26

Breily say madina.roman urdu

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Breily say madina.roman urdu
Page 2: Breily say madina.roman urdu

BBBBBBBBaaaaaaaarrrrrrrreeeeeeeeiiiiiiii llllllll llllllllyyyyyyyy SSSSSSSSeeeeeeeeyyyyyyyy MMMMMMMMaaaaaaaaddddddddiiiiiiiinnnnnnnnaaaaaaaa

Yeh Risalah Shaykh-e-Tariqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat bani-e-

Dawat-e-Islami, Hazrat Allamah Maulana Abu Bilal Muhammad

Ilyas Attar Qadiri Razavi ـعـالـيـه  ال  بـركـاتـهـم ,ney tehreer farmaya hay دامـت

Majlis-e-Tarajim ney is ko Roman-English main compose kiya

hay. Agar is main koi kami-bayshi payain to Majlis-e-Tarajim ko

aagah kar key Sawab key haqdar baniye.

Majlis Tarajim (Dawat-e-Islami)

Alami Madani Markaz, Faizan-e-Madina, Mahalla Saudagran,

Purani Sabzi Mandi, Baab-ul-Madina, Karachi, Pakistan

Contact #: +92-21-34921389 to 91

[email protected]

بریلی سے مدینہ

Page 3: Breily say madina.roman urdu

ii

�ب� ـه� ر�

�ـمـد� لـ�ل ��� ��لـح� ـم�

�ـل�ـ��� �لـعـل ـرس� �لـم� ـد� ـي�� ـ�� س�

�إلم� ع� ـآل �لـس�� ـلـوة� و� و� �لـص��

ـه� �سم� �لـل % بـ� �&' ج�

ـيـطن� �لـر��ـن� �لـش�� ـه� م�

�الـل بـ�

ـوذ� ع��ـا�ـعـد� ف ـابـ� ـ ��م�� ح� حـمن� �لـر�� %�لـر�� �&'

Kitab Parhne ki Du’a

Dini Kitab ya Islami Sabak Parhne se Pehle Zail mein Di hoi

Du’a Parh Lijiye لـ�ه  شآءاـل وجل ان عز jo Kuch Parhengay yaad rahega.

Du’a yeh hai

�لل تح م� اف ه ا

نا ح ي عل

ك مت ك

ش وان

يـ ك ت نا رح ي عل

ا ذاال

ل وا!

#

رامك

Tarjama: Aey Allah وجل hum par Ilm-o-hikmat key darwazey khol dey عز

aur hum par apni rehmat nazil farma! Aey azmat aur buzurgi

waley!

(Al-Mustaṭraf, vol. 1, pp. 40)

Note: Awwal akhir aik aik bar Durood-e-Pak parh lain.

Page 4: Breily say madina.roman urdu

iii

Fehrist

Bareilly Sey MadinaBareilly Sey MadinaBareilly Sey MadinaBareilly Sey Madina

Durood sharif ki fazeelat ...................................................................... 1

Qutb-e-Madina ki gawahi ................................................................... 3

Mufti A’zam Hind Barelyi sey Madina ................................................ 5

Aaqa key Qadmo mey mout ................................................................ 6

Phansi ghar sey apney ghar tak ............................................................ 7

Mushkil kusha ka deedar ..................................................................... 9

Beemar bakht baidar.......................................................................... 13

Dil ki baat jaan-li .............................................................................. 13

Barish barasney lagi ........................................................................... 15

Mazdoor shehzadah ........................................................................... 16

Dunyuwi ‘Uloom mey Maharat ki nadir Hikayat .............................. 18

Manqabat A’ala Hazrat ة اهللا تعاىل عليه 21 ....................................................... رمح

Page 5: Breily say madina.roman urdu

1

�ب� ـه� ر�

��ل ـمـد� لـ ـل�ـ��� ��لـح� ـرس� �لـم� ـد� � ـي� ـ�� س�

ـآل�إلم� ع� �لـس�� و��ـلـوة ��� و� �لـص�� ـم�

� �لـعـل

ـ' ح� حـمن� �لـر�� ـه� �لـر���سم� �لـل % بـ� �&' ج�

ـيـطن� �لـر��ـن� �لـش�� ـه� م�

�الـل بـ�

ـوذ� ع��ـا�ـعـد� ف ـابـ� %��م�� �&

Bareilly Bareilly Bareilly Bareilly Sey MadinaSey MadinaSey MadinaSey Madina

Sheytan lakh susti dilaye magar ba niayt ba Sawab ye Risalah

pura parh kar apni Dunya-o-Akhrat ka bhala kijiye.

Durood sharif ki fazeelat

Hazrat Ubbi bin Ka’ab ع   تعاىل  اهللا نه ـر+ ney arz ki key mey (sarey,

wird, wazifey chor dunga or) apna sara waqt durood khuani

mey sarf karun ga. To Sarkar-e-Madina واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص. ney

farmaya: Ye tumhari fikar ko door karney keliye kafi hoga or

tumharey gunah maaf kar diye jayn gey. (Tarmizi jild 4 safha 208

hadis 2465 dar-ul-fikar beroot)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Ye un dinon ki baat hay jab mey Bub-ul-Madina Karachi key

alaqa kharadar mey waqi Hazrat Sayyiduna Muhammad Shah

Dulah Bukhari Sabzwari  علي  رمحة ـ�ه  ه الـل باریال key mazar sharif sey

mulhaqa haderi masjid mey Tajdar-e-Ahl-e-Sunnat, Shehzadah

A’ala Hazrat Huzur Mufti A’zam Hind Hazrat Moulana Mustafa

Page 6: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

2

Raza Khan رمح ـع  محن ر ـ ة ال ليه ka mutabarrik imama sharif sar par saja

kar namaz-e-fajr parhaya karta tha. لـ�ه ـحمـد لـ وجل ال عز Eik wali kamil ka

imama sharif bar ha merey hathon or sar sey mas hua hay.

