14
www.livequraneverymoment.org Page | 1 Summary Juz 3 www.livequraneverymoment.org

Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

  • Upload
    vudan

  • View
    254

  • Download
    11

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 1

Summary Juz 3

www.livequraneverymoment.org

Page 2: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 2

Surah Baqarah Ayah 253-286 Ruku 33- Ayat 253 (cont)

(Is ruku me yeh bataya ja raha ke Allah ne baaz rasool ko baaz pe fazilath di, par hame sab pe iman laana hai)

Pichli Aayeton Me Kayi Rasoolo Ka Zikr Aur Muhammad Saw Rasoolo Me Se Hai Bahut Saare Rasool Aaye Hai Par Allah Ne Baaz Ko Baaz Cheezo Pe Fazilath Di ,Musa As Aur

Muhammasd Saw Se Baath Ki, Ibrahim As Ko Khaleelullah Kaha

Muhammad Saw-Darajaath Buland Kiye Tamaam Insaniyath Aur Jinn Ke Liye Bheje Gaye Jab Ke Doosre Ambiya Ek Basthi Ke Liye Bheje

Gaye The Meeraj Ki Raath Tamaam Anbiya Ki Imamath Masjide Aqsa Me Meeraj Ki Raath Allah Swt Se Baath Ki Parde Ke Peeche Maqaam E Mahmoodah Me Muhammad Saw Ko Shifaath Ki Ijazath Di Jayegi Aap Saw Ke Agle Pichle Gunah Maaf Shifaath E Kubra Hasil Hoga Qayamath Ke Din

Isa As Ko Maujozaath Diye Jhule Me Baath Ki Ke Main Allah Ka Banda Hoon Aur Muje Kitab Di Gayi Aur Apni Maa Ka Ilzam

Door Kiya Bimaar /Kodi Pe Haath Pherthe Toh Wo Teekh Ho Jaata Mithi Ke Parinde Me Phoonk Maarte Toh Wo Zinda Ho Jaata Murde Ko Zinda Karte Wo Batate Ke Log Kya Khakar Aaye

Par Iska Mathlab Ye Nahi Ke Apne Rasool Ko Fauqiyath Dena Ya Kisi Ek Rasool Ko Manna Aur Rest Ko Reject Karna Jaise Bani Israel Musa As Ko Maanthe Par Doosro Ko Reject Karte

Iman Ka Pillar Hai Ke Hame Saare Rasoolo Pe Iman Laana Hai Aur Ek Doosre Me Farq Nahi Karna Hai. Agar Hum Farq Karenge Toh Iman Ke Daayre Se Nikal Jayenge.

Hadeeth : Muhammad saw ne farmaya , Muje kisi paigambar pe fazilath na do. Kisi paigambar

ko kisi doosre par fazilath na do hatta ke yunus bin matta par bhi nahi. (bukhari).

Par Rasoolo Ki Ummaton Ne Ikhtelaf Kiya

Allah Swt Chahthe Toh Wo Na Ladthe ,Par yeh hamare liye test hai aur Allah Ne Hame Free Choice Di Hai. Allah Swt Chahthe Hai Ke Hum Apne Ikhtiar Se Sahi Kaam Kare

Ruku 34- Ayat 254-257 (Is ruku me maal kharch karne ka hukm aur allah ka taruf –aytal kursi hai ) Ayath 254-Maal Jo Allah Swt Ne Diya Use Allah Ke Ehkamaath Ke Mutabiq Kharch Karna Hai Qayamath Se Pehle Jab Na Khareedo Farokht ,Na Gehri Dosti , Na Sifarish Kaam Ayegi Kyunke Us Din Insan Koi Bhi Cheez Deke Allah Ki Azaab Se Nahi Bach Saktha. Sab ka Aamal Dekha Jayega Ayath 255-Aytal Kursi

Sabse Azeem Aur Afzal Ayath Of Quran, ayaton ki sardar.

Allah Ka Taroof

Allah Ke Sivay Koi Ilah Nahi

Ilah-Supreme Authority-Wo Muqaam Jo Kisi Aur Ko Nahi Diya Jaa Saktha . Sirf Aur Sirf Allah Ke Liye

Hamesha Zinda Hai (Hayyul)

Hamesha Qayam Rehnewala Hai (Qayyum-Bagair Kisi Madad Ke Aur Sahare Ke Khud Ko Aur Doosro Ko Qayam Rakhna)

Usko Na Neendh Na Oong Aathi Hai

Aasman O Zameen Sab Kuch Usi Ka Hai

Sifarish Sirf Uski Ijazath Se Hogi

Page 3: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Past And Future Ka Ilm Rakhnewala, Hame Sirf Wohi Ilm Jo Usne Diya

Kursi –Mutashabihath Aayath-Sirf Allah Ko Uska Ilm, Not Clearly Explained. Allah Ki Kursi Allah Swt Ki Qadam Rakhne Ki Jagah

Aasman Aur Zameen Ki Hifazath Nahi Thakathi (Nuqsan Se Bachana, Monitor Karna ,Control Karna)

Buland Aur Bada Hai Ayath 256

Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin Islam Me Aane Ke Baad Aapko Apni Zindagi Islami Shariath Ke Mutabiq Guzaarna Hai.

Insan Ko Free Will Di Gayi Ke Who Chose Kare Hidayath Ya Gumrahi Jo Clear Hai Kaayanath Ki Nishaniyon Se, Rasoolo Ke Zariye, Kitabo Ke Zariye, Aur Aap Saw Ki Sunnath Ke Zariye.

Jisne Iman Laaya,Inkaar Kiya Taghoot Ka –Usne Mazboot Kada –Allah Ko Thaam Liya

Taghoot –Har Who False Quwath Jiski Insan Ibadath Kartha Hai Allah Ke Ilawa, Jiska Hukm Maantha Hai , Jo Allah Ke Hukm Ke Against Hukm Deta Hai Aur Jo Bandagi Ki Hadd Se Baahar Nikal Jaata Hai

Eg-Suraj , Chand, Nafs , Buzurgh, Shaitan

Iman Walo Ka Dost Allah Hai Jo Tamaam Buraiyo Ke Andheron Se Jaise Gumrahi, Kufr, Jahaalath, Nifaq, Fisq , Lailmi Se Islam Ki Noor Ki Taraf Le Aatha Hai.

Noor Ek Hai Islam Isliye Mufrad Aur Andhere Bahut Se Hai .Isliye Jama

Kafir Ka Dost Taghoot –Nikal Le Jaata Hai Noor Se Andhero Ki Taraf kyunke insan fithrathi noor me hota hai-ek hi allah ko maanne wala.

Ruku 35- Ayat 257-260

(Is Aayath Me Bataya Gaya Hai Ke Allah Swt Har Cheez Pe Qadir Hai, Ibrahim As Aur Doosre Waqiyo Se)

Isme Iraq Ke Baadshah, Namrood Ki Hujjath, Ibrahim As Se, Uska Zikr Namrood Ko Allah Ne Thodi Si Hukumath Di, Toh Who Apne Aap Ko Khuda Samajh Baita.

Jab Ibrahim As Ne Kaha Allah Swt Zinda Karta Hai Aur Mauth Deta Hai ,To Namrood Ne Kaha Main Zinda Karta Hoon Aur Mauth Deta Hoon Aur Do Qaidiyon Ko Bulaya-Ek Ko Baqsh Diya Aur Doosre Ko Qatl Kar Diya.Phir Kaha Ki Wo Zindagi Aur Mauth Ka Maalik Hai. Jab Ibrahim As Ne Kaha Allah Le Aata Hai Suraj Ko Mashriq Se –Tum Le Aao Maghrib Se To Namrood Hairan Rahgaya .

