12
Tafseer Soorah Al Hujrat Prophet Muhammad s.a.w said-‘The best among you are those who have the best manners and character.’ (Saheeh Al Bukhari, Book #73, Hadith #56)

Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Tafseer

Soorah Al Hujrat

Prophet Muhammad s.a.w

said-‘The best among you are

those who have the best

manners and character.’

(Saheeh Al Bukhari, Book

#73, Hadith #56)

Page 2: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 2

Ayaat – 18 Ruku- 2

Surah-Al Hujarat Surah -49 Madani

Hujuraat=Hujrah Ki Jama Hai (Plural) Rooms

Hujrah =Room

Hijrat Ke 9th Year Mein Nazil Hui.

Ye Hujuraat Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Azwaaj Mutaharaat Ke The

Walid Bin Abdul Malik Ki Hukumat Mein In Hujuraat Ko Masjid E Nabawi Me Shamil Karliya Gaya.

Is Surah Ka Buniyaadi Theme Islaamic Society Ki Tarbiyat Karna

(Social Manners)

Ma’ashrey (Society) Ko Bulandiyon Par Pohunchaane Waale Saare Manners Is Surah Mein Milengi .

Ye Surat Bohut Important Hai Kyun Ke Isme Ahkamaat Hai.

Is Surat Mein Buniyaadi Akhlaaq Bataye Jarahe Hai.

Adaab Muashrey Sikhaaye Jaarahe Hai.Isliye Is Surah Ka Naam Suratul Akhlaq Bhi Hai.

Akhlaq-Kirdaar (Momin Ka Character)

Akhlaaq Ki 4 Basic Points- Islaam, Iman, Taqwa Aur Ehsaan

Islaam- Salamati /Itaat ,Farmabardaari

Imaan-Yaqeen/Haq Aur Sach Jaanna Aur Sache Dil Se Maanna Imaan Hai Allah Ke Wajood Par ,Rab Hone Par Tanha Hone Par Aur Jo Kuch Bhi Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Par Utara Wo

Allah Ki Taraf Se

Taqwa- Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karna Aur Allah Ki Naraazgi Se Dar Kar Bure Kaam Chodhna EAhsaan-Apne Haq Se Kam Lena Aur Doosron Ke Haq Se Zyaada Dena

Is Sure Ka Subject Musalmano Ko Un Aadaab Ki Taleem Dena Hai Jo Ahle Imaan Ki Shaan Hai.

Isme Bohut Saare Social Manners Momino Ko Sikhaaye gayeHai.

Tamaam Momino Ko Aapas Mein Bhai Bhai Qaraar Diya Gaya.

Saari Buraiyon Ka Zikr Hai-

Khaas Taur Se Uska Zikr Kiya Gaya Hai Jo Apas K Talluq Ko Kharab Karti Hai Jinme- Gheebat, Chughli, Badgumaani, Tana-zani, Mazak Udaana, Ek Doosre Par Tana Karna, Ek

Doosre Ke Bure Naam Rakhna. Mard Aur Aurat Dono Ko In Sab Se Roka Gaya Hai Ye Tamaam Kaam Jo Apas Ke Talluqaat Ko Kharaab Karti Hai In Buraiyaon Se Bachne Ki Talqeen Ki Gayi Hai.

Iske Baad Allah Ta’ala Ne Is Burai Ki Jadh Kaat Di Hai.

Tamaam Insaan Ek Hi Asal Se Paida Hue .

Qaumo Aur Qabeelon Mein Taqseem Hona Introduction Ke Liye Hai Na Ke Faqr Keliye.

Ek Insaan Ko Doosre Insaan Par Fazeelath Unke Akhlaaq Aur Aamaal Ki Wajeh Se Hai Na Ke Qabele Ya Qaum Ki Wajeh Se.

Momino Ko Ek Quwwat Mein Baandh Diya Gaya Hai .

Aakhir Mein Bataya Gaya Asal Cheez Imaan Ka Zabani Dawah Nahi Balke Sache Dil Se Allah Aur Rasool Ko Maanna Amalan Farmabardar Bankar Rehna Hai.

Ye Surah Insaan Ke Liye Ek Aina Hai

Page 3: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Ruku -1 Ayat 1 – 10

Ye Pheli Surat Hai Tawaal Mufassil Mein.

Tawaal Mufassil =Yaani Thodi Lambi (Yaani Zyaada Lambi Nahi) Surah Hujuraat Se Surah Naziyaat Tak Tawaal Mufassil Hai .Inka Fajr Ki Namaaz Mein

Padhna Masnoon Wa Mustahib Hai.

Awsath Mufassil =Yaani Na Lambi Hai Na Choti Hai . Surah Abasa Se Surah Shams Tak Awsath Mufassil Hai.Inka Zohar Aur Isha Mein Padhna

Masnoon Wa Mustahib Hai.

Khisaar Mufassil =Yaani Choti Surtein. Surah Duha Se Surah Naas Tak Khisaar Mufassil Hai. Inka Maghrib Mein Padhna Mustahib

Hai.

