nasaa’ee, Ibn

Maajah, Ibn Khuzaimah, Abu Ya’ala aur Bazzaar wagairah anhum tho AHLE

HADEES ke mazhab per the, Ulama me se kisi ki Taqleed ma'een karne wale

Muqallid nahi the aur na Mujtahid Mutlqa the. “ { Majmoo’a Fataawa 20/40 }

TAMBIYA : Ibn Taymiyah ka in kibar e Aimma e Hadees ke bare me ye kehna ke

" Na mujtahid e mutlaq the " mehle nazar hai.

35) Shaikh Ibn Rasheed al-Fehree Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 721 H ) ne

Kitaab Ulama jaise Imaam Ayoob as-Sakhtiyaanee ke baareme farmaya ke : “ Wo

AHLE HADEES me se the ” { As-Sunan al-Abayn Safa # 119 aur Safa # 124 }

36) Haafiz Ibn al-Qayyim Rahmatullah Alai (Mutawaffa 751 H) ne apne

Mash’hoor Qaseedah Nooniyyah me farmaya ke : “ AHLE HADEES se bugz

rakhne wale aur galiyan dene wale, Tujhe shaitan se dosti qayam karne ki basharat

ho “ { Al-Kaafiyya ash-Shaafiyyah Fee Intisaar al-Firqatun-Naajiyyah Safa # 99 }

37) Haafiz Ismaa’eel Ibn Kaseer ad-Dimashqi Rahmatullah Alai (Mutawaffa

774 H) ne Surah Bani israel ki ayath 71 ki tafseer me farmaya : “ Baaz salaf se

kaha : ye (ayath) ASHAB UL HADEES ki sab se badi fazeelat hai kyunke unke

imaam Nabi sallallahu alaihi wa sallam hain “ { Tafseer Ibn Kaseer 4/164 }

38) Imaam Ibn al-Munaadee al-Baghdaadee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa

336 H) ne Qaasim bin Zakariyyah Yahyaaal-Matraz ke baareme farmaya ke : “ Aur

wo AHLE HADEES me se aur Sacche walome se the ” { Taareekh Baghdaad

12/441, 6910 Sanad Saheeh }

39) Imaam Shairawiyyah bin Shehrdaar ad- Dailaamee (Mutawaffa 509 H) :

Dailam ke Mashoor Imaam Shairawiyyah bin Shehrdaar ne Abdur Rahmaan bin

Ahmad bin Abdus-Saqafee al-Hamdaanee ke bareme apne Tareekh me kaha : “

Page 13: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Hamare ilaqe ke aam AHLE HADEES ne un se riwayath bayan ki hai aur wo Siqa

mutqun the. “ { Siyaar A’laam an-Nabula 14/438 }

40) Baghdad ke Mash’hoor Imaam Abu Abdullah Muhammad bin Alee bin

Abdullah bin Muhammad as-Sooree Rahmatullah alai (Mutawaffa 441 H) ne

kaha : “ Hadees se dushmani aur AHLE HADEES ki aib jue karne wale se kehdo

Ke Kya tu ye ilm se kehraha hai ? Mujhe batade ya jihalt se tu jihalat bewaqufi ki

aadat hai. Kya un logon ki aib jue ki jati hai jinhone deen ko batil aur be buniyad

baton se bachaya ?? (Tazkirratul-Huffaz 3/1117 no.1002 – Wa sanad Saheeh;

Siyaar A’laam an- Nabula 14/438), al-Muntazam 15/324 lil Ibn al-Jawzee }

41) Imaam Suyootee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 911 H) ne Bani Israil ki

Ayat 71 ki Tashreeh me farmate hai ke : “AHLE HADEES ke liye isse jiyada

fazeelat wali aur koi bat nahi hai kyunke aap sallallahu alaihi wa sallam ke siwa

