100+GIFTED+NAWHAS.doc+-+Ghazi+ki+shahaadat+se%2c+saadaat+pe+kya+

Embed Size (px)

Citation preview

NAWHA SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS) AAYE JO KHABRE FATEMA PE SAYAD-E-ANAAM RUKSAAR RAK-KE KABR PE ROKAR KIYA KALAAM, SEHRA ME DIL KE TUKDOON KI BASTI BASAWUNGA, AMMA MADINA LAUT KE-MAIN AA-NA PAAWUNGA, KAAMPA FALAK LARAZ-NE LAGI QABR-E-SAYYEDA, AYI JANAAB-E-FATEMA, KI QABR SE SADAA (Jaao mere laal - 4) Tum pe har qadam rahe Dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal

PAGE 1

JA RAHE HO TUM-JO KEHKE DEENE HAQ BACHAWUNGA Amma aap ki kasam, me khoon me nahawunga (3) Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal, Tum pe har qadam rahe dua meri , Aur saaya-e-khuda-ezul jalaal BACHPANE MEI JO KIYA THA WADA BABAJAAN SE Waqt ab wo agaya kafan tu sar se baandhne (3) Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal, Kamyaabiyan hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal CHAHIYE KHUDA KE DEEN KO AGHAR AMAA, Do ridaay-e-zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n) (3) Jawo ab shiqab ibn-e-buturaab, Mei tumhare saath babajaan bhi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal DE-RAHA HAI DEEN-E-KIBRIYA TUMHE SALAAM Almadad hussain almadad shah-e-huda (3) Bay watan hussain, mere dil ke cheyn, Hamsafar tumhare saath ma huwi, Aur saaya-e-khuda-ezul jalaal SHAAN-E-BA-WAFA KE HONGE JIS GADI KALAM, Rowenge alam ke saaye mei tere haram (3) Rowengi wafaa aur karbala, Rowengi faraat aur tashnagi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal AKBAR-E-JAWAAN JIGAR PE KHAYENGA SINA, Maa kahengi mera chaand khogaya kaha (3) Uspe nohakhwaan, honge meri jaan, Mei bi aur hassan bi aur rasool bi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal

PAGE 2

YE SADAA MAZAR-E-SAYYEDA SE "MAZHAR ABIDI" Sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi (3) Jaawo mere laal, jaawo mere laal, Tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-ezuljalaal

NAWHA SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as) - BB SUGRA (sma)DAAMAN PAKAD KE KEHTI HAI, BABA KAB AAWOGE LE JAAWOGE HAME KE, YAHIN CHOOD JAAWOGE BIMAAR KI KHABAR BHI, KISI SE MANGAA WOGE YA PYAAR MEI SAKINA KE, HAM KO BHULAAWOGE BACHPAN BHI TAB BHI AUR YE, GHAZAB KI JUDAAI BHI MAA BAAP-BHI BICHADTE HAI, BEHNE BHI BHAAI BHI

PAGE 3

MUJE LE CHALO BABA, JANE LAGE SHABIR TO KEHNE LAGI SUGRA

Bimaar pe tanhaayi ka khanjar na chaalawo, kyu(n) nazre churaate ho tumhe jaana hai jaawo, Ek baat meri maan lo ache mere baba Jaati hai kanize bhi kanizo(n) hi mei rakhlo, kab maine kahaa hai mujhe naaqe pe bithaao, paidal hi safar hoga mera karbobala ka Waada hai ke zehmat na safar mei koi dungi, mei baalon se saya Ali Asgher ka karungi, rehne nahi dungi mei tumhe raah mei pyaasa Mei paani pilaaungi tere naaqe ko baba, mei pusht pe rakhungi sada mashke Sakina, beshak kare aaraam safar mei teri Fizza Akber ki ziyarat, mai, kiye jawungi har dam, didar hai Akber ka mere zakhmo ka marham, marnese bachalo mujhe chodo nahi tanha Akber jo chale jaaenge mei kaise jiyungi, furqat ki aziyat ko bhala kaise sahungi, marjaaegi (3) Sughra Samjaane lage beti ko yun Hazrate Shabbir, Sughra hame maqtal mei liye jati hai taqdeer, ye kehke sadaen na do phat ta hai kaleja Bimaar ho gharmi ki aziyat na sahoogi, tum raahe musibat me safar kaise karoogi, hojaae shifa khair se tab khat mujhe likhnaNani ki hifazat mei diye jaata hu tumko, amma ki lahad dekh ke socha karo humko, ab zid na karo jaawo ye kehna na khudaara Phir Suraa-E-Yasin ko padne lage Maula,Beti ko dua deke pukaare Shah-E-Waala, Marjaaunga ab gham se agar tum ne pukaara

NAWHA SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS) CHALAA ME WADA NIBHAANE SALAAM MAA KE MAZAAR Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) Mai tera din bachaunga, Ay mere nana, Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana, Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa, Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaa Libaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa, Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa, Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar Diye jalane ko nana, Tumhare roze par, Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar, Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber, Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar, Lute na door watan se, Hamare dil ka karar Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa, Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa Hai ek phool to esa hai, Jo khila bi nahi, Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi, Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha, Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha, Kadam wo phool se nazook, Wo raste purkhar Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)

PAGE 4

NAWHA SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (BIBI SUGRA) SMA HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukaryngi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwab akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai mera Chacha abbas aur sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhayya abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

PAGE 5

NAWHA 1ST MOHARRAM SELECTED BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KARO Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2) SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2) Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2) Libas-se Hazrate Zainul eba ko yaad karo KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2) Mai teri pyas pe kurban husain ki dukhtar, (2) Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2) Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2) Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo JHULA JHULAWO KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2) To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2) Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2) Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2) Husain Husain karo Karbala ko yaad karo WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2) Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2) Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UT-AATHE HAI, (2) Dile batul se lakho duwae paate hai, Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2) Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo, Alam ko dekho to us berida ko yaad karo BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2) Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2) Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye, To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare

PAGE 6

NAWHA 1ST MOHARRAM

PAGE 7

TAMAM ALAM ME AJ MATAM Husain bekas ka ho raha hai Alam gharo me saje huwe hai Dilo me farshe azaa bicha hai Tamaam alam me aaj maatam Seeyah kapde seeyah chaadar Ghamo ki gardo gubar sarpar Hai sogwaroon ke ashq jaari Ke saaniye Zehra be rida hai Na chasme purham ho kyun sawaali Juloos hai Zuljanah khaali Ke mera dul dul sawaar maula Zameene karbal me so raha hai Alame mashke Sakina dekho To momino bas ye keh-ke rolo Chacha bhatiji me kya hai nisbath Wafae Abbas kya wafa hai Hussain peedi me dil sambhale Ke dil se uljhi sina nikale Jawaan beta lahu me dooba, Zamee pe yedi ragad raha hai Na maar barchi dile Nabi par Abhi huwe hai jawaan Akbar Ye qatl jisko tu kar raha hai Yahi to hamshakle Mustafa hai Madine walo kaamosh rahna Gareeb Zainab se kuch na kahna Bharaa hua ghar jo legayi thi O karbala me ujad gaya hai

NAWHA 1ST MOHARRAM GHAR GHAR MATAM, DAR DAR MATAM Tera hota rahe maula matam (2) Basti basti karya karya (2), Tera hota rahe maula matam Gar gar matam, dar dar matam, Tera hota rahe maula matam Tera matami ay mere maula, Duniya ke kisi kone me gayaa Musroof raha matam me tere (2) Deta he sukoon tera matam Jab dil ne kaha ayi zehra, Mere gar me bahaane ashke azaa Bas maine bichake farshe azaa (2) Kuch dair kiya barpa matam Kal haath bandhe the zainab ke, Majboor behen thi matam ke Majlis he teri ghar ghar barpa (2) Ab karti hai sab dunya matam Abbas ke shane kat to gaye, Masum tere pyaase hi rahe Gazi ke liye bacho ke liye (2) Ab karta hai darya matam Aashoor ko jab suraj nikla, Zehra ke bhare gar ko dekha, Par chand ne zainab ko dekha (2) Karti hai bhare gar ka matam Karbal se safar tha shaam ka jab, Lashe pe pukari ye zainab, Taa hashr teri mazloomi par (2) Karna hai mujhe bhaiya matam Jo karbobala se sham gayi, Wo binte zahra binte Ali, Sab maye behne milkar ab (2) Karti hai sadaa uska matam Bimar tha aur zanjeere thi, Pairo ke tale jalti thi zamin, Sajjad ke gham me roro kar (2) Karta hai har ek rasta matam Basti basti karya kaya (2) Tera hota rahe maula matam

PAGE 8

NAWHA 1ST MOHARRAM BIBI SUGRA (SMA) SUGHRA GASH SE CHOWK KAR UTI (2) Boli sar ko pit'thi huwi, Haaye meri nind ud gaayi (2) Mere baba khairiat se ho (4) Dekha aj maine kaisa khwaab Reyt par pade hai kuch gulaab Chun rahe hai jinko buturaab Khoon ro raha hai aftaab Ek taraf alam hai khun me tarr Juk gayi hai shah ki kamarr Jaa rahi hai jis taraf nazarr Bibiya khadi hai nange sarr Hay hay Qasim-E-jawaan Bayn kar rahi hai jiski maa Hil gayi zamin or asmaan Todi jab dulhan ne chudiyaan Ek bachi sina-e-padarr Dundh ti rahi idhar udharr Baap so raha tha khak parr Jis ke tan se kat chukaa tha sarr Khayd hai rasool-e-zadiyaan Haath me bandhe hai rassiyaan Bekajaawa hai amaariyaa Khun ro raha sarebaan Khwaab ye bada ajeeb thaa Badshah deen gharib thaa Kya yahi mera nasib thaa Bekafan mera tabib thaa SARVAR-O-REHAN ki sadaa Ho khabool shah-e-karbalaa Koyi bachi aur is tarahaa Yu-na de tadap ke phir sadaa

PAGE 9

NAWHA JANABE AUN-O-MOHAMMED (A.S) Kehti thi zainab, Ay mere sheyro, Kehti thi zainab, Mere dilero Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad (4) Khwaab ye zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2 Mamu pe hongaye fida, guod ke pale mere (god ke pale) x2 Khwaab ye sacha huwa, Sar mere uncha raha, Hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere (Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad) x2 Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2 Husn mei akbar ho tum josh mei abbas ho (josh mei abbas) x2 Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei, Saya-e-qur'an mei, aise utho aise lado maut pe tum qud pado Ha meri taqeed par dhyan tumhara rahe, (dhyaan tumhara) x2 Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2 Dud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei, Sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, tum na raho Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2 Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2 Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki, Hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam Aun ye kehna laga, bhayi muhammad suno (bhaayi muhammad) x2 Aeik taraf mei badoun, eik taraf tum barho (eik taraf tum) x2 Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham, Maamu hame de alam, deke hame amma kahe jite rahe Dono jari jang ko surat-e-andhi bade, (surat-e-andhi) x2 Nana ali ki tarha, maut pe haavi rahe (maut pe haavi) x2 Milke jo hamla kiya, meymana-o-mesra, eik me dam hogaya, teygh-e-ali, aise chali, dhum machi Dekh rahi thi jo ma khaime ke darpar khadi (khayme ke dar par) x2 Saath wahi thay khade hazrat-e-abbas bhi, (hazrat-e-abbas) x2 Bhaayi behen saath thay, sahib-e-awlaad thay, waris-e-ajdaad thay, kehne lage khub lade sheyr mere Larde kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2 Jalti huwi khaak par dono tadapne laga (dono tadapne) x2 Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-ali, surkhru zainab huwi,

PAGE 10

Sadkhe tere bhaayi mere, laal huwe Aun-o-muhamad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-enayaab) x2 "SARWAR-O-REHAN" wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2 Hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha, Maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida

PAGE 11

NAWHA SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

PAGE 12

HAY-ASGHAR HAAYE ASGHAR (2) Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3) Nawha Tha Ye Maa Ke Lab-Par (2), Mai Loori Sunaon Kisko Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3) Haathoon-pe gaye thay laykar, Shabbir Tujhe ay jaani, Ye kehke tasal-li di-thi, pil-vaunga isko paani, Laut aaye hai khaali Sarwar (2), main loori sunaaon kisko Kya baath huwi hai beta, kyun rout gayaa maadar se, Jhule ko udaasi dekar, haathon-pe gaya tha ghar se, Itna to bata de dil-bar (2), main loori sunaaon kisko Ashoor ka din dhalte hi, mazloom-mo ki shaam aayi, Din laashe ginte guzra, har shaam qayamat laayi, Maa kehti rehi ye lut-kar (2), main loori sunaaon kisko Ye ayhd kiya hai beta, saaye may-na mai jaungi Kya mujko qabar thi beta, mai itne gham paaungi, Kehti thi yehi maa aksar (2), main loori sunaaon kisko Paani ki jaga sahil say, ek teer gale par khaakar, Mera be-sheer mujaahid, mera masoom-sa Ashgar, Soota hai lehad ke andar (2), main loori sunaaon kisko Tuj-jaisi kali ko beta, Is tarah masal-dhala hai, Tu phool tha mere ghar ka, Tera-rang badal dala hai, Hai zakm teri gardan par (2), main loori sunaaon kisko... Zakmoon ke safar mai beta, tu-bhi to nahin soya tha

Ye maa ko qabar hai Asghar, Tu shay ke-liya roya tha, Tu soo-gaya aakhir thak-kar (2), main loori sunaaon kisko In-saann nahin hai koyi, haywaan hai is jungle main, Jinki thi pehre daari, O sogaye is maqtal main, Ye dekh-ke khooni manzar (2), main loori sunaaon kisko Har waqt rulaati rehti, jisko iski tanhaayi Nawha tha ZAFAR is maa ka, jo lutt-ke Madine aayi, Ay mere bahadur Asghar (2), main loori sunaaon kisko

PAGE 13

NAWHA SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S) NAIZAY SE ASGAR KO NAZAR AAYI JO MADAR Dekha khula sar hai pariyshaan hai muztar Rone lage kehne lage tab ali asgar Maa mujhe apnay seenay se lagaalay Maa muje apni godi me chupalay, Maa me naizay pe hu (2) Maa muje apnay sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale Amaa bohath din huwe jhule me na soya Maa teri izath ki khasam phir bhi na roya Ab tuje dekha to mere lab huwa goyaa Aaj bandhe hathoon ko jhula sa bana-le, seenay say laga-le. Jism kahan sar hai kahan haaye mukaddar Amaa badan rehgaya karbal ki zamin par Amaa tere saath chalaa aya mera sar Karta tuje kaise layeenoon ke hawaale, seenay say lagale. Garm hawaa garm zameen jalta huwa teer Amaa zara socho mairay khad se bada teer Kaise kahun halkk pe jis waqt lagaa teer Hogaye bayhosh mujhe dekhne wale, seenay say lagale. Kabse sakina ne nahi mujkse kiya pyaar Karbobala kufa kahan shaam ka bazaar Darti hai kya khoon-se bhare, dek-ke ruksaar Naizay ke nazdeek zara usko bulalay, seenay say lagale. Dhoop me tune na kabhi gar se nikaala Amaa baday pyaar se tune mujhe palaa Aaj nahi koi mujhe dekhane wala Tuhi muje dhoop se shiddat se bachaale, seenay say lagale. Dekh teraa lakhtay jigar yun to hai ASGAR Naiza sawaari mayhai Akbar ke baraa bar Noke sina par hai sitaara sa mera sar Meri shujaath pe gale mujko lagaale, seenay say lagale. Baba ka sar bhaayi ka sar noke sina par Aap ke sarpe nahi ama koi chadar Kaise me bardash karu ama ye manzar Jalti huwi khak se moo apna chupale, seenay say lagale.

PAGE 14

NAWHA SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

PAGE 15

Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya HussainMein jhoola jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Khuwaab mein Asghar tujhay, Lori bhi sunaoon Tujhay Jhoola Jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Laut Aoo safar sey ke badi deyr huwi hay Betaab hu kabsey tujhay seenay sey lagaoon Koi Mujhay Butlata Nahi teri Nishani Barsaat mein teeroon ki kahan dhoondnay jaon Socha tha teri saalgirah ghar mein karoongi Taqdeer yeh kehti hay tera soug manaoon Baba sey teray tera Janaza na uthayga Ruk ja zara Abbas ko dariya sey bulaon Yeh Khoon mein bhara kurta, yeh matti mein bharay baal Seenay mein chupaon ke mein aankhoon sey lagaoon Iss tarha Koi rooth ke maa sey nahi jata Tu Khud he bata dey mein tujhay kaisay manaoon REHAN ke Nohay sey sada baano ki ayee Mein aankhoon sey askhkoon ke samander ko bahaoon Mein Khuwaab mein Asghar tujhay Lori bhi sunao Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Tujhay Jhoola Jhulaon

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS) QASIM KE JANAAZE PE KYA DARD KA MANZAR HAI Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Sab khoon se bhara sehra poshaak dareeda hai (2) Pamaal badan saara, aur khaak ka bistar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei (2) Saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Tukday tha jigar jaysay ay maula hassan tera (2) Tukdoon mei yahaa maula, vay-saa tera dilbar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jaaooun (2) Ghayray huwe khaymo ko, hai kuffar ka lashkar Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Ik gat-ri may laate hai shabbir ye kya ran se (2) Awaaze falak aayi, lakhtay dile shabbar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par (2) Masroofe fughaa saari, awlaade payambar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Shah kehte-the ay qasim kyun tuj ko ajal ayi (2) Sinay mai mere beta, ik dard ka khanjar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par (2) Har phool ki ankho(n) me, ashkoon ka samandar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) REHAN zaraa socho laashe to bahattar hain (2) Rone ke liye tanha, "Shabbir" ki khwahar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

PAGE 16

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)

PAGE 17

KUBRA NE KAHA QASIM DULHA (2) KIS SONE BUN ME SOTE HO BACHPAN KA RANDHAPA DEKHO ZARA KIS SONE BUN ME SOTE HO Sahra hai Kahin Kangna hai Kahin - 2 Masnad ke Yevaz hai Qack Nasheen Hai Raand banee Mahboose Jafa Kis Sone Bun me Sote Ho Shaadi ka Naya Qillat ye Mila - 2 Hai Sarpe-mere Ek Kaali Rida Dekho To Dulhan ka Haal Zara Kis Sone Bun me Sote Ho Paazeb ki Jaa Bedi hai Padi - 2 Kangne ke Yevaz Rassi hai Bandhi Kya Qoob Banee kya Haal Bana Kis Sone Bun me Sote Ho Thama Tha Jo Tumne Haat Mera - 2 Dena Tha Lahad tak Saat Mera Muj Raand Banee se Hoke Qafa Kis Sone Bun me Sote Ho Mazloom Baney Be Yaar Baney - 2 Martee hai Banee Gumqaar Baney Batlaavo to Apna Haal Zara Kis Sone Bun me Sote Ho Maatam me Gireban Phadungi - 2 Baalon se Lahad ko Jhadungi Lillaah muje Do Apna Pata Kis Sone Bun me Sote Ho Hoja ta tha SHOWKAT Hashr Bapa - 2 Hilja ta tha Dashte Karbobala Kahti thi Jo Ro Ro kar Dukhiya Kis Sone Bun me Sote Ho

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS) HAEY HAEY QASIM(AS) HAEY QASIM(AS) (X2) Qaidi ban ker paband-e-rasan, Lashoun say jo guzray ehl-eharam.. Her bibi apnay piyaroun say, Houti thi vida ker k matam Ek bibi Fatima Bint-e-Hassan(as), Pamal badan Qasim(as) ki bahan Kisi ek ja say rukhsat na hui (x2) Toukroun mein jo tha bhai ka badan Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as) Teri Bhen garib nou nai bhulna (x2) Teray qatal da manzar haey Qasim(as) Haey haey Qasim(as) haey Qasim(as) (x2) Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as)

PAGE 18

Kabhi sehra daikh k routi thi, Kabhi ghash kha k gir jati thi (x2) Pamal hua tha bhai jahan (x2) Os khoon pay gir ker haey Qasim(as) Kis shan say tum dulha thay banay, Kis shan say thi barat chali (x2) Baithi rahi dulhan hujray mein (x2) Aey na palat ker haey Qasim(as) Farwa(sa) nay kaha bayta Qasim(as), Keh dayna dadi Zehra(sa) say (x2) Ghurbat ki kamai tudoon mein (x2) Bhaiji hai saja ker haey Qasim(as) Uth Qasim(as) daikh teri dulhan, teri lash pay rounay aai hai (x2) Aey kaash ye shadi raas aati (x2) Buss jata tera ghar haey Qasim(as) Her sath moharram ko mehndi, Teri yaad mein Qasim(as) uthti hai (x2) Doolha doolha Qasim(as) doolha (x2) Hota hai laboun per haey Qasim(as) JAWWAD, REHAN TAY SARWAR NOU,

Nai bulnay vain os bibi day Jenday sadqay aj vi jaari ay (x2) Teda matam ghar ghar haey Qasim(as)

PAGE 19

NAWHA SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S) KHO GAYE HO TUM KAHAN Dhund-ti madar Ay Ali Akbar meray (2) Zakm seenay par laga (2), aur jigar thak chid gaya Khoon se rangeen hai, sar zameen-e-karbala (2) Haat rak-lo zakm par, aati hai maadar Aarzu hai ye meri (2), dekhun sehray ki ladi Haaye khismath kya karun, khoon mai maiyath padi (2) Say-J phoolon ki kahan, khaak ka bistar Monisoo yawar nahin (2), shah ka lashkar nahin So-gaye Abbas bhi, ghoud may Asghar nahin (2) Sai-kadoon ranjo mehan, aur ek sarwar Ek Sakina si behan (2), shal hai koodon se badan Aur gale may band ne, shimr laya hai raskan (2) Zulm ki hai entihaan, chingaye gowhar Thouq ka aazar hai (2), Abid-e-beemar hai Zainab-O-Kulsum aur sham ka bazaar hai (2) Baad teray ahle shar, ley gaye chaadar Khaid se jab aaungi (2), main Madina jaoungi Poucheygi Sugra tumhe, kiya us-se batlaaungi (2) Kiss-tara sey paayegi, gham tera khuwa-har Ay shahid-e-karbala (2), Ay shahid-e-mustufa Vasta hai aapko Shabbar-O-Shabbir ka (2) Ab HASSAN ki liji-ye kuch khabar aakar Ay Ali Akbar meray (2) Kho gaye ho tum kahan Dhund-ti madar Ay Ali Akbar meray (2)

PAGE 20

NAWHA SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S) MERA SEHREYA WALA AKBAR (4) ZAKM DIL KE DIKHAUN MAI KAISE (2) TERA LASHA UTA HUN MAI KAISE AKBAR - MERA SEHREYA WALA AKBAR (4)Lashe Akbar pe shah jab pahunche, Dilko hathon say thamkar bole Teri furkhath ne aye Ali Akbar, Aag dil mai mere laga di hai Aag dil ki bhujaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

PAGE 21

Tu hai kadiyal jawan ay beta, Baap tera za-eif hai kitna Noor ankhoon ka hogaya ruksath, Mujko ata nahin nazar khaima Layke khaimon mai jaun mai kaise x2 Tera lasha uta hun mai kaise Usne athara saal pala tha, Kaise dekhegi O tera laasha Teri shaadi ka tha jise armaan, Kaise jhaylegi O tera sadma Teri maa ko bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Dekh aayaa hai kha-side Sugra, Rah takti hai O dukhi behna Tujko beemar ne bulaya hai, Wada Sugra ka kyun bhula dala Gham ye dil se lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Bhaayi behnoo ka hai ajab rishta, Jiska saani kahin nahin milta Roke Sugra ne ye likha Akbar, Ek dukhiya ki laaj rak-layna Margaya tu bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Lutf jeene mai ab kahan Akbar, Dilse ut-thi hai ye fuqaan Akbar