Wo Haalaat Jin Mein Ye Surah Nazil Hui

Khitaab Agarche Aam Musalmaano Se Hai Lekin Is Surah Mein Un Badduon Ke Baare Mein Nazil Hui Jo Madina Ke Atraaf Wo Baddu Qabail Ke Log Hai Jo Islaam Ki Ubharti Hui Taaqat Se Mutasir Hokar Musalmaano Mein Shamil To Hogaye Lekin Abhi Imaan Unke Dil Mein Racha Basa Nahi Tha

Iski Wajeh- Ye Log Islaam Ko Samajhkar Nahi Balke Isse Mutaasir Hokar Islaam Mein Daakhil Hue The Madinah Se Door Rehne Ki Wajeh Se Unki Tarbiyat Nahi Hui Thi Ek Ghalat Qism Ki Ghalat Fahmi Thi Ke Wo Islaam Khubool Karke Rasool Par Ehsaan Kiye Jab Madina Aate Toh Is Andaaz Se Aap ملسو هيلع هللا ىلص Se Baat Karte Apni Awaz Oonchi Karte Apna

mashwara Dene Ki Koshish Karte, Aap ملسو هيلع هللا ىلص Se Pehle Apni Raaye Dete. Baaz Awqaat Aisi Khabrein Pahunchate Jo Ghalat Fahmi Paida Karne Waali Hoti Musalmaano Ki Ijtemayi Zindagi Keliye Bohut Hi Nuqsaan Pahunchta. Ye Wo Haalaat Hai Jinme Ye Surah Nazil Hui

Ayat -1

موا د Na Pesh Qadmi Karo/Na Aage Badho-لا تقا

وا ٱتقوا ٱللا-Aur Daro Allah Se

ليم ميع عا Sunne Waal Hai Jaanne Waala Hai-سا

Yahan Mumaaniyat Allah Ke Rasool Ke Saamne Rai Pesh Karne Ki Nahi Balke Rai Pesh Karne Mein Pehel Karne Ki Hai-

Iski Beginning Hi Bohut Hi Powerful Hai, Strong Hai.Allah Ke Hukum Se Iski Beginning Hoti Hai.

Imaan Waalon Ko Khitaab Kiya Jaraha Hai.

Bataya Jaraha Hai Ke Na Aage Badho Allah Aur Rasool Se Yaani Peeche Chalo Follow Karo Taabe Bankar Raho Yaani Allah Aur Rasool Ki Baat Maano Unke Hukm Ke Khilaaf Koi Baat Ya Kaam Na Karo Apni Rai Mat Do, Apna Opinion Mat Do. Quran Aur Sunnat Ke Against Koi Baat Na Kare Kyun Ke Sab Se Durust Baat Quran Ki Hai.

Lesson =Allah Aur Rasool Se Aage Badhkar Apni Marzi Na Karo Allah Se Daro .Yaani Jab Deen Ka Koi Hukum Hamare Saamne Aajaye Toh Hamara Rawayya Ye Nahi Hona Chahiye Ke Mera Khayal Ye Hai Meri Rai Ye Hai Ya Mujhe Ye Pasand Hai Kya Hona Chahiye Sami’ana Wa Ata’ana Humne Suna Aur Humne Ita’at Ki Kyun Ke Yehi Haq Hai, Sach Hai.

Pas Quran Aur Sunnat Ke Aage Apni Raaye Na Do

Page 4: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Ayat -2

Is Ayat Ke Nazil Hone K Peeche Ye Hai Ke

Qabeela E Banu Tameem Ke Kuch Log Hazir Hue, Aur Baat Ye Thi K Hakim Kisko Banaya Jaaye

Abu Bakr Siddique R.A Ne Ek Rai Di Aur Omer R.A Ne Ek Rai Di Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Faisla Karne Se Pehle , Dono Discuss Karne Lage Tab Ye Ayat Nazil Hui.

Talqeen Ki Jaarahi Hai Ke Nabi ملسو هيلع هللا ىلص Ke Aage Buland Awaz Na Karna Yaani Sahaba Ko Chahiye Ke Wo Aap S.A.W.S. Ke Saamne Past Awaz Mein Baat Karen Badttameezi Se Baat Na Karen. Aisa Karenge Toh Aamaal Zaya Hojayenge.

Jab Ye Ayat Nazil Hui Toh Sabith Bin Qais Kayi Din Tak Nazar Nahi Aaye.

Lesson =Ye Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Daur Keliye Tha Hamare Liye Kya Hukum Hai? Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki Ahadees Jahan Padhi Jarahi Ho ,Aapki Seerat Padhayi Jarahi Ho,Toh Khamoshi ,Ghaur Se Sunna Chahiye Aur Concentrate Karna Hai Usse Sabaq Lena Hai , Ya Aapka Zikr Mubarak Kiya Jaraha Ho Toh Apni Awazon Ko Pasth Rakhna Hai Aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص Par Duroodh Bhejna Chahiye.

Munafiq- Ki Nishaani- Jab Baat Kare Toh Jhoot Bole Jab Wada Kare Toh Wada Khilafi Kare Jab Jhagda Kare To Gaali De

Musalmaano Ke Aqlaaq Kaise Ho- Jab Baat Kare Toh Awaz Oonchi Na Ho Yaani Awaaz Ko Buland Karke Baat Na Karo Cheekhkar Baat Karna Gadhe Ki Awaaz Ke Barabar Hai Jab Ghussa Aaye Toh Khamosh Hojao In Saari Cheezon Se Bachna Chahiye

Ayat – 3

Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Ke Maamle Mein Sahi Adab Ki Taleem

Kin Logon K Liye Ajr Azeem Hai Jo Log Rasool ملسو هيلع هللا ىلص K Huzoor Baat Karte Hue Apni Awaaz Ko Pasth Rakhte Hai.

Dar Haqeeqat Wahi Log Hai Jinke Dil Ko Allah Ne Taqwa Keliye Jaanch Liya Hai Yaani Jinki Volume Low Hojaati Hai Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Aage Toh Unko Taqwa Keliye Select Karte Hai. Unke Liye Maghfirat Hai Aur Ajr Azeem Hai.

Lesson =Quran Aur Sunnat Ki Roshni Mein Jo Bhi Leader Decision Lete Hai Uski Respect Ki Jayegi.

Ayat – 4

Kam Aqlon Ke Ek Na Shaista Tareeqe Par Inko Tambi

Ye Ayat Qabila-E-Banu Tameem Ke Baaz Airabiyon Yaani Gawaar Qism Ke Logon Ke Baare Mein Nazil Hui.

Jo Dehat Se Aaye Hue Baddho Log The

Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Ke Bahar Aane Tak Intezaar Karne Ko Apni Shaan Ke Khilaaf Samjha .