Allah Swt Har Cheez Pe Qadir (Murde Ko Zinda Karne Me Bhi)

Waqia Ek Shaks Ka (Quran Aur Hadeeth Me Wazahath Nahi ,Riwayaton Me Uzair As, Hizkeel Nabi Ya Bani Israel Ka Ek Shaqs) Jo Ek Basthi Se Guzara Jo Veeran Padi Hui Thi. Usne Kaha Allah Swt Kaise Zinda Karega isko Marne Ke Baad , To Allah Swt Ne Usko Maar Diya Aur Woh 100 Saal Tak Aisa Raha . Jab Zinda Kiya ,To Usko Poocha Ke Woh Kitna Arsa Aisa Raha. Usne Kaha Ek Din Ya Din Ka Ek Hissa. Isse Pata Chaltha Hai Ke Marne Ke Baad Hame Waqth Ka Patha Nahi Hoga. Uska Khaana Aur Peena Kharab Na Hua Par Uska Gadha Decompose Ho Gaya. Phir Allah Ne Gadhe Ko Zinda Kiya, Hadiyon Ko Jhod Ke Aur Uspe Gosh Chadake Aur Prove Kiya Ke Allah Sab Cheez Pe Qadir Hai

Ibrahim As Ka Waqia Ibrahim As Ne Allah Se Poocha Ke Kaise Murdo Ko Zinda Karega –Taake Mutmain Ho Jaye Dil. Ambiya Ko Allah Mushahada Karwaate Hai Taake Woh Aam Logon Ko Baakhabar Kar sakein Aur Unka Yakeen Pukhtha Ho. To Allah Ne Hukm Diya Ke 4 Parinde lelo aur apne taraf Mail Karo, Pahad Pe Ek Ek Hissa Rakhdo, aur Bulao to wo Aayenge Daudte Huye. Isi Tarah Jab Hum Marjayenge Aur Qabron Me Honge , To Allah Ki Pukaar pe Hum Daudte Hue Allah Ke Paas Lautenge

Page 4: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Ruku 36 - Ayat 260-266

(Isme Allah Ke Raah Me Kis Tarah Ka Maal Kharch Karna Hai Aur Kis Tarah Ka Maal Qubool Hota Hai, Iska Zikr)

Allah Ke Raah Me Maal Kharch Karne Ka Hukm

Maal –Har Wo Cheez Jo Hum Allah Ke Raah Me Kharch Karenge Jaise paise, Ghar, Gadi, Saaman Etc

Allah Ke Raah Me Yaane Allah Ke Ehkamath Ke Mutabiq Aur Allah Ko Raazi Karne Ke Liye . Isme Zakaath , Nafili Sadaqath , Rishtedaar, Yateem, Miskeen, Fuqara, Bewaa, Aur Islamic Institutions Ko dena.

Allah Ke Raah Me Kharch kiya hua maal Ko 700 Gunah Ya Usse Zyaada Badathe Hai. Yeh Misaal Ek Daane Se Li Gayi Jisse Ugi Saath Baliya Aur Har Baali Me 100 Daane 1x7x100=700 times. –Halaal aur paak Maal ho Accha Harvest-Reward Multiply , 700 Or More Jaise Accha Quality Ka Daana Boyenge, To phasal acchi hogi waise hi acchi quality ka maal

kharch karenge to Uska Ajar Multiply Hoga

Neki Ki Hifazath Karna Hai Jaise Kisaan Daana Bone Ke Baad Uski Hifazath Karta Hai

268-Maal Kharch Karne Ke Tareeqe Halaal Aur Umdah Maal Kharch Karna Hai Sirf Allah Ki Razamandi Ke Liye Maal Kharch Karna Sunnath Ke Mutabiq Kharch Karna Hai Ehsan Nahi Jathana Directly Or Indirectly, Aziyath Ya Takhleef Nahi Dena Riyaa Nahi Karna-Dhikhawe Ke Liye Maal Nahi Dena Umdah ,Halaal Maal Jo Dekhne Me Bhi Umdah Ho Aur Acchi Quality Ka Ho ,Kharch Karna Gandi ,Khabeez Cheez Nahi Dena. Jo Na Ahsan aur Takleef Dega Uske Liye-Na Gham (Past Ka ke maine kyun apna sadaqa zaaya kiya ) Na Khauf (Future Ka –akhirath ke din ka) hoga Hadeeth

Sahi muslim ki hadeeth ka mafhoom: 3 log jise allah swt qayamath ke din na dekhenge na

kalaam karenge

1. Jhooti qasam khanewala

2. Taqabbur se takhno ke neeche lambe kapde pehannewala

3. Ehsaan jathanewala. Yeh kabeera gunah hai.

Takhleef Denewale Sadaqe Se Behthar-Acchi Baath Karna Aur Maaf Karna ,Yaane Agar Koi Maangne Aaye Aur Dene Kuch Na Ho To Usse Acchi Baath Karna , Accha Mashwara Dena, Narmi Ya Bhale Tareeqe Se Baat Karna

Misaal Riyakaar Ki Jo Dhikawe Ke Liye Maal Kharch Karta Hai–Chikne Pathhar Ki Hai Jispar Mitti Ho-Tez Baarish Me Saaf –Waise Hi Aakhirath Me Nek Amal Pe uska Koi Khudrath Nahi Mitti-Neki Baarish-Sadaqath Patthar-Dil Ya Neeyath

Allah Ki Razamandi Aur Nafs Ki Pokhtagi Ke Liye Maal Kharch Karnewale Ki Misaal Ek Baagh Jo Oonchi Jagah Pe Hai , Jo Tez Baarish Pe Dugna Phal Detha Hai Aur Shabnam Me Bhi Phal

Maal Kharch Karne Se Nafs Ki Pokhthagi Hoti Hai Ke Hum Selfishness Se Nikal Kar Doosro Ki Help Karnewale Ban Jaate Hai aur jab hum dekhte hai ke hamare maal me barkath ho raha hai , hum aur zyaada kharch karthe hai

Page 5: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 5

266-Misaal Hai Ek Maaldaar Ki Jo Zindagi Bhar Allah Ki Itat Me Maal Kharch Kartha Hai , Phir Shaitan Uspar Ghalib Aajatha Hai Aur Usko Gunaho Me Mubtala Kardeta Hai, Jisse Uske Tamam Aamal Zaaya Ho Jaate Hai.

Ruku 37 - Ayat 267-273

267( Is Ruku Me Yeh Bataya Jaa Raha Hai Ke Kaisa Maal Alah Ke Raah Me Kharch Karna Hai ) Tirmidhi Ki Hadeeth : Baraa Bin Azib Kehte Hai Ke Ye Ansariyon Ke Mutalliq Nazil Hui , Jo Ashabe Suffa Ko Kamtar Quality Ke Khajoor Rakhte The . Is Aayath Ke Nuzool Ke Baad Har Koi Acche Quality Ke Khajoor Laate.

