6
Khutbah E Nikah (Explanation)

Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

  • Upload
    others

  • View
    55

  • Download
    2

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

Khutbah E Nikah (Explanation)

Page 2: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

KHUTBA E NIKAH EXPLANATION

2

www.livequraneverymoment.org

ن الرهحيم الرهح بسم اللهKhutba -E- Nikah

Khutba e Nikah Masnoon Hai, According To Majority Of Scholars. Khutba Nikah Mustahab Hai,

Recommended Hai. Ye Aisi Practice Rahi Jo Sahaba Akram Nikah Ke Waqt Dete Aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Bhi

Sikhaya. Ibn Masood Ne Isko Padha To Isi Wajeh Se Iska Naam Khutba e Ibn Masood Ke Naam Se

Mashoor Hai. Masnoon Hai ka Kya Matlab Hai? Khutba e Nikah Ke Baghair Bhi Nikah Hojayega,

Yaani Ye Khutba Nahi Padha Jayega To Bhi Nikah Ho jaayega, Lekin Ye Sahaba Ki Practice Rahi. Ye

Bohut Hi Recommended Cheez Hai, Ki Nikah Ke Waqt Isko Padha Jaaye. Ye Khutba Koi Bhi Padh

Sakta Hai, Ladke Ke Side Se Bhi Koi Padh Sakta Hai, Khud Ladka Padh Sakta Hai.

Ye Hamd Aur Teen Aayatein Hai

نحمده ونستعينه من شرور أنفسنا ونستغفره ونعوذ بالل إن الحمد لل

فل مضل ومن سيئات أعمالنا له ومن يضلل فل هادي من يهده للا

وحده ل شريك له وأن له وأشهد أن ل إله دا عبده إل للا محم

ورسوله Tamaam Ta’arifein Allah Keliye Hai Hum Uski Ta’areef Karte Hai Aur Usse Maafi Aur Madad

Talab Karte Hai, Hum Panah Maangte Hai Allah Azzawajal Ki Khud Ki Burayiyo Se Aur Tamaam

Bure Kaamo Se Jise Bh Allah Ki Hidayat Mile Usey Usey Koi Gumrah Nahi Kar Sakta Aur Jisey

Allah Ne Gumrah Kiya Usey Koi Hidayat Nahi De Sakta Hum Gawahi Dete Hai Ki Ibadat Ka

Haqdaar Sirf Allah Hai Aur Koi Uska Shareek Nahi Hai Aur Gawahi Dete Hai Ki Mohammad

Allah Ta’ala Ke Bande Aur Rasool Hai Aur Allah Apni Salamati Bheje Apne Aakhri Nabi Par ملسو هيلع هللا ىلص

Aur Unke Ahl O Ayal Par Aur Unke Sahaba Par

Surah Aale Imran Ayat – 102

ها ي

أ ين ٱ ي له ٱ ءامنوا قوا ٱ ته حقه لله نتم إله تموتنه ول ۦتقاته

سلمون وأ ١٠٢م

Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Daro Allah Se Jaise Ke Haq Hai Usse Darne Ka Aur Na Tum Marna

Is Haal Me Ke Tum Musalman Ho

Page 3: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

KHUTBA E NIKAH EXPLANATION

3

www.livequraneverymoment.org

Surah Nisa Ayat- 1

ها ي

أ ٱ نلهاس ٱ ي قوا كم ته يٱ ربه ن خلقكم له فس م حدة نه وجها منها وخلق و وبثه ز ٱو ونساء كثريا رجال منهما قوا ٱ ته يٱ لله تساءلون له رحام ٱو ۦبه

ٱ إنه ل عليكم كن لله

١رقيبا

Aye Logo Daro Allah Se Jo Rab Hai tumhara, Jisne Paida Kiya Tumko Ek Nafs Se, Aur Paida Kiya

Usse Tumhara Joda Aur Phaila Diya Un Dono Se Bohut Saare Mard Aur Bohut Saari Aurtein Aur