Ya Mohammed Ya Mohammed Kehkar Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Hujron Ke Bahar Awazein Dene Lage

Sahaba Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka

Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai.

Lesson=Hum Aisa Rawayya Ikhtiyaar Na Kare Jisse App ملسو هيلع هللا ىلص Ki Be Adbi Hoti Ho .Isi Tarah Masjid E Nabawi Mein Jakar Bhi Awaz Buland Nahi Karni Chahiye,Khamosh Rehna Shor Nahi Karna Hai .Afsoos Ye Ke Aaj Musalmaan Is Masjid Mein Jaane Ka Shauq Toh Bohut Rakhte Hai Lekin Wahan Jaate Hai Toh Adab Nahi Rakhte .Khud Bhi Is Baat Ko Apne Palle Baandh Lijiye Aur Jo Koi Masjid E Nabawi Jaane Waala Ho Isko Bhi Yaad Dihaani Kara Dijiye Ke Wahan Jaakar Awazein Oonchi Karna, Cheekhna Chillana Aur Duniya Ki Bekaar Batein Karna

Page 5: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 5

Hansi Mazak Karna, Idhar Udhar Ki Guftagu Mein Mashghool Hona Ye Sab Adab Ke Khilaaf Hai.

Ayat – 5

Adaab(Etiquettes) Sikhaya Jaa Raha Hai

Is Ayat Me Aadab Aur Tazeem/Ehteraam Ki Taleem Di Jaa Rahi Hai. Yaani Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Bahar Aane Ka Sabar Karte/ Intezaar Karte Jald Baazi Na Karte Awaaz Dene Mein Toh Deen Duniya Dono Lehaz Se Behtar Hota. Allah Darguzar Karne Waala Raheem Hai . Isliye Muaqiza Nahi Farmaya.

Adab/Tazeem (Respect) Kin Kin Ki-

Walidain (Parents)-Baat Adab Ke Saath Karna , Jhidakna Nahi, Uff Tak Na Kehna

Ustaad (Teachers)- Ajzi , Ehteram, Adab Ka Lehaz, Lesson =Hum Kisi K Ghar Visit Karte Hai Toh Uske Bhi Adaab Hai Usko Follow Karna Chahiye Three Times Se Zyaada Knock Nahi Karna . Agar Door Nahi Khole Toh Wapas Hojana Hai. Aur Bura Nahi Maanna Chahiye. Door Ke Bilkul Saamne Nahi Khade Hona Hai.Side Mein Khade Hona Hai Taake Ander Nazar Na Padhe.

Ayat – 6

تاباينو ا To Tehqeeq Karliya Karo -فا

Khabar Ke Qubool Karne Ke Maamle Mein Ehtiyaat Ki Takeed

Is Ayat Mein Khabar(News) Ki Tahqeeq (Investigate) Karne Ko Kaha Gaya Hai

Fasiq Ki Khabar Par Etemaad Na Karo.

Fasiq-Na Qabile Etemaad (Unreliable) Jiska Bharosa Na Ho

Agar Koi News Lekar Aaye Toh Fauri Accept Nahi Karo Aur Reject Bhi Nahi Karo,Investigate Karliya Karo.

Koi Ghalat Admi Ki Information Par Action Lena Verify Karne Se Pehle Munasib Nahi

Kahin Aisa Na Ho Ke Tum Kisi Ko Anjaane Mein Nuqsaan Pahuncha Baitho Aur Apne Kiye Par Nadim Ho, Amal Karne Se Pehle Verify Karliya Karo Taake Koi Ghalat Faisla Na Liya Jaye.

Sunne Walon Keliye Hukum Har Suni Sunayi Baat Ko Aage Na Phailana.

Sunaaney Walon Ke Liye Hukum Chughli Na Karna Baghair Investigate Kare Baat Ko Aagey Pahunchata Hai Wo Jahalat Wala Kaam Hai.

Ayat – 7

Sahaba Se Kaha Jaraha Hai

Khoob Jaanlo Ke Tumhare Darmiyan Allah Ka Rasool Maujood Hai Yaani

Aapki Taazeem Aur Ita’at Karo

Isliye Ke Aap S.A.W.S Behtar Jaante Hai Kyun K Unpar Wahi Utarti Hai.

Peeche Chalo Apne Peeche Chalane Ki Koshish Mat Karo

Agar Apni Pasand Ki Baat Maanna Shuru Karde Toh Tum Khud Hi Mishkil Mein Padh Jaoege.

Allah Ne Tumko Iman Ki Mohabbat Di Hai Aur Isko Tumhare Liye Dil Pasand Diya Hai

Dua =Aye Allah Hame Bhi Imaan Ki Zeenat Se Muzayyin Karde Aur Hidayat Yafta Logon Ka Rehnuma Banade.Ameen

Ayat – 8

Ye Ayat Bhi Sahaba Akram R.A Ki Fazilat Inke Imaan Aur Rushd Wo Hidayat Par Hone Ki Wazeh Daleel Hai

Yaani Jinke Uloom Wo Aamaal Durust Hogaye Aur Sirat E Mustaqeem Par Hai

Yaani Ye Bhalai Jo Inhe Hasil Hai Unpar Allah Ta’ala Hi Ka Fazl Hai.

Ayat -9 -10

Page 6: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 6

صلحواا To Sulah Karado -فاأ

طو ق ساأ Aur Insaaf Karo -وا

In Ayaton Mein Sulah Karane Baat Ki Gayi Hai

Ahle Imaan Ko Ek Doosre Par Zyadati Karne Se Aur Ek Doosre Se Ladai Karne Se Roka Gaya Hai.

Har Maamle Me Insaaf Karne Ko Kaha Gaya

Allah Insaaf Ko Pasand Karta Hai Chahe Rishtedaar Ho Ya Ghair Rishtedaar .