Wo Maal Kharch Karne Ka Hukm Jo Pakeeza Ho Dekhne Me Bhi Aur Halal ,Umdah Quallity Ka Ho Khabeez Maal Jo Gali Sadi , Napasandeeda, Gandha Maal Na ho Aisa Maal Na Kharch Karo Jo Tum Khud Lena Pasand Nahi Karoge

268-Shaitan-Mohtaji Ka Darr Daalta Hai (ke tumhare paas kuch nahi bachega, tumhare bacho ke liye bhi chahiye etc) . Aur Hukm Deta Hai Behayayi Ka ( Behayayi Yaane Movies, Music , Fizool Cheezo Pe Maal Kharch Karna taake hamare paas sadaqa dena maal hi na ho)

Allah Wada Karte Hai Baqshish –Gunaho Ki Maafi Ka Aur Fazl(Maal Me Barkath, Aag Se Bachna , Museebate Talna , Ek Neki -700 Times)

269 –Allah Jise Chahe Hikmath Atha Kare

Hikmath Khair E Kaseer-Right Time Pe Right Decision Kisi Kaam Ko Sahi Tareeqe Se Jaise Karna Hai Waise Karna Allah Ka Khauf Sabse Badi Hikmath Deen Ki Samjh -Quran Ka Fehm (Ibn Abbas )

270-Nazar –Mannath Maangna – Allah Se Wada Karna Ke Agar Mera Kaam Hojaye , Toh Main Fula Fula Neiki Ka Kaam Karongi. Yeh pasandeeda nahi althought allowed. Nazar Ke Conditions :

Sirf Allah Se Maangna , Allah Ke Ilava Kisi Aur Se Nahi Sirf Jayez Cheezo Me Maangna Haraam Cheezo Ke Liye Nahi Hojaye To Karna Wajib Nazar ki Mannat se behtar pehle hi Roza, ya Namaz

271-Sadaqah Din Aur Raath, Khule Aur Chupe Dena Hai, Farzi Sadaqath(zakath)-Dhikhakar Aur Nafili Sadaqath- Chipakar.Bade Organisation Ho To Dikhakar De (To Encourage Others). Kisi Ke Izzath Se Related Ho To Chipakar De

Sadaqath -Burayiyon Ko Door Karta Hai –Museebathe, Takhleef, Bimaari etc door

Gunaho Ki Maafi/Museebath Tal Jaati Hai Musnad Ahmed Ki Hadeeth – Sadaqa Gunaho Ko Aise Bujaatha Hai Jaise Paani Aag Ko .

273-Maal Kis Kis Par Kharch Karna Hai Miskeen (jinke paas itna nahi ke woh apne basic zaroorathe poori kar sake) Allah Ke Raasthe Me Gherejanewale-Jo Log Allah Ke Deen Ke Kaamo Me , deen seekhne,

sikhane me aur jungo me Itna Busy Hai Ke Maal Kamaane Ke Liye Unke Paas Waqth Nahi aur yeh Logon Se Nahi Maangthe. Nuzul Me Ashaabe Suffah Ke Baare Me. Hame Aise Logon Ko Pehchanke Unko Dena Hai.

Ruku 38 - Ayat 274-281

(Is ruku me riba ka zikr aur allah ki taraf se riba khanewale pe jung ka ailaan)

Riba -Sood –Interest-Thoda Maal Deke Zyaada Lena-Zyaada Hona /Badna

Page 6: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 6

Riba -Har Qarz Jo Kheench Laye Nafa

Eg Banks , Current Savings , Fixed Deposit

Riba Khanewala-Duniya Me Aisa Hojaata Hai Ke Acche Bure Ka Faraqh Nahi Samajhtha. Ilsiye Aakhirath Ke Din Paagal/Majnoon Ki Tarah Utaya Jayega Jaise Shaitan Ne Chu Liya Usko-Jaise Jinn Ka Asar , Pagal, Deewana ho. Pagal Isliye , Kyunke Wo Kehta Tha Sood Bussiness Ki Tarah Hai Halanke Tijarath Halaal Hai Aur Sood Haram

Sood Tijarath

Sirf Fayda –Musalsal Hota Hai Faida Aur Nuqsan Dono(Profit Loss Sharing)

Mehnath , Zehniyath Nahi Lagti Mehnath , Zehniyath Lagti Hai

Ek Taraf Ka Faida. Maashre Ki Tabahi Society Ka Bhala. Society Me Tamiri Kaam

Kamayi Me Barkath Nahi Kamayi Me Barkath

Ibn majah ki hadeeth -Sood ke gunaah ke 70 hisse hai jiska mamuli hissa aise hai jaise maa ke

saath zina karna. Jaanboojkar agar sood khaaya toh wo 70 times maa ke saath zina ka gunaah

Kya hum maa ke saath zina bardaashth kar sakte hai toh sood ko kaise bardaashth kar sakte

Naseehath Aane Pe Ruk Gaya Toh Uska Maamla Allah Ke Paas -Chahe Toh Maaf

Jo Na Chode ,Woh Jahannum Me Hamesha Rahega

Allah Sood Me Barkath Nahi Dete –Insan Pareshaniyon Me Ghera Hua Hoga Aur Maal Me Barkath Nahi Aur Aamal Zaaya

Allah Sadaqath Ko Badathe Hai-Maal Me Barkath Aur Ajar Bhi Zyaada.

Riba Na Chodne Pe –Allah Aur Uske Rasool Se Jung Ka Eilaan-Itna Bada Sazaa As Society Tabaah With Sood

Agar Tangdast Hai To Mohalath Dena Hai Asaani Tak

Ruku 39 - Ayat 282-283

(Quran Ke Sabse Badi Aayath Jisme Dein Ka Hukm)

Dein- Bussiness Me Aapas Ka Lein Dein Ka Mamla ,Qarz Ka –Documentation Karo -Likhlo Insaf Se

Dein Ka Mamla Kaise Karna Hai Dein Likhna Hai ,chota ho ya bada Likhnewala Kaatib Adl Se Likhe Qarz Lenewale Ki Responsibility Likhne Ki, Qarz Lenewala Documentation Me Kami Na Kare Qarz Lenewala-Agar Kamzor-Jismani Taur Pe –Bolne Nahi Aatha ,Language Nahi Aati ,Kam

Aqal(Less Age, No Knowledge, No Hisaab Kitaab Ka Knowledge etc) ho , To Uska Wali –Bhai, Dost , Wakeel Dictate Karwa Sakta Hai , Adl Ke Saath .

Gawah -2 Mard Ya 1 Mard And 2 Auratein . 1 Mard Ki Gavahi Yaha 2 Auratein Ke Barabar ,Isliye Nahi Ke Aurath Ki Status Me Kami Hai Balke Isliye Ke Agar Bhool Jaye Dono Me Se Ek,To Yaad Dila De Doosri. Kyunke Yeh First Financial Matter Hai, Area Of Interest Aurath Ka Nahi, who Ghar Ke Kaamo Me Busy Hoti Hai Aur Uspe Menses , Pregnancy Guzarti Hai2 Aurato Ki Gavahi Sirf Lein Dein Financial Matters Me., Chori, Nikaah, Talaq Chand Ki Gawahi –1 Aurath Ki Gavahi Equal To 1 Mard Baaz Cheezo Me Aurath Ki Gavahi Tarjee Like Doodh Ka Period Ke Liye, Radaath Etc

Gavah Inkaar Ya Susthi Na Kare Chota Ya Bada Fixed Time Ka Contract Likhlo Taake Relationship Me Misunderstanding Na Ho Hazir Tijarath –One Time Tijarath Jisme Wahi Payment And Wahi Cheez Lerahe hai , to likhne

ki zaroorath nahi Likhnewale Aur Gavah Ko Pareshan Na Kare Jhooti Gavahi Na De/Gavahi Ko Chupana Nahi Chahe Maa, Baap, Bhai, ya Bacche Ke Khilaf hi

Kyun Na Ho.