ahle hadees ka koi imaam nahi hai. “ { Tadreeb ur-Raawee 2/126 }

42) Imaam Ismaaeel bin Muhammad bin Fazal al-Asbaahanee (Mutawaffa

535 H) Ne farmaya ke : “AHLE HADEES ka zikr aur yahi firqa qayamat tak haq

per galib rahega.” { Al-Hujjah Fee Bayaan al-Muhajjah Wa Sharh Aqeedah Ahlus

Sunnah 1/246 }

43) Qaazee Hasan bin Abdur Rahmaan bin Khalaad Raamehrmuzee

Rahmatullah Alai (Mutawaffa 360H) ne famraya : “AHLE HADEES ko Fazeelat

bakshi hai “ { Al-Muhaddis al-Faasil Bayna ar-Raawee wal-Wa’awee, Safa # 159,

no.1 }

44) Hafs bin Ghiyas Rahmatullah Alai (Mutawaffa 194 H) ko AHLE HADEES

ke baareme poochagaya tho aapne farmaya : “ Wo Duniya me sabse bahtareen hai

“ { Ma’arifah Uloom al-Hadees Al Haakim, Safa # 3, no.3 – Sanad Saheeh }

45) Abul Fath Nasr bin Ibraaheem al-Maqdisee Rahmatullah Alai (Mutawaffa

490 H) ne farmaya : “ BAAB : AHLE HADEES ki Fazeelat “ { Al-Hujjah A’la

Tareeq al-Muhajjah 1/325 }

Page 14: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

46) Abu Abdullah Muhammad bin Muflih al- Maqdisee Rahmatullah Alai

(Mutawaffa 763 H) ne farmaya : “AHLE HADEES Naji giroh hai jo Haq par

qayam hai “ { Al-Adaab ash-Sharee’ah 1/211 }

47) Muhammad bin Ismaa’eel al-Ameer al- Yamaanee Rahmatullah Alai

Mutawaffa 840 H) ne farmaya ki : “ Fazeelat wale ASH'HABUL HADEES ko

lazim pakdo, Tum unke pas har khisam ki hidayath aur fazeelatein paoge. “ { Ar-

Raudh Al-Baasim Fe Zab Ann Sunnah Abil-Qaasim 1/146 }

48) Haafiz Ibn as-Salaah Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 806 H) ne Saheeh

Hadees ki tareef me likhte hai ke : “Ye wo hadees hai jise sahih qarar dene per

AHLE HADEES ke darmiyan koi ikhtelaf nahi hai “ { Uloom al-Hadees

Muqaddimah Ibn as-Salaah Sharh al-A’raqee Safa # 20 }

49) Abu Ismaa’eel Abdur Rahmaan bin Ismaa’eel al sabooni Rahmatullah

Alai ( Mutawaffa 449 H ) ne ek kitaab likhi hai, ‘Aqeedatus-Salaf Wa Ashaabul

Hadees’ usme wo kahte hai ke : “AHLE HADEES ye aqeeda rakhte hain aur uski

gawahi dete hain ke ALLAH Subhanahu wa ta'ala saat (7) asmaon se uper arsh par

hai. “ { Aqeedatus-Salaf Ashaabul- Hadees, Safa # 14 }

50) Abu Mansoor Abdul Qaahir bin Taahir bin Muhammad al-Baghdaadee

Rahmatullah alai (Mutawaffa 429 H) ne shaam wagairah ki sarhadon par rahne

walonke bareme kaha : “ Wo sab Ahle sunnat mese AHLE HADEES ke mazhab

par hain “ { Usool ud deen, Safa # 317}

In pachaas hawalon se sabit huwa ke Musalmamon ka Muhajireen, Ansaar aur

Ahle Sunnat ki taraf sifati naam aur laqab AHLE HADEES hai aur is ka laqab

AHLE HADEES hai aur is laqab ke jawaaz par Ummat e Muslima ka ijma hai.

Kisi ek Imaam ne bhi AHLE HADEES naam wa laqab ko galat, Najayaz Ya bidat

hargiz nahi kaha. Lihaza baaz khawarij aur unse Mutasireen ka AHLE HADEES

naam se nafrat karna aur use biddat aur firqa warana naam kahkar mazaq udana

asal me Tamaam Muhaddiseen aur ummat e Muslima ke ijma ki mukhalifat karna

hai. Inke Alawa aur bhi bahut se hawaale hain jinse AHLE HADEES ya Ash’habul

Hadees wagairah sifati namon ka saboot milta hai, Muhaddiseen e kiraam ki in

Tasreehat aur ijma se maloom hua ke AHLE HADEES un SAHIH UL AQEEDA

Page 15: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Muhaddiseen wa Awaam ka laqab hai jo bagair Taqleed ke kitab wa sunnat par

Feham e salaf saliheen ki roushni me amal karte hain, aur unke Aqai’yad bhi kitab

wa sunnat aur ijma ke bilkul mutabiq hote hain, Yaad rahe ahle hadees aur ahle

sunnat ek hi grihoh ke sifati naam hain.