Zulm Ek Doosre Par Nahi Karna Chahiye

Insaaf Karne Waale Noor K Member Pe Hoga Allah K Dayen Janib.

Apne Bhaiyon Mein Sulah Karaana Har Musalmaan Ka Farz Hai

Is Ayat Mein Momin Ko Bhai Bhai Qaraar Diya Gaya

Momin Ek Doosre K Bhai Hai Lehaza Apne Bhaiyon Ke Darmiyan Talluq Ko Durust Karado Sulah Karado Allah Se Daro

Ijtemaayi Usool Jo Ayat Se Nikalte Hai Agar Musalmaan Apas Mein Ladein Toh Doosre Musalmaan Isko Paraya Jhagda Samjhkar

Na To Isse Bilkul Alag Rahe . Aur Na Inkeliye Jaayez Hai Ke Baghair Investigate Ke Kaun Haq Par Hai Kaun Nahi Sirf

Khaandaani ,Qabaeli Ke Josh Mein Kisi Ke Saath Aur Kisi Ke Against Hojaaye . Balke Saare Maamle Ko Samajhkar Adl Ke Saath Sulaah Karaaye Allah Ta’ala Ki Rehmat Ke Mustahaq Wahi Log Tehrenge Jo Uski Qaayam Ki Hui Bhai Chaargi

Ko Hamesha Barqaraar Rakhne Ki Koshish Karega.

Lesson =Toh Isse Kya Baat Pata Chalti Hai In Sab Ke Darmiyan Ek Imaan Ka Rishta Hai ,Is Rishte Ki Wajeh Se Unke Ander Ek Bhai Chara Hai Chehra Gora Ho Kala Ho Kisi Bhi Mulk Ka Ho Kisi Bhi Zuban Ka Ho Kisi Bhi Background Ka Ho Isse Koi Farq Nahi Padhta Allah Ki Nigah Mein Imaan Ki Wajeh Se Sab Ek Hi Hai Haan Amal Saleh Ki Wajeh Se Inke Darje Oonche Neeche Hote Rehte Hai .Isliye Kahin Par Bhi Log Apas Mein Ladai Jhagda Kar Rahe Ho Toh Is Ladai Jhagde Ko Phailne Na Do Warna Kahin Aisa Na Ho Ke Wo Ladai Jhagda Tumhe Bhi Apni Lapet Mein Na Le Le.

Ruku – 2 Ayat 11 - 18

Ayat-11

Imaan Ke Baad Fisq Ke Daagh Dhabbon Se Ijtenab (Bachne)Ki Taakid

Is Ayat Mein Un Badi Buraiyon Se Rukne Ka Hukm Diya Jaraha Hai, Taake Society Mein Poori Tarah Aur Har Pehlu Se Aman Ho.

Wo Buraiyan Jinse Ikhtelaaf Hota Hai

Apas Ke Talluq Ko Kharaab Karti Hai.

Uske Reasons-

ر اسخا Na Mazaaq Udaye -لا ي

لا تالمزو Aur Na Aib Lagao -وا

لا تاناابازوا Aur Na Tum Baham Badnam Karo - وا

Mazaaq Udaana Taana Dena Ek Doosre Ki Izzat Par Hamla Karna Ek Doosre Ki Dil Aazaari Karna Ek Doosre Se Badgumaani Karna

Page 7: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Ek Doosre Se Aib Ki Khoj Karna Ye Wo Reasons Hai Jinse Dushmani Paida Hoti Hai.

Yahan Aurton Ka Zikr Kyun –

Yahan Par Mardon Ke Saath Aurton Ka Zikr Bhi Khaas Taur Se Hua Hai ,Jis Burai Se Yahan Mardon Ko Roka Gaya Hai Wo Aurton Ke Ander Isse Zyada Nahi Toh Kam Bhi Nahi.

Ek Toh Mazak Udaane Mein Sabse Aage Hoti Hai.

Doosra Islaam Mein Tasawwur Hi Nahi Hai Islaam Mein Ke Mard Aur Aurat Ein Ek Jagah Baithkar Hansi Udana Shuru Kardein

Is Ayat Mein Allah Ta’ala Logonko Haqeer ,Zaleel Karne Se ,Mazaq Udaane Se ,Ta’ana Dene Se , Bure Naam Rakhne Se Rok Rahe Hai.

Mazaaq Udana= Sirf Zaban Se Mazaaq Udaana Nahi Balke Kisi Ki Naqal Utaarna Kisi Ki Taraf Ishaare Karna Kisi Ki Baat Par , Kaam Par,Surat Par, Libas Par Hansa ,Qaum Par ,Aib Ya Nuqs Ki Tarf Logon

Ko Tawajju Dilaana Ke Wo Uspar Hansey Ya Kisi Bhi Tareeqe Se Mazaaq Udaaye Allah Ko Pasand Nahi Hai Ke Mazaaq Udaaye ,Ye Imaan Ki Kami Ki Alamat Hai.

Insaan Kab Kisi Ka Mazaaq Udaata Hai ,Jab Wo Doosre Ko Zaleel O Haqeer Samajhta Hai

Insaan Dooosron Ko Haqeer Kab Samajhta Hai,Jab Wo Apne Aap Ko Badi Cheez Samjh Raha Ho Yaani Takabbur Karta Hai.

Koi Shaqs Ye Nahi Keh Sakta Ke Mai Allah Ke Nazdeek Falaan Shaqs Se Behtar Hoon

Takabbur Karna Iblees Ki Sifat Hai.

Hadeeth – Mein Hai Takabbur Naam Hai Haq Se Muh Modhna Aur Logon Ko Zaleel O Khawaar Shamajhna

Insaan Ke Badtareen Hone Keliye Ye Kaafi Hai Ke Wo Apne Musalmaan Bhai Ko Haqeer Samjhe.

Hadeeth–Mein Hai Ke Momin Wo Hota Hai Jo Taana Dene Waala Na Ho .