 ش�آءال وجل لـ�هـان عز Merey hathon or sar ko jahannam ki aag nahi

chuye gi. Or jab hathon or sar ko nahi chuey gi to وجل لـ�هـان ش�آءال عز

sara hi badan mehfooz rahey ga. Darasal baat ye hay key

mutazkkrah haderi masjid mey A’ala Hazrat, Azeem-ul-

barakat, Moulana Imam Ahmad Raza Khan رمح ـع   ال ليه محن ر ـ ة key

Khalifa Majaz Maddah-ul-Habib, Hazrat Moulana Jameel-u-

Rehman Qadri Razwi رح ـع  ـ� ة م ـليه ـقـوی ه الـل ال key farzand-e-arjmand

Hazrat Allama Moulana Hameed-u-Rehman Qadri Razwi

 رح ـع ـ� ة م ـليه ـقـوی ه الـل ال imamat farmatey thay. Chunkey masjid sey aap

ka dolat khana taqreeban 6,7 kilo miter door tha lehaza fajr ki

imamat ki sa’adat mujhey milti thior un ka Huzur Mufti A’zam

Hind رمحة اهللا تعاىل عليه wala Imama sharif mujhey naseeb ho jata, jis

sey mey barkatain hasil kiya karta.

Eik baar Hazrat Moulana Hameed-u-Rehman رح ـع  ـليه  ال منان ـمة ney

A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه key fazail bayan kartey huye mujh sey

farmaya: Mey un dinon chota bacha tha or mujhey achi tarah

yad hay key A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا mujh sey bhi or har رمحة

bachey sey “Aap” keh kar hi guftugu farmatey thay, dantna,

jharna or tu’takar Aap عليه   تعاىل  اهللا ka mazaj mubarak mey na رمحة

tha, eik jumerat ko mey bareyli sharif mey A’ala Hazrat key

shana rehmat par hazir tha key koi sahib milney aye or woh

waqt amm mulaqat ka nahi tha lekin woh milney par musir

thay. Chunacha mey A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه key khas kamrey

Page 7: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

3

mey pegham deney chala giya magar kamrey mey to kuja

purey makan mey A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه kahi nazar nahi aye.

Hum heran thay key akhir kaha gaye, isi shash-o-panj mey sab

kharey thay key A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا achanak apney رمحة

kamrah khas sey bar’amad huye, sab heran reh gaye or

puchney lagey key jab hum ney talash kiya to aap kahi nazar na

aye magar phir aap apney hi kamrey sey bahar tashreef laye is

mey kiya raaz hay? Logon key peham israr par irshad farmaya:

“ لـ�ه  لـ ـحمـد وجل ال عز mey har jumeraat ko is waqt apney isi kamrey

ya’ni Barelyi sey Madina Munawwrah ـ�  الـل  ه زادهـا  تـع شـرف  و اـظيـم ـا hazri

deyta haun.” Allah وجل ki un par rehmat ho or un key sadqey عز

hamari bey hisab maghfirat ho.

ا ني بج� ني ! �ام � اال�م ل��م الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Harm hay usey sahit har do alam!

Jo dil ho chuka shikar-e-Madina

(Zoq-e-naat)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Qutb-e-Madina ki gawahi

ـحمـد ه ال ـ� ل وجل لـ عز Imam Ahl-e-Sunnat عليه   تعاىل  اهللا -zabardast ashiq-e رمحةRasool thay. In par Aaqaye Madina واله   تعاىل عليه  اهللا وسلم ص. ka khususi

karam tha. Barelyi sey Madina Munawarah ـ�  الـل  ه زادهـا  شـرف  تـع ـا اـظيـم و ki

haziri eik or emaan afroz waqia mulayhza ho. Chunacha sakin-

Page 8: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

4

e-Madina Al haaj Muhammad Arif Ziyai عليه   تعاىل  اهللا ka bayan رمحة

hay key eik baar Huzur Qutb-e-Madina Sayyidi-o-Mushidi-o-

Moulai Ziaudin Ahmed Qadri Razwi رح ـع  ـ� ة م ـليه ـقـوی ه الـل ال ney mujh

sey irshad farmaya: Ye un dinon ki baat hay jab A’ala Hazrat

baqeed hayat thay, mey eik baar Srakar-e-Namdaar رمحة اهللا تعاىل عليه

 تعاىل عليه واله  اهللا وسلم ص. key mazar faiz-ul-anwaar par hazir hua. Salat-

o-salam arz karney key baad “Bab-u-Salam” puhncha wahan

sey achanak meri nazar sunheri jaliyon ki taraf chali gai to kiya

dekhta haun key A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا Shenshah-e-Risalat رمحة