Page 7: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Safar aur hadar me Likhnewala Na Ho ,Toh Rahn Rakho

Rahn–Mortgage/Zamaanath –Woh Cheez Jo Zamanath Ke Taur Pe Rakh Kar ,Uske Badle Paise Liye Ja Sakte Hai

Rahn Qarz Lenewali Ki Hi Cheez Hogi-Owner Wohi Hoga Usse Jo Fayda /Nuqsan Hoga Woh Bhi Owner Ka Hi Hoga

Ruku 40- Ayat 284-286

(Baqarah ki aakhri do ayatein)Dil Me Jo Chupathe Hai Ya Zahir Karte Hai Allah Jaante Hai

Surah Baqarah Ki In Do Aakhri Ayato Ki Fazeelath Muhammad Saw Ko Arsh Ke Khazane Se Di Gayi Jo Surah Fatiha Aur Ye Ayatein Padle Shaytan Us Ghar Me Dhakil Nahi Hoga. In Ayaton Ke Khatam Hone Pe Aameen Kehne Ki Tarqeeb. Tirmidhi Ki Hadeeth – Ali Ra Ne Farmaya Ke Jab Yeh Aayathe Nazil Hui , Hame Gham Zada Kardiya .Aap Saw Se Shikayath Ki ,To Muhammad Saw Ne Farmaya-Samia’ana Wa Ata’ana Kaho Humne Suna Aur Humne Itat Ki.

Dil Me Utne Wali Har Cheez Ki Pakad Nahi Hogi . Waswase Aur Khayalon Par Pakad Nahi Hogi Jab Tak Kisi Se Na Kahe Aur Uspe Amal Na Kare

Jitna Kar Sakte ,Utni Hi Pooch Hogi

Jiski Jitni Taaqath Hai, Uske Mutabiq Hi Sawaal Hoga

Allah Se Dua Rabbana La Tuakhizna In Naseena Aw Akhta’na , Rabbana Wala Tahmil Alayna Isran Kama Hamaltahu Alal Ladeena Min Qablina. Rabbana Wala Tuhammilna Mala Taakhata Lana Bih. Wa’afu anna, Waghfirlana, Warhamna, Anta Maulana Fansurna Alal Qawmil Kafireen. Ameen . ( Is Dua Ke Baad Baaz Sahaba Se Ameen Kehna Sabith . Muhammad Saw Bhi In Aayath Ke Baad Ameen Kehte.)

Ayaat –200 Ruku-20

Surah Aale Imran Surah 3 Madni Surah

Ruku 1- Ayat 1-9

(Quran Jo Muhammad Saw Pe Nazil Hui Woh Sach Hai ,Jo Pichli Kitabo Ki Tasdeeq Karti Hai)

Alif Laam Meem-Hurf E Muqatteat- Iske Mayne Sirf Allah Ke Paas. Isko Explain Karna Hamare Liye Jayiz Nahi. Na Aap Saw Ne Kabhi Sahaba Ko Explain Karke Bataya Na Sahaba Ne Inke Mayne Pooche.

Allah Ke Siway Koi Ilah Nahi Kyunke Wo Hamesha Se Zinda, Aur Hamesha Qayam Rehnewala Hai-Khud Bhi Qayam Aur Doosro Ko Bhi Qayaam Kiye Hue Hai.

Quran Muhammad Saw Pe Nazil Ki Gayi, Sach Hai, sahi hai , Perfect Hai, Truth Hai. Koi Bhi Baath Galath Ya Jhoot Nahi. Allah Swt Ke Taraf Se Hi Nazil Ki Gayi, Koi Insan Ka Kalaam Ya Insan Ki Baat Nahi.

Quran Pichli Kitabo Ki Tasdeeq Karne Wali Hai .Quran Allah Swt Ke Taraf Se Bheje Hue Pehli Kitaab Nahi Balke Usse Pehle Bhi Allah Swt Ne Kitabe Bheji Jisme Taurath(Musa As Pe) Aur Injeel (Isa As Pe), etc thi jo Insano Ke Hidayath Ke Liye thi jaise quran .

Quran Allah ki taraf se hi nazil hui jo Furqaan hai-Farq Karnewali -Sahi Aur Batil Ke Beech Me, Sab Aasmani Kitabo Me Farq Karnewali-kya sahi aur kya jhoot uska faisla karnewali.

Allah Ki Kitab Jhutlayenge ,unke liye azaab hai jisse nahi bach sakte.

Allah Ko Pehchano Jo Zabardast Hai , Jo Rehmo Me Tumhari Shakle Banata , jiske siway koi ilah nahi ,jo zabardast hai ,hikmathwala hai. Usi Allah Swt Ne Aap Par Kitab Nazil Ki.

Quran Me Do Tarah Ke Aayate-Muhkamaath Aur Mutashabihath.

Muhkamath Mutashabihath

Clear Instructions , Allah Ke Bahum Milthi Jhulthi Aayathe. Ghaib Ki Cheeze Jo Aqal Nahi Samajh

Page 8: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 8

Hukm Jise Aqal Samajh Sake .Eg Namaz, Zakath, Roza, Hajj

Sake ,Use Milthi Jhulthi Cheezo Se Explain. Eg: Jannath ki nehre, phal , Jahannum, Allah Ki Kursi.

Kitab Ka Asal message . Inpe Amal Karna Hai.

Inki Taweel Ke Peeche Nahi Padna Hai Balke Sab Pe Iman Laana Hai.Kyunke Inki Taweel Sirf Allah Aur Pokhta Ilmwalo Ke Paas Hai. Sirf Wo Log Jinke Dilo Me Tedapan Hai ,Woh Inki Taweel Ke Peeche Padte Hai. Jaise jannath ki hoore kaisi hongi etc Pokhtha ilmwale Kehte Hai: Iman Laaye Hum ,Sab Kuch Hamare Rab Ki Taraf Se Hai. Jaise Allah Ne Bataya Hai Hum Un Sab Pe Iman Late Hai.

Sirf Aqalwale Naseehath Pakadte Hai-Agar Rasiqoon Fil Ilmwale Banna Hai ,To Allah swt Ne Jo Jo Baate Bataye ,Sab Ko Accept Karna aur Behase Nahi Karna Hai .Jiska Explanation Allah Ne Nahi Diya,Uska Explanation Talaash nahi karna.

Rasiqoon –Aqalwalo Ki Dua Rabbana La Tuzigh Qulubana Ba’ada Idh Hadaytana Wahab Lana Milladunka Rahma Innaka Antal Wahhab.

Sabse Badi Rehmath -Kitab Ko Sahi Tarah Samajhna Aur Amal Karne Ki Salahiyath.

Rasiqoon akhirath ke din pe pokhtha yaqeen rakhte hai aur kehte hai ,’Aye Hamare Rabb Beshak Tu Jama Karne Wala Hai Logon Ko Ek Din Nahi Koi Shaq Isme. Beshak Allah Swt Nahi Khilaaf Kartha Apne Wade Ko’.

Ruku 2- Ayat 10-20

Jo Log Allah Ki Kuch Aayath Ka Inkaar Karte Hai , Ya Mutashabihath Aayaton Me Tedapan Talash Karte Hai–Kufr karte hai, Unko Na Unka Maal Aur Aulad Kaam Ayegi Aur Yahi Log Indhan Honge Aag Ke , aur pehle Bahut Saari Qaume Tabaah Hui Jaise Qaume Aad, Qaume Nuh , Qaume Samud , Qaume Lut Etc Jinhone Allah Ki Ayaton Ka Inkaar Kiya ,To Allah Ne Unko Pakad Liya Unke Gunaho Ki Wajeh Se.

Jin Logon Ne Allah Ki Ayaath Ka Inkaar Kiya, Chipaya, Mazaak Kiya : Aap Saw Ki Waqth -Kuffare Makkah, Ahle Kitab, Hamare waqth me qayamth ke qareeb tak kaha ja raha ke woh Hara Diye Jayenge aur Ikhatta Kiye Jayenge Jahannum Me.