Talmizu – Lamz Se Hai –Aib Laagana ,Insult Karna

Anfusukum –Word Aya Hai Kyun Ek Momin Doosre Momin Ka Bhai Hai Toh Apne Momin Bhai Par – Na Aib Lagaye Na Ek Doosre Ke Defects Nikaale-Jaise Langda Hai ,Behra Hai, Height Choti Hai,Kala Hai,

Etc.. Ek Doosre Ko Bure Aur Napasandidah Alqaab Ke Saath Yaad Na Karo,Yaani Laqab Se

Badnaam Na Kare Yaani Bure Laqab Dena.

Ache Laqab Dena Jayez Hai- Jaise Abu Bakr R.A Ko Siddique Ka Laqab Omer R.A Kofarookh Ka Laqab Hamza R.A Ko Asadullah Ka Laqab

Bure Laqb Dena Jayez Nahi Hai

Isme Do Mayne Ayenge -1. Kisi Shaqs Ko Bure Naam Dena , 2.Badnaam Karne Keliye Bure Alqaab Dena

Chid Chidi Buddi Ya Buddha Gadha Kutte Ka Bachcha Moti Bail Y Bhains

Lesson- Imaan Laane Ke Baad Fisq Mein Naam Paida Karna Ye Sakht Sharmnaak Baat Hai ., Ek Momin Keliye Zeba Nahi Ke Wo Imaan Ke Baad Fisq Ke Daagh Dhabbon Se Apne Daaman Ko Aalooda Kare.

Page 8: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 8

Jo Log Is Rawish Se Baaz Na Aaye Aur Tauba Na Ki Wahi Zaalim Hai.

Tauba- Yaani Ghalti Ko Accept Karna Repeat Nahi Karna

Tauba Ka Darwaza Khula Rakha Ye Allah Ki Sabse Badi Rehmat Hai

Agar Kisi Ne Past Mein Koi Bura Kaam Karliye Iske Baad Isne Tauba Karli Aur Wo Mukammil Taur Par Aak Hogaya .Lekin Uske Baad Bhi Wo Isko Barqaraar Rakhe Toh Wo Zaalim Hai.

Doosron Ke Upar Kaam Karne Waala Apne Upar Zulm Karne Waala Hai Yaani Allah Ki Naraazgi Ko Apne Upar Mustahaq Karne Waala Hoga.

Lesson =Agar Kisi Ne Aapki Kisi Weakness Ka Mazaq Udaya Toh Jawab Mein Aap Iski Kisi Weakness Ko Point Out Karte Hue Iska Na Udayen ,Toh Allah Ta’ala Aapko Is Sabr Ka Badla Dega Aur Iska Wabaal Mazaak Udaane Waale Ko Ya Hurt Karne Waale Ka Usipar Padega Jisne Pehel Ki.Hame Aise Mazaak Se Bachna Chahiye Jahan Doosron Ko Hurt Karjaye, Doosron Ko Be Izzat Kar Jaaye .

Ayat 12

نا ٱلظن ثريا م بوا كا Bacho Bahut Zyaada Gumaan Se– ٱجتان

اسسوا Aur Na Tum Tajassus Karo– وا لا تا

غتاب بعضكم باعضا لا يا Aur Na Gheebat Kare Tumme Se Baaz Baaz Ki- وا

Is Ayat Me Guman ,Tajassus Aur Gheebat Se Bachne Ka Hukm Diya Ja Raha Hai

Baaz Buraiyan Jo Zaahir Choti Lekin Baatin Ke Aitebaar Se Badi Hai

Yaani Insaan Ke Khud Apne Dil Ko Bimaari Me Mubtela Kardeti Hai , Jinko Imaan Aziz Ho Zaroori Hai Ke In Aafton Se Apne Aap Ko Mehfooz Rakhe Kyun Ke Baaz Guman Gunah Hote Hai Aur Wo Insaan Ko Halakat Mein Daalte Hai , Ek Momin Bad Gumaani Ka Mareez Nahi Ban Sakta

Allah Ta’ala Farma Rahe Hai Ki Baaz Gumaan Gunah Hai Khwaa Allah Ke Baare Mein Ho Ya Bandon Ke Baare Mein Ho.

Is Ayat Mein Tajassus Yaani Kaan Lagake Sunna , Kisi Ke Peeche Lag Jaana ,Kisi Ke Letter Ya Messages Padhna Etc.

Aagey Gheebat Ke Baare Mein Bataya Jaraha Hai Ke Murda Bhai Ka Gosht Khaana –Kyun Ke

Murda Bhai Ka Gosht Khaana Jitna Sakht Aur Bura Kaam Hai Utni Hi Gheebat Hai . Jiski Gheebat Hoti Hai Wo Murde Ki Tarah Hota Hai Kyun Ke Apni Baat Clear Karne Saamne

Nahi Hota.

Gumaan -Kya Cheez Hai= Khayal ,Atkal Baat, Sonchlena Assume Karlena Shak , Kisi Ke Upar Doubt Karna. Guman Karne Se Parhez Karo Yaani Dooosre Lafzon Mein Badgumaani Na Kiya Karo Kyun Ke

Badgumaani Haram Hai. Kisi Bhi Momin Ke Baare Mein Bura Na Soncho. Badhgumaani Karne Waala Apne Gunah Ko Badhata Hai Buri Buri Batein Sonchkar- Jaise

Allah Ke Baare Ghalat Gumaan Karna ,Aap S.A.W.S Ke Baare Mein Ghalat Gumaan Karna ,Quran Ke Baare Mein Ghalat Gumaan Karna,Momin Ke Baare Mein Ghalat Gumaan Karna,Tamaam Insaano Ke Baare Mein Ghalat Gumaan Karna.

Ye Insaan Ko Nusqsaan Pahunchaata Hai Aisi Negetive Thinking Se.