Baaz Ahle bid’at ye kehte hain ke AHLE HADEES sirf muhaddison ko kahte hain

chahe wo Ahle Sunnat mese ho ya Ahle Bidaat mese , In logon ka ye qaul faham e

salaf saliheen ke khilaf hone ki wajah se mardood hai. Ahle Bidaat ke is qaul se ye

laazim aata hai ke gumrah logon ko bhi TA'EFA MANSOORA qaraar diya jaye

halanke is qaul ka baatil hona awaam par bhi zahir hai. Baaz raawiyon ke bare me

khud muhaddiseen ne ye sarahat ki hai wo AHLE HADEES me se nahi the.

{ DEKHIYE FARQA : 5,21,28 }

SAWAAL:

Duniya ka har shaks AHLE HADEES se nafrat karta hai toh kya har bidati apne

aap se bhi nafrat karta hai ?

AL JAWAAB:

Haq ye hai ke Ahle hadees ki is sifati naam wa laqab ke musdaq sirf do (2) Giroh

hain.

1. Hadees bayan karne wale (Muhaddiseen)

2. 2. Hadees per Amal karne wale (Muhaddiseen aur un ke awaam)

1.Hafiz Ibn Taymiyyah Rahimahullah Farmate hain: “ Hum AHLE HADEES ka

ye Matlab nahi lete ke isse murad sirf wahi log hain jinhone hadees suni , likhi ya

Riwayath ki balke isse Murad hum ye lete hain ke har aadmi jo isske hifz , marifat

aur feham ka zahiri wa batini lihaz se mustahiq hai aur zahiri wa batini lihaz se

iski itteba karta hai aur yahi mamla ahle quran ka hai. { MAJMUA FATAWA

IBN TAIMIYA 4/95 }

Page 16: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Hafiz Ibn Taymiyyah ke is Faham se maloom hua ke AHLE HADEES se murad

Muhaddiseen aur unke awaam hain. Aakhir me arz hai ke AHLE HADEES koi

nasli firqa nahi hai balke ek nazriyati jamaat hai. Har wo shaks AHLE HADEES

hai jo QURAN WA HADEES WA IJMA PER.

2.) Imam Ahmed Bin Hambal Ne kaha : Hamare Nazdeek “ Ahlul Hadees Wo

shaks hain jo HADEES Par Amal karta hain. [Manaaqib Al-Imam Ahmed Li Ibn

Al Jawzi Pg 208 with Authentic Chain]

3) Abdullah bin Mubarak Rahmatullah Alai ne farmaya :

“ Mere nazdeek, wo As-haabul Hadees hai { Hadees ko manne wale }.

[ Sharaf As-shaabul Hadees Al Khateeb Baghdadi. ]

4) Imaam Sufiyan As-sauri Rahmatullah Alai ne Ahlul Hadees ke baareme

farmaya ke..

“ Farishte jannat aur Rakh waale hai aur Ashabul Hadees zameen ke “

[ Sharaf As-habul Hadees ]

5) Imaam Ash-Shaafi’ee Rahmatullah Alai ne Farmaya…

“ Ahle hadees se jude raho, jabse wo logome sabse saheeh hai. “

{ As-siyaar 14/198 } aur

Abu Nayeem Mal Ashahani Rahmatullah Alai ne farmaya :

Page 17: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

“ Aur Ash-Sha’fee Ahlul Hadees ke mazhab par the “

{ Hulyatul Awliya 9/112 }

6.) Imaam Shaafi’ee Rahmatullah Alai ne farmaya : “ Jab main ASH’HABUL

HADEES me se dekhta hun to main NABI sallallahu Alaihi wa sallam ko zinda

dekhta hun” { Sharf Ashaabul Hadeeth lil Khateeb # 85 – Wa Sanad Saheeh }

7.) Imaam Ibn Hibbaan Rahmatullah Alai (Mutawaffa 54 H) : Haafidh

Muhammad bin Hibbaan al-Bustee ne ek hadees ke tahat baab baanda hai : “ Is

hadees ka zikr jis ke zariye se baaz mutala firqe wale AHLE HADEES par tanqeed

karte hain kyunke ye (mutala) is ke sahih mani ki taufeeq se mahroom hain. “

(Saheeh Ibn Hibbaan, al-Ehsaan # 566), Doosre Edition me # 565)

