8

Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

Embed Size (px)

DESCRIPTION

TAMAAM FIRQON KE MUTTAHID HONE KA VAHID TARIQA

Citation preview

Page 1: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa
Page 2: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

(1) IMĀN VALOŃ KA NĀM

Allah ta’ā’lā ne farmāyā:-

(ai īmān valoń) Allah ta’ā’lā

ne tūmhāra nām Mūslimeen

rakha hai.(haj:78)

Huwa sammakumul muslimeen (haj:78

Īmān vāloń ka nām rakh kar Allah ta’ā’lā ne īmān vāloń ko

hūkm farmāyā:-

Aur (ai īmān vāloń) tumheiń

hargiz maut na āye magar is

hāl meń ke tum Mūslim ho

(ya’ni har waqt Mūslim raho

ma’loom na’hīń maut kab

ājāye) aur tum sab mūt’tahid

ho kar Allah ta’ā’lā ki rassi

(ya’ni Qur’ān va ahādīs) ko

mazbootī se pakade raho aur

firqe firqe na bano (aal-e-

imran:102-103)

Wala tamootunna illa wa

antum muslimoon.

Wa’tasimoo bihablillahi

jamee’aw walaa tafarraqoo.

(aal-imran:102-1030

Allah ta’ā’lā ne to īmān valoń ko hūkm farmāyā tha ke ai

īmān valoń marte vaqt tak mūslim nām par mūt’tahid rehna

aur apne firqa-wārāna alag-alag nām rakh kar firqe-firqe

na ban jāna to phir ai īmān valoń tum apne firqawārāna nām

Ahl-e-hadīs, Ahl-e-sūn'nat, Deobandi, Barelwi, Shia, Sūn'ni,

Wahābi, Hanafi, Shafai, Māliki, Hanbali, Jafari, Naqshbandi,

Page 3: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

Saharwardi, Chishti, Qūadri, vaghai’rah vaghai’rah (and so

forth) rakh kar firqoń meń taqsīm kyooń ho gaye ho.

Kya in nāmoń ka ko’ī firqa Rasoolūllah (saw) ke zamāne

meń thā? Agar thā to Qūr’ān-e-majīd aur hadīs nabawi se

sūboot deiń. Agar sūboot nahi de sakte to phir hamāri firqoń

se khair-khāhna (well wisher) guzārish hai ke apne tamām

firqe wārāna nām khatm kar ke Allah ta’ā’lā ke rakhe hūye

nām mūslim par mūt’tahid hojāyeiń aur marte dam tak

mūslim hi rahe.

(2) IMĀN VALOŃ KI JAMĀ’AT

Rasoolullah (saw) ne farmāyā thā:-

Aur firqoń ke mut’ta’luq farmāyā thā:- Tamām firqoń se ‘alahidah

rehnā. (sahih muslim wa

sahih bukhāri)

Fa’tazil tilkalfiraqa kullahaa

(sahih muslim wa sahih

bukhaari)

Is farmān-e-Rasool (saw) se ma’loom hūwā ke Rasoolullah

(saw) ne to tamām nāmoń ke firqoń se ‘alahidah ho kar

Jamaat-ul-muslimeen meń shāmil hone kā hūkm farmāyā

thā to phir āp logoń ne Jamā’at Ahl-e-hadīs, Mūt’tahidah

Ahl-e-hadīs, Anjuman Ahl-e-hadīs, Ghurbā Ahl-e-hadīs,

jamā’at Ahl-e-hadīs wal jamā’at, jamā’at Islami, jami’at

Jamaat-ul-muslimeen ko

lāzim pakdnā. (mūslim va

bukhāri)

Talzamu jamaat-ul-

muslimeena (sahih muslim wa

sahih bukhaari)

Page 4: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

ulema Islam, Jami’at Talaba’ Islam aur Jamā’at Shia,

vaghai’rah vaghai’rah nāmon ki jamāteiń banā kar itne firqe

kyooń banā dale?

Kya in nāmoń ki ko’ī jamā’at Rasoolullah (saw) ke vaqt

meń thi? Agar thi to Qur’ān-e-majīd aur hadīs-e-Rasool

(saw) se suboot deiń? Agar suboot na’hīń de sakte to phir

hamāri un tamām firqawārāna nāmoń ki jamā’toń se

khair-khahna guzārish hai ke Rasoolullah (saw) ke hūkm

“fa’tazil tilkalfiraqa kullaha” (ya’ni tamām firqoń se ‘alāhidah

honā ke) mūtābiq in tamām nāmoń ki jamātoń se

‘alāhidah hokar āp hi ke hukm “talzamu jamaat-ul-

muslimeena (ya’ni Jamaat-ul-muslimeen ko lāzim pakdnā)

ke mūtābiq Jamaat-ul-muslimeen meń shāmil ho kar

mūt’tahid (united) hone kā ‘amli suboot deiń.

(3) IMĀN VALOŃ KA DĪN

Allah ta’ā’lā ke farmān hai:-

Be shak Allah ke nazdīk Dīn

sirf Islām hai. (aal-imran:19)

Innaddeena ‘indallahilislam

(aal-imran:19)

Ek aur jaga farmāyā:-

Mai ne tumhāre liye jis dīn ko

pasand kiyā voh Islām hai.