Jiski Chori Hojaaye Wo Badhgumaani Karne Ki Wajeh Se Chor Se Zyaada Gunahgaar Hojaata Hai.

Kisi Ko Dekhkar Ghalat Gumaan Karlena ,Kisi Ki Life Style Ko Dekhkar ,Pehnawe Ko Dekhkar,Uske Baat Chhet Ke Andaaz Ko Dekhkar,Uthne Baithne ,Khaane Peene,Zaahiri

Page 9: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 9

Adaatse,Kisi Ke Baare Mein Suni Sunai Baat Par Bina Investigate Kiye Ghalat Gumaan Nahi Karna Chahiye.

Gumaan Se Ikhtelaaf Badhta Hai ,Mis Understanding Badhti Hai. Isse Kya Hota Hai Jab Usse Milte Hai Toh Theek Tareeqe Se Nahi Milte Hai Aur Maamla Karte Hai Toh Theek Nahi Karte

Gumaan Kya Hai Gunah Hai .

Lesson = Hamey Chahiye Ki Hum Acha Gumaan Kare Achi Sonch Rakhni Chahiye Agar Kisi Ki Baat Achi Nahi Lagey Toh Hosakta Hai Ke Uske Paas Koi Reason Hoga, Isliye Hum Kisi Se Bhi Badh Gumaani Nahi Karni Chahiye Be Positive .

Tajassus Na Karo Yaani-Kisi Cheez Mein Kureid Karna Aur Logon Ki Sargoshi Par Kaan Lagana ,Khoj Mein Mat Padh Jao ,Tafteesh Mat Karo,Androoni Maamlaat Ko Maloom Karne Ki Koshish Mat Karo.

Jo Shaqs Logon Ke Aib Doondhne Lagega Allah Unke Aibon Ke Peeche Ho Jayega Allah Jiske Peeche Ho Allah Usko Uske Ghar Mein Ruswa Kardega.

Agar Hum Kisi Ke Baare Mein Aib Dekhle Toh Poshida Rakhaa Toh Ye Aisa Hai Dafan Ki Hui Neki Dobara Zinda Hogai

Sirf Wo Maqsoos Haalaat Hai Jinme Tajassus Ki Zaroorat Ho Eg- Kisi Shaqs Ya Giroh Ke Rawayye Mein Bigaad Ki Kuch Alaamaat Zaahir Ho Kisi Jurm Ko Karne Waala Ho Toh Is Haalaat Mein Tahqeeq Ki Jaasakti Hai Islah Keliye, Ya Kisi Shaqs Ke Yahan Koi Shaadi Ka Paighaam Bheje Ya Karobaari Maamla Karna Chahe Toh Apne Itmenaan Keliye Tehqeeq Karakta Hai.

Har Burai Ki Jadh Gheebat

Gheebat = Kisi Ki Ghair Maujoodgi Mein Uski Burai Karna Yaani Peeth Peeche Aisi Baat Karna Jo Buri Ho.

Chughli= Agar Wo Baat Usme Ho Ya Khabar Sach Ho

Bohtaan= Agar Wo Baat Usme Na Ho.

Wo Aisi Baat Ho Jo Iske Kisi Khaas Aib Ko Faash Karey Chahe Wo,Jismaani Ho ,Aqlaaqi Ho ,Aamal Mein Ho ,Guftagu Mein Ho ,Agar Ye Sab Isme Nahi Toh Tohmat Hogi Jiska Gunah Zyaada Shadeed Aur Sangeen Hai

According to Hadeeth =Logon Ne Pooocha Ya Rasool Allah S.A.W.S Gheebat Kya Hai Toh Aap S.A.W.S Ne Farmaya Apne Musalmaan Bhai Ki Kisi Aisi Baat Ka Zikr Kare Jo Usey Buri Maloom Ho Logon Ne Kaha Agar Wo Baat Usme Hai Tab Bhi Farmaya Gheebat Toh Yehi Hai Warna Wo Bohtaan Aur Tohmat Hai.

Hadees Mein Hai Ke Khoon ,Maal Aur Izzat Ek Musalmaan Ka Doosre Musalmaan Par Haraam Hai

Aur Ek Jagah Hai Kisi Ki Izzat Abro Ke Peeche Padhjaana Kabeera Gunah Mein Se Hai .

Insaan Ki Zindagi Ka Sabse Bada Sarmaya Iski Haisiyat ,Aabroo,Aur Shaqsiyat Hai ,Kisi Musalmaan Ke Baare Mein Gheebat Karna Aisa Hai Jaise Jo Cheez Usey Khatre Mein Daalde Wo Aisa Hai Jaise Ke Uski Jaan Ko Khatre Mein Daal Diya Hai Balke Baaz Auqaat Shaqsiyat Ko Qatl Karna Hai.Ek Shaqs Ko Qatl Karne Se Zyaada Aham Shumaar Hota Hai.

Ummat E Muslimah Ka Sabse Bada Masla Gheebat Hai Alaah Hum Sabko In Buraiyon Mehfooz Rakhe Ameen.

Yaani Ek Musalmaan Ke Baare Mein Gheebat Karna Aisa Hai Jaise Musalmaan Murda Bhai Ka Gosht Khata Ho Is Darje Ka Kaam Hai Bohut Pathar Dil Ki Baat Hai ,Aqlaaq Se Giri Hui Baat Hai Usse Bhi Zyaada Gheebat Ko Na Pasand Karo,Jis Tarah Tum Apne Murda Bhai Ka Gosht Khaane Se Ghin Karte Ho Usse Bhi Zyaada Nafrat Tumhe Gheebat Se Honi Chahiye.

Jis Tarah Murda Helpless Hota Hai Usi Tarah Jiski Gheebat Ki Jaye Wo Bhi Helpless Hai.