 عل  تعاىل  اهللا  واله ص. وسلم يه key Muwajha Sharif key samney dast basta

hazir hain. Mujhey bara ta’ajjub hua key Sarkar-e-A’ala Hazrat

 عليه  تعاىل  اهللا ـ� Madina Taiba رمحة  الـل  ه زادهـا  تـع شـرف  و اـظيـم ـا hazir huye hain or

mujhey maloom tak nahi. Chunacha mey wahan sey Muwajha

Sharif par hazir hua to A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا mujhey nazar رمحة

nahi aye, mey wahan sey phir “Bab-u-Salam” ki taraf aya or jab

sunehri jaliyon ki taraf dekha to A’ala Hazrat ع   تعاىل  اهللا ليهرمحة

Muwajha Sharif mey hazir thay, lehaza mey phir sunehri

jaliyon key rubaru hazir hua to A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ghaiyb

thay. Teesri baar bhi isi tarah hua mey samjh giya key ye

Mehboob-o-Muhib ka muamla hay, mujhey is mey mukhil

nahi hona chahiye. Allah وجل ki un par rehmat ho or un key عز

sadqey hamari bey hisab mahfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

لـ�ه ـحمـد لـ وجل ال عز Sag-e-Madina عف عنه key Murshid Kareem رمحة اهللا تعاىل عليه

Qutb-e-Madina ki bhi gawahi hasil ho gai key A’ala Hazrat

Page 9: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

5

batni tor par Madina-tul-Murshid Barelyi Sharif sey رمحة اهللا تعاىل عليه

Madina-tul-Rasool اهللا تعاىل عليه واله  سلمو  ص. hazir huye thay.

Gham-e-Mustafa jis key seeney mey hay

Go kahi bhi rahey woh Madiney mey hay

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Mufti A’zam Hind Barelyi sey Madina

Mithey mithey Islami bhaiyon! Aap ney dekha key? Sunniyon

key Imam A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا ,par hamarey Pyarey Aaqa رمحة

Mithey Mithey Mustafa واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص. kis qadar meharban

thay key bagher kisi zahiri suwari key Bareilly Sharif sey

Madina Munawarah ـ�ز  الـل  ه ادهـا  تـع شـرف  و اـظيـم ـا bulaya kartey thay. A’ala

Hazrat to A’ala Hazrat, Aap عليه   تعاىل  اهللا key shehzade par bhi رمحة

kuch kum karam nahi tha.

Chunacha Shezadah A’ala Hazrat, Huzur Mfti Azam Hind

Moulana Mustafa Raza Khan عليه   تعاىل  اهللا -key eik mureed-o رمحة

zimmeydar dawateislami ney mujhey tajpur (Nagpur Hind)

sey eik maktoob ki photo copy irsaal ki us mey eik muballigh

dawateislami ki kuch is tarah bhi tehreer bhi thi: 1409 hijr mey

merey waldain, barey bhai jan or bhabhi sahiba ko Haj ki sa’adat

naseeb hoi, in hazraat ney Madina Munawarah ـ�  ه زادهـا الـل  تـعـظيـم شـرف اـا و

mey 2 behad emaan afroz manazir mulyhza kiye:

1. Walid mohtaram ney Roza Anwar key qareeb ye rooh

puroor manzar dekha key Sarkar-e-Mufti A’zam Moulana

Page 10: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

6

Mustafa Raza Khan رمح ـع   ال ليه محن ر ـ ة hasbey mamool sar-e-

aqdas par imama sharif ka taj sajaye, chand sa chehra

chamkatey apney makhsoos Madani qafiley key hamrah

tashreef farma hain! Bari herani hoi key Huzur Mufti

A’zam Hind عليه   تعاىل  اهللا ko wisal kiye huye taqreeban 8 رمحة

saal guzar chukey hain yahan kesey jalwah numai farma

rahey hain! Herat-o-musarrat key miley juley jazbaat key

sath apney barey betey (ya’ni merey barey bhai) ko ye

khabar deney dhoond ney nikley, jab barey betey sey

mulaqat hoi to pata chala key woh bhi walid sahib ko

dhoond rahey thay, kiyun key unhoney bhi ye manzar dekh

liya tha, chunacha ab dono dobarah usi maqam par aye to

Sarkar-e-Mufti A’zam Hind هرمحة اهللا تعاىل علي maa madani qafila

tashreef ley ja chukey thay. Allah وجل ki un par rehmat عز

ho or un key sadqey hamari bey hisab maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Aaqa key Qadmo mey mout

2. Dusra qabil-e-sad rashk manzar ye dekha key eik daraz qad,

tanumand no jawan Sarkar-e-Dojahan واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص.

key Aastan-e-Arsh nishan par hazir tha or qadmain sharifain

mey hath utha kar dua mang raha tha key yakayak gira or

Sarkar واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص. key qadmo par nisar ho giya!

Walid sahib ney bataya key logon ki bheer lag gai, mukhtalf-

u-lissan musalman apni apni zaban mey us khush naseeb

Page 11: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

7

no jawan ki emaan afroz mout par rashk kar rahey thay.

Aah kash!