Subhe ashoor di thi jo tune, khun rulayegi O azaan Akbar Teri surath bhulaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Zabt ghamka muhaal hai beta, Dekhun kaise ye zakm seene ka Mai to pardes main akeyla hun, Dekh kar zakm kya karun batla Ispe marham lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaiseAisi ghurbath mai mu nahi modo, Mai hun tanha mujhe na yun chodo

PAGE 22

Kya guzarti hai baap ke dilpar, ghamzada dil ko yun nahin todo Apni ghurbath bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise SHADMAN ye duwa hai khaliq say, Waqt aisa kisi pay na aaye Jaisa Mazhar ne lik-diya manzar, Shah kehte the bas yehi rokar Zakm dil ke dikhaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

NAWHA SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S) SAB PHULO KE GEHNE ME SAWAARI DULHAN AAYE. Tum jaise ho bas aise hi pyaari dulhan aaye. Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana (2) Bhaya muje bhool na jaana Fatema sugra ne ye akber ko likha hai, Bhayi salaamat raho behna ki duwa hai, Baad duwa dil me ye armaan basaa hai, Masne de shaadi jo bichaana, Baba ki aggosh-me mai-bhi to pali hu, Bhaiya teri ungli pakadkar me chali hu, Kya me tere chaawo se mehroom rahi hu, Baba ki jab chawo me janna, Baba se kehna ke meri jald khabar le, Toot na jaaye kahi baba meri saase, Kat-ta nahi din na guzarti hai ye raate, Khat mera baba ko sunana, Bhaiya tere baad jo din eid ka aya, Eid ke din eid me gham mene hi paaya, Mujko bhare gar ki judaayi ne rulaaya, Dukh ye mera sab ko bataana, Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hai, Amma se kehne ke ye Sugra ne kahaa hai, Phool sa Asgar jo mera sath gayaa hai, Dhoop se jab usko bachaana, Behno ka dil jaane jigar hota hai bhaayi, Ankh teher ti hai jidar hota hai bhaayi, Mere tadapne ka asar ho ta hai bhayi, Tum ho jaha mujko bulanaa, Bhaya muje rehta hai har waqt ye ehsaas, Bhool gaye kya muje mere chacha abbas, Aye alam aye sakina ho mere paas, Aas meri tod na jana, Ama se kehna ke sakina ki kasam hai, Faisela ab kabre se bimaar ka kam hai, Der na ker na ke mere hoto pe dam hai, Haat duwa ko jo uthana,

PAGE 23

PAGE 24

NAWHA SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S) SHABIH-E-PAYAMBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA SHAAH KA DILBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA Armaan Bohot Tha Main Tere Shaadi Rachawoon Ek Roz Dulhan Chand Si Main (Biyaah Kai Laawoon-2) Par Laash Pe Roti Hai Tere Kookh Jali Maa Zinda Thay Tumhe Dekh Ke Ab Kaysai Jienge Socha Tha Terai Biyaah Ki (Poshak Sienge-2) Par Tujh Ku Kafan Bhi Na Mila Haaie Meri Jaan Roti Hai Phuphi Jis Nai Tumhe Laad Sai Pala Tum Kya Gayae Rukhsat Huwa (Is Ghar Sai Ujala-2) Ek Baap Zaiefe Main Huwa Be Sar-o-Saman Abbas Ka Sadma Bhi, Abhi Kam Na Huwa Tha Aysai Mai Meri Jaan Tera (Waqt-e-Ajal Aaya-2) Tum Margayai Kuyn Mar Na Gaie Lal Teri Maa Bimaar Behan Takti Hai Beta Tera Raasta Pardes Main Aayae To Rahaa (Yaad Na Waada-2) Maqtal Kiya Aabaad Madina Kiya Wiraan Phir Ta Hai Meri Ankh Main Ab Tak Wahi Manzar Ay Jaan-e-Pader Noor-e-Nazar (Ay Ali Akbar-2) Hamshakl-e-Nabi Kehte Thay Tum Ko Shah-e-Zeeshaan Allah Nigehban Tumhara Mere Pyaare Ham Loge Rasan Basta |(Sue Shaam Sidhare-2) Sota Hai Terai Saath Yahin Asghar-e-Naadan Pyaase Thay Bohot Pyaas Ye Kis Tarah Bujhaye Is Chaand Sai Sine Pe Sinaa Zulum Ki Khayein-2 Tum Sote Ho Maa Jaati Hai Beta Suie Zindaan

NAWHA SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S) HAI AKBAR HAI AKBAR (4) AKBAR.... TERI LAASH UTAYE KAISE HUSSAIN (2) DIL THAME HUWE AUR QHAM HAI KAMAR BINAAYI NAHIN AUR ZAKMI JIGAR AKBAR Ay beta zaeefi hai aisi, raasha hai badan pe baba ke Abbas nahin Qasim bhi nahin, imdaad ki qatir kaun aaye Liye mouj-isii gham-ka dilpar... Akbar Sadmoon ki thakan ne maar diya, din bhar tho utaaye hai laashe Sab sabt ke bandhan toot-gaye, binaayi gayi tere gham se Thanha hai sare maqtal ye padar. Akbar Ay laal teri surath ki qasam, ab taab nahin hai is dil-ko Mai bhuda padar aur tum-ho jawan, kya waqt pada itna souchoo Mai bekas-o-tanha aur muztaar Akbar Khaimay mai tujhe rooti hai puphi, aur zebay musala hai madar 18 baras pala hai tujhe tu khud hi bata ay mere pisar Kya beet rahi hogi dilpar........ Akbar Pardes mai mere noor-e-nazar, jeete-ji mujhe tu maar gaya, Naize ki tarah ye gham Akbar, hum sab ke diloon se paar gaya, Rooti hai teri maa ye kehkar. Akbar Karta hun duwa-ein khaaliq se, qismath na kisko de-ye gham Ho samne beta ka laasha, aur baap kare uska matam, Sunle ye duwa rab-e-Akbar......... Akbar Taqdeer kisi madar ko-bhi, ye gham na dubara dikhlaye Beta ho shabiye paighambar, maa jeeti rahe O marjaaye Mar jayegi roo roo kar madar. Akbar Jo tere kalaije mai thi sina, hai zakmi usi-se dil mera

PAGE 25

Kis tarah sina O khainchi thi, mai tujko nahin batla sakta Dil tukde huwe jaata hai pisar......... Akbar Jo bayn kiye shay-ne ban-me, Mazhar O bayan kar sakta nahin Sina pe pisar ke sar rakar, ye kehte rahe bas Shaahe-deen Ab zinda rahun mai bhi kyun-kar......... Akbar

PAGE 26

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S) TERAY KATA HUWE BAZOO NIJAATH PANI KI Teray badan ka paseena zakath pani ki Jahan bi paani-O-mash-O-alam ki baath chali Ali ke laal ke khadmoo talay furaath chali Wafa-E-ishk-O-mohabath ki kaye naath chali Duwa-E-Fathema Zehra bi saath saath chali Alam ke dam se hai ab tak hayath pani ki Jari ki jeeth huwi aur maath pani ki Wo ek mashk jo kauser samayt kar nikli Laboo pe apne samandar samayt kar nikli Tabassum-E-Ali Asgar samayt kar nikli Jo ek zarb se lashkar samayt kar nikli Agar na kehti ye aabe hayaath pani ki Har ek nigaha se gir jati zaath pani ki Sakina bibi ke saq-qe Ali ke laal salaam Jari saqi asad-e-shayre zul-jalaal salaam Wafa ki aakri haq-e-mahay kamal salaam Nahin hai dono jahan main teri misaal salaam Teray kata huwe bazoo nijaath pani ki Teray badan ka paseena zakath pani ki Himayath-e-shah-e-mazlum may fana Abbas Tabath-O-jurath-O-ghayrath ki intehan Abbas Janab-E-Zainab-O-bekas ka aasra Abbas Labay furaath faqath tunay hi likha Abbas Hamari tashna lagi hai furaath pani ki Hayaath pyaaso ki tehri wafath pani ki Teri hayaath ka saman NASEER-e-shabbir Badal ta rehta hai jo kaynaath ki taqdeer Furaath-O-mashk-O-alam hashr tak teri jagir Main aur ye meri tanzeem iske dar ke fakir Bahaygi chasmay azaan se furaath pani ki Chalaygi majlis-O-matham main baath pani ki YA ABBAS (4)

PAGE 27

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

PAGE 28

LABE FARAAT-E-ALAMDAR-E-KARBALA AYAX3 WAFAA KO NAZ-E HE JIS PARX2 WO BA WAFAA AYA

Ali ka ehde jawaani Palat ke aaya hai Isi liye pare jibreel thar-tharaaya hai Alam ka noor zamin se falak pe chaaya hai (Zamin pe phir abu talib ka)x2 naksh-paa aayaa Jari ka sina hai ya-ilm ka madeena hai Ali ka taaj shuja-ath ka ye nagina hai Sakina pyaasi hai dil misle aab sinaa hai (Ye mashk hai ya uthaye) x2 huwa duwa aaya Tarayi kabzeme ankho me pyaas bachoon ki Likhi huwi hai pharere pe aas bachoon ki Hai fikr ghazi ko har dam udaas bachoon ki (O khayma-gah ko mud-mud ke) x2 Dekhta ayaa Nazar jamayi Sakina alam ko dekh-ti-thi Dilase bachoon ko de-ti-thi or ye keh-ti-thi Milenga pani sabhi-ko mitengi tashna labi (Ye khusk kuza bharege) x2 wo marhala aayaa Ye kya huwa ke Sakina ne aah bhar ke kaha Alam chacha ka phuphi kyu nazar nahi ataa Ye kehke phenk diya apne hath se kuza (Udhar se fazl bhi karta) x2 huwa bukaa ayaa Kazaa fizaa me uthi yaa Husaini adrikni Me ghirgaya mere bazu kate he mashk chhidi Hussain bole kamar meri jhuk gayee ghazi (Mere nasib me ye gham) x2 Bahoth badaa ayaa Kabhi rida kabhi bazu ko, dekhti thi bahan Tasawaraath me zainab ke, tha Ali ka sukhan Ridaa chinengi bandh-engi kalaaiyoon me rasan (Ye soche kar dil-e-Zainab me) x2 khouf-sa ayaa

PAGE 29

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ABBAS JAA RAHE HAI - SELECTED BACHE TADAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN APNE RIDA KO ZAINAB, HASRAT SE DEKHTI HAI (2) Sukhe huwe labon par, Bachoon zaban na phero (2) Mashko alam ko dekho, Kuch deyr mei yahaan tak Khud nehr aa rahi hai, Abbas jaa rahe hai Kyun mashk tumne dedi, Ghazi ko shahzaadi (2) Ay ranjo gham ki aadi, Khush kyun hai ai sakina Kuch der ki khushi hai, Abbas jaa rahe hai Jukne lagi qamar hai, Abbas ka safar hai (2) Sheh marna jaae dar hai, Aafat ghamoon alam ki Sarwar pe ghir padi hai, Abbas jaa rahe hai Ik shore al-atash hai, Phaylaa huwa fazaa mei (2) Masroof hai dua mei, Kyaa sog karbalaa mei, Ummeed aakhri hai, Abbas jaa rahe hai Khaimon mei shore matam, Hone laga hai paiham (2) Har aankh hogayi nam, Shaame gharibaan daaman Phailaati jaa rahi hai, Abbas jaa rahe hai Zainab ke baazuuon ko, Chuma tha jab ali ne (2) Lamhaa the zindagi mei, Baazu bandhenge mere Zainab samaj gayi hai, Abbas jaa rahe hai REHAN AZMI who, Manzar na likh sakunga, Bas itna keh sakungaa, Kehte the shaahe maula Gham meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai ABBAS JA RAHAY HAIN BACHE TARAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN

HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S) MISLE HAIDER KEE ZAMANEE KA, MADADGAAR HUN MAI HATH KATWAKE BHII, SARWAR KA ALAMDAAR HUN MAI JO NAHIN JANTEE, PEHCHAN LEE ABBAS HUN MAI ABBAS HUN MAI ALI ABBAS HUN MAI (4) Mere khadmoo ki damak paaye to manzar kaampe Ghaiz mai aan ke dekhu to dilawar kampe (2) Bol uthun to sitamgaaron ke lashkar kampe Himmate kehti haii (2) ke Haidare karaar hun mai Foujko foujke sardar ko dar lagta hai Tegh ko saahibe talwaar ko dar lagta hai (2) Mujse har dour ke ghadaar, say dar lagta hai Mai wafadaaron kaaa (2), hami hun wafadar hun mai Zalime waqt ki hasti ko mita sakta hun Babe khaibar ko hawaoon mai uda sakta hun (2) Marhabe waqt ko naize pe utha sakta hun Mujko pehchaanloo (2) Jarar hun jaraar hun mai Izn Shabbir agar de-to phachadunga abhi Naqsha har zulm ke baani ka bigadunga abhi (2) Babe khaibar ki tarah unko ukhadunga abhi Deen ke wastee (2) har jung ko tayaar hun mai Mai agar chahun to dariya mai rawani na rahe Zulm ki aur sitamgar ki kahani na rahe (2) Khushk hojaye abhi nehr mai paani na rahe Masle haq hai to yee (2) jaa dene ko tayaar hun mai Asmaano ki balandi pe khadam mere hai Karbala meri hai ye louhoo khalam mere hai (2) Saari duniya mai jo ut-the hai alam mere hai Kyun ki Shabbir kee (2) laskar ka alamdaar hun mai Sunke Ghazi ka rajas darke sitamgar bhage Fouj mai shour huwa, nehr say lashkar bhage (2) Nouke naiza say jo takraaye to phir sar bhage Aur O kehte-rahee (2) Aoo khabardaar hun mai Matame shah pe fatwe na lagana mufti Ye alam mera hai bid-dath na batana mufti (2) Bandkar zulm azaadar pe dhana mufti Ye rahe jaan-kee (2) Shabbir ki talwaar hun mai

PAGE 30

PAGE 31

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

MAIDAAN MEIN HUSSAIN KA GHAMKHAAR GIR PADA Shaane kata ke ghode se jarraar gir padha (SELECTED) Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir pada..(2) Dikhlagaya bahare wafa jaane murtaza Dooba hua lahoo mein hai armaane murtaza Hai paara paara nehr pe qurran-e-murtaza Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maindaan mein. Tanha Hussain hogaye yaawar nahi raha Tashnalaboon mein saakhiye kausar nahi raha Bibi sakeena amme ghazanfar nahi raha Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein Tharra uthega gham se bayaabane karbala Royegi khoon shaame garibaane karbala Rassi mein bandhe jayenge mehmaane karbala Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein Dariya-ye zindagi ka kinaara nahi raha Be-aas bibiyaan hai sahaara nahi raha Tha dil ko jis se chain wo pyaraa nahi raha Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein Zarraate karbala-ba-alam bolne lage Abbaas ke firaag mein aansoon ubhal padhe Shabbeer kis tarah ALI FITRAT ye gham sahe Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir padha.

PAGE 32

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S) ASMAN DEKH RAHA THA, Saq-kha koyi faraat pe aye tha tashnalab, Mashkiza bhar ke jaanibe khayma chala wo jab, Barse wo teer chidgayi mashk-e-sakina jab, Roya alam faraat wafa mashk aur sab. Gunji maktal mei shah-e-deen ki sada (Qatl darya pe alamdar huwa) x2 Aur pyaaso ki ye aas tut gayi, Aya maktal se alam khun me bhara Aur pyaaso ki ye aas tut gayi Din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaaye (2) Bas Sakina ne yahi roke kaha Ab mere sar se ridaa jayengi zainab ne kaha (2) Rodiye sunke ke shah-e-karbobala Tere ammu to teri pyaas pe kurbaan huwe (2) Sheh ne ye bali sakina se kaha Haath mei sukhe huwe kuze liye bethe the (2) Marsiya pyaas ka maula se suna Khun-e-abbas jo parcham se tapakte dekha (2) Dukhtar-e-shah ka dil dub gaya Roke kulsum se fizza ne kaha shehzadi (2) Teri chadar ka muhafiz bhi gaya Dono haatho se kamar thame huwe sheh ne kaha (2) Bujh gaya meri ummido ka diyya Alatash kehke jo rote the wo khamosh huwe (2) Chayi mahool be matam ki fazaa Roye sadat to daryaa ka kanara roya (2) Zindagi royi kahin royi kazaa

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)ABBAS-E-ALI AAYE KARIB-E-SHAH-E-ABRARBhayi ko alam deke kiya sheh ne bohot pyar, Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar, Jaisi ye meri fouj hai waisaa hi alamdar, Ghazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga, Sakhi (abbas hamara hai(n) alamdar hamara) 2 Hashim ka kamar haider-e-karrar pyara

PAGE 33

Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas, Khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, Zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, Kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa. Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai, Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai, Is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai, Mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara Paida huwe abbas to gaudi me utha ker, Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker, Chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker, Dekha jo alam ne to alam khud ye pukara Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nishan hai, Kehte hai ye shabir mera shere jawaan hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa Abbas-e-ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai, Abbas-e-ali fatema zehra ki duwaa hai, Har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai, Bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa Duniya-e shahadat me kaha(n) uskaa hai sani, Jo saare shahido ki safo me raha ghazi, Be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki, Hashim ka kamar sare fakiro ka sahara Lazim hai ke ham dekhenge ek roza ye manzar, Farmayenge jab mehdiy-e-dora sar-e-mimbar Kaabe se namudaar jo hoga mera lashkar, Hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa. Yaad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar, Wo rona sakina ka phareyra ko pakad kar, Wo dekhna zainab ka kabhi sar kabhi chadar, Kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara Abbas gaye hogaya maula mere tanha, Dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya, Nagaah alam nehr pe girte huwe dekha, Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara

Ay

ye iman hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe ho saya Padne ke liye hashr mei shabir ka nawha, Abbas bulayenge hame karke isharaSARWAR-O-REHAN

PAGE 34

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S) JAB SHAAM KE BAZAAR MEI, SAYDAANIYA AAYI, ARE CHADAR KI JAGA KHAAK-E-SAFAR, BAALO PE LAAYI NAA GAAH JAB GHAZI KI NAZAR KULSUM TAK AAYI, ARE SAR KHAAK PAR, ABBAS NE NEZE SE GIRAAYA. DAR HAI KULSUM KE CHEHRE PE NA-A PAD JAAYE NAZAR, NOKE NEZA PE TEHERTA NAHI ABBAS KA SAR (SELECTED)

PAGE 35

Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga, Jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda, Shaam walo isi ehsaas-e-doraan-e-safar, noke. Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha, Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda, Pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat, Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat, Khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke Aandhiyo khaak urdaawo ka bane isse haram baparda, Gunji jab shaam ki gham nok fazaawo mei ye zainab ki sada, Asman rone laga rowi zamin ye kehkar, noke Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare, Jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare, Laasha sahil pe tadapta hai udhar aur idhar, noke Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi ali ki beti, Ghir gaya farq-e-wafadaar jo naize se to heyraan the shaqi, Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi, Nawha karte hai nabi khaak udha te hai hassan aur ali, Haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar, noke Kabhi layla kabhi farwa kabhi kalsum kahe wawayla,

Chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kaha, Amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar, noke Nawha likhte huwe "IRFAN" ye "MAZHAR" ne kahaa tha rokar, Koun qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar, Rodiye qalb o jigar aik hi misra likhkar, noke

PAGE 36

NAWHA HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S) GHAZI KI SHAHAADAT SE, SADATH PE KYA GUZRI Maula ki kamar tuti, zainab ki rida utri Abbas ka maidan mei ghode se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai, Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai (2), Mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna, Are Sajjad pe zaalim ke tamachon ki woh barish, Maasum sakina pe tamachon ki woh barish (2), Haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna Are Rone pe koi zulm tadapne pe koi bain, Haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar (2) Ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna, Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana, Har shehr ke har mod pe hi eid manaana (2) Ujde huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa, Are karne pade bimaar ko taamil hazaaron, Be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron (2) Ab tak bi yatimon ka koi zakhm na bharna, Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen, Roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen (2) Sajjad ka har roz mei sou baar ka marna, Are maaruf kabhi SHOUKAT-O-FARHAAN na hote, Lafzon pe agar shaah meherbaan na hote (2) Alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa, Abbas ka maidan mei ghore se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo

PAGE 37

(Sakhi ABBAS Jari Ya ilaahi mujhe de) x2 Ek jari chaahiye taarike shujaa'at ke liye Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye - 2Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

PAGE 38

Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle - 2Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera - 2Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Koi be-yaar-o-madadgaar agar hojaye Iltaja behre madad apni zabaan par laye Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye - 2Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me - 2Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho - 2Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Mere maalik mere hoontoon pe jab aayi ye dua Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala Mera Shabbir musibat mein khadaa hay tanhaa - 2Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Jab woh karbal mein ho chawbhees peher ka pyaasa Har kadam par use isaar ka jazba dena Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna - 2Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Ay "KALEEM" hogayi maqbool duaa-e-Haidar Usko "MESUM" kaha hai Fatema Zehra ne pisar Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar - 2Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S) 10TH MOHARRAM

PAGE 39

ZAINAB KA THA YE NAWHA Zainab ka tha yeah NAWHA, Bhayi hai bhuka pyaasa Ai shimr (la) tu teher jaaa. bhayi hai bhuka pyaasa Suke gale pe khanjar, math pher ai sitamghar (2) Pani pilade thoda. Bhaayi hai bhuka pyaasa Seene se thu uthar jaa, zakhm mein dard hoga (2) Mazloom par taras khaa Bhaayi hai bhuka pyaasa Khoya hai nawjawan ko, ghada hai bezubaan ko Koi nahi hai uska. Bhaayi hai bhuka pyaasa Chadar ko cheen lein thoo, Qaimon ko loot le thu Uski nahin hain parwa. Bhaayi hai bhuka pyaasa Arzo Saman ke waali, dena hai thu gawahi Pehlu mein behke darya. Bhaayi hai bhuka pyaasa Ya fathima ab avo, ya murtuza ab avo Dam thod tha hai beta. Bhaayi hai bhuka pyaasa

PAGE 40

Zainab ka tha yeah NAWHA Bhaayi hai bhuka pyaasa Ai shimr thoo teher jaaa. Bhaayi hai bhuka pyaasa

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S) HAAY ASR KA WAQT HAI, SHABBIR KI AATI HAI SADA Chur zakhmo se badan hogaya ama mera Apani agosh me ab mujko chupalo ama Are dhoop hai apni aba aan ke dalo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2) Thak gayaa lash utha kar me bhare lashkar ki Laash qasim ki me la-ya hu kabhi akber ki Khud baniyi he lahad maine ali asger Do tasali muje sine se lagalo ama Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai Khaak jalti hai to zakhmo main chubhan hoo-ti hai Mere zakhmo se mere dil ka lahu jari hai Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama Mera abbas khafa hogaya amma mujse Wo nahi aaya utha laya tha bazu uske Aap ek kaam kare nehre kanare jaake Mere ruthe huwe bhayi ko manaalo ama Chakiya pisi hai godi me bithakar mujko Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko Loriya deti-thi Jule me jula kar mujko Ek dafa god me phir apni sulalo ama Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho Ret zakhmo me hai aachal se usey saaf karo Aati hai rone ki aawaz sakina dekho Jaawo tum jaake sakina ko sambhalo ama Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi Dekho gabra ke nikal aayi meri ma jaayi Dekho behoosh sakina ka pada hai bhayi Jawo sajad ko sholo se nikalo ama Hai ghuzarish meri tumse to ab-itni madar Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar Dekh jayenga na ab tumse ye khooni manzar Khatl hota ho nighaho ko hataalo ama Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada Aaj ji khol ke tum ashk baha loo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)

PAGE 41

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S) QAFELA LUTGAYA AMMA MERA LASHKAR NA RAHA, AMMA NANA KI NISHAANI ALI AKBAR NA RAHA, REHGAYA DARD-E-KAMAR HAAYE BARADAR NA RAHA. AB KHABAR AAPNE LI GHAR KI KE JAB GHAR NA RAHA. AUR AB DAM-E-ZIBHA YE PURE MERE ARMAA(N) KARNA. FARSH KE NICHE NA BAALO(N) KO PARISHAA(N) KARNA JAAO KE NA AB DEYR KARO, DEKHO NA AMMA, AB LAAL TERA ZEEN PE HAI AUR NA ZAMEE(N) PAR

