3
ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut Krishan Bihari Noor ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut in dino.n Khud se bichha.D jaane kaa dha.Dakaa hai bahut raat ho din ho Gafalat ho ki bedaarii ho usako dekhaa to nahii.n hai use sochaa hai bahut tashnagii ke bhii muqaamaat hai.n kyaa kyaa yaanii kabhii dariyaa nahii.n kaafii, kabhii qataraa hai bahut mere haatho.n kii lakiiro.n ke izaafe hai.n gavaah mai.n ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut koii aayaa hai zaruur aur yahaa.N Thaharaa bhii hai ghar kii dahaliiz paa-e-nuur ujaalaa hai bahut aag hai paanii hai miTTii hai havaa hai mujh me.n Krishan Bihari Noor aag hai paanii hai miTTii hai havaa hai mujh me.n aur phir maananaa pa.Dataa hai ke Khudaa hai mujh me.n ab to le-de ke vahii shaKhs bachchaa hai mujh me.n mujh ko mujh se judaa kar ke jo chhupaa hai mujh me.n meraa ye haal ubharatii huii ?????? jaise vo ba.Dii der se kuchh Dhuu.NDh rahaa hai mujh me.n jitane mausam hai.n sab jaise kahii.n mil jaaye.n in dino.n kaise bataauu.N jo fazaa hai mujh me.n

From Urdu Poetry Dot Com

  • Upload
    ali

  • View
    30

  • Download
    0

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Liked these, so you too enjoy!Thanks to urdupoetry dot com

Citation preview

Page 1: From Urdu Poetry Dot Com

ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut Krishan Bihari Noor

ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut in dino.n Khud se bichha.D jaane kaa dha.Dakaa hai bahut

raat ho din ho Gafalat ho ki bedaarii ho usako dekhaa to nahii.n hai use sochaa hai bahut

tashnagii ke bhii muqaamaat hai.n kyaa kyaa yaanii kabhii dariyaa nahii.n kaafii, kabhii qataraa hai bahut

mere haatho.n kii lakiiro.n ke izaafe hai.n gavaah mai.n ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut

koii aayaa hai zaruur aur yahaa.N Thaharaa bhii hai ghar kii dahaliiz paa-e-nuur ujaalaa hai bahut

aag hai paanii hai miTTii hai havaa hai mujh me.n Krishan Bihari Noor

aag hai paanii hai miTTii hai havaa hai mujh me.n aur phir maananaa pa.Dataa hai ke Khudaa hai mujh me.n

ab to le-de ke vahii shaKhs bachchaa hai mujh me.n mujh ko mujh se judaa kar ke jo chhupaa hai mujh me.n

meraa ye haal ubharatii huii ?????? jaise vo ba.Dii der se kuchh Dhuu.NDh rahaa hai mujh me.n

jitane mausam hai.n sab jaise kahii.n mil jaaye.n in dino.n kaise bataauu.N jo fazaa hai mujh me.n

aaiinaa ye to bataataa hai ke mai.n kyaa huu.N lekin aaiinaa is pe hai Khamosh ke kyaa hai mujh me.n

ab to bas jaan hii dene kii hai baarii ai "Noor" mai.n kahaa.N tak karuu.N saabit ke vafaa hai mujh me.n

Page 2: From Urdu Poetry Dot Com

zindagii se ba.Dii sazaa hii nahii.n Krishan Bihari Noor

zindagii se ba.Dii sazaa hii nahii.n aur kyaa jurm hai pataa hii nahii.n

itane hisso.n me.n baT gayaa huu.N mai.n mere hisse me.n kuchh bachaa hii nahii.n

sach ghaTe yaa ba.De to sach na rahe jhuuTh kii koii intehaa hii nahii.n

ja.D do chaa.Ndii me.n chaahe sone me.n aaiinaa jhuuTh bolataa hii nahii.n

vo lab ki jaise saaGar-o-sahabaa dikhaaii de Krishan Bihari Noor

vo lab ki jaise saaGar-o-sahabaa dikhaaii de jumbish jo ho to jaam chhalakataa dikhaaii de

dariyaa me.n yuu.N to hote hai.n qatare hii qatare sab qataraa vahii hai jisame.n ke dariyaa dikhaaii de

kyo.n aaiinaa kahe.n use patthar na kyo.n kahe.n jis aaiine me.n aks na usakaa dikhaaii de

us tashnaa-lab kii nii.nd na TuuTe duaa karo jis tashnaa-lab ko Khvaab me.n dariyaa dikhaaii de

kaisii ajiib shart hai diidaar ke liye aa.Nkhe.n jo ba.nd ho.n to vo jalavaa dikhaaii de

kyaa husn hai, jamaal hai, kyaa rang-ruup hai vo bhii.D me.n bhii jaaye to tanahaa dikhaaii de

Page 3: From Urdu Poetry Dot Com

vatan ke liye Kaifi Azami

yahii tohafaa hai yahii nazaraanaamai.n jo aavaaraa nazar laayaa huu.Nrang me.n tere milaane ke liyeqataraa-e-Khuun-e-jigar laayaa huu.Nai gulaabo.n ke vatan

pahale kab aayaa huu.N kuchh yaad nahii.nlekin aayaa thaa qasam khaataa huu.Nphuul to phuul hai.n kaa.NTo.n pe tereapane ho.NTo.n ke nishaa.N paataa huu.Nmere Khvaabo.n ke vatan

chuum lene de mujhe haath apanejin se to.Dii hai.n ka_ii zanjiire.ntuune badalaa hai mashiyat kaa mizaajtuune likhii hai.n na_ii taqdiire.ninqalaabo.n ke vatan

phuul ke baad naye phuul khile.nkabhii Khaalii na ho daaman teraaroshanii roshanii terii raahe.nchaa.Ndanii chaa.Ndanii aa.ngan teraamaahataabo.n ke vatan