Yu’n mujh ko mout aye to kiya puchna mera

Mey khak par nigah dar-e-yar ki taraf

(Zoq-e-Naat)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Phansi ghar sey apney ghar tak

A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه key eik mureed Amjad Ali Khan Qadri

Razwi shikar keliye gaye.Unhoney jab shikar par goli chalai to

nishna khata ho gaya or goli kisi rahgeer ko lagi jis sey woh

halak ho gaya, police ney giriftar kar liya, court mey qatal sabit

ho giya or phansi ki saza suna di gai. Aziz-o-aqriba tarikh sey

pehley rotey huye mulaqat ko pohnchey to amjad ali sahib kehney

lagey key: Aap sab mutmain rahiye mujhey phansi nahi ho sakti

kiyun key merey Peer-o-Murshid A’ala Hzarat عليه   تعاىل  اهللا ney رمحة

khuab mey akar mujhey ye basharat di hay: “Hum ney apko

chor diya.” Ro dho kar log chaley gaye. Phansi ki tarikh waley

roz mamta ki maari maa roti hoi apney laal ka akhri deedar

karney pohnchi.

 الـل��ه ��ه سـبحـن  الـل Apney Murshid par aitiqad hoto aisa! Maa ki سـبحـن

khidmat mey bhi barey aitmaad sey arz kardi: “Maa aap

ranjeedah na hon, ghar jayiye, ش  ـ�آءا�ان وجل لـل ه عز aaj ka nashta ghar

Page 12: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

8

akar hi karun ga.” Maa key janey key baad amjad ali ko phansi

key takhtey par laya giya, galey mey phanda dalney sey pehley

hasbey dastoor jab akhri arzoo puchi gai to kehney lagey: “kiya

karo gey puch kar? Abhi mera waqt nahi aya.” Woh log

samjhey key mout ki dehshat sey dimagh fail ho giya hay!

Chunacha phansi gar ney phanda galey mey pehna diya key

taar agiya: Malika Wiktoriya ki tajposhi ki khushi mey itney

qatil or itney qaidi chor diye jayen. Foran phansi ka phanda

nikal kar in ko takhtey sey utar kar riha kar diya giya. Udhar

ghar par kuhram macha hua tha or lash laney ka intizaam ho

raha tha key amjad ali qadri sahib phansi ghar sey seedhay

apney ghar aa puhnchey or kehney lagey: Nashta layiye! Mey

ney jo keh diya tha key ش  ـ آءاان وجل هلـل عز nashta ghar akar karun

ga. (Tajalliya imam ahmed raza p. 100 barkati publishers bab-ul-madina

Karachi)

Allah وجل ki un par rehmat ho or un key sadqey hmari bey عز

hisab maghfirat ho.

ا ني ب�ج� ني �ام� �� اال�م� ل��م �� الن���� س� و� ا�� ل�يه� و� � اهللا ت�ع�ا� ع� �" ص�

A hain dil aseer sey lab tak na ayi thi

Or aap dor aye giriftar ki taraf

(Zoq-e-Naat)

ل� و "� الح�ب� ص� � ا بي ا ع� �" ـه ص�د لـل� " م ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Page 13: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

9

Mushkil kusha ka deedar

Baaz Islami bhaiyon ka Bab-ul-Madina Karachi key eik muammar

katib Abdul Majid bin Abdul Malik peeli bheeti ney ye emman

afroz waqia sunaya: Meri umer us wqat 13 baras thi, meri soteyli

waldah ka zehni tawazun kharab ho giya tha, un ko zanjeeron

mey jakar kar chat par rakha jata tha, bohot ilaj karwaya magar

ifaqa na hua. Kisi key mashwarey par mey or merey walid

sahib wadah ko zanjeeron mey jakar kar ju tu peeli bheet sey

Barely Sharif tashreef laye, waldah musalsal galiyan bakey ja

rahi thi. A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا :ko dekhtey hi garj kar kaha رمحة

Tum kon ho? Yahan ku’n aaye ho? Aap ney intihai narmi sey

farmaya: Mohtarma! Aap ki behtri keliye hazir hua haun. Waldah

badsatoor garaj kar boli. Barey aye behtri karney waley! Jo

chahti haun woh behtri kar do gey? Farmaya: ش  ـ�آءا�ان وجل لـل  عز ه .

Waldah ney kaha:

“Mola Ali Mushkil Kusha ـ� م الـل ـکـريم ه تـعـاىل وجـهـ ه کـر ال ka deedar karadi!”

ye suntey hi A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ney apney shana mubarak

sey chadar sharif utar kar apney chehra mubarak par daali

ma’an (ya’ni foran) hatali. Ab hamari nazron key samney A’ala

Hazarat عليه   تعاىل  اهللا nahi balkey Mola Ali Mushkil Kusha رمحة

ـ� م الـل ـکـريم ه وجـهـتـعـاىل  ه کـر ال apna cehrah chamkatey kharey thay. Hamari

boorhi walda nihayat sanjidgi key sath jalwon mey gum thien,

mey ney or walid-e-mohtaram ney bhi khub ji bhar kar jagti

ankhon sey Mola Ali Mushkil Kusha ـ�  الـل م  وجـه  ه کـر ـکـريم ه ـتـعـاىل ال ki

ziyarat ki. Phir Mola Ali Mushkil Kusha ـ� م الـل ـکـريم ه تـعـاىل وجـهـ ه کـر ال ney

apni chadar mubarak apney chehra mubarak par daal kar hatai

Page 14: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

10

to ab A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا hamarey samney mutabassim رمحة

(ya’ni muskuratey) kharey thay. Phir A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا رمحة

ney eik shishi mey dawa ata farmai or irshad farmaya: 2 khurak

dawa hay, eik khurak mareeza ko dena agar zaroorat mehsoos

na ho to dusri khurak har giz mat dena.  لـحم ـال � ـ د وجل ـل  عز ه ! Hamari

waldah sirf eik khurak (ya’ni doez) mey tandrust ho gaien jab

tak zindah rahi koi dimaghi kharabi naa hoi. Allah وجل ki un عز

par rehmat ho or un key sadqey hamari behisab maghfirat ho.