Jung e badr ka zikr jo islam ki pehli jung , musalman aur kafiro ke beech me jisme musalman ghalib aaye.. Do Groh Lad Rahe The : Kaafir Aur Musalman Aamne Saamne Lad Rahe The. Jung e badr

2 Hijri Me Huyi 313 Musalman Aur 1000 Kafir Kaafir Musalman Ko Dugna-626 Dekhe Aur Dar Gaye Itne Kam Hone Ke Bawajood ,Allah Ne Musalmano Ko Double Dikhaya Kyunke Isse Kaafir Dar Gaye, Pareshan Ho Gaye . Agar Unko Pata Hota Ke 1000 Ke Mukable Me Sirf 313 Hai ,To Josh Se Jung Karte . Allah[Swt] ne farishto se madad ki aur is jung me musalman ghalib aaye. Yeh Muslamano ki pehli kamiyabi thi. Allah Swt Jiski Jaise Chahe Madad Kar Saktha Hai. It Is Not About Number But Its About Allah [Swt] Ki Madad.

Duniya Ki zindagi me bahut saari aisi cheeze Jo Insan Ko Pasand Aati Hai Aur Logon Ke Dil Me Uske Liye Mohabbath Hai - Auratein, Bete, Jama Kiye Hue Khazane, Sona, Chandi, Khoobsurath Ghode (aaj ke zindagi me BMW, mercedes, Acche cars ), Maweshi Janwar, Khethi etc

Inka Mohabath Hona Galath Baath Nahi Kyunke Allah Swt Ne Hi Inki Mohabath Dilo Me Daali Hai . Lekin Yeh Hamare Liye Aazmaish Hai. Agar Hum Inko Allah Ke Raah Me Istemal Karte Hai Aur Shukr Ada Karte Hai ,Toh Isme Koi Galath Baah Nahi. Lekin Agar Ghuroor Karte Hai,taqabbur karte hai , Nashukri Karte Hai Aur Allah Ke Nafarmani ke Kaamo Me Istemal Karte Hai,Toh Yeh Hamare Liye Bahut Bura hai.

Page 9: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 9

In Cheezo Me Itna Nahi Padna Hai Ke Aakhirath Se Ghafil Ho Jaye, In Cheezo Ke Peeche Padke Aakhirath Ko nahi bhulna.

In duniya ke saaman se behtar Jannath – taqwa walon ke liye-woh log jo Allah ki mohabbath me nek kaam karte hai aur allah ke darr se bure kaamo se ruk jaate hai

Jannath me baaghaath, nehre, hameshgi ki zindagi, pakeeza beewiyan aur sabse behtar cheez -Allah ki razamandi jiske baad Allah [Swt] kabhi bhi naaraz nahi honge. Allah [swt] hame in logon me shamil karde. Ameen

Jannatiyo Ki Dua:Rabbana Innana Aamanna Faghfirlana Dhunubana Waqeena Azaaban Naar Aye Hamare Rabb, Beshak Hum Iman Laye, Pas Baqsh De Hamare Liye, Hamare Gunaho Ko Aur Bacha Le Hume Aag Ke Azaab Se

In Jannatiyon Ki 5 Sifaath Sabr Karnewale Sach Bolnewale Rabb Ke Itatguzar- rabb ke aur shariath ke har Hukm pe sar Jhukane Wale Kharch Karnewale ,Allah Ki Raah Me Baqshish Maangnewale Astaghfaar Karnewale, Sehri Ke Waqth-Fajr Se Pehle Ka Waqth.

Allah, farishte aur ilmwale gavahi dete hai ke Allah ke siway koi ilah nahi jo ghalib hai aur hikmathwala hai.

Ayah 19-21-Allah Ke Nazdeeq Islam Ke Ilava Koi Aur Deen Accept Nahi Hoga. Muhammad Saw Ke Aane Ke Baad ,Islam Ke Ilawa Allah Ke Nazdeeq Koi Deen Accept Nahi Hoga. Har Kisi Ne Apna Apna Deen Bana Liya Hai. Kisi Ne Yahudiyath , Kisi Ne Nasraniyath ,Kayi Shirk Karte Hai Aur Apne Apne Tareeqe Ko Deen Ka Naam De Rakha Hai ,apne apne firqe bana rakhke hai , par who accept nahi hoga.

Ahle kitab wale ilm aane ke bawajood zid ki wajeh se khubool nahi kiye toh allah swt unka hisaab lenge qayamath ke din.

Muhammad [saw] ko kaha jaa raha ke agar Ahle Makkah, yahud aur nasara jhagda kare to , tum kaho : maine supurt kiya apna chehra allah ke liye, kya tum bhi islam laathe ho -ie main allah ke saamne surrender kartha hoon, kya tum bhi surrender karte ho ? Agar woh islam laate hai, Toh unhone Hidayath Paa Liya.

Agar who muh mod gaye toh Aap Saw Ka Kaam , Sirf Pahuchana Hai.

Ruku 3- Ayat 21-30

Yahud Bahut Saare Nabiyon (43) Ka Qatl Kiye –Zakariya, Hiskeel, Yahya As.

Muhammad Saw Aur Isa As Ko Qatl Karne Ki Koshish Ki

Insaf Ka Hukm Denewale –aam logon ko Bhi Qatl Karte –Unko Dardnaak Azaab Ki Khabar.Duniya Me Aamaal Zaaya Aur Aakhirath Me Koi Madadgar Nahi

Ayath 23 –Shan E Nuzool -Khyber Ke Yahudiyo Me Ek maaldaar aur status Rakhenwale Ne Zina Kiya. Taurath Me Zina Ki Saza-Rajm( Stoning To Death ). Quran Se Faisla Karne Aaye ,Taake Bach Jaye. Aap Saw Ne Bhi Wohi Faisla Diye Rajm Ka ,To Unhone Muh Mod Liya

Yahudi Jahan Fayda hota Wo lelete,Aur Jahan Fayda Nahi Wahan Muh Modte

Yahudi Ki Soch Ki Tardeeth-Hum Chosen Hai, Agar Hum Nafarmani Karte Bhi Hai, Toh Hame Aag Sirf Thode Din Hi Chuyegi, Phir Jannath Me Chale Jayenge ,Kyunke Hum Yahudi chosen Hai. Allah ne aisa koi wada nahi kiya.

Allah Kehte Hai Ke Aisi Soch Rakhna Dokhe Me Daalna Hai. Aisi Baat Mat Kaho Jo Allah Ne Kahi Hi Nahi.

Kya Ummate Muhammadi, Yaane Hum Bhi Aisa Nahi Sochte? Apne Aap Se Sawaal Karna Hai

Allah Jisko Chahte Hai Badshahath Aur Izzath Dete Hai,Aur Jisko Chahe Zaleel

Page 10: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Allah Ki Qudraton Ka Bayaan-Tamaam Cheeze ,Allah Ke Haath Me Hai. Hame allah ke saamne jhuk jaana chahiye aur sirf uski razamandi ke liye jhud jaana chahiye.

Allah swt Raat ko din se aur din ko raat se nikalta hai, Murde Se Zinda Aur Zinde Se Murda ko nikalta hai. Rizq deta hai.