Daro Allah Se Wo Zaa , Tum Sawal Karte Ho Saath Uske Aur Rehmi Rishton Ke Baare Me Bhi Daro

Beshak Allah Ta’ala Tumhaare Upar Nigehbaan Hai

Surah Al Ahzab 70-71

ها ي

أ ين ٱ ي له ٱ ءامنوا قوا ٱ ته لله لكم لكم يصلح ٧٠سديدا قول وقولوا عم

لكم ويغفر أ ٱ يطع ومن ذنوبكم رسول لله زا فاز فقد ۥو ٧١عظيما فو

Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Daro Allah Se Aur Kaho Baat Durust, Wo Durust Kardega Tumhaare

Maamle Aur Baqshdega Tumhare Liye Tumhare Maamle Ko Aur Jo Koi Ita’at Karega Allah Ki Aur

Rasool Ki Toh Tahqeeq Usne Kaamyaabi Paali, Bohut Badi Kaamyaabi.

Khutba e Nikah Ke Waqt Ye Teen Aayaton Ko Choose Kiya Gaya Hai Aur In Teen Aayaton Me Chaar

Dafa Taqwe Ka Zikr Hai. Inhi Teen Aayaton Ko Specifically Choose Kyun Kiya Gaya Hai? Isme Kya

Yaad Dihaani Hai Aur Kya Taleem Hamare Liye Hai? Sabse Pehle Hamd Tamaam Tarifein Aur Shukr

Allah Ta’ala Keliye Hai. Nikah Ek Contract Hai, Isko Karne Se Pehle Allah Ta’ala Ko Yaad Karna

Chahiye Allah Ke Ehkamat Ko Yaad Karna Chahiye Aur Allah Se Darte Hue Sab Kaam Karna Hai.

Shaadi Ke Mauqon Par Ye Ayatein Isliye Choose Ki Gayi Hai Kyun Ke Iski Shuruat, Balke Saari Zindagi

Allah Ke Ahkamat Par Chalna Hai, Iski Depth Ko Samajhna Hai.

Yahan Pe Hum نحمده Hamd Aur Sana Ke Saath Shuru Kar Rahe Hai . Ye Khushi Ka Mauqa Hai إن الحمد لل

Shaadi Ka Mauqa Hai, Ye Khushi Mujhe Mere Rab Ne Ata Ki Hai Phir ونستعينه Hum Uski Madad

Maangte Hai , Kyun ? Kyun Ke Isme Ek Naya Safar, Isme Har Naye Modh Par, Har Marhale Par, Har

Zimmedaari Par Allah Ki Madad Chahiye Aur Allah Ki Madad Ke Bina Ek Successful Life, Ek Successful

Aakhirat Nahi Hosakti.

Kyun? Kyun Ke Hum Allah Se Maafi Maangte Hai, Sab Kaam Agar Hum Allah Ta’ala Ke ونستغفره

Ehkamat Ke Mutabiq Bhi Kare To Bhi Kahin Na Kahin, Koi Na Koi Chook Reh Jaati Hai, Kami Kotahi

Hojaati Hai. Aap ملسو هيلع هللا ىلص Jinke Agle Pichle Gunah Maaf Hogaye The Wo Bhi Din Me 70 Se Zyaada Baar

Maafi Maangte The, Phir Hamara Kya Rawayya Hona Chahiye, Aur Khaas Taur Se Shaadi Ke Mauqe

Par, Shaadi Ki Preparation Me Hamari Ibadatein Kis Tarah Ki Direction Me Jaarahi Hai, Hamari

Page 4: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

KHUTBA E NIKAH EXPLANATION

4

www.livequraneverymoment.org

Namazein Etc.. Jitna Bhi Hum Maamla Karle, Log Jab Jama Hote Hai, Milte Hai Toh Kahin Na Kahin

Oonch Neech Hojaati Hai, Ye Saari Cheezon Se Naake Ehtiyat Karna Balke Inse Maafi Bhi Maangna

Hai.