ني اام ني � بج� � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Qismat mey lakhon beach hon so bal hazar kaj

Ye sari guthi ik teri seedhi nazar ki hay

(Hadaiq-e-bkhshish sharif)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Babarkat chawanni Eik baar A’ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan محن ر ـ ة ال ليه رمح ـع ko

hajiyon key istiqbal keliye Bandar’gah jana tha, tey shuda

suwari ko aney mey ta kher ho gai to eik iradat mand ghulam

nabi mistri bagher puchey tanga leney chaley gaye. Jab tanga

lekar paltey to door sey dekha key suwari achuki hay lehaza

tangy waley ko chawanni (eik rupee ka chothai hissa) dey kar

rukhsat kiya. Is waqia ka kisi ko ilm nahi tha. 4 roz key baad

mistri sahib Bargah-e-A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه mey hazir huye

Page 15: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

11

to A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ney inhain eik chawanni ata farmai.

Pucha: Kesi hay? Farmaya: Us roz tangy waley ko apney di thi.

Mistri sahib heran ho gaye key mey ney kisi sey is baat ka

mutlaq tazkirah nahi kiya phir bhi A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ko

maloom ho giya. Inhain is tarah soch mey dooba hua dekh kar

hazreen ney kaha: Miya babarkat chawwani kiyun chortey ho!

Tabarruk key tor par rakh lo. Jab tak woh babarkat chawanni

in key paas rahi kabhi paison mey kami naa hoi. (Mulakhas A’ala

Hazrat jild 3 p. 260 Maktaba-tul-Madina Bab-ul-Madina Karachi) Allah

وجل ki un par rehmat ho or un key sadqey hamari beyhisab عز

maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Hath utha kar eik tukra aye kareem!

Hain sakhi key maaldar mey haqdar hum

(Hadaiq-e- bakhshish sharif)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Qaid sey choot to gaye----!

Eik buriyah jo A’ala Hzarat Imam Ahmed Raza Khan عليه رمحة اهللا تعاىل

ki mureedni thien. In key shohor par qatal ka muqadma dayir

ho kar saza ka hukum ho giya tha key 5000 jurmana or 12 saal

qaid. Is ki apeal ki gai. Jab sey apeal hoi thi inka bayan hay key

mey rozana A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ki khidmat mey hazir hua

Page 16: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

12

karti thi. Faisley ki tarikh sey chand roz qabal bari bi pardey

mey lipti hoi Bargah-e-A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا mey faryad رمحة

lekar hazir hoin. Farmay: Kasrat sey وكيل ونعم ال .parihye حسبنا ا/�

Woh chali gaien. Darmiyan mey kai bar hazir hoin. Aap wahi

farma diya kartey. Yaha tak key faisley ki tarikh agai. Hazir ho

kar arz ki: Huzur! Aaj faisla hona hay, Farmaya: “Wahi parhiye.”

Bari bi wahi purana jawab sun kar kuch khafasi ho gaien or ye

Barbara tey huye chal di key jab apna peer hi nahi suntan to

dusra kon suney ga! Jab Aap رمحة اهللا تعاىل عليه ney ye kefiyat dekhi to

foran awaz dey kar bari bi ko bulaya or farmaya: Pan kha lijiye,

bari bi ney arz ki: Merey moo mey pan mojud hay. Aap عليه رمحة اهللا تعاىل

ney israr kiya lekin woh kuch naraz si thien. Phir Aap رمحة اهللا تعاىل عليه ney apney dast-e-mubarak sey pan barhatey huye farmaya:

Choot to gaye ab to pan kha lijiye! Ab bari bi ney khush ho kar

pan khaliya or ghar ki taraf chal dien. Jab ghar key qareeb

puhnchi to bachey dorey huye aaye or kehney lagey: Aap kaha

thien? Taar wala dhoondta phir raha hay, khushi mey ghar gaien

taar liya or parhwaya to maloom hua shohor sahib riha ho gaye

hain. (Hayat A’ala Hazrat jild 3, pp 202) Allah وجل ki un par عز

Rehmat ho or unkey sadqey hamari bey hisab Maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Tamanna hay farmaiye roz-e-mehshar

Ye teri rohai ki chitthi mili hay

(Hadaiq-e-bakhshish sharif)

Page 17: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

13

Beemar bakht baidar

Sayyad Qanat Ali Shah sahib kamzor dil key thay. Eik baar kisi

mareezkey khatarnak opretion ki tafseel sun kar sadmey sey

behosh ho gaye, lakh jitan kiye gaye lekin hosh na aya. A’ala

Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رمح ـع   ال ليه محن ر ـ ة ki khidmat mey

darkhuast pesh ki gai. Aap رمحة اهللا تعاىل عليه Sayyad zadey key sirhaney

tashreef laye. Nihayat hi sihfqat key sath in ka sar apni god

mey liya or apna mubarak roomal inkey chehrey par dala key

foran hosh agiya or ankhain khol dien. Zamaney key wali ki

god mey apna sar dekh kar jhoom gaye tazeem ki khatir uthna

chaha magar kamzori key sabab na uth sakey. Allah وجل ki un عز

par rehmat ho or un key sadqey hamari bey hisab maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Sar-e-baalain rehmat ki ada layi hay