Murde Se Zinda o Eg:Murda Beenj Se Zinda Darakth o Murda Ande Se Zinda Murghi Zinda Se Murda

o Zinda Insan Se Murda Bache o Zinda Darakth Se Murda Beenj

Kafiro Ko Mumino Ke Ilava Pakka Dost, Madadgaar, Himayathi ,Jiske Paas Baar Baar Palatkar Jaaya Jaaye, Jisse Support Liya Jaye , Jisse Raaz Ki Baate Share Ki Jaye, Waisa Dost Nahi Banana. Albatta Agar Hum Aap Saw Ki Sunnath Ko Dekhenge ,Toh Aap Saw Kafiro Se Hamdardi Karte, Khairkhahi Karte, Gham Me Help Karte, Unki Khatir Madarath Karte, Bussiness Karte , Lein Dein Karte.

Toh Hamare Liye Bhi Unke Saath Utna Baitna, Khaana Peena, Bussiness Karna, Khaatir Madarath, Lein Dein Karna , Takhleefo Me Help Karna ,Mana Nahi Kiya Hai Aur Na Hi Unko Kisi Tarah Ki Aziyath Pahuchana , Zulm Karna-Yeh Toh Haraam Hai. Albatta Hame Wahan Ruk Jaana Hai Jahan Par Hamare Deen Ko Nuqsan Pahuchtha Hai Ya wahan par ruk jaana jahan unka Influence Humpar Zyaada Hota Hai. Allah hukm dete hai ke Unse Mauhtad Raho -Careful Raho Kyunke Wo tumhe aur Tumhare Deen Ko Kabhi Bhi Nuqsan Pahucha Sakthe Hain.

Aakhirath Ke Din Jab Insan Ke Nek Aur Bure Amal Haazir Kiye Jayenge ,To Wo chahega Ke Kaash Uske Darmiyan Aur Uske Amal Ke Darmiyan Faasla Hota.

Allah Swt Darate Hai Apne Nafs Se Aur Allah Shafaqath Karnewale Hai Jiski Wajeh Se Hume Pakde Nahi.

Ruku 4- Ayat 31-41

(Sunnath ko follow karne ka hukm, yahya ki paidaish ki khushkhabri)

Agar Allah Se Mohabath Hai, To Follow Muhammad Saw, ie Follow Sunnah

Allah ki mohabbath chahte hai toh sunnath ko follow karna hai. Aaj Hum Allah Ki Mohabbath Se Door ,Kyunke Hum Sunnatho Ko Chod Diye Itat karo allah ki-follow Quran And itat karo rasool ki –follow the Sunnah

Allah swt ne tamam jahan walo me se adam as , nuh as, ibrahim as ki khandan aur imran ke khandan ko choose kiya

Ambiyaon ka Ek Doosre Se rishta –nasl se bhi aur Deeni Bhai Bhi -Nuh As ,Ibraheem As Ke Baap Dada Me Se The. Ibrahim As Se Sab Anbiya Aaye. Deeni Bhai –Ek Hi Paigham Laaye-Tawheed-Allah Ek Hai

Maryam As Ki Maa Hannah Bint-E-Faqoodh jo imran ki beewi thi –unka Waqia Hannah Bint -E -Faqoodh jo ibadathguzar thi, unhone mannath Maangi Ke Apne Bacche Ko Apni Khidmath Se Azaad Karke ,Baital Maqdis Ke Liye Waqf Karengi, jo un dino ka rivaaj tha. Beti Hui To Pareshan Huyi kyun ke beto ko hi waqf karte the. Par Allah Swt Behtar Jaante The ,Kyunke Ek Insan Ki Takhleeq Me Jo Hissa Ek Ladki Le Sakti Woh Ek Ladka Nahi Le Sakta. Allah Swt Ne Maryam As Se Isa As Ki Paidaish Ki Bin Baap Ke

Maryam As Ki Maa Ne Apni Aulad Aur Aulad Ki Aulad Ko Allah Ki Panah Chahthe Hue Dua Ki. Inni Uidhuha Bika Wa Dhurriyataha Minash Shaytan Nir Rajeem Beshak Mai Usko Teri Panah Me Deti Hoon Aur Uski Aulad Ko Shaitan Mardood Se

Maryam As Ki Parvarish Haiqal Me- Rizq ke saath - Har Tarah Ka Khaana Peena, Bemausam Phal Farishto Ke Zariye

Page 11: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 11

Zakariya As Ki Dua Aulad Ke Liye –Jab Zakariya As Ne Dekha Ke Allah Swt Maryam As Ko Bemausam Phal De Sakte Hai Unhe Is Umar Me Bhi Aulad Desakte Hai.

Dua : Rabbi Habli Milladunka Zurriyatan Tayyibatan , Innaka Samiud Dua; Aye Mere Rabb Atha Kar Mujko Apne Paas Se Aulad Pakeeza . Beshak Tu hi Sunnewala Hai Dua Ko.

Dua Qubool Huyi-Yahya As Ki Khushkhabri jiska naam Allah ne rakha

Yahya As Ke Khubiyon Ka Zikr Jo Isa As Ki Tasdeeq Karnewale Sardar Paakbaaz Nabi Honge Aur Nek Logon Me Se Honge.

Zakariya As Ko Aulad Hone Ki Nishani –Wo Logon Se Teen Din Tak Baat Nahi Kar sakenge, isharatan hi baat kar sakenge aur Hukm Ke Subah Aur Shaam Allah Ki Bahut Zyaada Tasbeeh Aur Yaad Kare.

Ruku 5- Ayat 42-54

( Is ruku me Isa [A.S] ki paidaish ka waqia)

Ayah 42-45-Maryam Ka Waqia- Isa As Ki Paidaish

Maryam As Ko Chun Liya Allah ne – Isa [A.s] Ki Paidaish Ke Liye, Qayamath Tak Unka Zikr

Maryam As Ko Hukm Shukr karne ka aur Baa Jamaath Namaz ka

Wahi Ke Zariye Muhammada Saw Ko Zakariya Aur Maryam Ka Waqia Bataya Gaya. Isse Patha Chaltha Hai Ke Muhammad [S.A.W] Ko Ghaib Ka Ilm Nahi,Wohi Ilm Tha Jo Allah Ne Bataya Hai.

Maryam [A.S] Ko Isa As Ki Khushkhabri ,Farishto Ke Zariye. Jab Maryam As Ne Kaha Ke Yeh Kaise Ho Saktha Hai Jab Ke Kisi Insan Ne Unko Chua Nahi . Toh Allah Taala Kehte Hai Ke Wo Paida Karta Hai ,Jo Woh Chahtha Hai. Jab Woh Faisla Kartha Hai Kisi Kaam Ka ,Toh Woh Kehtha Hai ‘Ho Jao ,To Who Ho Jatha Hai.(Kun Fayakoon).