PAGE 42

Aap aayi hai amma mei salaami ko na ut-tha Hai dard kaleje mei jo uthna nahi deta Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta Mei cheyn se sojata tere goud mei madar Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar Chaljayenga us waqt tere qalb pe khanjar Gode abhi dowdenge meri laash ke uppar Mei subh se ta asr uta-ta raha lashe Daman mei chune qasim-e-nawshaah ke tukde Lipta ali akbar ka kaleja tha sina se Amma mere chehre pe hai khun-e-ali asghar Is haal mei amma hai teri goud ka pala Maqtal mei mera khogaya har eik ujaala Hai kon sakina ko meri poochne wala Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar Dekho to qayamat hai bapa ehl-e-haram mei Khayme se nikal aayi hai zainab mere gham mei Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai Nazro(n) mei meri zainab-e-muztar ki rida hai Abid se thi umeed so wo ghash mei pada hai Kya honga mere baad sakina ka muqaddar Ay "SARWAR-O-REHAN" bayaan kaise ho manzar Sheh kehte the amma ye kada waqt hai mujpar Kistarha kaleje se lagu aapke ut-kar Chumunga qadam aapke ab mei lab-e-quasar

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

PAGE 43

Hai..Khuda ne-jab malakul maut ko ye izn diya Ke roohe hazrate, Sarwar nikaal kar le aaa Rahe qayaal kee, Shabbir ko na ho eezaa Hussain. (3) Pehle hi zaqmo se chur chur hua Malak pukara yee, mujsay na-ho sakega khudaa {Mai kis taraah se nikaloon, badan se jaan-ehussain Aray. Bahut hi saqt hai ya rabb, ye imtahaan-ehussain} Hai.. Laga hai zaqm tabar, beh raha hai sar se lahoo Bhare hain khoon mein jaane Rasool ke gesoon Qareeb jaake rakhoon dil pe kis tarah qaboo Ke is lahoo mein tho hai Fatema ke doodh ki bu Hai Mai-phir in-aankhon pe dhaoon sitam ye kya hai zaroor Bichadke jo Ali Akber se ho gayeen benoor Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor Kaha dahan mein tho kaante pade hain rabbe ghafoor Nida ye aayi ke gardan se khynchna inki Kaha my kya kahoon garden pe chal rahi hai churi Churi pakadke ye chillati hai koi bibi Na zibha kar mere bacche ko mai duwa doongi Hai. Nida ye aayi ke seene se qabz kar le jaa Kaha wo teeron se chalni hai ai mere rehmaan Abhi tho maarke barchi hata tha ek shaitan Aur ab tho hai tahe zaanuye shimr ye quraan Hai Nida ye aayi ke mazloomiyet ke rutba shinas Kamr se khynchle kaabe ki jaan be waswaas Kaha malak ne tadapkar badardo hasrato yaas Kamar tho toot gayi, jabse mar gaye abbas Falak se tab hua roohul ameen ka ran mein nuzool Kaha pukarke muh dhamplo baraye batool Pisar ke laash pe kholegi baal binte Rasool Sada ye thi malakul mauth ki ba huzn malool Hai.Isi-ye hukm hu par - fikr ye-hai ay yazdaan Har ek juzv hai zaqmi lagaaoon haath kahan Khuda pukara ye mushkil karenge hum aasaan Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan

MAI QUD NIKAAL RAHA HOON BADAN SE JAANE HUSSAIN KE QATM HONE KO AB HAI - YE IMTAHAANE HUSSAIN.

PAGE 44

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

PAGE 45

HAAYE HUSSAIN - PYAASE HUSSAIN (5) - SELECTED Damishk mai jo gareeboon ka khafela pahoncha Yazeede nahes ne darbar me bula bheja Bahen se shaye ki shahadath ka waqeya poocha - twice Tadap ke binthe Ali ne yazeed se ye kaha Zamee ki goad me Islam ka sitara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Kaha yazeed se Zainab ne aye sitam ara Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora Mere Hussain ko jangul me ghair kar mara Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar sara Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Suhaag oujda kisi ka kisiki kook jali Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi - twice Kisi ki aal hai zinda me ya Ali madadi Shakhi ne sibthe payember ka ghar oujda hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Kidhar gayay mere abbas-o-khasim-o-akbar Wo mere aaono mohammed wo mere noore nazar Mai tujhko dundoon kahan bezaban Ali Asghar Bathao bibio roen mai aaj kiskis par Jahan mai Zainabe dilgir besahara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Ye ranjo gham-sitam-o-zoor aur jafa kabtak Rasool zaadiyan balwe me berida kabtak Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak - twice Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB)

PAGE 46

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HUSSAIN IBNE ALI KO PUKAAR TE-JAA WO (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain O ke jo sipte rasoole athar hai Hussain O ke jo noore nigahe haider hai Hussain O ke jo binte nabi ke dilbar hai O haq ke vaste gardan kata diya O hussain Jo taqto taj ko tokar laga diya O hussain Hukumathoon ko jo nicha dikha diya O hussain Mile hussain tho bande ko haq ki zaath mili Milay hussain to ilsam ko hayath mili Jisay hussain milay usko kayenaath mili Badi khushi se jo akbar ko dediya O hussain Jo apne haatho pe asgar ko dediya O hussain Namaz-e-asr may jo sar ko dediya O hussain Sar-e-guroor hukumath jhukadiya O hussain Yezidiyath ko tikane lagadiya O hussain Jahan ko sabre ke jowhar dikha diya O hussain Jo kharq hoke lahu main ubhar gaya O hussain Jo sabr-ro shukr se dil fat-ha kar gaya O hussain Jo dard banke jigar main utar gaya O hussain Jo aaj aal ko chode O kal kare na gila Kidaar-e-fani se milta hain akhibath main sila Hain khush naseeb jo MIRZA ko ahl-e-bait mila Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2)

PAGE 47

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAYE HUSSAINA (2) AY NAWHA KUNA AHLE AZA HAAYE HUSSAINA (2) KUMBA TERA SAB MARA GAYA HAAYE HUSSAINA (2) O Aun-O-Mohammed (as) teray humsheer ke pyaare Pyaase thay magar janibe dariya ko sidhaare Taakeeth-ki madar ka bharam, rak liya kaisa Us teer nay Zahra (sma) ka jigar kaat diya hai Markad mai Mohammed (saw) ko-bi baychain kiya hai O teer jo maasum ki gardan pay laga tha Zainab (sma) tera bay-maqna-O-chadar sare bazaar Bas zulm ki had hogayi ay syeday abrar Sab ehle haram rote-the, khush hote-the aadaa Kab aaoge tum lout-ke itna to bata do Bimar hun marti hun, mujhe aake dawa do Khat Fathima Sugra (sma) ka, Madine se hai aaya O-Mashk-O-Dariya-O-Alam-aur-O-Ghaazi (as) O-Pyaas-O-Gardan-O-Sakina (sma) si bhateeji Jis waqt tar-rayi pay gira sher ka laasha Zanzeeroon mai jakda huwa ek lagaroo bimar Ujday huwe ek khafile ka khafila salaar Aur mehve tilavat O tera sar sare naizaa REHAN khalam rook phata jaata hai seena Kya dard mai douba huwa likha hai ye nawha Jisne bhi suna giriya kuna hoke pukara

PAGE 48

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2) AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO ? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2) BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2)

PAGE 49 Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5)

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)YA HUSSAIN (2) YAA HUSSAIN - SELECTED Yaa hussain khush-taye taighe jafa, Yaa hussain sipte rasoole khuda Haaye sar par sare naiza tera, Dar badar le gaye baani-e-jafa Be kafan lashaaye beghar hai gharib-e-zehra Hai badan ghodoon se pamal tera wavaiylah Nay-nawa dashte bala karbala, Kya huwi joro jafa karbala Kya thi pyaasoo ki khata karbala, Kuch to keh kuch to bata karbala Apne mehmaan pe ye bandish-e-paani kyun kar Jiske maadar ko mila mehr main aab-e-kauser Ek maqtal main bahathar lashe, Banje bete bathije pyaase Para-para huwe saare aisay, Ek quraan ke paray jaisay Khakh ud-udke shahidoon ka kafan banti-thi Khuld se fatima zehra ke sada aati thi Ek taraf behta tha darya-e-furaath, Ek taraf pyaaso pe mushkil ki hayaath Bade shabbir aseeri ki O raath, Kaisay guzri thane sad paash ke saath Koi bhai ko koi roti thi betoon ke liye Bekasi ye thi ke aasoon na the ankhoon ke liye Thash-na-lab be-watan-o-be-khata, Sar tha sajde main tahe taigh gala Ek ek zakm se khoon behta-tha, NAWHA karti-thi janab-e-zehra Khaimay ke darpe behan karti thi faryaad-o-fugha Jaise sehra main kisi shakhs ke aawaze azaa Margaya shere alamdar-e-jari, Chal gayi qasim-me-mehru pe churi Margaya dasht main ham shakle nabi, Khake sine pe sitam ki barchi Ghar ka ghar zainab-e-mazloom ka barbaad huwa Lutgaya shehr-e-nabi karbala abaad huwa Kat-gaye baazu-e sakha-e-haram, Chidgayi mash huwa thanda alam Jalthe khaimoo main tha barpa matam, NAWHA karte the sabi ahle haram Ay alamdar uto chinti hain zainab ki rida Koyi baaqi na the bas aabid-e-muztar ke siwa Fathema Zehra ye deti hai duwa, Ta qayamath rahe ye farshe aza Yu-hi aati rahe matm ke sada, Ho har ek lab pe hussainy NAWHA Hashr mai shay ke azaadaroo ko pursa doongi Mai azaadaroo ko jannath ki basharath doongi

PAGE 50

Kaise REHAN main likoon NAWHA, Ghamse seena hain mera karbo-bala Aankh se behta-ta khoon ka darya, Karte the khalbe jigar bhi giriya Haaye O be kaso mazloom O be-yaare hussain Royenge hashr talak tujko azaadar-e-hussain YAA HUSSAIN (3)

PAGE 51

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S) Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyara nahi hu 4

PAGE 52

Mujpe kyu band karte ho pani, kalma goyo muhammad ke shaani, Kya me mehman aya nahi hu. Kya me zehra ka jaya nahi huMujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyara nahi hu 4

Mera baba he mushkil kusha (Meri madar bhi hai sayyida) x2 Mera beta hai zainul ibaa (Mere nana ka kalma parha) x2 Jiske saye ko tum dhundte ho. Kya me uska hi saya nahin hu Tumne maktub likh ke kahi (Ayiye jald ibn-e-ali) x2 Deenn ki roshni kam huwi (Sham-e-islam bujhne lagi) x2 Tumne chahaa tha me agaya hu. Khud madine se aya nahi hu Das taras me meray kya nahin (ILm takwa shuja'at yakee(n)) x2 Mere pairo ke niche zamee(n) (jispe rakhe farishte jabee(n)) x2 Mei hi sardar-e-ahle jina hu, koi tuta sitara nahi hu Meri gardan pe khanjar chale (aag lagti hai ghar me lage) x2 Bint-e-zehra ki chadar chine (hath dunga na apna tujhe) x2 Hath mera ye dast-e-khuda hai, mai to munkir khuda ka nahi hu Sath zehra ki hai betiyaa (mohtaram inka koi kaha) x2 Pyaas ki dhoop ki sakhtiya (sabke chehre huwe hai dhuwa) x2 Betiya fatema ki hai pyaasi, sirf ik mai hi pyasa nahi hu

Hukm abbas ko du agar (nehr le aaye wo cheen kar) x2 Karbala hogi zeyr-o-zabar (Laash thai-rengi har mouj par) x2 Mei nahi chahta jang karna. Fauj ladne ko laaya nahi hu Ghunji hal min ki aisi sadaa (Sheh ko "REHAN" kehte sunaa) x2 Ya Ali Ya Ali eliya (Waqt imdad ka agaya) x2 Mere bache bhi lagte he pyaase. Phir bhi kya muskuraya nahi hu.