من شرور أنفسنا ومن سيئات أعمالنا ونعوذ بالل

Aur Hum Panah Chahte Hai Allah Ta’ala Se Apne Nafs Ke Sharr Se Aur Bure Aamal Se. Kyun? Kyun

Ke Nafs Ka Sharr Hamare Andar Hai, Jaise Hasad Hai, Negative Thinking Hai, Jhoot Hai , Takabbur

Hai, Ye Hamare Andar Se Aati Hai Toh Phir Kya Hota Hai Miya Biwi Ka Rishta Hota Hai To Ek Azwaji

Zindagi Me Ek Doosre Ke Saath Compromise Nahi Karte, Kyun Ke Hamara Nafs Beech Me Aata Hai

Isliye Yahan Par Beginning Me Hi Nafs Ke Sharr Se Jo Hai Panah Maangi Ja Rahi Hai Taake Aage

Jaakar Kisi Ka Bhi Haq Ada Karne Me Ye Nafs Beech Me Na Aaye Aur Ek Doosre Ke Huqooq Bina

Rukawat Ke Is Sharr Ke Bina Ada Kiye Jaaye.

فل مضل له ومن يضلل فل هادي من يهده للا

Agar Hidayat Nahi Maangenge To Nahi Milti Hai. Hidayat Maangne Se Allah Ta’ala Hidayat Dedete

Hai. Aur Sahi Raasta , Sahi Guidance , Duniya Me Bhi Miljaati Hai Aur Aakhirat Me Bhi Miljaati Hai

Aur Jo Nahi Maangte Hidayat Wo Gumrah Rehte Hai Duniya Me Bhi Aakhirat Me Bhi Isiliye Sabse

Important Cheez Hidayat Maangi Jaarahi Hai Ke Allah Ta’ala Hidayat Ata Karde Taake Hum Apni

Zindagi Me Shuruaat Karsake, Har Modh Par Aap Madad Bhi Kariye Aur Hidayat Bhi Kariye.

Ab Uske Baad Kalimah Shadad Hai

وحده ل شريك له وأن وأشهد أن ل إله دا عبده إل للا ورسوله محم

Kyun? Allah Ta’ala Hi Ek Ilaah Hai, Allah Ko Hi Jawab Dena Hai To Allah Ke Saamne Khade Hona Hai,

Lautke Allah Ke Paas Jaana Hai To Zindagi Ka Har Marhala , Har Amal Jo Hai Allah Ke Ehkamaat Ke

Mutabiq Karna Hai, Second Part Me Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Apna Rasool Maanna Hai Aur Maan Rahe Hai Aur

Iqraar Ho Raha Hai Kyun? Kyun Ke Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki Zindagi Me Wo Kaise Maamle Karte Apni Azwaji

Zindagi Me Kaise Rehte The Biwiyon Ke Saath Kya Sulook Karte The Wo Hamare Liye Example The

Unko Hamare Liye Example Set Karte Hue Apni Aage Ki Zindagi Guzaarna Hai. Surah Aale Imran

Ayat 102 Me ٱلله قوا ٱته ين ءامنوا ها ٱله ي

أ Ab Yahan Par Beginning Me Taqwa Iqtiyaar Karo , Daro Allah -ي

Se Bataya Hai. Taqwa Hai Allah Se Darna Aur Mohabbat Karna. Allah Ke Darr Se Tamaam Bure

Kaamo Se Bach Jaate Hai, Aur Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karna. Ye Taqwa Jo Hai Isi

Mohabbat Isi Darr Ke Saath Apne Tamaam Maamlaat Ko Deal Karna Hai. Phir Allah Ta’ala Aage

Batate Hai ۦ Jaise Haq Hai Usse Darne Ka. Agar Waaqe Hum Uska Haq Ada Kar Rahe Hai حقه تقاته

Taqwe Ka Toh Yahan Sawaal Karna Hai Taqwe Ke Level Ko, Itna Badhana Hai Jaise Ke Haq Hai Uska