(ma’ida:3)

Razeetu lakumulislaa ma

deenan (ma’ida:3)

In āyatoń se ma’loom huwā ke Allah ta’ā’lā ne to apne

mānne vāloń ke liye ek dīn sirf Dīn-e-Islam pasand farmāyā

thā to phir āp logoń ne mazhabeiń maslak Ahl-e-hadīs,

Page 5: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

mazhab yā maslak banā kar Um’mat ko intne firqoń meń

taqsīm kyooń kar diyā. Kyā in nāmoń meń se kisi bhi nām

kā ko’ī mazhab yā maslak Rasool (saw) ke zamāne meń

thā. Yā āp ne apne mān’ne vāloń ko itne firqe banāne ki

ijāzat di thi? In ka suboot Qur’ān-e- majīd aur hadīs-e-

rasool (saw) se deiń? Agar suboot na’hīń de sakte to

phir ham āp logoń ko mūt’tahid hone ki khair-khahna

da’wat dete heiń ke ye sub mazāhib yā maslak khatm

kar ke sirf ek Dīn Allah ta’ā’lā ke pasandīdah Dīn-e-

Islām par ‘amal kar ke mūt’tahid hojāyeiń.

(4) IMĀN VALOŃ KI KITĀB

Allah ta’ā’lā kā irshād grāmi hai:-

Us chīz ki pairawi karo jo

tūmhāre Rab ki taraf se

tūmhāri taraf nāzil ki gai hai.

(aal-imran:3)

Ittab’oo maa unzila ilaikum

minrabbikum (aal-imran:3)

Rasoolullah (saw) ne farmāyā:-

Diyā gayā mūjh ko Qur’ān

aur misl (like, similar) us ke

sāth. (abu dawood)

Ooteetolquraana wa misla

ma’a (abu dawood)

Is farmān-e-rasool (saw) se ma’loom huwā ke āp ko

Qur’ān-e-majīd ke sāth us ke misl ek aur chīz bhi mili hai.

Voh doosri chīz kya hai jise āp ne Qur’ān-e-majīd ki

misl farmāyā hai us ke bare meń bhi Rasool (saw) ne khūdhi

farmādiyā:-

Page 6: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

Ai logoń maiń tum meń aisi

chīz chod rahā hoon ke agar

tum ne use mazbooti se

pakadliyā to kabhi gūmrah

na’hīń hoge voh chīz Allah

ki kitāb aur us ke nabi

(saw) ki sun’nat hai.

Yaa ayyuhannasu innii qad

taraktu feekum

maaini’tasamtum bihii falan

taziloo abadan kitaab Allahi

wa sunnata nabiyyihi.

(alhakim, almustadrak)

In hadīsoń se ma’loom huwā ke Qur’ān-e-majīd aur hadīs

Rasool (saw) Allah ta’ā’lā ki taraf se nāzil shudah hai.

Allah aur us ke Rasool (saw) ke us hūkm ke mūtābiq sirf

Qur’ān-e- majīd aur hadīs Nabawi ki hi pairawi (pursuit) ki

jāye kyooń ke Qur’ān-e-majīd aur hadīs Nabawi hi Allah

ki taraf se nāzil shudah hai.

Ham dā’yān Islām se khair-khahna taur par poochte haiń

ke āp logoń ne Qur’ān-e-majīd aur hadīs Nabawi ke sāth

fatāwe Ahl-e-hadīs, fūqa hanafi, fūqa shafai, fūqa maliki,

fūqa hanbali, fuqa ja’fari vaghai’rah vaghai’rah milā kar ek

Um’mat ko itne firqoń meń kyooń taqsīm kar diyā. Kya

Qur’ān-e-majīd aur hadīs Nabawi ke ‘alāwah ko’ī tīsri chīz

Rab ki taraf se nāzil hui hai? Agar hui hai to suboot deiń.

Yaqīnan sab firqe ye bāt kaheinge ke ko’ī tīsri chīz na to

Rab ki taraf se nāzil shudah hai na ko’ī farishta lāyā na

kisi nabi ne hi di to phir hamāri tamām firqoń ko khair-

khahna da’wat hai ke ye tīsri qism ke sub chīzoń ko

chod kar sirf Qur’ān-e-majīd aur hadīs nabawi par khūd

bhi mūt’tahid hojāeiń aur doosroń ko bhi usi ke taraf

Page 7: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

da’wat-e-ittehad deiń kyooń ke ye dono chīezaiń hi Rab ki

taraf se nāzil shudah haiń aur isi liye un donoń chīzon

parhi it’tehād ho sakta hai.

Tamām firqoń ke mūt’tahid hone kā ek hi tariqa hai voh

ye ke sab firqawārāna nām khatm kar ke Allah ta’ā’lā ka

rakha huwā nām mūslim rakhleiń aur usi nām se apnā

ta’āruf karāyeiń tamām firqewārāna mazāhib ko chod kar

Allah ta’ā’lā ka pasandidah dīn Dīn-e-Islām apnāleiń

khūd bhi sirf Dīn-e-Islam par ‘amal kareiń aur doosroń

ko bhi sirf isi ki da’wat deiń aur tamām firqewārāna

kitāboń ko chod kar Allah ta’ā’lā ki taraf se nāzil

shudah Qur’ān-e- majīd aur hadīs Rasool (saw) par hi

‘amal kareiń aur karwayeiń aur tamām firqoń se

‘alāhidah ho kar Rasool (saw) ke hūkm ke mūtābiq

Jamaat-ul-muslimeen meń shāmil hojāyeiń aur doosroń ko

bhi usi jamā’at meń shāmil hone ki da’wat deiń. Ākhir

meń hamāri Allah ta’ā’lā se ye du’ā hai ke Allah ta’ā’lā

tamām firqoń ko haq samajh kar mūt’tahid hone ki

taufīq ‘ata (grant) farmāye.

Page 8: Tamaam firqon ke muttahid hone ka wahid tareeqa

Cell: 92463 43643 / 93471 39685 /

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA]

Flat #204, Saleem Masood Complex,

Nizam Colony, Toli chowki,

Hyderabad – 500 008 (A.P.)

Cell: 9246343676 / 7396620946