PAGE 53

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

PAGE 54

Jab fauje kirdigar mei koi nahi bacha Rukhsat ko aaye khime mei shehen shaey karbala Puche khaya-me zainab-o-kulsoom ke karib Awaaz de behan ko aur shabbir ne kaha ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada Mai marne ja-raha hun tume kehke alwida Lashkar me koi baki nahi hai mere siva Koyi sipahi fauje udo ka nahi raha Ab mera janasheen hai sajaad bekhata Rehna hai uske saath tumhe bade karbala Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai Najaane kitne zakhm kaleje pe khaye hai Ab akhri salaam tu khaimay mei aaye hai Zakhmo ne dardogam ne mujhe kar diya nidhal Mai katl hone wala hu iska nahi malal Rehreh ke beridayi ka ata hai ab khayal Rakhna khayal meri sakina ka ay behan Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan Royegji jab-bhi yaad use ayega watan Ye kehke al faraaq chale shahe behro bar Nikle kaman zulm se who teer aur tabar Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar Ghodhe se khak pa-giray sultane karbala Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha MAZHAR ajeeb waqt tha zehra ke laal par Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar Ye keh ke sue khuld kiya shah-ha ne safar

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

PAGE 55

MAI RAHUN YA NA RAHUN (2) Ya Husssian (3) Mabood Takabul Rakna..... Mai Rahun Ya Na Rahun `(2) Mera Islam Rahega, Mera Paigham Rahega Aye Fouje Ashkiyaan Mera Islam Rahega, Quran Rahega Mera paigham Rahega. Jab Zuhar Tak Hussain Bahatar Ko Ro Chuke Akbar ko ro chuke, Ali Asgar ko rochuke Ek do pahar me bawafa lashkar ko ro chuke Phir fouje badnasab say muqatib huwe Imam Hujjat tamam karta sun lo mera payam., Farmate they Hussain ke mai be kusur hun Roushan hai tumpe, jisme payambar ka noor hun Faaqoo say mai nidhaal hun zakmoo say chur hun Zakmoon pay Zakm pyaas ki shid-dath mai khaunga Lekin mai nana jaan say wada nibhaunga. Dariya ko tumne cheen liye maine kuch kahan Paani dikha dikha ke piya, maine kuch kaha Daag Akbarray jawan ka diya maine kuch kiya Haq par hun mere haq mai sina bool rahi hai Sun loo O azaan meri zabaan bol rahi hai Maqsad hai la ila ki baqa aur kuch nahin Wada ho zairay teyqh wafa aur kuch nahin Iske siwa laboon pay duwa aur kuch nahin Razi ho mujsay mera khuda chahta hun main Mai hun hussain sab ka bhala chahta hun main

Maqsad nahin hai jung hamara khuda gawa Khat bhej ke hai tumne bulaya khuda gawa Bay jurm tumne mujko sataya khuda gawa Khanjar talay baland mai takbeer karunga Apnay lahun say khaak pay tahreer karunga Mai aur karun Yezid ki baiyath nahin nahin Badlun ajal ke dar say shariyath nahin nahin Jeenay ke badlay chodun shahadat nahin nahin Tum kaun ho naqab rukhoo say hataunga Main kaun hun ye nouke sina par bataunga Aaakar daray khayam pay Zainab ko di sada Aa ay meri ghareeb behan aaa khareeb aaa Ley aakhiri salam hussainay ghareeb ka Maqsad hai mera kya ye sabaq tujko yaad hai Meri sharike kaar mujhe etaymaad hai Zainab tadap ke boli ke bhaiya samaj gayi Bhaiya teray isharay ko behna samaj gayi Mai kya teri ghareeb Sakina samaj gayi Khutboon say mai hilaungi qasray Yazid ko Marne na dungi ab mai kisi bhi shahid ko Uta gubaray zulm, kadakti hai bijliyaan Zeese ghiray Hussain uthi surkq aandhiyaan Nagah sar Hussain ka aaya sarey sina Quran suna ke sayeday mazloom ney kaha Low` nana jaan wada wafa maine kardiya Ay SARWAR-O-REHAN ye lamha ajeeb hai Naize pay lab khusha ye hussain ne gharib hai Zainab tumhari shaame gharibaan kharib hai Sab kuch teray hawalay hai, ab tu sambhalna Apna khayal rakna, Sakina ko paal na

PAGE 56

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

PAGE 57

MERE LAHU KE HAR QATRE MEI GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN, AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula Fatema ki jaan hai maula, marzi-e-subhan hai maula Karbala ka fat'he azaam, bakhuda hai waris-e-adam Jabajaa phehle tere parcham, ta abad hoga tera matam Teen din ki tishnagi maula, haaye teri bekasi maula Khushk gardan par churi maula, karbala kehti rahi maula Kistarha bhoolenge O manzar, jab chala tha halk pe khanjar Jab sina ki nok pe tha sar, bol tha qur'an tere lab par Ye sabile ye azakhane, aankh mei ashkoon se paymaane Matami laaye hai nazraane, ab janaab-e-sayyeda jaane Ye teri maula azadari, zindagi se bhi hame pyaari Hai yahi tujse wafadari, ashk ankhoon se rahe jaari Waris-e-qur'an zindabaad, rehbar-e-insaan zindabad Mazhar-e-imaan zindabad, fatema ki jaan zindabad As-salaam ay malike kausar, as-salaam ay kushta-ekhanjar As-salam ay jaan-e-payghambar, kehte hai "REHAN-OSARWAR" MERE LAHU KE HAR QATRE MEI GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN, AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN

PAGE 58

NAWHAIMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S) HAAYE SAJJAD, HAAYE BIMAAR (3) Mai chal bhi nahi sakta, Qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Aankhon se lahu meri (2) Ek pal bhi nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma Ye khun jo behta hai, is aak ka matam hai, Mujhe touk aur bedike, gham se bi sawa gham hai Maa behne phuphi aayi (2) baazaar mei be parda Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, Naamu se mohammed ki, jis waqt ridaa utri, Baazaar mei aaya hai (2) zindaan ye mera laashaa Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, Us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, Jis bibi ka baba ne (2) chehra bhi nahi dekha Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, Kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, Jab maa ne kaha mujhse (2) tum koun ho ai betaa Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, Maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, Kya dafn huwe honge (2) karbal mei mere baba Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, Zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, Ghairat ke khuda ka sar (2) neze pe nahi rukta Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, Sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, Is husn ke paikar ki (2) ab tak hai maa zindaa Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, Aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, Paa bande silaasil hun (2) kaanton se bhara rasta Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, FARHAAN AUR SHOUKAT ki, aukaat kahaan maula, Tauheed bhi karti hai (2) har waqt tera giryaa Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Aankhon se lahu meri (2) ik pal bhi nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma,

PAGE 59

NAWHAIMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

WAQT SAJJAD NE KAISE (Mera bimar imam)x2 (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) x4 (Waqt Sajjad ne kaise wo guzaara honga) x2 Naam Zainab ka jo gairo ne pukaarahoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) Ya Rab koi mil jaye na pehchaannewala (Bazaar main Sajjad dua mang raha hai)x2 Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibha hone lage x2 Kitna sharminda wo darya ka kanara hoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) Wo gira zeen-se zainab ki rida ka zamin x2 Kon ab Fatema jayi ka sahara hoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) Sare maidan to jane to laga hai Asgar x2 Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) Nauke neza pe bahane lage ansoo maula x2 Phir Sakina ko kisi shaks ne mara hoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga) Roze Mehshar ka hame dar nahi koi SHAUKAT x2 Hath Shabbir ke kadmo pe hamara hoga (Waqt sajaad ne kaise wo guzaara hoga)

NAWHAIMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

PAGE 60

(Haai Shaam ka baazaar) x4 Sajjad se rone ka sabab puch raha hai (Haai Shaam ka baazaar) x2 Jo Shaam me guzri hai woh sab puch rahaa hai (Haai Shaam ka baazaar) x2 Woh lakho tamashai be parda phupi behne Kaisay na lahu roye bimaar ki fir aakhen Is gam ki aziyyat ne use maar diya hai Kis tarah qaraar aaye bimaar ko ay logoon Sar naizoon pe pairoon ke aate hai nazar jisko Bay jurum musafir ki yeh kaisi sazaa hai Aakhoon se hai khun jaari, Khun khar hai bimaari Janjir hai pairon me Aur Tawk bhi hai bhaari Jalti hai zamin saari Aur garm hawaa hai Jaagir nahi maangi zanjir nahi badli Saaye me nahin baitha poshaak nahi badli Maan behno ki khaatir woh rida maang raha hai Zinda se masaaeb bhi har waqt rulaate hai Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai (Haai Shaam ka baazaar) x2 Zinda se rihaa hoke bi zinda me hain Sajjad Ek nanhi si turbat jo, wahan karti hai faryaad Markar bhi rahun Qaid me kya meri khataa hai O zakhm bhi sajjad ko jeenay nahi deta Zakhmon se sakina ke jo chipkaa raha kurtaa Woh khoon bharaa kurta hi kafan Us ko banaa hai Baazaar me darbaar me zinda me roye Chaalis baras mawt ke armaan me roye REHAN mera maula tadaptaa hi rahaa hai

NAWHAIMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

PAGE 61

Haye bazaare Shaam mera bekas Imaam. Ek ye hi baat Sajaad ko khaa gayi (x2) Saar khule haaye Zainab kaha aagayi. 1) Tuaq ke boj se sar nahi tha jhuka (x2) Wajh sharmindagi ek yahi dard tha (x3) Majmaye ashkiya mei phuphi aagayi. 2) Tap raha tha badan aur zanjeer bhi (x2) Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi (x3) Soch te the na kyu kar kaza aagayi. 3) Bibiyon ke gale reesmah se bandhe (x2) Gard aalood balo se chehre chupe (x3) Shaam tak is tarha binte Zahra gayi. 4) Waarison ke janazon pe roye nahi (x2) Asr-e-aashur ke baad soye nahi (x3) Nind ruksat huwi aankh thakra gayi. 5) Ek to zindaan us par andhera baha (x2) Aur faryaad karne pe pehra bahot (x3) Maut bhi is andhere se ghabhra gayi. 6) So gayi kayd khane me who gamzadah (x2) Jiska shaam-e-gariban me daaman jalaa (x3) Kayd khaneki us ko zameen khagayi. 7) Kayse dafnaye jakre hay zanjeer me (x2) Dard likhi hay kya sirf takdeer me (x3) Dafan karne Sakina ko maa aagayi. 8) Dard REHAN Sajaad ke mei likhu (x2) Ha mahe jaanse mere tapak to hay khun (x3) Ruhe girta se is gham se tharraagayi.