Haal bigra hay to beemar ki ban ayi hay

(Zoq-e-Naat)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Dil ki baat jaan-li

Madina-tul-Murshid Bareilly Sharif mey eik sahib rehtey thay

jo buzurgan-e-din ko ahmiyat na detey thay or peeri mureedi

ko pait ka dhakosla kehtey thay. In key khandan key kuch

afrad A’ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رمح ـع   ال ليه ن مح ر ـ ة sey

Page 18: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

14

bait thay. Woh log eik din kisi tarah sey behla phusla kar in ko

A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ki ziyarat keliye ley chaley. Rastey mey

eik halwai ki dukan par garam garam amartiyan (mash key

ataiy ki mithai jo jalebi key mushaba hoti hay) tali ja rahi thi,

dekh kar in sahib key moo mey pani agaya. Kehney lagey: “Ye

khilao to chalunga.” In hazraat ney kaha wapsi mey khilayn

gey pehley chalo. Bahr haal sab log A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ki

Bargah mey hazir ho gaye.

Itney mey eik sahib garam garam amartiyon ki tokri leykar

hazir huye, fatiha key baad sab ko taqseem hoin. Darbar-e-

A’ala Hazrat  عل  تعاىل  اهللا يهرمحة ka qaida tha key Sadaat-e-Kiram or

darhi walon ko dugna milta tha, chunkey in sahib ki darhi nahi

thi lehaza in ko eik hi amarti mili. A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه ney

farmaya inko do dijiye. Taqseem karney waley ney azr ki:

Huzoor! In ki darhi nahi hay. Aap عليه رمحة اهللا تعاىل ney muskura kar

farmaya: “In ka dil chah raha hay, eik or dijiye.” Ye karamat

dekh kar woh A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه key mureed ho gaye. Or

buzurgan-e-din ki tazeem karney lagey. (Tajalliyat Imam Ahmed

Raza p. 101) Allah وجل ki un par rehmat ho or un key sadqey عز

hamari bey hisab maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Dil ki jo baat jan ley roshan zameer hay

Us Hazrat Raza ko hamara salam ho

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Page 19: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

15

Barish barasney lagi

A’ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رمح ـع   ال ليه محن ر ـ ة ki khidmat

mey eik nujumi hazir hua, Aap ney usey farmaya: Kahiye, Aap

key hisab sey barish kab aani chahiye? Is ney zaicha bana kar

kaha: Allah وجل har baat par Qadir hay woh chahey to aaj hi عز

barish barsa dey. Aap sitaron ko dekh rahey hain mey sitaron

key sath sath sitarey bananey waley ki qudrat ko bhi dekh raha

haun. Deewar par ghari lagi hoi thi Aap ney nujumi sey

farmaya: Kitney bajey hain? Arz ki: Sawa 11. Farmaya: 12 bajney

mey kitni dair hay? Azr ki: Pon ghanta. Farmaya: Pon ghantey

sey pehley 12 baj saktey hain ya nahi? Arz ki: Nahi, ye sun kar

A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا uthey or ghari ki soi ghumadi, foran رمحة

tan tan 12 bajney lagey. Nujumi sey farmaya: Aap to kehtey

thay key pon ghantey sey pehley 12 baj hi nahi saktey.

To ab kesey baj gaye? Arz ki: Aap ney soi ghumadi warna apni

rafter sey to pon ghantey key baad hi 12 bajtey. A’ala Hazrat

ney farmaya: Allah وجل Qadir mutlaq hay jis sitarey ko jis عز

waqt chahey jahan chahey pohncha dey. Aap ayandah mah

barish honey ka keh rahey hain or mera Rab وجل chahey to aaj عز

or abhi barish honey lagey. Zaban-e-A’ala Hazrat عليه   تعاىل  اهللا رمحة

sey itna nikalna tha key charo taraf ghanghoor ghat chaa gai or

jhoom jhoom kar barish barasney lagi. (Anwar-e-Raza p. 375 zia al

quran publications Lahore) Allah وجل ki un par rehmat ho or un عز

key sadqey hamari bey hisab maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Page 20: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

16

Mout nazdeek gunahon ki tumhey mail key khaul

Aa barus ja key naha dho ley ye pyasa tera

(Hadai-e-bakhshish shrif)

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Mazdoor shehzadah

Madina-tul-Murshid Bareilly Sharif key kisi mahallay mey

A’ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رمح ـع  محن ر ـ ة ال ليه mad’aw thay.

Iradat mandon ney yahan laney key liye palki ka ehtimam kiya.