Ek doosre maqam par Hafiz Ibn hibban ne AHLE HADEES ki ye sifat bayan ki hai

ke : “ Wo hadeeson per amal karte hain,unka difa karte hain aur unke mukhalifeen

ka qala'a qama (todh phod) karte hain. { Saheeh Ibn Hibbaan, al-Ehsaan (no.6129),

Doosra (no.6162) Dekhiye (1/140 hadees # 61 ke Khabl }

8. Imaam Ahmad bin Sinaan al-Wasitee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 259 H) Ne

farmaya : : ا ق ق «: ا فق س د ا ف ي ي ا ا ف ل ا اسا ف ب ا ا ف فسف قا ا ا ق اي

ق ق : ا ا ق ق ي ا ب فسف ي سب ق ا ف ا فسا و ا ف ل ي اسا ماسا ا قف ب ا ف س

ق ل ق ق ا ا ف ل ا اسا ق ب فسف سف ق يا قف ف ق ا م ق ا ق ي ا ا ف ا فسا

ا ف و ال ق ل ف ق ا ل ا ق ا ا وي ا ا ا ل ف ا ا ا ق ا ق فسف ا اسا فسف

ا ق ل ف سب م»قسا

“ Duniya me koi aisa bid’ati nahi hai jo AHLE HADEES se bugz nahi Rakhta “

{ Ma’arifah Uloom al-Hadeeth lil Haakim, Safa # 4, No.6 – Sanad Saheeh }

Maloom hua ke jo shaks ahle hadees se bugz rakhta hai ya Ahle hadees ko bura

kehta hai toh wo shaks pakka biddati hai. Aur Dusri Baat Yahan Sirf Muhadaseen

Muraad Nahi hain Yahan Muraad Haqq ke jamat log.

Page 18: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

9.)Imaam Khateeb al-Baghdaadee Rahmatullah Alai ( Mutawaffa 463 H) ne AHLE

HADEES ke Fazeelat par ek Kitaab likhi hai, ‘Sharf Ashaabul Hadees’ jo chapi

huwi hai. Aur kitaab Naseehah Ahlul Hadees’ bhi likhi hai.

{ Taareekh Baghdaad 1/224, # 51 }

10. ) Imaam Suyootee Rahmatullah Alai (Mutawaffa 911 H) ne Bani Israil ki Ayat

71 ki Tashreeh me farmate hai ke : “AHLE HADEES ke liye isse jiyada fazeelat

wali aur koi bat nahi hai kyunke aap sallallahu alaihi wa sallam ke siwa ahle

hadees ka koi imaam nahi hai. “ { Tadreeb ur-Raawee 2/126 }

11. Abu Ismaa’eel Abdur Rahmaan bin Ismaa’eel al sabooni Rahmatullah Alai (

Mutawaffa 449 H ) ne ek kitaab likhi hai, ‘Aqeedatus-Salaf Wa Ashaabul Hadees’

usme wo kahte hai ke : “AHLE HADEES ye aqeeda rakhte hain aur uski gawahi

dete hain ke ALLAH Subhanahu wa ta'ala saat (7) asmaon se uper arsh par hai. “ {

Aqeedatus-Salaf Ashaabul- Hadees, Safa # 14 }

SALAF SALIHEEN KE FEHAM KI RAUSHNI ME AMAL KARE AUR ISI

PER APNA AQEEDA RAKHE. Apne aap ko AHLE HADEES kehlane ka ye

matlab hargiz nahi hai ke ab ye shaks jannati hogaya hai. Ab Aamale saleha tark,

khawahishat ki pairwi aur manmani zindagi guzari jaye balke wahi shaks kamiyab

hai jis ne AHLE HADEES naam ki laaz rakhte huwe apne Aslaaf ki tarha quran wa

sunnat ke mutabiq zindagi guzari. Wazeh rahe nijaat ke liye sirf naam ka lable

kaafi nahi hota hai balke Naam ke sath sath nijaat ka daromadar quloob ki tatheer

aur imaan wa aqeede ki durustgi ke saath amale saleh per hai. Yahi shaks Allah ke

fazl wa karam se abdi nijaat ka mustahiq hai. In sha Allah

Page 19: Sirf “Only Muslim” Kehne Wale Nawajawanon ka Radd

Dua : Allah se dua hain. Yaa…!!! Allah in Aqal parast ” Only Muslim ‘ kehne

wale Nawajawan Ko Deen Ka Samaj Ata Kare Ameen…!!!!!

------------------------------------------------------------------

By : Nadeem Shaikh The Way Of Salafiyyah.com