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA) MAI-YATH HAI SAKINA (sma) KI ANDHERA HAAYE ZINDAAN (2) Allah na dikhlaye ab aisa koyi zindaan Mayyath hai Sakina (sma) ki andhera haaye zindaan (2) Kurte ka kafan, ghusl, diya aashkon se jisko Dafnaya use kaise ye Sajjad (as) se poocho Khamosh huwi bachi (2) to rota raha zindaan Udte huwe dekhe-jo parinde ko pukari Ay Taahir-O-Sughra (sma) ko khabar do ye hamari Tum khush raho Sughra (sma) (2) mere kismat may tha zindaan Kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha Qaimo may lagi aag - to daaman bhi jala tha Tanhaai may bachi ko (2) dasta raha zindaan Sehmi hui rehti thi sitamgaaro ke dar se Shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se Likha gaya kismat may (2) ye kaisa zindaan Ab khaakh pe soti hoo na takiya hai na bistar Rakta nahi ek shamma koi ab to jalakar Jeene nahi deta (2) ay baba ye zindaan Kehti thi phuphi qaid se kab hogi rehaai Amma mere ammu ki, khabar kyun nahi aayi Tukde kiye deta hai (2) kaleja mera zindaan Sar baap ka paaya to O phir is tarha soyi Phir royi nahi uske liye maut thi royi Deta raha Sajjad (as) ko (2) pursa sada zindaan Maa kehti rahi aao utho neend se jaago Azaad hui qaid se mai jaati hoo ghar ko Milne chalo Sughra (sma) se (2) ke ab khul gaya zindaan Ghar jaane ka armaan tha Sakina (sma) ko jo REHAN Marke bhi na pura hua us bachi ka armaan Masoom Sakina (sma) ka (2) markhad bana zindaan

PAGE 62

Kisko kehte hai yetimi ye, suna tha maine, Aap-ke baad ye ehsaas huwa hai baba

AZADAROON DUWA MANGOO, KOYI AISE YETEEM NA HO, JAISE SAKINA YETEEM HUWI, SHAM-KE ZINDAAN MEI-JAB SAKINA (SMA) KO BABA KA SAR MILA, LIPTAA-KESARKO SEENA SAY, BACHI NE YEE KAHA, KHAGAYE SHAAM KE ZINDAAN MEIN, ANDHERE BABA (2)

PAGE 63

Aap ke baad yetimi ki saza paayi hai, Etni tanha hun ke saaya hai - na parchaayi hai, Raath ro-roke guzarti hai, To din maatam mai, Khayd khane mei yuhin saal kata hai baba. Zindagi meri dukhoon say hai ibarath baba, Kaisi qismat ne dikhaayi hai musibath baba, Mai jo rotii hun to lagte hai tamache baba, Aap ki yaad mei rona-bi saza hai baba. Hai.. Ashk aankhoon say nikalte hai, Lahu kaano say, Ab darindoon say nahin khauf, hai insaanoo say, Ek majbur yetimaa par - sitam dhaate hai, Meri taqdeer mai duroon ki jafaa hai baba. Aap ki tarha say rooute hai ujaale baba, Kaun zindaan say ab mujko nikale baba, Tune mangaa tha duwa-O-mai khuda say jisko, Ab wohi beti hai zindaan-ne jaafa hai baba. Kitne armaa-the-ke zindaan say mai ghar jaaungi, Aisa lagta hai yehi roo-roo-ke marjaungi, Ye sitamgaar Sakina ko kafaan kya denge, Kya kafan aapke lashe ko mila hai baba. Hai.. Baba kehte hai ye zindaan ke andhere mujse, Maut hi aayegi ab mujko, dilaasay denay, Meri har saaans hi rehti hai sitam ki zad par, Aise jeene say to marna-hi bhala hai baba. Zakm lakhoon hai kalaije mai, dikhaun kaise, Mujpe jo beet rahi hai O, bataun kaise, Pyaas lagti hai-to peelay-ti hun aansoon apne, Shimr (la) ke duray Sakina (sma) ki giza hai baba. Lafz MAZHAR ne jo likhe hai, Lahooo roote hai,SHADMAN aankh say yun ashk-e-aza behte hai, Aisa lagtaa hai ke zindaan say, sada aati hai Aisa nawha meri ghurbath pay likha hai BABA..

HAAYE SAKINA (6)SHAB KI TAREEKI MEIN AKSARR, ZINDAANE SHAM MEIN GHABRAKARR SHIMR KE DAR SE, YAADE PADAR SE, MAA SE LIPAT KAR Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar, Ya najaf chalo - Ya watan chalo Koi sunta nahin faryad meri, (Hai zakhm bada is dil pe yahi x2) Dada se kahungi ghum apne, Jis roz yahan se jaaoungi Kab tak mein rahungi nawhagar, Kehti-hun jab-hi to mein aksar Dada ki lahad par jaaoungi, (Ye neel unhe dikhlaungi x2) Ye zakhmi kaan jalaa kurta, Sughra ko dikhane jaaoungi Yaad aye kabhi mujhko khwahar, Yaad aye kabhi dada haidar Jo bibi payambar zaadi hai, (Wo bhi to yahaan faryaadi he x2) Yasrab ke tasawwur ne amma, Ek rahe sukoon dikhlaati he Ho khatm aziyyat ka ye safar, Bhar jaayenge sare zakhme jigar Ab aur ghamon ki tab nahin, Ro-roke ye ankhe khushk huwix2 Kya tum ko gawara he amma, Ban jaye meri marqad bhi yahi Kuchh khauf nahin marne ka magar, Ehsaan karo itna mujhpar Har raat huwi matam mein basar, (Har din hi guzara ro-ro karx2) Ye zakhme aseeri zakhme jigar, Zalim ke tamaache yaade pidar Milti hai sazae maut agar, Ye akhri khwahish hai maadar Azad parindoon par aksar, (Ay amma meri jaati hai nazar x2)

PAGE 64

Us waqt khayal ataa hai mujhe, Kab qaid se chutkar jayenge ghar He khouf lainoon ka dilpar, Faryaad karun kyu na rokar Ankhon ko rasai dene lage, (Sab zakhm duhai dene lage x2) Jab mot mere sar par aayi, Ye log rihai dene lage Ye lamhe ghaneemat hai maadar, Ye zakhm banenge rakhte safar Dada ko wahaan pursa denge, (Phir fateha khani karlenge x2) Jab dil ko sukoon miljayega, Ham log watan ko jaayenge Sab royenge qabre zehra par, Jo meine kaha socho manzar IRFAN aur MAZHAR apna watan, Hai bibi sakina ka madfan x2 Nisbat he najaf ki matti se, Payenge usi dharti ka kafan Jab waqte qaza hoga humpar, Kehdenge farishto(n) se rokar

PAGE 65

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)SAKINA UTO. MERI JAAN UTO. Reha-e mili. chalo ghar chale (2) Ye Karti thi ma, lahad par buka. Meri laadli, Chalo ghar chale. Sakina utho. Meri jan utho. Rehae mili. Chalo ghar chale (2) Yaha se chalo, chale karbala. wahi pe tumhe, milenge chacha Sitham jo huwe, batana unhe. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa. Chacha-jaan ko, dikhana zara, Ridaa khun bhari, chalo... Bataana unhe, sabhi sakhtiya. Mili jis khadar, tuje gurdkhiya. Hamari ridaa, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baaliyaan. Bataana une, buji kis tarha, Teri tishnagi, chalo ghar chale. Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahoth rooyi ho. Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahin sooyi ho. Lahad baap ki, mile jab tujhe, To kehna yahi, chalo ghar chale. Lahad jab mile, tujhe bhai ki. To kehna use, meri ladli. Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyath koyi. Mere be zaban, uto ghar chale, Shabi-he nabi, chalo ghar chale. Labe al-Qama, tu karna fugaa. Teri mouj hai, abhi tak rawa. Meri pyaas par, huwe jo fida. Chacha ke mere, hai baazu kaha. Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, Kahaa hai jari, chalo... Na ab gham koyi, na uftaad hai. Wo zanjir se, ab aazad hai. Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo Sajjad hai. Meri gham zadaa, shabe gham kati, Sahar ho chuki, chalo... Labo par tere, yahi baat thi, watan jayenge, kabi ham puphi Tuje shimr ka, nahi khouf ab. Satayenge na, tuje ab shaki. Nikal qaid se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale. Gharibo ka ye, luta kafela. Wida ho ke phir, watan jayenge. Tuje payengi, jo sughra teri. To bimar ko, milengi dawa. Gale mil ke phir, bohot roengi, wo behna teri, chalo..

PAGE 66

Mazar-e nabi, laraz jayenga. Bahen jab teri, karengi bukaa. Kaha hai chacha kaha hai padar kaha hai bata bhara gar mera Suna ne use, ye rudaad-e gham, Yehi bebasi, chalo ghar chale.

PAGE 67

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)JAB QAYME ME RUKSAT KO SHAH-E-BAHROBAR AYE Chilaee Sakina Mere bekas padar aye Sheh keh-e the bibi hame ro kar na rulaawo Phir pyaar kare ham tumhe, mu aage ko lawo O kehti thi hamrah mujhe leke-to jawo Mai kya karun maidan me, gar-ja ke na aawo Neend aayegi jab aap ki bu paawungi baba (2) Mei raat ko maktal me (chali aawungi baba-2) Nind ayegi jab aap ki bu pawungi baba, Chali awungi baba (2) Farmaaya nikalti nahi sayedaaniya bahar Sine pe sulayengi tumhe raat mai madar Kyu kehti ho maktal me chali awungi baba, Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Nanhe se kalay-jay pe mere chalti hai talwar, Khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar, Mai aap ko kho ker na kabi paawoungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Aati hai bala sarpe to pehle muje waro, Mar jawongi baba na sidharo na sidharo, Jawooge jahan mai bhi wahin jawoungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Shab hogi to phir khaak pe soengay wahan aap, Sine pe to asger (a.s) ko sulayenge waha aap, Acha mai wahi khakh pe so jawongi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Aane do agar pyas se gash ayega baba, Tum jite raho pani bhi miljayega baba, Mai aap ko dekhungi to ji-jawungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Kuch door na the ham ke tumhe nind na aye, Kiya hovega jab hogi mahino ki judaayi, Bibi na kaho mai nahi so pawungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Woh hal ANIS ab nahi ho sakta hai marku, Jis tarha chuti bap se woh dukhtare mazlum, Nawha tha yahi jiska na ji pawongi baba, Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba)-2

PAGE 68

NAWHA - BIBI SAKINA (SMA) & HAZRATH ABBAS (AS)

PAGE 69

SAKINA (2) NA RONA SAKINA (4) Abbas na ab lout ke ayega Sakina (3) Abbas na ab lout ke aayega Sakinaa... (2)

Ab koun tere naaz, uthayega SakinaBhaayi se vida hoke-yun, farmaate-the Maula (2) Ab koun mere ghar ko bachayega Sakina Kya hoga zara der mein malum hai humko (2) Tar khoon-mein alam nehr-se aayega Sakina Ek shoor hai, kohram hai, Bibi labe dariyaa (2) Lagta hai ke ab sher na aayega Sakina Talwaron may naizon may ghira hai mera bhaayi-2 Woh mashk-O-alam kaise bachayega Sakina Abbas na honge tera, Baba bhi na hogaa (2) Ab koun teri pyaas bhujayega Sakina Kiske liye Bibi daray-khaima pe khadi ho (2) Ab koyi taraayi se na aayega Sakina

Abbas ka wada hai-ke, paani na piyegaa (2) Pehle tumhe kausar me pilayega Sakina Ay SARWAR-O-REHAN ye kehte rahe maula (2) Ye gham tujhe ta hashr rulayega Sakina

PAGE 70

(HAAN YE HAI SHEHR-E-SHAAM) X3 CHOTI SHEHZAADI KA HAI YAHIN PAR QAYAM, AAJ ROZE PE HAI ROSHNI SUBHO SHAAM, PURSA DAARON KA HAI MAATMI AZHDAHAN, PHAT RAHA HE JIGAR SOCHTA HUN AGAR, KAISA TAREEQ THA, KAISA WEERAN THA, KAISA WEERAN THA KAL YE ZINDAAN THA, (BADA ROYI SAKINA YEHAN) X2 (HAAN YE HE SHEHR-E-SHAAM) X2 Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan. Chheekti ho jahaan sirf tanhaiyan Rona kya siskiyon par bhi pabandiyan Rassiyon bediyon tauq ke darmiyan Sar khule khaak par ghamzada bibiyan Usmein qasim ki akbar ki asghar ki maan Maang ujdi huwi khali thi godiyan Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan Haan isi shaam ke beech bazaar mein Bibiyan patharon ki thi bochhar mein Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan Dekh kar binte zehra ka yun sar khula Noke neza se ghazi ka sar girgaya Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan Sar patakne lagi saari shehzadiyan Ik qayamat si darbar mein aagayi Jab sakina kaneezi mein mangi gayi Na padar na chacha bhai-bi natawan Todi sajjad ghaiz mein beriyan Dukhtare hind boli sakina bata Kaise daman jala kyun he kurta phata Oudni tere sar ki gayi he kahan Khainchi kis shaqi ne teri baliyaan Boli kya haal apna bataaoun tujhe Chhod ke jabse baba gaye hein mujhe Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan Aur ik roz zindan rone laga Jab sakina ko baba ka sar milgaya Boli ab aye ho tum mere baba jaan Itne din dur mujhse rahe ho kahaan Royi "REHAN-O-SARWAR" ki ankhein lahu Roza-e-shahzaadi pe ki guftagu Haye is waqt hum tum khade hein jahaan Nur hi nur he kal thi tarikiyan