Chuna-cha Aap عليه  suawr ho gaye or 4 mazdoor palki رمحة اهللا تعاىل

ko apney kandhon par utha kar chal diye. Abhi thori hi door

gaye thay key yaka-yak Imam Ahl-e-Sunnat عليه   تعاىل  اهللا ney رمحة

palki ko awaz di: “Palki rok dijiye” palki ruk gai. Aap رمحة اهللا تعاىل عليه

foran bahar tashreef laye or bharayi hoi awaz mey mazdoraun

sey farmaya:

Such such bataiye aap mey Sayyad zadah kon hay? Kiyun key

mera zoq-e-iman Sarwar-e-do-Jahan واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص. ki

khushbo mehsus kar raha hay, aik mazdor ney agey barh kar

arz ki: Huzur! Mey Sayyad haun. Abhi is ki baat mukammal bhi

na honey pai thai key ‘Alim-e-Islam key muqaddar peshwa or

apney waqt key ‘Azeem Mujaddid عليه   اهللا تعاىل ney apna ‘Imama رمحة

Sharif us sayad zadey key qadmon mey rakh diya. Imam Ahl-e-

Sunnat رمحة اهللا تعاىل عليه ki ankhon sey tip tip ansoo gir rahey hain or

hath jor kar iltija kar rahey hain: Muazziz Shehzadey! Meyri

Page 21: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

17

gustakhi maaf kar dijiye, bey khayali mey mujh sey bhool ho

gai, haye ghazab ho giya! Jin ki Nalen Pak merey Sar ka Taj-e-

‘Izzat hay, un (ya’ni shehzadey) key kandhey par mey ney

suwari ki, agar baroz-e-qayamat Tajdar-e-Risalat اهللا تعاىل عليه واله  وسلم ص.

ney puch liya key Ahmed Raza! Kiya merey farzand ka dosh-e-

naznain is liye tha key woh teri suwari ka bojh uthaye?

To mey kiya jawab doo ga! Us waqt Maidan-e-Mehshar mey

merey namos-e-ishq ki kitni zabardast ruswai hogi. Kai baar

zaban sey maaf kardey ney ka iqrar karwa leney key baad

Imam Ahl-e-Sunnat عليه   تعاىل  اهللا :ney akhri iltijay shoq pesh ki رمحة

Mohtaram Shehzadey! Is laa-shawri mey honey wali khta ka

kuffarah jabhi ada hoga key aap palki mey suwar hon gey or

mey palki ko kandha doo ga. Is iltija par logon ki ankhon sey

ansoo behney lagey or baaz ki to cheekhain buland ho gai.

Hazar inkar key baad akhir kaar Mazdoor Shehzadey ko palki

mey suwar hona hi para. Ye manzar kis qadar dil sooz hay,

Ahl-e-Sunnat ka jalil-ul-qadar Imam mazdooron mey shamil

ho kar apni Khudada ilmiyat or alamgeer shohrat ka sara izaz

khushnudi Mehboob واله   عليه  تعاىل  اهللا وسلم ص. ki khatir eik gumnaam

mazdoor shehzadaey key qadmon par nisar kar raha hay!

(Anwar-e-Raza pp 415) Allah وجل ki un par Rehmat ho or un key عز

sadqey hamari bey hisab Maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل�يه و� ! الن��# � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ل��مص� س� و� ا(

Teri nasl-e-pak mey hay bacha bacha noor ka

Tu hay aiyn-e-noor tera sab gharana noor ka

Page 22: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

18

Dunyuwi ‘Uloom mey Maharat ki nadir Hikayat

Mithey mithey Islami bhaiyon! Jis ki ulfat Al-e-Rasool ki ye

halat ho us key Ishq-e-Rasool    اهللا  واله ص.  عليه وسلم تعاىل ka kon andaza

laga sakta hay! Imam Ahl-e-Sunnat رمحة اهللا تعاىل عليه jahan eik Ashiq-

e-Rasool or bakaramat wali thay wahien eik zabardast Alim-e-

Din bhi thay, kam-o-besh 50 uloom par Aap    اهللا  عليهرمحة تعاىل ko

kamil dastris (ya’ni maharat) hasil thi. Dini ‘uloom ki barkat

sey dunyawi ‘uloom khud agey barh kar Aap key qadam

choomtey thay. Is zaman mey eik heyrat angaiz waqia parhiye

or jhoomiye. Chuna-cha Ali Garh University wais chancaller

Doctor Sir Ziauddin ney Europe mey taleem hasil ki thi or

barr-e-saghir key saf-e-awal key riyazi dano mey sey eik thay.

Ittifaq sey riyazi key eik masley mey inko mushkil pesh ayi.

Bohtayra sar khapaya magar hal samjh mey na aaya. Chuna-cha

Germani ja kar is masley ko hal karney ka qasad kiya. Hazrat

Allama Sayyad Suleman Ashraf Qadri Razwi رح ـع  ـ� ة م ـليه ـقـوی ه الـل ال is

dor mey University key Shuba Diniyat key nazim thay. Inhoney

doctor sahib ko mashwarah diya bal-key israr kiya key aap

Germani janey ki takleef uthaney key bajaye yahan sey chund

ghantey ka safar kar key Bareilly Sharif chal kar Imam Ahl-e-

Sunnat Hazrat Moulana Imam Ahmed Raza Khan رمح ـع   ال ليه محن ر ـ ة

sey apna masla hal karwa lijiye. Doctor Sahib ney herat sey

kaha key aap kiya keh rahey hain! Kiya ye Riyazi ka masla koi

esa moulana bhi hal kar sakta hay jis ney kabhi college ka moo

tak na dekha ho, Na baba! Bareilly sharif ja kar apna waqt zaya

nahi kar sakta. Magar Sayed Suleman Shah Sahib عليه   تعاىل  اهللا رمحة

Page 23: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

19

key pahem israr par woh in key sath Madina-tul-Murshid Bareilly

Sharif hazir ho gaye. Imam Ahle-e-Sunnat ki �� ��  ع�� �����  ��  ��� ���� bargah

mey haziri di.