Naam –Isa Ibn Maryam , Ye Wazeh Karne Ke Liye Ke Wo Allah Ke Bete Nahi Balke Maryam As Ke Bete Hai . Isa As

Buland martabe wale Allah Ke Qareeb Bando Me Se ,duniya aur akhirath me Jhule Me Baat Ki Aur Maa Pe Laga Ilzam Ko Door Kiya Badi umar me allah ne utha liya -35-40 Years Me Wo Wapas Duniya Me Aayenge , Khinzeer Ka Qatl Karenge Aur Cross (Saleeb) Todenge Aap Saw Ki Shariath Follow Karenge Shaadi Karenge, Inteqaal Hoga, Namaz E Janaza Padaya Jayega, Dafn Hoga. Isa As Ko Taurath Aur Injeel Ka Ilm Tha Kitab Pe Amal Karne Ki Hikmath Thi Bani Israel Ke Taraf Bheje Gaye Aakhri Nabi

Rasool Hone Ki Isa As Ki Taraf Se Nishaniyan : Mitti Ke Parinde Me Jaan Paidaishi Andhe Aur Kodi Ko Theek Karte Murde Ko Zinda Karte Jo Khate Aur Jo Zakheera Karte, Usko Batate, Sab Allah Ke Izn Se

Wo Cheeze Jo Yahudiyon Ne Apne Upar Haraam Kardiya Tha, Usko Halaal Karne Aaye

Isa As Ne Kaha : Beshak Allah Mera Rabb Hai Aur Ibadath Karo Uski Yeh Nahi Kaha Meri Ibadath Karo Ya Muje Khuda Maano Yeh Bhi Taleem Di Allah Se Daro Aur Unko As A Rasool Follow Karo

Isa As Ko Ehsaas Ke Yahudi Unke Peeche Qatl Karne Ke Liye Plan Kar Rahe , To Unhone Deen Ki Madad Ke Liye Bulaya ,To Hawariyon Ne Unka Saath Diya

Page 12: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 12

Hawariyon (Isa As Ke Madadgar ) Ne Kaha Hum madathgaar hai allah ke aur hum Iman Laaye Allah Par Aur Beshak Hum Musalman Hai Yeh Nahi Kaha Isa As Ko Follow Karo

Yahudiyon Ne Isa As Ko Bad Deeni Aur Bagawath Ka Ilzaam Lagakar Unhe Sooli Pe Chadane Ki Plan Ki . Allah Ne Tadbeer Se Isa As Ko jism aur ruh ke saath Aasmano Me Uta Liya Aur Bacha Liya .

Ruku 6- Ayat 55-63

Allah Swt Ka 5 Wade Isa As Se Yahudi Kuch Nahi Bigaad Sakte Allah Swt Ne Isa As Ko Jism Aur Ruh Ke Saath Aasmano Me Uta Liya Aur Aziyath Aur Plans Se

Bacha Liya . Isa As Ko Mauth Nahi Aayi Balke Poora Ka Poora Uta Liya Kafiro Se Paak Pairokaar Ghalba Payenge –Prediction Ke Isa As Ke Followers Kafiro Pe Ghalib Honge

History-Christians Hamesha Victorious Over Jews Qayamath Ke Qareeb Isa As Dobara Ayenge , Unke Followers Victorious Honge , Kufr Khatam Hoga

Tamam logon ko Allah ke paas lautna jab Ikhtelaf Ka Faisla Hoga. Ikhtelaf Isa As Ko Leke (difference of opinion)

Yahudi Isa As Ki Nabuwath Ka Inkaar Karte. Woh Yeh Maante Ke Isa As Suli Pe Chada Diye Gaye, Qatl Kardiye Gaye Aur Dafn Kardiye Gaye Isayi Kehte ,Isa As Allah Ke Bete , Suli Pe Chada Diye Gaye, 3 Din Baad Dobara Zinda Huye Aur Aasmaan Pe Chale Gaye (Uta Liye Gaye) Musalman Maante Ke Isa As Allah Ke Bheje hue Rasool Hai, Na Unka Qatl Hua Aur Na Woh Sooli Pe Chadhaye Gaye ,Balke Jism Aur Ruh Ke Saath Allah Ne Uta Liya . Wo Dobara Ayenge , Kufr Ko Khatam Karenge, Saleeb Ko Todenge.

Ayath 59-Isa As Ki Misaal Allah Ke Nazdeek Adam As Ki Hai.

Isa As Bin Baap Ke Paida Hue Toh Adam As Bin Maa Baap Ke Paide Hue Mitti Se - Takhleeq Me Ek Jaisi Misaal Hai . Isayi Alag Alag Tarah Ke Doubts Musalmano Ke Dil Me Daalte The , Bin Baap Ki Aulad Kaise Ho Sakta Hai. Toh Allah Swt Farmate Hai Ke Jaise Allah Ne Adam As Ko Paida Kiya Waise Hi Isa As Ko Paida Kiya. Isme Bilkul Shaq Mat Karo.

Ayath 61-Aayate Mubahila:Mubahila-Aisa Tareeqa Jisme Aamne Saamne Aake Buland Awaaz Me Dua Karte Hai Ke Jhoot Bolnewala Pe Allah Ki Laanath Ho

Najran Ke Christians ,Muhammad Saw Ke Paas Buri Niyath Se Khabar Lene , Behas Karne Aaye. Isa As Ke Baare Me Poocha Jispe Muhammad Saw Yeh Tamaam Ayatein Batayi Jo Pehle Guzri, Maryam As Ka Waqia, Zakariya As Ka Waqia, Isa As Ki Paidaish Adam As Ki Tarah Etc Phir Bhi Jab Woh Nahi Maane , zid ki wajeh se aur apni izzath jaane ki wajeh se. Toh Muhammad Saw ne Mubahila Ke Liye Bulaya, Toh Woh Aaye Nahi . Bina Mubahila Kare Chale Gaye. Agar Who Mubahila Karte Toh Lautne Ke Baad Unko Na Maal Milta Na Aulaad Kyunke Jispe Allah Ki Laanath Ho Who Successful Nahi Ho Sakta

Ruku 7- Ayat 64-71

Ayath 64-Dawath Islam Ki -Yahud Aur Nasara Ko Ek Kalime Se. Muhammad Saw Ne Is Aayath Ki Buniyaad Par Rome, Iraq Waighaira Ke Baadshahon Ko Islam Ki Daawath Di.

Kalima – Ek Allah Ki Ibadath Karo, Kisi Aur Ko Shareek Na Tehrao jo unke kitabo me bhi likha hua hai. Unko kaha jaa raha ke tumhara deen bhi wohi sikhaata hai.

Kisi Ko Rabb Na Banao. Rabb-Allah Ko Chodke Kisi Aur Ki Baat Maanna Ali Bin Hatim ra Ki Hadeeth Muhammad Saw Ne Farmaya: Allah Ke Bataye Hue Halaal Ko Halaal Aur Haraam Ko Haraam Na Maante Huye Logon Ke Halaal Ko Halaal Aur Haraam Ko Haraam Maanna Rabb Banana Hai Allah Ke Ehkamath Ke Against Kisi Aur Ka Hukm Maanna –Rabb Banana Hai

Page 13: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 13

Yahud Aur Isayi Ke Beech Me Jhagda ke Ibrahim As Yahudi Ya Isayi The? Iska jawab diya gaya :Taurath Aur Injeel Ibrahim As Ke Bahut Lambe Arse Ke Baad Utari Gayi . Isliye Ibrahim As Na Yahud The Na Ke Isayi (Ibrahim As Ke 1000 Saal Baad Musa As Aaye, Uske 2000 Saal Baad Isa As Aaye Aur 900 Saal Ke Baad Muhammad Saw Aaye). Deen Ke Maamle Me Hame Sirf Wohi Baat Karna Hai Jiska Hame Ilm Hai Ibrahim As Eksu Musalman The –Tamaam Cheezo Se Katkar Allah Ke Saamne Jhuknewale Insan Aur Mushrik Na The Ibrahim As Ka Tareeqa -Tauheed –Ek Allah Ko Maannawale , Sahi Tareeqe Se Iman Lanewale, Allah Ke Dost

Ahle Kitab Ka Aim Aap Saw Ke Waqth Me Aur Aaj Bhi- Musalmano Ko Confuse Karna Aur Allah Ke Raasthe Se Hata Dena Halake Wo Khud Ko Gumrah Karte Hai

Yahudi Muhammad Saw Ke Aakhri Nabi Hone Ka Ilm Jo Haqq Hai ,Use Jaante Huye Usko Chipate Hai

Ruku 8- Ayat 72-80

Ayath 72-74 Yahudiyon Ki Chaal –Musalmano Ko Confuse Karne Aur Deen Se Pherne Ki. Subah Iman Laate –Poore Din Musalman Rehte . Phir Shaam Me Phir Jaate Aur Kehte Islam Me Koi Khaas Baath Nahi. Hum Jaaj Padthal Karliye. Muslaman Confused Ho Jaate Ke Yeh Toh Ahle Kitab Hai Aur Agar Yeh Chodrahe Hai Toh Zaroor Islam Me Koi Galath Baat Hogi

Yahudi Ulama Apne Followers Ko Kehte Ke Sirf Apne Deen Pe Hi Iman Laoo. Aap Saw Ki Baato Me Mat Aaoo.