Page 10: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Gheebat Ke Nuqsaanat- Badh Niyati Paida Karti Hai ,Ijtemai Rishton Ko Kamzor Kardeti Hai ,Etemaad Ke Sarmaye Ko Qatam Kardeti Hai ,Taawun Aur Mil Jhulkar Kaam Karne Ki Buniyaad Ko Khokhla Kardeti Hai ,Gheebat,Keena ,Adawat(Dushmani ) Ke Beej Dilon Mein Dalti Hai

Allah Ke Yahan Behtar Banda Wo Hai Nazar Padhte Hi Allah Ki Yaad Aaye Badtareen Banda Wo Hai Jo Chughli Kare .

Kisi Society Ko Peaceful Banane Keliye Kisi Ki Burai Na Karo

Gheebat Zina Se Bhi Bura Hai ,Zina Mein Do Log Effect Hote Hai Jabke Gheebat Se Saari Society Effect Hoti Hai

Gheebat Ka Ilaaj Aur Isse Tauba

Tauba=Allah Ki Mana Karda Cheezon Se Rukh Jao Aur Usse Darte Raha Karo , Jo Allah Ki Taraf Jhukega Wo Uski Taraf Mael Ho Jaata Hai Aur Tauba Karne Waale Ki Tauba Khubool Karta Hai Aur Jo Us Par Bharosa Kare ,Ruju Kare Wo Uspar Raham Aur Meherbaani Farmaata Hai.

Ulama Farmaate Hai- Gheebat Karne Waala Toh Jis Waqt Bhi Usey Ehsaas Hojaye Ke Wo Is Gunah Ko Kar Raha Hai Ya Kar Chuka Hai ,Iska Pehla Farz Ye Hai Ke Allah Se Tauba Kare Aur Is Haraam Kaam Se Ruk Jaaye –Iske Baad Doosra Farz Ispar Ye Hai Ke Wo Is Khaslat Ko Chod De Aur Phirse Us Gunah Ko Na Karey Pehle Jo Kar Chuke Is Par Naadim Hona .Jin Mehfilon Majlison Mein Iski Burai Bayan Ki Thi Inme Ab Iski Sach Safai Bayan Karey Uski Burai Ko Apni Taqat Ke Mutabiq Dafa Kardo To Adle Ka Badla Hoga- Agar Kisi Marey Hue Aadmi Ki Gheebat Ki Ho Toh Uske Haq Mein Kasrat Se Dua E Maghfirat Karey.

Lesson= Hame In Sab Buraiyon Se Bachna Chahiye ,Buraiyon Ko Chodte Jaana Chahiye Aur Nekiyan Karte Jaana Chahiye Nekiyan Buraiyon Ko Door Kardeti Hai .Allah Ka Taqwa Iqtiyaar Karo ,Allah Se Daro Aur Parhezgaari Iqtiyaar Karo Ye Buraiyon Ko Dho Deta Hai.

Baaz Log Gheebat Ke Baare Mein Wo Aam Uzr Pesh Karte Hai Ye Toh Ye Toh Aisi Baat Hai Hum Uske Saamne Bhi Keh Sakte Hai Halaanke Usko Uske Saamne Kehna Na Sirf Gheebat Ke Gunah Mein Koi Kami Nahi Karta Balke Isko Eza O Takleef Pahunchaata Hai Uski Bina Par Isse Bhi Zyaada Sangeen Gunam Ka Martakab Hota Hai.

Ayat – 13

Nasl Insaani Ka Aagaaz

Allah Ta’ala Farmata Hai Ke Tamaam Insaano Ko Ek Hi Insaan Se Paida Kiya Yaani Adam( A.S)

Is Ayat Mein Nasli , Khandaani Aur Qabaili Ghuroor Ka Qatma

Sab Log Apni Paidaishi Nisbat Ke Lehaz Se Bilkul Eksaan Hai Sab Barabar Hai

Ek Dooosre Ki Pehchaan Keliye Hai-Kumbbe Qabiley Bradariyan Aur Jamatein Taake Ek Doosre Ki Pehchaan Asaan Hojaye .

Sab Aadam A.S Ki Aulaad Ho.Aur Khud Adam A.S Mitti Se Paida Kiye Gaye

Apne Baab Dadaon Ke Naam Par Faqr Karne Se Baaz Aajao

Insaan Ka Na Koi Hasab Hai Na Koi Nasab Aur Na Kisi Tribes Ka Na Kisi Nation Ka

Ye Hasab Naame Dar Asal Koi Kaam Dene Waale Nahi Sab Barabar Hai ,Kisi Ko Kisi Par Fazeelat Nahi Hai,Fazeelat Toh Taqwa Aur Aamaal Se Hai

Ayat -14 -15

Unlogon Ke Ghuroor Par Zarb Jo Apne Aap Ko Islaam Ka Mohseen Samajhte Thy

Airaab Se Murad =Atraaf E Madina Ke Dehaati Log

Ye Airaabi Kehte Hum Imaan Laaye Ye Baat Wo Izhar E Ehsaan Kehte Thy Yaani Aap ملسو هيلع هللا ىلص Par Baat Baat Mein Ehsaan Jatate Thy.

Islaam Ki Ubharti Hui Siyasi Taqat Se Mutasir Hokar Ye Log Musalmaano Mein Shaamil Hogaye Thy.

Page 11: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 11

Is Wajeh Se Imaan Ki Rooh Unke Dilon Mein Abhi Nahi Utri Thi

Imaan Aisi Cheez Nahi Ke Iska Ehsaan Jatao.

Imaan Ki Haqeeqat- Jo Dilon Ke Ander Utraa Nahi Aise Imaan Ki Allah Ke Paas Koi Value Nahi Imaan Wo Hai Jo Ragh Ragh Mein Utre Aur Dil Ko Apne Rang Mein Is Tarah Rang Le Ke Isse Alag Hokar Sonchna Aur Koi Amal Karna

Insaan Ke Liye Asaan Na Ho.