Aap ki tabiyat Na-saaz thi lehaza doctor sahib ney arz ki:

Moulana! Mera masla behad pecheeda hay, eik dam daryaft

karney jesa nahi, zara itminan ki soorat ho to arz karun. Aap

����  ع�� �����  ��  ��� �� �� ney farmaya: Aap bayan kijiye. Doctor Sahib ney

masla pesh kiya Imam Ahl-e-Sunnat ����  ع�� �����  ��  ��� ���� ney foran iska

jawab irshad farma diya, jawab sun kar doctor sahib saktey

mey aagaye or beyikhtiyar bol uthay key aaj tak ���� لم� �� ya’ni) ع�

Allah ������� ����� ki taraf sey barah-e-raast milney waley ilm) ka

suntey to thay magar aaj ankhon sey dekh liya. Mey to is masley

key hal keliye Germani janey ka azm bil jazm kar chukka tha

magar Hazrat Moulana Sayyad Suleman Ashraf Qadri Razwi

Sahib ����  ع�� �����  ��  ��� �� �� ney meri rehbari farmai. Imam Ahl-e-Sunnat

ney apna eik qilmi risala mangwaya jis mey aksar musallson or

dairaun ki shkalayn bani hoi thi, doctor sahib behr-e-herat

mey gharaq huye ja rahey thay. Kehney lagey: Mey ney to is

ilm ko hasil karney keliye mulk ba mulk safar kiya, bara rupia

kharch kiya, Euorpean Asa-tizah ki jutiyan seedhi ki tab kuch

maloomat hoi magar aap key ilm key agey to mey mahez eik

tifl-e-maktab (ya’ni madarsey ka bacha) haun. Ye to irshad

farmaiye, is fan mey aap ka ustaad kon hay? Farmaya: koi ustaad

nahi. Apney walid majid ����  ع�� �����  ��  ��� �� �� sey char qaidey Jama

Tafreeq, Zarb or Taqseem is liye seekhey thay key tarkey (ya’ni

wirasat) key masail mey in ki zaroorat parti hay. Sharh-e-

Page 24: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

20

chughmini shuru hi ki thi key Walid Sahib عليه   تعاىل  اهللا ney رمحة

farmaya: Kiyun waqt zaya kartey ho Sarkar-e-Madina  تعاىل   اهللا ص.

وسلم عليه واله key darbar sey ye ‘uloom tum ko khud hi seekha diye

jayn gey. Chuna-cha aap jo kuch mulayhza farma rahey hain ye

sab Sarkar-e-Risalat Ma’ab اهللا تعاىل عليه واله  وسلم ص. hi ka karam hay.

Masail zeesat key jitney bhi thay paicheedah paicheedah

Nabi key ishq ney hal kar diye poshidah poshidah

Doctor Sir Ziauddin Sahib par Imam Ahl-e-Sunnat تعاىل عليه رمحة اهللا

ki Jalalat-e-Ilmi or khush khulqi ka is qadar asar hua key

unhoney Som-o-Salat ki pabandi shuru kar di or chehrey par

darhi bhi sajali. (Mulakkhas az hayat A’ala Hazrat, jild 1, pp 222-229)

Allah وجل ki un par Remat hi or un key sadqey hamari bey عز

hisab Maghfirat ho.

ا ني بج� ني �ام � اال�م ل��م ! الن��# س� و� ا( ل�يه و� � اهللا� ت�ع�ا� ع� �� ص�

Nigah-e-Wali mey woh taseer dekhi

Badalti hazaron ki taqdeer dekhi

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Page 25: Breily say madina.roman urdu

Bareilly Sey Madina

21

Manqabat A’ala Hazrat رمحة اهللا تعاىل عليه

Tu ney batil ko mitaya aye Imam Ahmed Raza

Din ka danka bajaya aye Imam Ahmed Raza

Dor-e-batil or zalalat hind mey tha jis ghari

Tu mujadid ban key aya aye Imam Ahmed Raza

Ahl-e-Sunnat ka chaman sar sabz shadab tha

Or rang tum ney charahaya aye Imam Ahmed Raza

Tu ney batil ko mita kar din ko bakhshi jila

Sunnataun ko phir jalaya aye Imam Ahmed Raza

Aye Imam Ahl-e-Sunnat! Naib Shah-e-Umam!

Kijiye hum par bhi saya aye Imam Ahmed Raza

Ilm ka chashma hua hay moj zan tahreer mey

Jab qalam tu ney uthaya aye Imam Ahmed Raza

Hasher tak jari rahey ga faiz ku’n key tum ney hay

Faiz ka darya bahaya aye Imam Ahmed Raza

Hey Badar Gah-e-Khuda Attar ajiz ki du’a

Tum pay ho rehmat ka saya aye Imam Ahmed Raza

�و ل� �� الح�ب ص� � ا بي ا ع� �� ـه� ص�د لـل� � م�ح�م�� ت�ع�ا� ع�

Page 26: Breily say madina.roman urdu