Allah Swt Kehte Hai Jo Tum Apni Marzi Se Hidayath Samajhthe Ho Who Hidayath Nahi ,Balke Hidayath Sirf Allah Ki Taraf Se Hai. Allah Swt Apna Fazal (Aap Saw Ko Nabuwath Dena) Jise Chahe De Sakthe Hai

Yahudi Chale Is Liye Chalte Ke woh sochte ke Jo Ilm /Fazeelath/Sharf/ Ehtaram/ Izzath Unko Diya Gaya Who Doosro Ko Nahi Diya Ja Sakta

Woh kehte ke Agar Tum Jake Batayenge Ke Wo Sacche Nabi Hai Toh Woh Qayamath Ke Din Allah Se Saath Jhagda Karenge

Allah Ke Haath Me Fazl-Jisko Chahe Nabuwath De Bani Israel Ko Ya Bani Ismael Ko

Ayath 75-Amaanath Ke Saath Ahle Kitaab Ka Sulook Yahud ,Yahud Ko Dhokha Nahi De Saktha Lekin Ghair Yahud Ka Maal Hadap Sakta Hai, Dhokha De Sakta Hai, Amanato Ko Bhi Khaa Sakta Hai Aksar Yahudi , Agar Khazaana Bhi Rakhwaye , Toh Waapas Karenge Lekin Kuch Log Agar Ek Dinaar Unke Paas Amanath Rakhwaye , To Usme Khayanath Karenge. Kyunke Who Kehte Hai Ke Allah Ka Hukm Hai Ke Ghair Yahudi Ke Saath Hum Jo Chahe Kar Sakte Hai , Halanke Woh Jhoot Hai Aur Woh Jaante Hai Ke Allah Ne Uska Hukm Nahi Diya. Woh Allah Ke Ahad Ko Todte Hai Ke Muhammad Saw Pe Iman Layenge Aur Bando Ke Ahad Ko Bhi Todte Hai. Ayath 77-Jo Log Duniya Ke Chand Faydo Ke Liye Deen Ko Bhejte Hai Unka Aakhirath Me Koi Hissa Nahi Hoga Aur Akhirath Ke Din Allah Swt Unse Na Kalaam Karenge, Na Dekhenge ,Na Paak Karenge.

Ayath 78-Yahudi Taurath Ko Zaban Modke Padthe Yane Hissi Aur Maanwi Dono Tareeqe Se , Alag Tareeqe Se Padte Ya Maayne Badalkar ,Taake Kalaam Me Raddo Badal Ho Jaye , Asal Maayne Na Rahe . Eg Raaina ,Hittatun

Sahi Bhi Padte To Mayne Galath Padte Ayath 79-80

Wafd E Najran Ka Sawaal Jispe Yeh Nuzool -Jab Muhammad [Saw] Ne Yahud Aur Wafd E Najraan Ko Islam Ki Daawat Di ,To Ek Yahud Abu Rafe Quraizi Ne Poocha – Aye Muhammad Kya Tum Ye Chahte Ho Ke Hum Tumhari Aisi Pooja Kare Jaise Nasaara Isa Ibn Maryam Ki Karte Hai

Page 14: Summary - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye , Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin

Surah Al Kahf JUZ 15

www.livequraneverymoment.org Page | 14

Toh Yeh Bataya Jaaraha Hai Ke Koi Bhi Rasool Jise Hikmath Aur Nabuwath Di Gayi - Yeh Hukm De Hi Nahi Sakta Ke Allah Ko Chodke Uski Ibadath Ki Jaye

Nabi Ka Kaam –Khud Bhi Aur Doosro Ko Bhi Allah Se Taaluq Rakhnewale Banana , Allah Se Judne Ka Hi Hukm Dena, Na Ke Apne Aap Se, Faristhto Se Judne Ka.

Islam Ka Hukm Aane Ke Baad Koi Nabi Kufr Ka Hukm Nahi De sakta.

Ruku 9- Ayat 81-91

Ayath 81-Tamaam Paigambaro Se Allah Ka Ahad - Jab Bhi Unke Waqth Me Koi Rasool Aaye,Toh Unki Tasdeeq Karna , Unpar Iman Laana Aur Unki Madad Karna. Eg Ibrahim As Ke Time Pe Lut As, Musa As Aur Haroon As, Isa As Aur Yahya As. Agar Muhammad Saw Unke Waqth Me Aate, Toh Woh Bhi Us Waqth Ke Paigambar Par Iman Laate

Allah Swt ne Tamam Nabiyon Se Poocha ke Kya Tumne Iqrar Kiya, Toh Sab Rasoolo Ne Kaha Humne Iqrar Kiya.

Yeh Aalam e Arwa Me , Adam As Ke Pushth Se Jab Tamaam Logon Ko Nikaala Tab Liya . Jo Muh Mod Jaye Toh Yehi Log Fasiq Honge.

Islam Ke Sivay Kya Aur Deen Talash Karte Ho Haalanke Aasmaan Aur Zameen Me Sab Kuch Khushi Se Aur Nakhushi Se Allah Ke Saamne Jhuk Jaata Hai-Heavenly Bodies, Pahad, Badal, Hawa .Insano Ko Bhi Chahiye Ke Who Allah Ke Saamne Jhuk Jaye.

Ayath 73-Deen E Islam Aane Ke Baad Yahudiyath, Isayiyath Accept Nahi Hogi. Koi Aur Deen Talash Karnewala Se Qubool Nahi Kiya Jayega Aur Woh Khasara Utanewalo Me Se Honge

Yahudi Aur Isayi Pehle Accept Kiye, phir zid ki wajeh se phir gaye , Aap Saw Ki Khuli Nishaniyan jo Unke Kitabo Me Likha hai usko dekhne ke baad

Ayath 76-79-Jo Haqq Ko Pehchaan Ne Ke Baad Qubool Nahi Karte ,Unpe Laanath Hogi Allah Ki, Farishto Ki Aur Sab Logon Ki. Par Jo Log Tauba Karte Hai Aur Islaah Karte Hai , Unko Allah Baqshne Wale Hai.

We Have To Check Ourselves

Ayath 79-Kin Ki Tauba Qubool Nahi Hogi Jo Kufr Karte Hai, Quran Ki Aayath Ka Inkar Karte hai, Phir Usme Bahut Bad Jaate Hai –unki

tauba qubool nahi hoga , Yaani Mauth Ke Waqth Tauba Karnewale Ki Tauba Qubool Nahi Hogi. Agar Who Zameen Bhar Sona Bhi Fidya Me Denge To Qubool Nahi Kiya Jayega , Unke Liye

Dardnaak Azaab Hai Aur Unke Liye Koi Madadgaar Bhi Nahi Honge. Bukhari Ki Hadeeth : Qayamath Ke Din Kaafir Ko Laaya Jayega. Woh Saara Maal Dena Chahega Apni Jaan Chudane Ke Liye, Par Woh Qubool Nahi Kiya Jayega