PAGE 71

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)KYA MUJHE CHOD KAR SAB CHALE JAYENGE HAAYE AMMA, ARE SUNO AMA, Aray aapse mei bayaan, dil ka haal karun, Aray dil mei uth-ta hai jo, ik sawaal karun Qaid se jab rihaai haram paaenge (2) Kya meri qabr pe phir nahi aaenge (2) Sirf ranjo alam (2) mujhko tadpaaenge Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge. Kya isi qaid mei gut ke marjaaungi, Kya mei do gaz kafan bhi nahi paaungi, Mailay kurte mei kya mujhko dafnaaenge Sarse paaun talak mei lahu mei hu tar, Mera zakhmon bhara ye badan dekh kar, Sirf zaalim nahi zulm pashtaaenge Shaam waale karenge abhi kuch sitam, Mujhko khaae chala jaa raha hai ye gham, Ye meri qabr pe shimr ko laaenge Dekh kar zakhm baba ke ghabraayi mei, Hashr mei baap ke paas jab aayi mei, Dekh kar mujhko baba bhi ghabraaenge Karbala hai kahaan aur kahaan shaam hai, Na mujhe chain naa unko aaraam hai, Woh mujhe karbala roz bulwaaenge Karbala jaake baba se ye puchna, Hashr mei unse jab ho mera saamna, Kya mujhe apne sine se liptaaenge Kehna sughra se apna chaman milgaya, Ho mubarak tumhe to watan milgaya, Hashr tak ham musaafir hi keh laaenge Shaam mei hi meri shaam hojaaegi, Ye kahaani agar aam hojaaegi, Baap beti se kab pyaar farmaaenge Ham na funkaar hai aur na ehle kalam, Hai ye FARHAANO SHOUKAT pe unka karam, Hamse shabbir nauha kehel waaenge Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge.

PAGE 72

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)ZINDAN KI TARIKIYOON MEIN, Apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar. Sakina kehti thi..., baba (2) suno mera safar Are sab ke the shaane bandhe-Mera bandha tha ghala (2) Mei panjo pe chalti rahi baba (3) Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar, Aal-e-payambar chali rote huwe nange sar Aap chale neze par, kanto pe bhayi chala (2) Mere phuphi raah me ashk bahati rahi, Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi Zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha (2) Mazi ke kuch waakayey yaad jo aye muje, Sine pe kaise muje aap sulaate rahe Yaado mei yu kho gayi bhul gayi har jafaa (2) Sabr ka daman mere haath se chuta nahi, Neze se kya aapne baba ye dekha nahi Kichti rahi reesima chalta raha kafla (2) Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar, Aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar Roti rahi mei use wo muje rota raha (2) Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei, Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne Aur mere dard ka koi madaawa na tha (2) Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha, Kholdo meri rasan god mei leylo chacha Dekhke rote rahe meri aseeri chacha (2) Chen mayassar muje aa na saka aik pal, Zakhmi gala hogaya aur mere pawu shal Raat safar mei kati din bhi safar mei kataa (2) Baba madine ke wo din bhi muje yaad hai, Sabz amari mei jab beyt ke jaati thi mei Aaj zara dekhiye, kaise safar teykiya (2) Ek rasan mei bandhe chothe bado ke ghale, Lasho pe rote huwe karbobala se chale Haal mera dekh ke rone lagi karbala (2) (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3

PAGE 73

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)EK BACHI PHOOL SI JIS KA SAKINA NAAM THA, Ro rahi thi shaam ki rahon mein wo karke buka Karte the tum kitna pyar baba Ay mere naiza sawar baba (3) - SELECTED Chal nahi sakti sakina raaste dushwar hai. Ablen hein pawon mai or ab lo mai khar hai. Ankh hai nam dil figaar baba. Nile hein rukhsaar mere, aur gale mai hai rasan Tashnagi be waarsi lachargi or be watan Ek hai dil gham hazaar baba. Aap ke sine pe baba chein se soti thi mai Aap tadapte jo kisi bat pe roti thi mai Roti hu zaaro katar baba. Be rida sab bibiya hai shaam ke bazaar hai Zabt gayara nahi hai sabr bhi dushwar hai. Sabr ke parwardigar baba. Milna sakungi kabhi mai aap se ay baba jaan Aap ka roza banenga karbala ke darmiyan. Shaam me mera mazar baba. Yaad isi baat pe ata hai ghar aksar muje. Aaj kanizi mai bula ta hai sitamgar muje. Koi nahi gham guzar baba. Kha-tithi jab bhi tamache shimre sitamgar se Aap ke chehre ke simth be kasi aur yaad se. Dekhti thi bar bar baba. Kon hai pursa ne haal pyas buja yenga kon Baliya meri sitamgaro se dilayenga kon So gaye sab jaanisar baba

PAGE 74

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)ASHUR KI SHAB HAI SAKINA KA WO RONA. Aur sayyade mazlum ke beti se yeh kehna. Are tu roya, me yeh dekh nahi, sakta sakina. (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) (Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) Kya howe kisi shab ko jo ham ghar me na aaye Tum hamko na pao tumhe hum bhi nahi paye Tardogi nahi dard se wada karo bibi Are baitha karo kuch der charago ko buja kar Samja karo is khaak ko ay laadli bistar Baali kabhi yuhi nahi pehna karo bibi Are kuch der to yeh farz karo ham na rah aagar Baaki na rahe haath koi rakhne ko sar par Mahaul yatimo ka bhi socha karo bibi Aadat zara tanhayi me rehne ke bhi dalo Taswir tasawur mai asiri ki banalo Aazad parindo ko na dekha karo bibi Are asghar ko na manoos karo pyaar se apne Akbar ki urusi ke na dekha karo sapne Sugra ki karib itna na baitha karo bibi (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) (Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) (Achi nahi ye baat na roya karo bibi)

PAGE 75

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)SIYA HA RAAT MAI, ZINDAN KE DAR PAY RO RO KAY Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai Judaayi aap ki, us par ye khaak ka bistar Kahin andhaire mai bachoon ko neend aati hai Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo Kahani kehti hu may ek, suno sakina suno Sakina kahani suno, sakina kahani sunoEK SHAHENSHAH THA HAAYE SAKINA, Ek shaheshah tha yasrab mai raha karta tha, Uska ghar O tha ke quran jahan utra tha, Dar pay Gibreel sa darbaan raha karta tha, Us ka angan bhi sitaroo say bhara rehta tha, Uskai darwazai say khali na koyi ja-ta-tha, Asmaan us ki sakhawat ki qasam khata tha Uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, Maa nai Shahzaadi-E-Qawnain laqab paya tha, Us kai baitoon mai nazar aks-e nabi ata tha, Baitiyoon ko gule paakiza kaha jata tha, Us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, Ek bahan sath me saaye ki tarha rehti thi EK DIN KYA HUWA, HAAYE SAKINA, Ek din kya huwa, O ghar se safar par nikla, Uska sab kunba bhi quran ki hifazath ko chala Ashkiya nai usai phir dashtai bala mai ghaira, Teen din tak use pani bhi may-yasar na huwa, Ho gayi aam har ek joro jafa us kai liye, Our phir jung ka maidan saja us kai liye Us kai ek baitay kai sinay me sina toot gaye, Bhai kay haath katay, tir laga, mashk chidi, Lash pamal bhatijae ki bi maqtal mai huwi, Bay zuban qatl huwa, khasta churi us pa chali, Us shahenshah kai kunbay pai ghareebi chayee, Bujh gaye sarai diyai shameghariban ayi Khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, Us shehanshah ki bachi nai tamachai khaye, Kaan zakmi huwe khoon ankhon se tapka haaye, Dhundnai baap ko maqtal mai O kaise jaye Jaltai daman ko liye ganjai shahedan mai gayi, Rasi gardan mai bandi sham kay zindan mai gayi PHIR SAKINA NAI KAHA, HAYE SAKINA, Phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, Boli zainab kai howay sab wo asirai zindan, Qissa akhir hoa neend aayi na tumko meri jaan, Boli ro ro kai sakina phuphi ab neend kahan, Tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, Is kahani say meri neend udi jaai hai Boli ro ro kai sakina ye mera qissa hai, Is kahani ka shahanshah mera baba hai, Neza jis kay laga seenay main mera bhayya hai, Mera asghar hai laeeno nai jisai mara hai, Bay rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, Ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai

PAGE 76

PAGE 77 Jisko seenay pe shahanshah kai neend aati thi, Dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi, Jiskai kaano say laho behta tha jo piyaasi thi, Apnai baba ki judaayi main mari jati thi, Us shahanshah ki baiti wo sakina mai hon, Jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hon Khatm jab SARVAR-O-REHAN kahani ye huwi, Wo jo sunti thi kahani wo sakina na rahi, Thame zanjeer naa kahast se utha ek qaidi, Ek nanni si lahad kapte haatho se bani, Sar shahenshah ka godi me lahu rota tha, Wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha SAKINA KAHAANI SUNO

NAWHA SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA) Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko Ik aan-na raahat thi-na araam haram ko Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se Zindaan larazta tha (2) Sakina ki fugha se Allah jaane, kaha ho ay baba (2) Baba kitni raate guzar gayi baba, Allah jaane, kaha ho ay babaCHOTE SE SIN MEI QAYDI ZINDAAN HOGAYI (3)

PAGE 78

Baba mei kyu na aap pe (2) qurbaan hogayi Allah jaane, kaha ho ay baba (2) Dil mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaan Kisko kahun mei baap mere, baap hai kahaan Tum be-kafan mei be-saroo samaan hogayi Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi Gar aah ki to shimr pukara khamosh ho Aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro In afato mei girke pareshaan hogayi Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye Shehzaadi-e-hussain ki ye shaan hogayi Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar Aaye padar to jaaye sakina bhi apne ghar Kyu aise zalimon ki mei mehman hogayi Pothi hun uski jo ke hai kohnain ka ameer Jisne hazaro qayd se chudwaaye diyey aseer Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi Jab sarpe shah-e-deen ke sakina ne phiri nazar Chillaayi roke haye gazab mar gaye padar Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi Bas ay "ANEES" bazm mei hai giryaa-o-buka Sadiyoon talak rulaayenga sabko ye marsiya Bali sakina qarb ka unhwaan hogayi

NAWHA SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)BAAD-E-SHEH ZAINAB-E-DILGEER NAY KYA KYA DEKHA

PAGE 79

Haq paraston ka wafadaron ka aur pyaron ka (2) Shah-e-lowlaak pe chalte hue khanjar dekha baad-e-sheh.... Chaadaray cheen ke kuffaro nay lootay ghar ko (2) Sar barehna shahe aulaad ka kumba dekha Shimr ne chenay gowhar mu pay tamachay maaray (2) Khoon kaano se sakina ka tapakta dekha baad-e-sheh.... Ek rasan may kiya paaband bade choton ko (2) Tauq-O-zanjeer may beemaar ko jakde dekha baad-e-sheh.... Haaye jis shehr mai shehzaadi kaha jaati thi (2) Khud ko is koofay may, bay-makna o chaadar dekha baad-e-sheh.... Qaid may margayi ghut ghut ke sakina aakhir Markhad ek chota sa zindaan may banta dekha (2) baad-e-sheh....

PAGE 80

Haaye shabbir nay aur zainabo kubra nay ANEES (2) Waqt ke saath zamanay ko badalta dekha baad-e-sheh....

NAWHA SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)YA ZAINAB-E-KUBRA (Ya zainab-e-kubra) x6

PAGE 81

Ay bibi baniye aza, pegham karbala tera, jisne suna yahi kaha Tegh khutbo ki barsare darbaar, Jaise chalti ho haideri talwaar, Kat ke ghirte the zalimo ke jigar, Jang-e-khaiber kiya teri lalkaar Ay bibi baniye azaa, dine ras