Page 5: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

KHUTBA E NIKAH EXPLANATION

5

www.livequraneverymoment.org

سلمون نتم م

Aur Na Tum Marna Is Haal Me Ke Tum Musalmaan Ho. Aisa Kyun Kaha Jaraha ول تموتنه إله وأ

Hai? Yahan Kyun Ke Nayi Zindagi Shuru Ho Rahi Hai, Dil Jo Hai Apne Spouse Ki Mohabbat Me Bhar

Jaayega Aisa Na Ho Ke Is Mohabbat Me Allah Ko Bhoolo Hamesha Hamesha Keliye Allah Ta’ala Ke

Musalmaan Bankar Raho Allah Ko Supurd Karke Apni Zindagi Jiyo Ek Doosre Ki Mohabbat Me Allah

Ta’ala Ko Mat Bhoolo -Aye Logo Daro Allah Se Jo Us Zaat Se Yaani Adam A.S Se Adam A.S Ki Biwi

Ko Banaya Aur Phir Phailadiye Undono Se Mard Aur Aurtein Bohut Se. Yahan Pe Bataya Ja Raha Hai

Ke Mard Aur Aurat Ko Dono Ko Ek Jaan Se Banaya Gaya Hai. Phir Ek Doosre Ki Respect Karo Aur

Khaas Taur Se Aurton Ke Baare Me Hai Ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Husne Sulook Ka Maamla Kaha, Kaha Jaa

Raha Hai Ke Wo Bhi Tumhaari Tarah Insaan Hai. Usse Narmi Aur Raham Ka Maamla Kare. Dono Ek

Jaan Se Hai To Dono Ek Doosre Ke Saath Acchai Se Maamla Kare. Phir Daro Allah Se Wo Zaat Tum

Sawal Karte Ho Rishte Daariyon Ke Baare Me Daro, Rishte Daariyan Mat Kaato. Yahan Bataya

Jaraha Hai Ki Naye Rishte Bante Hai Toh Naye Rishton Ko Acchai Se Baandho, Naye Rishton Ko Acche

Se Jodo Naye Rishton Ki Chakkar Me Puraane Rishton Ko Mat Bhoolo. Rishte Todna Bohut Bada gunah

Hai, Kabira Gunaho Me Se Hai. Purane Rishton Keliye Naye Rishte Mat Todo Aur Naye Rishton Ke liye

Puraane Rishte Mat Todo. Naye Rishte Jo Judh Rahe Hai Unko Ehsaan Ke Saath, Khoobsurti Ke Saath

Jodo

Aage Ki Aayat Kya Hai -Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Kaho Baat Durust Durust Yaani Dhoke Se Naye

Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat

Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek Trust Ke Upar Hota Hai, Durust Baat Karo, Jhoot, Tedi Medi, Upar Neeche

Ki Baat Karke Ek Doosre Ko Dhoka Mat Do Aur Hamesha Jab Bhi Koi Baat Karo Insaaf Ki Baat Karo.

Aisa Karoge To Tumhaare Aamal Ko Durust Kardenge, Tumhaare Maamlon Ko Durust Kardenge

Tumhaare Gunah Baqsh Denge Aur Jo Koi Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Ita’at Karega Allah Ke Ehkamat

Se Apni Zindagi Guzaarega Aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Zindagi Ko Example Banakar Apni Zindagi Set Karega

Usko Bohut Badi Kaamyaabi Milgayi. Duniya Ki Kaamyaabi Bohut Choti Hai Magar Aakhirat Ki

Kaamyabi Badi Hai.

Page 6: Khutbah E Nikah (Explanation) - Darul Arqam€¦ · Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek

KHUTBA E NIKAH EXPLANATION

6

www.livequraneverymoment.org

Nikah Jab Hojata Hai To Dulha Dulhan Ko Congratulate Karne Keliye Aap - ملسو هيلع هللا ىلص Ne Dua Sikhaayi

Hai –