Yahan Par Aise Badduon Ka Zikr Hai Zaban Se Kehte Hai Ke Imaan Laaye

Yahan Par Badduon Ka Eg Dekar Tamaam Logon Ko Bata Rahe Hai.

Imaan Ka Dawa Karne Waale Apna Jayeza Toh Le

Kuch Airabi Log Islaam Mein Dakhil Hote Hi Apne Imaan Ko Badha Chadhakar Dawa Karne Lagte Thy,Halanke Darasal Inke Dil Mein Abtak Imaan Ki Jadein Mazboot Nahi Hui Thi Unko Allah Ta’ala Is Daawe Se Rokhta Hai.

Pas Maloom Hua Ke Ye Airaabi Jinka Zikr Is Ayat Mein Hua Munafiq Na Thy ,Thy Toh Musalmaan Lekin Ab Tak Unke Dilon Mein Imaan Sahi Taur Par Utra Nahi Aur Unhone Is Buland Muqaam Tak Rasai Ho Jaane Ka Abhi Se Dawa Kardiya Tha , Isliye Unhone Adab Sikhaya Jaraha Hai.

Agar Tum Allah Ke Aur Rasool S.A.W.S Ke Farma Bardaar Hojao Toh Tumhaare Kisi Amal Ka Ajr Zaya Na Hoga .

Jo Alaah Ki Taraf Ruju Kare Burai Se Laut Aaye ,Allah Iske Gunah Maaf Farmaane Waala Hai Aur Iski Taraf Rahem Bhari Nigahon Se Dekhne Waala Hai.

Haqeeqi Ahle Imaan Ke Qualities – Haqeeqi Momin Allah Ke Nazdeek Wohi Hai Jo Allah Aur Rasool Par Sacche Dil Se Imaan

Laaye Kaamil Imaan Waale Wo Log Hote Hai Jo Allah Par Uske Rasool Par Dil Se Yaqeen Rakhte Hai

Phir Shak Nahi Karte Hai Na Kabhi Unke Dilon Mein Koi Bura Khayal Paida Nahi Hota Hai. Balke Isi Khaalis Tasdeeq Par Aur Kamil Yaqeen Par Jam Jaate Hai Aur Jame Hi Rehte Hai. Balke Maal Wo Jaan Dono Se Allah Ki Raah Mein Jihaad Karte Hai Yehi Log Apne Dawa E Imaan Mein Sacche Hai Ye Unlogon Ki Tarah Nahi Jo Sirf Zaban Se Hi Imaan Ka Dawa Karke Reh Jaate Hai.

Ayat -16-18

In Ayaton Mein Allah Ki Badhai Bayan Ki Jaarahi Hai,Wo Jaanta Hai Kaun Haq Par Hai Aur Kaun Nahi ,Uski Nigaah Sab Par Hai Aur Wo Sab Cheez Ka Ilm Rakhta Hai.

Allah Farmata Hai Kya Tum Log Allah Ko Apne Deen Se Aagaah Kar Rahe Ho?

Allah Toh Aisa Hai Ke Zameen Wo Aasmaan Ka Koi Zarra(Speck) Isse Maqfi(Chupa) Nahi,Wo Har Cheez Ko Jaanta Hai Aur Har Baat Se Ba Khabar Hai

Jo Airabi Apne Islaam Laane Ka Ehsaan Rasool Par Rakhte Hai .

Allah Farmata Hai Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Unse Kehde Ke Mujh Par Apne Islaam Laane Ka Ehsaan Na Jatao Agar Tum Dawe Mein Sacche Ho Toh Tumhara Ehsaan Mere Upar Nahi Balkeallah Ta’ala Ka Fazl Wo Ehsaan Tumhaare Upar Hai Ke Isne Tumhe Imaan Ki Taufeeq Di Hai

Lesson= Isse Ye Haqeeqat Clear Hui Ke Deen Ki Koi Choti Ya Badi Qidmat Karke Koi Shaqs Na Allah Aur Rasool Par Koi Ehsaan Karta Na Deen Par Balke Wo Khud Apne Upar Ehsaan Karta Hai Ke Apni Aakhirat Sanwaarta Hai ,Ehsaan Dar Haqeeqat Uske Upar Allah Ka Hota Hai Ke Wo Isko Deen Ki Qidmat Ki Taufeeq Di

Apne Imaan Wo Islaam Ko Zyaada Batane Aur Jataane Ki Zaroorat Nahi Allah Aasmano Aur Zameen Ke Saarey Bhedon Ko Khud Jaanta Hai Aur Ye Yaad Rakho Ke Tumhaare Aamaal Ko Dekhraha Hai .Matlab Ye Hai Ke Asal Cheez Dawa Nahi Balke Amal Hai .Agar Amal Karoge

Page 12: Tafseer - Darul Arqam - Home Aap ﷺ Ko Ya Rasool Ya Nabi Kehkar Pukara Karte The Ye Ek Khaas Andaaz Hai Pukaare Jaane Ka Hujron K Bahar Se Jo Pukaarte Hai Wo Be Aqal Log Hai. Lesson=Hum

Surah Al Hujarat

www.livequraneverymoment.org Page | 12

Toh Tumhaara Dawa Baghair Izhaar Wo Elaan Ke Allah Yahan Saabith Ho Jaayegaaur Amal Nahi Karoge Toh Zabaan Se Kitna Hi Dawa Karo, Ye Bilkul Be Haqeeqat Wo Besood Hoga.

Dua= Aye Allah Hame Taufeeq De Aur Aisi Khudrat Ata Farma Ke Hum Is Azeem Aqlaaqi Khadron Ko Jo Tuney Is Pur Azmat Surey Mein Bayan Farmaayi Hai ,Isko Hum Apne Wajood Ke Ander Zinda Karein Aur Inke Ehtraam Ki Paas Daari Karein,Hamare Aamaal Ko Dilon Ko Momin Waale Banadey.Aameen Summa Aameen.